• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Non-Erotic Jaan Lewa Ishq - A One Sided Love Story (Completed)

Lovingheart

Active Member
1,220
4,110
159
romanchak update ..ab jass pehle jaisa ho gaya akela aur tanha .
gagan se bhi jyada baat nahi karta hai ..
aur gagan ko chhedne wale ladko ka sidha khoon hi kar diya jass ne ..
ab police pakadegi ya bacha rahega dekhte hai ๐Ÿค”..


Ishq cheez hi esi hai bhai kuch bhi karwa deti hai
 
  • Like
Reactions: Kingfisher

Lovingheart

Active Member
1,220
4,110
159
nice update ...aur sad wali ending jo honi hi thi ..

gagan ki shadi bhi fix ho gayi thi aur wo card bhi dene aayi aur jass poori tarah toot chuka tha ..

waise avi ke room me jakar usko sulane ko bolna aur diary saath hona yahi laga tha ki shayad ye ant hai jass ka .

usne apni har feeling jo wo gagan ke liye rakhta hai aur avi ke liye maa wali feeling sab likh rakha tha ..

waise poison khakar galat hi kiya jass ne kyunki pyar ek tarfa tha aur gagan ko is baat ka pata bhi nahi tha ..

aur jass ne kabhi kisi dusri ladki me bhi pyar khojne ki koshish nahi ki ..

bachpan se tootte aaya tha jass aur gagan ki shadi se puri tarah toot gaya aur aatmahatya kar li ๐Ÿ˜”..
waise uska first love tha bhale one sided ho par usne jo kiya wo uski situation ko lekar sahi tha aisa mujhe lagta hai ..

aakhir me avi ne wo diary papa ,bhai aur gagan ko bhi di aur unko bhi ye jaankar dukh hua ..

ek one sided love story ki sad ending ๐Ÿ˜...
kahani zabardast thi ..
Ab jo situations uske sath ho rahi thi usi hisab se ant bhi hua kahani ka
 

aalu

Well-Known Member
3,073
13,048
143
Update 3


"To Jass inse milo yeh hai mere mangetar, Bhagat!"


Yeh mere liye shocking tha dard uth gya tha mere seene mein par main chah kar bhi kuch nahi bol paya bs jhoothi muskan ke sath Gagan ke mangetar ke sath hath milaya

Main - nice to meet you

Bhagat - me too also bohat suna hau Gagan ke muh se tumhare bare mein

Main - ab esa bhi kuch khass nahi hai khair kaam kya karte ho aap

Gagan - yeh na police mein hai Inspector hai ache ache gundo ki band baja di hai ab tak isne

Main - oh yeh to badhiya hai

Bhagat - chalo bhai Jass fir mulakaat hogi kabhi abhi mujhe aur Gagan ko iske ghar jana hai lunch pe

Main - okk byee bhagat bye Gagan

Yeh bolke main palat gya aur apni bike lekar collage se nikal gya aaj ek baar fir main akela ho gya tha jo jo sapne in kuch dino mein maine samjoye the woh sab tut gaye the esa nahi tha ki maine Gagan se pyar ka izhar karne ki koshish nahi ki bohat koshish ki par dosti bhi na tut jaye issi dar se kuch keh nahi paya

Najaane kitni hi baar mere muh pe izhar ate ate reh gya lekin aaj... Aaj sab kuch khatam sa ho gya meri Gagan kisi aur ki ho chuki hai meri ankhon se lagatar ansun beh rahe the akhein ek dam laal ho gayi thi

Main gaon mein aya hi tha ki panchayat lagi hui thi aur sahmne papa baithe the unko dekh ke maine apna chehra saaf kiya aur unki aur chal pada bhai bhi vahi unke paas tha

Vahan kisi jhagde ko lekar sunwayi ho rahi thi

Papa - sun Shere is sab mein galti teri hai jhagde ki shuruwat tune ki hai dusri galati tune in logo pe hath utha ke ki hai ab sari panchayat ka hukam hai ki tu abhi ke abhi inse maafi mang aur inka jo bhi nuksan hua hai uski bharpayi kar de


Papa ne yeh faisla paas mein hi khade ek bande kk sunaya tha Shera ek gunda type banda tha humare gaon mein

