• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ek Kahani... Mohobbat ki

Status
Not open for further replies.

deepdhawan434

Deewana
11
39
19
हेलो दोस्तों
मैं XFORUM का काफी समय से प्रशंसक रहा हु सोचा कुछ ऐसा आपसब के साथ बांटा जाये जो किसी और की लिखी हुए है पर आपको पढ़कर जरूर आनद आये गए। ऐसी कड़ी मैं आज शुरुवात करने जा रहा हु LAMUJER की लिखी केसा EK KAHANI MOHOBBAT KI
 
deepdhawan434

Deewana
11
39
19
Ek kahani... Mohobbat ki
Prologue
Ye Kahani ak sadharan si ladki ki hae... Jise vagya ne apna rajkumar to diya par wo rajkumar waesa
nahi tha jaisa use chahiye tha.... Par us ladki ne apne pyar se use apna banaya... Ak janwar se insan
banaya.... Jo bhi dard use kismat se mila tha un sabko un ladki ne uske dil se bahar nikal kar usme
apna pyar hi pyar bhar diya... apna vagya se lad kar har mushkil ko apna pyar se haraya...
Chapter I: Introduction
Update 1
Yeh kahani hae ak Rajputana parivaar ki jinki zindagi ko badal ke rakh diya pyar ne... pyaar ke prati
viswaas ne... ak sacche dil ne... jisne apne pyaar se us insaan ko bhi badal diya... jise pyar ka matlab
bhi nahi pata tha...
Yeh kahani hae Madhavpur ke Rajpariwar Shikhawat khaandaan ki...
Thakur Mahendra.... jo ki Shikhawat khandan ke ak ujwal raja hae... halaki hamare desh mein
angrajon ke jaane ke baad raja to koi nahi raha par aaj bhi madhavpur ke log shikhawat khandan ko
hi apna praja palak mante hai... aur ye sach bhi hai... madhvpur mein har ghar ka chula sirf unke
bade hukum ke wajah sa hi jalta hai...
Kahne ko madhavpur ak zillahai... par ab bhi waha rajayon ka shasan hi chalta hai... police bhi unse
puch kar hi kam karti hai.. mehendraji business man hone ke sath sath waha ke M.L.A bhi hai...
Mahendra ji ne apne bhai Surendra ka saath milkar ak karobar khara kiya... Gaon ki chizon ko lekar
use shilpon mein tabdil kiya... Sugar Mill, kapdon ka karkhana power plant sab dhere dhere khara
kiya... dono bhaiyon ki mehnat our budhi ki wajah se unka karobaar aur gaon falne fulne laga...
international market mein bhi unka saman export hota tha... marvel ka kaam unka main business
tha...
Iske saath sath unhone gaon mein hospital school college bhi banwaya... sirf 20 saalon mein gaon ka
naksha palat ho gaya.... thakuron ki pustaini haveli shaan se gaon ke bich mein khari rahi...
Samay beet ta gaya... dono vaiyon ki shadi hui... Mahendra ji ki patni ka naam tha Srilekha... unke 4
bache hua... Bara beta Yash singh Shekhawat, Manjla beta Raj singh shekhawat, Chota beta Aryan
Singh Shekhawat ,sabki laadli choti beti Aditi Singh Shekhawat... par aditi ko janm dete dete Srilekha
chal basi.... Mahendra ji is sadme sa khud ko bahar nikalne ke liya apne aapko kaam me duba diya...
Aur bin maa k bacho ka sahara bani unki chachi Meera devi... unke bhi 3 bache the.. do judwa
betiyan Aakriti aur Sukriti Singh Shekhawat aur ak chota ladka Armaan singh Shekhawat... par
unhone kabhi bacho mein koi antar nahi kiya....wo sabko saath school le jati... saath bithakar khana
khilati...lori sunati ....kabhi maa ki kami mehsoos nahi hone deti...
Jab bhi Srilekha ki kami unke bachon ko mehsoos hoti wo sab ko bade pyar se behlati.... Surendra bhi
saree bacho ko bohot pyar karte... kyon ki vo jante they ki unke bhaiya sa bachon ko baap ka pyar
nahi milega...
Unke to bas do hi sathi they... kaam aur sharab... patni ke jane k baad unke gham se khud ko ubhar
ne ki unhone koshish bhi nahi ki... zismani zrooraton ko pura karne ke liya to unke pass bohot si
auroten thi...par unka dil... use sambhalne wala koi nahi tha....
Aditi ko janm dete waqt Srilekha ji chal basi thi... iss liya aditi ko wo sahan nahi kar pate... baki bachoXforum.live
sa kabhi kabhar wo has bol bhi lete... par aditi unke pass ate hi use jhatak dete.... iss se uska dil par
bohot chot lagti.... akhir ak choti si bachi hi to thi wo... vagwan ne usse bhi to uski maa chini thi....
par vagwan ko isse bhi sukun nahi mila... pita ke hote hue bhi wo aanath thi... chacha chachi ka pyar
tha uska paas... par mata pita k prati bacho ka jo lagav hota hae wo kuch alag hi hota hae...
Wo aksar apne kamre mein apni maa ki tasveer ke samne baithkar sisak sisak ke roti.... uska ansu
uska maasom galon sa behkar uski nanhi hatelion par girte...
Akdin uske sabse bade bhai Yash ne usa rote hua dakh liya ....us waqt uski umar hi kya hogi ... usa
waisa sisakta dakh ek bade bhai ka dil challi ho gaya... wo bhi to us waqt bohot masum tha... kam
umar mein use wo ehssas ho gaya tha jo uske papa ko itne saalon mien nahi hua...
Yash ne daud ke apni bahan ko apne gaale laga liya... uske sar par pyar sa haat pherta hua usne usse
pucha...
Yash: kya hua meri nanhi pari ko... kyun ro rahi hae meri jaan... aesa nahi rote betu... tujha rota dakh
mujha bhi rona aa jata hae.... chup ho ja meri bachi!!!
Aditi: Yash bhaiya... kya aap ko bhi yahi lagta hae ke maine maa ko mara hae???
Aditi sisakte hue boli...
Yash: nahi betu .... aesa nahi hae .... kisna kaha aesa tujhse???
Aditi: papa ne...
Ye sunte hi uske akhon se ansu chalak gaye....
Yash: nehi beta ... wo dukhi hae usi liya aesa kha... ye sab baaten vagwan ji tay karta hae... aur
humare bas me kuch nahi hota...
Aditi maasom akhon se use dakhti rahi...
Bas wo din tha... jab se Yash ne ak pita ki tarah apni behen ko sambhalne laga... Aditi bhi uska
sanrakshan paa kar chekhekta hue apna bachpan katne lagi!!!
