Up-1
kahani hai ek ladke ki jiska naam hai anshu. jo bahut hi badmash hai aur bilkul awara type ka bhi. anshu ka padhayi likhayi me man to lagta hi nahi hai . anshu bas din raat apne sapne ke baare me sochta rahta hai. sapne bhi iske koi bahut achhe nahi hai. iski jindagi ke do hi sapne hai bilkul waise hi sapne hai jaisa har jawan awara ladke ki hoti hai. ek to ye ki mast mast tanch maal jaisi ladkiyan mil jaye chodne ke liye dusra ye ki dher sara paisa mil jaye aish karne ke liye wo bhi bina mehnat kiye.
anshu ke papa DC office me clerk the. aaj se do saal pahle ek din anshu ke papa ko office me hi heart attack aaya aur wo chal base. sarkari niyam ke hisab se ghar se kisi ki noukari honi thi. anshu ke ghar me sirf 3 hi log the. ek to uski didi jiski shaadi ho chuki hai dusri uski maa aur tisra wo. anshu us samay 18 ka nahi hua tha to niyam ke hisab se anshu ki maa ko noukari mil gayi. aur kismat achhi thi to mahila kalyan vibhag me clerk ki noukari mil gayi.
anshu ki maa din bhar mehnat karti hai tab jakar ghar 15 hazar rupaye laa pati hai. aur ek taraf hai ye ladka na padhayi me man lagta hai na kisi chij me bas awara gardi karta rahta hai.
10th pass karne ke baad jadatar ladko ne science liya kuch ne commerce liya to kuch ne arts liya. humare anshu maharaj ne bhi arts liya aur arts me bhi history, geography in sabke bajay psychology liya. psychology isliye kyunki iske ek door ke chacha america me psychologist hai. ise kahi se pata chala ki pshychologist jo hote hai wo kisi ke bhi dimag ko control kar sakte hai. ye sochte hi ise laga ye psychology padh lega fir videsh jakar gori gori ladkiyon ka dimag control karke mast unke saath maje karega. wo to bechara jab do saal psychology padha tab jakar uska sara bhram toot gaya. haal hi me 12th ka exam diya hai bechare ne. pass ho payega ki nahi bas uparwala hi malik hai. anshu ki maa ko humesha apne bete ki future ki chinta lagi rahti hai isliye wo anshu ko daat daat ke ek form bharwayi. ye form hota tha ek certification ka. anshu ki maa soch rahi thi kam se kam ye certification me anshu pass ho jayega to kisi pshychologist ke pass assistant ka kaam kar lega aur 5-10 hazar kama lega kyunki anshu ki maa ko bhraosa nahi tha ki uska beta psychology me graduation complete kar payega isliye wo chahti thi wo jo bhi paise kamayegi use bachayegi saath hi anshu bhi thode bahut kamane lag jayega to sayad use paise ki kimat samajh aayegi aur experience bhi aayega.
ye to tha chota sa introduction ab kahani suru karte hai ek railway station se jahan anshu baith apni train ka intejaar kar raha tha. wo aaj ertification ka exam dene aaya tha ab wapas ghar loutna tha. ek chota sa sunsaan station tha aur raat ke 8 baje the.
yahan se kahani anshu ki jubani....
platform pe lage box se awaj aayi yatri gan kripya dhyan de. train number 12487 apne nirdharit samay se char ghante late hai. humesha ashuvidha ke liye khed hai.
ye sunte hi mai man me bola-sala ye train ko bhi aaj hi late hona tha. ab kya karu char ghante koi kaam nahi hai.
ek baar mai paltform pe idhar udhar dekha to bas naam ke 3-4 log the station pe. station ke bahar ka bhi haal waisa hi tha. ab mere pass train ke intejaar ke siva koi kaam nahi tha. mai wahi platform pe baitha raha. ek to din bhar ki thakan sala ankh kab band ho gaya pata hi nahi chala.
mai nind me tha achanak se mujhe aisa laga jaise kisi ne mujhe do-tin baar hilaya.
mai gusse me ankh khola to samne ek bahut hi budha sa koi baba jaisa bhikhari mere samne khada tha. uske gande haath pere kandhe pe tha.
mai gusse me bola-kya hai.
wo baba bola-beta ye train kab tak aayegi.
mai gusse me bola-tu mera baap hai kya re budhhe jo mujhe beta bol raha hai. train aaye na aaye bhad me jaye. mai kya tera noukar hoon tumko bataunga.
wo kuch na bola bas mujhe dekhta raha.
mai gusse me bola-arey jaa na counter pe puch mujhe kya ghoor raha hai.
fir wo baba chala gaya lekin meri mood ki maa bahan ek kar di. ek to sala chain se so raha tha nind bhi tod diya usne. abhi bhi train aane me ek ghanta baki tha. mai chup chap intejaar karta raha. ek ghante ke baad train aayi. mera ticket general ka tha to mai usme chadh gaya. general dabba isme jadatar khali hi jata tha. mai ek khidki wali seat le liya aur waha baith gaya. mai jahan baitha tha us taraf ki light bhi train me thik se nahi jal raha tha. meri hi seat ke samne wo baba bhi aakar baith gaya. use dekh kar mood fir se kharab ho gaya lekin use bhaga bhi nahi sakta tha.
train fir chal pada.
wo baba bola-beta tumhara papa DC office me kaam karte the. bahut hi sajjan insaan the. unhone bahuto ka bhala kiya hai.
