Update - 1
/\/\/\/\/\/\/\/\/\/\/\/
Subah subah Bablu ki maa jhadu poncha kar rahin thi, wahin Bablu ka baap akhbar me laga hua tha, Bablu wahin ghar ke darwaze pe sir tika muh me tooth brush daal ghish raha tha, uski nigah lekin kisi aur thi, agar uske aankh ke angle ko dekhe to uska dhyaan bagal ke chhat pe thi, jahan pe baithi 'Madhu' kapade sukhane ko daal rahi thi, Bablu usi ko dekhe jaa raha tha aur uska hath apne pajame ke upar se khade lund pe jata hai, aur wo use tezi se dabata hai...
Bablu ki nazar apne bagal me rahane wali teacher ki beti Madhu pe kafi dino se thi, lekin gandfatta Bablu ke bute ki nahi thi aage badhana aur upar se wo uske padosi, Bablu man ko galiyate hue kulla karane laga to uska baap akhbar niche karata hai, aur use ghurata hai,
"Tu kab tak aise haath pe haath daale baitha rahega, koi kaam dhandha kyun nahi dhundhata nikamma"
"Babuji main kar raha hun na tayyari, aap yakeen maniye jaldi hi sarkari naukari lag jayegi"
"Paanch saal se sun raha hun ye sab bakwas..." Bablu ka baap kuch aage bolata ki bablu ki maa uska bachao karane lagati hai, aur isi me un dono ke beech jhagda suru ho jata hai, aur bablu is shor se bachane ke liye ghar se nikal jata hai...
Bablu sidhe ek gumati me jata hai, aur apne baap ke pocket se chori kiye hue rupyee se 1 bidi kharidata hai, aur wahin bagal me sarak ke divider me baith bidi pine lagata hai, Sadak pe sainkaro gadiyan thi, aur kafi shor ho raha tha, aur Bablu wahan se uth paidal thode sunsan jagah pe jata hai, jo ki bagal me hi ek park tha...
Bablu park pahunch jata hai, aur apna mobile nikal facebook chalane lagata hai, aur usi me busy ho jata hai, kuch waqt hi wahan guzare the ki Bablu ki nazar park ke dusare kone pe jaati hai, jahan par 1 ladka aur 1 ladki baith chumma chati kar rahe the, Bablu unhe dekh khada hua aur unki aur chal diya, use kareeb se dekhana tha ki kaun apna muh kala karwa rahi hai, Bablu yahi soch un dono ke kareeb chip chip ke pahunch gaya aur uski nazar uski Madhu pe jaati hai, jise dekh Bablu gusse laal peela ho gaya, aur tezi se cheekhata hai...
"Sale madarchod tujhe itni himmat ki Madhu ko hath lagaya"
Achanak hue is shor se Madhu aur uske sath wala ladaka darr ke piche murate hain, aur piche Bablu ko dekh Madhu darr jati hai, wahin Bablu apna hath us ladake pe chala deta hai, aur dekhate hi dekhate Bablu aur us ladake me hatha pai suru ho gayi, aur Madhu wahan se darr ke bhag gayi, aur wo do ladake kafi der jhagadate rahe, lekin badkismati aisi ki bablu ka palada halka pad gaya aur wo ladaka use bahut budi tarah se pitane laga aur bablu ke naak se khun niklane lage aur uska honth fat gaya, aur Bablu ko behonshi aa gayi, aur Bablu ka agosh chala gaya...
/\/\/\/\/\/\/\/\/\/\/\/
Bablu ki ko honsh aaya to wo bade muskil se utha, uska sarir kamzor mehsus ho raha tha, Bablu ko ahsas hua ki wo kafi waqt se yahan pada hua tha, Bablu apne pant me hath dalata hai to use apna batua nahi milata hai aur use ahsas hota hai ki usi ne uske batua churaya hai...
Bablu dheere dheere ghar ki aur jata hai, aur uski is haal ko dekh uski maa paresaan ho jati hai, aur uska muh dhulwane lagati hai, aur use galiyaan sunane lagati hain, wahin Bablu aas lagaye madhu ki chhat ki aur dekhata hai aur phir apne ghar me malham patti karwane ghus jata hai...
Bablu ka halat kharab tha, lekin uska baap uspe aur fire ho jata hai aur use khub harkata hai, jise sunane ki bablu ki aadat si thi, Bablu phir khana kha sone chala jata hai...
Agle din wapas Bablu ka nind khulata hai, phir wo wahin darwaze pe baitha uski nazar madhu ki chhat ki aur jaati hai, lekin aaj wahan koi nahi tha, Bablu phir wapas apne bistar pe nasta kar soo jata hai...