CHAPTER 12
Devika apne mann mein chal rahi bhavnao ko rok nahi paa rahi thi. uski ankhone mein se ansu gir rahe the, khule baal uske chehre tak aa gaye the. Usne apne pati ki gunaaho ki saza ko khud apne sar par le liya tha. Abhi vah gehre pani mein kudd kar apni jaan dene wali thi. vah zinda nahi rehna chahti thi iss paristhiti mein!
vah bridge se chhalang lagane ke liye abhi deewar pe chadh hi rahi thi ki ek insaan bike lekar aaya aur devika kuchh soche samje uske pehle uska hath pakad ke usko kheench liya. Vo besudh ho ke chillati huyi gidgidane lagi.
‘Main zinda rehna nahi chahti hu, mujhe chhod do,’vah chiilayi.
Saamne ek purush jiski umra lagbhag 35 ke aas paas ki rahi hogi vah police ke uniform mein khada usko rokne ki puri koshish kar raha tha.
‘madam please, abhi aap hosh mein nahi hai aap ko job hi problem hai uska solution aise nahi aayega. Apne aap ko sambhaliye please.’- vah inspector bola.
Saamne devika puri tarah tut chuki thi vah ro rahi thi aur kuchh sunane ke liye taiyar nahi thi.
‘mein mere pati ke laayak hi nahi hu shayad ab mujhe zinda rehakar apne aap ko aur dard nahi dena hai,’devika ne rote huye kaha.
‘aap jis insaan ke liye marna chahti hai usko koi fark bhi nahi padega aap ke marne ke baad. Agar usko fark padta to abhi aap yahan nahi uske saath hoti,’ inspector ne apni kaabiliyat dikhate huye sidha nishane pe vaar kiya.
Devika ko yeh bat sunanae ke baad thoda shant hua dekhkar isnpector ne turant kaha, ‘madam mera yakeen kijiye aap kisi bhi problem se bahar nikal sakti hai, agar aapne apni jaan de di to aap zindagi ki race mein hissa liye bina hi haar jaayegi’.
‘ek kaam karo mera ghar aage hi hai, aap aake thoda fresh ho jaao baad mein main aapko jaha bolengi waha drop kar dung,’ vah inspector apnapan dikhate huye bola.
Devika ne kuchh samay socha aur uske peeche baith kar uske ghar ki aur chal di.
*****
Inspector ne apne ghar pahuchate hi devika ko ek sofe par baithne ke liye kaha aur uss keliye pani lene ke liye chala gaya.
Devika ne uska ghar dekha, bahut bada to nahi par sundar tareeke se sajaaya hua uska ghar tha, inspector shayad akela hi reh raha tha aisa usne socha.
‘Hello, I am amar,’Inspector ne devika ke hathon mein thande paani ka glass thamate huye kaha.
Devika ek hi saans mein paani pi gayi aur ek hi shabd mein apna parichay dete huye kaha, ‘I am devika’
Pichhle kareeb aadhe ghante se vah amar ke sath thi par usko theek se dekh hi nahi paayi thi. usne amar ke saamne dekha.
Uski kaali bhuri aankhe, mathe se satte huye ghane baal, uske chehre ka gora rang, athletic body, aur uske chehre par halki muskaan se uske gaalo mein padte dimple usko kisi hero se kam nahi dikha rahe the.
‘Aap galat kaam kar rahi thi devika,’amar ne baat ko aage badhate huye kaha.
Devika kuchh bhi nahi boli par uske chehra bata raha tha ki uski rulaayi kabhi bhi futt sakti hai.
‘aapki job hi problem hai agar aap chahe to mere sath share kar sakti hai, main inspector hu iss wajah se nahi par ek insaan ke taur pe kah raha hu,’ vikram ne uski ankhon mein dekhte huye kaha.
Devika ne kuchh seconds tak usko dekha aur vah kyun yeh kadam uthane chali thi waha se lekar apne pati vikram ke sath ke kadve relationship ke bare mein bhi bataya.
Amar ke sath apani baate share karne mein usko sankoch nahi hua kyuki vah kaafi achhi tarah uske sath pesh aa raha tha, aur agar vah samay se waha pe nahi pahucha hota to abhi vah zinda bhi nahi hoti.
Amar ne uski puri baat suni aur apne chehre pe thodi muskaan late huye kaha,’lagta hai devika aapne wah kahawat nahi suni’
‘Kaunsi kahawat,’devika ne amar ko dekhte huye puchha.
‘ek naari sau pe bhari, aur aap to apne pati ki hi wajah se apni jaan dene ke liye chali thi.’ amar ne bola.
‘ I am sorry,’ devika ne apna sar neeche karte huye kaha.
‘ don’t be sorry, tumhari galti nahi hai par apne problem se ladna seekho uska saamna karna seekho devika, yeh to accha hua ki meri duty ka time khatam hua aur mein waha se nikal raha tha warna bada anarth ho jaata,’amar ne chintit hote huye kaha.
Devika ab thodi sawasth lag rahi thi, usne kaha ,‘thank you sir, mujhe bachane keliye warna aaj mein sach mein zinda nahi reh paati’
It’s okay. Par aage se aisi galti mat karna ek hi zindagi mili hai to ladna padega aapko,’amar ne uski himmat badhate huye kaha.
Devika ne apna sar ‘haa’mein hila diya.
Jab devika ne ghadi pe nazar daali to 6 bajne aa gaye the.
Sir,ab mujhe nikalna chahiye der ho gayi hai,’devika ne kaha
‘Kaha wapis bridge par to nahi ja rahi,’amar ne mazak karte huye kaha.
‘Nahi, apne ghar jaa rahi hu sir- devika ne apne chehre par halki muskaan laakar kaha.
Pichhle 2 ghanto mein amar ne pehli baar devika ke chehre pe smile dekhi thi, yeh dekh kar usko achha laga.
‘aaiye, main aapko aapke ghar tak chhod deta hu,’amar ne kaha.
‘nahi sir aap kyu pareshan ho rahe ho main auto se chali jaaungi,’ devika boli.
‘theek hai main auto tak aapko chood deta hu,’amar ne bola
Amar ne divika ko auto tak chhod diya aur sath mein apna mobile number dete huye kaha,’ kabhi bhi koi kaam ho to call kar dijiye.
Devika ne ‘Thank you’kaha aur aur auto mein baith ke nikal gayi.
Amar jaati huyi auto ko tab tak dekhta raha jab tak uski ankhon se ozal nahi huyi.