Rajesh
Well-Known Member
- 3,540
- 7,981
- 158
Ultimate update bro maza aa gayaAB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF FRIENDLY 1600 METRES RACE ME DIMPLE SAM KE BARABAR AATI HAI WAHIN DUSRI TARAF SCHOOL KE BAHAR SANVY AUR INSPECTOR RAJESH MISHRA KE BEECH BEHES HO JAATI HAI.
AB AAGE:-
CHAPTER-1
(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)
UPDATE-81
DATE-22TH DECEMBER
CITY-OUTSIDE DEHRADUN
PLACE-N.H.45.
NICE...
NEW GIRL ke saath circled aur zigzag national highway par SONU ke dad ki pulsar 220 ko lehrakar chalate hue jab ek broad cross way se nikal raha tha mai tabhi local dhaba ke paas khaayi ke edge par lage ek thele ko dekh aankhen chamak gayi thi meri...
DIMPLE-haash...SANVY,ek toh pair abhi theek nahi hua nahi, uspar itni rash riding...!!!
N.H road pakde hue 15 minutes guzar chuke the hume aur in 15 minutes me hamesha 110 ke upar hi raha tha speedometer ka kaanta...
waise toh NEW GIRL ko bhi speed driving ka bohot shouk tha par subah ke is waqt par ye N.H kaafi busy rehta hai...
aise me jitni baar aur jin jin tarikon se baarik cut maarte hue heavy loaded vehicles ko continously cross karte hue nikla tha mai,kisi ki bhi saansein upar niche hone ke liye kaafi thi...
ye toh NEW GIRL thi jo bade softly complaint kar rahi thi mujhse...koi aur hota toh bike ke stand karte hi pehle toh ulti karta aur uske baad mere saath dobara bike par kabhi baiththa nahi...
gawah-e-saboot the NITS,SONU aur mere baaki group ke bande jinhone mere saath bike ride karne ki tauba khaayi hui thi...
MAI-rash!!!babes,swift ride bolte hain...aur mujhe nahi laga tha ki tez riding se tum bhi dar sakti ho...!!!
DIMPLE-agar darti toh saath aati hi nahi... hamare aaj ke bike ride plan ke baare me group me sabko pata hai...
aur isiliye warn karne ke liye mujhe tumhare biking me kiye gaye saare kaarnamon ka pura kaccha chitha SONU aur NITS pehle hi bata chuke hain...
bottom line,baat dar ki nahi hai...
agar slow chalte toh baatein zyada kar sakte the...
pehli bike ride jo hai hamari saath me...!!!
mai saala bail buddhi...naa dikhne waali jagah par bhi dhyan rehta hai mera aur itni simple si chiz bhul baitha mai...
wakayi, pehli bike ride thi meri aur NEW GIRL ki...aisa moukon par chehre par padne waali hawa ke saath har pal ko kaid karna chahiye aur ek mai tha jo valentina rossi bana gaadi douda raha tha...
gazab chutiyapa...
mere face par nazar aa rahe sade bhaav dekh halki has di NEW GIRL aur...
DIMPLE-par ek tarah se faayda hi hua hai mera...
kyunki baat bhale hi nahi ho paa rahi thi par tez hawa ke thapedo ne tumhari mehek ko mere andar tak feel karwa diya tha...
ab tumhe khojne ke liye tumhe dekhne ki zaroorat nahi hai mujhe...
kisi bheed ka hissa bhi raho tum toh bin dekhe bhi dhund lungi tumhe mai...
mere haath ke ird gird khud ko sameththe hue aage badhi thi NEW GIRL aur uski baat sun bas halka sa has diya tha mai...
DIMPLE-ab bataoge bhi mujhe ki yahan kyun ruke hain hum aur thodi der pehle NICE kyun bola tha tumne...???
MAI-german oriented burger toh bohot baar khayi hogi tumne par indian,woh bhi dehradun
oriented desi burger shayad hi taste kiya hoga...
DIMPLE-desi burger...!!!
MAI-yup...woh dekho...
saamne dikh rahe thele ki taraf point kiya tha maine jiske upar paate par nazar padi NEW GIRL ki...
DIMPLE-bun tikki... what's that..???
MAI-ek local dish jo abhi hum khaane waale hain and i am sure ki bohot pasand aayegi tumhe...
try karogi naa...!!!
(wakayi lazzatdaar dish hai guyz...kabhi dehradun jaayen toh zaroor khaayen)
DIMPLE-sure...
MAI-bhaiya..lagaiye do...
DIMPLE-aalu...!!!!potato burger hai kya...???
thele waale bhaiya ko lambe potato slices ko cut karte dekh rahi thi NEW GIRL...
MAI-just a part of it...
DIMPLE-dikh toh pura burger ki tarah hi raha hai...
MAI-burger me paav ko paani me sokha nahi jaata...
naahi usme chana daal daalte hain, naa poha ya rice flakes, chaat masale ka toh naam bhi nahi suna hoga burger invent karne waalo ne aur naahi khajoor aur imli chatni ke mixture ko use karne ka ganith bhi aata hoga unhe...
bun tikki ki puri recipe bata di thi maine jisse sun aur mere khaane ke baare me knowledge ko jaan NEW GIRL toh normal hi rahi par thele waale bhaiya ke face par prashansha ke bhaav the...
DIMPLE-ummh....maine abhi tak try kaise nahi kiya tha isse...???t's really amazing...
jaise hi bhaiya ne bun tikki ka wrap pakdaya NEW GIRL ko,uske first bite ko lete hi halke awaaz ke saath bum tikki ki taarif uske pure face par dikhne lagi thi...
aur kitni pasand aayi thi usse ye dish,ye aas paas khade sabhi ko agle 15 minutes me hi pata chal chuka tha...
3 tikkiyan jo pel di thi NEW GIRL ne is beech...
apne trip bag se jisse maine aage chest par laada hua tha,uske front chain ko kheench wahan rakhe paison se bill pay kiya maine and then,back on bike the hum dono...
