- 6,463
- 5,017
- 259
Ye kahani Ishikaaa ke dwara Xossip mein likha gaya tha, aab Xforum mein post karne ka permission mil gaya hai toh is story ka saara credit Ishikaaa ko jaata hai
Update ~ 1
Badal ke garjne ki jordaar awaaj ke sath hi Meera ki aankh khul gayi … uski neend kachi thi isi liye sir bhari ho gaya tha … bahar kafi tej tufaan aaya hua tha … raat me bijli ki chamak aur badal ke garjne ki awaaj kafi darawni lag rahi thi Meera ko … Khidkiyan khuli hone ki wajah se paani ki bauchharein tej hawa ke sath kamre me aa rahi thi … Meera chaunk kar uth gayi … sir dard se fat raha tha … abhi thodi hi der pahle to soyi thi wo …
Jab Khidki band karne pahunchi to nigaah anayaas hi samne wale ghar par chali gayi … aaj bhi Viraat roj ki tarah apni khidki par khada use hi dekh raha tha … use dekhte hi Viraat jo apni khidki se tika hua tha jhatke se seedha khada ho gaya …jaise use Meera ka hi intjaar tha …
Meera Viraat ko dekh kar jahan ki tahan jadd ho gayi … kuchh der pahle ka dard uski aankhon me tair gaya … Viraat bhi jaise butt bana use dekh raha tha … naa roj ki tarah haath hila raha tha naa hi good night bol kar flying kisses de raha tha … bas maun aplak use nihar raha tha …
Meera Viraat ko dekhti huyi hichkiyaan lekar rone lagi … Viraat ke chehre se saaf pata chal raha tha kitni takleef ho rahi hai use Meera ko rote dekh kar par aaj ek maun tha dono ke beech … barish poore jor par thi … itni tej ki dono ko ek doosre ke chehre dhundhle najar aane lage the …
Meera rote rote hi khidki band kar apne bistar me gir kayi … hichkiyon ne abb jor pakad liya tha … apne hi haanth se Meera apna muhh daba kar apne rone ki awaaj ko rokne ki nakaam koshish kar rahi thi jabki Viraat abb bhi wahi khada tha … uska chehra bhi aansuon se bheega hua tha … gaalon par anginat lakeerein khinchi thi aansuon ki par wo abb bhi jas ka tas khada Meera ke kamre ki khidki ko dekh raha tha …
Update -- 2
Kafi der aise hi khade rahne ke baad Viraat aakhirkaar hat hi gaya khidki se par usne band nahi ki khidki … Viraat ke chehre par sard mayusi chhai thi … Viraat bhari kadmo se seedhiya utarne laga kyu ki pyaas se gala poori tarah sookha hua tha … neeche aakar rasoi ghar se lekar pani ka glass usne muhh ko lagaya hi tha ki samne katori me rakhi mithai par najar padd gayi …
Viraat ka dil ek baar phir ro pada … mushkil se ek ghoot hi piya hoga usne pani … mare awesh ke usne pani ka gilaas farsh par de mara … gilaas girne ka shor to achha khasa hua tha par bahar baadlon aur barish ka shor jyada tha shayad isi liye koi nahi jaaga … siva Timmi ( dog) ke … par timmi bejubaan tha … wo Viraat ki haalat samajh to sakta tha par kisi se kah nahi sakta tha … Timmi Viraat ke aage peechhe ghhomne laga…
Viraat ne katori ko mithai sahit fenkna chaha par achanak beech me hi uske haath ruk gaye … wahi diwaal se tik kar Baith gaya aur apne asuon ko rokne ki Nakaam koshish karta raha … par seene me dard bahut jyada tha … nahi saha gaya aur dard … Viraat foot foot kar ro diya … par uske paas koi nahi tha jo uska dard sunta… Viraat ne aankhein band ki to Meera ka aansuon me bheega chehra dikhne laga … Tadap kar khud se hi bolne laga wo…
Viraat -- Meera ye kya ho raha hai hamare saath … kya ham alag kar diye jayenge … ohh babu kya tum kaise bhi kar ke kuchh wakt nahi de sakti ho Mujhe … marr jaunga yaar tumhare bina … kabhi socha bhi nahi tha ki aisa bhi koi din aayega jo mujhe tumse door karne lagega … Meeru mat todd wade apne … marr jaunga mai betu marr jaunga…
Viraat aise hi siskte hiye bhari kadmo se wapas kamre me aa gaya … apni aamari ko khol kar sare tange huye kapdon ko kinaare kiya to samne Meera aur Viraat ki kayi tasweerein lagi thi jo cheekh cheekh kar bayaan kar rahi thi ki inka saath aaj ka nahi shayad inki umar jitna purana hai … aur umar ke saath jawaan huye pyaar ke juda hone ka khayal maut se bhi jyada khaufnaak hota hai … jaane kaise beeti raat Viraat ki … par subah savere hi wo clg ke liye ready ho gaya …
maa ne apne bete ki badhi huyi shave aur naashte ki plate jise usne chhua bhi nahi tha dekhi to paresha ho uthi … lekin unki pareshani sunne ke liye wo khada naa raha … tej kadmo se baahar nikal gaya …
Viraat ne baahar nikal kar ek dard bhari nigaah meera ke ghar ki taraf dali aur nikal gaya … Abhi subah ke 8 hi baje the … thand ki shuruaat ho chuki thi aur sari raat huyi jhamajham barish ne thank ko aur bhi badha diya tha … Viraat ne thodi door jaane par ek ladki jisne chehre ko dupatte se cover kiya hua tha ke paas bike rok di … wo ladki jhatt se Viraat ke baahon ke sahare bike par baith gayi … aadhe ghante ki drive ke baad hi bike shahar ke baahar ek baandh ke paas jaakar ruk gayi …
uss ladki ne apna duptta hataya … Meera thi wo … doodhiya rang ke chehre par saji badi badi aankhe aur gulabi honth dono hi raat bhar rone ki wajah se sooj se gaye the … Meera bina ruke ek ekant kone ki taraf badh gayi … bike ko park karne ke baad Viraat bhi uske paas pahunch gaya … Viraat aur Meera ki umar yahi koi 20 saal hogi … saath me aise lagte the jaise bane hi ek dooje ke liye hain…
Viraat Meera ke baaju me baith kar kuchh bolne hi jaa raha tha ki Meera ne ishare se mana kar diya … Viraat ko ajeeb laga … lekin Meera ne khamoshi se apni clg bag se Ek box nikalila … usme aalu ki sabji aur poodiyan rakhi huyi thi … Viraat ki aankhon me ek baar phir aansu tair gaya … gala itna rundh gaya ki siwa Meeruu ke wo kuchh bol hi nahi paya … Meera ki bhi aankhon se aansu bahh rahe the … usne haule se kaha …
Meera -- mujhse baat karni hai to pahle khana khao … mujhe pata hai mai nahi thi to tumne do dino se kuchh khaya nahi hoga …
Meera ne Viraat ki ore niwala badhaya to Viraat ne bina kisi na nukur ke chup chap kha liya … Viraat ne aankhe band ki aur aankhon se aansuon ki jhadi bah nikali … usne aankhe band kiye huye hi haule se kaha …
Viraat-- phir bhi chali gayi thi bin bataye … aur meri maut ka intjaam kar aayi wahan se … kah deti to khud khushi kar leta … tum kyu apne haathon ko mere khoon se rang rahi ho…
Viraat ne ye line badi takleef se boli aur utni hi takleef se Meera ne suni… uske baad to sabra ka har baandh toot gaya …
Update 3
Viraat ne Pal bhar Meera ke aansuon se doobe chehre ko nihara aur tadap aur bebsi se usne apni aankhein jaise hi band ki aansuon ki jhadi lag gayi … Viraat ko aise dekh kar Meera bhi siskne lagi … iss pal agar upar wala inn dono ko dekh raha hota to shayad khud hi aakar inke aansu ponchhta par naa jaane kyu upar wale ke imtehan lene ka dayara itna bada hai … jindgi hi kam padd jati hai par imtehan chalte rahte hain … Khair inhi siskiyon ke beech Viraat rundhe gale se bola …
Viraat -- tere baap ko teri padhai likhai se bhi koi matlab nahi hai kya abb … bojh bann gayi hai tu ki yun sadak chalte tera rishta kar diye ??
Viraat ke shabdon me bechaini thi …
Meera -- maa ne haan kahi hai … unki bachpan ki dost ka beta hai …
Meera ke jawaab me behadd masoomiyat thi …
Viraat -- Kab jayega inka bachpanna … mujhe pahle hi lagta tha teri maa meri pakki dushman hai … Meeru wo kisi bhi kabootar ko tere liye kaise pasand kar sakti hai … are job - wob bhi honi chahiye … thoda janchna parkhna bhi chahiye …
Viraat ne Meera ke gaalo par ludhke aansuon ko poonchhte huye kaha …
Meera-- wo job karta hai … gov job hai uski … bataya naa maa ki bachpann ki dost ka beta hai…
Viraat -- Fu**… Meeru tere liye budha ladka pasand kiya unn logon ne … gov job matlab 30 - 35 Ka hoga hi …
Meera -- 25 yrs ka hai wo…
Viraat -- aisa kaun sa ladka hai yaar ki 25 yrs me job b kar li aur shadi ke liye bhi haan kar di … dikhne me pakka mogambo jaisa hoga … eklauti beti ke sath koi aisa karta hai kya bata …
Viraat ko koi bhi kami hi nahi mil rahi thi jisse mudda banane ke liye wo Meera ko kah sakta …
Meera -- Durga puja ke din aane wala hai … dekh lena …
Meera ne udas mann se kaha …
Viraat -- yahan aa raha hai … b… babu phir to tere ghar rukega naa … Meeru …
Meera -- kya ??
