Update
.............
Dosto dono yodha ko behoshi me t
Gufa ke tehkhano me kaid kr diya jata hai..
Vo tehkhane jha se, aj tk koi nahi louta..
Aise hi Je raat beet jati lekin abhi bi dono yodha besudh pde hue hain... ....
Jaise jaise subha ka suraj nikal kr dharti pr apni roshni daalne lagta hai vaise, vaise hi Dilawar ke bejaan sareer me uski chetna loutne lagti hai..
Kush hi samye me dilawar ko hosh aa jata hai to vo apne app ko ek kaidakhane me dekhta hai..
Ek baar to vo hairaan hota hai lekin jaldi hi usko raat kya hua tha sab yaad ata hai...
Itne me uski nazar bheem singh pr padti hai jo ki ek tarf abhi bi behosh pda hai...
Dilawar jaldi se uske paas jata hai.. Or usko awaz lagata hai lekin bheem singh ko harkat nahi krta..
Dilawar bheem singh ke paas beth jata hai or bheem singh ka hath pakadta hai..
Lekin je kya...
Dilawar dekhta hai ki bheem singh ka sareer bilkul thanda pad chuka hai or uski saanso ki dor bi toot rahi hai...
Zindgi me pehli baar dilawar ko Dar lagne lagta hai...
Tabi uske kaano me ek awaz padti hai..
Awaz -- gabra kyu rahe ho rajan...
( dilawar awaz pehchan leta hai.. Je to guru ramanand ki awaz aa)
Dilawar -- gurudev Bheem singh gurudev bheem singh ko bacha lijiye...
Awaz -- rajan bheem singh ko kewal tum hi bacha sakte ho... Abi uski atama pataal lok me hai.. Bheem singh abhi dost ki awaz nahi sunega..
Lekin vo apne maharaj ka adesh kabi nahi talega..
Usko uthne ka adesh do...
Itna bol kr gurudev ki awaz band ho jati hai..
Dilawar uthta hai or apni bhari awaz me bheem singh ko adesh deta hai...
Dilawar -- Bheem singh utho jaane ka samye ho gya hai...
Lekin es awaz ka bheem singh pr ko asar nahi hota...
Je dekh kr dilawar ko krodh ata hai or vo...
Bolta hai...
Dilawar -- uth jao bheem singh Je mera adesh hai... Abhi uth jao...
Jaise hi je awaz bheem singh ke kaano me padti hai... Tehkhane ki diware kaampne lagti hain..
Ider patal lok me bi sab kush hilne lagta hai..
Or agle hi pal bheem singh ek zordar dahard ke saath uth kr khada ho jata hai...
Jaise hi bheem singh uthta hai..
Dilawar -- chalo ab age ke safar pr bi nikalna hai...
Itna sunte hi bheem singh apne jabardast mukke ko kaidkhane ke salaakhon wali diwar pr maarta hai...
Ramba ka jaadu ek hi jatke me toot jata hai or bheem singh or dilawar ka raasta saaf ho jata hai..
Dono thekhane se, bahar ate hain.. Or vhi pounch jate hain jha pr ramba ne unko kaid kiya tha..
Vha pr ab ramba akeli hi apni kursi pr bethi hui hai... Baki sab log vha se gyab hain...
Ramba ki ankhe gusse se laal hain or phir vo apni kursi se uthti hai or khadi ho jati hai ...
Ab ramba ke hatho se laal roshni nikalne lgi hai...
Or vo usi roshni se Dilawar pr war karti hai...
Lekin bheem singh dilawar ke saamne aa, jata hai
Or vo roshni bheem singh se takra kr vapis ramba se ja takrati hai
Ramba ko koi moka nahi milta Or vo vhi nidaal ho kr gir jati hai...
Ramba je samaj jati hai ki inka saamna krna uske bs ki baat nahi...
Ramba ( gusse me) abhi to main ja rahi hu lekin yaad rakhna main vapis jaroor loutugi Or vo tum dono ka antim din hoga...
Ramba ki baat sunte hi dilawar gusse me uski tarf badta, hai or... Lekin bheem singh usko rok deta hai...
Bheem singh -- rukiye maharaj.. Jaane dijiye isko abhi iska samye nahi ayea hai...
Dilawar ruk jata hai...
Ramba moka dekh kr vha se, ghyab ho jati hai...
Bheem singh -- maharaj humko is shaitan ki moorti ko khatam krna hoga... Tabi je ilaka
Sharaap se mukt hoga...
Dilawar shaitaan ki moorti ko todne ke liye jaise hi age badta hai... Tbi uske kaano me ek baar phirse gurudev ki awaz padti hai...