DIMPLE-mujhe laga tha bag me ride ke liye soft drinks, mocktails carry kar rahe hoge,but i got a glimpse of gift wrap inside...
MAI-cristmas eve chaalu hai...kya pata,kab kiska santa banana pade...
DIMPLE-baaki waqt ka toh nahi pata,par abhi ye cute sa santa kisse gift dene jaa raha hai,i think i know...
ASHA AUNTY right...unhi se milne SHANSHASHI ASHRAM jaa rahe hain naa hum...!!!
MAI-thats my girl...
bike aage badha di thi maine... route dekh SHANSHASHI ASHRAM jaa rahe hain hum,iska andaza lagana mushkil nahi tha par NEW GIRL sirf ek baar gayi thi us ashram me aur woh bhi kaafi mahine pehle...
us din acharya PRATHAMESH ke saath jab MAA ke room ke bahar khadi thi woh,ye jaanta tha mai...
par naa toh andar aayi thi aur naahi formally MAA ke saath waat bitaya tha usne...
bas ek baar ACHARAYA PRATHAMESH ne naam bataya tha usse MAA ka woh bhi casually but she remembered...
jo mere liye important hain,unhe nahi bhuli thi NEW GIRL aur ye acha laga tha mujhe...
DIMPLE-waise ab tak mujhe nahi mila hai mera CHRISTMAS present...!!!
MAI-woh MAA ka department hai...wahi degi...
DIMPLE-MAA se yaad aaya...kal kyun nahi nikle hum ASHA aunty se milne ke liye...
ANJALI udhar MAA ke saath ghar decor karne me lag chuki hai...
i also wanted to be a part of it...
MAI-aaj decorations ke samaan set kar rahe hain MAA aur ANI...
and then,aaj raat jo gadariya group ghar aayegi,unke liye extra sweets ready karenge dono...
main decoration kal hoga jisme you will be a part of...tum kya, pura group morning se hi dhamak padega ghar par...
isiliye hi toh aaj chal rahe hain hum MAA ke paas...MAA har saal unke liye gift bhejti hain aur is baar toh do hain...
DIMPLE-jhalla...
palath NEW GIRL ko dekh kahi thi maine ye baat jisse sun halka blush karne lagi thi woh...
DIMPLE-ye gadariya group kya hota hai...???
MAI-cristmas eve me pure week ke kisi bhi raat,church ke sunday school students ghar aate hain and they sing bible hymns...
they enjoy,shor machate hain woh..ghar ke har room me ghus usse bless karte hain woh sab..
they pray...aur phir finally kitchen looththe hain saare...
dishes se bhari saari burniyan joki unke liye hi rakhi hoti hai,unhe khol dishes gaate hain woh aur phir,ek aakhri baar pure ghar ko bless kar chale jaate hain...
DIMPLE-wow...aisa bhi kuch hota hai,i didn't know...mai bhi ye dekhna chahti hun...
MAI-your wish is my command madam...
waise bhi har saal is gadariya celebration ko enjoy karne ke liye apna pura group 23rd ko hamare ghar par hi sota hai...
DIMPLE-par mujhe toh kisine bataya hi nahi...
MAI-kyunki ye kaam mera hai mohotarma...
waise bhi,woh sab thehre guest par aap toh us ghar ki future owner hain...
ab bhala koi guest house owner ko ussike ghar me invite karta hai kya...!!!???
DIMPLE-kuch bhi...jhalla...!!!
baat bhale hi sharma kar taal di thi NEW GIRL ne par haathon ne uske mere chest ke ird gird tight ho ye bata diya tha ki lines meri kaafi pasand aayi thi usse...
khair,is baar speed bike ki bohot normal hi rakhi thi maine...yunhi hasi mazaak kar alag alag roads se ghumte hue hum dono kab SHANSHASHI ASHRAM ke saamne pahunche,pata hi nahi chala...
PLACE-SHANSHASHI ASHRAM
DIMPLE-its really beautiful...ek alag hi sukoon hai yahan...
entrance se guzarte hue bade se hare bhare lawn me chaaron taraf biche alag alag tarah ke phoolon ko dekhte hue behadh khush dikh rahi thi NEW GIRL...
MAI-jaise saans lena naak ka aur dekhna aankh ka farz nahi fitrat hota hai waise hi prakriti,nature ki fitrat hi isse mehsoos karne waale ko sukoon pahunchana hota hai...
ab toh kadh aur umr badhne lagi hai...
dil se zyada dimag se sochna padta hai isiliye yahan aana kam ho gaya hai mera par ek waqt aisa bhi tha jab mai yahan hafte me do se teen baar bhi aa jaaya karta tha...
sirf MAA se milne ke liye nahi...acha lagta hai mujhe yahan ka vatavaran...
pata hai,yahan ke phoolon ko agar time se aur zyada hone ki wajah se sufficient paani naa bhi mile toh bhi aam bagichon ke mukaable der se murjhaate hain ye...
DIMPLE-really...!!! aisa kyun...???
MAI-prem...baaki bagichon me paani daalna,maali ka kaam hota hai jisse woh kaam ki tarah hi karta hai...
yahan koi maali nahi...ashram ke shishya apni marzi se aur in phoolon par inke liye apne prem ki wajah se inpar paani daalte hain...
aur us bhaav ko pehchaante hain ye phool...yahan ke rehwaasiyon se inhe bhi prem hai...
aur jisse prem ho,uske saath ka saath toh lamba hi rahega naa...
apni baat khatm kar jab ghumi meri gardan aur nazar NEW GIRL ki taraf toh maine usse khudko hi dekhte paaya...
aur nazar me uske wahi bhaav tha jiski baat me abhi kar raha tha...
PREM...
SANVY.....
kuch kehne waala hi tha mai ki tabhi apne right ki taraf se ye awaaz aayi jisse sun ek muskaan se saath us taraf palath gaya mai...
