Raat apne pure zor mein thi jiski chadar mein khamoshi lait chuki thi, thande mausam ne is gehri raat ko aur sukha kar diya tha. Raste sunsan the aur sab bekhabar agli subah ke liye so chuke the. Tabhi do log daru ke theke se bahar nikle, dono ki ankhein itni chadi thi jise dekh kar hi lag raha tha ki dono ne is kad-kadane vali sardi mein apna sharir daru se garam kar liya hai isliye unke sharir par is thand ka asar thoda kam tha. Dono apas mein baat-cheet karte hue apni manzil ki aur badh rahe the, dono ki batein aur unke chalte kadmo ki awaz us gali mein ek matr shor tha jo gunj raha tha.
" bhai aaj apne maza kara dia "
" ye to bas shuruwat hai.. aage dekhta ja aise maje roz honge .. "
" par achanak se aisa kya hua ? apne bataya bhi nahi... koi lottery lagi hai kya ? "
" aisa hi samajh le... " usne apni ungli mein pehni anguthi ghumate hue kaha.
" kitne ki lagi hai ? kahan se li ? mujhe bhi dilwao ? " is bar dusra admi kuch nahi bola, jabki vo apni tarasti ankhon se jawab mangne ke liye use hi dekhta raha aur phir uski nazar uski harkat par gayi.
" bhai ek baat batao... sham se dekh raha hu... daru pite hue bhi aap is anguthi ko ghuma rahe the aur abhi bhi ? kya ise ghumane mein maza milta hai ? " vo dusra admi uski baat sunte hi ruk gaya jiske sath-sath vo bhi ruk gaya.
" paisa milta hai ise... paisa... " vo use ghurte hue bola aur ek pal bich sadak mein khamoshi pasar gayi.
" pii hum dono ne bara-bar hai lekin chadi apko mujhse jada hai... " vo bolkar hasne laga. Usko hansta dekh samne vale ne uska galla pakad liya..
" salle abhi jo tune galle se free ki daru utari hai ye isi ki vajah se hai.. samjha.. " bolte hi usne uska galla chhod dia, galla itna halke hath se pakda tha ki uska koi asar use nahi hua tha. " tu nahi janta is anguthi ki takat ko jabse ye mujhe mili hai tab se mere pas sirf paisa hi paisa aa raha hai.. par tum salle chote log is baat ko kabhi nahi samajh sakte.. hat.. salle.. " use latad kar vo dhime kadmo se aage badne laga. Uska sathi admi ek pal vahin khada ye sochne laga ki agar vakai mein ek anguthi se paisa mil sakta hai to uske pas kitna ho jayega ? uski ankhon mein chamak badh gayi.
" bhai... bhai... " uska kandha pakad kar vo ek paltu kutte ki tarah vafadari dikhate hue bola.
" chal hat salle... bikhari... teri aukad nahi ki tu mujhe chue.. mein ab paise vala hun teri tarah lukha nahi.. salle jo sharab tune abhi pii janta hai uska bill pure 450rs tha tere pas hai kya itne paise ? paise chhod teri to aukad bhi nahi hai .. sala kanjar.. lukha.. hat.... meri anguthi ko bekar bolta hai... " vo use dhakka dekar aage badne laga lekin uska sathi-dar uski ji hazuri karta hua maffi mangta raha aur raste ke safar mein do nashe mein dhun insano ki dosti ho gayi, jiske piche ek insan ka maksad tha apni achanak se hui tariki ke ghamand ko dikhana to dusre ko usme dikh raha lalch...
" tu bas itna jaan le.. ki ye anguthi mere din bahut jaldi hi badal degi.. ab mein teri tarah lukha nahi rahunga.. ab mein bahut bada banunga.. sab haramiyun ko apne niche rakhunga aur tujhe.. tujhe mein.. apna paltu wafadar admi banaunga... "itna bol kar vo ganna gane laga.
" par ye anguthi mili kahan se ? kisne di ? " jawab mein kuch nahi mila. Usne wahi sawal dubara kiya.
