33. Is It Real??
Update 33
Tara farsh par bilkul shant soyi huyi thi. Uska chehra kisi gehri jheel
jitna shant tha aur yahi shanti ankit ke dil ko aur ghayal kar rhi thi.
Bachpan se hi tara ke chulbulepan aur shararto ka aadi ban chuka
ankit use itna shant dekhkar chhalni hua ja raha tha. Use ab bhi yakeen nahi ho raha tha ki tara ka poora dahina hath uske shareer se
alag ho chuka hai aur shayad wo ab kabhi nahi jagegi.
"Par tujhe kaise malum ye coma mai hai?? Tu koi doctor hai kya??"
Apni awaaj ko jitna ho sake ankit ne samanya rakhte huye poocha par
rookhpan ab bhi mojoud tha.
"Ek tarike se.. ha.. wo mai baad mai bataunga.. mudde ki baat ye hai ki
excessive blood-loss ki vajah se iska dimag mai khoon nahi pahuch
raha hai jis karan ye coma mai chali gayi hai.. hume pehle iska ye
khoon behna tokna hoga.." uske ghule ghaav ki taraf ishara karte
huye usne kaha. Ankit ko kuch samajh nahi aaya ki avi ye sab kaise
janta hai kyuki jaha tak use yaad aata hai avi ne unhe bataya tha ki
wo b.tech 3rd year mai hai.
"Aur ise fauran khoon bhi chadana hoga.. warna ye mar jayegi.." itna
sunte hi ankit ka dimag fauran sunn pad gaya. Tara ko khone ka gham
wo abhi seh kar dekh chuka tha. Uski behan uski jaan thi aur wo
dubara us gham ko nahi jhel sakta tha.
Ankit ne avi ke sath milkar tara ko waha wash room se uthaya aur
bahar lekar aaye. Tanu bhi chalti huyi unke peeche bahar aa gayi aur
washroom ka darwaja band kar diya. Moni ko hosh aa chuka tha aur
wo abhi bhi tara ko sadme se dekh rahi thi. Wo wahi us bed ke paas
khadi thi jab ankit aur avi tara ko lekar waha aaye aur us par lita
diya. Ankit ne jab paas hi khadi moni ko dekha to dar aur gusse ki
mili-juli awaaj mai bola, "Aeee... h..h..hat ja w..waha se..." Ye tay
karna mushkil tha ki uski halkahat dar ke karan thi ya gusse ke par
wo galat kar raha tha isliye avi turant usse uchi awaaj mai bola,
"Ankitttt.. isme moni ki koi galti nahi hai.. tune bhi us saaye ko dekha
tha na.. moni par usi ne kabza kiya hua tha..tu ye achhe se samajh le.. moni bilkul bekasoor hai.. wo bhala poore hoshohawas mai tara ko
nuksan kyu pahuchayegi.."
Uski baat sunkar moni ke chehre par mojoud dehshat ka bhaav aur
gehra ho gaya.
"Bhaiya.. ye maine kiya?? D..idi ko chot m..m..aine di??" Uski ungli
pakadte huye tara ne rote huye poocha.
"Na bachha.. na.. rote nahi.. tune kuch nahi kiya.. ye to us saaye ka
kaam hai... usi ne tujhe vash mai kiya tha.. tune kuch nahi kiya.." use
apne gale se lagate huye avi ne use dilasa diya. Ankit abhi bhi moni ko
ghoor raha tha mano us saaye ki shaitaniyat ke saboot dhoond raha
ho.
"Par.. iske andar.. ab bhi..." kehte-kehte ankit ruk gaya kyuki moni ab
use unhi masoom nazro se dekh rahi thi jinke wo aadi the. Ye nazre
ye batane ke liye kafi thi ki wo saaya ab moni ko chhod kar ja chuka
hai.
"Kya tumhe ye azeeb nahi lagta ki itna khoon beh jane ke baad bhi
tara ab tak jinda hai.." itni der se khamosh khadi tanu ne kaha to
ankit ne kha jane wali nazro se use dekha. Ab tak avi moni se alag
hokar doctor ki table par dressing ka samaan dhoodna shuru kar
chuka tha. Tara ki baat sunkar uske hath bhi ruk gaye aur wo bhi
tanu ko ghoorne laga.