Update 2
Dhere dhere din bit te gaye... bacche bare hote gaye... jaha Yash ne sare bhai behno ko sambhalne
ka bira utha liya tha... wahi Mahendra ji ka apne pariwar ke prati bimukhta aur Aditi k prati nafrat
badhti chali gayi...
Aditi bhi jaisa jaisa badi hoti gayi Yash mein hi wo apne pita ko khojna lagi thi... Ab wo bhi Mahendra
sa dur chali jaa chuki thi... Bin maa ki bachi Meera devi Surendra aur Yash ki akhon ki tara thi... par ye
baat Akriti aur Sukriti ko khatakne lagi...
Aditi aur undono mein sirf 7 mehenon ka antar tha... akhir wo bhi to isi ghar ki bachiyan thi par unhe
aesa lagta tha ki sara attention bas Aditi ko hi milta hae... iss soch ke chalta un logon ne apne aap ko
sabse alag kar liya tha... dono bas ekdusra sa hi baatien karte the... aur har baat pe Aditi se chirte...
Aditi unhe bahut pyar karti... par un logon se bhi usa bas upeksha hi mili... har baat ko lekar wo dono
Aditi sa ladti... usa chirahti... usa yeh jatati ke uski wajah se uski maa chal basi... iske wajah se wo jab
roti aur unhe daat parti wo dono Aditi sa aur bhi zyda chir ho jati....Xforum.live
Meera devi ka chota beta Armaan Singh Shekhawat... Aditi sa bas ak saal bara tha... Jab bhi Aakriti
aur sukriti usa chidhate khari khoti sunata wo ak dost ki tarah usa sambhal ta tha... jo dukh wo Yash
nahi bata pati woh Armaan ko batati... Yash ke college paas out hona ka baad Armaan hi uska khayal
rakhta... bhai behen ka rista bohot hi pyara tha....
Dusri taraf Mahendra ji ka dusra beta Raj... bilkool apne papa par gaya tha... use apne paison aur
status ka bohot ahangkar tha... wo bachpan se aesa nahi tha... yash ke do saal baad uska janm hua
tha... bachpan se hi wo bohot emotional aur sensetive tha... apni maa k sabse karib wo hi tha... unke
jane se usa hi sabse jyada dukh poucha tha... maa k jane k baad sa hi wo sabse kata kata sa rehne
laga tha...
College phochte hi ak ladki se use pyar ho gaya... wo ladki uska bohot khayal rakhti... wo usse 1 saal
choti thi aur uska sath hi college mein padhti... wo Raj ke apne haath se khana khilati... college mien
jab bhi time milta wo dono saath rahte... raj ghar par jhoot bolkar usse milne jata... pyaar ka pehla
kiss bhi usa hi kiya tha...
Par 1st year ke baad wo ladki apne maa papa ke sath shahar chali gayi aur phir kabhi Raj ko contact
nahi kiya...
Iss baat ne raj kekomal dil par waqt ne aisi chot di jissa wo ubhar nahi paya... use lagne laga jissa wo
pyar karega usa hi kismat ussa dur la jayegi... Iska fayda uski class mien pdhne wale kuch badmash
ladko ne uthaya... Sharab, juya,ladkiyan har galat lat lagwa di use... aur uska nirbodh dil har cheez
mein sukun dhundta... Usne ladkiyon ko bhi apne nahe ki bastu bana liya... aur uske baad phir kabhi
picha murka nahi dekha...
College ke baad sheher mien to jaisa usa aazadi hi mil chuki thi... najane kitni maasom ladkiyan uski
hawas ka shikar bani aur uska nicha sisakta rahi... par unhe kya pata tha ki wo usse pyar nahi karta
par uska aakarshan tha unki verginity... aur jab koyi nayi ladki nahi milti tab wo apni favorite call girl
Sheela ko bulata aur uske saath hi apni jism ki jaroorat poora karta...
Par in sabme bhi kabhi usko dil ka sukoon nahi mil pata... usi liya wo khud ko hamesha nashe mien
dubaya rakhta... uski isi haalat ka fayada uske dost Prakash aur Rohit uthate... uske paison pe hi
palte... uska naam lekar har galat kaam karte aur pith picha uski hi burayi karte... Par Raj ko koi kuch
nahi kah pata... kyun ki har koi jaanta tha ki wo Raja saab ka beta hae... Aur Prakash aur Rohit sabko
darake rakhte... College mein bhi wo log bas cheeting karke aur paisa khilakar paas hote...
Par wo apni iss rangin zindagi ka pata apna ghar par nahi lagne deta tha... jab bhi wo ghar jata sharif
bankar jaata... Wo apne bade bhai aur pariwaar ko dukh nahin pauchana chahta tha.... par dheere
dheere Yash ko is baat ka pata chal hi gaya... usne bohot koshish ki Raj ko samjhane ki par wo nahi
mana... wo samne to kuch nahi kahta kyoun ki wo Yash se bohot pyar karta tha... par sahar mein ate
hi uski harkaatien suru ho jati...
Mhendra ji ka chota beta Aryan... bachpan sa hi bimar rehta... Sabne bohot koshish ki use thik karni
ki... tamam test karwane ka bawajood kuch pata nahi chaal paya ki usa kya hua hae,,, Meera devi ne
jab dekha ki doctors se kuch nahi hua... to unhone vagwan par apne astha bana li... wo radha govind
ka samne hamesha hi Aryan ki salmati mangti... Kisi babaji ke kehne par... gaon ke shiv mandir mein
maha mrityunjoy ka jap karwati aur khud bhi nirjal vrat rakh ke puja karti... par phir bhi Aryan ki
sehad par koi sudhar nahi hua... nahi uski bimari ka karan pata chala...
Waqt ke saath saath Aditi bhi jawan hui... wo padhai me bohot bright thi... Yash ko aur baki sab koXforum.live
uspar bohot naaz tha... 12 th ke baad uska selection Medical mein hua aur wo Jaipur Medical college
mein padhne chali gayi... Yash ne bhi mehnat se padhai ki aur MBA bana aur apne family bussiness
ke saath saath apne pariwaar ki sari zimmedariyan utha li... Armaan bhi padhai mein bohot acha
tha... yash ne use padhne ke liya bidesh bhej diya... Aakriti aur Sukriti ne college join kiya aur apna
graduation karne lagi... Sab ke sar par Yash ka saya tha... wo kisi bargat ke per ki tarah sabke sar par
chad ki tarah bana hua th
 
