pasha aur tashi kabilo ke kuch gyani log ne upay diya ki agar pasha aur tashi ki shaktiyan ek ho jaye to chamatkaar ho sakta hai.
aur iska karan bhi un logon ne apni sanskriti ke hazaro saal purane ek pustak ke ek kahani ke hisab se bataya. jisme ek pasha kabile ke ladke ko tashi kabile ki ladki se pyaar ho gaya tha aur fir dono apne kabile se bhag kar ghane jungle me jakar ek ho gaye the. uske baad un dono me bahut si adbhut shaktiyan aa gayi thi. dono ajey ho gaye the.
chuki pasha aur tashi kaile ke log ab bahut jada dar gaye the aur unke pass abhi koi aur chara bhi nahi bacha tha isliye majburi me pasha aur tashi kabile ke sardaar ek saath jama hue wo bhi dono kabile ke bich ke pahadi pe. jo gyani the unhone sujhav diya ki abhi jitne bhi jawan ladke aur ladkiyan pahsa aur tashi kabile me hai sabko ek baar apne hisab se dusre kabile se apna sathi chunkar vivah karne ka mouka diya jaye aur in jodo me se jin jodo me bhi shaktiyan prakat hongi wo dono apne apne kabile me aakar wo shaktiyan baaki logon ko bhi denge.
ye upay to achha tha lekin is ke liye dono sardaron me se koi bhi sardaar nahi mana. bhale hi aaj majburi me dono sardaar ek saath baithe lekin dusmani to abhi bhi thi aur apne kabile ke sabhi jawan logon ko dusre kabile ke saath milne dena bahut ghatak ho sakta tha. kyunki dono kabile ke log ek dusre se bahut nafrat karte the aur dono sardaar ko shak tha ki kahi dono kabile ke sare jawan log ek saath mile to ek dusre ko hi maar kar mar jayenge aur kabile ka nash ho jayega. isliye bahut soch vichar kiya gaya aur fir gyani logon ne ye tay kiya ki har saal ka pahli tarikh ki subah jab tino chand ast ho rahe honge aur surya ka uday ho raha hoga us samay isi pahadi pe dono sardaar apne apne kabile ke sarvasresth ladka aur ladki ko lekar aaayenge. aur fir yahan dono sardaaro ki nigrani me un charo ki shaadi karaye jayegi aur sambhog karwaya jayega aur fir un jodo ko do mahine pasha kabile me aur do mahine tashi kabile me wahan ke riti riwajo ke hisab se rahna hoga uske baad gyani log ye parikshan karenge ki kis jode ko shaktiyan mili hai. ye ek niyam bana diya gaya aur ye tay ho jane ke baad se har saal ke aramabh me dono kabile ke sardaar apne apne kabile ke sabse achhe honhaar ladke aur ladki ko pahadi pe le jane lage jahan unki shaadi karayi jaati thi aur fir baaki chije hoti thi. dono sardaron ko ye ummid tha ki kabhi to shaktiyan kisi me jagrut hongi lekin aise hi 10 saal bit gaye aur aisa koi bhi chamatkaar nahi hua. dheere dheere dono kabile ke sardaar ka utsaah kam hone laga. har saal ke suruaat me hone wali milan ki ye pratha to chal padi lekin ab dheere dheere kabile ke sardaar is pratha ka apne fayde ke hisab se galat upyog karne lage. pasha kabile ka sardaar aur wahan ke log milkar vivah ke baad tashi kabile se aaye ladke aur ladki ka shoshan karne lage. yahi kaam tashi kabile me bhi hone laga. jab vivah ke baad pasha kabile ke do ladke aur ladki tashi jate to wahan unka khoob shoshan kiya jata aur fir badle me jab tashi ke vivahit ladka aur ladki idhar pasha aate to idhar bhi unka shoshan kiya jaata aur is parath me bahut baar kabile ke sarvasresth ladke aur ladki ki jaan chali jati isliye dheere dheere kabile ke sardaar is pratha me apne kabile ke sabse kamjor aur bewkoof ladke aur ladki ko bhej dete ya fir un logon ko jinse unhe khatra hota tha. is parath ka upyog sardaar apne fayde ke liye karne lage aur apne kabile ke dusmano ko marwane ke liye bhi karne lage. dono kabile me ab ladai to tham gaya tha lekin fir bhi dono kabile ke sardaar ko pata tha ettapu ke log bhavisya me humla karenge hi karenge aur sardaar apne guptchar bhejte rahte the jo dusre kabile se darul jamjam churane ki kosis karte rahte the.
ab suru karte hai kahani.
sabse pahle introduction......
ikka-umra 200 saal. pasha kabile ka sardaar. yahan ke logon ka jivan 400 saal ka hota hai.
pita-umra-30 saal. pasha ka beta.
mili-umra-70 saal. pasha ki beti.