Shera - suno be panchayat walo naa to main maafi aaj mangunga na kal aur rahi muawje ki baat kisi mayi ke laal mein dam nahi hai itna ki mujh se kuch lekar dikha de

Papa - shere panchayat ka hukam manne ka inkaar mat karna verna acha nahi hoga

Itne mein Shere ne papa ka coller pakad liya

Shera - kya kar lega buddhe han hadiyon ka surma bana dunga yahi pe

Mere ander jo gussa panap raha tha woh yeh sab dekh kar aur badh gya bhai kuch karta usse pehle hi maine Shere ki kanpatti pe ek ghusa diya rakh ke jab usne papa ka coller chorha to utha ke patak diya pass mein hi pade stool pe

Uska ek sathi mujhe marne aya par maine usko block kiya aur uske jabde pe teen chaar mukke mare tab tak Shera fir khada ho gya tha maine usko pakad ke dhona shuru kar diya

Main - sale gunda hoga tu apne ghar mein teri himmat kese hui mere papa ji ka girewaan pakadne ki

Maine maar maar kar uski haalat kharab kar di thi bhai mujhe rokne laga aur kisi tarha mujhe usse alag kar diya


Main - bhai chorho mujhe maine aaj iski haddi pasli ek kar deni jaan le leni hai maine iski papa ji girewan pe hath dala isne chorunga nahi main ise

Bhai - chote shant hoha dekh uski halat pehle hi bigad gayi hai

Papa - Dilsher puttar tu ja ise ghar lekar ja main ata hu ghar uski mallam patti karwa ke

Bhai - ji papa ji

Fir bhai mujhe kisi tarha se bike pe baitha ke ghar le aya ghar ate hi maine apne aap ko room mein band kar liya


Main - aaahhhhhhhhhhhhhhhhhh

Yeh ek jordar cheekh nikali mere muh se aur ankhon se ansun jitna gussa aur dard tha sab ek sath mil gya tha Maine apne room ka sara saman todna fodna shuru kar diya

Bahar bhai aur didi ne bhi meri cheekh sun li thi aur fir saman tutne ki awaaz bhi

Didi - ise kya hua aaj itna cheekh kyu raha hai aur upar se saman bhi tod raha hai

Bhai ne use panchayat bhawan ka kissa bata diya ki kya hua par bechare bhai ko bhi bhi adhi baat pata thi ki main esa kyu kar raha hu

Bhai - main dekhta hu ise kahi khud ko choth na pohncha le

Didi - han dekho kya hua hai bhai ise pagal hai yeh ladka bhi

Bhai mere room ke darwaze pe akar khatkhatane laga

Bhai - Jass kya hua mere bhai itna chilla kyu raha hai aur yeh itna kuch tutne ki awaaz kyu aa rahi hai

Main - bhai aap jao abhi yahan se mujhe abhi kisi se baat nahi karni

Bhai - dekh chote agar koi baat hai to mujhe bata kisi ko apna dard batane se kam hota hai sun raha hai na meri baat

Main - (rote hue) bhai aap jao yahan se plz....


Uske baad bhai mujhe awaaz deta raha par maine koi jawab nahi diya meri hatho pe ek do yagha chot lag chuki thi maine deewar pe bhi apne sar se takkar lagayi thi to mathe se khoon nikal raha tha ab vahi room ke vicho vich ghutno ke bal baith ke roye ja raha tha

Didi - kya bola woh

Bhai - keh raha hai kisi se baat nahi karni aur ro bhi raha hai

Didi - chalo rehne do fir usko kuch der akela jab bhukh lagegi to bahar aa jayega

Bhai - Avi meri behan maine kitni bar tujhe samjhaya hai ki uske liye kathor mat hoke raha kar tujhe pata hai na bachpan se kese reh raha hai woh akela ek dam

Didi - bhai to maine ab to kuch nahi bola fir bhi aap dant rahe ho huh

Yeh bolke woh vahan se chali gayi shaam ko papa ji ghar pe aaye

Papa - Dilsher putar Jass kesa hai ab aur kaha hai

Bhai ne unhe ghar ane se lekar ab tak ka pura kissa bata diya

Papa - pata nahi iss ladke ka kya hoga kabhi kabhi dar lagta hai kisi din yeh khud ko kuch kar na le