deepdhawan434

Deewana
11
39
19
Update 3
Yash ki umar is waqt hae 23... 21 saal mien BBA pass karne ka baad hi bussiness join kiya tha... Office
ka sare log uska byabhar aur kaam sa bohot khush the...
Usme apne pita ka khaandaan se mehnat, himmat aur aur tez dimag aya tha... par uska dil bilkool
apni maa jaisa tha... har Sunday wo gaon ka anath ashram jata... wahake bachon sa milta... unke
saath khoob masti karta... unke saath use sukoon milta... use lagta jaisa ki woh sab uske apne
hae...akhir un sab ke paas bhi to maa baap nahi hai...
Ak taraf uska ak paaon tarakki ka shikhar par tha dusra paaon tha zamin par... bohot kam waqt me
usne apne bussiness ko bohot bara liya... usne thode hi dino mein Jaipur ko apne bussiness ka main
branch bana dia aur apne chote bhai ko dhere dhere uhanse kaam shikhata raha taki uska bhai
thoda sudhar jaye... par wo kaha badalne wala tha...
Yash ko apna gaon bohot pasand tha... wo shahar mein bhale hi pura din kaam kare par raat ko wo
Madhavpur laut ata tha... use drive karna bohot pasand tha... Lagbhag hafte ke 4 din usa shahar jana
padta... par waha se khud hi drive karke laut ta tha...
Shikhawat pariwaar mein ak riwaaj tha... unke ghar mein ladko ki shadi bohot jaldi karwa di jaati
thi... tabhi to Mahendra ji ki umar sirf 44 thi aur Surendra ji ki 42...
Isi rewaj ke chalte Meera Devi Yash ki shaadi ki jaldi hone lagi... Unhone aas paas charon taraf khabar
douda di ke wo Yash ke liya ladki dakh rahe hai... kuch hi dino mein kayi saari ladkyion ke rishte aane
lage...
Unmese Meera devi ne paas ke hi ak gaon se ak ladki ko chuna aur agla sunday unka ghar jakar milne
ka progrrame bana...
Par Yash ko ya sab baatien badi hi akward lag rahi thi... wo iss waqt iss shadi ke liya taiyaar nahi tha...
usne apni zindagi ko apne bhai behno aur gaon walon ke bhalai ke liya samarpit karna chahta tha...
uske liya iss waqt shadi ka khayal bhi man mien nahi tha... par apni chachi ki baat ko nahi taal kar
sakta tha... isiliya usne man mein than liya ke wo jis sa bhi milege apni dil ki baat usa saaf saaf
kahega... agar wo man gayi to ye shaadi hogi nahito nahi...
Apne bade bhaiya ke rishta ki baat sunkar Aditi Sunday ko ghar wapas aayi thi... Yash apne kamre
mien taiyaar ho raha tha... tabhi Aditi chahakta hua uska kamre mien aayi aur Yash ko chidhane
lagi... Yash apni uljhano mein aesa khoya hua tha usa uske ane ka pata hi nahi chala...
Aditi: Kya baat hae bhaiya... kaha khoye ho...
Yash: are tu kab aayi ... mujha to pata hi nahi chala...
Aditi: Achaji... Bhabhi ke aane sa pehla hi app ne hume ignore karna start kar diya.. wo aayegi to
hamara patta to kat hi jayga...Xforum.live
Ye bolkar Aditi jor sa hasne lagi... Yash ne jhuta gussa dikhta hua uska kaan pakar liya...
Aditi: aaahhh!!! bhaiya dard hota hae... chodo na...
Yash: badi ho gayi hae phir bhi bachpana nahi gaya tera...
Aditi: (runasi hota hua boli) sach batao bhaiya aap hume bhool to nahi jaoga na...
ye kahta kahta uski aawaj bhari hone lagi thi... yash ko uski halat samajhta der nahi lagi... yash ne
aditi ko seene sa laga liya
Yash: nahi re pagal... tum log to mere liya jaan sa bhi jyada pyara ho... khas kar ke tu meri gudiya
rani... Yash ke bahlane sa aditi man gayi aur ghar ka sabhi log ladki dakhne chale gaye
Jis ladki ko wo dakhne jaa rahe the uska naam tha POONAM... wo Aditi ki umar ki hi thi yanaki uski
umar bas 19 saal thi... wo kisi bade ghar ki beti nahi thi... uske papa Madhavpur ke station master
the aur maa housewife... unhone aapni beti ko bade nazon sa pala tha... wo abhi college mien thi...
wo aur padna chahti thi.. par itne bade ghar se uska rishta ho raha tha isiliya uska maa papa ne usa
emotionally is shadi ka liye taiyaar kar liya tha... apne mata pita ke liya apne padne ki icha ka tyag kar
diya...
Sham ke 5:30 baje wo log Poonam ke ghar pohouche... Yash ko Poonam ke maa papa ki sadgi saaf
najar aayi... Meera devi ne bhi unse ache se baat kar rahi thi... bas ak Aditi hi thoda ukdh ukdhi thi...
usa ye khayal khaye jaa raha tha ke kahi bhaiya ko ladki pasand aayi aur shaadi ho gayi to kahi bhaiya
ko unse dur na le jaye...
Kuch der baad Poonam ki badi behen usa lekar aayi... Yash ne jab usa dekha to wo dakhta hi reh
gaya... Kuch der liya uski sari uljhane uske saare sawal dhare ke dhare reh gaya... ak pal ke liya jaise
uski nazar bas Ponam par hi tik gayi... usa ye bhi yaad na raha ke uske charon taraf log baithe hae aur
baatchit ho rahi hae... wo bas Poonam ko dekhta raha... jaisa ke uski nazron ko saalon se isi chehre
ko dekhne ki pyaas thi... usa mehsoos hua jaisa Poonam sa uska dil ka koi purana taar jura hua hai!!!
Poonam ne usdin ak Pink colour ki Kanjivaram saari pehni thi... haaton mein pink colour ki
chudiyan... akhon mein kajal aur eyeliner jo uski kaali jheel jaisa gehri aakhon ka nasha aur bhi jyada
badha rahi thi...
Uski paaon ki payal uski dheeme chal ke saath chan chan baj rahi thi... gulabi saari mein uska gora
rang chaand ki chandni ke samne bhi feeka lag raha tha... Uske bhare hua gaalon par sharam ne bhi
aapni laali khub bikhari thi...
Uska sir jhukaye sharmata hua hiran ke chal me yash ke taraf badhna Yash ki dhadkano ko teaz kar
raha tha... Uske ubhre hoton par gulabi lipstick ka jaado aesa tha ke koi bhi unhe apne hothon sa
chuna chahega... uske kaale lambe baal jo kamar tak they... aesa lag raha tha ke jaisa uske chehre ko
koi nazar na lagaye isi liya uska chehre ke charon taraf bikhre hua hae...
Uske seene ke ubhar pink blouse mein kase hua the... uski patli kamar uski har chal ke saath balkhati
jaa rahi thi... chalne ke saath saath jab uski saree hat rahi thi to uska navel dikh raha tha...
Par Yash ki uski chehre sa nazar haten tab to wo baaki kuch dikhe... jab koi chehra dil mein utarne
lage tab samajh jana chahiye ke pyar hone laga hai... jab koi koi ladka kisi ladki ke sharir ke badleXforum.live
aapke chehre mien jakhne lage ... samjhlo pyar hone laga hae...
Aditi ne jab uski halat dekhi to usa ak halki si kohni maari to usa zara hosh aaya... tabtak Poonam
sabko chai serve kar rahi thi... jab woh yash ke samne aakra chai serve kar rahi thi unki aankhen ak
pal liye takrayi aur yash ko aisa laga jaisa uske dil par ak bijli si giri...
Chai dete waqt unke haat takrayein to yash ke sharir mein jhanjhanahat daud gayi... uske komal haat
makhan ki tarah jaisa uska ragon ka andar ghulta jaa rahe the... wahi poonam aur bhi jyada sharma
gayi...
Aditi chupchap ye sab dekhe jaa rahi thi... Meera devi ne aab poonam ko baat karne ke liya pass
bulaya... unsa baat karta waqt Poonam ke chehra par ak halki si pyari si muskaan thi jo Yash ke dil
mein ak meetha sa dard ghol rahi thi... chai peeta waqt yash chor nazron sa usa hi dakhta raha...
Kuch der baat karne ke baad Meera Ji ne kah diya ke unhe ladki pasand hae... Sabke chahron par
khushi ki ak leher daud gayi... kyunki sabko Poonam pehli hi nazar mein sabko bha gayi thi...
Meera ji ne iske baad Yash se pucha ke usa Poonam kaisi lagi... unhe kya pata tha ke yash ke dil pe
Poonam ne kya vaar kiya tha... Uska dil haa bolne ko tadap raha tha... par tabhi Aditi ne kohni k paas
uski shirt ko zor sa pakad liya aur dukhi nazron sa Yash ko ak tak dakhna lagi... Uski aakhon ko dakhta
hi Yash ko uski saari uljhan yaad aa gaya... iske chalta usne kuch aesa kah diya ki sabke chere usa
sawalon bhare nazron sa dakhne lage...
Yash: Maen kuch tay karne sa pahle Poonam jii se akele mein baat karna chaht hoon..............
 
