If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.
mummy:-(kaan chhod) sharm kar pagli tera bhai hai woh
rashmi:-(bhagte huye) haa pata hai mummy ache se aur haa ladkiyo ke dil toh aaj jale gye paka....bhaiya main tyar hone jaa rhi hu aap bhi ho jaiye
mummy:-tu aaj paka maar khaye gyi mujhse niche aa ek baar tu
mummy uske pas jati tab tak rashmi room me bhag jati hai main bhi apne room me chla jata hu tyar hone
Ab aage...........
mere aane se pehle hi rashmi aa gyi thi uss ne black colour ka punjabi suit dala daa mummy usse kuch samjha raha tha ke tabhi rashmi ki nazar mujh par padd gyi aur mujhe dekhte hi rashmi sitti bajane lagi
rashmi sitti sunn mummy ki nazar mujh par paddi toh mummy ne apna sar pit liya aur rashmi ko halka saa thapad maara
mummy:-(mujhse) tu kyo aa gya iski baato me pata hai naa iss pagal ladki kaa iss ne bina baat ke hangama kar degi aur jo ladki tujhe pasand karti hogi uske dimag se bhi yeh khayal nikl degi
rashmi:-kya mummy aap bhi asal me toh ham bhai behan hi hai naa aur main konsa logo ko yeh chli hu yeh mera bf hai.....log toh apne aap samjhe gye....woh kehte nhi bina baat ke batangard banana
mummy:-tu ek din maar khaye gyi ham ne hi tujhe itni ajadi de rakhi hai aur tu jaa jaldi se change kar ke aa
main:-mummy maine aisa kiya toh apki laadli ne bukh hadtal kar deni hai aur mujhe bhi bukha rakhe gyi main nhi rehne wala aur haa vaise bhi mujhe koi ladki nhi pasand karti toh aap bina baat ke tension naa liya karo
rashmi:-kyaa mummy aap bhi main toh bhaiya ko moh maya se bacha rahi hu aur aap mujhe hi daat rahi ho
mummy:-tu hi sanyas le mera beta kyo le mujhe toh chand c bahu chahiye apne bete ke liye
rashmi:-achaa teek hai dund lena par main toh bhaiya ko galat logo se bacha rahi ho
mummy:-(muskura kar) fir toh isse mujhe tujhse bachana hoga mere bete ko bigad naa de tu
rashmi:-(gusse se) mummmy.........aur bhaiya aap munmy ko kuch kehte kyo nhi main bigadi huyi ladki hu kya
main:-tu toh sabse samjhdar aur hoshiyar hai meri behan
rashmi:-sunn liya munmy apne laadle ki baat
mummy:-chup kar tu aayi samjhdar banne wali ek kaam toh tujhse teek se hota nhi hai
uske baad mummy mere maathe ko chumti hai aur mere kaan piche kala tika laga deti fir rashmi ke sath same karti hai
munmy:-mere teeno bache pyare aur samjhdar hai....beta apni behno kaa khayal rakhna khas kar ke naina kaa tu janta hai naa woh gusse wali hai
main:-mummy main hoo naa aap fikar naa karo main sabka khayal rakho gaa
mummy:-mera pyara beta
rashmi:-mummy ab ham jaye...hamme shopping bhi karne jana hai aaj bhaiya shopping karye gye
mummy:-tujhe papa ne paise diye the naa
rashmi:-haa toh woh mere liye diye the aur bhaiya iss liye mujhe shopping karye gye ki aaj main unki image bhadane wali hu
main aur mummy:-aur woh kaise.....
rashmi:-(itraa kar) ab apke sath rajkumari c dikhne wali ladki jaye gyi toh sochiye kitni respect hogi apki...apko toh mera ehsaan manna chahiye
rashmi ki baat sunn mummy marne ko hoti hai par main mummy ko pakad leta hu aur rashmi bahar bhag jati hai
mummy aur main dono muskura dete hai rashmi aise hamesa kuch naa kuch karti rehti thi iss liye jada koi fark nhi pada
mummy ghar kaa kaam karne lagi aur main bhi nikl liya college ke liye
ham dono meri bike par the rashmi aaj badi khush nazar aa rhi thi aaye bhi kyo naa college jane ka aur waha masti karne ka sapna kiska nhi hota
rashmi:-bhaiya college life kaisi hogi matlb stange hogi yaa cool
main:-behan yeh toh tujh par depend karta hai ki tu kaisi chahye gyi waha ache log bhi hote hai aur bigade huye bhi ab tu jaisa group banye gyi vaisi hi life hogi
rashmi:-matlb friend dekh kar banne hoge...vaise ek baat pochu bhaiya
main:-haa bol naa vaise bhi kaha tu rukne wali hai
rashmi:-main bf bana sakti hu ke nhi....
main rashmi baat sunn kar hi ek dum se break laga diye aur badi muskil se bike ko sambhala
main:-yeh vaise kya tha...
