Update
.......
Dosto Raja Dilawar or Bheem Singh jaighar pounch jate hain.
Vo dono raat kaatne ke liye ek dharmshala me rukte hain. Vha pr unko khana or aram krne ki jga mil jati hai....
Ider jaighar ke rajmehal me Raja davraj ek kale libas Wale sadhu ke saath kush baat kr reha hai ... Tbi ek sainic usko Dilawar or Bheem Singh ke dharamshala me pounch Jane ki khabar deta hai..
Ab agge......
Kale libas wala sadhu Devraj ka guru hai..
Isne shaitan se bohat sari shakti hasil ki hai. Je or davraj milkar sari duniya pr raaj karna chahte hain.... Iska naam Kalidas hai.
........
Sipahi ke jane baad Davraj or Kalidas ki baat - cheet
Devraj- gurudav to humko ab agge kya karna hai. Vo dono to Rambha ko hra kr Jha tak pounch chuke hain.
Kalidas -- Rajan humko abhi kush nahi krna.
Abi chup rehne hi theek hai.. inko jane do apni manzil ki taraf.. abhi sirf je dekho ki es yudh me shoora jeetega ja Dilawar.
Devraj - jaisa apko theek lge gurudev.
Ider dharamshala me Dilawar or Bheem Singh so chuke hain ...
Dono ki raat aram se guzar jati hai..
Agli subha dono jaldi uth kr sooraj nikalne se pehle hi apni manzil ki taraf chal padte hain...
Dono ghode pr sawar hai .. sooraj nikalne Tak dono jaighar se kafi age nikal aye hai..
Dilawar age chal reha hai .. Bheem Singh theek uske peeshe..
Dilawar ghode ko rokta hai.
Dilawar - Bheem Singh gurudev ne humko 21 din ka safar batayea tha. Lekin 21 din guzar chuke hain abhi tak us jungal ka kush pta nahi.
Bheem Singh - apki baat theek hai Maharaj.
Muje bi kush samaj me nahi aa reha.. jo kush gurudev ne kha tha kush bi vaise nahi hua.
Dilawar - chalo aj ke din ka safar krte hain.
Dupehar ko jab ghodo ko aram karvana hai tab kush sochege...
Bheem Singh -- theek hai Maharaj.
Phir dono chale hain .. je raaste bohat hi sunsan aa .. jaighar se nikalne ke baad se raaste sunsaan hota chala gya .. koi insan nahi dikha in dono ko.. ab dupehar ho chuki hai chalte chalte ...
Dilawar ko ek basti dikhai deti hai..
Dilawar -- lagta hai vha koi insani basti hai Bheem Singh.
Bheem Singh -- basti hi hai Maharaj.
Dono us basti me pounch jate hain.
Kareeb 10 Ghar honge basti me ...
Dono yodha ghode se neeche utar kr basti me pervesh krne hi lagte hain to ek tej awaz unko rok deti hai..
Awaz -- Ruk jao ... Kon ho tum