• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance " Fitoor "

Status
Not open for further replies.

Taimoor

New Member
41
65
18
Ye wo wakt tha jab Riya , Aarav aur Rahul , Natasha ke beech sirf Reveka aur Dhruva khade the
लाल जब एक दूसरे को देखेंगे तो रिया का रिएक्शन ये होगा कि वो मुंह फुला कर रोने लगेगी उसका मन नहीं करेगा और रुकने का और राहुल बेचारा इस बात से डरेगा की रिया ने देख लिया है
नाइस अपडेट आब तो बहुत बेसब्री से इंतजार है उस पल का जब दोनों मिलेंगे जल्दी से देदो अपडेट
 

Samurai

Well-Known Member
2,815
2,408
159
Update ~ 44



Rahul ki awaaj me udasi thi jisne Riya ko bhi vichlit kar diya . Lekin Aarav ke sath bhala koi kaise udas rah sakta tha . Riya ke fvrt dress designer bhi shirkat kiye the , phir kya tha Riya , Aarav aur Reveka ke sath pahuch gayi . Ye wo wakt tha jab Riya , Aarav aur Rahul , Natasha ke beech sirf Reveka aur Dhruva khade the , sabhi ki najar samne stage aur ramp par thi .


Sabhi purjor ullas se aayojan ka lutf utha rahe the is baat se anjaan ki agla pal kya le kar aane wala hai unke liye . Sabhi ke chehre khile huye the .Kareeb ek ghante Riya aur Rahul ek doosre ki upasthiti se anjaan usi tarah fashion show dekhte rahe aur ittefaq to ye tha ki ye designer Natasha aur Riya dono favourite tha . Show ke dauraan ek baar aisa bhi hua tha ki Rahul aur Riya bilkul paas paas aakar khade ho gaye the par Rahul ki khush kismati hi kahenge ki Riya ne dekha bhi nahi uss taraf . Rahul ki bhi najar Riya par nahi gayi .


Riya ko pata nahi tha ki Rahul usase kuchh kadam ki doori par hai lekin use na jane kyu badi shiddat se uski yaad aa rahi thi . Riya ne Rahul ko msg kiya ,



Riya ~ hiii


Rahul ~ ahaa hows you babes ,


Riya ~ awsm ji , waise ek baat bolu ?


Rahul ~ do baat bolo ji :love:


Riya ~ mujhe aap ki itni yaad kyu aa rahi hai ?


Rahul ~ kyu ki mujhe bhi aa rahi tumhari yaad , heart to heart connection jo hai ham dono ka . ( bade romantic andaj me )


Riya ~ mujhe na jane kyu aise lag raha hai ki aap mere aas paas hi hain .

Riya ki baat sun Rahul ki hawa kharab ho gayi . Usne darte darte apni najar charon taraf ghumai aur Riya ke chehre par jakar uski najar ruk gayi . Pal bhar ko to Rahul ki dhadkane hi ruk gayi . Riya ke chehre ko dekhte dekhte hi use yaad aaya ki usne to Riya se jhooth bola hai ki wo Delhi aa hi nahi paya hai . Rahul ne Natasha se sir dard ka bahana banaya aur chalne ko bola to Natasha ne saaf inkaar kar diya . Rahul ko bahut bura laga lekin usne pahle yahan se niklna hi uchit samjha .


Rahul ke bahar niklte hi Natasha ne Yash ko call kiya aur Rahul ke peechhe jane ko bola aur wapas show dekhne lagi . Dhruva bhi kafi enjoy kar raha tha situation , Natash Dhruva se kuchh bolne ke liye mudi Tabhi uski nigah seedhe Riya par chali gayi , pahle to Natasha ko gussa aane laga lekin agle hi pal usne kisi ko msg kar ke Riya ke baare me bataya aur khud Dhruva ko doosri taraf kar ke Aarav aur Riya ke paas pahunch gayi ..



Natasha ~ hiii tum Riya ho na ?

Natasha ne bante huye kaha , jab Riya ki najar Natasha par gayi to uske chehre ka rang hi badal gaya . Nathasha ne do baar hello kiya par Riya khamosh uska face dekhti rahi . Ye sab Aarav ko bahut ajeeb laga to wo bola ,



Aarav ~ haanji wo Riya hi hai to ?



Natasha ~ aap ki tarif ?



Aarav ~ jitni karo kam hai par mai janana chahta tha ki aap Riya ko kaise janti hain ?


Natasha ~ aap ko kyu batau ? Kya aap inke bf ho jo itna uchak rahe ho ?



Aarav ~ badi samjhdaar hain aap to . Abb to bata dijiye ki kaun hain aap ?



Natasha ~ mai uske bahot achchhe dost ki fiancee hoon .



Aarav ~ wow aap se mil kar khushi huyi .



Natasha ~ jald hi sagai bhi hsi hamari . Rahul bhi sath hi tha just abhi wo bahar gaya hai kyu ki Use bheed kam pasand hai wo to meri jid par le aaya tha mujhe yaha wait mai aap ko apne brother in law se milwati hoon .

Natasha ne Aarav ko Dhruva se milwaya . Dhruva ne bhi sir nahi mara aur Natasha ki haan me haan milayi lekin jaise hi uski naja Riya ke chehre par gayi uske to hosh hi udd gaye . Natasha apna kaam kar chuki thi . Uski khushi ka thkana nahi tha jabki Dhruva ne jhat se Rahul ko call karke sara halaat samjha diya . Riya 5 min baad hi wahan se bahar ki ore chal di aur Aarav uske peechhe peechhe .
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,146
189
Superb Update

Aarav :lol: Too much funny. :lotpot:

Natasha ne to apna kaam kar diya. :mad:

Dhruva bhi kafi enjoy kar raha tha situation ,

Fir se wohi sawaal aa raha hai dimaag me...Dhruva kis taraf hai...Natasha Yash ko Rahul ke piche bhej rahi hai aur ye situation enjoy kar raha hai...Iss par bhi bahut gussa aa raha hai. :mad2:

Dekhte hai Natasha ki iss baat se abb kya hoga...Uske ek hi baat ke kai matlab tha...Kahi Rahul aur Riya ke bich galatfehmi na ho jaaye :hmm:

:applause::applause:

Keep posting.
 
  • Like
Reactions: Samurai
Status
Not open for further replies.
Top