Update -2
Toh ab jaise Vijay aur Ajay dono apne cells mein aaj chuke hai.
Dusre din subah hoti hai Ajay dekhta hai jail mein guards aur officers cells baar aa kar check kar rhe the baahar bohut si lohe ki fences bni hai aur jail bohut badi thi chota sa maidaan Jo shayad prisoners ko bahar ghumne aur khelne ke liye bohut se watch tower the aur guards Nazar bnaye the camera aur guns lekar Mics aur bohut speaker bhi the.
Wahi cell blocks ki baat kare toh bohut chota tha ek bed aur toilet ek table chair thi jis par book aur pen thi jo shayad vichaar badalne ke liye thi.
Ajay baahar aata hai beech mein usse 2 prisoner milte hai jo ek guard ko dekh kar gaaliyan de rhe the kyunki usne unhe 3 weeks Tak Saza ke liye ek bohut choti jail Jo ki jameen par hoti hai usme dal diya tha.
Pehla prisoner :- mein isse marna chahta hu.
Dusra Prisoner :- woah bilkul nahi woh tumhe humesha ke liye waha dal denge.
Pehla prisoner:- mujhe farak nahi padhta mujhe bas manzoor hai.
Ajay unki taraf jata hai :- toh ruke huye kyun ho jao karo.
Pehla prisoner:- mein bas sahi mauke ki talash mein hu.
Ajay :- bakwaas tum Aisa kuch nahi karne Wale.
Pehla Prisoner:- accha tumhe kaise pta ?
Ajay :- ohh mujhe kaise pta aise ( woh ek mukka uski taraf karta hai jisse pehle prisoner Darr jata hai ).
Pehla prisoner :- hey durr rho.
Ajay :- aise pta hai mujhe aur koi sawaal.
Dusra Prisoner ( pehle prisoner ka haath pakad kar kheechte huye ) :- maaf Karo Bhai bas mazak kar rha hai ye.
Ajay sar hila kar aage chal deta hai.
Ajay Ravi ko dekhte huye Jo chupchaap baitha tha :- tujhe kya hua phirse un rowdy logo ne pareshan kiya ?
Ravi :- nahi woh mein pareshan hu mujhe neend nahi aati idhar.
Ajay :- bohut kismat wala kaash mujhe bhi nahi aati.
Ravi ( sar khujate huye ) :- Kya ?
Ajay :- soch aadhe log apni neend mein hi humesha so jate hai.
Ravi :- ye toh maine socha hi nahi.
Ajay :- isliye toh bola kismat wala hai tu.
Ajay Ravi ke bagal mein dekhta hai kuch prisoners table par dice se khel rhe.
Ajay:- kon Jeet rha hai ?
Buddha prisoner :- mein aur kon.
Ajay :- woh kaise.
Buddha prisoner :- meri skills aur Apne tazurbe ke badolat aur kya.
Ajay :- tumhe sach mein lgta hai ye tumhari skills se hai ye sirf ek dice hai.
Buddha Prisoner :- Ye tum kya bakwas kar rhe ho bilkul ye meri skills ke badolat hai.
Ajay :- ghante ki skills.
Dusra prisoner ( Jo uske saath khel rha tha woh gusse mein kehta hai ) :- Phek bhi de dice Raghav cheater kahi ka Kismat se jeet rha hai.
Ajay haath ghuma kar aage badh jata hai aur ek lohe ki zanjeer se bani fences se lg kar khada ho jata hai.
Waha Munna aata hai aur bolta hai :- hey Ajay tujhse koi milna chahta hai.
Ajay :- accha kon?
Munna:- Pata nahi woh waha Jo waha hai mujhe sirf itna hi pta hai.
Ajay uss taraf dekhta hai ek dadhi wala admi kuch logo ke saath baitha tha.
Ajay uss taraf jata hai jaise hi woh uss maidaan mein aata hai uss do logo pakad lete hai.
Ajay :- Oye chor mujhe.
Ranga :- toh tu aa hi gya chal khelne ka samay aa gya.