"Meri baat ka galat matlab mat nikalna.. mera matlab tha ki jitna
khoon tara ka baha hai utne mai to kisi bhi normal insan ki maut ho jati.. ye chamatkar hi hai ki ye abhi tak jinda hai.." tara ne ankit ki nazro ko samajhte huye apni baat poori ki.
"Tumhari baat sahi hai.. mai bhi yahi soch raha hu.. lekin isse bhi jyada ek aur azeeb baat ho rahi hai.." avi ne wapas table ko check karte huye kaha aur jab use dressing ka saman mil gaya to usne dekha ki ankit aur tanu dono use sawaliya nazro se dekh rahe hai.
"Azeeb baat ye hai ki aaj se pehle kabhi is show mai kisi contestant
ko marte yaha tak ki chot pahuchte bhi nahi dikhaya gaya.. par is
baar kuch azeeb ho raha hai.. logo ko screen ke samne hi mara ja
raha hai.. is baar.. kuch.. alag ho raha hai... is baar humne.. kuch alag
kar diya hai.. kuch bahut hi alag.. aur bura bhi.." dressing ka samaan
lekar aate huye avi bola.
Harshit aur uske sathiyo ke hath apni torches par kase huye the aur
wo bahut hi sawdhani ke sath aage badh rahe the. Sab log khamosh
the aur hawa mai ek ajeeb si sansanahat thi jise sirf harshit
mehsoos kar raha tha. Upar wale floor tak jane ke liye unhe jyada
seediya nahi chadni padi. Jaise hi wo log upar pahuche unhone dekha
ki yaha neeche wali manzil se jyada andhera hai. Neeche phir bhi
kuch lights jal rahi thi lekin yaha to gupp andhera tha. Roshni ka
ekmatra jariya unki torches thi jinki roshni wo idhar-udhar fenk rahe
the taki aas-paas ki cheezein dekh sake. Torch ki roshni mai unhone
dekha kiwo ek seediya ek mod par thi jaha se samne aur dayi dono
taraf ek-ek lamba galiyara jata tha bilkul neeche wale floor ki tarah.
Par jo cheez yaha alag thi wo ye ki ye sabse upari floor tha kyuki
seediya iske upar nahi ja rahi thi. Aur to aur yaha ke galiyaro ki halat
bhi neeche wale floor se jyada kharab thi. Yaha to aisa lag raha tha
ki koi toofan aaya tha. Poore farsh par cheezein bikhri huyi thi, kamro aur darwajo ki khidkiya tooti huyi thi jinke kaanch ke tukde pade huye the, deewaro par paint ke sath poora plaster hi ukhad aaya tha, stretchers ulte-seedhe pade huye the.
"Ankittttt.... avinashhhhhh.... taraaaaaa....." harshit ne ek jordar awaaj lagayi jo waha mojoud dono galiyaro mai goonjti huyi nikal gayi. Goonj itni tej thi ki uska kampan unhe saaf-saaf mehsoos ho raha tha.
"Yaha to awaaj goonj rahi hai..kisi pahaad ki tarah.." pooja ne kaha.
Halaki usne bilkul normal aur dheemi awaaj mai ye baat kahi thi lekin
phir bhi ye goonjne lagi. Iski goonj kafi kam thi lekin ye kam hairani
ki baat nahi thi ki ye goonji hi kyu. Is goonj ne unke dil mai ek anjane
dar ko janam de diya tha. Achanak ek tej aah us anjane mahaul mai
goonji jisne unke dar ko kayi guna badha diya. Ye awaaj pehchanne
mai harshit se koi galti nahi ho sakti thi par wo ye nahi samajh pa
raha tha ki wo yaha kaise ho sakte hai. Ek baar phir wo dard bhari
aah waha goonji jisne un sabko andar tak hila diya khaskar harshit ko.
"Pappppaaaaa...." wo jitna ho sake utni tej awaaj mai chillaya. Uski
cheekh sunkar waha khada uska har ek sathi dar se kaap gaya. Ye
awaaj un teeno ko jani pehchani lag rahi thi par harshit ke muh se
papa sunkar unhe bhi yakeen ho gaya ki ye Mr. Gupta ki hi awaaj thi
jo unhe studio tak chhodne aaye the.
