If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.
Khatra—theek hai chaliye.....usse din me hi milna uchit hai....raat me ye jagah rukne layak nahi hai... raat me yaha kuch bhi ho sakta hai…
Mai—tum theek kahte ho...chalo
Phir hum khatra ke sath milkar gaon ke ek ek ghar me ghus kar uss budhiya ko khojne lage
Ab aage..........
Is gaon me us budhiya ka koi pata nahi chala….hamne har ghar me ghus kar dekh liya….tab dusre gaon jane ka faisla kiya....ham raste bate karte huye aage badhne lage
Sona (meri oor dekh mushkura ke)—ye gaon ka naam bada ajib hai na adii
Mai—tere dimag me kachra bhara hai to mai kya karu
Sona—to saf kar do na
Margret—is khadus ka naam khud hi kitna bakwas hai khatra
Mai—ha..khatra tumhara aisa naam kyo hai….?
Khatra—sab mujhse darte the....yaha tak ki vampire aur aas paas ke saat lok ke niwasi bhi mujhe dekhte hi apne gharo me ghus jate the.....vo mujhe dekhte hi apni jaan khatre me samajhte the....isliye sabhi mujhe khatra ke naam se bulane lage
Mai—aur darte kyo the.... ?
Sona—sabko dekhte hi patak patak ke marta tha.....isiliye sab ise khatra..khatra kahne lage....poore parilok me bhi ise sab jante hain
Margret—Agar ye itna khatarnak aur taqatwar hai to phir adi tumne to ise badi asani se hara diya
Mai—vo isliye ki maine apni powers se iske mind ko control kar liya tha…
Sona—ohhhhh…ab samjhi……lekin ye to cheating hai
Mai (upar se niche ghurkar)—mujhe lagta nahi ki tu meri biwi banna chahti hai.... ?
Sona—iska biwi banne se kya lena dena.... ?
Mai—to tu kya chahti thi ki vo patak patak ke meri bhi haddiya tod deta…..hai na
Aise hi hum bate karte nikaal gaon me aa gaye aur us budhiya ki talash karne lage…..aise hi hum yaha bhi har ghar ko khangalne lage ki ek jagah margret kud kar mere upar chadh gayi ….
Actual me chalte huye sona ko shararat sujhi to usne dhire se mere baju me chal rahi margret ki gaand me chimti le li…jisse margret darr gayi…Margret ke aise upar chadhne se mera bhi balance bigad gaya aur uske sath niche gir gaya
Mai—ye kya pagalpan hai….?
Sona—kuch nahi ise tumhare upar chadhne ka mann ho raha tha bas..hihihi
Mai—tu apna muh band rakh
Margret (apne piche sahlate huye)—vo na vaha par kisi ne mere piche chimti kati.....vaha koi hai
Mai—chimti kati....piche...kya matlab... ?
Sona (mushkura kar)—aise samajh nahi ayega...apna hath lao mai abhi batati hu
Sona ne mand mand mushkurate huye mera hath pakad liya……tabhi mujhe kal raat wali ghatna yaad aa gayi
Mai (jaldi se)—ye..chhod..mera..hath...gandi kahi ki.....pakka ye teri hi karamat hai
Sona—mai bhala aisa kyo karungi....kyo margret maine aise nahi kiya na..
Margret—auchhhhhh....adii..phir se isne chimti kati...yahi hai
Mai—dono ko chup chap mere sath rahna hai to theek warna mai adrishya ho jaunga
Margret—tum ise samjha lo…..nahi to mouka milne par main bhi nahi chhodungi ise
Sona—ok…silence
Vo to shukar hai ki khatra hamse opposite side wale gharo me budhiya ko dekh raha tha….dono daantne ke baad mai phir se talash abhiyan me jut gaya
Hamne yaha bhi poora gaon chhan mara lekin uska koi pata nahi chala….dophar se adhik ka time ho chuka tha.. tabhi mujhe kuch paas me girne ki awaz sunayi di
Mai turant awaz ki disha me bhaga..magar kuch na dikha...vo teeno bhi bhag kar mere paas aa gaye
Khatra—kya hua malik
Mai—pahle to ye malik malik kahna band kar…mera naam adi hai..sidhe naam se bulaya kar….dusra apna naam change kar…teesra mujhe ye bata ki yaha paas me koi pani ka sadhan hai
Khatra—mai apka naam nahi le sakta...aur mera naam jo apko rakhna ho rakh do…teesra paas me pani pine ke liye ek bahut bada kuwa hai
Mai—theek hai chalo vaha pahle
Marget—ha mujhe pyas bhi lagi hai
Sona—mujhe bhi lagta hai tu bahut pyasi hai margret
Margret—you shut up
Khatra hame us kuwe tak le aaya...maine bhag kar kuwe ki jinare se niche jhank kar dekha to mujhe koi tairta hua nazar aaya
Mai—khatra fauran kuwe se us budhiya ko bahar nikalo
Khatra—jo hukum mere aaka
Sona—lo ji ye budhiya to kuwe me rahti hai….aur tum daal nikaal kar rahe ho..matlab chhan rahe ho…har baat ka galat arth nikalte ho
Margret—vo pakka khoon pine wali chudail hogi..adii
Mai—tu apna muh band rakhne ka kya legi…aur tu …yaha tum dono ke siwa koi chudail nahi hai
Sona—ek chummi phir….. hihihi..daal nikaal
Mai—tera kuch nahi ho sakta
Sona—lekin vo kuwe me kyo rahti hai…?