deepdhawan434

Deewana
11
39
19
Update 4
Yash ki ye baat sunkar sabke chehron par ak sawal aagaya tha... Yash ki family ak bohot hi kamyab
aur izzatdar family thi... waqt ke saath sath wo kaphi aage bhi baar chuka the... par aaj bhi unke liya
sanskar aur aadarsh bohot maine rakhta the,,, is 21 saadi maen bhi unhone apne parampara ko
thame rakha tha... isiliya Yash ki ye baat unke kaanon ko khatak gayi...
Surendra ji(Yash ke chachaji) : yeh tum kya kah rahe ho beta... hum jante hae ki tum bohot pade
likhe ho aur shaheri khayalaton ke ho... par mat bhulo tum ak Rajkumar ho aur aesi baatien tumhe
shobha nahi deti... Tumhe Poonam se jo bhi puchna yahi sab ke samne puchna hoga....
Yash: Chacha ji mujha apni maryada ka pura khayal hae... par agar hume sari zindagi saath me bitani
hae to kuch baaton ka pata hona hum dono ke liye bohot zarrori hae... warna na hi main khush rah
paunga aur na hi Poonam ji mere sath... akhir itna to mujhe aur unhe haq hae na... Chacha ji maen
aapki bohot izzat karta hoon aur aapki baat nahi talunga... ab app jo bhi thik samjha...
Issi baat ke saath sabke chehre aur bhi zyada gambhir ho chuke the... ab tak jo chehre Yash ki taraf
dakh rahe the ab wo Surender ji ki our dekh rahe the...
Poonam ka chehra bilkul utar gaya tha... uska chahre par ghabrahat aur daar saaf jhalak raha tha...
Yash ki najar jab uski haalat par padi to wo jyada der uski taraf dekh nahi paya... use lag raha tha ke
bas uski wajah se Poonam ko itni pareshani ho rahi hae... ye sochte hi uske dil mein ak dard sa
utha... Poonam apne dono haathon ko male jaa rahi thi... lag raha tha jaise uski aankhen abhi chalak
parengi...
Poonam ke mata pita didi aur jija ji ki halat bhi kuch aesi hi thi... aak to wo ladki wale the... uper se
unke samne jo pariwar tha wo sirf Madhavpur ke hi nahi iss State ki sabse bada aur shaktishaliXforum.live
Pariwaaron mein se ak hae... wo to soch bhi nahi sakte the ki unki beti ki liya aesa ghar se reshta
ayega... par shayad yeh unki beti ki sundarta aur kismat ka Rajyog tha jo aesa pariwar se uska rishta
hone jaa raha tha... lekin agar ab ladke ne akele baat karne ke baad bhi mana kar diya to logon mein
yeh baat failte der nahi lagegi ke ladki mien koi khot hae...
Meera devi ne jab Yash aur Poonam ka aisa utra hua chehra dakha to unse dakha nahi gaya... akhir
Yash unka bhi to bacha tha... aur Poonam to unhe pahli hi nazar mien bha gayi thi... unhone mahol
ko thoda halka karta hua kaha:
"Are bhai isme itna gambhir baat kya hae... akhir kar undono ko hi to zindagi bitani hae saath mein...
humara kya hae hum to bas agli pirhi ko sari zimmedariyan soup ke prabhu ki sharan mein chale
jayenge... hamari bhi to zimmedari haen ke hum bhi unhe samjhe aur waqt ke saath age bare...
Mujhe apne lalla par aur apne diye hue sanskaron par pura bharosa hae... ap chinta na kare"
Surendar ji: par Meera...
Meera devi ne apne haath ko unke haath par rakha aur palkien jhapkata hua unhe biswas dilaya ke
isme kuch galat nahi hae...
Surendar ji: thik hae agar aap sabki yahi marji hae to ab maen kya kahun...
Meera devi: jao beta tum dono baat kar lo... jao... par jyada der mat karna... unhone muskurate hua
kaha...
Unki iss baat par sabko thodi si raahat mili par bechaini abb bhi thi.. ki kayi baat karne ke baad Yash
mana kar dey...
Poonam ke Pita: Jao Sonam(Poonam ki behen) in dono ko Poonam ke kamre mien le jao...
unki baat sunkar Sonam Poonam ko lekar jaane lagi... Poonam ke papa ne Yash ko bhi jane ke liya
ishara kia to Yash bhi apni jagah sa uthne laga.. par usa mehsoos hua ke Aditi ne uske haath ko abtak
pakra hua hae ... usne bare pyar bhare tarika sa apna haat churaya aur gal par pyar se thapthapaya...
usne isharon mein jata diya ke wo Unke liya koi galat Bhabhi choose nahi karega...
Jab yash Poonam ke kamre me poucha tabtak dono behne waha khari thi... wo ak chota sa kamra
tha jiske ak taraf ak bed ak taraf ak taraf study table... ak show case jisme dher saari kitaben thi... ak
dressing table jisme dher sari chudiyan aur shringar ka saaman tha... Ikbaar dakhne se hi pata chal
raha tha Poonam ko safai aur chese salika se rakhne ka shoukh hae...
thodi der maen hi Sonam ne Poonam ke kaan mein kuch kaha aur yash ki taraf muskurakar baithne
ko kaha aur chali gayi,,, Unke jane ke baad yash chair par baith gaya aur Poonam bed ke kone par
pair latkaye baith gayi... Yash ki nazar phir uspar padi to phir se uske dil mein kasak jagi... ab woh aur
bhi sharma rahi thi,,.. unke bich ak khamoshiyan cha gayi... Yash uski khoobsurati aur maasoomiat
mein khoya jaa raha tha... par tabhi usa yaad aya ki wo yaha kyon aya hae...
khamoshi ko todte hue usne pucha...
Yash: Kya yeh saari kitabien appki hae???...
Yash ke baat sunkar Poonam ka dhyan toota par usne koi jawab na dete hue apna sar haan me hila
diya...Xforum.live
Yash:Kya yeh Rishta aap ki marji sa ho raha hae Poonam????