Bhai - papa such bolu to ab mujhe bhi chinta hone lagi hai iski naa iska koi dost hai na kisi se jyada bol chaal

Papa - main baat karke dekhta hu usse


Fir papa mere room ke door pe aye kaafi der awaaz lagayi par koi jawab na milne pe vapis chale gaye

haan-haan peet shera pe hi gussa nikal sala bhagat ko saheed kar dena tha na...(no offence)
 

aalu

Well-Known Member
3,073
13,048
143
Update 4


Ek nayi sawer papa ji uthte hi mere room ki aur aaye raat ke mukable abhi unko mere room ka darwaza khula mila unho ne andar akar dekha to sab kuch bikhra pada tha kaafu cheeze tutti futti padi thi

Unho ne mujhe awaaz lagayi tabhi vahan ek naukar aa gya

Naukar - sahab ji Jass bhaiya to subhe sawere hi apni bike lekar nikal gaye kahi

Papa - ajeeb baat hai yeh ladka bhi na kuch bata ke tp jata kamse kam kaha ja raha hai khana bhi nahi kha kar gya

Naukar - malik unke mathe pe choth ke nishan bhi tha

Papa - kal lagi hogi usko tum jao aur apna kaam karo

Fir papa bhi nashta karke bhai ko kuch samjha ke apne kaam pe chale gaye

Bhai - Avi (Avleen) kisi ko bula kar Jass ka room saaf karwa dena shayad kal gussa bohat jyada tha woh

Didi - theak hai bhai

Fir bhai bhi apne kaam pe chala gya aur Didu nukaro ko kaam pe laga kar collage chali gayi
Idhar main subha subha ek naadi ke kinare baitha tha apni zindgi ko mehsus kar raha tha

Main - pal pal hatash karti ayi hai yeh zindgi

Khushiyon ke bs kuch chuninda pal

Aur bhar bhar ke dukhon ke uphaar

Laayi hai yeh zindgi.....


1 se 2 ghante baad main vahan se uth ke chala gya ese hi idhar udhar kahi mann hi nahi lag raha tha


Ese pura din beet gya aur raat ko ghar vapsi pe bhai aur papa ji class lagayi meri main bs chup chaap sunta raha fir bhai ne mere jakhmo pe dawa lagayi

Apne room mein aakar maine dairy likhi aur so gya kuch din ese hi guzar gaye main ab vahi wala Jass ban gya tha jo Gagan ka mere zindgi mein aane se pehle tha mom ki death ke baad bilkul chup chap rehne wala

Gagan ne jo muskan mere chehre pe laayi thi woh vapis se kho chuki thi collage mein usse baat hoti thi meri par thodi bohat ab main bs use dekhta rehta aur usse doori hi bana ke rakhne laga

Jab jab usko dekhta to dil mein dard uthta mere vahi jab mujhe Bhagat dikhta to gussa ata kabhi kabhi mann karta tha ki jaan le lu uski par esa nahi kar sakta tha main woh mere pyar ka pyar tha

Ese hi kuch din beete the bhai aur papa ji bhi meri halat dekh kar fikar karne lage the kyu ku unko ab mujh mein vahi Jass dikhne laga tha bachpan wala


Ayee khushi chupke se aa ja na tu

Sakoon ki neend sula ja na tu

Hassi ko rubaru karwa ja na tu

Zinda hu main bhi iss baat ka ehsas karwa ya na tu



Ese hi 1 month beet gya aaj maine dil ke hathi mazboor hokar Gagan aur Bhagat ke piche piche ek cinema hall mein aya tha

Par yahan meri zindgi ka ek aur locha likha tha khair jese hi Bhagat ticket lene gya to kuch chichore ladke aakar Gagan ko chedne lage aur ek ne to uska hath tak pakad liya tha

Gagan - yeh kya badtameezi hai chorho mera hath

Gunda - main to na chedne wala madam ji

Gagan - maine kaha chorho mera hath

Gunda - kabhi nahi ab to apko biwi banaunga main apni

Gagan - ayeee mistar mind ur tongue

Woh gunda aur uske chamche hasne lage mujhe gussa ane laga aue maine unki aur padh gya par main abhi door tha itne mein Bhagat vahan aa gya usne akar Gagan ka hath chudwaya aur gunde kk ek rakh ke diya

Chattaaaakkkk ......