Viraat -- Are haan sunn tune teri studies wali baat nahi boli usse … Abhi to teri Bsc bhi nahi huyi hai poori…
Viraat hadbada sa gaya tha uske aane ki baat sun…
Meera -- Maa ki dost ne maa se kaha ki shadi ke baad bhi padh sakti hoon … Viraat Ye sab baatein bol kar dekh li maine maa se … siwa mere aur tumhare bare me batane ke … wahi last option hai…
Meera ne Viraat ke haathon ko pakad kar kaha …
Viraat -- kab bataogi ?? Apne Feron ke baad ?? Yaa mere marr jane ke baad…
Viraat ne chidhte huye apna haath Meera ke haath se chhuda liya …
Meera -- itna gussa kyu ho rahe ho yaar … Bolne se pahle kuchh socho please … tumne hi mujhse wakt maanga hua hai naa ? Tumne hi bola hai naa ki ek saal aur tumko chahiye usse pahle tum soch bhi nahi sakte shadi ke liye … to kaise mai tumhare baare me bol deti maa ko …
Viraat -- mera to sir fatt jayega Meeru … soch bhi nahi paa raha hoon tere bin jindgi agar aisa hua to shayad marr hi jaunga …
Meera ka gale lagate huye kaha Viraat ne …
Meera -- jab dekho marne ki baat … bas bhi karo babu … mai nahi karna chahti hoon kisi aur se shadi… tumse shadi karna chahti hoon… par kuchh bhi batati hoon to maa papa ke heart Patient hone ka duhai deti hai … tumhare barein me bataungi to maa ko hi heart attack padd jayega …
Meera ne budbudate huye kaha …
Viraat -- batana to hoga hi … tere ghar walon ko bhi aur mere ghar walon ko bhi … aur koi rasta bhi nahi hai …
Viraat ki in lines ke sath hi Meera aur Viraat ke baaton ka silsila ruk gaya … kyu ki yahi ek baat thi jis par dono ek mat the …
Doston ye kahani Viraat aur Meera ki prem kahani hai … jinki muhobbat unki umar jitni purani hai … yun to Inn dono ke ghar aamne samne hain par koi khas lagaaw nahi hai … kaaran hai Meera ki maa … Meera ki maa ka nature bilkul madhayam wargiya pariwar ki uss mahila jaisa hai jo sukh suwidha pane ki race me pati aur bachon ko hi peechhe chhod deti hai … aisa hi ek gap Meera ki maa aur Meera me bann gaya hai … Doosri taraf Viraat ke ghar me maa baap bache me hi apna bhoot , bhawishya aur vartmaan dekhte hain … matlab ki unki aankhon ke sapne abb Viraat ka maksad bana diye gaye hain … Kul mila kar Meera aur Viraat ke prem ke khulase par maha sangram to tai hai …
UPDATE 4
Khamoshi se ek doosre ko niharte huye achanak hi Viraat uchhal padda …
Viraat -- Meeru ek mast idea aya hai dimaag me agar tu saath de to …
Meera -- kya bolo naa ?
Viraat -- kyu naa ham uss aane wale namoone ko hi kalti kar dain yahan se ??
Viraat ke chehre par saaf likha tha ki use apne idea par poora bharosa tha …
Meera -- mai nahi samjhi …
Viraat -- Tumhari yahi baat to meri jindgi hai … khair kya naam hai uss namoone ka jab wo durga pooja me aayega to tera bilkul naya roop dekhega wo aur khud hi chala jayega ye rishta todd kar … bol kaisa idea hai ?
Meera -- Filmy aur bakwaas idea hai … kabhi socha hai iska ulta prabhaw hua aur usne maa ko kuchh bol diya to kitni juttiyan padengi mujhe … look Viraat ek din hamare rishte ke basre me ghar walon ko batana to hai hi … kal nahi aaj hi sahi … inn betuke ideas se kya hoga … jyada se jyada 6 maheene ka wakt mil jayega par khatre ki talwaar to sir par hi latkegi naa ?? Maa ne iraada kar liya hai shadi karwaane ka …
Meera ne Viraat ki khusi par paani fer diya …
Viraat -- poori tarah agree karta hoon teri baat se … par kis muhh se mangu tujhe sabse … hoon kya mai … meri awkaat kyaa hai ? papa ke paison par khud jee raha hoon … ek saal me padhai poori hote hi kuchh naa kuchh to kar hi loonga … Par koi baat nahi mai tere saath hoon Meera tu jaisa theek samjhe kar abb mai koi betuka idea nahi doonga …
Viraat ne Apne dil ka dard aur majboori kah di Meera se … sahi bhi tha Viraat … abhi to wo kuchh bhi nahi tha … kis muhh se gharwalon se baat karta … aakhir pyaar ke saath saath aata daal bhi chahiye hota hai jindgi jeene ke liye…
Meera -- i am sorry babu … mera maqsad tumko dukh pahuchana nahi tha … jaisa bologe waisa hi hoga … uss namoone ka naam Nikhil hai … wo 8 dino baad aa raha hai … hamare yahan hi rukega … soch lo jo bhi karna hai aur mujhe bhi bata do … jaisa bologe karungi …
Meera ne Viraat ko manaya … aur apne Viraat ki har baat maan li Meera ne par baat dono hi ki apni apni jagah sahi thi … khair thodi der aur baahon me baahein dale baithe rahe dono uske baad chal diye wapas ghar ki ore …
Viraat ke chehre par dukh kam ho gaya tha par Meera ka chehra yathawat gamgeen tha kyu ki usko achhi tarah pata tha apni maa ka nature … unko to paise aur vaibhaw ke aage kuchh bhi nahi dikhta tha .… Meera ko pata tha ki jab unko Meera aur Viraat ke rishte ki bhanak bhi lagegi usi wakt uske ghar me jaljala aa jayega … Maa bardaasht nahi kar payegi aur har sambhaw koshish karegi Meera aur Viraat ko alag karne ki … Khair Viraat ne Meera ko ghar se thoda door utara aur uske auto me baithte tak dekhta raha …
15 saal purana rishta tha uska Meera ke sath … pahle dosti huyi thi aur kab dosti jindgi ki jarurat bann gayi pata hi nahi pada usko … Viraat achhi tarah janta tha ki Meera ki maa use jarra bhi pasand nahi karti thi par kya kare pyaar to pyaar hai … ho hi gaya …
Meera ghar pahunchi to uski maa baahar hi baithi thi … Meera ko darr lagne laga ki kahi unko pata to nahi lag gaya par yahan to maanjra kuchh aur hi tha … Maa papa se Durga pooja ke dauraan hi sagayi karwaane ki baat kar rahi par papa sahmat nahi thi … Meera dhadkane badh gayi … itni jald baji karegi maa Meera ne to socha bhi nahi tha … Meera jab apne kamre me pahunchi tab tak Viraat bhi apne ghar aa chuka tha aur ghar ke bahar bane chhote se garden me Timmi ke sath khel raha tha … Meera ke chehre par bhi feeki si muskan aa gayi par usne sagai wali baat Viraat se chhipa kar hi rakhne ka faisla kiya …
Viraat jab apne ghar pahuncha to uski badi bahan khyati ne seedhe sawaal daga …
Khyati -- Viraat kab se chal raha hai ye sab ? Kaun thi wo ladki jise tu apne bike par bitha kar tahla raha tha … clg ke bahane ye sab kab se chal raha hai … aane de papa ko mai sab batati hoon unse aakhir tu padhai ke bahane kya gul khila raha hai …
Viraat use samjhane ke liye aage badha hi tha ki uske najar maa par paddh gayi jo awaak khadi Viraat ko dekh rahi thi…
UPDATE 5
Maa ko dekh Viraat aur Kyati dono ki bolti band ho gayi… maa bina kuchh bole kamre me chali gayi to Viraat ne bebas najron se apni badi bahan ko dekha … Khyati ke chehre ka bhi rang udd gaya tha aur saaf pata chal raha tha ki jo hua wo badkismti se jyada kuchh nahi tha … Khyati Viraat se ek saal badi thi … jiski shadi do mahine baad hi hone wali thi … Viraat ka utra hua chehra dekh kar Khyati bhi dukhi mann se boli …
Khyati -- mai ye to bilkul nahi karna chahti thi par tera bad luck hi kharab hai … wo kahte hain naa bure kaam ka bura natija … abb bhugat …
Khyati ki baaton se samjh hi nahi aa raha tha ki wo kis mood me hai …
Viraat -- dii ye muhawra to jab jeeju ki call ayegi naa ki " Viraat plz Khyati ko coffee house laa " tab charitarth hogi … tab mai bhi kahoonga bhugto abb…
Viraat ne khisiya kar kaha …
Kyati -- omg Viraat tu mujhse badla lega mere bhai…
Viraat -- ye sab rayeta failaane se pahle sochna chahiye tha meri bahanaa …
Viraat aur Khyati ki bak bak abhi aur chalti par maa ne Viraat aur Khyati ko apne room me bulaya … dono ke chehre par 12 baj chuke the … ek dusre par dukh bhari najar daal kar dono maa ke paas jaa pahunche … maa kamre me pareshan si baithi thi…
Viraat -- mom aapne bulaya mujhe …
Maa -- Viraat ye khyati kya bol rahi hai beta … Kise bike par mera matlab hai kya khyati sach kah rahi hai …
maa ne Viraat ke chehre ke bhawon ko padhte huye kaha …
Viraat -- maa wo…
Viraat ki baat ko beech me hi kaat kar maa boli …
Maa -- beta tumko Yaad to hai naa ki ye saal tumhare carrier ke
liye kitna crucial hai ? Ghoomne phirne ke liye to umar padi hai par ye wakt agar haath se sarka to wapas nahi aayega …
Maa ne jeewan mantra diya
Viraat -- mom mai janta hoon …
Viraat itna hi bola aur sir jhuka kar khada ho gaya …
Maa -- meri ek baat gaanth baandh kar rakh lo " tarkki ka sabse asaan aur sahi tarika padhai hai … warna bahut papad belne padte hain jeewan yapan ke sadhan jutane ke liye " … waise bhi apne papa ka gussa to jante hi ho naa ?