luta-umra -65 saal. mili ka pati. aur humare kabile ka mukhya senapati.
bhuli-umra 210 saal. pasha ki patni.
vashu-umra-30 saal. is kahani ka ek hero.
priti-umra-32 saal. is kahani ki ek heroin. (note-ye mat samajh lena ki bhai bahan me pyaar hoga shaadi hogi)
nikka-umar 240 saal. vashu aur priti ke pita. ikka ke bade bhai.
daity-umar 260 saal. nikka ki patni.
bhanu-umar 70 saal. vashu ka bhai.
eda-umar 80 saal. bhanu ki patni aur vashu ki bhabhi.
pasha kabile ke ek ghar me sablog badi chinta me baithe hue the.
ek ladka ek kursi pe shanti se baitha hua tha wahi ek ladki uske pass bechaini se tahal rahi thi. us ladki ke chehre pe gussa saaf saaf najar aa raha tha. wo gusse me apne hathon ko kachot te hua bas idhar udhar tahal rahi thi.
ladka bade aram se bola-kya hua kyon baar idhar udhar gusse me tahal rahi ho shanti se baitho.
ye sunte hi ladki gusse me boli-tum itne shaant kaise rah sakte ho. tumhe pata bhi hai sardaar ne kya kiya hai. is varsh humare kabile ki ho rahi vivah pratha ka 100 varsh hone wala hai aur is varsh humare sardaar ne mera aur tumhara naam de diya hai vivah ke liye. kya hum dono is kabile ke sabse bure aur kamjor yuvak hai kya.
tabhi ek ladki aayi aur boli-nahi bilkul nahi tum dono me se koi kamjor nahi ho lekin sardaar ko dar hai ki kahi uski gaddi na chin jaye. tumhe to pata hi hai har 15 saal me ek baar ek mouka aata hai jab is kabile ka koi bhi vyakti sardaar ko chunoti de kar use hara kar sardaar ka pad hasil kar sakta hai. aur uske liye jo umra hai wo kam se kam 30 saal ka hona chahiye. ye pichle 75 saalon se is kabile ka sardaar hai lekin ab wo kamjor hone laga hai aur wo chahta hai uska putra hi sardaar bane jo is saal 30 ka ho gaya hai aur sabko pata hai ye vashu uske putra ko hara sakta hai aur vashu bhi 30 ka hone wala hai isliye sardaar ne vasu ka naam is vivah me de diya hai.
is baat pe vashu jo chup chap baitha hua tha wo bola- bhabhi mera naam to unhone diya mujhe ye samajh me aata hai lekin unhone priti ka naam kyun de diya.
uski bhabhi eda boli-agar sardaar sirf tumhara naam de deta to bahut se log us se puch sakte the ki akhir usne aisa kyun kiya isliye usne tum dono ka naam de diya aur ye ghosna kar di is vivah pratha ke 100vi sammellan me wo apne kabile ke do sabse achhe logon ko vivah pratha me bhejega. kabile ke sab log jante hai ki sardaar tumhare chacha hai aur tumhara unka khoon ka rista hai fir bhi wo tumhe bhej rahe hai is se yahan ke logon me sardaar ke samman aur badh gaya hai wahi sardaar tumhe raste se hatakar apne putra ke liye sardaar ka pad ko nischit kar raha hai.
priti gusse me boli-mujhe pata tha vasu ye chachaji ki chaal hai.
vashu bola-dekho gussa karke koi fayda nahi hai. hum dono kuch nahi badal sakte ab jo hona hai wo hokar hi rahega.
vashu ki baat sunkar unke pita nikka gadgad ho gaye jo abhi hi ghar me aaye the.
nikaa vashu ke kandhe ko thapthpate hue bole-shabash mere putra. tumhari yahi sab khubiyan mujhe garva karti hai. mera putra ek yodhaa hai jo kisi bhi chunoti se nahi darta. hume yakin hai tumhara janm is kabile ke udhar ke liye hua hai. tum jaroor wo shaktiyon ko prapt kar loge jo abhi tak kisi ne nahi ki hai.
ye sab sunkar priti boli-aap bas vashu ko jhuthe sapne hi de sakte ho papa. sachhai to yahi hai ki hume jabran is viavh pratha me dhakela gaya hai aur ye kaam humare kabile ke sardaar ne sirf apne fayde ke liye kiya hai.
nikka bola-aisa nahi bolte priti. hume is sansaar ke kisi bhi chunoti se darna nahi chahiye. har chunoti ek awsar lekar aati hai. aur tum dono to yuva ho. ye baat yaad rakhna tum dono ab 30 varsh ke ho chuke ho. jaise hi tum dono ka vivah hoga tum dono me bahut saare parivartan aayenge. achhe parivartan ko swikar kar lena aur bure parivartan ko apne is sarir se door karne ki kosis karna. tum dono ki achhi kosise hi tum dono ko mahan banayengi.