Bhagat - tujhe pata hai kisko hath lagaya tune inspector bhagat ki hone wali biwi ko kya samjha ab nikal yahan se

Woh ladke ab koi badi top to the nahi issi liye inspector shabbad sunte hi bhaag nikale vahan se aur Bhagat aur Gagan dono movie dekhne chale gaye

Par mera gussa shant nahi hua tha issi liye nain un ladko ka picha karne laga raat ko ek yagha woh log ek sunsan raste mein aa gaye the vahan unho ne daru ki bottels open kar li aur peene lage

Itne mein vahan bottel tutne ki awaaz ayi aur ek ladke ke cheekhne ki hua kuch iss tarha ki jab in logo ne adhi adhi bottel pee li to main action mein aa gya aur ek baseball bat lekar un logo ki taraf badh gya jakar seedha ek ladke ke sar pe mara woh cheekh ke vahi dher ho gya

Issi tarha 3 aur the unkl bhi diya rakh ke kyu woh log daru ke nashe mein the to jyada action nahi kar paye na sambhalne ka mauka mila unko ab bacha woh last jisne meri Gagan ka hath pakda tha maine uske bhi sar pe de mara baseball bat woh bhu dher gya

Fir maine gaadi ke sheeshe pe mara aur usme se ek tukda nikal kar sab ki gardan ki nass kaat di

Main - haramzaado meri Gagan pe gandi nazar daal ha zinda nahi chorunga mein tum logo ko aaj aahhhhhh

Ese bolke maine 2 se 3 baar aur un logo ki gardan mein chakku ghusa diya aur ek ek bar dil mein

Fir glubs jo ki maine pehne hue the aur baseball bat aur mer body pe jo abhi kapde the sab utar ke vahi jala diye kyu ki unpe khoon lag chuka tha

Naaye kapde pehne aur vahan se nikal gya maine inka picha karte waqt jab yeh log market mein ruke the tab yeh sab le liya tha pehle hi


Kehte hai mohabbat kuch bhi karwa deti hai janwar ko insan bana deti hai aur insan ko janwar

Aaj mere sath bhi shayad yahi hua tha aaj main bhi janwar bana tha 5 khoon kar diye the maine par mujhe ek choti si baat ki bhi parwah nahi thi


Ghar akar main room mein aya dairy likh ke so gya
log aksar kehte hain ishq mein log barbad ho jaate hain... galat nahin kehte.... yeh pyar hain itni jaldi dil se nikalta hee nahin hain... pyar agar sachha ho toh dil mein nahin rakhna chahhiye waran wo bhi galat ho jata hain.... aaj wahi pyar ek gunehgar ban gaya....
 

aalu

Well-Known Member
3,073
13,048
143
Update 5


Next day News mein un pancho murders ki khabar thi par police ko koi saboot nahi mila tha police ne puri koshish kar li thi but kuch bhi haath nahi laga unke

Gagan bhi hairan thi news dekh kar kyu ki yeh 5 log vahi the jinho ne kal uski cheda tha

Khair yeh murder mistry bhi aayi gayi ho gayi takreban 2 months baad aya ek aur kala din aaj Gagan humare ghar aayi thi apne mummy papa ke sath apni shadi ka card lekar

Woh log to chale gaye the par idhar mera sukh chain sab kuch udd gya tha aaj puri tarha haar gya tha main

Raat ko takreeban 10 vaje the didi ke room ke door pe knock hua unho ne door open kiya to sahmne mujhe paya

Didi - kya hai mere room mein kyu aya hai

Main - didi woh kya aaj aap mujhe apni goad mein sula dogi

Didi - pagal hai kya bacha nahi hai tu ja yahan se aur aaj se pehle to kabhi esa bahi hua fir aaj kyu

Main - didi aaj dil aur deemag dono bohat bechain hai sakoon nahi mil raha kahi issi liye aapke paas aa gya kyu ki apka chehra maa se milta hai soche shayad apki goad mein bhi unki goad jesa hi sakoon ho shayad

Yeh bolte bolte meri ankhein nam ho gayi thi

Didi - kesi behki behki batein kar raha hai ja yahan se koi nasha karke aya hai kya

Main - didi plzz fir kabhi apko tang nahi jarunga mummy kasam

Ab tak meri ankhon mein ansun ane lage the didi ne meri aur dekha fir kuch soch kar boli