maa ke swar me chinta thi …
Viraat -- m…maa mai aapse kuchh kahna chahta hoon…
Viraat ne apna dil maa ke sane khol kar rakhne ka nirnay liya hi tha ki Khyati kuchh jyada hi naatkiya dhang se uchhalte huye boli …
Khyati -- are papa aap aa bhi gaye office se … are waah dekho to sabhi log sabb papa aaye hain…
Khyati ke iss line ke baad hi Viraat ne chuppi dharan kar li …
Doosri taraf Meera apne room me baithi sari paristhitiyon se apna sir fod rahi thi ki anayas hi wo din yaad aa gaya jab Viraat ne Meera ko propose kiya tha … anayas hi Meera ke chehre par muskan fail gayi … Meera ko propose bhi Viraat ne bade anokhe tarike se kiya tha … Anokha bhi aur risky bhi … joote padne ke bhi poore chance the …
Usne Meera ko Valentine's day ke din ek rose aur card diya aur bola " Meeru please ise Diya ( common Friend ) ko de dena … usse ye bhi kah dena ki mai usse babut pyaar karta hoon aur uske bina marr jaunga … Meri jindgi me uski jarurat hai … usi ke damm se dil dhadkta hai …"
Meera ne card le to liya par Diya ke liye Viraat ki deewangi dekh kar Meera ko jalan hone lagi thi … bhale hi Meera ne usse pahle kuchh nahi socha tha pyaar vyaar ke baare me lekin Viraat ki baaton ne Meera ke andar soyi huyi feelings ko jaga diya … doosri taraf saheli ki itni tariff … doston wo line yaad hai naa " Moh na nari nari ke roopa " … Meera ne tai kar liya ki wo card Diya ko degi hi nahi … Sara din aise hi beet gaya …
Meera ne shaam ko jab khidki se dekha to Viraat apne ghar ke garden me lage jhoole par baitha Meera ki khidki side hi dekh raha tha … Viraat ka intejaar dekh Meera ko afsos hua apne upar aur usne turant tai kar liya ki abhi ke abhi card Diya ko dekar aayegi … Meera ne card ko apni book me rakha aur rose ko apni jacket me aur chal padi Diya ke ghar … iss baat se poori tarah bekhabar ki card me kya likha hai… Meera ko apne andar sab kuchh chhot ta sa mahsoos ho raha tha …
Diya ke ghar pahunch kar Meera ne use chupke se wo card aur rose de diya … Diya ne jab card padha to uski hasi chhot gayi… Meera ko uska hasna nahi achha laga aur use bahut gussa aayi … isse pahle Diya kuchh bolti Meera ne Viraat ke pyaar ki kadar karne ki naseehat de daali … Diya ne uske baad kuchh bola nahi bas muskura kar rose uske haath par rakh diya … Meera ne turant card khol kar dekha to sann rah gayi…
"""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""
Meera o Meera
Achha Suno Na...
Jaroori Nahi Har Baar Shabd Hi dil ki baat kahein ...
Kabhi Aisa Bhi Ho
Ke Main Sochun... Aur Tum Samajh Lo.
please samajh lo naa…
chalo ek baar kah do …
jo samjhta hoon wo sahi hai ki bhram hai mera …
Aaj bata hi do mujhe ki tum
" meri hi ho naa "
""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""
Meera ke dhadkno ki raftaar saikdon guna badh gayi thi … khushi aur sharam ki lali ne uske chehre ko gulabi kar diya tha … wo fauran uth kar apne ghar ke liye bhagi to thodi door par bechain sa khada Viraat mil gaya … kadake ki thand me bhi Meera ko apne gaal aur kaan jalte huye se lagne lage … aur uske baad jo hua wo muhobbat ki nayi ibarat ka agaaj tha …
UPDATE 6
Meera apni maa ki awaaj ke sath hi apni soch ki rumaani duniya se aaj ki duniya me wapas aa gayi … Meera ko baahar bulaya jaa raha tha … Ghabrati , sahmi si Meera baahar pahunchi to Maa ke chehre par Vijayi muskan thi aur papa pahle ki tarah papar padhne me busy se … Meera ko dekh maa ne khushi se dohri hote huye kaha …
Maa -- Meeru jara teri mausi ji ka jio wala number to de … bada uchhalti hai naa … khush khabri to suna doon …
Maa ke pair jameen par nahi the …
Meera -- k… kaisi khush kabhri maa…
Meera ka kalejaa anjaane darr se fatt raha tha …
Maa -- are meri ladli bitiya ki sagayi ki khush khabri aur kya …
Meera ko aaj maa ka pyaar tejaabi lag raha tha …
Meera -- Maa please … aap itni jaldi me kyu hain … mai kahi bhag thodi rahi hoon … thoda to wakat de dijiye … atleast samne wala banda
( Nikhil ) to pasand kar le … aise kaise maa…
Meera ki aankhein chhalak uthi thi …
Maa -- Meera tu mujhe galat samjh rahi hai … tere papa se poonchh le Nikhil ke gharwalon ne samne se call ki abhi abhi … Nikhil ko tum bahut pasand ho … Use koi aaptti nahi shadi se …
Maa ne Meera par vajrapaat kar diya …
Meera -- par Maa maine to nahi dekha unhe … mera matlab hai ki m…meri pasand …mai …k…kisi aur …
Meera ki baat poori hone se pahle hi maa ne aansuon ke ashtra aur gusse ka shashtra lekar maidan e ghar me jump kar diya tha …
Maa -- to kya abb teri marji se teri shadi ki baat aage badhegi … tu itni badi ho gayi hai ki tujhe abb hamari pasand par bhi koi bharosa nahi rah gaya hai … agar usse dekhna hi hai to chal mai le chalti hoon uske shahar … dekh taak le … He mata rani ek wo beta hai jisne apne maa baap ki pasand ko bin dekhe haan kar di aur ek ye beti hai jo…
Meera ka dil kiya apna sir fodd le .… wo ruaansi awaaj me boli…
Meera -- maa aap galat samjh rahi ho … papa aap chup kyu haon … please maa ko samjhaiye naa …
Meera ne aone papa se gid gidate huye kaha…
Papa -- beta mai thak gaya samjha kar … waise tumhari maa galat bhi to nahi kah rahi hai … Shadi to honi hi hai ek na ek din… bhale ghar se rishta judd raha hai … unko teri padhai se bhi aitraaj nahi hai … sab kuchh best hai …
Papa ne Meera ko do took jawaaj diya…
Meera -- papa aap bhi maa ki side ho … m…meri koi baat nahi samjhenge aap log…
Meera hatash hokar rone lagi …
Maa -- bahut ho gaya natak … Durga ashtmi ke din sagai hogi … abb Jaa yahan se aur haan abb tera ghar se bahar bhi jana band … jaane kya kya patti padhti hai baahar jaakar…
Meera ki Maa ne use jor se dante huye lagbhag dhakel diya seedhiyon ki taraf …
Meera chhote bache ki tarah wahi farsh par baithi bilkhti rahi par kisi ko koi fark naa pada siva lajo ke … Lajo iss colony ki eklauti kaam wali thi … umar koi 18 saal … Meera ki chaheti aur Viraat ki kabootar … jo Meera ko Viraat ke sare msgs deti thi … Lajo ki aankhein bhi dabdaba uthi … aur wo seedhe Viraat ke ghar pahunchi aur wahan pahunchte hi Viraat ko khojne lagi …
Lajo -- Didi ji hamko bhaiya ji se angreji poonchhna hai … jarra bula do please …
Khyati -- kyu teri Meera jijji ne naa bataya kya kuchh aaj…
Lajo -- Meera jijji to ro ro kar mar rahi hain… uski maa ne jabari sagai karane ka nirnay le liya hai … Meera jijji jab se aayi hain bahar gaaw se khane ka ek niwaala na liya muhh me … par unki maa ko koi parwaah nahi … abhi khoob daanta jijji ko …
Lajo ki batein sun Khyati shock huyi hi sath hi Viraat ke kano me bhi padi … uske pairon tale jameen khisak gayi jab use pata pada uski Meera teen dino se bhooki hai aur iss wakt takleef me hai … wo tej kadmo se bahar Lajo ke paas aaya …
Khyati -- Ye kya bol rahi hai tu Lajo … Meera ki marji ke bagair shadi ho rahi hai …
Khyati ko bhi achhi nahi lagi ye baat…
Lajo -- haan … Meera jijji to Viraat bhaiya se…
Lajo Viraat aur Meera ke bare me Khyati ko batane hi jaa rahi thi ki Viraat ko dekh kar chup ho gayi …
Khyati -- Kya Meera Viraat se … bol naa … chup kyu hai…
Khyati ko darr sa lagne laga…
Lajo -- bhool gayi Didi …
Lajo ko bas yahi soojha …
Khyati -- tu poori chudail hai …
Khyati bo hi rahi thi ki Viraat aa gaya Uski aankhei lal thi aur chehre par takleef aur dard saaf dikh traha tha … khyati ko samjhte huye ek pal bhi nahi laga ki Lajo kya kahne wali thi …
Khyati -- Viraat …Kahi tu aur Meera … ohh my god … Bataya kyu nahi stupid …
Khyati ne Viraat ka hasth pakda to Viraat bhi toot gaya …
Viraat -- socha tha wakt aane par bataunga di… kya karu mujh par jimmedariyan hain … papa ke samne koi baat pahunche isse pahle apne pairon par khada hona chahta tha …
Khyati -- tu pareshan mat ho … mai baat karungi maa se … sab theek ho jayega bhaiya … mai sab theek kar doongi…
apni bahan ko saath pakar Viraat ko thodi rahat mili aur uski aankhon se do boond nikal kar uske gaalon par ludhak gaye …
Doosri taraf Meera ro hi rahi thi ki uski papa ke mobile par Diya ki call ayi kyu ki Meera ka phone to switch off tha … Diya ko Meera ki awaaj se saaf pata chal gaya ki wo ro rahi thi …
Diya -- kya hua Meera tu ro kyu rahi hai ?? Viraat se jhagda hua tera ?
