• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Genesis chronicles

Status
Not open for further replies.

Ritadanny

Well-Known Member
5,238
10,964
189
Hey y'all me ye kahani likhne ki kosis karne vala hu. Ye mera first time trying hai so if mistakes ho to I am sorry meri hindi itni acchi nahi so bich bich me khuch English words aaskte hai and ye story hinglish me hogy thank you
Congratulations 💐 aapki story k liye
 
  • Like
Reactions: Smith_15

Uni88

New Member
2
6
4
1.

Suraj dhalne laga tha.sehar ki sadko pe halka halka andhera Chane laga tha. Hazaro log se bhari street pe ek insaan chalta ja rha tha.vo is bhid bhad me jaise ghul sa gaya tha. Uski sharp aakhe hamesa aas pas ke logo pe rehti jaise khuch dhudh rha ho.thora chokanna ho ke vo bina ruke chalta ja rha tha. Vo apne aap ko sehar se dur hi dur jata mehssos kar rha tha . Par ye uske liye bhi accha tha kyuki vo jaha ja rha tha vo nahi chata ki koi uske piche aaye.


Apne sir ko thora sa hila ke vo dhire se baju ki galiyo ki tarf nikal gaya. Ye bhulbhliyo se bhari hui galiyo se vo ese ja rha tha jaise uska bhachpan yha gujra ho. Bar bar chokkana ho kar vo apni manzil ki or chalne laga. Use pata tha ki agar use kisi ne dekh liya to use us insaan ko marna pade ga jo ki vo avoid karna chata tha .





Sehar ka sor-saraba uske piche hi piche jata gaya . Jab vo sehar ke ek dum kinare pe aagya jaha is wakt insaan to kya insaan ka Saya bhi nazar nahi aarha tha.vo thora or aage badh gaya jaha band padi factorys ki ek line si lagi hui thi.ye sari factorys bite hue time ka itihas Bayan karti thi . Khbhi San se khari hui ye buildings aab tute hue dhanche se jiyda khuch nahi reh gaya tha. Badhte hue ped paudhe or tuti futi khidkiyo ne jaise ek udas mahol bana rhkha tha. Yha ki bhootiya kahaniya aaj bhi bacche apne ma baap se sunte the.

Thori dair vaha rukne bad vo savdhani se factory ki or badh ne laga . Uska har ek kadam socha samja or deliberate tha. Vo factory ke gate karib phocha uska har sens jaise ek or level jiyda ho gaya ho. Usne chukanne hote hue gate ke Handel ki or hath badhaya or jaise time Tham sa gaya usne har tarf nazar dorayi ki koi khatra ho to pata chal jaye . Jab usne gate khola to vo jang lage darwaje ki aawaj hall me gunj si gayi. Vo jaise aage badha to musty scent uske naak ko lagi. Chandni chat me pade dararo se niche gir rhi thi. Band padi hui machine pe gir kar jaise poorani bhootiya outlines bana rhi thi.



Factory ki bhulbhliyo se galiyaro se chalte hue vo factory ke bhot under tak phoch gaya. Khbhi khbhi chuho ki bhagne ki aavaje to khbhi khbhi band padi hui machinery ki jahnjnat uske raste ke sathi bane . Finally vo tute hue lakde ke bakso ke pas phoch gaya. Vaha phoch kar usne bakso ko side me hata kar pehle se Tay kiye hui tarike se diwar par khat khatana suru kar diya . Thori dair bad us diwar ke piche se aawaj aati hai. " Kaun hai " . "Musafir hu" insaan ne kaha. Under se wapis aawaj aayi " kya chate ho musafir " ek raat ke liye thehrna
chata hu us insaan ne kaha. Thori dair bad vo joothi diwar vaha se hat gayi .
 

Ristrcted

Now I am become Death, the destroyer of worlds
Staff member
Moderator
41,561
36,848
304
:congrats: for new story
Kahani interesting lag rahi hai
 
  • Like
Reactions: Smith_15
Status
Not open for further replies.
Top