rashmi:-i know bhaiya thoda ajib hai but dil toh sabka karta hai ab aap mere bhaiya ho aur mere sath hi college me ho toh apse prmission toh leni pade gyi naa kal ko apne mummy papa ko baata diya pata lagne par yaa apko bura laga
main:-well yeh baat sahi hai par main tujhe salah duga iss se door reh bade bhai ke naate but agar fir relationship ana hai toh main kya kar sakta hu yeh teri life hai jaise marji jee par insan parkhne me galati ho jaye toh sari umer rona padta hai life bhi sopil ho jati hai baki teri marji
rashmi:-are bhaiya i am just joking....aur vaise bhi abhi toh mere hasne ke din hai mujhe kya karna love me padd kar ab chiliye lag gye bhasan dene
maine bhi apni college ki tarf badha di
ham dono lagbhag 20 mint me college poch gye ab ham meri cpass lagne wali thi yaha meri ek alag image thi jo meri family walao ko bhi pata nhi thi uper se rashmi
college me ghuste hi ek cople ki tarh mera hath pakad liya maine usse aakhe dikhya toh woh mujhe smile de di aur aage chlne lagi
meri looking aur styal ko dekh sab ladkiya ghoor rahi thi par jaise hi ladkiyo ki nazar rashmi par padti toh jaal bunn jati
mujhe yeh sab bada awkward saa lag raha tha wahi rashmi pura enjoy kar rhi thi inn sab me ladke toh rashmi ko dekh kar hi pagla saa gye the aakhir thi jo itni khubsurt koi bhi rashmi ko dekhta toh khoo saa jata
main rashmi ko form counter chla gya waha bidh bahut jada thi jiss vajh se line me lag gya abhi meri bari aati aur form leta uss se pehle ek stylish ladki aayi aur form lekar chli gyi yeh sab itni jaldi hua ke mujhe uski sakal bhi nhi dikhi....par kapdo se lag rahi thi kafi amir hai....maine bhi do form lekar bhar chl deta hu aur form bhar fee jama kar 30 mint me free ho jata hai....maine gita ka form toh bhar diya tha iss liye usse inform karne ke liye call karta hu pehli ring me phone pick ho jata hai
Gita:-(khush ho )raj aapne mujhe phone kiya woh bhi 6 month baad wow today i am so happy raj
main:-meri baat toh sun lo yaa khushi jahir karna jada jaruri hai
Gita:-nhi pehle mujhe meri khushi toh jahir karne dijiye fir bolna jo bolna ho
Main:-gita meri baat sun rahi ho ya phone cut karo
Gitanirash ho) har waqt gusse me kyo rehte ho chlo teek hai bolo kya baat hai
Main:-maine tumhra ****** iss college me admission kara diya hai do din ke baad class suru hogi join kar lena
Gita:-(gusse se) mujhe nhi padna..kyo meri fee pay karte ho aap....kya ristha hai hamra kyo har kadam pe saath khade hote ho jab main dundti hu toh kahi gyab ho jate ho.....mujhe nhi padna app maat kiya karo meri madat kon Hu main apki bolo
Main:-dekho gita main behas nhi karna chahta.tumhri madat karta hu kyoki tum achi student ho aur tumhe madat ki jarurt hai bas iska galt matlb mat niklo aur class join kar lena aur padai pe dhyan do faltu baato pe nhi
Gita:-teek hai jaise aap kahe bas ek baat baata do aap mujhe pyar karte ho naaa
Main:-apni bakwas baate band karo aur college suru kar dena 2 din baad class suru ho jaye gyi tumhri har waqt galat hi matlb niklti ho
Gita:-ji main sahi matlb hi samjh rahi hu....aakhir apni bibi ki help karna har pati ka dharam hota hai
Main:-gusse me) tum......
Main kuch aage bolta uss se pehle phone cut ho jata hai main bhi waha se nikal ke rashmi ke pas aata hu jo apna phone use kar rhi thi aur kuch ladke usse ghoor rahe the
main rashmi ko lekar canteen jata hu iss se pehle ham canteen me enter hote rashmi mera fir hath pakad leti hai
main:-rashmi plss kuch toh khayal kar apne bhai kaa
rashmi:-achaa teek hai abki baar maaf kiya
main:-thanxx gudiya
uske baad ham dono canteen me jate hai aur ek table par baith jate hai main apne aur rashmi ke liye coffee lene jata hu
wahi dusre table par naina aur uske 3 friend jo uske saath the woh raj aur rashmi ko dekh lete hai aur jaal bunn jate hai unhe lagta hai rashmi aur main dono bf gf hai
(Aj se pehle naina ne unhe batya hi nhi tha ke uska bhai bhi hai naa unhe kabhi apne ghar lekar gyi thi school me bhi rashmi ko baata diya woh raj se baat naa kare aur naa hi yeh baatye woh unka bhai rashmi yeh baat manna toh nhi chahti thi par naina apni kasam dekar mana leti hai)
(naina ki friend PURVI,radha aur divya hai teeno kafi close hai naina ke)
purvi:-(hairan hote huye) ohhh my godddd........
