• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Bepanaah Ishq (Completed)

park

Well-Known Member
11,053
13,310
228
Update 139(Last Update)
Ragini: Tumlog kahi jaa rahe ho kyaa.

Raj: Sirf humlog nhi hum sab jaa rahe hai. Kuch din pehle hi ek naya amusement park khula hai zoo ke saath toh aaj hum sab wahi chalenge.

Smita: Par aise achanak hum kaise jaa sakte hai.

Raj: Chaliye naa Mummy. Aise toh hum kabhi bahar ghumne jaate nhi hai. Aaj bachhon ne kaha hai aur sablog ghar mein hai toh chaliye ghum aate hai.

Raj ke force karne pe sablog maan jaate hai.

Nandini: Toh ek kaam karte hai. Shruti aur Swati ko bhi bol dete hai. Woh bhi bachhon ke saath aajayengi.

Raj: Achhi baat. Sablog saath honge toh jyaada maza aayega.

Sonal: Thikk hai. Ab aap jaaiye aur apna chehre dhoo lijiye.

Phir Raj waha se apne kamre mein aajata hai baaki sab bhi apne kaam jaldi jaldi khatam karne lagte hai.

Kuch der baad sablog ghumne jaane liye ready the. Ishant Shruti Yash Swati Shristi Ansh bhi aagaye the. Sablog bahot khush the. Sabse jyaada toh Krishna aur Megha aakhir unki wish jo puri hui thi.

Phir sablog nikal padhte hai Amusement park ki taraf. Raj ne ek bus book karliya tha itne saare logo ke liye. Toh sablog uss bus mein baith ke nikal padhte hai.

Kuch der ki journey ke baad sablog park pahonch jaate hai.

Shristi: Wowwww kitnaa bada aur khubsoorat park hai. Aur yaha toh zoo bhi hai. Mamu aap greatt ho.

Krishna: Shristi Didi aapke Mamu great nhi hai hum great hai. Agar hum papa ko nhi bolte toh papa yaha laate hi nhi. Kyoo Didi.

Megha: Haa Bhaiyaa. Sahi kaha aapne. Great toh humdono hi hai.

Kartik: Bade aaye great hone wale. Greatt toh chachu hi hai.

Nandini: Achha achha bas karo. Ab yahi khade rehna hai yaa andar bhi jaana hai.

Phir sablog andar jaane lagte hai. Bachhe toh bhaag ke pehle hi andar pahonch jaate hai.

Shruti: Shristi Kartik tumdono bade ho toh apne bhai behen ka dhyaan rakhna.

Dono: Okkkkk.

Shruti ki baat sunne ke baad Megha uske paas aati hai aur bolti hai.

Megha: Aap chinta mat karo bua. Main dhyaan rakhungi sabka.

Shruti: Aree meri pyaari gudiya. Mujhe pata hai tum bahot brave ho. Jao jaake khelo.

Sonal: Bahot bolte hai yehdono. Har baat pe inko bolna hota hai.

Raj: Dheere se. Jab Mummy hi itna bolti hai toh bachhe bhi bolenge hi.

Sonal: Kyaa bola aapnee.

Raj: Maine kaha kuch bola. Main toh bol raha tha dekho bachhe kitna aage chale gaye hai. Chalo jaldi. Yeh bol Raj waha se nikal jaata hai.

Raj ke nikalte hi sab hasne lagte hai.

Phir sablog uss amusement park aur zoo mein enjoy karne lagte hai. Sablog khush the. Bachho ko enjoy karte dekh kuch jyaada hi khush the.

Sabhi young couple apne apne partner ke saath rides ka maza bhi le rahe the toh bachho ke saath photos bhi click kar rahe the.

Sablog dil kholke waha pura din enjoy karte hai. Sham ko sablog ghar aane ke liye nikal jaate hai. Bachhon ne pura din itna enjoy kiya tha ke woh bus mein hi sogaye the.

Sabko ghar pahonchte pahonchte raat hojaati hai toh sablog apne apne kamre mein jaake sojaate hai.

Raj aur Sonal ne Krishna aur Megha ko apne paas hi sula diya tha.

Sonal: Dekhiye toh kaise so rahe hai ab. Pura din ghar mein uchal khud karte rehte hai. Aur aaj park mein kitna uchal khud kiya hai inndono ne aur ab dekhiye ekdum aaram se so rahe hai.