" han.. kya kaha tune ? dekh tere itna bolne par mere ghar ka rasta kat gaya.. " vo char deewar mein dhake choti si kothari ke samne khada ho gaya.
" anguthi.. kaha se mili, ye mujhe bhi chahie.. " usne uska hath pakad kar ungli ki taraf hi ishara rakha, vo anguthi bahut mehngi dikh rahi thi aur ye use uski chamak bata rahi thi, achanak hi use ab vo chamak-dar dikhne lagi thi jise vo ghanto se dekh raha tha.
" bahut mehngi hai kya ye ? "
" anguthi.. ? kal baat karenge.. abhi mujhe bahut nind aa rahi hai tu bhi ja.. "
" pakka kal ? "
" han bola na.. " vo unchi awaz mein bola.
" thik hai bhai.. " usne uska hath chhod dia aur vo muskura utha phir apne sathi dost ke galle laga aur apni kothari ke andar chal dia, vo dusra admi tab tak khada raha jab tak samne se usne darwaja band hote hue na dekh lia.
" kal puchunga bhai se.. han.. mere pas bhi ye anguthi hogi.. mere pas bhi paisa aa jayega.. " usne apni ungli par hath fairaya jaise vo usi ki ungli mein hai. Sochte hue vo kuch kadam aage bada lekin uske kadam ruk gaye, lalch ne man mein apni puri pakad bana li thi, use vo anguthi kal nahi kisi aur se nahi balki abhi usi se chahie thi ? achanak aye badlav ne daru ki garmi utar di aur sharir ko thandi ka jaldi hi ehsas ho gaya jise pate hi uske honth thar-thara uthe. Lalch aisa nasha hai jo har daru ko utar de jab uski bhi utri to usne apne aap ko khamoshi mein paya vo bhi akela.. adhi raat ko vo bhi us jagah par jahan kuch dino se ye afwa hai ki koi janwar ghum raha hai jo logon ko buri tarah se mar raha hai aur uske bare mein abhi tak pata nahi chal paya hai. Ek bar uske zehan mein ye baat ayi aur vo apni ghar ki taraf badne ka sochne laga lekin jaisa mene kaha lalch ne uske pure man ko apne andat samet liya tha.
" vo anguthi bahut mehngi hogi.. sali kaise chamak rahi thi, use kharidne ke liye bahut bada hath marna hoga aur vo pata nahi kab hoga ? nahi mein itne din tak intezar nahi kar sakta, kuch hi waqt lagega.. vo anguthi lunga aur chala jaunga han.. bilkul... " khud se keh kar vo muda aur apne sathi-dost ke ghar ki aur badne laga. Uske kadamo ki ladkadahat ab daru ke nashe ki vajah se nahi balki dar ki vajah se thi. Andhere mein ye dar aur bhi kahin jada badh jata hai par jab usne apne sath-dost ke ghar ke bahar jalti ek choti si light dekhi to roshni se uska dar kuch kam ho gaya. Lukha chor tha vo isliye use dar chori ka nahi balki us akelepan ka tha jo uske sath bilkul use sat kar chal raha tha. Vo thik us jalti roshni ke samne aur apne sathi-dost ke ghar ki ek deewar ke piche aa khada hua, ab bas ek darwaja tha uske aur us anguthi ke bich, uski sans thand ki vajah se jada tez chal rahi thi. Usne apni kadam uthaye tabhi roshni ke dim-dimane se usne apni ankhein mich li aur phir us jalte hue bulb ki taraf dekhne laga jo bar-bar band khul raha tha, ' sar-sar ' karti awaz use pareshan karne lagi aur phir eka-ek vo band ho gayi.
Ek matr roshni jo ab bujh chuki thi, andhera hote hi ek baar phir dar ke saye ne use kabze mein liya lekin lalch ke chalte vo utha nahi balki usne ye kaam aur jaldi karne ka socha, vo soch kar muda ki ye kaam vo sirf kuch hi second mein kar lega jaise vo roz karta hai lekin jaise hi vo muda usi pal vo roshni phir jal uthi aur uski ankhein khuli reh gayi.