Ye bolkar ranga Ajay ke pet par mukka Marta hai.
Ajay dard mein cheekhta hai aur bolta hai :- tumhe kya chahiye mujhse.
Ranga :- isse koi farak nahi padhta mujhe kya chahiye farak padhta hai Rajeev Sinha ko kya chahiye Yaad aaya ?
Ajay ( gusse mein ) :- usko kaise bhul skta hu kayar khush hoga bahar Jo ghum rha hai.
Ranga :- Shayad woh bahar hoga aur usne mujhe acche paise diye hai tujhe tikhane lgane ke aur sach bolu mein tujhe pasand nahi karta toh mein shauk se karunga.
Ranga Ajay ko punch pe punch Marta hai. Ajay chutne ki koshish kar rha tha.
Scene change hota hai.
[ Kuch der pehle kahani ab Vijay ki side chalegi]
Wahi Vijay ek bench par baitha tha.
Samne bohut si workout ke liye samaan the jaise push-up ke liye lohe ke bade dande.
Ronny :- new Prisoner ? Mera naam Ronny hai tumhe Thodi workout ki jaroorat hai.
Vijay:- Mera naam Vijay hai aur workout ki jaroorat kyun ?
Ronny :- yaha agar Zinda rehna hai toh. Tumne iss jail ke rang nahi dekhe abhi.
Vijay :- shayad tum sahi ho kya sirf itne hi equipment hai koi dumble yaa kuch nahi ?
Ronny :- tumhe sirf itne hi equipment ki jaroorat hai yaha special Treatment sirf bade logo aur unke kutto ko milta hai, bura nahi hai ye dekho mere biceps ye dole mein hila bhi skta hu ( Apne dole dikhata hua).
Vijay :- shukriya show dikhane ke liye mein try karunga.
Vijay samne dekhta hai 2 prisoner ek ladke ko maar rhe hai Vijay unke paas Jaa kar dekhta hai jinme takla Prisoner jiska naam Monu tha bolta hai.
Monu :- kya yaha picture chal rhi hai yaha ? Apne kaam se kaam rakh.
Vijay:- kya yaha kuch chal rha hai.
Monu ( jor se chilla kar ) :- Haan toh yaha se chalta ban.
Vijay:- woah tumhe chillane ki jaroorat nahi hai mein behra nahi hu.
Vijay uss ladke ko dekhta hai jo maar khaa rha tha aur waha dukhi ho kar waha se chal deta hai usse kuch prisoner dikhte hai jo kuch dekh rhe the Vijay waha jata hai toh dekhta hai kuch logo ek admi ko pakad ke maar rhe the.
[ Ye koi aur nahi ranga tha Jo Ajay ko maar rha tha ]
Jaise hi Vijay ko kuch prisoners ne dhakka dekar prison yard mein dhakela, usne turant apne aas-paas ka jaayza liya. Ranga ne Vijay ko dekha aur ek muskaan ke saath apne ek aadmi ko ishara kiya ki usse maar giraye.
Woh aadmi Vijay ki taraf aage badhta hai, chehre par ek khatarnak smile ke saath, lekin Vijay shant raha.
Jab us aadmi ne pehla vaar kiya, Vijay jhuk gaya aur uske muh par ek zabardast mukka de mara. Woh thug peeche hichak gaya, aur Vijay ne us moka ka faayda uthate hue uska collar pakda aur ghutna uske pet mein jor se de mara, uska saans hi nikal gaya. Jab thug jhuk gaya dard se, Vijay ne apna matha uske mathhe se jor se takraya, aur woh thug zameen par gir gaya, behosh.
Dusri taraf, Ranga Ajay ko be-reham mukke maar raha tha, jab Ajay ko kuch prisoners ne pakad rakha tha. Lekin jaise hi un logo ne Vijay ko ladte dekha, unhone Ajay ko chhod diya aur Vijay par hamla karne bhag gaye.
