- 10,712
- 6,971
- 229
Update ~ 2
13th January, 2061
Oracle Tech Hub Office, Bengaluru
Pichhle 2 saal se is office me kaam karne ke baujood bhi mujhe board meeting ki aadat nahi padi thi.. Lagbhag 25 members ke saath chalne waali is meeting se meri jijhak ka sabse bada kaaran tha, meri umar or bakiyon ki umar me fark. Main ek 30 saal ka naujwaan or mere baad sabse kam umar ka vyakti tha, mera dost Dr. Mayank Rustam, jo 42 ke aas-paas hoga.. uske alaawa us meeting me shamil hone wali har shakshiyat 50 se kam ka nahi lagti thi.. shayad Suzanne mam ko chhodkar, jo 45-48 ke aaspaas hongi, or is board ki iklauti mahila sadasya thi.. poore kamre me ek nazar daalne ke baad apni jhijhak ko kaabu karte hue maine apne saamne baithi team ko sambodhit kiya..
" Pichhle saal ke mukaable hamare sales me 13% ki kami aayi hai.. Halanki, hamara anumaan munaafe ka tha, par iske viparit hame ghata sahna pad raha hai.. Jaisa ki aap sab is screen par dekh paa rahe hain.. Market demand ke anusaar hamein ek naye tarah ke relationship surrogate ki jaroorat hai, jo insaan ki physical needs ke saath-saath emotional needs ka bhi dhyaan rakh sake..
Halanki, Hamnein apne Mark 4 model named as Sarah, me kaafi sudhar kiya hai, lekin tab bhi yah mukhy roop se hamare Mark 2 model named as George ke mainframe par hi based or mukhyatah sirf Physical needs ko hi justify kar paate hain.. Waise to hamari company ka motto hai 'An AI that's more human than human', But we are failing in delivering those."
"So, what solutions are you suggesting? " Meeting me baithe sabse adhed umrr ke sadshya or is Company ke board members ke head Mr. Awashthi ne sidha or satik sa sawaal mere upaar daag diya..
"Sir, Aapne America ke famous scientist Dr. Rupert dawara suggest kiye gaye AI Model robots ke baare me to suna hi hoga? Hamnein usi model par kaam kiya hai or use aage badhya hai.. "
"Lekin unke dwara banaye gaye Model ko to America ne khud bhi reject kar diya tha.. Yahan tak ki America ne unke projet ko band karke kudedaan me daal diya tha.. Or dekha jaaye to unhone sahi bhi kiya tha, us model me kaafi khaamiyaan thi.." Board member ke ek dusre sadasya ne meri baat ko kaatte hue mujhse sawaal kiya..
"Sir, jaisa ki maine kaha, hamara naya model based unke idea par hai, par hamnein ismen kaafi kuch sudhaar kiya hai.. or jahan tak baat rahi Mr. Rupert ke model ki khaamiyon ki to mere kaabil dost, Dr. Mayank ka maanna hai, ki ham un sabhi khaamiyon ko door karne me bakhubi saksham hain.. Aap chahen to saari technical details unse jaan sakte hain.."
Maine ek tarah se ab saara daanv mere kaabil dost Mayank ke upar laga diya tha.. Is Board meeting me baithe sabhi sadasy ki najrein ab Mayank par hi tiki thi.. Or Mayank se pahla sawaal usi member ne kiya jisne meri baat kaati thi..
"Dr. Mayank, kya ye sacha hai ki Dr. Rupert ke model ki sabhi khaamiyan door ki jaa sakti hain? "
"Yes, with newly designed organic processors and new wetware technology I think it's very much possible. Hamari team ko poora vishvaash hai ki is naye model me hamein Humanity or human behaviour kaafi jyada dekhne ko milega.. Hamne model ready bhi kar liya hai, bas ise power on karna hai.. We need Board's permission for that." Mayank ke jawaab se kaafi members par prbhaav pada jo unke chehron se saaf pata chal raha tha..
" What about leagl claims, since this model is not entirely our own. It belongs to Dr. Rupert isn't it? " Board ke ek dusre sadasya ne ek naya sawaal khada kiya jiska jawab maine hi dena uchit samjha..
"Actually sir, Dr. Rupert is dead now and since US already have dumped his Idea, there are no claims on it. Right now It doesn't belong to anyone. So, there are no legal issues."
"Still we can't announce this as of yet, because it's not tested." Suzanne madam ne bhi apne inputs diye..
"How about we conduct a pilot run?" Board leader Mr. Awashthi ne antatah is projet ko manjoori dene ke andaaj se kaha..
"I suggest that Mr. Shayaan should be the one who should test this model first, since he is very confident about it." Suzanne mam ne wapas se apni raay di, jiski apakesha mujhe bilkul bhi nahi thi..
"What?? No.. No.. I am just a Investment manager here. Mera kaam bas legal issues and investment ka track rakhna hai.." Maine poori koshish ki apna palla isse jhaadne ki par shayd honi ko kuchh or hi majoor tha..
"Mere khayal se to tum is test ke liye sabse perfect candidate ho.. You are a ladies man, jise kisi bhi ladki se lagav nahi hota, bas masti me rahte ho.. If that AI model can make you feel something that means it's successful." Suzanne mam ki baaton se mujhe laga ki jaise unhen mere office ke kuchh affairs ki bhanak si lag gayi ho or wo jaan bujh kar mujhe is lafde me ghasit rahi hon..