Yeh sunkar Poonam ne aankhe uthakar Yash ko dekha... Yash ke shant chehre mein dakhta waqt usa
bohot sukun mila... Shaadi Rishta in sab baaton mien aaj kisi ne pahli baar uski marji janne ki koshish
ki thi... Uske mata pita jihone use janm diya tha... unhone bhi jaanne ki koshish nahi ki...Uske isi baat
par Poonam ne Yash ko woh jaga de di jo Hamare dil mein sirf ak ke liye hoti hae...
Yash ne bhi jab uska annkhon mein dekha to uski akhon me dekha use bhi apnapan dikha...
Poonam: ji haan meri marji se ho rahi hae...
Yash:Maen janta hoon ki har ladki ki Shaddi ko lekar kayi saare sapne hote hae... uska pati use waqt
dey... use pyar kare...sirf uska ban kar rahe... par maen shayad appko yeh saari khushiyan na dey
paun...
Poonam ak tak use dekhe jaa rahi thi...
Yash bolta gaya... “Aap ko shayad pata hoga humari maa ka swargbas ho chuka hai... uska baad se
humne apne bhai bahno ko bhai ki tarah nahi... ak pita ki tarah pala hae...
Yeh gaon jaha hum rahta hae... ise humne humri maa mana hae... aur yaha ka har byakti humara
pariwar hae... hum jaante hae ke yaha sab hume raja kahta hae par hum raja nahi.. praja palak hae...
shadi ke baad humara raaj tilak hoga aur yahan ki sari zimmedariyan hamari ho jayengi...
Hum nahi chahte ke itni kam umar mein itni saari zimmedariyan aapko uthani pare... in sab ke bich
apke sapne apke aarmaan dhare ke dhare reh jaye... ek ladki tab maa banti hae jab woh apni santan
ko janm deti hae... par hum se shaadi karte hi app ko ak patni ak bahu aur ak bhabhi ke saath saath
ak maa bhi banna hoga...
Mere bhai behno ki maa... unki bhabhi maa...meri praja ki maa... rani maa... sirf nam se nahi... aap
ko kam se bhi hamare saath sath hamare praja ke palan mein hamara saath dena hoga... shayad in
sabme hum appko utna waqt na de paye... par ek wada saat bachno se bhi barkar aap ko karte
haen... hamre liya jo jagah aap ki hogi wo behat khas hogi...”
Iss ak hi baat mein Yash ne apne dil ki sari batien khol kar rakh di thi... jo chehra thodi der pahle uske
dil mein utar chuka tha usa wo apne jivan saathi ki ke rup mein pane ki koshish kar raha tha... bohot
umeed sae wo Poonam ki taraf dakhne laga.. use aisa laga uski saansen hi tham gayi hae... uski
dadhkanon ka shor aesa tha ki Yash ko laga ki wo Poonam ko bhi sunayi da jayengi...
Poonam: apne mujha itna samman diya mujhsa meri marji puchi... aj tak kisi ne bhi mujha itna khas
nahi mehsoos karaya hae... ham bhi aapse ak wada karna chahta hae... agar hume apke jeevn sathi
banna ka soubhagya mila... hum apna sabkuch lutakar apke har zimmedari mein apka saath
nibhayenge... har ak insaan jise apne apna mana hae use hum bhi apna manenge ... har rishta jo
aapke karib hae usa sanjo kar rakhenge... apke pyar ke sivahe hume aur kuch nahi chahiya Kaunwar
sa... kuch nahi chahiya... aap jaisa rakhenge hum waisa he rahenge... kabhi koi shikayat ka mouka
nahi denga... galti ho gayi to app dant dena... saja dena... hum mana lenge aap ko... bas thoda sa
pyar thodi si jagah aap hume apne dil mein de dijiye... aur kuch nahi chahiye...
Itna kahte kahte wo apna haat jor kar sir jhuka liya... uska sapno ka rajkumar uska samne tha... use
shadi karna chahta tha... iss se bari baat aur kya ho sakti hae ak sadharan si ladki ke liya....Xforum.live
Yash ki kano mein yeh baat padhta hi mishri si ghul gayi... khanakti awaj mein pyar ka itna maasom
izhaar ne uske dil ko pagal bana diya... jo rahi sahi kasar pyar hone mien baki thi wo bhi puri ho
gayi... iss pagal pan mein yash ne Haat badha kar Poonam ka dahina haat pakar liya... wo sirf uska
naam hi pukar paya..."Poonam"...
Jaisa hi yash ne Poonam ka haat pakra pahle to wo thoda sakpakayi... par yash ka haat tham kar jo
khushi use mili thi... use bayan karna mushkil hae... usne apne chehra uthakar Yash ko dekha...
Uske gaalon par asoon ki do bunde thi... jo yash ko bohot pareshaan kar rahi thi ... dusra haat
badhakar use ansoon pocha ... Poonam ne sharma kar niche dakhne lagi... yash kuch kahne hi wala
tha ki Sonam ne bahar sa awaz lagayi... aur kaha ke unhe bahar bulaya hae... unki awaj sunte hi yash
ne Poonam ka haat chhod diya aur kamre sa bahar aa gaya ... piche piche Poonam bhi aagayi... dono
ki chehre ki raangat se saaf pata chal raha tha ki dono hi iss rishte ke liya raji hae... Yash ne Aditi ki
taraf ishara kiya ke sab thik hae... jisse Aditi ko puri to nahi par kuch rahat mili...
Sabke chahron par ak alag si khushi aa gayi... sab gale mil rahe the... Sonam Poonam ko chirha rahi
thi.. aur wo sharm se pani pani ho rahi thi... Pndit ji ne bataya ke aaj sagayi ki jakti hae... Shagun diya
gaya aur sagayi ho gayi...chupke se yash ne apna purana phon Poonam ko de diya... 1 mahine baad
shadi ki tarikh pakki ki gaye par Yash ko ye doori bhi ab bohot lag rahi thi... Pyar ke Phool dono dilon
mein khilne lage the..........
 