Didi - chal aa ja

Fir maine aur didi unke bed pe aa gaye didi ke mann mein jhijhak si thi kyu ki isse pehle kabhi esa hua hi nahi tha

Khair maine unki goad mein sar rakh liya aur lait gya is waqt meri diary meri hatho mein hi thi

Didi - iss kitab ko to side pe rakh de

Main - yeh kitaab nahi diary hai meri

Didi - ise ese kyu pakad ke rakha hai fir

Main - ismein mere kuch jazbaar qaid hai aur kuch photi bhi bs issi liye agar apko dekhna hai to mere sone ke baad dekh lena

Didi - mujhe kya jarurat dekhne ki

Main - maa ki tasweere hai ismein aur 2 family photo bhi acha ab sone do mujhe aap

Yej bolke maine ankhein band kar li kuch 30 mins baad mujhe neend aa gayi didi ko bhi pata nahi chala kab woh mere hairs mein ungli chalane lagi halanki thoda azeeb jarur lag raha tha unhe

Khair 1 hour baad unho ne mujhe hilaya tab tak main gehri neend mein so gya tha

Didi - vese to yeh pagal sote hue kitna masoom lagta hai dairy ko bhi ese hi jakde pada hai

Yeh bolke unho ne diary mere hatho se nikal li tabhi usmein se kuch photos gir gai nikal kar jinmein se 2 family pics thi 4 pics maa papa bhai aur didi ki thi 2 pics meri aur Gagan ki thi

Fir didi meri dairy padhne lagi jese jese diary padhti gayi woh unki ankhon se ansun behte gaye

Kyu ki us diary mein mere ander ka har ek jazbaat likha tha woh diary padhti gayi roti rahi aur vich vich mein pyar se mere chehre pe bhi hath fer deti thi

Ese karte karte woh last page pe aa gayi aur padhne lagi

Last page : - "aap last page pe ho to aap ne puri diary padh li hogi didi pehle to apne is nadaan bhai koi maaf kar dena agar maine pehle hi ese kadam uthaya hota to aaj takk humare vich mein jo dooriyan hai woh na hoti shayad in dooriyon ki vajha bhi main hi tha mere hi paida hone pe maa ka dhayan aap dono pe se hatt gya tha pata hai maa ke jane ke baad ap mein maine maa ki parchayu dekhi hai par aap humesha mujh se chidi rehti thi to kabhi himmat hi nahi hui ki apse khul ke baat karu par darta tha ki aap gussa na ho jao ek maa to ruth gayi thi hamesha ke liye dusri maa ka gussa hona seh nahi pata main aap chahe chid kar hi mujh se baat karti thi par mujhe usmein bhi khushi milti thi par didi aaj main haar gya duniya se bhi aur khud se bhi "

Didi ne ek baar meri taraf dekha

"Aaj mera pyar kisi aur ka ho gya didi aaj mujhe pata chal gya hai ki khushiyan meri zindgi mein likhi hi nahi hai issi liye aaj chain aur sakoon ki neend sone ke liye main apke paas aya hu apni dusri maa ke paas kyu ki badi behan bhi to maa hi hoti hai jab tak aap yeh meri last shabad padhogi tab tak main hamesha ki neend so jaunga ek sakoon ki neend jo kabhi khatam nahi hogi maine poison kha liya hai bs apne is nadaan bhai ki jo bhi galti hai un galtiyon ko maaf kar dena

Apka bhai Jass"

Jese hi didi ne last ki lines padhi unko jhatka laga woh turant diary side pe rakh ke mujhe uthane lagi

Didi - Jass uth Jass pagal uth na dekh mera dil ghabra raha hai

Unho me meri upar jaldi se pani bhi dala par main nahi utha fir unho ne papa aur bhai ki awaaz di

Papa - kya hua Avi puttar ese kyu chilla rahi hai

Didi - (rote hue) papa jaldi se bhai ko lekar hospital chalo

Bhai - lekin ise hua kya hai aur yeh yahan kya kar raha hai

Didi - woh sab baad mein batati hu main apko par plz aap ise hospital leke chalo

Fir sabhi jaldi se mujhe utha ke hospital lekar gaye par tab tak bohat der ho chuki thi doctors ne check karte hi bata diya ki main Jani ki Jass ab nahi raha

