Update ~~ 118
Jab mere parents ko pata chala tab unhone mujhse sare rishte tod diye. They did not talk with me. Mujhe college se nikalne ki bhi shikaytein ki gayi. Even mujhe abortion tak ke liye zor diya gaya kabhi teachers se to kabhi parents se jo sirf isi chiz ke liye phone karte aur iske alawa ek shabd nahi baat karte the. Mai janti thi ki ye faisla mujhe hi lena hai, mai thak chuki thi ye soch soch kar ki mere sath aisa kaise hua? Mujhe apne uppar pura bharosa tha ki maine kabhi aisa kuch nahi kiya jisna anjam ye ho par agar koi jeevan mere andar hai to mai ab use maar nahi sakti bhale hi duniya jo bhi kahe. Maine abortion na karane ka faisla kia aur uske baad hostel mein mera mazak banana aur tarah-tarah ki batein karna aam baat ho gayi thi. Warden ghanton mujhe apne room mein bula kar gandi-gandi batein karti thi sirf isliye ki mai sach bol dun, lekin mere pas sach bas itna hi tha ki mai nahi janti ki ye bacha mere pas kaise aya. Mai janti ki mera ek decision mere liye jeena durbhar kar dega. Kai din tak to mai apne kamre se bahar hi nahi nikli is dar mai ki log fir mere liye batein karenge, ajeeb nazron se dekhnge mano main koi bahut bada gunah kar diya hai. Us samay laga mano koi insan kisi insan ki takleef ko nahi samjhta, sab apni soch ko sahi mante hai. Mai himmat haar jati shayad par rekha jo meri ek matr saheli usne mera hath nahi chhoda. Hospital se jabse apne room mein ayi thi kabhi usne dubara ye nahi pucha ki mai kiske soi .. usne meri himmat badai, mera hath thame rakha, mera vo dhayan rakha jo mere parents ko rakhna tha. Usne mera wahan sath diya jahan meri mom ko mera dena chahie tha. Usne mujhe himmat di jiski wajah se mai dubara apne kamre se nikal payi, logon ki ankhon mein dekh kar chal payi. Usne mere aur mere pet mein pal rahe bache ka aisa dhyan rakhna shuru kiya jaise vo meri maa ho. Vo meri liye ladi, chahe teachers ho ya director ... chahe vo bache jo mere liye ulti sidhi batein karte the ya hostel ki ladkiya jo mujhe bully karti thi vo sabse ladi aur mujhe himmat milti gayi. Ab mujhe kisi ka koi dar nahi tha, mujhe bas apne bache ki chinta thi.
Takreeban che mahine beet chuke the, ab sabhi mere sath ghul mil gaye the. Hostel ki ladkiyan mere kamre mein akar mera khayal puchti, batein karti, sab badal raha tha. Mujhe laga jaise jaise us nayi zindagi ka ana kareeb hai waise waise log mujhe pasand karne lage hai sivai mere parents ke, vo abhi tak naraz the. Unhe lagta tha ki mujhe abhi bhi sach bolna chahie, vo meri us insan se shadi kara dena chahte the taki koi baat na kare lekin mai bhi unhe bata bata kar thak gayi thi ki mujhe nahi malum. Vo kehte the ki agar mera rape hua hai to kuch to yaad hoga? Par kaise yaad hoga..? Mere sath rape jaisi ghatna mujhe kuch yaad nahi. Kuch der yun hi dimag mein ye sab vichar ane ke baad maine mehsus kiya mere pet mein koi halchal hui. Mera bacha mujhe andar se laat maar raha hai. Vo feeling ne sab kuch badal diya, bhale hi ab jo bhi kuch hua, aage koi mujhe apnaye na apnaye, mere liye mera bacha hi sab kuch hoga.