Mai—rahti nahi hai…kisi ne uthakar fek diya hai use kuwe me
Margret—pakka bhoot honge....mujhe bhooto se bahut darr lagta hai
Mai—ab bak bak ki na to tujhe utha kar kuwa me fek dunga...samjhi....mai hu na tere sath me phir kyo darr rahi hai
Tabhi khatra kuwe me se us budhiya ko bahar nikal laya……vo pani bhig jane thand se kaamp rahi thi… maine use paltakar pith ko press karke uske pet ka pani bahar nikala
Kuch der baad use hosh aa gaya.....to hame ghur kar dekhne lagi…..phir jane use kya sujha ki utha kar khadi huyi aur upar aas maan ki oor dekhne lagi….aur uske hame punah ghurna chalu kar diya
Bari bari sab ko Ghurte ghurte usne margret ki taraf jhapta mara to margret chillakar phir se uchak ke meri pith me chadh gayi
Budhiya (margret ko ghur kar)—phuttt…..phuttt...hihihi
Maere ishara karte hi khtra ne khana uske samne rakh diya….vo jinn tha uske liye ye koi badi baat nahi thi…vo jaldi jaldi khane lagi….khane ke baad usne pani piya
Mai—ab bataiye aap koun hain.... ?
Budhiya—yaha se bhag ja....vo maar dega tujhe bhi...bhag ja
Mai—koun mar dega... ?
Budhiya—main nahi bataungi....hihihi...nahi to vo mujhe bhi maar dega
Mai—agar mai use maar du to... ?
Budhiya—haan.......tu use maar sakta hai...maar de....maar de....use koi nahi maar sakta....vo tujhe bhi maar dega ... hihihihi
Mai—mai use maarne ke liye hi yaha aaya hu...aap kya chahti hain ki vo sabko maar de...lagta hai aap kisi ki maa nahi ho...koi apka beta nahi hai....(main usko bato me uljhakar power se uska mansik santulan dhire dhire theek karne ka prayas karne laga)
Budhiya (rote huye)—nahiii....mai bhi ek maa thi....usne maar diya mere bete ko...mere pati ko....
Mai—kisne maar diya... ?
Budhiya—shaitan ne..
Mai—shaitan ne... ?..mujhe poori baat batao aap..
Budhiya—ye gaon bhi kabhi khush haal the....in dono gaon ka naam daal aur nikaal ke piche bhi ek raaz hai
Mai—kya... ?
Budhiya—in dono gaon ki ye khasiyat hai ki inme do aise jagah hain jaha se hokar koi kisi bhi lok me ya jagah me ja sakta hai aur vapis bhi aa sakta hai
Mai—samjha nahi... ?
Budhiya—us gaon me ek jagah aisi hai jisme se ghuskar koi kisi bhi aas paas ke saat lok me ja sakta hai kuch hi pal me..isliye us gaon ka naam daal pada......vaise hi koi kahi se agar us raste se aata tha to vo is gaon me nikalta tha.. isliye iska naam nikaal hua
Mai—kaha hain vo jagah... ?
Budhiya—kahi jane ke liye daal gaon me aur vapis aane ke liye nikaal gaon me....jagah mai bhi nahi janti...kintu aaj bhi vo jagah hain
Khatra—to aap ko kaise malum... ? baki gaon wale bhi to jante rahe honge…?
Budhiya—nahi koi nahi janta iske bare me……mujhe ek baar ek mahatma ne ye baat batayi thi….vo jagah tilismi hai….bahut pahle yaha ke raja ne suraksha ke liye vo banwayi thi
Mai—to kya mai is raste se un logo tak bhi pahuch sakta hu….?
Budhiya—agar vo jagah aas paas ke saat lok me hogi to jarur pahuch jaoge
Sona—baki gaon wale kaha gaye…?
Budhiya—pata nahi…kahi dusre lok me chale gaye
Margret—koun hai jo bachche chura raha hai.... ?
Budhiya—mai nahi janti....bas itna janti hu vo shaitan ke bande hain...maine unhe bachche le jate kayi baar dekha hai....vo bahut hi bhayanak shakal wale hain
Mai—theek hai...apka bahut bahut shukriya...kya koi aur madad kar sakti hain aap hame us jagah ko talashne me
Budhiya—"Man ki har baat ikatthi ki, Ek baat banayi Mitti ki’’....agar is paheli ko suljha loge to neela patthar tak pahuch jaoge...agar use hasil kar liya to vo tilismi darwaje tak bhi pahuch jaoge..jo tumhe kahi bhi pahucha sakta hai aur vapis bhi la sakta hai
Budhi maa ko khojkar unse pura raaj jaan liya
Daal or nikal name ka karan bhi interesting and supernatural h
Sona and Margaret ki shatani bhut achhi jo story ko alag majaa deta h
Ab dekhte h aadi kya krta h
Mazza aagya bhai
Ye paheliya dekh kr lagta koi tv show dekh rha hun
Mazza hi aagya aaj k update mein
Jin ko kaise haraya ye bhi pta lag gya
Or budhiya thk thkyi ye bhi mst mst baat h