Doctor ki baat sun kar bhai papa aur Didu teeno rone lage

Agle din Jass ka antim sanskar bhi kar diya gya sabhi ek gehre dukh mein doob chuke the Gagan bhi ayi thu ghar pe uske sath bhagat bhi thi

Ab tak didi ne papa aur bhai ko diary de di thi padhne ke liye unko bhi diary padh ke Jass ander ke har dard ka pata chal gya

Didi ne diary Gagan ko bhi di padhne ke liye woh bhi rone lagi ab woh bechari karti bhi kya yeh ek onesided love story thi na Jass ne kabhi apni mohabbat ka jikar kiya na usne kabhi pucha

Khair didi ne Jass ki diary hamesha ke liye sambhal ke apne paas rakh li dheere dheere sab log ki life normal ho gayi didi aur bhai dono ki shadi ho gayi par didi ko Jass ki kami aaj bhi khalti hai


Manta hu ishq jaan lewa nahi hota
Par yeh jo ek tarfa mohabbat hoti hai na nihayat hi jaan lewa hoti hai
Kisi se bhi kabhi kabhi kuch bhi karwa deti hai

Khair yeh mohabbat ka ek pehlu aap sab ke sahmne rakha hai maine issi kiye waqt rehte mohabbat ka izhar kar dena chahiye


"Mohabbat ke pehlu mein gaye the hum sakoon ke liye

Par humari mohabbat bhi ek tarfa thi jo chain tha woh bhi luta liya"



So guyz yeh thi meri ek choti si story kesi lagi batana jarur
kya kahu pagal, bewakoof... ya aashique.... bas ek dard de gaya uska pagalpan... kiski galti thee akhir.... gagan kee uske pariwar waalo kee ya sirf jass kee... lekin kisi kee bhi ho.. aaj ek zindagi kho chuki hai hamesha-hamesha ke liye... kehte hain ishq ka ehsas hi sabse khoobshoorat hota hain,,, par uske liye jo usse paa leta hain.... warna utna hi bhayanak jo nakam hota hain... duniya mein bas haasil karne par hi khushi hoti hain.... lekin ishq toh balidan sikhati hain... toh yeh bhi ek pehlu tha.... ek kala sach... one-sided love story ......
 

Lovingheart

Active Member
1,220
4,110
159
haan-haan peet shera pe hi gussa nikal sala bhagat ko saheed kar dena tha na...(no offence)

Actually socha tha maine pehle yeh scene par yeh scene end se alag bata to nahi kiya๐Ÿ˜๐Ÿ˜‚๐Ÿ˜‚
 
  • Like
  • Haha
Reactions: Kingfisher and aalu

Lovingheart

Active Member
1,220
4,110
159
log aksar kehte hain ishq mein log barbad ho jaate hain... galat nahin kehte.... yeh pyar hain itni jaldi dil se nikalta hee nahin hain... pyar agar sachha ho toh dil mein nahin rakhna chahhiye waran wo bhi galat ho jata hain.... aaj wahi pyar ek gunehgar ban gaya....
Sahi baat bhai
Yahi points to dikhana chahta tha main๐Ÿ’•๐Ÿ’•
 
  • Love
  • Like
Reactions: Kingfisher and aalu

Lovingheart

Active Member
1,220
4,110
159
kya kahu pagal, bewakoof... ya aashique.... bas ek dard de gaya uska pagalpan... kiski galti thee akhir.... gagan kee uske pariwar waalo kee ya sirf jass kee... lekin kisi kee bhi ho.. aaj ek zindagi kho chuki hai hamesha-hamesha ke liye... kehte hain ishq ka ehsas hi sabse khoobshoorat hota hain,,, par uske liye jo usse paa leta hain.... warna utna hi bhayanak jo nakam hota hain... duniya mein bas haasil karne par hi khushi hoti hain.... lekin ishq toh balidan sikhati hain... toh yeh bhi ek pehlu tha.... ek kala sach... one-sided love story ......
Ek dam right bhai

Mohabbat ka ehsas khushiyan bhi deta hai aur dard bhi kisi ko gunhegar bana deta hai to kisi ko dharmatma
 
  • Love
Reactions: aalu
Top