"Aaaahh.. h..h..ars..hitttt...." ek bahut hi mari huyi si awaaj waha
goonji jo dayi taraf wale galiyare se aayi thi.
"Papaa.. mai aa raha hu.. papaaa.." chillate huye usi taraf bhaga jisse
uski awaaj ki tej goonj waha charo taraf fail gayi.
"Harshhittt.. ruk harshittt.. ruk ja..." chillate huye aditya bhi uske
peeche-peeche bhaga aur priya, pooja aur rahul bhi.
"Harshittt.. ruk to sahi.. wo uncle nahi hai..." pooja chillayi.
"Harshitttt.. ruk ja.." priya chillayi par harshit to jaise kisi ki sun hi
nahi raha tha. Wo 'papa-papa' chillaye huye bhag raha tha aur jitna
wo aage aata utna hi awaaj use aur door se aati malum padti. Galiyara
unki umeed se kayi guna lamba tha aur aisa lag raha tha ki ye kabhi
khatam hi nahi hoga. Harshit raste mai bikhre stretchers se takra
raha tha, kayi baar girte-girte bhi bacha lekin phir bhi ruka nahi.
Aditya ne use na rukte dekh apni speed thodi badhayi aur uske nazdeek pahuchte hi uska hath pakad liya aur use akhir rok hi liya.
"Ruk kar sun to sahi yaar.. ye uncle ki awaaj nahi hai.." harshit bhagne
ke liye chhatpata raha tha lekin uski baat sunte hi uska chhatpatana
band ho gaya.
"Tujhe kaise malum ye papa ki awaaj nahi hai??" Apni awaaj mai
hikarat aur adheerta ka put late huye harshit ne poocha.
"Ye in shaitano ki koi chal hai.. yaad hai na waha studio mai mera ek
humshakal aaya tha jo in ladkiyo ko kahi le jana chahta tha.. ye bhi
wahi hai.. hume alag karne ki saazish.." aditya ne use samjhaya.
"Adi sahi keh raha hai harshu.. ye uncle nahi ho sakte.. wo to hume
waha studio tak chhod kar chale gaye the.. wo yaha kaise ho sakte
hai??" Pooja ne uska hath apne hath mai lete huye kaha.
"Aur agar tum log galat huye to?? Agar ye papa hi huye to??" Usi
hikarat ke put ke sath apna hath jhatakte huye wo bola.
"Wo nahi ho sakte.. samajh is baat ko.. ye hume alag karne ki sazish
hai.." aditya ne uske rookhepan ko nazarandaj karte huye kaha.
"Tere liye kehna asaan hai.. kyuki tere papa to hai nahi.. par...."
harshit apni baat poori kar bhi nahi paya tha ki ek thappad uske gaal
par itni teji se pada ki use duniya ghoomti nazar aane lagi. Pooja ke is
chhate ne use turant hi ye ehsaas kara diya ki usne abhi-abhi apne
sabse achhe dost se kitni kadwi baat kahi hai. Is jagah ki burayi uske
upar hawi ho rahi thi jis vajah se aaj uske dost ki aankho mai ansoo
the
"Harshhittt... tujhe jana hai to ja.. koi nahi rokega tujhe lekin aaj ke
baad agar tere muh se aisi ghatiya baat dubara nikli to mai.. to mai..
tujhe hamesha ke liye chhod dungi.." ansoo bahate huye pooja ne
kaha.
"Sorry... sorry.. mujhe nahi pata mere muh se ye kaise nikal ga..."
pooja ke hath pakadne ki koshish karte huye harshit bola par usne uska hath jhatak diya. Use aur rota dekh harshit adi ki taraf muda aur use gale se lagate huye bola, "Yaar maaf karde.. mujhse bahut badi galti ho gayi.. mera irada aisa nahi tha.. mai nahi janta ki ye mere muh se kaise nikal gaya.. please mujhe maaf karde.."
Aditya ki aankhe motiyo ki tarah ansoo baha rahi thi. Wo samajhdar tha isliye samajhta tha ki harshit jhoot nahi bol raha.
"Mujhe pata hai ki tera aisa irada nahi tha.. tu t.... uncleee..." aditya apni baat keh pata isse pehle hi uchhal pada. Samne andhere se Mr Gupta ladkhadakar chalte huye unki taraf aa rahe the.
To be continued...