deepdhawan434

Deewana
11
39
19
Update 5
Ghar laut ta waqt Yash ne Aditi par gaur kiya... sablog bohot khush the... sab shaadi ki taiyaari ki
baatien kar rahe the... par wo kisi aur hi duniya mein thi... jab koi ussa kuch puch leta to halka sa
jawab da diti...
Ghar pouchne ka baad fresh hokar yash ne Aditi ko apne paas bulwaya... kuch der mein Aditi uska
kamre mien aagayi aur pair latka kar baith gayi... wo abhi bhi thodi chintit lag rahi thi... Yash ne uska
gaalon par pyar sa haat phera... aur pucha: "kya hua meri gudia rani ko, kyun udas hae???"
Yash ke puchkarne sa Aditi ka sabr toot gaya... usne baitha baitha hi Yash ko jakar liya... aur Yash ke
seene mien apna mu chupaya kahne lagi:"Mai janti hoon baiya app ko bhabhi bohot pasand aayi hae
aur aap unse pyar karna laga ho... mai aapki khushiyon ke bich nahi aana chahti hoon bhaiya... par
main apne zahan se nikal hi nahi paa rahi ki babhi apko mujhsa door la jaygi..."
Yash: ak baat bata betu kya jab teri shaadi ho jaygi... tu dusra ghar ki bahu ban jayegi kya mujha bhul
jayegi??? ya phir mujhsa pyar karna band kar degi???
Aditi: Mujha shaadi nahi karni...
Yash: Aisa mat kah meri bachi... agar tujha bida nahi kar paya to swarg mein apni maa aur purwajon
ko kya muh dikhaunga... mar ke bhi shanti nahi milagi beta...
Aditi: bahaiyaaaaa...(chilllate hua) apki himmmat kaisa hui aesa kuch bolne ki...
Aur gussa sa yash ki taraf dakhne lagi... uski maasomiat par yash ko bara pyar aaya...
Yash: koi bhi mujha tum logon sa alag nahi kar sakta meri bachi... tu to mujha jaan sa bhi jyada kimti
hae... aur teri hone wali bhabhi ko main samajh chuka hoon... wo mujha kabhi tum logon sa alag
nahi karegi... tabhi to maine shadi ki liya haa ki hae...
Yash ki yeh baat sunta hi Aditi ka chahre par ak shararati muskaan aa gayi... usne yash ko chidhate
hu kaha...
"acha to ak hi din mein aap unhe poori tarah sa samajh gaya???/
Yash:"haan mai usa samajh gaya"... Poonam ke khayalon mein khote hua kaha...
Aditi yeh sunta hi Yash ko chidha ke kahne lagi ke yeh baat wo saab ko bata degi... aur khilkhilakar
bhagne lagi... Yash bhi uska picha bhagne laga usa pakrarne ke liya... puri haveli mein Aditi ki
shararatien aur Yash ki hansi gunjne lagi... Meera devi ko aesa laga unki ghar khushiyan sachme
aagayi thi...
Raat ko khana khane ke baad Yash apne kamre mein aakar leat gaya aur aajki saari ghatnao ke bareXforum.live
mein sohne laga... usa yaad aya ke wo apna purana phon da kar aaya hae... tab to usne pyar ke
pagalpan mein da aaya tha par aab usa bohot sharam aa rahi thi... wohi haal Poonam ka bhi tha... wo
bas Yash ke phon ki taraf dakha jaa rahi thi... usme Yash ka pic wallpaper pe tha... jisa dakhta hi wo
sharma jati... Yash ke phon mein bhi undono ki sagayi ki tasveer thi... Achanak Yash ka phon vibrate
hua aur phon uske haat sa chutkar mooh pe gir gaya... Yash achanak hua is harkat se sakpaka gaya
...par jab usne phon uthakar dakha to uske chehre par ak halki si muskaan aagayi... wo Ponam ka
bheja hua ak blank message tha
Dusri taraf Poonam ne galti sa wo message bhej diya tha... par iss baat se wo behad dar gayi... uska
chehra sharm se laal ho gaya... Achanak uska phon bajne laga... wo bed par uchal pari... wo phon
yash ka tha... jo uski blank message ke reply mein kiya tha Ysh ne...
Phon kuch der bajta raha... thodi der baad Poonam ne phon uthaya... dusri taraf Yash ki dadhkane
bohot badhi hui thi.. jab phon recieve hua usa laga uska dil dhadakna band ho jayega... woh besabri
sa Poonam ke hello bolne ka intezar karne laga... par use sirf Poonam ki saansen hi sunai de rahi thi...
kuch der ke liya dono taraf khamoshi chaa gayi... jab Yash ko yeh khamoshi sahi nahi gayi... usne
dhere sa kaha...
Yash: Hello... poonam ji???
Poonam: jii...
Yash: aapko humsa baat karni thi to phn karti blank message kyuon kiya...
Poonam: nahi aisi to koyi baat nahi thi...
Yash: acha to hum rakhta hae... Thodi bujhi hui awaj mein Yash ne kaha
Poonam: nahi nahi... poonam ne sakpakata hua kaha...
uski baat suntahi Ysh ko hansi aa gayi...
Poonam:app hans kyun raha hae???