ye sunte hi mai bola-haa haa bahuto ka bhala kiya hai. itna bhala ki jab promotion ki bari aayi to apna promotion apne dost ko de diya. itne logo ka bhala kiya to wo log kaha the jab mere papa ki mout hui. dekh budhhe ho sakta hai tu humare bare me janta ho. kya pata udhar do char baad bhikh mangne aaya ho mere baap ne khushi me kuch jada hi de diya ho lekin mera dimag kharab mat kar.
wo baba bola-tum mujhe koi mamuli insaan mat samjho mai apni shaktiyon se tumhe kuch bhi dila sakta hoon.
ye sunte hi mai use chidhate hue bola-achha gyani baba ek mast ladki dila do yahan train me.
baba bola-aise nahi beta uske liye tumhe kuch dena padega. free me kuch nahi milta.
mai bola-achha to paise chahiye 2 hazar me chalega.
wo bola-nahi
mai bola-4 hazar
wo bola-nahi.
mai bola-6 hazar me to russian aa jati hai.
wo bola-mujhe paise nahi chahiye kuch aur chahiye.
mai bola-ab kya mera gaand lega.
baba bola-mai wada karta hoon tumhari jindagi me bahut si ladkiyan aayengi wo bhi har umra ki har rang ki lekin tumhe bhi mujhse kuch wada karna hoga.
baba ki aisi baat sunke mai thoda hasa aur bola-baba budhapa me sathiya gaya hai tu.
baba bola-tu darta hai mujhse.
mai bola-nahi darta.
baba bola-thik hai to mujhse wada kar ki tu bhi sabki bhalayi karega sabke dukh dard harega.
mai bola-thik hai baba jao tu bhi kya yaad rakhega mai wada kiya tumse. ab dilao ladki.
baba bola-dheeraj rakho bachha.
fir baba apne gandi potli me se ek chota sa rumal nikala. ye rumal bilkul saaf tha. us rumal ke andar ek jadi buty se bana tablet jaise shape ke kuch tha.
wo rumal wo mere haath me rakh diya.
wo bola-ye kha le teri sari khwahishe puri hongi lekin yaad rahe har khwahish ki ek kimat hogi jo tumhe chukana hi padega. ab ye tumhare upar hai ki us kimat ko tum saja samjho ya maja.
mai bola-tere jaisa chalak baba nahi dekha mai. sala ye khila ke mujhe behosh karna chahta hai aur mera saman lena chahta hai.
baba bola-tumhare pass hai hi kya. tere kapde se lekar mobile tak sab jod de to 3 hazar rupya bhi nahi banega. ye le mujhse 5 hazar aur usne 5 hazar mere god me rakh diya.
baba bola-ye le kha le goli himmat hai to. darpok hai to wapas de mujhe.
usne mujhe darpok bola to mere ego pe laga. mai ek jhatke me goli kha liya aur goli khate hi mai dheere dheere nind me chala gaya. lekin goli khane se pahle mai wo paise paint ke andar wale pocket me daal diya tha.
idhar wo baba mere samne se utha ek baar mere sar pe haath fera fir man me bola-dekh maaya mujh garib ke pass jab khane ke dana nahi tha tab tune mujhe nivala diya tha aaj usi ka karj utar ke jaa raha hoon. ye bachha tere sare dukh har lega. mera to samay aa gaya hai mai ab ye deh tyag raha hoon ye bolkar wo baba bhi so gaya.
subah achanak se 4-5 logon ki awaj se mera nind khula. samay lagbhag 4 baj raha tha. samne 3-4 railway staff the. mujhe pata chala wo baba ab is duniya me nahi rahe. samne unki dead body padi thi staff use uthwa rahe the.
ye dekh ke mera bhi man kharab ho gaya.
mai man me bola-wo budhha mujhe shaktiyan dene wala tha khud me hi shakti nahi tha. raat bhar me nipat gaya. Subah 5 baje mera station aaya aur mai utar kar ghar gaya. ghar pahuchte pahuchte 8 baj gaya.
ghar pahuchkar jaise hi ghar ka bell bajaya andar se maa khushi khushi nikli aur boli-anshu anshu tera result aa gaya.
maa ki khushi dekhkar mai bola-kya hua mai pass ho gaya.
maa boli-arey tu sirf pass hi nahi hua pure 65 % laya hai. ab tera admission yahan ke government college me ho jayega. mera raja beta ab graduation karega.
mai bola-kya mummy mujhe nahi padhna aage.
maa strict hokar boli-nahi padhega to ghar se nikal dungi. chup chap college jaa aur form bhar ke aa. aaj s ehi form khul raha hai. tera % waise bhi kam hai. isliye sabse pahle jakar apply kar.
mai beman se bola-haa haa chala jaunga.
maa pyar se mera chehra puchkarte hue boli-mera pyara beta.
mai chidd kar bola-ohhhhoo kya ye mera mooh aise karti rahti ho. mai bachha nahi hoon.
maa boli-thik hai thik hai. mai offcie jaa rahi hoon. khana bana diya hai. kha lena. din me college jakar form bhar dena. sham ko dukan se mithayi le aana dono saath baith kar khayenge.
ye bolkar maa chali gayi.
mai bhi apne kapde badla khana khaya aur pad gaya bistar pe. jab dophara hua to nind khula. yaad aaya maa ne form bharne ko bola hai. nahi bharunga to fir se sham ko daat milega. kya pata gussa jaye to maar bhi milega isliye mai utha aur college gaya. college me form liya. waise ab to psychology padhne ka man nahi tha lekin option bhi nahi tha isliye bhar diya. yahan human psychology option nahi tha lekin personal relation subject tha to wahi bharna pada. form bharkar mai receipt lekar ghar aaya. aate samay raste se kuch mithayi bhi le aaya. laate laate 3-4 mithayi kha bhi gaya.