College ki garmiyun ki chuttiyan khatam hone wali thi. Sab apne apne ghar chale gaye the, lekin mai nahi jaa sakti thi kyun ki mom ne ane se mana hi kar diya tha. Shayad unhe abhi samay lagna tha mujhe accept karne mein. Mai chahti thi ki rekha bhi chali jaye par vo nahi gaye aur mere pas hi rahi dekhbal ke liye. Maine use khub samjhaya lekin vo nahi mani ki mera satva mahina hai aur mujhe chhod kar vo nahi jana chahti. Par chuttiyun ke akhri hafte mein uske ghar mein ek durghatna ho gayi, uske papa ka accident ho gaya tha to maine zid karke use kisi tarah bhej diya waise bhi 2 din baad se hostel ki ladkiyun ka ana shuru ho jane wala tha jise mujhe dikkat nahi hone wali thi. Akhir kafi samjhane ke baad vo chali gayi, usi dauran hostel ki ek ladki Manju ki behen ki shadi thi. Waise to humne jane tha lekin rekha ke ghar jane ki wajah se idea drop karna pada. Par jab usne bahut insist kiya to maine socha ki chali jati hun aur jaldi wapis aa jaungi. Ye baat maine rekha ko nahi batai warna vo nahi jane deti aur akele hostel mein samay katna bhi mushkil ho raha tha. Isliye tayar hokar mai auto lekar nikal gayi thi, socha tha jaldi wapis aa jaungi. Manju mujhe dekh kar kush thi, takreeban ek mahine baad mili thi vo mujhse, usne apni family se mujhe milwaya. Mai janti thi ki wahan par log meri batein kar rahe hai lekin ab mujhe un baton se farak nahi padta tha. Fir usne mujhe apni behen se milwaya jo ki shadi ke jode mein behad khubsurat lag rahi thi. Usne mujhe apne sath hi baithaye rakha aur jab tak barat nahi aa gayi tab tak vo mujhse baatein karti rahi. Barat ke baad shadi ki rasme shuru hui to maine bhi socha ki thoda kha kar wapis ke liye nikal jaun. Maine manju se wapis jane ko kaha to usne mujhe bahut bola ki vo apne bhai ko bol degi vo mujhe chhod ayega lekin kisi ke ghar ki shadi ho aur wahan kisi ko pareshan karna sahi nahi to maine use dilasa diya ki mai chali jaungi.
Raat ke takreeban 10 baj rahe the, mai shadi ki jagah se thodi dur highway ke pas bus ka intezar kar rahi thi aur kuch hi samay mein mujhe bus mil bhi gayi. Bus mein jada sawari nahi thi lekin ye bus hostel ke najdeek jani thi isliye mere liye ek dum theek thi. Mai khidki ke pas baith gayi, thandi hawa chal rahi thi par fir bhi mujhe garmi lag rahi thi. Kuch hi duri par gaye the ki badalon ke kadhkhadat shuru hone lagi. Baarish shayad kisi bhi pal gir sakti thi lekin hume jada dur nahi jana tha isliye mai nischint hokar apne aane walle pal mein khoi hui thi ki dhire-dhire hawayen andhiyun mein badal gayi. Majburan mujhe khidki band karni padi. Bus abhi bhi usi raftar se chal rahi thi. Baithe baithe mujhe jhapkiyan lagne lagi aur abhi shayad ek jhapki ayi hi thi ki achanak se bus ne jhatke se break liya jise mai puri tarah se aage ki taraf giri. Shukar hai bhagwan ka ki maine aage wali seat ko pakad kar rakha tha warna na jane kya ho jata.
" bhaiya aram se.. aise kaun break lagata hai.. " mai hanfte hue turant boli. Mere sath kai aur log bhi bole.
" Madamji agar break na lagta to bus abhi samne takra jati.. vo dekhiye itna bada ped bich sadak mein achanak se gir pada hai.. aap log baithye, mai utar kar dekhta hun " conductor bol kar bus se niche utar gaya. Bus mein baithi sawari jhank kar samne dekhni lagi to maine bhi apna sar uthaya aur samne dekhne lagi. Bus ki headlight ki ek matr roshni se samne dikhai de raha tha ki ek ped sadak par aa gira hai.
Conductor aur bus driver bahar nikal kar ek dusre se baat-cheet kar rahe the, mausam bigadta jaa raha tha. Hawayein tez thi aur baarish kisi bhi pal gir sakti thi. Ab mujhe chinta hone lagi thi. Ek ajeeb si ghabrahat aur bechaini sharir mein daud rahi thi. Sans bhi thodi tez ho rahi thi. Maine apni nerves check ki to vo bilkul theek thi. Bas yun hi bechain hun, ye soch kar main dhime dhime sans lene lagi.
" ped girne se rasta band ho gaya hai, par aap log ghabraiye mat, purane raste se chalenge.. aap log aram se baithiye thoda samay lagega " conductor ne jab andar akar kaha to mujhe kuch had tak shanti mili par fir bhi ghabrahat man mein badal rahi thi.