Diya ghabra gayi…
Meera -- Diya meri madad kar pleasae … mai bahut pareshan hoon…
Meera ne sari baat bata di Diya ko…
Diya -- omg Meera … tum dono apne ghar walon ko sab batao isse pahle ki der ho jaye … please … mai Viraat ko call kar deti hoon… tu hausla rakh… apne maa baap apni takleef jaroor samjhenge …
Diya ki baaton ne Meera ko thodi to tasalli di …
Meera -- ok mai aaj hi sab bata doongi maa ko…
Meera ne bhi abb sab batane ka faisla kar liya tha …
Raat ke wakt Viraat ko Meera ke ghar se Meera ke maa ki tej awaajein aa rahi thi … Viraat ko samjhte der nahi lagi ki Meera ne apne aur Viraat ke rishte ke bare me bata diya apni maa ko … lekin baat itni si nahi thi aur bhi badh gayi thi … Meera ke ghar ke bahar taxi khadi thi …
Meera ke ghar se aati awaajein lagatar Viraat ke roungte khade kar rahi thi par kuchh bhi spashth roop se sun nahi pane ki wajah se wo jhunjhla raha tha …
Doosri taraf Meera ne jaise hi apne aur Viraat ke rishte ka khulasa kiya maa ka bhashan shuru ho gaya … itna hi hota to ganeemat thi … isi me papa ka bhi bp high ho gaya … wo thahre dil ke mareej … naha uthe paseene se … Maa ne Meera ko koste koste hi taxi bulai …
Maa -- Kya yahi din dekhne ke liye tujhe naajon se paal kar itna bada kiya tha … kya tujhe isi liye itni azadi di thi ki tu hamare muhh par kalikh pot de … are tujhe gair jati wala hi mila … kya hamari jati ke sab marr gaye the ?
Maa ne ye line bolte huye Meera ke chehre ko wapas laal kar diya … pichhle ek ghante me shayad 6-7 thappad kha chuki thi wo …
Meera -- Pahle aap meri baat to suno maa please …
Meera ki rone ki awaajein Viraat ke ghar tak pahunch rahi thi …
Maa -- abb aur kya sunana chahti hai tu hame … shayad isi liye maa baap ladkiyon ko baandh kar rakhte hain… aaj ka din dekhne se achha tha ki mai be aulaad hi rahti … duniya ki har khushiya tujhe ishare par di hamne par tune apne charitra par hi daag laga liya … kya kami thi hamare pyaar me jo tu baahar khojti phir rahi hai pyaar …
maa ke shabd abb jahar bujhe hone lage the … maa ne Meera ko do thappad aur jadd diye …
Meera -- maa kyu maar rahi ho mujhe dukhta hai matt maro please … koi paap nahi kiya maine … aap galat samjh rahi ho … please ek baar to mere baare me bhi socho …
Meera maa ke pairon par gir padi …
Maa -- dekh Meera mai mere pati ko lekar hospital jaa rahi hoon… teri wajah se inki jo dasha ho gayi hai tujhe to wo bhi nahi dikh rahi hai … sau baaton ki ek baat tere paas do raste hain … pahla rasta ye ki aalmari me teri shadi ke liye jo jewar banwaye the wo aur cash pada hua hai … use lekar yaha se chali jana aur apna muhh jeewan me Khabhi bhi mat dikhana , ham bhi soch lenge ki koi aulaad hi nahi thi hamare … aur doosra rasta tumhare papa ki taraf jata hai … agar apne baap ki jindgi pyari hogi to sab kuchh bhool kar unki beti bann jana aur uss lafange se har rishta khatm kar lena …
taxi Meera ke maa baap ko lekar hospital taraf daud gayi … Meera jahan ki tahan kate pedd ki tarah girr gayi aur unhe jate huye dekhti rahi … Meera ke maa baap ke jaate hi Viraat chori se Meera ke ghar aa gaya … Meera ki dasha dekh uska kaleja muhh ko aa gaya …
Viraat -- Meeru … babu ye kya ho gaya … utho neeche mat leto … utho betu sab theek ho jayega meri jaan sab theek ho jayega …
Viraat ne Meera ko sahara dekar uthaya … dono buri tarah ro rahe the …
Meera -- mai kya karu Viraat … aisa hoga ye to maine socha hi nahi tha … itna jaldi ye sab jhel nahi paa rahi hoon mai kya karu abb … kya kabhi mai apne papa ka bura chaah sakti hoon … bolo … maa kyu nahi samjhti hain ye sab…
Meera wahi sofe par baith kar rone lagi …
Viraat -- naa Meeru … tu bahut achhi hai … uncle ka bura to tu soch bhi nahi sakti hai bittu … please ro mat sab theek ho jayega … Meeru chal door chale jate hain kahi sab kuchh chhod kar … ek nayi suruaat karte hain babu…
Viraat ne Meera ko ek tareeke se apna faisla suna diya … wo apne pyaar ko paane ke liye kuchh bhi chhodne ko taiyaar tha …
Meera -- par Viraat mere papa meri wajah se aise haal me pahunch gaye hain … mai mere maa baap ki eklauti santaan hoon… aise kaise chhod doon unn dono ko … mujhe paal posh kar unlogon ne jeene ke kabi banaya … abb jab mera waqt hai unko sahara dene ka to mai kaise peeth dikha doon…
Meera ne Viraat ki aankhon me dekhte huye sawaal kiya …
Viraat -- to kya karegi tu … mujhse rishta khatm kar payegi ? Kya wo asaan hoga tere liye … kya meri laash dekh payegi tu ? Bol naa Meera kya meri maut ki wajah banna chahegi ??
Viraat ka badan anjaane darr se kampne laga tha …
Meera -- Viraaaaatttt … bas karo please … tum to samjho meri paristhitiyon ko … tum to meri atma me basta ho Viraat par ye sharir mujhe mere maa baap ne diya hai … meri majboori samjho Viraat please … mai apne maa baap ko marne ke liye nahi chhod sakti hoon…
Meera aur Viraat dono abb anjane darr se kaamp rahe the …
Viraat -- wo log kyu nahi samjh rahe hain Meera … kaise chup ho jaaun mai …wo log tujhe emotionly fool bana rahe hain… aur tu chahti hai ki mai chup rahoon … kyu ?? Sirf ek sawaal ka jawaab de …
" Har baar kurbaani premi hi kyu dete hain … kyu hamare haathon ko chhuda kar hi unko samaaj me izzat aur pratishtha milti hai … kyu koi maa baap samne aakar ye nahi kahta hai ki koi baat nahi bachon tumhari khushi me hamari khushi hai … "
Meera -- Viraat please ro mat yaar …
Viraat -- kyu nai rou Meera … kya mai bewkoof dikhta hoon tumko … kya mujhe nahi dikh raha ki aaj phir se jaati ke naam par do atmaon ko alag kiya jaa raha hai … bolo Meera kya mai galat kah raha hoon… yahi soch rahi ho naa tum ?
Viraat abb toot gaya tha …
Meera -- Viraat please tum to samjho mujhe …
Viraat -- mai tumse bahut pyaar karta hoon Meera … tum mujhe chahiye hi chahiye kisi bhi haalat me … mere pyaar ke saath anyay mat karna Meera …
Viraat haath ko jodd kar khada ho gaya par abb der ho chuki thi … Viraat ke maa papa Meera ke ghar aakar Viraat ko ghaseet kar le gaye … apne papa se jor aajmaish ke chakkar me Viraat ko kaayde ke do tamache bhi padd gaye the …
Meera ne apne papa ke paas jaane wale raste ko chuna par Maa se naata todd liya … duniya ke liye nahi apne liye … maa se baat karna chhod diya Meera ne … Viraat ke ghar sab kuchh pata chalne par halaat ulat the … Viraat ke pita ne naa sirf apni aulaad ka dukh samjha balki Meera ke maa baap ke aage Viraat aur Meera ki khushiyon ki bheekh bhi maangi par unn logon ne inkaar kar diya …
Durga ashtmi ke dim Nikhil aur Meera ki sagai ho gayi …Meera ka ghar dulhan ki tarah saja hua tha … par Viraat ke ghar par tala laga hua tha … Meera iss baat se poori tarah anjaan thi ki jis samay wo Nikhil ka haath pakad kar Naye jeewan me pravesh kar rahi thi theek usi samay Viraat apni saanson se apni jindgi ke liye jang ladd raha tha … uski to jeene ki jara bhi iksha nahi thi par maa ki mamta ne use baandh rakha tha …
UPDATE 8
Viraat apni saanson se apni jindgi ke liye jang ladd raha tha … uski to jeene ki jara bhi iksha nahi thi par maa ki mamta ne use baandh rakha tha … naa ji paa raha tha naa marr paa raha tha Viraat … aur uski ye haalat dekh uske maa papa din raat ghule jaa rahe the … uski maa ne har devi dewta ko manautiyan maan dali … Khyati ne Diya ko call kar ke sab kuchh bataya aur usse gidgida kar kaha ki please uss pathar dil ladki ko bolo mere bhai ki jaan naa le … hamaari chhoti si duniya ko naa ujade … ham pyaar se aur pyaar ke liye jeene wale log hain … Khyati ke iss tadap kar rone se Diya behal hokar Meera ke ghar bhagi …
Doston adhoore pahle pyaar se bada koi jakhm nahi hota hai … ye dard rah rah kar atma ko salta rahta hai … aisa nahi hai ki sabhi ke sath aisa hi ho par Viraat jaise bhi kuchh log hote hai jo pyaar ko apna maksad bana lete hai … bahut takleef hoti hai unko aisi paristhitiyon me … Har pal maut maangte hai khud ke liye duaon me ye bechare …
Khyati se baat karne ke baad Diya gusse me aag baboola hokar Meera ke ghar Jaa pahunchi … Diya ko bhi sagai ke baare me nahi bataya gaya tha … Diya ko dekh Meera ke murjhaye chehre par bahut dino ke baad muskuraahat aayi …
Diya -- Congrats Meera … yaar mujhe bhi nahi bataya tune …
Diya ki baaton me vyang saaf dikh raha tha …
Meera -- sab kuchh itna achanak ho gaya ki kisi ko batane ka mauka hi nahi mila …
Meera ne chor najron se diya ko dekhte huye dabi jabaan me kaha …
Diya -- Kitni jyada besharm ho gayi hai tu yaar … Meeru ho kya gaya hai tujhe ?? Tera dimag to nahi kharaab ho gaya hai ?? Aakhir tu Viraat ke saath aise kaise kar sakti hai … Tu usse bewafaai kar bhi kaise sakti hai …
Diya ki aankhein bheeg gayi …
Meera-- Diya …mere paas koi aur rasta hai bhi nahi yaar … wo nahi samjh raha hai atleast tu to samjh…
Meera ne haath jodd kar kaha …