MAI-MAA...
halke se pukara maine jiski shayad zaroorat bhi naa thi...mera naam pukaarte waqt ASHA MAA behadh kareeb hi thi mere aur jaise hi mai palta,unka naam lene ke beech bhi mujhe apni mamta ke aagosh me le chuki thi woh...
aaj 3 hafte ke baad aaya tha mai yahan...waise toh itne dino tak nadarad rehne ki wajah se naraaz thi woh mujhse par mujhe dekhne aur mujhe gale lagane ke beech hi unki saari narazgi jaati rahi thi...
wahin humse halke door khadi NEW GIRL bhi bade pyaar aur halke surprise ke saath hume dekh rahi thi...
surprise us unconditional beintehan pyaar ke liye jo is waqt woh mere liye ASHA MAA ki band aankhon waale chehre me dekh rahi thi...
aisa hi pyaar usne har waqt meri MAA ki aankhon me mere liye dekha hai par woh toh unki nazar me laazmi hi hai...
meri MAA jo hai woh...
waise NEW GIRL ka surprise hona justified bhi tha kyunki uski apni MAA hamesha se hi apni business ki race me itni zyada focused rahi thi ki NEW GIRL ko ye yaad bhi nahi tha ki last baar kab uski MAA ki aankhon me usne apne liye aisa pyaar dekha tha...
yahi wajah thi ki ASHA MAA aur mujhe aise dekh uski aankhon ke kinaare halke bheeg se gaye the...
ASHA MAA-toh tum ho iski NEW GIRL...
DIMPLE-jee...
MAA ki awaaz se jaise apni hi duniya se wapas aayi thi NEW GIRL...
mujhe ghurne ke beech MAA ke pair chhu liye the usne jiske turant baad MAA ne usse bhi gale se laga liya tha...
ASHA MAA-phone par tasveer dikhayi thi isne mujhe tumhari...par tasveer se bohot zyada khubsoorat ho tum...
NEW GIRL ka pyar se maatha chum liya tha MAA ne...
kehte hain ki aalingan aur chumban... prem jataane ke ye do aise bhaav hain jo agar dil se diye gaye hon toh milne waale ko uski aatma me woh prem mehsoos hota hai...
aisa hi kuch abhi mehsoos kar rahi thi DIMPLE...
CHATAKKKKHHHH...
MAI-ahhh...ab maine kya kar diya...???
NEW GIRL se alag hote hi mere kandhe par ek chamat maar di thi MAA ne...
ASHA MAA-bahu ko dikhane laa raha hun...aane se pehle ek baar phone par bata deta toh aise khaali haath milti kya mai isse...
DIMPLE-khaali haath...!!! aashirwad aur pyar se bhare haath mere sir par lagaya hai aapne...
ab iske aage chiz kitni bhi keemti ho,rakh do tab bhi mol kuch naa rehna uska...
ASHA MAA-kya baat hai beta...tune toh bilkul apne jaisi hi dhund li...
baaton me haazir jawabi woh bhi itni saadgi aur sacchayi se ki saamne waala chah kar bhi kuch bol naa paaye...
beta, aashirwad ki tarah riwaazon ka bhi apna ek mol hota hai...
hamare yahan bahu ko pehli baar khaali haath kabhi mila nahi karte...
isiliye kuch nahi sun rahi mai...dono chupchap chalo mere saath...
ek haath me NEW GIRL ki hatheli aur dusre me meri thaam aage badh chali thi MAA par tabhi mujhe limp karta dekh turant rook bhi gayi...
ASHA-ye,ye tu langda kyun raha hai...???
MAI-kuch nahi MAA... woh bas ek chota sa accident ho gaya tha...
meri baat ko sun kuch kaha nahi MAA ne par shayad iski zaroorat bhi naa thi...
kyunki aankhen unki turant dabdaba kar chhalak chuki thi...
MAI-arre MAA...socho mat zyada... maamuli chot hai...
ASHA MAA-mamuli choten mere bete ke kadam ladkhada nahi sakte...dikha zara...
turant neeche baiththe hue mujhe bhi baitha diya tha unhone aur agle hi pal mera right pair apne godh me le liya tha MAA ne...
behes ya na nukur maine bhi zyada ki nahi kyunki fayda kuch hona tha nahi...
khair, jaise jaise meri slim tight trouser upar dheere dheere upar uththi gayi aur ghutne ke neeche se bandhi patti visible hone lagi toh MAA ki aankhon par tiki hui dhaara chhalak uthi...
ASHA MAA-itni badi patti bandhi hai aur maamuli chot bata raha tha...
isiliye hi itne dino tak nahi aa paaya tha naa...
MAI-chot maamuli hi hai MAA...bas lagi ghutno par hai isiliye pure takhne par bhi patti cover ki gayi hai...
aur ab toh kaafi waqt bhi ho gaya hai...jald hi utar jaayegi ye... utarte hi turant aaunga mai,phir khud hi dekh liyo...
MAA-par abhi toh patti bandhi hai naa matlab chot moujud hai...
aise me itni door aaya hai tu...kya zaroorat thi...!!! puri tarah theek ho jaata, phir aana tha naa...
MAI-aise kaise...!!!bhul gayi kya aap, christmas eve chaalu hai...MAA ne aapke liye christmas gift gift bheja hai...
apna pair unki godh se nikaal araam se baithne ke beech apne bag pack se ek gift wrap nikaal MAA ko thama diya tha maine...
ASHA MAA-KANCHIPURAM PATTU...yaad tha VERONICA ko...
saree bheji thi MAA ne jispar haath firaate hue ASHA MAA muskura uthi thi...
kuch mahino pehle jab MAA ke saath aaya tha mai, baaton baaton me ASHA MAA ne is brand ki saree ko apni pasand bataya tha...
ab MAA toh bhulne se rahi...
MAI-khush baad me hona... pehle mera cristmas gift nikaalo...
ASHA MAA-arre,mai toh is baar bhul hi gayi...