Bus ko ghumaya gaya aur fir us purane raste ki taraf mod liya gaya. Samay 11 bajne wale the, takreeban ek ghanta ho chuka tha, hawa tham chuki thi. Maine turant khidki kholi jisne mujhe rahat di par tabhi pet ke andar aisa laga mano koi shararat hui ho. Maine hath laga kar dekha to kuch nahi mehsus hua. Mai kuch jada hi soch rahi thi shayad isliye sab mehsus ho raha tha. Purana rasta thoda kharab tha isliye bus bhi thodi jhatke le rahi thi. Maine apne hath majbuti se samne wali seat par rakhe hue the taki mai jada na hilu.
Bas kuch der aur.. kuch der aur.. yahi bole jaa rahi thi. Purana rasta thoda lamba tha, samay ho chala tha 12 baj kar 4 minute.. bas 10 minute aur lagenge.. ghadi mein samay dekh bas itna soch rahi thi ki bus achanak se ruk gai. Ab kya hua? maine sar utha kar dekha to driver kuch kosish kar raha tha. Kya ho gaya? Sab logon ne puchna shuru kiya aur kuch der driver ki kosish ke baad pata chala ki bus kharab ho gayi hai. Ab mere dil mein dar baithne laga, itni der raat bus kharab, hostel abhi bhi kuch dur tha..
" bus kharab ho gayi hai aur itni raat ko is raste koi milega nah theek karne wala, jis-jis ka rasta pass hai vo jaa sakta hai.. Warna subah tak intezar karna padega yahin.. " conductor ne to asani se keh dia.
Subah tak intezar? mere to man mein achanak se ghabrat badti gayi, maine bus mein nazar daudai ginti ke 10-12 log the, jisme se ek-aad mahina thi. Vo log apas mein baith cheet karne lage aur fir kuch log sabse pehle niche utarne ki taraf bade aur fir dekhte-dekhte sab.. Mai akele bus mein reh gayi thi, mujhe samajh hi nahi aa raha tha ki kya karun? Apni hi soch mein khoi hui thi ki achanak se conductor ne meri taraf roshni dali.
" are aap nahi utri? "
" mai.. bhaiya itni raat ko aise halat mein kaise jaun? " Conductor meri baat sun mere thoda najdeek aya. Uske hath mein torch thi, mera dil zoron se dhadak raha tha, usne mere chehre par roshni dalte hue mere pet tak roshni dali.
" to ap un logon ke sath utar jati.. raste mein asani rehti.. kahan jana tha apko? "
" medical college.. "
" medical college.. vo to jada dur nahi hai yahan se.. 15-20 minute lagenge.. "
" par mai akeli.. is raste se.. " mera man itna dara tha ki mai uthna nahi chahti thi.
" apko to pehle hi utar jana chahie tha .. vo log apko aage tak chhod dete waise dariye mat.. yahan se rasta jada dur nahi hai.. aage jakar vo pakdandi se nikal jayegi to sidha usi road par jayegi .. "
" itne andhere mein.. " maine bahar dekha to roshni ka katra nahi tha.
" mai apko thoda aage tak chhod deta hu wahan se apko jane mein asani hogi.. " conductor ki ye baat sun kuch sukun mila. " warna subah tak yahan rehna akele apko jamega nahi.. "
Maine socha to tha ki yahin baithi rahungi lekin mujhe aram ki jaruat thi aur yahan is mausam mein puri raat guzarana theek nahi samjha. Jada dur nahi tha hostel aur conductor adhe raste tak chhod dega ye sun kar thodi himmat aa gai thi. Maine uski baat mani aur bus se utar gayi. Conductor mere sath tha aur mai dhime-dhime chal rahi thi. Sadak ke dono taraf chote mote makan ya to fir ped-paude. Andhera shayad bizli na hone ki wajah se pasra hua tha. Takreeban 10 minute chalne ke baad vo ruk gaya.
" dekhiye aap yahan is pakdandi se nikal jaye.. " usne do gharon ke bich ki khali jagah ki aur ishara kiya jo bilkul andhere se bhara hua tha. Wahan dekh kar to mera dil hi seham gaya.