Awaz -- rukiye rajan agar shaitan ko shaitan hi khatam kre tabi is ilake ka shaap khatam hoga..
Ap peeshe hat jaiyea...
Dilawar ruk jata hai.... Jaise hi dilawar rukta hai..
Bheem singh apni talwar nikal kr Age badta hai
Or moorti pr ek jordar war karta hai
To moorti se ek tej roshni nikal kr bheem singh ke sareer me pervesh kr jati hai...
Ab dilawar samaj jata hai ki gurudev ne usko kyu roka tha...
.. Bheem singh ke ek hi war se moorti toot jati hai or neeche gir jati hai... Neeche girte hi moorti me aag lag jati hai or.... Vo kush hi samye me raakh ke dher me badal jati hai...
Itne me gufa girne lagti hai to dilawar or bheem singh jaldi se, gufa se je pathro se bachte hue gufa se, bahar nikalte hain..
Bahat aa vo log dekhte hain ki gufa jameen ke ander bni hui thi...
Ab dono yodha thoda preshan hote hain.. Kyu unke ghodo ka kush pta nahi or uper se din bi kafi guzar chuka hai.......
Ider patal lok me shaitan has reha hai...
Shaitan -- meri moorti to tod di tumne bheem singh pr saath me uski shakti bi dharan kr li...
Dekhta hu ab tum khud ko kab tak shaitan banne se rok sakte ho.. Jis rajghar ke tum rakshak ho us rajghar ko tumhare hi hatho se tabah kruga..
Ider bheem singh bi shaitan ki je baate sun pa reha hai or vo bi muskura reha hai..
Bheem singh ko muskurate dekh dilawar usko bolta hai..
Dilawar -- kya baat hai Bheem singh muskura kyu rahe ho..
Bheem singh -- kush nahi maharaj. ... Chaliye jhi paas me hi ek gaavn hai.. Vhi humko hamare ghode Or bhojan dono vhi milege...
( bheem singh ki shaitani shakti hi usko sab bta rahi hai)
Dilawar bi muskura kr bheem singh ke saath chal padta hai......
Kush hi samye me vo dono ek gaavn me pounch jate hain..
Jha kush bache khel rahe hote hain...
Bache un dono ko dekh kr dar jate hain..
Or vo vha se, baag jate hai....
Je ek shota sa gaavn hai... Koi 20 22 gharo ka
Dono yodha gaavn ke beech me khade hain..
Tabi saamne se kush log ate hai.. Un logo me jo sabse, bdi umar ka admi hai vo age ata hai..
Admi -- kon hain ap log or kya chahte hain..
Dilawar -- hum musafir hain baba... Hum raat ko aram krne ruke to hamare ghode apke gaavn me aa gye... Unko lene aye hain..
Je sun kar vo admi baki logo ki tarf dekhta hai..
Baki log sehmati me sir hilate hain...
Admi -- vo vha age tabele me bandhe hain apke ghode...
Dilawar -- humko bhojan bi krna hai baba..
Admi -- ayea mere saath..
Phir vo budda admi dono ko apne saath lekar apne ghar ata hai... Or ek chatai bisha kr bithata hai.....
Or khud vha se bahar ata hai... Kush samye baad vo lout kr ata, hai to uske saath ek ladki hoti hai..
Bheem singh ladki ki tarf dekh kr muskurata hai... Or vo ladki vha se chali jati hai.......
Itne me ek ladka bhojan lekar ata, hai...
Dono yodha chup chaap bhojan karte hain...
Or dhanyavaad kr uth jate hain..
Jaise hi dono yodha apne ghode lekar vha se jane ki tyari krte hain...
Dilawar us budde admi ke paas ata hai...
Dilawar -- ab ap log khushi se rahiyea baba kyu ki ramba jha se, ja chuki hai or shaitan ki moorti toot chuki hai...
Itna sunte hi gaavn walo ke chehre khil jate hain..
Vo kafi khush hote hain...
Dilawar ghode pr beth kr age badta hai... Bheem singh bi ghode pr bethta hai... Dilawar thoda
Age ja chuka hai....
Bheem singh us budde admi ki tarf dekh kr bolta hai...
Bheem singh -- ha baba agar phir khi ramba tumko mil bi gai to usko bolna... Agar phirse, masoom logo ko preshan kiya to pataal ka raja bi usko mujse, nahi bacha sakega......
Itna bolte hi bheem singh ki ankho ka rang badalta hai or vo dilawar ke peeshe peeshe apni manzil ki or badne lagta hai......
.......
.....
To be continue.....