Ajay ne moka dekhte hi apne aapko chhuda liya aur Ranga par toot para, use chain-link fence par zor se dhakka dekar chipka diya. Ajay ne ek ke baad ek punch maarne shuru kiye, har punch se Ranga hil gaya. Ranga ne desperate hokar block aur counter karne ki koshish ki, lekin Ajay ne har vaar ko bacha, aur Ranga ko waha nazdeek ki bench par zor se patak diya.Vijay ke paas do aur aadmi bhagte hue aaye. Pehla thug wild swing kar raha tha, lekin Vijay ne uska vaar chhoda aur uske chehre par zor se thappad jor se maara jo poore yard mein goonj gaya. Dusra thug Vijay ko kick maarne ki koshish karta hai, lekin Vijay uska paon pakad leta hai, ghumata hai aur zameen par gira deta hai. Phir Vijay ne tezi se punches maarne shuru kiye, har punch ek hammer jaisa tha, aur aakhir mein ek devastating Superman punch mara jo us thug ko seedha zameen par gira deta hai.
Ajay aur Ranga benches ke upar lad rahe the. Ranga apne gusse se Ajay ko overpower karne ki koshish kar raha tha, lekin Ajay har move ko precision ke saath counter kar raha tha, har punch aur throw ekdum deadly accuracy ke saath lag raha tha. Ranga, battered aur desperate, aakhirkar Ajay ko ek zor ka dhakka deta hai, jis se Ajay peeche Vijay se takra jaata hai. Dono ek second ke liye takrate hain, lekin turant apna balance wapas pa lete hain. Dono ek dusre ko ek nazar dekhte hain, samajh jaate hain bina kuch bole. Phir palat ke apne dushmanon ka saamna karne ke liye taiyyar ho jaate hain.Ab Vijay aur Ajay ek saath Ranga ke aadmiyon se ladne lagte hain, unki har move ekdum sync mein hoti hai. Vijay ek thug ke midsection mein ek zabardast kick maar kar usse Ajay ki taraf dhakka deta hai. Ajay us thug ko pakad ke seedha zameen par spine-buster de maar ta hai. Ranga, apne aadmiyon ko girta dekh, Ajay par vaar karta hai, usse kick maarne ki koshish karta hai, lekin Ajay waqt par hatt jaata hai, aur phir ek ke baad ek punches ki barsaat kar deta hai. Phir bina kisi hesitation ke, Ajay Ranga ko utha kar ek zabardast suplex de maar ta hai jo poore yard mein goonjta hai.
Ladai ko guardon ki seeti se roka jaata hai jo wahan dande utha kar daudte hue aate hain. Ajay aur Vijay dono thake hue, breathless, peeche hatt jaate hain, haath upar utha lete hain
.Guard: Bas! Isse pehle ki tum sabko 3rd degree saza doon, sab band karo aur abhi ke abhi jao!
Ranga, apne muh se khoon puchte hue, Ajay ko ghoor kar kehta hai: Bach gaya is baar, lekin hamesha nahi bachega.
Ranga ke jaate hi,
Ajay Vijay ke paas aata hai, bina uski taraf dekhe, bolta hai, Mujhe durr rehna samjha? Mujhe kisi ke sahare ki zaroorat nahi.
Ajay waha se chala jaata hai, aur Vijay bas uske peeche dekhta rehta hai. Apne chottil haath ko dekhta hai aur phir apne aapko sambhal kar ander chala jaata hai.Lunch ka alarm bajta hai, poore yard mein goonjta hai. Saare prisoners line mein lagte hain, haath mein plates lekar, ek machine ke tarah chal rahe hote hain. Chef plates mein khaana dalta ja raha tha, ek ke baad ek, jabki ladai ki tension hawa mein ab tak mehsoos ho rahi thi.
Aaj ke liye bas itna hi i don't know kaisi jaa rhi hai jaisi hai aise hi hai detailing mein dal rha hu taaki logo ko samajh aaye also mene dusri jagah sirf alag tarike se likhi hai Interractive toh mere liye Naya hai but agar acchi nahi lg rhi toh reply mein btaon mein hata dunga aur dialogues aur baaki cheezen bhi change kar dunga because it's readers choice.