Diya -- kya samjhu mai ?? Yahi ki tu use dhokha de rahi hai ya ye ki tujh jaisi ladkiyon ke liye kisi ka dil tod dena bahut asaan hai … jab tak dil kiya bholi surat se thagti rahi use abb jab tera dil bhar gaya to chal di kisi aur ke paas … bol yahi samjhu mai naa …
Diya ne chilla kar kaha …
Meera -- to kya karu mai ?? apne papa ko marne bhi to nahi de sakti hoon naa ?? Kya Kuchh samay ke pyaar ke Liye 23 saalon ki parwarish bhool jaun … mere alawa koi doosri aulaad bhi to nahi hai unki … kaise dhokha doon …
Meera jor jor se rone lagi …
Diya -- ye sab to pyaar karne ke pahle sochna chahiye tha … kal ka nahi tu poore 15 saalon ke saath par laat maar kar jaa rahi hai … tere papa ko bacha kar tu kisi Baap ki aulaad ki jaan kyu le rahi hai … wo bhi uss maa baap ke liye jise teri khushiyon se jyada unka ahnkaar pyaara hai … Viraat ke maa baap ne tere pita ke aage haath tak jodd diye par tere papa ko to daya nahi aayi … ek baat yaad rakhna Meera …
" tu ek behadd abhagi ladki hai … tujhe kabhi bhi koi khushi nahi milegi … Viraat ka ek ek aansun teri sau sau khushiyan jala kar raakh kar dega … abhi bhi wakt hai mat khel kisi ke pyaar se warna kabhi ubar nahi payegi tu iss gunaah se "
Diya ne har shabd chaba kar kaha …
Meera -- Diya meri bahan abb kuchh bhi nahi ho sakta … mai hoon abhagi jiske aansu kisi ko bhi nahi dikh rahe hain aur naseeb aisa ki aatm hatya bhi nahi kar sakti hoon …
Meera ne Subkte huye apna sir jhuka liya …
Diya -- apni gandi jabaan se mat le mera naam … mai jaa rahi hoon … yaad rakhna tu mere liye marr gayi aaj se … apni khair chahti hogi to tere sade se aansu lekar mere samne kabhi mat aana …
Diya ke har shabd ne Meera ko bahut chot pahunchayi … wahan se jaane ke baad Diya ne Nikhil se bhi contact karne ki bahut koshish ki par koi saflta nahi mili … Meera ki family shadi ke liye unke gaaw chale gaye …
Meera ka sara saundaya uske ansuon ke saath bah gaya tha … uski jheel si gahri aankhein abb kaale ghere me dhans gayi thi … uska chanchal hirni wala wyaktitwa ek kamre me simat kar rah gaya par Uski maa ko taras tak nahi aaya uss par … Meera bhookhi pyaasi bas apni hatheli ko dekhti rahti thi jaise usme Viraat ke naam ki dhundhli si lakeer khoj rahi ho kyu ki uske paas apni bhooli muhobbat ke deedar ka aur koi jariya bhi nahi tha …
Tay wakt par Meera ki shadi Nikhil se ho gayi … par Meera abb jinda laash ban chuki thi … use dekhne wale bhi tajjub maan rahe the par uski maa ko naa dikha kuchh bhi …
30 saal baad…
Ek khoobsurat gunguni Subah… alaram ki tej cheekhti awaaj … rasoi se aati aalu ki sabji aur masala poori ki khushbu … apne bete ko jagane ke liye Kabhi gusse to kabhi pyaar se awaaj deti maa … kitna apna sa lagta hai naa ye sab … lagega hi kyu ki ye hamari Meera ka ghar hai … aankhon par sunahre frame ka chashma chadhaye … baalon ki safedi ko maathe par sajaye apne eklaute chashm e charag ko jaga rahi hai …
Meera -- Sahil utho beta … tum kitna sote ho … akhir sari raat karte kya ho naa time par site ho naa time par uthte ho … subah se jaga rahi hoon apne room se aakar yahan sofe par so gaye ho … aaj tere clg me convocation ceremony hai naa ? jana nahi hai kya ?
Meera ne jhootha gussa dikhate huye Sahil ko jagaya …
Sahil -- ohhhhh shitttt Sorry mom mai wapas late ho gaya …
Sahil hadbadate huye sofe par uthh baitha …
Meera--kab se to jaga rahi hoon tujhe aur teri neend hi nahi pak rahi thi … Room se hall me aakar so gaya…
Sahil -- ohh sorry mom bas 10 min me ready hota hoon aap mera nashta nikal do … aap aur dad to ready ho naa… waise dad kahan hain… wo ready to hain mere sath clg chalne ke liye…
Sahil ne Meera ko ek tak dekhte huye poonchha …
Meera -- baba re itne sare sawaal wo bhi ek saans me … are mom chal rahi hai naa teri … tujhe to meri parwaah hi nahi hai Jab dekho dad … hmm…
Meera ne banawati gusse me haha …
Sahil -- mom seedhe seedhe bolo na dad ko mujhse jyada jaruri unki Meeting lagi … har baar ki yahi kahani hai … mujhe clg hi nahi jana …
Sahil ne dukhi hote huye kaha …
Meera -- Sahil Ek baar sun to sahi meri baat ko…
Sahil -- no mom mujhe nahi jana …
Meera ki maa -- are kaise nahi jayega mera beta … Dekh ham aaye hain tere sath chalne ke liye …
apne nana nani ko dekh Sahi khi utha …
Sahil -- wow nani aap aur nana ji … tab theek hai mai aata hoon ready hokar … thank you mom …
Meera -- bas bas jakar ready ho jaa ham sab tera wait kar rahe hain …
Meera ki maa -- Meera achha kiya tune bula liya hame … Kabhi kabhi to lagta hai ki Nikhil ko jara bhi parwaah nahi hai teri aur Sahil ki … kaisa pita hai use santan ki khushi bhi nahi dikhti hai …
Meera ki maa jhatke me sab kuchh bol gayi par bolne ke baad jab usne Meera ka face dekha to unki najre jhuk gayi jabki Meera ne berukhi se jawab diya …
Meera -- mujhe to hai parwaah mere bete ki maa … mai apni aulaad ki khushi ki parwaah karti hoon aur uske liye kuchh bhi kar sakti hoon kyu ki mai sirf sharir se hi nahi balki atma se bhi maa bani hoon aur aulaad ka dard kya hota hai mai bakhoobi samjhti hoon …
Meera ke papa -- Meera aaj itne saal ho gaye par tu abb bhi apni maa se aise kyu bartaaw karti hai jaise wo teri dushman ho … beta abb to maaf kar de …
Meera -- Kaisi mafi papa aur maine jo kaha wo dushmani nahi maa bete ke rishte ka sach kaha aur sach ko koi badal nahi sakta hai aur haan papa kuchh daraare wakt ke sath badhti chali jati hain bharti nahi hain … khair chaliye aap log gadi me baithiye Sahil bhi aa gaya …
Meera ne muskurate huye kaha …
sabhi adhe ghante me clg pahunch gaye jahan b tec walon ki convocation ceremony honi thi … Sahil thoda sa late ho gaya tha … gharwalon ko baithne ka bol wo teji se andar ki taraf bhaga lekin andar beech raste me hi ek ladki se buri tarah takra gaya … Sahil aur wo ladki dono hi floore par ludhak gaye … Sahil hadbada kar utha aur jab uss ladki ko uthane ke liye uski taraf badha to use dekhta hi rah gaya …
Uss ladki ke ghunghrale lambe baal uske chehre par bikhar gaye the … apne haathon me thame banner se wo dhaki huyi uthne ki koshish kar rahi thi … uska masoom chehra aur badi badi aankhein Sahil ko pahli hi najar me bha gayi … jab Sahil ne use uthane ke liye haath badhaya to wo tunak kar apne ap hi uth gayi … Sahil to bas use dekhne me hi mashgool tha … uske gaalon par padne wala dimple aur uski gusse me budbudati awaaj me itna kho gaya ki bhool hi gaya use late ho raha hai … achank ladki ki gusse bhari awaaj uske kaano me padi…
Ladki -- mere banner par kyu khade ho aap hato…
Sahil -- s… sorry maine dekha nahi … very sorry … m …mera naam Sahil hai …
Sahil ne banner se par hatate huye kaha …
Ladki -- to mai kya karu … hatiye mere raste se aur kahi jakar takraiye … mere paas time nahi hai … mujhe bahut kaam hai … Apni tarah sabko faltu samjh rakha hai … jane kaha kaha se chale aate hain … dekho to banner me welcome ke sath iske jute bhi chhap gaye …
Sahil ko wahi khada chood wo ladki non stop badbadati huyi stage ki taraf badh gayi aur Sahil wahi khada use jate huye niharta raha jab tak ki dobaara use late hone ka ahsaas uske doston ne nahi karaya …
UPDATE 10
convocation ceremony ke dauran bhi wo ladki Sahil ko stage ke aas paas hi dikti rahi … Sahil ne jab uske bare me apne dost ko poonchha to pata chala wo junior / fresher hai … Sahil ko samjh hi nahi aa raha tha ki aakhir kyu uski aankhein uss ladki ke chehre se hat hi nahi rahi hain … Bilkul waise hi ho raha tha uske saath jaisa filmo me hua karta hai … ladki ke haule haule udte baal… light music aur sabse khas baat wakai sahil ko uske siwa koi dikh nahi raha tha …
aaj Sahil se baar baar galtiyan ho rahi thi … Meera ne ye baat notice kar li thi ki Sahil kuchh ajeeb sa bartaaw kar raha hai … lekin samjh nahi paa rahi thi … khair after ceremony lunch me bhi Sahil usi ko dekhta raha … wo jab aankhon se door jati to khojne lagta use …
ghar aakar Sahil seedhe apne room me chala gaya … Meera ki maa ko Sahil kuchh badla badla sa lag raha tha par subah Meera se huyi jhadap ki wajah se wo kuchh bol nahi payi … doosri taraf bahut sochne ke baad Sahil ko samjh aa gaya ki use " pahli najar me pahla pyaar " ho gaya hai…
Pyaar ke aane ki dhamak ne hi Sahil ke chehre ki rangat ko badal diya … par abb pareshani ye thi ki uss ladki jiska naam tak Sahil ko pata nahi tha uske man ki baat ko aakhir kaise jana jaye … waise bahane hajjar the … Sahil ne bhi tay kar liya ki use to pana hi hai …
Dinner ke dauraan bhi Sahil chup hi raha … yahan tak ki wo ye bhi bool gaya ki wo apne papa se gussa hai … Nikhil jab late night wapas aaya to sabhi ek neend so chuke the … usne Meera se Sahil ke bare me poonchha …
Nikhil -- to kaisa raha hamare sahab jade ka spcl day…
Meera -- kafi khush tha wo … apko bhi aana chahiye tha …
Nikhi -- madam agar mai wahan aata to aap logon ke liye khushiya kaise kama pata …
Nikhil ne Meera ko bade attitude se ahsaas karaya ki wo busy tha faltu nahi tha …