MAI-chalte hain NEW GIRL...apna koi nahi hai idhar...
ASHA MAA-naa woh kahin jaa rahi hai naa tu...rook,laati hun tera gift...room me hai...
DIMPLE-hum bhi chalte hain aunty...
ASHA MAA-aunty...!!!ye kaun naya aa gaya idhar...iski MAA hun matlab teri bhi MAA hi hun...
DIMPLE-jee MAA...
ASHA MAA-ruko yahi tum dono... itni chot me chalna nahi hai tujhe...
MAI-aur aap chalengi... mera toh temporary hi hai par aake ghutno me toh dard har waqt ho rehta hai naa...!!!
ASHA MAA-abhi kam hai beta...
MAI-acha...zara khadi ho jaaiye toh...
meri baat sun apne mude ghutno ko sidha kar unme uthne waale dard ko kisi tarah chhupane ki koshish karte hue khadi hone lagi MAA par woh puri khadi hoti,isse pehle hi apne left leg par hi ek jhatke me khada hua mai aur turant unhe sahara de diya...
MAI-jhuth unse boliye jo yakeen kar le...
ASHA MAA-arre,kya kar raha hai...???neeche utaar...chot lagi hai beta,dard hoga...
MAI-"jisse MAA ka wazan takleef dene lage,woh kahan ka beta"...!!!
MAA ko badi asaani se godh me uthane ke beech halka halka limp karne ke baawjud bade araam se aage badh gaya tha mai...
wahin meri baat sunane ke baad aage kuch keh nahi paayi thi MAA..bas muskurate hue mere baalon ko halka sa sehla diya tha unhone...
aur NEW GIRL...waise toh mere MAA ko uthane par mere pair ko lekar chinta usse bhi hui thi par meri baat sun woh chinta thodi hatke ishq me badal gayi thi...
MAA-pagal hi hai ye ladka pura...ye le,tera gift...
MAA ko unke bed par baithate hue apna gift dhundne laga tha mai jispar apne takiya ke neeche se ek kapde ki thaili mere aage kar di thi MAA ne...
MAI-wow...awesome MAA...i love it...
white colour me deep v neck half sleeve slim fit t-shirt aur grey colour ki casual trouser thi us thaili me...
top brand ki nahi thi woh pair par mere liye toh Versace ka bhi koi mol nahi tha in kapdon ke aage...
white printed colour ki full length hoodie pehni thi maine jiska chain turant utaarta chala gaya tha mai...
REASON...
MAA ki ankhon me mujhe unke diye kapdon ko pehenane ki khwahish jo padh li thi maine...
wahin mujhe yun hoodie ko chain out karte dekh NEW GIRL kuch bolne ko hui thi par jaise hi meri hoodie mere body se alag hui,zubaan uski apne aap khamosh ho gayi...
ab harkat uski aankhon me ho rahi thi jo kaafi badi ho chuki thi...
darasal shirt ho ya t-shirt,mai hamesha kapde ek size upar hi pehenta hun aur agar kabhi fitting bhi pehni toh body shape meri lean hai...
perfect V shaped...
lean aur V shaped as in waist line patli par jaise jaise sharir uththa hai,size badhta chala jaata hai joki kandon tak pahunchte pahunchte bulky lagne lagta hai...
aisa shape banana asaan nahi hota aur jo ban jaaye toh phir kisi bhi size ka kapda fit hi lagta hai...
aur sabse khaas baat...kapdon me body bilkul normal lagti hai par jab kapde khulte hain toh jo perfect chiseled body shape saamne aati hai,woh dekhne laayak hoti hai...
haan,umr kam hone ki wajah se mere muscles completely grow nahi hue the par phir bhi sharir ka har cut puri tarah se visible tha...
a complete statue oriented body with a gifted 8 packs to go with it...
yahi wajah thi ki naa sirf NEW GIRL shocked thi balki mai aur mere saath mere is sharir par bhi uska,sirf uska hakh hai,ye khayal pehli baar jaaga tha uske dil me jisne uske andar ek gudgudi paida kar di thi...
khair,agle kuch seconds me woh white half sleeve t-shirt mere upper body se chipak chuki thi...
slim fit t-shirt hone ki wajah se meri body figure saaf numaya ho rahi thi us kapde me...
upar se rang kaafi saaf tha mera isiliye kaafi janch rahi thi woh t-shirt mujhpar...
NEW GIRL aur MAA, dono ko aankhon me dikh rahi taarif saboot thi is baat ka...
ASHA MAA-rook beta...teri mooh dikhayi laayi mai...
turant uth paas rakhi almari ki taraf badh gayi thi MAA...
MAI-arre...ye...
MAA ke mudte hi NEW GIRL ne mujhe apni taraf kheench liya tha...
DIMPLE-ye t-shirt sirf mere saath rehne par hi pehenoge tum...akele ya doston ke saath outing me nahi...
MAI-hahaha...ab kaun jhali hai,batao zara...!!!
ASHA MAA-aankhen band kar beta...
meri baat sun mujhe aankh dikhane hi lagi thi NEW GIRL ki tabhi MAA ki awaaz aur baat sun hadbadate hue tezi se aankhein band kar li thi usne...
ASHA MAA-haan,ab khol...
apne gale me kuch thanda sa mehsoos kiya tha NEW GIRL ne jisse aankhen khulte hi dekh thodi hairan hui thi woh...
ek chamakti hui sone ki chain latak rahi thi uske gale me...
ASHA MAA-arre waah...ye toh wakayi tere gale me bohot sundar lag rahi hai...
DIMPLE-par MAA... it's too costly...itni mehengi gift kaise accept kar sakti hun mai...!!!
ASHA MAA-mehengi...!!! beta ab woh haalath nahi rahe warna tujhe toh mai tohfon se nehla deti...
aur waise bhi maa ke tohfe uska aashirwad hote hain...aur aashirwad kisi bhi roop me mile,khushi khushi le lena chahiye...
