#14
Uss din main lagbhag poore samay sirf Neha ke baare mein hi sochta raha…….us se yeh meri pehli mulakat thi , fir bhi na jaane kyon aisa lag raha tha ki jaise mein usko hamesha se janta hoon…
Pichhle 10 saal maine sirf padhayi aur kaam mein hi bita diye they ………. Apne khud ke baare mein sochne ki fursat hi nahi mili thi ……mujhe khud bhi maloom nahi pada ki kab mera bachpan beet gaya aur kab main jawaan ho gaya ……..iss se pehle bhi kayi ladkiyon ne mere saath padhayi aur kaam kiya tha ……par mujhe unmein se kisi ke saath itna attraction feel nahi hua , jitna aaj Neha ko dekh kar ho raha tha ……
Do-pahar ho gayi thi ……..maine Mr.Chaudhry ko phone kar ke poochha ki kya main unn se milne aa sakta hoon …….unhone haan mein jawaab diya ……. Fir agle kuchh minutes ke baad main Mr.Chaudhry ke saamne baitha hua tha ……….
“ Rajiv………I think u have done a very nice job ……….Humaare bank ke baare mein jo maine sirf socha hi tha , woh sab tumne hakeekat mein badal kar dikha diya …..I am very proud of you my boy “ woh kahe jaa rahe they …
“ Thank you Sir ……. par yakeen maaniye maine aisa kuchh nahi kiya jo kuchh anokha kaam ho ………yeh sab technology ab aam baat hai…..maine to sirf inn sab ko ek jagah ikattha kiya hai….” Main bola
….
“ tumhe aisa lagta hai Rajiv ……..par meri nigaah se dekho to maloom padega ki tumne kya kaam kiya hai……” woh bole
“ Sir…jo kuchh aapne mere liye kiya , uske saamne to yeh sab kuchh bhi nahi hai …….agar aap na hote to shayad yeh Raju kabhi bhi uss dhabe se baahar na aa pata ….” Main bhavpurna lehze mein bola
“ tumhara yeh sochna galat hai beta ……..maine tumse pehle bhi kaha tha ki tum ek heera ho , aur mein ek johiri ……agar meri nigaah tum par na padti to shaayad kisi aur ki pad jaati …….par yeh tumhaari hi chamak hai jo sab taraf bikhri huyi hai …..ismein mera ya kisi aur ka koi yogdaan nahi hai “
kuchh der ruk kar unhone fir se bolna shurur kiya “ maine aaj meeting mein tumhe ek nayi jimmedaari saunpi hai beta ……fir baad mein mujhe yaad aaya ki maine tumhe aaram to karne ka mauka hi nahi diya hai…….pichhle kayi saalo se tum sab kuchh bhool kar sirf kaam mein hi lage huye ho ………main chahta hoon ki tum kuchh din chhutti lekar kahin ghoom aao …….yeh sab kaam main kisi aur se keh doonga , tumhaari jagah tour par bhi koi aur chala jaayega “
main unki baat sunkar turant bola “ arey nahi Sir………mujhe aaram ki koi jaroorat nahi hai……aur fir yeh tour bhi to mere liye ek chhutti ki tarah hi hoga …aap meri fikra mat keejiye …..Monday se pehle main kuchh din to waise bhi aaram karne waala hi hoon “ kehte huye ek baar mere jehan mein Neha ka chahra ubhara ……..
“ OK my boy ………as you wish ………best of luck for your tour ……go and try to enjoy as much as possible”
“ Thanks Sir….” Keh kar main seat se utha aur kamre se baahar aa gaya…
______________________________