Nice update....Update 01
[Bell Rings]
Bell baji aur hum sabhi apni seat se uth kar bahar jane lage. Aaj ka din Special tha kyunki aaj hamare 12th boards ka last Exam tha!
Bahar aate hi mai apne dosto se mila. Veer aur Aabid . Dono hi mere bachpan ke dost hai
(Veer Gautam - Ye mera Pehla Dost hai, Din bhar Workout karta rehta hai aur ghar me hi gym bhi bana rakha hai, padhai me kuch khass nahi bas kaise taise pass ho jata hai, iske Papa ka gaon me Akhada hai)[Family Intro Baad me]
(Aabid Aman - Ye padhai me achha hai, isse technological chezee pasand hai isliye mujhe apna 'Guru' manta hai, mujhe kuch jyada hi admire karta hai, Iske Papa ka handicrafts ka chhota buisness hai)[Family Intro Baad me]
Bahar Aane ke baad..
Mai - Aur bhaiyo kaisa gaya exam! (Mere aisa kehte hi Veer ka moo latak gaya)
Aabid - Achha gaya bhai, tune jo notes diye the vo kafi important nikle thanks.
Veer - Mat puch bhai bas pass ho jau vahi bohot hai, Exam ke 3 ghante kaise nikle mujhe hi pata hai.
Mai - Kyu be maine apne notes diye to the tujhe unse nahi padha?
Veer - Bhai tere notes mere pale hi nahi padhe..
Mai - Koi nahi Pass to hohi jayega vaise bhi tujhe konsa Scientist banana hai.
Veer - Bhai tujhe kya tu to har baar ki tarah top hi karega..
Aabid - Par ye khushi ki baat hai ki hamare exams khatam ho gaye ab to kabhi school bhi nahi jana.
Yahi bate karte karte hum log Bus me baith ke apne apne ghar aagaye.
{Scene Change to Ghar}
Hamara Ghar ek Chhoti Haveli jaisa hai jo ki mere pardada ko tab ke gaon ke Raja ne diya tha, Ghar bahar se dikhne me traditional hai par andar se rennovate karke ekdam naya and high tech bana diya hai, maine ghar par High Speed WiFi bhi lagvaya hai kyunki mujhe internet pe bohot se important kaam rehte hai.
Dadi - Aagaya mera beta Exam deke, kaisa raha exam?
Mai - Achha raha Dadi.
Meri aawaz sunte hi Maa bahar aagayi
Maa - Beta tune kuch khaya ya nahi, tujhe bhook to nahi lag rahi?
Mai - Arre Maa tum to bas khane ke peeche hi padi rehti ho, Abhi nahi khaya.
Maa - Mujhe apne bachhe ki chinta nahi hogi to aur kise hogi, chal jaldi se hath muu dho le tere liye khana laga deti hu. Vaise bhi jab se tere exam start hue the tune khana kam kardiya tha. Ab to mai tujhe din bhar tere man pasand chezee khilaungi.
Mai - Thik hai par abhi to bas khana dedo.
Fir maine aake khana khaya aur sone chala gaya, Jab meri neend khuli to shaam ho chuki thi papa aur chacha bhi aagaye the.
Fir mai bhi bahar aangan me aagaya!
Jab mai bahar aaya to dekha sab Chai pee rahe the, mai jake baitha to chachi mere liye bhi chai le aayi.
Papa - Aur beta kaise raha exam.
Chacha - Achha hi gaya hoga, hamara Shaswat itna intelligent jo hai.
Papa - Ab to 12th bhi ho gayi, ab aage kya karne ka plan hai.
Mai - Papa abhi to 2-3 option soche hai par kuch decide nahi kiya hai, mai kuch dino me soch ke aapko batata hu.
Dadi - Abhi to uske exam khatam huye hai, thoda to aaram do usse.
Chacha - Tu aaram se soch koi jaldi nahi hai, Aur yaad Rakhna to jo bhi decide karega usme hum sab tera support karenge.
Fir sab idhar udhar ki baate karne lag gaye aur mai aaram se chai peene lag gaya...
To Be Continued..