" Kahin mudna nahi bas sidhe chalte hue jana aur road aa jayegi "
" yahan to bahut andhera hai " maine ghabrate hue bola.
" darne ki jarurat nahi hai.. rasta ek dum theek hai. Mai apko chhod ata lekin vo kaalu ko meri jarurat hogi bus theek karne mei.. aap ye le lijeye " usne mujhe apni torch de di.
" iske paise.. "
" koi jarurat nahi .. aap aram se jaiye.. " vo bhala admi usne apni torch mujhe di aur wahan se chala gaya. Usko jata dekh mujhe aisa lag raha tha mano mera dar wapis mere sharir mein ghus raha ho. Mai wahan khadi idhar udhar dekh rahi thi, ajeeb sa sanata tha jo us andhere ke sath mujhe khaye jaa raha tha. Main us pakdandi ki taraf dekha jahan ke andhere ko dekh ek pal aisa laga mano koi ankhein meri taraf dekh rahi ho. Maine turant torch ki roshni samne dali to wahan kuch nahi tha, sirf ek kacha rasta tha aur uske dono taraf kuch nahi. Maire per uth nahi rahe the, dar shayad mere dimag mein asar kar raha tha ki tabhi bizli ki kadhakahat se mere hath kanp uthe aur torch hath se gir kar fisalte hue usi pakdandi ki taraf jane lagi. Dar ke mare jo cheekh nikli vo bizli kad-kadhane ki awaz mein hi kahin dab gayi. Sansein zor zor se chalne lagi aur ek ajeeb sa dard pet mein bhi uthne laga. Mai janti thi ki ab khud ke dar se jada mujhe apne bache ki chinta karni hai isliye maine turant apne dar ko hataya aur aage badh kar torch ko zameen se uthate hue mai us pakdandi mein ghus gayi.
Maine na dayein dekha na bayein.. bas roshni ko samne dale dhime dhime aage badh rahi thi. Halki halki thandi hawa sharir ki garmahat ko kam kar rahi thi. Tabhi torch par ek bund akar giri, baarish jo bahut der se ruki hui thi vo girne lagi. Abhi dhime-dhime ki baarish kuch hi minuton mein ek dum se tez raftar mein badal gayi.
Baarish dhuan dhaar hone lagi jise dekh maine thoda jaldi chalne lagi. Badan puri tarah se bhig chuka tha aur us raste par pani bharne laga tha. Baarish ki awaz aur andhere akelepan ka ehsas mere jee ko ghabra raha tha aur tabhi mujhe aisa laga ki mano pet mein ek dard utha ho. Maine us samay dhayan nahi diya lekin ek baar fir utha.
" aahh.... aah.. " maine pet par hath rakha, dard wahin uth raha tha aur dhire-dhire badhta jaa raha tha. Mai jaan rahi thi ki kuch gadbad hai par yahan ruk kar koi fayda nahi tha isliye per pani mein padta aur aage badhta chala raha tha. Bas kuch der aur.. dimag mein yahi sochte hue aage badh rahi thi par tabhi khishad mein per fanste hi mera santulan bigad gaya aur apne aap ko bachane ki wajah se torch wahin gir gayi. Ek samay ke liye ghup andhera cha gaya. Maine pehle khud ko sambhala aur fir ek dum se jhuk gayi ek pal ke liye bhul hi gayi thi ki mere pet mein bacha hai, shayad dar kai baar soch par havi ho jata hai. Mai dard mein karhai par bina torch uthaye nahi uthi.
" aaaahhh ... aahhhh... " pet mein dard hone laga tha. Baarish ki awaz kano mein gunjne lagi thi, charon taraf andhera aur vo baarish. Maine khud ko us pal mein sambhala aur torch jo khichad se san chuki thi use chalu kiya lekin vo on hi nahi hui. Musibat aur badh gayi thi. Maine use kai baar khol band karke chalu karne ki kosish ki lekin vo on nahi hui. Samay jada lag raha tha jo vyarth wahan tha, mujhe jaldi se jaldi hostel jakar madad leni thi kyun ki dard badhta hi jaa raha tha isliye mai raste ka andaza lagate hue dhire-dhire aage badhti gayi. Tez mujhse ab chala nahi jaa raha tha, kuch duri par chalne ke baad mai sadak par aa gayi thi. Ab laga tha jaise jaan mein jaan ayi ho lekin ye hostel ya college ka rasta nahi lag raha tha. Andhere ki wajah se ya fir sach mein? Kuch soch kar mai aage badhi, dono taraf kuch nahi sivai ped paudhon ke.