Meera -- jitna kama chuke ho kafi hai Nikhil abb jara sachi khushi bhi jee kar dekh lo … beta bada ho gaya hai abb…
Meera na kafi suljhe huye shabdon me kaha …
Nikhil -- agar paise nahi honge jeb me to awaaj bhi doosron ki marji se niklegi Meera … kuchh hasil karne ke liye paisa sabse jyada jaruri hota hai… aur kiske liye kar raha hoon mai tumhare aur Sahil ke liye hi naa …
Nikhil ki awaaj itni tej ho gayi ki kamre ke bahar pahunchne lagi …
Meera -- par paisa sab kuchh to nahi hota hai naa Nikhil … wo aapka chehra dekhne ko taras jata hai … jab tak chhota tha koi baat nahi par abb samjhdaar ho raha hai… use apka wakt chahiye … Nikhil aap Itne busy the ki india se hi baahar chale gaye … uska bachpan to nahi dekh paye par abb use aap ke marg darshan ki jarurat hai … " maa to mamta deti hai par pita Abhay pradan karta hai " …
Nikhil -- bas karo yaar tumhara ye bhashan … din bhar bahar khat kar aaya hoon abb ye tumhara bhashan nahi sunna hain mujhe … aur mujhe mat sikhao ki pita ka kya dharm hota hai … jao so jao chupchap …
Nikhil cheekha…
Meera -- 30 saal se mai yahi to kar rahi hoon … Chup chap so jati hoon … par aaj apni aulaad ki takleef nahi dekhi gayi… poore time wo bujha bujha tha …
Meera apni baat ko poori bhi nahi kar payi …

Nikhil -- mera bhi beta hai wo … mai jaise pala hoon waise paal raha hoon … tum please apni manhoos shakal lekar mere samne naa aya karo … sara mood hi off karke rakh diya …
ek jhatke me Nikhil ne pind chhuda liya … waise to ye aam bast thi par aaj meera sisak padi kyu ki usko ahsaas tha ki ye awaaj uske maa papa ke bhi kaano me jaa rahi hai …
Meera -- par Nikhil …
Nikhil -- Meera leave me alone…
Meera ke seene par jaise kisi ne chura bhonk diya ho itni peeda huyi par shayad ye jhagda uski niyati ban chuka tha … wo room ke bahar jakar tab tak balcony me thithurti rahi jab tak Nikhil chain ki neend naa so gaya … Meera bhi chal di sone iss baat se anjaan ki uski haalat par uske siwa bhi koi ro raha hai …
UPDATE 11
Ye Baahar kadi rone wai aur koi nahi Meera ki maa thi … jo pani peene uthi thi aur tabhi Nikhil ki chillakar Meera ko kosne ki awaaj unke kaano me padi … kul mila kar Meera ki Meera ki maa ne chand aisi baatein aaj sun hi li jisse unhe " Meera ke pichhle 30 saalon ki naarkiya jindgi ahsaas ho chuka tha … ek aur hote huye huye wo Meera ki niji jindgi ke kalesh ko poori tarike se mahsoos kar sakti thi … Meera ne kabhi kuchh bhi nahi kaha apni muhh se … sab akeli sahti aur ghut ti rahi … "
Meera ki maa 15 min tak apni jagah se hil bhi nahi payi… pal bhar me hi pichhle 30 saal ki sari ghatnayein Meera ki maa ki aankhon ke samne chal chitra ki tarah ghoom gayi …kitna royi thi Meera par kisi ne uski ek nahi suni thi … marte marte bachi thi phir bhi taras nahi khaya tha kisi ne uss par …
Meera ki shadi me Jab sirf 7 din bacha tha … Meera lash ki tarah rahne lagi thi … Virat ke ghar ke tale ko dekh shayad wo khamosh ho gayi thi… Meera ki mausi use apne sath Shopping karwane le gayi thi… Raat ko meera ko wahi rukna tha … ghar par sirf Meera ke papa aur mammi the…
Raat ke kareeb 11 baje achanak hi Meera ke ghar ka darwaja jor jor se peetne ki awaaj aayi … Meera ke papa ne jab darwaaja khola to samne behal sa Viraat khada tha … badhi huyi dadhi aur betarteeb bikhre baalon ko dekh kar ek baar to Meera ke papa use pahchan hi nahi paye … par agle hi pal use bahar dhakelte huye garje …
Meera ke papa -- tu ???? Tu kyu aaya hai yahan … jata hai ya mai police ko phone karu …
Meera ke papa ke dhakke se Viraat girte girte bacha shayad ye kayi dino se dhang se naa khane ki kamjori thi …
Viraat -- uncle ji please mujhe ek baar Meeru se milna hai … wo theek nahi hai … Mujhe andar se kuchh achh feel nahi ho raha hai …please uncle … usko bula dijiye … dekh kar chala jaunga …
Viraat ne haath jod kar nivedan ki kiya tab tak Meera ki maa behadd nafrat ke saath garji …
Meera ki maa -- aji dekh kya rahe hain… lagaiye police ko phone … ye bahut bada dheenth hai aise nahi manega … bhikhari kahi ka chala hai Meera ke khwab dekhne… jab police ki lathiyan badan par padegi to sari romiogiri charbi ke saath nikal jayegi …
Meera ki maa ne muhh matka kar kaha…
Viraat -- maar lijiye mujhe aunty par ek baar use bulaiye please … wo theek nahi hai … Mera dil kah raha hai … meri Meeru theek nahi hai … please aunty Use bula dijiye …
Viraat ne andar aate huye kaha … wo paglon ki tarah poore ghar me Meera ko aankhon se hi khojne ki koshish kar raha tha …
Meera ke papa -- Are andar kahan jaa rahe ho … niklo bahar … turant nikalo …
Viraat -- usse dekhe bina kahi nahi jaunga … wo theek nahi hai … meri Meeru theek nahi hai … mera dil kah raha hai use takleef ho rahi hai …
Viraat Meera ke kamre ki ore badh gaya… tab tak Meera ki maa police ko phone laga bhi chuko thi …
Meera ki maa -- sir ye gunda hamare ghar me ghus aaya … dekhiye poore ghar me tod fod kar raha hai … meri beti ke kamare me jane ki koshish kar raha tha … mere bimaar pati ne roka to unko dhakka de diya … bataiye inko kuchh ho jata to … please hame bacha lijiye warna ye hame maar dalega …
Meera ki maa ki shikayat par palak jhapkte hi police ki petroling gadiyan aakar khadi ho gayi… ek khurrat ins aur 4 mustande jaise sipahi Viraat ko ghar se b bahar ki taraf ghaseetne lage … Viraat ne turant haath jod kar apni baat kahi …
Viraat -- sir please meri baat suniye ek baar use baahar bula dijiye … usko kuchh ho gaya hai … Ye log use chhipa kar rakhe hain… please…
Lekin police wale par Viraat ki baat ka koi asar nahi hua kyu ki meera ki maa ke haathon me lifafe ko dekh wo rakshak se bhakshak ban chuka tha … uski polisia khookhar naak hari pattiyon ki khushboo sunghte hi apni insaniyat ko sadak par neelam kar chuki thi …
police -- teri aashiqi to aaj thane me nilalte hoon mai bachu … abe le jao re ise … aur madam aap nishchint rahiye madam ye abb kabhi tang nahi karega aapko …
Police wale ne palak jhapkte hi noto se bhare lifafe ko apni jeb ke hawaale kar diya …
Viraat ki maa aur papa bhi aa gaye … Viraat ke papa police wale se Viraat ko chhudane ki baat karne lage jabki uski maa ne Meera ki maa ke samne Viraat ko maaf karne ki bheekh magne lagi yahan tak ki unke chaukhat par haath jod kar baith gayi lekin Meera ki maa ne muhh fer liya … Viraat ne apni maa ko aise chaukhat par baithe dekha to cheekh kar apni maa ki taraf bhaga …
Lekin jiska dar tha wahi hua … police wala apni gairat to bench hi chuka tha … usne aaw dekha na taaw Viraat ke shareer par dando ki barsaat kar di … wo bhi poori takat se … aur use 4 police wale mil kar ghaseet te huye jeep tak le gaya … Viraat dard se karahta raha par kabhi Meera ke kamre ki balcony to kabhi chukhat par haath jod kar tadpati apni maa ko dekhta raha …
Viraat ko maar khata dekh uski maa ka kaleja fatt gaya … jis aulaad ki khushi aur hifajat ke liye wo itne dino se isi chaukhat par uski khushi ki bheekh maang rahi thi wahi apne bete ke dard ko dekh apna aapa kho baiti aur tadap kar rah gayi thi… wahan se wo sabhi to police station chale gaye lekin sabhi ke jane ke baad Meera ki mausi ko call kiya meera ki maa ne to pata chala ki Meera ne chhat se kood kar khud ko buri tarah nuksan pahuchane ki koshish ki thi …
Aaj Meera ki maa ko ek ek baat yaad aa rahi thi aur unki aakhon ke samne Viraat ka tadpta hua chehra ghoom gaya tha … Viraat ki awaaj ki tadap aaj Meera ke maa ke kaano me 30 saal baad goonjne lagi … Viraat ka Meera ke liye niswaarth pyaar Meera ki maa ke ahankaar ko kuchal kar khaa gaya tha … Meera ki maa rote huye wahi hall ke sofe par dher ho gayi isa baat se poori tharah anjaan ki " wakt ne karawat le li hai … pasa palat chuka hai aur ye aansu uski pahli kisht hain …"
UPDATE 12
Agle din Sunday hone ki wajah se aaj Nikhil ghar me hi tha … sabhi ek sath nashte ki table par baithe nashte ke sath gappo ka bhi maja le rahe the yaa yun bole ki ek doosre ko apne hone ka ahsaas kara rahe the …
Meera ke liye raat ko jo bhi hua wo roj ki adat thi shayad issi wajah se raat ke kalesh ke baad bhi wo apne kaam me lagi huyi thi … Nikhil nashta karte huye mobile aur family dono se sath me chatting kar raha tha … Sahil ke to hosh kisi ki julfo me atak gaye the … use to ye bhi nahi yaad tha ki wo Nikhil se naraj hai … lekin Meera ki maa ke chehre ka rang bujh gaya tha … ye baat sabhi ne notice ki par poonchhne par Meera ki maa kuchh nahi boli… khair kahti bhi kya baston ka to abb wakt khatm ho chuka tha …
Meera ki maa lagataar Nikhil ko uske karya kalaapon ke dwara parakh rahi thi aur aaj 30 saal baad Nikhil unko apni mahan bhool lag raha tha … uspar bas kaam karne ka junoon sawaar tha … Nikhil ne jab Meera ki maa ko yun khoi khoi dekha to poonchhe bin nahi rah saka …
Nikhil -- kya baat hai maa iss baar aap bahut chup chup hain … aap ki tabiyat to sahi hai naa ?