Yash: kuch nahi... aesa hi... aaj maen bohot khush hun...
Poonam: kyun...
Yash: aaj mujha meri jeevan sangini jo mil gayi hae...
Poonam: maen bhi...
Yash: maen bohot khush kismat hoon jo aap ko maina apne jeevan saathi ke roop mein pane wala
hoon
Poonam: aesa mat kahiya kaunwar sa... khush kismat to maen hoon jo aap mujha mila...
Aisi hi pyari baton mein dono khota chala haye... jaisa jaisa shaadi ka samay nazdik ata gaya shaadi ki
taiyaarian zoro shoron sa shuru ho gayi... Yash aur POonam ki besabri bhi bahti jaa rahi thi... sab
bohot khush tha... pura gaon unki nayi bahurani k swagat ke liya besabr tha... door door tak neotay
bheje gaye... shaadi ki taiyaarion mein dono busy the charon taraf rishtendaron ki bhir thi isiliya
zyada baat nahi ho pati dono ki pyar dono hamesha hi ak dusra ka khayalon mein hi khoya rahta...
Samay pankh laga kar aesa ud gaya ki kaiss 1 mahina beet gaya kuch pata hi nahi chala... sangeet ke
din Yash ne pura 1 mahine baad apni sapno ki pari ko dekha... wo Lehenga aur choli mwin thi.. Ajj
usne thoda sa make up kiya tha... jo uska roop ko aur ubhar raha tha... use dakhta hi Yash ke dil mein
ka meetha sa dard hua... use bohot man kiya ponam ke saath akele baat krne ka... usne Ponam ko
message kiya ke wo bhot khoobsurat lag rahi hae... Poonam ne bhi reply kia "same to you" akdusra
ka message padh ke dono ke chere par sharmati si muskurahat aa gayi... Yash bhi aaj bohot
handsome lag raha tha... uska gathila badan par marron colour par Sherwani kurta khub jach raha
tha... 6 feet uncha aur gora chitta yash... Uski neele akhen... aur uska smart attitude... Sab milakar
jab bhi poonam uski taraf chor nazron sa dakhti uski saansen tezz ho jati...
Aslal mein shaadi shuda zindagi aur pati patni ke rishta ke baare mein zyada kuch nahi janti thi...
mata pita ka kara shashan ki wajah sa uska kabhi koi ladka dost tha hi nahi...usa kabhi kisi sa pyar
nahi hua tha... par shaadi tay hone ke baad Sonam ne use dhere dhere sab kuch bata dia... use ye
sab jankar bohot aashcharjya hua... par jab bhi sapno mein khayalon mein Yash ki yaad ati wo
sharma kar apna chehra haaton ka bich chupa leti... Yash ka bhi kuch aesa hi haal yha... hallan ki o
zimmedar tha mature tha... par tha to bas 24 saal ka... pehli baar usa koi ladki pasand aayi thi...
Ponam ki sadgi aur khoobsurti ne uska man moh liya tha... Sangeet ke din uska massom chehra kaXforum.live
saatha saath uska figure ko bhi nihar raha tha... pehli baar uske ling mien halki si sarsarahat hone
lagi...!!
Haldi ke din jab Poonam ke gore badan par Yash ka chuyi hui haldi lagayi gayi... tab uska gore badan
par sirf haldi kahi nahi yash ke pyar ka bhi rang chad gaya tha... haaton ki mehendi ki laali to aisi
chadi thi ki jisa dakh sabne kaha poonam badi vagyashali hae... usa bhi mehssoos ho raha tha ki wo
sach mein bohot kismat wali hae...
Shaadi ke din uusa khoob shiddat se taiyar kiya uski behen ne... Shola sringar mein saji thi aaj
Poonam apne saajan ke liya... Baalon ko khub dhang se sawara tha... sar par chura... mang mein
mang tiika... mathe pe pyari si laal colour ki bindi... naak mein nose ring chehra par make up... ubhre
hoton par gahri laali... gale mein haar.. choli mein kase uske stan ke ubhar jinme kudrat mein khoob
jawani bhari thi... patli si kamar se jhakti navel aur uska thik nicha pehni kardhani kisi ka bhi man
moh sakti thi...Ghagra mein kase hua uski jhanghe uski chal ke saath thirak rahi thi... jaisa hi usa laal
duppata udhaya gaya wo khud ko dakhkar sharma gayi...
Yash ne us din ak safed rang ki Sherwani pehni the jisme pink colour ka chamkila kaam tha... woh
usme bohot handsome lag raha tha... woh nervous bhi khub tha... Raj Armaan aur Aditi na usa khub
chirhaya... bohot dhum dham sa uski baarat Ponam ke ghar pouhchi... waha sabne bohot dance
kiya... Poonam ki sahaliyon ne bhi unka saatha khub badmashi ki... Mandap ke baithne ke kuch der
baad jab Yash ne Poonam ko dekha to wo usa dakhta hi rah gaya... usa lag raha tha aasman sa koi
apsara utar kar aayi hae haant me barmala liya usa apna saajan banane ko...!!!!!!!
 
