...GULAAB KA PHOOL...
Aaj pir main interview me fail ho gaya tha, ye koi nayi baat nahi thi mere liye, ab to na sun ne ki aadat si ho gayi thi.
Job na lagne se ek aur aadat lag gayi thi wo thi pitaji ki galiya sun ne ki
Apni aadat ke hishab se interview me fail ho gaya. aur Muze job nahi mili ye bat mere pitaji ko bata kar galiya sun na baki tha. Tab jakar mera interview pura hota tha.
Pitaji ki galiya sune bina raat ka khana milne vala nahi tha. Agar main abi ghar gaya to dopehar ka khana milenga par raat me sone tak galiya milengi. Is se acha ye hai ki dopehar ka khana bhul jau aur sida sham ko ghar chala jau, khane ke sath thodi galiya kha kar so jaunga ,haa ye tik rahenga.
Par din bhar rahunga kaha.kis ke pass jaunga ,mere dost bhi to job ki talash kar rahe honge.
Par aise ghum bhi to nahi sakata hu, hant me certificate ki file ,formal kapde, champu ki tara hair style ,aise huliye me main jau kaha.
Aise me sirf ek rasta najar aaya ki ye rasta jaha lekar jaye waha chala jau.
Ghar pe galiya khana, itna bada hone ke bad bhi pitaji ke paiso pe jina ,ye sab bahot ho gaya. Ab ye rashta muze jaha lekar jayenga vahi jakar apni kismat badlunga.
Ye bolna aasan tha aur karna mushkil, kyu ki main ghar chhod ki chala gaya to meri family ka kya hoga. Pahale meri vajase itni pareshani hai aise me aur ek pareshani dena tik nahi rahenga.
Dopehar ka samay kaise bhi karke nikaal deta hu pir sham me ghar jakar khane ke sath galiya kha lunga.
Pir kya tha,Main aise hi raste pe idar udar ghum ne laga. Kabi is gali me to kabi us gali me ghumate huye mere pairo ne haar maan li.
Ab muz me chalne ki himmat nahi thi. Dopehar ki dup me, khali pet ,formal kapdo me, mera dam nikal gaya.
Meri jeb me paiso ke naam par 20 rupaye the,aur aise me tapari sab se jada yaad aati hai.
Pass me jo tapari thi main vaha jakar baite gaya. Aur pani pite huye apne future ke bareme sochne laga.
Past me jo masti ki us ka natija ye tha ki mera future blank ho gaya.
Jiska future blank hota hai us par tapari vala meharbaan hota hai.tapari vala muze tea pilata gaya aur main time pass karta gaya.
Tea pite huye meri najar samane road par gayi.road par ek gulab ka phool pada hua tha.
Itni tej dup me wo gulab ka phool shaan se apni chamak aur apni khushabu se aate jate huye logo ko apni taraf attarct kar raha tha.
Par kisi ne bhi us gulab ke phool ko utane ki khosish nahi ki. Bas us gulab ke phool ko dek kar kuch sochte huye apne raste ja rahe the.
Kohi utaye ya na utaye ye bat important nahi thi, pyar ki nishani ,khushbhu ki pahchan ko road par aise feka kisne hoga.
Kya ye kaam kisi laila majnu ka tha ,shayad majnu ne laila ko gulab ka phool diya ho aur laila ne majnu ko thappad mar kar gulab ka phool road par feka ho.
Gulab ka phool dek kar hamesha laila majnu ka khayal pahale dimag me aata hai.Pir baki ki bate
Aisa bhi to ho sakata hai ki patni ko manaa ne ke liye pati ne gulab ka phool diya ho aur patni ne guasse me fek diya ho.
Ye main kya soch raha hu, pati patni aise road pe romance thode karenge, Ye laila majnu ka kaam hoga
Ya pir kisne gulab ke phool ko aise road pe feka ho.
Shayad kisi ke hant se galati se gira ho,
Agar main writer hota to road par pade huye us gulab ke phool par ek novel likh deta.wo gulab ka phool road par kaise aaya is pe romantic, thirller, etc type ki novel likhi ja sakati hai.