MAI-ye ANI bhi naa...kuch samajh nahi aata toh mera hi magaj khaayegi ye...
mera mobile vibration me rakha tha maine jiske display par is waqt ANI ka number chamak raha tha...
ye third call tha uska...
ASHA MAA-ANI ko kya hua aur aaj usse bhi saath kyun nahi laaya tu...???
MAI-ghar par MAA ke saath hai woh...decorations ke equipments nikaal rahi thi...
ussime atki hogi kahin...aap dono baat kijiye...aata hu mai...
ANI ka call utha usse baat karte hue room se nikal chuka tha mai...
KYA HAAL HAI CHOTE...!!! HANDSOME TOH BADA HO GAYA LOUNDE TU...
ANI se baat karte hue wapas ashram ke front side aa gaya tha mai...
convo complete kar phone apne jeb me rakh hi raha tha mai ki tabhi mere kaano me ek purani jaani pehchaani awaaz padi...
RAHUL BHAIYA...RAHUL THAKUR...hamare super senior the ye jo saamne se meri taraf aa rahe the...
SAM se pehle yahi champ the hamare school ke...filhal U.T se apni higher study kar rahe the...
kaafi down to earth banda tha ye...isiliye kaafi respect karta tha mai inki...
inke school daur me kaafi chota tha mai par khopdi meri tab bhi bohot garam hi rehti thi...
ek do aise mouke aaye the jab inke liye inke rivals se bhid gaya tha mai..kaafi pasand karte the bhaiya mujhe...
yahi wajah thi ki mujhe dekhte hi turant aaye woh mere gale laga liya mujhe...
MAI-arre RAHUL bhaiya...long time haan...kaise hain aur idhar kaise...!!!
RAHUL-mai toh badhiya hun chote...yahan paas hi mere dadi ka ghar hai,milne aaya tha...
wapas city jaa raha tha toh socha, pehle ek baar yahan aa jaaun... bachpan ki chuttiyon me kaafi waqt guzara hai maine ashram ke play ground me...
ab tu bata,kaisa hai tu... SIRIUS me hi hai naa...!!!
MAI-ji bhaiya...
RAHUL-suna hai,is baar national level par direct selection ke level ka sports competition hone waala hai and the special guest is our very own legend...MR JAIDEN CHOWDHARY...!!!
MAI-sahi suna hai bhaiya...saare super seniors ko 26th me f.b ya dusre net communications ke through invites jaane shuru ho jaayenge...
aapke paas toh pahunchna hi hai...
RAHUL-par aa nahi sakunga yaar...next weak se mere college me exchange program chaalu hone waala hai...
boston university me one month tak padhne aur new subjects par research ka mouka milega...
mera bhi selection hua hai...
MAI-aapka toh hona hi tha bhaiya...
ARRE RAHUL...KAB AAYE...???
ek acharya the ye jinhe dekh bohot khush ho gaye the RAHUL BHAIYA...
RAHUL-pranaam acharya...
MAI-mai nikalta hun bhaiya...
RAHUL-kahan...???city hi jaa raha hai naa...!!!
MAI-jee bhaiya...
RAHUL-toh rook na thodi der...saath chalte hain... school me hamari bikes par hamesha haath firaya karta tha tu...
tab toh chota tha isiliye kabhi allow nahi kiya tujhe...par ab toh koi ristriction nahi...
cbr 1000 khadi hai bahar meri...tu chala liyo...
MAI-phir kabhi bhaiya...aaj saath aaya hun kisike...
RAHUL-koi naa...milte hain phir...tere f.b page par number share karta hun apna... contact me rahiyo...
MAI-sure bhaiya...bye...
DIMPLE-chalen SANVY...
rahul bhaiya se baat kar mai wapas ASHA MAA ke room waale gallery me pahuncha hi tha ki tabhi saamne se NEW GIRL ke saath MAA aa rahi thi...
MAI-haan chalte hain...waise bhi ANI ko koi samaan mil nahi raha... mujhe hi nikaal kar dena hoga...
MAA,24th ko early morning aapko lene aaunga aapko...aur ab,aap wapas apne room jaayengi...
ASHA MAA-arre...bahar gate tak toh chhodungi hi...
MAI-bilkul nahi...aaj ka walk ho chuka hai aapka...ghutno par zyada stress dena sahi nahi...
DIMPLE-kabhi same theory khud par bhi apply kar diya karo...!!!
ASHA MAA-bilkul karega...nahi toh khaayega mere se..
MAI-advance abhi hi de do...
gaal aage kar diya tha maine jispar halka aur prem bhara apna haath fer diya tha MAA ne...
jaane ka waqt ho chala tha isiliye maine aur NEW GIRL dono ne pair chhu liya unka...
hum dono ko ek ek baar phirse gale lagaya unhone apne jiske baad wapas jaane ke liye palath gaye hum...
CRRRR....
abhi hum ashram ke main gate se nikle hi the ki tabhi saamne bichi chowdi sadak ke dusri taraf se badi tez half drift karte hue ek laal FERRARI ruki thi...
waise hi gaadi apne aap me anokhi thi uspar jis andaaz me ruki thi woh,road ke aas paas khade sabhi logon ki nazar automatically uspar tik chuki thi...
THAKKK...
us ferrari ka driver door open hua aur jaise hi agle pal uske andar baithe shaks ke pair car se bahar nikle...
DIMPLE-MOM...
ek surprise tone ke saath us shaksh se apne rishte ki pushti karne ke baad NEW GIRL unki taraf badh chuki thi...
wahin dusri taraf...