  • Like
Reactions: paarth milf lover

paarth milf lover

I m a big big milf and shayari lover💕♥️
2,062
1,877
144

achi story hai ye jabardast xossip pe padhi thi 6,7 saal pahle...
 
Aakash.

ᴇᴍʙʀᴀᴄᴇ ᴛʜᴇ ꜰᴇᴀʀ
Staff member
Moderator
33,475
150,169
304
Hello everyone.

We are Happy to present to you The annual story contest of XForum

"The Ultimate Story Contest" (USC).

"Chance to win cash prize up to Rs 8000"
Jaisa ki aap sabko maloom hai abhi pichhle hafte hi humne USC ki announcement ki hai or abhi kuch time pehle Rules and Queries thread bhi open kiya hai or Chit Chat thread toh pehle se hi Hindi section mein khula hai.

Well iske baare mein thoda aapko bata dun ye ek short story contest hai jisme aap kisi bhi prefix ki short story post kar sakte ho, jo minimum 700 words and maximum 7000 words ke bich honi chahiye (Story ke words count karne ke liye is tool ka use kare — Characters Tool) . Isliye main aapko invitation deta hun ki aap is contest mein apne khayaalon ko shabdon kaa roop dekar isme apni stories daalein jisko poora XForum dekhega, Ye ek bahot accha kadam hoga aapke or aapki stories ke liye kyunki USC ki stories ko poore XForum ke readers read karte hain.. Aap XForum ke sarvashreshth lekhakon mein se ek hain. aur aapki kahani bhi bahut acchi chal rahi hai. Isliye hum aapse USC ke liye ek chhoti kahani likhne ka anurodh karte hain. hum jaante hain ki aapke paas samay ki kami hai lekin iske bawajood hum ye bhi jaante hain ki aapke liye kuch bhi asambhav nahi hai.

Aur jo readers likhna nahi chahte woh bhi is contest mein participate kar sakte hain "Best Readers Award" ke liye. Aapko bas karna ye hoga ki contest mein posted stories ko read karke unke upar apne views dene honge.

Winning Writer's ko well deserved Cash Awards milenge, uske alawa aapko apna thread apne section mein sticky karne ka mouka bhi milega taaki aapka thread top par rahe uss dauraan. Isliye aapsab ke liye ye ek behtareen mouka hai XForum ke sabhi readers ke upar apni chhaap chhodne ka or apni reach badhaane kaa.. Ye aap sabhi ke liye ek bahut hi sunehra avsar hai apni kalpanao ko shabdon ka raasta dikha ke yahan pesh karne ka. Isliye aage badhe aur apni kalpanao ko shabdon mein likhkar duniya ko dikha de.

Entry thread 15th February ko open ho chuka matlab aap apni story daalna shuru kar sakte hain or woh thread 5th March 2024 tak open rahega is dauraan aap apni story post kar sakte hain. Isliye aap abhi se apni Kahaani likhna shuru kardein toh aapke liye better rahega.

Aur haan! Kahani ko sirf ek hi post mein post kiya jaana chahiye. Kyunki ye ek short story contest hai jiska matlab hai ki hum kewal chhoti kahaniyon ki ummeed kar rahe hain. Isliye apni kahani ko kayi post / bhaagon mein post karne ki anumati nahi hai. Agar koi bhi issue ho toh aap kisi bhi staff member ko Message kar sakte hain.

Story se related koi doubt hai to iske liye is thread ka use kare — Chit Chat Thread

Kisi bhi story par apna review post karne ke liye is thread ka use kare — Review Thread

Rules check karne ke liye is thread ko dekho — Rules & Queries Thread

Apni story post karne ke liye is thread ka use kare — Entry Thread

Prizes
Position Benifits
Winner 4000 Rupees + Award + 5000 Likes + 30 days sticky Thread (Stories)
1st Runner-Up 1500 Rupees + Award + 3500 Likes + 15 day Sticky thread (Stories)
2nd Runner-UP 1000 Rupees + 2000 Likes + 7 Days Sticky Thread (Stories)
3rd Runner-UP 750 Rupees + 1000 Likes
Best Supporting Reader 750 Rupees + Award + 1000 Likes
Members reporting CnP Stories with Valid Proof 200 Likes for each report

Regards :- XForum Staff
 
Status
Not open for further replies.
Top