(Ab tak purvi ko chhod kisi ne nhi rashmi aur raj ko dekha tha)
Radha:-tujhe kyaa ho gya tune itna bada muhh kyo khola hai.....lund dikh gya kyaaaa
radha ki baat par purvi ko chhod sab hasne lagte hai jis par purvi tilmila jati hai
purvi:-chup kar tu...lund ki bukhi aur main iss liye yeh kaha ki hamri sehli aur naina ki behan ne bf bana liya woh bhi itna hadsome dekho kaise matching kar ke aye hai
purvi ki baat sunn sab hairan ho jate hai kyoki unhe pata tha rashmi ka koi bf nhi hai aur aaj achanak kaise aa gya aur sabse jada toh naina huyi thi
naina:-(gusse me) kya bakwas kar rhi hai tu
purvi:-main bakwas nhi kar rhi gardan piche kar ke dekh woh rahi rashmi aur uske sath jo ladka aaya hai woh dekh coffee le raha hai
purvi ki baat sunn sab piche ghum jate hai rashmi aur raj ko dekh radha aur divya ka bhi same hall hota hai par naina jab raj ko dekhti hai toh jada recat nhi karti par gussa usse bahut aata hai
radha:-yarr baat toh teri purvi sahi hai kyaa hath maara hai rashmi ne ..rashmi ki toh nikl padi
divya:-raj ko dekh) yar woh apne school ka passout raj nhi hai apna senior
radha:-haa yeh toh wahi hai kitni demad thi school me padai me toper sports me toper sabhi teacher kaa favourite aur toh aur monika mam toh full try karti thi par iss ne kisi ko ghass nhi diya par rashmi.....kamal kar diyaa yarrr
naina jo kab se gusse se bunnn rhi thi ab apni sehliyo se raj ki itni tarif sunn usse bardast nhi hota
naina:-(thoda jor se) stop it yarrrrrrr........
naina ne jaise hi itna bola ke rashmi ki nazar inn sab par padd gyi woh waha se uth inn sab ke pass aa gyi
rashmi:-whatss upp girl...(naina ko gale laga) aur meri pyari didi ho gya admission
naina:-ab kya karne aayi hai jaa uske pass
rashmi:-yarr ab toh school pura ho gya ab toh koi kasam nhi okkk
divya:-yarr rashmi tera bf toh bada hadsome hai
divya ki baat sunn rashmi jor jor se hasne lagti hai jis par naina ko chhod sabhi ghurne lagte hai
rashmi:-mera mission pura huaa...well girls woh mere bf nhi mere bhai hai
ek baar fir rashmi hasne lagti hai wahi teeno kabhi naina ko kabhi rashmi ko ghurne lagte hai unhe samjh nhi aa raha tha aakhir naina ne yeh baat kyo chupyi
purvi:-tu sach bol rhi hai rashmi
rashmi:-ab kya likh kar du
radha:-fir tum dono ne school me kyo nhi batya
rashmi:-kyoki hamra personal reason tha ab woh sab chhod didi plss khane ko laao naa
naina:-(gusse me) jaa uske sath khaa tujhe mujhse kya lena dena
rashmi:-(naina ke gaalo ko chum) yarr aap dono ki ladai me mujhe naa laya karo main apse bhi utna pyar karti hu jitna bhaiya se
itna bol naina ki plate se samosa khane lagti hai wahi naina ki friend ab bhi raj ko ghooor rahi thi
main table par aaya toh rashmi ko naina ke pas jata dekh ekle waha baith ek coffee peene laga
main chup chap coffee pee raha tha ke tabhi mere samne ek ladki aa kar baith gyi kapdo se toh lag raha tha ke woh wahi ladki hai jo form lene sammme mere aage aa gyi thi
usne mujhe ek nazar dekha aur fir pass me paddi meri dusri coffee utha kar peene lagi ek ship lene ke baad
ladki:-hye i am sanjana
main:-toh.........
meri baat sunn samne baithi ladki jo dikhne me bahut khubsurt thi face bilkul masoom saa makekup karne se nikhar rhi thi uske pass se babut achi khushbu aa rahi thi
mere aise sawal se sanjana mujhe ajib tarike se dekhne lagi
sanjana:-tum pagal ho....
main:-i think yeh mujhe kehna chahiye ajib ladki ho pehle form lene achank aage aakar le gyi abhi bina piche yaha baith meri coffee peene lagi
sanjana:-toh kyaa hua...vaise tumhe toh khush hona chahiye tha ke mujh jaisi hasin ladki tumse baat karne ko aayi hai
main:-vaise mujhe koi shok nhi hai khubsurt ladki se baat karne kaa
sanjana:-toh kya khubsurt ladke se baat karte hai
main:-ajib batmizi hai apki ek toh bina bulye aa gye ab batmizi kar rhi hai
sanjana:-okk fine i am sorry mere behave ke liye..(hath aage kar) friendsssss
main:-sorry mujhe kisi se dosti krna pasand nhi hai
sanjana abhi kuch bolti uss se pehle hi ladko ke group me se ek ladka bol padta hai
ladka:-hello miss isske bas ki baat nhi kisi ladki se dosti yeh toh mardo ki baat hoti iss jaise meethe londo me dum kaha
abhi main kuch bol pata uss se pehle uss ladke ke face par ek thapad padta hai