ARCHANA BATRA...one of the top most industrialist of our country...
white black check parallel VERSACE ki professional/casual shirt,neeche blue VAN Heusen ki pointed trouser,OAKLEY ke super costly eye glasses,pairon me SAINT G. ke ankle boots pehne pehli baar mere saamne thi apne aap me the one and only ARCHANA BATRA...
mid forties me thi apne NEW GIRL ki MOM par dudhiya rang me lipti ARCHANA BATRA kisi bhi young professional aur international model se kam nahi lag rahi thi...
hight meri MAA jitni hi thi matlab lambi thi woh aur face par confidence, attitude,ego but most importantly, winner ka bhaav saaf jhalak raha tha...
khair,apni beti ko dekh ek bright smile naach uthi thi unke face par aur jaise hi NEW GIRL paas pahunchi unke aur pair chhune lagi apne MOM ki,ek surprise look ke saath half way me hi rok liye unhone usse aur apne saath laga side hug diya NEW GIRL ko...
DIMPLE-MOM aap yahan...!!!
ARCHANA-apni beti se milne ka dil kiya,so aa gayi...
DIMPLE-mujhse milne ka...now that's a surprise...
ARCHANA-surprised toh mai hun...aap kabse gesture me pair chhune lag gayi...!!!??? that's new...
but i guess,phone par jiski taarif karte aapki zubaan nahi thakti,ye asar bhi ussika hai...
right SANVY...
MAI-hello aunty...
us ferrari car ko dekhne ke beech ab tak paas pahunch chuka tha mai aunty aur NEW GIRL ke aur aunty ki baat sun bas muskurate hue maine pair chhu liya unka...
ARCHANA-hello beta...toh aap hain the hidden volcano of talent and the raw diamond...
hamari beti baatein karte nahi thakti aapke baare me...
waise i must say,pic bheji thi aapki DINGLI ne par saamne se zyada handsome hain aap...
MAI-dingli...!!!
DIMPLE-mom...!!!
ARCHANA-what...!!!ab tak apna pet name nahi bataya tha aapne SANVY ko...
shuru se hi ucchal kood ka bohot shouk raha hai is ladki ko, isiliye hum isse DINGLI bulate hain...
MAI-hahahaha...nice...ab se mai bhi bulaunga...
DIMPLE-stop it SANVY...waise mom,maine toh ghar me staff ko kuch bataya nahi tha... phir aapko kaise pata ki mai yahan hun...
ARCHANA-common...ab ye kaisa sawal hua...aap kab kahan aur kiske saath rehti hai,ye toh mujhe pata hi hoga naa...
kyun SANVY...!!!
MAI-ofcourse...
waise bhi,12 textile units in 6 countries,20 world renown hotels in 10 countries,gold mine in africa,exact location,Tanzania,20 proccesed food manufacturing factories in INDIA and MALAYSIA,BATRA CRUISE SHIPS to MALAYSIA,MALDIVES, MAURITIUS AND SINGAPORE...
itne heavy competition ke beech aaj tumhari mom in saare business ke top par hain..
how...???by keeping one eye on self business and the other one on the competetors...
jo gairon par itna dhyan de sakti hain,unki apni beti par toh nazar hogi hi naa...
NEW GIRL ki MOM ke aankhon me maine khudko tatolne waale bhaav dekhe the...
isiliye aisa jawaab diya tha maine jisse sun jahan ek taraf NEW GIRL toh bas smile dene lag gayi thi wahin dusri taraf ek pal ke liye ARCHANA BATRA apne business par mere itne exact details ko sun pehle toh thodi hairan hui par turant apne woh surprised bhaav chuppa liye the unhone...
ab bhai,choti moti personality toh thi nahi woh jo itni jaldi impressed ho jaaye mujhse...
ARCHANA-nice...but beta, mere baare me pata karna,ye toh bohot maamuli si baat hai...
i am a public figure after all...maine gour kiya tha ki hamare paas aate waqt aapki nazar is car par thi...
so,do you know anything about this road bird or baaki logon ki tarah bas iske naam se waakif aur outer looks ke murid hain aap...!!!
DIMPLE-mom ye...
MAI-its ok...aapke jitna toh nahi aunty,par jitna pata hai,bata deta hun...
Ferrari 812...price,5 crore 20 lakhs... right now,india ki best ferrari model hai yeh 2 sitter monster...
single variant me aati hai ye model.6496 cc with single transmission that goes with 7 gears and paddle shift,sports mode...
kerb weight of 1630 kgs...
engine type v12-65...
max power of 789 bhp which produces 8500 rpm...
torque 718 nm which produces 7000 rmp...
one hell of a beast...
car ke chaaron taraf ghumne ke beech usse halke haathon se touch karte hue saare speculations batane ke baad sir saamne ki taraf utha mera...
NEW GIRL ke face par toh ek bright smile thi aur uski mom ke chehre par ek baar phirse shocking bhaav the jinhe chhupane me abki baari thoda waqt laga unhe...
waise bhi,jitna dikhaya tha maine,shayad kisi aur ko impress karne ke liye beshak kaafi ya zyada bhi ho sakta tha par saamne ARCHANA BATRA khadi thi...
apni competitive world me najaane kaise kaise champions se mili hongi woh...
aise me itni jaldi kisi ka loha maanana,asaan toh hone se raha ye...
kuch pal mujhe dekhne ke baad wapas apni beti ki taraf ghumi aunty aur...
ARCHANA-us bike par aaye ho aap dono...???
ashram ke just bahar hamari pulsar 220 khadi thi jahan ARCHANA BATRA ke entry ke time khade the hum dono...
ussiko point kiya tha unhone...
MAI-jee...
ARCHANA-acha ek batao beta...hamare mansion se is ashram ki duri 50 kms hai...
exactly 7.15 ko nikle the aap dono hamare ghar se...7.26, highway me the aap dono...
7.40 me aap dono exactly 20 minutes ke liye highway me hi ruke the...
uske baad yahan tak toh aap dono bade araam se pahunche ho par that ride between 7.26 to 7.40...
kareeb 28 km ki doori aap dono ne 14 minutes me cover kar li thi...how...???
DIMPLE-SANVY...!!!he loves speed...bohot tez aaye hain hum par riding bilkul bhi rough nahi hai iski...
its like a natural gift for him...