"aaahh maa.a.. " dard bahut jada badh gaya tha aisa lag raha tha mano bacha abhi bahar ana chahta ho. Par ye mumkin nahi tha abhi sath mahine hi hue the lekin jaise taise mai aage badh rahi thi dard badhta jaa raha tha. Aur ab bardasht nahi ho raha tha, sadak bilkul sunsan thi aur baarish zor-dar thi. Dard ki wajah se mai aur dhime hoti chali jaa rahi thi.
" aaahhhh nahi.. ab nahi chala jaa raha.. ab nahi chala jaa raha.. " mujhe laga mai wahin sadak par behosh ho jaungi kyun kis ab kuch ghumta hua dikhai de raha tha ki tabhi nazar thodi dur sadak kinare padi
Mai us taraf sadak ke kinare chal padi aur wahan pahunch kar ek khandar sa dikha, thand lag rahi thi, kamjori mehsus ho rahi thi, andar jane ka dil nahi tha lekin aisa laga mano sharir se tez dhara mai pani nikal gaya ho.
" water bag... no.. no.. " mai fauran us khandar mein ghus gayi. Wahan ghup andhera tha aur na jane kya kya saman pada tha. Maire mein chalne ki himmat nahi thi aur cheekhein ruk nahi rahi thi. Maine chizein tatoli aur kisi tarah ek kone mein jakar baith gayi. Baithe sath hi maine apni pajami utar fenki kyun ki mujhe pata tha ki bacha ane wala hai ab.
" aaaahh uff... aahhh ... " ankhon se ansu aur cheekh ke sath puri takat laga rahi thi lekin bacha bahar nahi nikal raha tha. Dar ne sharir ko jhanjhot diya tha, maine socha nahi tha ki kuch aisa hoga. Mujhe is dard se jada apne bache ki chinta thi, kyun ki agar vo bahar nahi aya to shayad na bache.
" koi haiiii.. please helppppp.... " mai umeed mein cheekhi ya fir dar ki wajah se nahi janti lekin maine puri kosish ki. Ek pal ke liye ankhein band hone lagi aur dekhte dekhte mai behoshi ki halat mein chali gayi aur hath sidhe torch par jaa laga jo fisalte hue ek kone mein deewar se lag kar thak-thak karne lagi. Ek matrr awaz jo mere kano mein padh rahi thi.
Achanak se meri ankhon par ek roshni padi mano koi mere chehre par maar raha ho. Roshni ko ek dum se patta dekh meri ankhein halke hosh mein khuli to paya jaise samne ek ajeeb si chiz torch liye khadi hai. Mai ek dum se hadabda kar uthi to paya samne koi nahi tha lekin ek roshni wahan maujud thi jo us torch se nikal rahi thi. Abi us jagah ke bare mein kuch soch pati achanak se dard ho utha aur is baar aisa dard hua ki jaise sharir ke sari hadiyun ko toda jaa raha ho. Kandhe par kisi ka bhoj sa laga aur tangein aur jada khul gayi. Mai zor-zor se cheekh maar rahi thi. Mere hath khoon se san chuke the, bas kisi tarah apna bacha bahar nikalna chahti thi aur tabhi mujhe mehsus hua ki uska sar bahar aa raha hai aur fir ek akhri kosish aur mera bacha mere hathon mein aa chuka tha.
Maine fauran usko apni ankhon ke samne kiya lekin vo shant tha. " Nahi nahi nahi.. nahi.... " maine use fauran ghumaya aur uski pith malni shuru kar di.