"Well it's decided then, we will conduct a trial period for this Model for one month. If the trial is successful, we will announce its release on the 14th of next month, which coincides with Valentine's Day. It would be perfect considering that we will announce a perfect comapanion for all human beings on Valentine's day itself. Mr. Shayaan will submit his report on 13th next month." Head of the board Mr. Awashthi ne is project par sabse aakhiri mohar lagayi or mujhe bali ka bakra bana diya gaya..
14th January, 2061
Oracle Tech Lab, Bengaluru
"To taiyaar ho apne sapnon ki sahjaadi se milne ko?" Lab ki gate par pahunchte hi Mayank ne mera mazak udaane ke andaaz se kaha..
"Kya yaar, mujhe kya pata tha ye log mujhe hi bali ka bakra bana denge.. Main to bas meeting me ek tarah se ek advance sex bot ka idea de raha tha, jisse comapny ki sales badhe.. par ab to ye musibat mere sar par hi aa padi hai.. Pata nahi ek robot AI ke saath ek mahina kaise gujaarunga.." Mayank ke saath maine apni duvidha saajha ki..
"Waise tujhe bata dun ki hamne is model ka naam Maaya rakha hai.. Agar yah model successful rahta hai to ham gender settings change karke ek Male version bhi iska banayenge.. Saath hi hamnen iske bhitar ab tak ki poori duniya ka gyaan bhar diya hai.. Ise almost sab kuch pata hai jo ab tak is duniya me ghata hai.. Tere sex bot ke idea se ye kaafi aage hai.. Iske paas samajh hai, sochne ki shakti hai.. or poori duniya ka gyaan hai.."
"Tu kya apni tarah hi koi padhaku robot bana raha tha kya?" Maine Mayank ki taang khichne ke andaaz se kaha..
Ham ab lab me pahunch chuke the.. jahan saamne bade se table par mujhe ek ladki leti hui dikhi.. jisne ek safed rang ka t-shirt or us rang ka pajama pahna hua tha.. Uske sharir ke upar kuchh taar ab bhi chipkaaye hue the.. Jab meri nazar uske badan ka aanklan karte hue uski surat pad gayi.. Main hatprabh sa use ghoor raha tha.. Bala ki khoobsurati thi usmen, halki saanvali rangat ke saath bhi uske chehre se ek tej pratibimbit ho raha tha.. Ankhen munden hone baujood bhi uske nayan naksh kataksh kar rahe the.. silky lambe baal.. lagbhag kamar tak lambe the.. thik usi tarah jaise filmon me heroine lagati thi.. Badan ki baat karein to aisa lag raha tha har ek ang saanche me dhaale gaya ho.. Koi dosh, koi ayeb nahi tha usmen, har tarah se wah sampoorn si lag rahi thi.. Uski khoobshurati me mujhe khoya dekh Mayank ne mujhe toka..
"Kyon hai na khoobsurat? "
"Haan yaar, aisa lag raha tumne bilkul mere kisi sapne se ise baahar laa kar haqeeqat ka roop de diya ho.. " Maine apni nazar us se hatate hue Mayank ki oor guftugu ki..
"Sambhal ke bhai, pyaar me mat pad jaana iske? " Mayank ne wapas se mujhe chhedne ke andaaz se kaha..
"Tujhe to achhe se pata hai, main pyaar-vyaar ke chakkar me nahi padta.. Aaj Maaya, Kal Kaaya to parso Chaaya.. Apna to yahi funda hai boss! " Maine Mayank ke vyang ka bakhubi jawab diya..
"Chalo fir, ab ise hosh me laate hain.." Mayank ne mujhse kaha or wah computer panel ki oor chala gaya.. Wahin main Maya ke theek saamne khada uske hosh me aane ka intezaar karne laga..
Kuchh minton ke baad us bezaan si padi Mayaa ke sharir me thodi hulchul hui or thode hi der baad wah uthh khadi hui.. mere bilkul saamne hone ki wajah se uski sabse pahli nazar mere upar hi padi.. Usne kuchh kadam aage ko badhaaye or ab wah bilkul mere kareeb khadi thi.. Fir, usne dhere se apna haath hawa me uthaya, or mere haanthon ki taraf badhaya.. maine bhi apne haath upar ki oor karte hue uske haathon ko halke se chhuwa.. Woh pahla sparsh hi behad romanchit karne waala tha.. Uski twacha ka ehsaas bhi kisi ladki ki komal twacha saa hi tha.. mere haathon me haath daalein hi usne ek nazar mere poore sharir ko dekha jaise ki mujhe scan kar rahi ho.. fir wapas usne khud ko dekha or apne sharir par chipke hue sabhi wires ko nikaal diya.. Ab wah swantantr thi shayad..
"Well you can take her home now. She is all ready! But, Shayaan you have to sign this paper first." Mayank jo kuchh samay se ham dono ko hi dekhe jaa raha tha, ne apni aawaj thodi tej karte hue kaha or hum dono ko hi aashmaan se wapas dharti par laa diya..
To be continued.....
___________________________________
____________________________________________
____________________________________________