Writer ki kalam jab ek bar likhne lagati hai to har dewaar gira sakati hai.
Ek Marathi poet ne writer ke upar ek poem likhi thi,kya thi wo ...yaad nahi aa rahi...are haa
"Jo suraj nahi dek sakta wo writer dek sakata hai"
Are writer nahi poet tha, ye main kya soch raha hu, main to us gulab ke phool ke bareme soch raha tha.
Par Kuch bhi ho ,us gulab ke phool me kuch to bat thi. Dopehar ki dup ,road pe itne vehicle ,aate jate huye itne log, ye garam hawa,pir bhi wo gulab ka phool aise road pe pada tha ki jaise laila ke baalo me lag kar, majnu ki jit ko apne khushbhu se sab ko bata raha ho.
Main us gulab ke phool ko dek kar sab kuch bhul gaya tha. Mujhe us gulaab ke phool ke siwa kuch nahi dikh raha tha.
Kya sirf main akela us gulab ke phool ko dekh raha tha. Kya koi aur nahi hai jis ki nazar us gulab ke phool par ho
Aaj kal itne saare laila majnu dekne ko milte hai. Kya un me se ek ko bhi wo gulab ka phool nahi dika.
Kya gulab ke phool ki value bas itni hi hai. Ladki ko propose karte huye gulab ka phool yaad aata hai, ladki ke haa karte hi gulab ke phool ki value kam ho jati hai. Main ne apne dosto ke hanto me sirf ek bar gulab ka phool deka tha ,ladki ne haa kaha aur gulab ke phool ki jaga chocolate, colddrink ne le li.
Pahale to ladkiyo ke baalo me gulab ka phool kitne shaan se baita rahata tha. Aur ab ...jane do ladkiyo ke bareme jada baat karna thik nahi rahenga .
Ye kya phir se topic change ho gaya.Main ne sahi kaha tha ki us gulab ke phool par bahot sari novel ban sakti hai.
Us gulab ke phool ke chakkar me table par raki huyi meri tea thandi ho gayi . Par wo gulab ka phool meri najar ko dusari taraf jane nahi de raha hai.Meri soch ghum pir kar vapas gulab ke phool par aa jati hai.
Us gulab ke phool ki chamak ke samane suraj ne bhi haar maan li, ya pir suraj apni chamak us gulab ke phool ko de raha ho.
Are haa, ek chidiya ke bareme suna tha ki use suraj se pyar ho gaya tha .wo suraj se milne ke liye uske pass jati aur suraj uske panko ko jala deta. Pyar itni aasani se nahi milata. Wo phir se khosish karti gayi...ye aisa hi chalta raha pata nahi aage kya hua.
Kya yahi wo story thi ya pir main ne kuch change kiye hai. Wo kahate hai na jamaane ke sath sab badal raha hai. Sher chuhe ki story change ho kar tom and jerry ban gayi.
Sher chuha ,ye kaha se bich me aa gaye. Ye sab wo gulab ke phool ki vajase ho raha hai.suruvat gulab ke phool se hoti hai aur pir kaha se kaha chala jata hu.
Main ne sahi kaha tha ki us gulab ke phool par novel likhi ja sakati hai.khas main engineer ki jaga writer ban gaya hota to abi us gulab ke phool par kuch likh raha hota. Hant me tea ki jaga kalam hoti.
Lekin ye kya sham ho rahi hai, main to soch raha tha ki suraj apni chamak us gulab ke phool ko de raha hai, par suraj ne to uska saath chhod diya.
Sham hone se log office se apne apne ghar ja rahe the, vehicle se road bhar chuka tha. Par us gulab ke phool ko kuch nahi hua.
Kya tha us gulab ke phool me ,na wo haar maan raha tha aur na main uske upar se apni najar hata pa raha tha.
Par ye kya, suraj ko dhalate huye dek kar gulab ke phool ne apni ek pankhudi ko apne se alag kar diya. Shayad gulab ka phool suraj ko thanks kah raha ho jis ne dopehar se uska sath diya.ya pir suraj ki jate huye dek kar gulab ke phool ki himmat tut gayi ho.kuch bhi ho sakta hai. Ye meri soch thi, kisi aur ki soch is se jada achi ho sakati, agar main writer hota to....are yaar pir se writer ke bareme sochne laga.