ARCHANA-really...!!!ye baat toh common ho gayi phir hamare beech...
i too love speed...chalo phir,ek race ho jaaye...tum apni bike par aur hum meri car me...
DIMPLE-mom...ye kaisa mazak hai...???
ARCHANA-arre just for fun... waise bhi,mai bhi toh dekhun ki daughter of ARCHANA BATRA,DIMPLE BATRA jiska murid har woh shaksh hua hai jisse mili hai woh...
woh khud jiski fan ho rakhi hai,kaisa hai woh shaksh...???
NEW GIRL jaanti thi ki uski mom ke challenge se back out karunga nahi mai par ek sach ye bhi tha ki ye race logical kahin se bhi nahi thi...
kahan ferrari 812 aur kahan pulsar 220...
DIMPLE-common mom...race ke liye vehicle bhi takkar ki honi chahiye naa...
MAI-that won't be a problem...aur tum relax karo...the race is on aunty...bas ek minute...
ashram ki taraf dekhte hue kahi thi apni baat maine aur phir ussi taraf badh gaya...
wahin mujhe limp karte hue jaate dekh...
ARCHANA-ye limp kyun kar raha hai...???
DIMPLE-chot lagi hai uske pair par...
ARCHANA-oh...then we should drop the idea...
DIMPLE-ye challenge karne se pehle sochna chahiye tha aapko...
SANVY never backs out of any challenge and mind you,he always comes out winner...
jis confidence se apni baat boli thi DIMPLE ne,uski mom hairan hokar dekhne lagi thi usse...
ARCHANA-maana ki mai aapki mom hun par kya meri identity bhi bhool gayi aap...
ARCHANA BATRA koi challenge seriously kare ya mazak me, jeet hamesha meri hi hoti hai aur phir yahan toh koi competition hi nahi hai...
DIMPLE-we will see mom...
abhi bhi bina naam liye hi SANVY ke liye wahi confidence tha DIMPLE ki tone me jisse sun ab man hi man thaan liya tha ARCHANA ne ki ab ye race badi humiliating way me harane waali thi woh SANVY ko...
WROOOMMMMM.......
bike ki is tez engine noise se nazar NEW GIRL aur uski mom ki us awaaz ki taraf gayi jahan is waqt mai moujud tha...
par ab meri sawari pulsar nahi balki RAHUL bhaiya ki red CBR 1000 thi...
DIMPLE-ye bike...!!!
MAI-pehchaan waale ki hai...woh meri bike lekar aa rahe hain...so aunty, let's begin...
ARCHANA-nice bike beta...par race jeetna bikes ya car par nahi,unhe chalane waale par depend karta hai...
MAI-par race hoti toh bikes aur car me hi hai na aunty...waise bhi,ye bike race jeetne ke liye nahi, aapke car ki respect me chala raha hun mai...
ab pulsar ferrari se race karti achi toh nahi lagegi naa...
bohot calm tha mera face jisse bade dhyan se dekh rahi thi aunty...race ke liye haan keh diya tha maine par isse jeet unhe impress karne waali determination nahi dikh rahi thi mere face par...
DIMPLE-mai...
MAI-haan,tum aunty ke saath hi jaao...city colony ke bahar wait karunga mai...
mere saath aana chahti thi NEW GIRL jisse offend ho sakti thi uski mom...
isiliye hi uski baat shuru hote hi kaat di thi maine aur NEW GIRL is baat ko samajh bhi gayi thi...
halke smile ke saath mujhe all the best ka thumbs-up kar car ki passenger seat par baith gayi woh...
wahin dusri taraf bike ke saamne right mirror par red black helmet jiske andar hand gear bhi rakhe hue the,nikaal pehene maine aur helmet sir par daalte hue ek baar aunty ki taraf dekha jo mujhe hi dekh rahi thi...
AUNTY-you can take a head start...
MAI-thanks for the gesture aunty par race ek hi line se ek hi waqt me agar shuru na ho toh phir race kaisi...!!!???
AUNTY-i like your confidence beta... let's see,tumhara hunar tumhare confidence ko match kar sakta hai bhi ya nahi...
car me baith chuki thi aunty jiske 10 second ke andar hi unki ferrari aur meri cbr aage badh chuki thi....
VROOMMMM....
ab rpm ke hisaab se cbr ki kya hi haisiyat thi ferrari ke aage...yahi wajah thi ki 10 seconds ke andar hi 30 metres se zyada ka fark already ho chuka tha hamare beech...
Ferrari aunty ke daksh haathon me badi tezi se mujhse aage nikal chuki thi par tabhi aaya ek diversion jisme badi tezi se mood gayi meri bike...
wahin aunty joki back view mirror me ek bright smile ke saath mujhe piche hota hua dekh rahi thi,jab unhone mujhe yun ek new way me mudte hue dekha toh halki surprise ho gayi...
same chiz NEW GIRL bhi center mirror me dekh rahi thi...
ARCHANA-ye SANVY kahan gaye...!!!hume aage nikalta dekh race ka idea drop kar kahin chill karne toh nahi nikal gaye...
DIMPLE-jo challenge se back out kar jaaye, that's not SANVY...jitne ache se aap apni beti tak ko nahi jaanti,usse behter woh in raaston ko jaanta hai...
har inch naapi hui hai uski...50 km ko 40 me badalna aata hai usse...
ek hi statement me apni MAA ko taana aur SANVY ki taarif,dono kar di thi DIMPLE ne jispar taane ko toh sire se ignore kar diya tha ARCHANA ne par shortcut waali baat dimag me chhap si gayi uski...
ARCHANA-40 kya,doori ko 30 me bhi badal de toh bhi race mai hi jeetungi...
ek kaam karo,yahan SANVY ka mobile number daalo...
apne car ka g.p.s tracking page khol jisse ARCHANA ne apni beti ka location track kiya tha, point kiya usne jispar kuch kehne ko hui DIMPLE...