" nahi nahi. nahi.. nahi... " par uske sharir mein koi halchal nahi thi. Maira dil baitha jaa raha tha, maine use fauran sidha kiya aur muh se usko sans deni shuru kar di lekin uspr koi asar nahi ho raha tha. Maine uski chatti behad aram se dabai taki vo uthe, roye.. lekin nahi ho raha tha kuch nahi ho raha tha. Maine use apne sine se lagaya aur zor-zor se rone lagi. Haar man rahi thi lekin nahi manni thi, bacha hai mera.. Mujhe kisi bhi tarah madad chahie thi, uthna tha mujhe.. Maine apni puri takat uthne mein laga di aur kisi chiz ka sahara lekar main khadi ho gayi. Dard ne shayad puri matra mai mere sharir ko jhinhjhod diya lekin mai ruki nahi, uth khadi hui. Uthate sath hi maine ek kadam aage badaya aur jaise hi piche liya shaara chhoda tab ehsas hua mano sharir mein koi jaan hi na ho, achanak se sharir ladkhada gaya aur mera bacha hath se chhut gaya. Chhute sath hi vo sar ke bal samne rakhi chiz se takraya aur mai bhi piche ki taraf jaa giri. Girte sath hi bache aur meri jo naal thi jo mujhe katni chahie thi vo tut gayi. Mai sidhe farsh par sar ke bal giri aur fir behoshi mein jane lagi. Behoshi mein jane se pehle sirf ek hi chinta thi mera bacha.. lekin sharir mein koi himmat nahi thi. Mai zameen par pade khoon mein thi, samne torch fisalti hui dusri taraf jaa rahi thi aur ankhon se roshni band hoti use pehle ek rone ki awaz ayi jiske baad mai behosh ho gayi.
Na jane kitni der behosh rahi, par ek awaz jo kano mein jaa rahi thi usne meri behoshi todi. Maine apni ankhein kholi to khud ko khoon ke ghattar mein khud ko paya jo wahan faila hua tha. Par uski chinta kare bina maine us rone ke shor par dhayan diya. Maine fauran apne bache ko uthaya jo zor zor se roo raha tha. Mere hath per sabhi kanp rahe the. Maine turant wahan torch khojne lagi jo band padi thi isliye mujhe wahan kuch dikhai nahi de raha tha. Hathon ki chap-chapat bata rahi thi ki kitna khoon pada hai, mujhe behad chinta ho rahi thi kyun ki bacha mere hath se gir gaya tha. Maire ansu nahi tham rahe the.
Muskhkat ke baad mujhe torch mili aur ek do baar kosish karne ke baad vo jal gayi. Torch ke jalte sath hi maine use apne bache par dali, vo khoon se sana tha, maine uske sar ko chuha to mujhe laga nahi ki use kahin chot lagi hai. Fir maine uski nabi ko dekha jahan uski cord use judi thi yani meri taraf se tuti thi isliye itna jada dard tha mujhe.
" tum theek ho.. tum theek ho.. " meri sans mein saans ayi jab maine use theek paya. Ek maa hone ka ehsas jo mujhe andar se ho raha tha use mai kisi ko nahi samjha sakti thi. Maine use apne sine se lagaya aur wahin baithi rahi. Torch ko maine wahin chhod diya, andhera nahi hone dena chahti thi lekin uthne ki himmat nahi thi, na is jagah ke bare mein jada sochna chahti thi. Mere kandhon mein aur takhone ke theek uppar bahut jada dard tha shayad utna dard sharir ke kisi bhi hisse mein nahi tha. Lekin ab sare dard mayine nahi rakhte the kyun ki meri bachi mere sath thi. Meri 'Aaruhi' mere pas thi. Maine apna kapda uppar se fada aur usko lapet kar apne sine se laga liya aur piche ka sahara lekar wahin baithi na jane kab ankhein band ho gayi.
" Jab hosh aya to hospital mein thi, aaruhi ek dum theek thi, cord tutne ki wajah se mjhe infection ho gaya tha. Par hum dono ke girne ki wajah se na to aaruhi ko kuch hua tha na hi mujhe sivaye mere kandhon par aur takhne ke uppar nishan the. Mano kisi ne kitni zor se unhe dabaya ho.. uske alawa kahin koi chot nahi thi " urvashi chup ho gayi.
" fir? " shruti ne pucha.
