Update 3
"To Jass inse milo yeh hai mere mangetar, Bhagat!"
Yeh mere liye shocking tha dard uth gya tha mere seene mein par main chah kar bhi kuch nahi bol paya bs jhoothi muskan ke sath Gagan ke mangetar ke sath hath milaya
Main - nice to meet you
Bhagat - me too also bohat suna hau Gagan ke muh se tumhare bare mein
Main - ab esa bhi kuch khass nahi hai khair kaam kya karte ho aap
Gagan - yeh na police mein hai Inspector hai ache ache gundo ki band baja di hai ab tak isne
Main - oh yeh to badhiya hai
Bhagat - chalo bhai Jass fir mulakaat hogi kabhi abhi mujhe aur Gagan ko iske ghar jana hai lunch pe
Main - okk byee bhagat bye Gagan
Yeh bolke main palat gya aur apni bike lekar collage se nikal gya aaj ek baar fir main akela ho gya tha jo jo sapne in kuch dino mein maine samjoye the woh sab tut gaye the esa nahi tha ki maine Gagan se pyar ka izhar karne ki koshish nahi ki bohat koshish ki par dosti bhi na tut jaye issi dar se kuch keh nahi paya
Najaane kitni hi baar mere muh pe izhar ate ate reh gya lekin aaj... Aaj sab kuch khatam sa ho gya meri Gagan kisi aur ki ho chuki hai meri ankhon se lagatar ansun beh rahe the akhein ek dam laal ho gayi thi
Main gaon mein aya hi tha ki panchayat lagi hui thi aur sahmne papa baithe the unko dekh ke maine apna chehra saaf kiya aur unki aur chal pada bhai bhi vahi unke paas tha
Vahan kisi jhagde ko lekar sunwayi ho rahi thi
Papa - sun Shere is sab mein galti teri hai jhagde ki shuruwat tune ki hai dusri galati tune in logo pe hath utha ke ki hai ab sari panchayat ka hukam hai ki tu abhi ke abhi inse maafi mang aur inka jo bhi nuksan hua hai uski bharpayi kar de
Papa ne yeh faisla paas mein hi khade ek bande kk sunaya tha Shera ek gunda type banda tha humare gaon mein
Shera - suno be panchayat walo naa to main maafi aaj mangunga na kal aur rahi muawje ki baat kisi mayi ke laal mein dam nahi hai itna ki mujh se kuch lekar dikha de
Papa - shere panchayat ka hukam manne ka inkaar mat karna verna acha nahi hoga
Itne mein Shere ne papa ka coller pakad liya
Shera - kya kar lega buddhe han hadiyon ka surma bana dunga yahi pe
Mere ander jo gussa panap raha tha woh yeh sab dekh kar aur badh gya bhai kuch karta usse pehle hi maine Shere ki kanpatti pe ek ghusa diya rakh ke jab usne papa ka coller chorha to utha ke patak diya pass mein hi pade stool pe
Uska ek sathi mujhe marne aya par maine usko block kiya aur uske jabde pe teen chaar mukke mare tab tak Shera fir khada ho gya tha maine usko pakad ke dhona shuru kar diya
Main - sale gunda hoga tu apne ghar mein teri himmat kese hui mere papa ji ka girewaan pakadne ki
Maine maar maar kar uski haalat kharab kar di thi bhai mujhe rokne laga aur kisi tarha mujhe usse alag kar diya
Main - bhai chorho mujhe maine aaj iski haddi pasli ek kar deni jaan le leni hai maine iski papa ji girewan pe hath dala isne chorunga nahi main ise
Bhai - chote shant hoha dekh uski halat pehle hi bigad gayi hai
Papa - Dilsher puttar tu ja ise ghar lekar ja main ata hu ghar uski mallam patti karwa ke
Bhai - ji papa ji
Fir bhai mujhe kisi tarha se bike pe baitha ke ghar le aya ghar ate hi maine apne aap ko room mein band kar liya
Main - aaahhhhhhhhhhhhhhhhhh
Yeh ek jordar cheekh nikali mere muh se aur ankhon se ansun jitna gussa aur dard tha sab ek sath mil gya tha Maine apne room ka sara saman todna fodna shuru kar diya
Bahar bhai aur didi ne bhi meri cheekh sun li thi aur fir saman tutne ki awaaz bhi
Didi - ise kya hua aaj itna cheekh kyu raha hai aur upar se saman bhi tod raha hai
Bhai ne use panchayat bhawan ka kissa bata diya ki kya hua par bechare bhai ko bhi bhi adhi baat pata thi ki main esa kyu kar raha hu
Bhai - main dekhta hu ise kahi khud ko choth na pohncha le
Didi - han dekho kya hua hai bhai ise pagal hai yeh ladka bhi
Bhai mere room ke darwaze pe akar khatkhatane laga
Bhai - Jass kya hua mere bhai itna chilla kyu raha hai aur yeh itna kuch tutne ki awaaz kyu aa rahi hai
Main - bhai aap jao abhi yahan se mujhe abhi kisi se baat nahi karni
Bhai - dekh chote agar koi baat hai to mujhe bata kisi ko apna dard batane se kam hota hai sun raha hai na meri baat
Main - (rote hue) bhai aap jao yahan se plz....
Uske baad bhai mujhe awaaz deta raha par maine koi jawab nahi diya meri hatho pe ek do yagha chot lag chuki thi maine deewar pe bhi apne sar se takkar lagayi thi to mathe se khoon nikal raha tha ab vahi room ke vicho vich ghutno ke bal baith ke roye ja raha tha
Didi - kya bola woh
Bhai - keh raha hai kisi se baat nahi karni aur ro bhi raha hai
Didi - chalo rehne do fir usko kuch der akela jab bhukh lagegi to bahar aa jayega
Bhai - Avi meri behan maine kitni bar tujhe samjhaya hai ki uske liye kathor mat hoke raha kar tujhe pata hai na bachpan se kese reh raha hai woh akela ek dam
Didi - bhai to maine ab to kuch nahi bola fir bhi aap dant rahe ho huh
Yeh bolke woh vahan se chali gayi shaam ko papa ji ghar pe aaye
Papa - Dilsher putar Jass kesa hai ab aur kaha hai
Bhai ne unhe ghar ane se lekar ab tak ka pura kissa bata diya
Papa - pata nahi iss ladke ka kya hoga kabhi kabhi dar lagta hai kisi din yeh khud ko kuch kar na le
Bhai - papa such bolu to ab mujhe bhi chinta hone lagi hai iski naa iska koi dost hai na kisi se jyada bol chaal
Papa - main baat karke dekhta hu usse
Fir papa mere room ke door pe aye kaafi der awaaz lagayi par koi jawab na milne pe vapis chale gaye