Raj: Inki yeh uchal khud se hi toh ghar mein kitni raunak rehti hai sablog kitna khush rehte hai.

Sonal: Sach bolu toh aajkal inki badmaasiyan badh gayi hai. Aur bolte toh bahot hai dono.

Raj: Abhii bachhe hai. Bade honge toh sab thik hojayega. Aur tab hum inki inhi badmaasiyon ko miss karenge. Isiliye inhe jitna enjoy karna hai karne do. Yehi toh time hai inka.

Sonal: Hmmm. Waise aaj inhone aapka makeup achha kiya thaa. Bahott pyaare lag rahe the aap.

Raj: Aree pata hi nhi chala kab inhone wohsab kardiya. Par jo bhi humare jeevan mein aane se humhe jaise sabkuch milgaya.

Sonal: Ekdumm. Ab humhe aur kuch nhi chahiye. Inhone har kami ko pura kardiya.

Raj: Chalo ab so jaao. Bahot raat hogyi hai. Phir kal se woh daily life start karni hai.

Sonal: Good Nighttt.

Raj: Good Nighttt.

Krishna aur Megha: Neend mein hi Good Nightttt.

Raj aur Sonal yeh sunn hasne lagte hai phir dono Krishna aur Megha ke maathe ko chum ke so jaate hai.

Aise hi inki zindagi guzarne lagti hai. Jisme beech beech mein kuch kathiyaaniyan aayi par sabne milke uska saamna kiya. Payal ne ek beti ko janam diya jiska naam Aanchal rakha gaya. Wahi Ishita ne bhi kuch samay baad ek bete ko janam diya jiske naam Sameer rakha gaya.

Soniya aur Varun ne bhi shaadi karli thi. Unko ek beti hoti hai wahi Neha bhi dheere dheere Vishal ke pyaar ko samajne lagi aur usse pyaar kar baithi. Inndono ko ek beta hota hai.

Dheere dheere Savitri Kapoor ka bhi jeevankaal pura hojaata hai aur woh swargwaasi hojaati hai. Ashok aur Vijay ne company se puri tarah retirement le liya tha ab woh apne pote potiyon ke saath apna pura time guzarte the. Company ki puri jimmedaari ab Raj Aarav aur Yash ke haathon mein thi.

Raj aur Sonal dono apne bachhon ke saath apni zindagi hasi khushi bitane lagte hai. Dono ke beech abhi bhi nok jhok hoti rehti hai. Par dono ke beech ka ishq kabhi kam nhi hua. Woh samay ke saath humesha badhta hi gaya. Dono ki Bepanaah Ishq ki kahani aise hi puri zindagi chalti gayi.



THE END
Nice and superb update...
 
  • Like
Reactions: Luffy and Jaguaar

Jaguaar

Well-Known Member
17,679
60,551
244
Jabardast story ka finally end hua halaki hum sabhi readers iska end nahi chahte aisa lagta mano ye story age chalti rahe par koi n kabhi to end hoga aur end nahi hoga to hamare dear writer next story kaise start karenge.
Last me yahi kahna ki Jaguar bhai ne hame story nahi jaise koi real family ki movie dhikhati hai .
Thankyu so much for such a lovely story hope ki jaldi hi koi dhansu story padhne ko mile...
Thank you

Story ko itna pasand karne ke liye shukriyaa
 
  • Like
Reactions: parkas

Jaguaar

Well-Known Member
17,679
60,551
244
सही ही तो कहा बच्चे सैतानी नहीं करेगें तो ओर कौन करेगी यही तो उम्र हैं जब वो खुद की हरकतों से बड़ो को उनका बचपन याद दिला देता हैं। पर एक बात सही लगा की सोनल बच्चो के गलती करने पर नाराज न होकर शांत भाव से समझा देती हैं।

अदभुत अतुलनीय लेखन कौशल
Thank you

Bachhon se inn choti choti shaitaaniyon pe naaraz hona achha nhi. Iska unpe galat asar padh sakta hai.
 
  • Like
Reactions: Destiny and parkas

Jaguaar

Well-Known Member
17,679
60,551
244
ये तो होना ही था अपने पूरा स्टोरी लिखा ही इस तरीके से की कोई भी नहीं चाहेगा की स्टोरी बंद हों।
Thank you
 
  • Like
Reactions: Destiny
Top