" fir.. fir .. maine socha tha ki aaruhi ke liye apna medical chhod dun lekin hostel ki ladkiyan aaruhi se alag nahi hona chahti thi aur unhone uska aisa dhayan rakha ki maine medical complete kar li aur fir vo shehr chhod diya. Papa ki death ke baad mom mere pas hi aa gayi, unhe apni galti ka ehsas tha ya fir aaruhi ka ehsas jo unhe uske pas khinch layi aur unhone use aisa pyar diya jaise vo uski maa ho aur isi wajah se mai aage padh payi. Nagpur akar ache padosi bhi mil gaye to kabhi koi dikat hui hi nahi "
" Yani uncle apko nagpur mein mile? "
" nahi... us raat unhone hi mujhe us khandar se nikala tha "
" kya? "
" hmm.. wahi mujhe hospital laye.. aur unhone hi mujhse shadi ki.. aaruhi ko apni beti mana.. "
" wao.. mujhe nahi pata tha ki aisi bhi koi story hogi.. "
" life bahut mysterious hoti hai beta.. hum jo dekh lete hain use sach mante hai. Asal mein sach to hamare bhetar kahin chupa hota hai "
" Aunty sorry to ask you.. but apne kabhi nahi socha ki aap pregnant kaise... " shruti ne jhijhakte hue pucha.
" sorry ki koi baat nahi hai beta, par us baat ko soch kar kya faiyda? Mujhe meri Aaruhi mil gayi uske baad kabhi socha hi nahi. Par han jo baat mujhe hamesha hi yaad rahegi ki jab dr ne kaha ki aaruhi pre-mature hai lekin uska koi asar nahi tha. Even vo more healthy bachon se bhi jada strong thi aur dusri vo jagah jahan uska janam hua. Vo khandar kabhi nahi bhulungi.. "
" Aisi jagah par aaruhi paida hui... no doubt use ye sab pasand kyun hai.. maybe apne use kabhi bataya ho ki vo khandar mein paida hui thi islie vo aisa sab sochti hai "
" Han.. tum keh sakti ho lekin us khandar ki story use nahi malum "
" matlab? "
" Kahani hai suni sunai.. nahi janti kitni sach hai kitni nahi.. par logon ka manna tha ki vo khandar safe nahi hai. Vo atript atma thi udhar, vo khandar darasal ek factory hua karti thi jahan par ek din kisi ladki ki lash mili aur uske baad us factory mein wahan kuch workers ki mautein hone lagi jiske baad us jagah ko band kar diya gaya aur vo khandar mein tabdeel ho gaya. Par agar sach mein aisa kuch tha wahan to us atma ne mujhe kuch kyun nahi kiya? Isliye mai in sab chizon ko afwa hi manti ho aur jab tumne mujhe college ki baatein batai to ek pal ke liye dar gayi thi par socha ki kahaniyan har jagah hoti hai aur hum kisko sach mane vo mayne rakhta hai "
" hmm..par aunty apne fir aaruhi ko ye sab kyun bataya? "
" Batane ki jarurat nahi padi.. she read my diary.. but vo abhi gusse mein hai.. shant ho jayegi to usko realize ho jayega.. I think you should also rest now.. " urvashi ne shruti ke kandhe par hath rakha aur vo wahan se chali gayi. Shruti ne use jatte hue dekha aur fir vo aaruhi ke kamre ka darwaja khol usme dakhil ho gayi. Use umeed thi ki aaruhi so rahi hogi lekin aisa nahi tha. Vo apne kamre ek kone mein zameen par baithi thi. Shruti uske pas gayi aur uske samne ghunte ke bal jaa baithi.
" hey my girl.. " shruti ne uske balon ko sehlate hue kaha to aaruhi ne sar utha kar uski taraf dekha. Uski ankhon mein abhi ansu the, vo shruti ko ghur rahi thi, shruti use dekh muskurai.
" sab theek ho jayega.. mai hun na.. " usne uske kandhe par hath rakha aur fir dhire-dhire uske chehre par le ayi. " jo bhi tumhari mom ne kiya aaj usi ki wajah se tum ho.. hai na.. ? "
" mujhse baat nahi karegi, aaruhi.. nahi karegi.. " shruti ne apni pakad aaruhi ke chehre par majbut ki aur uski gardan ko kaste hue uska sar aage karke piche deewar par de mara. Ek baar, do baar aur fir tisri baar.....
Itni zor se lagne par aaruhi behoshi mein jane lagi aur uska sharir aage ki taraf girne laga lekin pura girta use pehle uske hath mein bandhi chain ki wajah se ruk gaya. Sar jhuka hua tha aur ankhon ke aage andhera chaya hua tha. Kaano ke piche se khoon nikalta hua zameen par aa tapka. Khoon ke girte hi shruti ne use ungli se uthaya aur apne muh mein ungli daal kar chus liya.
" wake up - wake up.. girl... reality main ane ka samay ho gaya hai.. "