Writer ko maro goli, pir se main us gulab ke phool ko dekne laga.
Muze lag raha tha ki bas us gulab ke phool ko dekta rahu,par taparivala muze kitni der baitne de sakata tha. Dopehar ki bat alag thi, tab log tapari par kam aate hai, par ab sham me uski tapri pe customer aane lage the.
Taparivale ke kahne ke pahale main uski tapari se bahar aa gaya.
Bahar to aa gaya tha par ab ghar jana hoga. Main to ghar chala jaunga par us gulab ke phool ka kya hoga. Suraj bhi uska sath chhod raha tha aur ab main bhi us gulab ke phool ko chhod kar ja raha tha.
Ek lagav sa ho gaya kuch ganto me us gulab ke phool se par main kuch nahi kar sakata.
Main ne apne ghar ki taraf jane ke liye pair utaya tha ki muze pir se us gulab ke phool fikar hone lagi.
Mere jane ke bad uska kya hoga ,suraj bhi chala gaya ,Aur ab main ja raha hu.
Agar main ghar chala jau to mujh me aur baki logo me kya farak rah jayenga.main baki logo ko galat kah raha tha aur ab main galat kar raha hu.Main aisa nahi kar sakata, kam se kam main us gulab ke phool ko mandir me,mandir me nahi ,apne sath le jata hu pir sochunga ki uska kya karna hai.
Main ruk gaya ,aur gulab ke phool ki taraf deka ,gulab ke phool ki 3 pankhudiyo ne uska sath chhod diya tha.
lekin 3 hi kyu, pahale ek pankhudi ne sath chhoda aur ab 2 ,Ek suraj ke liye, ek mere liye, pir thisari pankhudi kis ke liye thi.
kya ek pankhudi mere liye thi? agar ek mere liye hai to dusari kiske liye hogi.
kya meri tara kohi aur bhi tha ya thi jo gulab ke phool ka sath de raha ya rahi ho.agar hai to wo gulab ke pass jarur aayengi ya aayenga.
Main us gulab ke phool ke pass chala gaya. Aur zuk kar gulab ka phool utane vala tha ki ek aur hant gulab ka phool ko utane aaya tha.
Main ne us hant vali ki taraf deka ,wo bhi meri taraf dek rahi thi. Ham abi bhi zuk huye the ,hamare hant us gulab ke phool se kuch inch dur ruk gaye the
Wo ladki mujhe aur main us ladki ko dek raha tha.
Meri tara us ladki ke dusare hant me ek file thi. Shayad wo bhi meri tara interview me fail hokar aayi ho.aur meri tara us gulab ke phool ka sath de rahi ho.
Main us ladki ko dekta raha . uski bhi chamak us gulab ke phool ki tara
thi.is se jada main soch nahi paya. ek engineer jo tha writer nahi.
Wo ladki bhi meri taraf dek rahi thi, kya soch rahi hogi wo ,kya mere bareme soch rahi hogi. Mere bareme kyu sochengi shayad us gulab ke phool ke bareme soch rahi hogi.
Par wo bina palke zukaye muze dek kar rahi thi. Bolne ki khosish kar rahi thi par kuch bol nahi pa rahi thi.
Main ne apna hant aage badakar gulab ke phool ki jaga ek pankhudi uta li.
Us ladki ne un pankhudiyo ki taraf deka, aur us ne bhi meri tara ek pankhudi uta li. wo gulab ka phool bhi uta sakati thi pir usne sirf pankhudi kyu utai.
Muze kuch samaj nahi aa raha tha ,par ek bat thi Ham dono apne hant ki pankhudiyo ko dek rahe the.
Niche gulab ka phool aur ek pankhudi padi huyi thi,aur ham apne hant ki pankhudi ko dek rahe the.
Log hamare taraf dekte huye ja rahe the, unko lag raha hoga ki ye gulab ka phool hamara hai.Ye naye laila majnu mil gaye.