Meera ki maa -- h… haan beta mai bilkul theek hoon … tum batao kaam kaisa chal raha hai ?
Nikhil -- aashirwaad hai aap logo ka … kabhi palat ke nahi dekhna pada hai aur naa hi dekhunga …
Meeara ki maa -- ek baat bolun beta abb bahut baag liye tum … thoda to chain le lo… kuchh samay khud ke liye bhi nikalo … apni patni aur bete ke sath kahi ghoom kar aao … tumhara dimaag thoda halka hoga kafi dabaaw me lag raha hai …
Meera ki maa ne indirecly Nikhil ko aaj sab kah diya par shayad der ho chuki thi…
Nikhil -- maa abhi to samay nahi hai ghoomne ka haan par jald hi wakt nikalta hoon …
Nikhil ne mobile me najar gadaye huye kahi ye baat …
Meera ki maa -- beta ye wakt gujar gaya to wapas nahi aayega … Sahil bhi itna bada ho gaya hai ki abb wo apne pairon par khade hone ki soch raha hai … abb ham dono bhi kitne din jiyenge … tum logon ko khush dekh kar hi to chain se marr payenge …
Meera ki maa ki awaaj me hatasha thi …
Nikhil -- ji maa mai poori koshish karunga jald se jald outing ka …
Nikhil wahan se utha aur Meera ko room me aane ka ishara karte huye chala gaya … Meera bhi pahunch gayi…
Meera -- Nikhil aap mujhe bula rahe the ?
Nikhil -- tum chain se jeene nahi dogi Mujhe naa ?? Ab maa ko bhi bhadka di mere khilaf … akhir tumhari mujhse dushmani kya hai Kyu meri life ko narak bana rakha hai tumne ?
Nikhil ne Meera ke baalon ko pakad uske kaan ke paas face le jaakar haule se kaha…
Meera -- aahh Nikhil chhodo dukhta hai aur Ye aap kya bol rahe ho maine unse kuchh nahi kaha … meri to unse baat bhi nahi huyi subah se …
Meera dard se chhatpata uthi …
Nikhil -- mujhe to lagta hai tumse meri khushi hi nahi dekhi jati … mere bete ko to bharti hi rahti thi mere khilaf abb maa ko bhi bharna shuru ho gayi … tum meri jindgi ki sabse badi bhool ho jo abb mujhse bardasht nahi ho rahi hai…
Nikhil ki baat sun Meera tadap uthi…
Meera -- Nikhil bol to rahi hoon ki meri maa se koi baat nahi huyi hai … aap kya bol rahe ho mujhe to pata bhi nahi hai …
Doston shaq ka keeda jab dimaag me kulbulata hai to insaan ko sach bahut dhundhla dikhayi padne lagta hai… Nikhil ka bhi yahi haal hai iss wakt… Meera uski nigaah me galat thi so yahan bhi sari galti use Meera ki hi lagi… Nikhil to khisiyakar apna kaam karne laga par jaisa ki aap logo ko maine bataya " sab din naa hot ek samana " wakt ne karwat lena shuru kar diya tha aur pahli kadi me aaj ek maa ki tadap charam par thi… Nikhil ke bahar jate hi Meera ki maa chal padi Meera ke paas apne gunahon ka hisaab kitaab karne iss baat se anjaan ki aaj wo khoon ke aansu rone wali hain…
Doosri taraf agle din subah subah Sahil clg pahuncha … aankhein bas uss ladki ko khoj rahi thi … Uska dost Monty kafi der tak usko bulata raha par Sahil ne uski presence ko bhi notice nahi kiya … Monty ne usko khoya khoya dekh uska dost Monty bola --
Monty -- kya hua bey mtec nahi karne ka mann hai kya Ya phir aaj phir papa se prasad mila hai ??
Monty ne use hasana chaha…
Sahil -- are kyu nahi karna yaar bilkul karna hai balki abb to jsrur karna hai …
Monty -- to tera muhh Papeete ki tarah kyu lataka hua hai ??
Sahil -- are yaar lagta hai wo aaj nahi aayi
Monty -- kaun nahi aayi ?? Kahi wo wo noodle baal wali ki baat to nahi kar raha hai tu ??
Sahil -- Monty use kuchh mat bolna yaar bhabhi hai teri ??
Monty -- bhabhi nahi poori chandika devi hai wo … uski bholi soorat par mat jaa … uss din tera use tapna dekh uski details nikalwayi hai maine … uske baap ka paisa laga hai iss clg me … bhai trusty Viraat singh ki eklauti beti hai wo … Meera singh naam hai uska … aur uska baap bahut khadoos hai …
UPDATE 13
Monty ki baat sun Sahil hasne laga … Par Monty ko badi gussa aayi … wo muhh bana kar bola…
Monty -- abe has kyu raha hai bey aakhir chal kya raha hai tere dimag me ? Jab sab haste hai to matam chhaya rahta hai tere thobde par aur jab sab chup rahte hain to bina baat teri hasi ke fawware chhot jate hain…
Monty ne khisiya Kar kaha …
Sahil -- Yaar tu aise bata raha hai ki jaise trusty sahab naa ho gaye koi top hon … trusty ki beti hai to kya hua pyaar to abb ho hi gaya … abb age kya karna hai ye bol …
Sahil aur Monty baat kar hi rahe the ki samne se Meera aate dikhi wo bhi paidal … apni cute si sports dress me ek baar phir Sahil par bijli ban kar gir gayi … Uski bechare najar wapas Meera ke suhane roop par atak gayi lekin Monty ne bade asmanjas bhari awaaj me Sahil se poonchha …
Monty -- abe trusty ki beti hai phir bhi paidal hai … soch iska baap kitna bada atyachari hoga jo phool si beti ko 11 no ki gadi pakda di … wakai yaar Ye budhau log pata ni kis baat ka badla lete hain ham bacho se …
Monty ne sir peet te huye kaha …
Sahil -- mere wale jaisa ??
Sahil ne ye baat kahi to bahut dheere thi par awaaj me dard koot koot kar bara tha … Sahil dheeme kadmo se Meera ke peechhe chal raha tha …
Monty -- bhai yaa to tu bhi uske peechhe ground jaa nahi to mere sath class me chal … yahan notice bord ke jaise chipka to naa rah … khuda na khasta usne notice kar liya to maa kasam jamm kar pitwa degi …
Monty ne muhh banate huye kaha …
Sahil -- chal ground me chalte hain …
Sahil ki har baat Monty ko tagda jhatka de rahi thi …
Monty -- tu sach me pagla gaya hai kya yaa to wakai tere sar par ishq sawaar ho gaya hai … ?? Pichhle char saal to tujhe ye rasta bogus lagta tha par abhi kya ho gaya …
Sahil -- murkh tha mai jaan hi nahi paya ki manjil isi raste par chal kar milegi …
Sahil seedha basket ball court me Meera ke pas pahunch gaya aur dosti ka haath aage badhate huye bola …
Sahil -- hi … pahchana… ham kal mile the…
Meera-- ji mile nahi gire the … abb kya aap mujhe yahan bhi girane aaye ho ?
Meera ne fullon attitude me reply kiya …
Sahil -- nahi mai bhi yahan footbaal kelne aaya hoon …
Meera -- ohh rally aap basket ball court me football kheloge …
Meera ne aankhein ghumate huye kaha to Sahil muskura kar chal diya court ki ore … Monty bhi Meera se bachte huye court ki ore chal diya…
Monty -- mujhe bhi jane do … ye ban sakta hai to mai kyu footballer ni ban sakta hoon…
Meera -- tum to footbaal , basket ball sab ban sakte ho lekin footballer nahi … huh
Meera bhi chal di apni practice ke liye … Sahil ka roj ka niyam ban chuka tha … jaldi ata tha Basketball ke bahane Meera Ko dekhna aur sari takat ikattha karna apne dil ki baat kahne ke liye jo Meera ki ek awaaj sun ke hi fuss ho jati thi…
Doosri taraf ghar par Nikhil ke jaate hi Meera ki maa uske paas pahunch gayi… Meera bed par sir thame baithi aansu baha rahi thi … Meera ki ye haalat shayad aaj pahli baar uski maa gaur se dekh rahi thi … Unki aankhein bhar uthi … kabhi vaibhaw ke ghamand se labrej rahne wali aankhon me aaj aulaad ka dard aur uske liye mamta umad ghumad rahi thi … jab Maa ne Meera ke kandhe par haath rakha to pahle to Meera chaunk gayi… lekin apni maa ko dekh uska chehra aur bhi jyada bujh gaya …
Meera -- kuchh chahiye tha aapko yaa meri haalat par koi sujhaw dene aayi hain aap ?