ARCHANA-no argument...just do it...
halke tough tone me order sa diya tha ARCHANA ne jispar chuchaap display me dikh rahe gps tracker par SANVY ka number input kar diya DIMPLE ne...
uske aisa karne ke kuch palon baad hi N.H 48 diversion route ke upar red dot dikhne laga tha jisse dekh ek smile naach uthi thi ARCHANA ke face par...
ARCHANA-got you kid...
apne acceleration paddle par thoda extra pressure daal diya tha ARCHANA ne jiske baad aisi koi gaadi nahi thi jisse overtake kar aage nahi badh rahi thi uski ferrari...
ARCHANA-and we are here or should i say,only we are here...
apne posh colony par pahunchne se pehle jo turn aata tha,wahan ghoom chuki thi ARCHANA ki car...
is route par 3 kms tak bas ek hi straight road tha jispar ARCHANA aur DIMPLE dono ko kahin bhi SANVY aur uski bike nazar nahi aayi thi...
jahan ek confident aur winner smile ke saath apne colony ke entrance road par douda thi apni car ARCHANA ne wahin DIMPLE ke face par SANVY ke haar jaane ke kaaran ek nirasha saaf dikhne lagi thi jo uski mom se chhup nahi paayi thi...
ARCHANA-hota hai beta...kabhi kabhi hume ordinary bhi extraordinary sa lagta hai but as they say,"har chamkti chiz sona nahi hoti"...
DIMPLE-par kuch toh hoti hi hai...
ARCHANA DIMPLE ko hi dekh rahi thi jahan achanak hi facial expressions badal chuke the...
murjhaaye hue phool se DIMPLE ka face achanak hi 1000 watt ke bulb ko tarah chamak utha tha...
aur reason...
SANVY...joki unki colony ke just bahar lage bade se gate ke right side araam se bike par tik kar khada hua tha...
SANVY ko saamne dekh jahan ek taraf DIMPLE ki khushi ka thikana nahi tha wahin dusri taraf thi uski mom ARCHANA BATRA jinka mooh is baar shock control karne ke liye khudko kaabu me naa rakh paaya aur khul sa gaya...
ARCHANA-how...???g.p.s ke according aap abhi 3 km door hain...
MAI-correction aunty...aapke g.p.s ke according mera phone abhi 3 km door hai...actually 2.5...
DIMPLE-kisi aur ko de diya tha tumne apna phone... matlab you knew ki mom tumhare phone me through tumhe track karengi...!!!
MAI-ashram ke bahar kaha tha maine...ek aankh khudki taraf toh dusri taraf apne competetor ko taraf rehti hai aunty ki...
toh ab ye strategy bhala kyun change karti...right aunty...!!!
rahul bhaiya jinki ye bike hai,unhe yahan ka address diya hua hai...wahi meri bike aur mera phone lekar aa rahe hain is taraf...
ARCHANA-brilliant...i accept my defeat...bas do sawal hain mere...
first,jis raaste se left turn liya tha tumne... wahan se yahan tak ka approx distance kitna tha...
MAI-3 turns aur liye tha aunty aur distance 38 kms pada aunty...aapke pahunchne se bas 2 minute pehle hi pahuncha hun mai...
ARCHANA-20 minute me 38 km... matlab continously 120 se 150 ke beech chali hai bike...woh bhi normal se thode zyada traffic me...superb...
man hi man SANVY ki driving skill ka proper speculation karne ke baad uske liye ek baar phirse taarif nikli thi ARCHANA BATRA ke man me...
ARCHANA-maine yahan se tumhari bike ka distance 3 km bataya par tumne 2.5...why...???
MAI-the g.p.s system in your car...
it's PRIME TRACKING right...!!!
ARCHANA-how do you know...???
MAI-aapne bataya tha ki 7.15 ko hum aapke ghar se nikle the...aapki bas wahi baat sahi thi...
highway par hum 7.26 ko nahi balki 7.25 ko pahunche the aur highway par jo halt liya tha humne,woh 7.39 ko liya tha naaki 7.40 ko...
ek minute ka time difference aaya tha aapke calculations me aur ye difference PRIME TRACKING g.p.s locator ka one and only drawback hai...
par kyunki locations kaafi prefect show hote hain is tracker me isiliye zyadatar international brands high octane cars issi tracker ko apne g.p.s me install karte hain jo aapki car me bhi hai...
PEEPEPPP....
meri baat ka jawaab aunty deti ki tabhi humse thodi door pahunch khade RAHUL BHAIYA ne bike ki horn blow ki...
MAI-i will take your leave now aunty...bye...
DIMPLE-bye...
ek formal smile aunty ko dene ke baad ek love mixed farewell apne NEW GIRL ko diya maine jisse apni beintehan khubsoorat smile se aur acha bana diya tha usne...
bhaiya ki bike me baith unki taraf badh gaya mai...
kuch seconds unse baat karne me baad bhaiya ko thanks bol unki bike wapas unhe sounp ek baar phir palath NEW GIRL ko bye wave karte hue mai apni bike par baith bhaiya ke saath aage nikal gaya...
DIMPLE-chalen mom...
ARCHANA-haan, baitho...
DIMPLE toh wapas car me baith gayi par SANVY ko piche se jaate dekh ARCHANA BATRA ki nazar uspar hi tik chuki thi...
par challenge haarne ke baad face par jo ghussa dikhna chahiye, woh emotion nadarad tha...
infact ek alag hi smile naach rahi thi is waqt ARCHANA BATRA ke face par...
ARCHANA BATRA-SANVEER AHARYA...the PRODIGAL SON...
bewakufon se bhari saari duniya ki ABAADI HAI...
sirf akalmandon ko hi apne hisaab se rehne ki AZAADI HAI...
aise me tera dimag tere liye vardan hona chahiye tha magar...
khabar nahi tujhe ki tera ye hunar hi teri SABAB-E-BARBAADI HAI...
AAJ KE LIYE ITNA HI...
AAPKA APNA V...J...
Waiting for the next update