Ek minute naye laila majnu, kya ye gulab ka phool hame milane ke liye yaha tha.
Ham dono kabi ek dusare ko ,kabi hant ki pankhudi ko to kabi gulab ke phool ko dek rahe the,ki tabi ek hawa ko zoka aaya aur zameen par padi huyi pankhudi ko uda le gaya.
Wo ladki us pankhudi ko udte huye dek rahi thi.
Main ne jab us udate huye pankhudi ki taraf deka to aisa lag raha tha ki wo pankhudi suraj ke pass ja rahi hai.
Wo pankhudi suraj ki amanat thi. Suraj ne gulab ke phool ko jo chamak di thi uske badale me gulab ka phool apni khushbhu pankhudi ke sath suraj ko de raha tha.
Wo ladki aur main us pankhudi ko tab tak dekte rahe jab tak wo hamare najaro se dur nahi gayi.
Us pankhudi ke jane ke bad ham ne ek dusare ki taraf deka , aur pir gulab ke phool ki taraf deka ,
Wo gulab ka phool vaha nahi tha. Wo ladki aur main us gulab ke phool ko vaha na dek kar shocked ho gaye. Abi to yaha tha pir gaya kaha, kya kohi uta kar le gaya.Ham us gulab ke phool ko idar udar dekne lage. Par wo kahi nahi dika.
Mere hant me ek pankhudi thi, matlab wo gulab ka phool tha, ye sapna nahi tha.
Wo ladki bhi meri tara kuch soch rahi thi.Pata nahi kya soch rahi thi.
Ham dono apni apni pankhudi ko dek rahe the.Uske siwa kar bhi kya sakate hai. Bat kar sakate hai, par bat kaha se suru karu main soch raha tha aur ladki ne bat karna suru kiya.
Ladki-pankhudi ko dika kar "Ye main hu"
Main-"Ye main hu"
Wo Ladki aur main ek sath" Wo suraj ki pankhudi thi"
Main ne jo kaha us ne bhi vahi kaha.
wo ladki muze dekhti rah gayi. kya ham ek jaisa soch rahe the, kya ham ek hai, kya hamari manjil ek hai ,Kya wo gulab ka phool ham dono ko milane ke liye yaha tha.lag to aisa hi raha hai.
Ab kya karu, kya muze chup chap jana chaiye.nahi ,is gulab ke phool ne hame kyu milaya. kahi ...haa yahi ho sakata hai.
Main ne himmat karke us ladki ki taraf hant badaya, mere hant me meri pankhudi thi.
Main jo soch raha tha wo bhi vahi soch rahi hogi to...
Usne mere hant par apna hant rak diya jis pe uski pankhudi thi.
Ham dono ne ek dusare ki taraf deka aur ek dusare ko vishwas dilaya ki ye pankhudi jaldi ek gulab ka phool ban kar hame hamesha rasta dikayengi.
Ham ne phir bhi kuch nahi kaha.Bas ek dusare ki taraf dekh kar smile ki aur suraj ki disha me hanto
me hant dal kar chalate gaye.
Repoter-Sir, story ki summary achi hai, par ek sawal muze pareshan kar raha hai
Writer-Pucho, kya puchna hai
Repoter-Kya ye real me hua hai ya aap ki soch hai
writer-Ye sawal aap mujh see pucha hai magar meri wife see mat puchnaa.
Repoter-Main samaja nahi
Writer-Wo engineer main hu
Repoter-Matlab ye real story hai, to us gulab ke phool ne aapko writer bana diya.
Writer-Main ne ek sher suna tha
"better to be a good writer than bad engineer"
Repoter-Sir writer nahi poet tha.
Writer-Haa, wo kya haina jamaana change ho raha hai.
Repoter-thank you sir ,kal aapki novel publish ho jayengi aur ye interview bhi. ab ijajat chahunga.
Writer-thanks to mujhe kahana chaiye jo aapne mere liye time nikaala.aur meri story padi .matlab suni ......
gulab ke phool ne muze writer bana hi diya
..THE END...