#UPDATE 1
Bahut pahle ki baat hai, ek gaon tha jiska naam tha TRIGUN PUR, ye gaon brahmano ka gaon tha.
TRIGUN jo hote hai...
Kahte hain ki ye sabse unch koti ke brahman hai, iske baad TIWARI, PANDEY, MISHRA, SHUKLA, CHAUBEY, DUBEY, aadi aate hai, iska praman vedo me milta hai.
Uss gaon me jo unke purwaj the TRIGUN BABA, ye ek brahm rakshas yani ki brahm devta ke rup me puje jate the, jo ki iss gaon ki raksha karte the, koi bhi shubh kaam ho to sabse pahle unhe hi bhog hawan humadh kiya tha uske baad koi karay hota tha.
Waha par uss gaon me 50 ghar hi brahman parivar the or koi jaati dharm ke log nhi the, unhi me se ek parivar tha CHARITRA TRIGUN ka jo ki ghar ke mukhiya the, or unka pariwar khush tha uss gaon me apno ke bich.
Lekin ek samay aisa aaya ki wo pura gaon hi ujad gaya...
Kahte hai ki uss gaon ko kisi bimari ne gher liya tha...
Sabhi ki achanak maut hone lagi...
Waha par kai vaiday-hakim dekhne aate lekin kisi ko bhi kuchh samajh nhi aata ki aakhir ye maut ki wajah kya hai, logo ki iss tarah se hoti maut ne gaon me ek darr ka mahaul bna diya tha.
Kuchh logo ka manna ye tha ki gaon ke devta rusht ho gaye hai jisse unka prakop gaon ke logon par barash raha hai.
Log ne devta ko manane ke liye puja path ka aayojan kiya... Yagya kiya gays kintu kuchh bhi aasar naa hua.
Wahi charitra trigun bahut hi gunwan or bahut hi buddhiman the ved shashtra ke gyata the....
Wo isski jad tak jane ki koshish me lage the, unko isse pichhe naa devta naa hi kisi bimari ke hone ka shaq tha...
Balki wo kisi insaan ke pichhe the, unke anusar wo hi ye sab kar raha tha aisa unka manna tha...
Or unhone iske puchhe ka karan pata kar liya...
Yaha se 20-25 kilo miter door ek dusre gaon me... Ek bahut bada haveli tha jo ki ek rajput thakur ka tha... Jiska mukhiya tha CHANDRA DEV RAI.
Uski haveli ke kya kahne bahut door me faili yah haveli...
Shan se khadi thi apni bhavyata bta rahi thi....
Lekin isske andar rahne wale vyaktiyon ke dil bahut hi chhote the.... Ye lalchi the...
Dusro ko apna gulam bnana... Unki zameene chhin lena yahi kham tha....
Yaha par bhi ek yagya ho raha tha, or yaha kai tantra mantra ke janne walw kali shaktiyon ke gyata esss yagya ko kar rahe the...
Darasal chandra dev rai TRIGUN PUR ki zameene chahta tha...
Jo ki un brahan pariwaron ki bharan poshan ke liye anaj ugane ke kaam aati thi....
Waha ke brahman bhiksha mang kar apna jivan yapan nhi karte the... Bakli kheti badi karte the... Unke paas bahut zameene thi...
Or yahi zameeno par nazar thi thakur ki jo kisi bhi kimat par chahta tha...
Usne paison se bhi un zameeno ko pane ke liye koshi ki thi kintu wo safal n ho saka ab wo waha se inn logo ko bhaga kar unki zameene chhinna chahta tha, or issi liye ye yagya ho raha tha... Jo ki buri aatmao ko lane ke liye tha...
Baba shamsa nath ke anusar thakur ye karay kar raha tha...
Wo baba ek bahut bada aghori tha jo kala jadu kiya karta tha or buri aatmao ko bas me kiya hua tha...
Usne ek yagya ke dwara TRIGUN PUR ke devta ko bandh diya tha ki wo koi unki raksha n kar sake... Or wo log ye jagah chhod kar bhag jaye.
Aise hi yaha khooni khel din prati din badhta jaa raha tha.... Log gharon se nikalne se bhi darte the... Lekin maut to tabhi hoti thi logo ki jab wah ghar me rahte the....
Issi baat ka khoj karte charitra trigun ko iss bare me jankari mili...
To unko bahut hi gussa aaya or unhone phir dhayan sadhna me baith ke apne esst devta yani ki TRIGUN BABA se sampark kiya....
Tab unhe TRIGUN BABA dhayan aawastha me dikhe, jo ki kisi ghere me bandhe hue the....
Unhe dekh kar charitra trigun ko bhi bahut hi aascharya hua ki ek devta bhi aise kaise bandh sakte hai...
Lekin unko jaldi hi samajh aa gaya ki... Mushibat to devtao par bhi aati hai... Unhone... Baba ko pranam ki...
baba:- Putra tum chinta maat karo or meri baat dhayan se suno...
Tum sabhi ko yah gaon chhod kar jana hoga...
Yaha ab kuchh nhi bachega... Jo log abhi jeevit hai tum unko leke yaha se chale jao...
Ye sthan ab buri aatmao ka basera ban chuka hai...
Jiski wajah se yaha par rahana uchit nhi... Tum log kisi or sthan par bas jao.
CHARITRA:- Baba aise.. Iss dasa me hamse nhi dekha jata..
Or hum apni janm bhumi chhod kar kyo chale jaye, ye hamse nhi hoga baba, yaa to hum log yahi rahege yaa to apni issi zameen me mil jayege kintu chhod kar nhi bhagege.
BABA:- Putra bhavishya ke garbh me kya hai ye koi nhi janta tum sab ki yaha se chale jana hi uchit hai..
Tum apna bhavishya bachao... Humari kripa tab bhi tum sab par bani rahegi, tum sab kahi bhi rahoge, meri baat man lo putra.
CHARITRA:- Thik hai baba jaisa aap kahe,
Jiske baad charitra trigun ne gaon me sabha bulwai or sabhi ko iss bast se avgat karaya...
Or iss sabha me yah faisla liya gaya ki... Yah jagah chhod kar kisi or gajah basaya jayega apna sansar.
Sabhi ne waha se palayan kar diya, raato raat pura gaon khali kar diya gaya, iss tarah se gaon ujad gaya.
ABHI ITNA HI DOSTO BTAO KAISA HAI PAHLA POST
THANK YOU