50 saal ki hone wali thi Meera lekin ye lines bolte huye kisi ashasy aur chhale huye bache ki bhanti aankhon me moti chhalak uthe aur atishay dard aur apmaan mahsoos kar honth fadfada uthe … Batane ki jarurat nahi hai Maa ka kya haal hua hoga yah drishya dekh kar …
Maa -- Mujhe maaf kar de meri bachi … mujhse bahut badi bhool ho gayi … aisa ho jayega maine kabhi socha bhi nahi tha … mujhse paap ho gaya meri lado kabhi nahi socha tha khud apni pari beti ke pankh noch kar use pinjre me feink rahi hoon… badi abhagi hai tu jo meri kokh ko tarne aayi…
Maa ne sari bhadaas udel di aur Meera ko khud me sametne aage badhi to Meera ne unka haath jhatak diya aur rundhe gale se boli…
Meera -- please aap yahan se chali jaiye mai theek hoon mujhe kisi ke sahanubhooti ki jarurat nahi hai … 30 saal nikal gaye hain abb kuchh bhi nahi bacha hai naa kisi se pyaar ki ummeed na jeene ki chhah … jitna naseeb me tha wo mil gaya … abb aap koi naya bakheda naa kariye meri jaan ka…
Meera ka bhi sabra toot gaya … aaj theek usi tarah ro rahi hai jis tarah apni vidaai me ro rahi thi … Maa ne use jabaran apne seene se laga liya aur apne haathon se uska sir sahlane lagi …
Maa -- meri wajah se tujhe ye narak bhugtna pad raha hai beta … mar bhi nahi paungi abb to mai … bahut badi papi hoon mai …
Meera ke maathe ko choomte huye maa ne kaha to Meera masoom bache ki tarah aankhon me hajjar hajjar shikayatein bhar kar use dekhne lagi …
Meera -- apne aap ko dosh dene ki jarurat nahi hai maa … bhagya se jyada kisi ko kuchh nahi milta hai… mera bhagya hi foota hua tha … aap to bahan maatra thi Shayad mai yahi bhogne yahan aayi thi… par abb bardasht nahi hota hai maa … abb thak gayi hoon… Sahil bhi bada ho gaya hai … abb to dua hai ye behaya saanse tham jaayein jo har sharmindgi ke bawjood jinda hain…
Meera ne aaj 30 saal baad maa ko dil se maa pukara tha … apni maa ki god me sir rakh wo apne liye maut ki dua maang rahi thi … aur maa papne kaampte boodhe haanthon se use ji bhar kar pyaar kar rahi thi jaise use darr ho ki uska bacha phir usse door naa chala jaye …

Maa-- tujh jaisi beti pakar dhanya hone ki jagah mai papi ho gai Meeru … kisi ki nahi suni kabhi maine par yakeen kar Meeru mujhe sirf tera bhala dikh raha tha … samne ka najara bahut chamkeela tha … bhool gayi ki har chamk sone ki nahi hoti hai…
Maa ne khol hi diya dil aur Meera ko bata diya ki aaj ahsaas ho gaya ki wo galat thi …
Meera -- mera bhala … ye kaisa bhala kiya maa apne mera … dojakh jaisi jindgi diya hai aapne mujhe … meri shadi karne se pahle aapne sirf unn logon ki daulat dekhi … kaash kabhi jakar unka vyawhaar yaa unke andar ki insaniyat dekhti maa … ek jaanwar se badtar rakha gaya mujhe wahan … din raat khatne par bhi mere pati ke kaan bharne ke siva kuchh nahi karti thi meri saas … Nikhil bhi kab tak baatein samhalta wo bhi ho gaya apni maa jaisa … aur to aur aap logo ko bhi galiyan deti thi apki ghatiya parwarish ke liye …
Meera itne dino baad abb kahi jaakar shikaytein karna shuru ki thi …
Maa -- beta tune kabhi batata kyu nahi mujhse …
Meera -- kisse batati maa … batati to aap manti kya ?? Jab aapke ghar thi tab to apne mere dukh ko apna samjh hi nahi tha to doosre ke ghar ki bahu banne ke baad kya khak samjhti …
Meera ne sateek shabd do boond aansu ke sath daag diye …
Maa -- Beta apni saheli ke bete se shadi karwa kar to mai yahi soch rahi thi ki tujhe doosri maa de di hai maine … mai to ghamand se jhoomti rahti thi…
Maa ki awaaj dard se gali jaa rahi thi …
Meera -- mujhe to meri pahli aur doosri dono maa ne jeene naa diya … Dono ne pal pal mujhe maut se badtar jindgi aur ghutan di hai khair janna chahti hain aapki saheli ne kya kiya tha to suniye maa aap bhi ki mai kaise mari hoon pal pal …
UPDATE 14
Sasural me pahla kadam hi mere liye ajeeb tha … " Yun to mujhe jin halaaton me byah kar meri sasuraal me feinka gaya tha " meri aankhon me kisi se naa koi hasrat thi aur naa hi koi khushnuma sapna par phir bhi mai apna sab kuchh chhod kar uss ghar me rahne gayi thi yakeen maaniye mujhe wahan koi bhi aisa nahi mila jisko mai apna kah sakti ya kisi me apna koi hitaishi dekh sakti … jo bhi rishe mile wo nakli aur jo insaan mile wo lalach ke putle mile …
Ek taraf thi meri saasu maa jo apki param sakhi bhi thi aur jinke mamatwa par aap 30 saalon se ithlaa rahi hain unko to bas itna wasta tha mujhse ki meri maa ne kya kya gahne diye hain mujhe aur fikar iss baat ki rahti thi ki kahi mai muhh dikhai ki rakam , gahno aur unke bete ko hadap naa kar jau … apne bete ko pal pal ahsas karati rahi ki " maa ka stan koi nahi le sakta hai ek paraye ghar se aayi ladki to bilkul nahi… "
doosri taraf pita tulya mere sasur ji to dahej ka samaan sara aya ki nahi isi list me uljhe rahe aur ye bhi bhool gaye ki sirf shadi nahi aur bhi functions hote hain … sare rishtedaar chori se mujhse baat karne ke bahane mere saas aur sasur ke lalach ki kahaniyan sunate rahte … ek ne to yahan tak poonchh kiya ki meri bahut jyada bahne hain kya jo mujhe aanan faanan me iss ghar me byah diya gaya …
Ek nanad mili Sirf usi ne bhabhi se jyada mujhe dost samjha … mere sath khadi rahi warna to shayad mai aur bhi jyada ghut jati wahan … par kitne din wo bechari mera sath deti use bhi to uski hisse ki jalalat bhogni thi wo bhi meri tarah gahno se laad kar banarsi saadi me pack kar kisi ko shadi ka gift de di gayi … meri hi tarah thi uff bhi nahi ki usne bas roti rahi mane bolne ki koshish ki to Nikhil ke tamache ne hamesha ke liye mere swabhiman ka gala ghont diya … mere liye Nikhil ka ye vyohar sabse jyada takleef deh tha …
Nikhil ko to khair maine shadi ke pahle hi jaan liya tha ki wo " mamma's boy " hai … ek koshish bhi ki thi masi ko batane ki … par masi ne bhi mujhe apki tarah daulat aur ijjat ka wasta dena shuru kar diya tha khair Nikhil wahi karta tha jo uski maa kahti thi … yahan tak ki jis din uski maa mujh par naraaj hoti thi wo room me nahi ata tha aur hall me so jata tha kyu ki wo apni maa ko " stress " nahi dena chahta tha bhale kisi aur ki kuchh bhi dasha hoti rahe …
Inn sab pareshaniyon ke alaawa shuruaat Ke pahle hafte me to sab theek thaak tha par jaise hi Nikhil ne office jana shuru kiya sab kuchh bada hi ajeeb ho gaya … Mujhe machine samjh liya gaya … meri saas ka eksutriya karkram rahta ki kaise wo mera sara upyog kar le … mere jate thi uss ghar ki eklauti kaamwali ko bhi hata diya gaya … Jimmedariyon ke naam par mera ek ek boond khoon choos liya unhone … Agar bimaar hoti to kaun bole dawa ke liye balki do roti ke sath saikdon tane Free mil jate the …
Mai bina bole sab Sahti rahi … ek din Nikhil ne faisla suna diya ki naukri chhod videsh jaa raha hai kyu ki apne dost ke sath partnership me koi kaam chal nikla tha … mai to hairaan rah gayi … maine use samjhaya bhi lekin jaise hota tha waise hi hua … Nikhil ko meri nahi sunni thi usne nahi suni haan mujhe mere ubhare huye pet ke sath dhakka dekar apni mardangi ka jhanda jarur gaad diya tha … Uss dard ne rishton ki kadi ko behad kamjor kar diya mere liye … meri kokh ka ankur hi mera apna , eklauta saga rishta bata tha …
Badi mushkil se Sahil ko duniya me laya gaya … mere liye ye Life ki sabse badi khushi thi … uss wakt aap bhi aayi thi … jalse me shamil huyi par apke abhimaan ne Meera ki jeeti jagti laas ko ek baar phir najar andaaj kar diya yaa yun kahein ki ek maa apni aulaad ko hi nahi samjh paayi maine bhi kuchh nahi kaha kyu ki mujhe pata tha mere kahne par aapse dilaase aur naseehton ke alaawa kuchh bhi nahi milega …
mere bete Sahil ne mere sukhe feeke hontho par hasi di thi uss wakt bhi aur aaj bhi sirf mera beta mere eklaute Pyaar ke rishton me shamil hai … meri takleef aaj bhi yathawat hai … meri jindgi kisi neeras kathputli ke jaisi hai jiski koi kadar nahi karta …
Maa meri ghutan ki kahani bahut lambi hai par mai uss darawne sapne ko isse jyada nahi yaad karna chahti hoon … bas itna jaan lijiye ki 30 saalon se yaatnaayein sahti mai ek jinda lash ke siwa kuchh nahi hoon … abb kisi baat ka koi asar nahi hota hai … aansu to kabke sookh chuke hain…