- 3,840
- 7,766
- 144
Last edited:
Thank you very much brother apna support dete rahe...nice update
Thanks .
Awesome updateUpdate 69: Past is very painful.
[story of Divya and her sister: part 2.]
Recap: In the previous update humne jana tha ki kaise Arjun aur baki sab Kajal, Rashmika aur Nadhiya ko Pavitra ka sach pata chal chuka tha ki wah Divya ki bahan hai aur sabhi Saturday ko Arjun ke hometown Pearl City ke liye nikal gaye the sath me Nithya aur Kriti bhi thi aur car Arjun ke ghar ke bahar tak pahuch gayi thi.
Now next>>>>
Jab Arjun aur sabhi log ghar pahuche to evening ke 7 pm ho raha tha ghar par sirf Ravina thi abhi Mahendra aur Vishal dono ghar wapas nahi aaye the kaam par se.
Arjun aaj apni maa Ravina se lagbhag 45 days baad mil raha tha.
Ravina ne Arjun ko apne sine se laga liya phir bari bari sabhi Kajal, Rashmika, Nadhiya aur Dhruv se mili.
Abhi bhi Ravina ke liye teen koi anjan the jo Ravina samajhne ki koshish kar rahi thi ki dono girls me se kaun meri bahu Kriti hai kyonki Ravina ne abhi tak apni bahu Kriti se na hi baat ki thi aur na hi photo dekhi thi isliye uske face pe clearly uljhan dikhai de rahi thi.
Ravina ki uljhan ko dur karte huye Rashmika ne Kriti ki aur apni finger ko point karte huye kaha.
Rashmika: didi ye hai Kriti aapki hone wali bahu Arjun ki premika.
Kriti ka chehra sharam se red hone laga sabke samne apne liye bahu aur premika shabd sunkar aur sath hi sath khushi bhi mahsus hone lagi ki sabhi ne mujhe Arjun ke liye accept kar liya hai.
Kriti ne Ravina ke panv chhukar ashirwad liya Ravina ne Kriti ko sada saubhagya vati hone ka ashirwad diya aur phir Kriti ko apne gale se laga liya.
jab Ravina kuchh der ke baad Kriti se alag huyi to.
Ravina ke liye abhi bhi two new faces the jo wo samajhne ki koshish kar rahi thi par Ravina ko ek baar phir se kuchh bhi samajh nahi aaya ki ye 2 naye chehre kaun hain kya yahi surprise ki baat kar raha tha Arjun mujhse phone par.
Ravina ke uljhan ko is baar dur karte huye Kajal ne Pavitra ki aur apni finger ko point karte huye kaha.
Kajal: didi ye hai meri mausi Pavitra meri maa Divya ki badi bahan jinka hum 30 years se intezar kar rahe the aur ab hamara intezaar samapt hua aur sath hi sath hamara pariwar pura ho gaya jo ahura tha Pavitra mausi ke bina.
Ravina ka chehra ek pal ke liye badla jab Kajal ne kaha hamara pariwar pura ho gaya lekin Ravina ne jaldi hi apni face ko samanya kar liya jise koi bhi note nahi kar paya.
Ravina ko kuchh pal ke liye to apni kano par yakin nahi hua ki abhi abhi usne jo suna kya wah sach hai isliye phir se Ravina ne ek baar Kajal ki taraf dekha to Kajal ne ha me apni gardan hila di.
Ravina ne Pavitra ke pass jakar sabse pahle unka ashirwad liya aur phir Pavitra ko apne gale se laga liya.
jab dono alag huye to Pavitra ne kaha.
Pavitra: main janti hoon aap sabhi ke mann me bahut sare questions hain lekin main sabhi questions ke answers ek sath dungi jab sab ek sath honge aur Nithya ki aur ishara karte huye Pavitra ne Ravina se kaha ye Nithya hai bilkul meri beti jaisi hai isi ke ghar me main pichhle 30 years se rah rahi hoon iske gharwale sabhi mere apne hain jisne mujhe kabhi bhi gair na samajh kar apne family ka ek atut hissa mana hai.
........................................
[After sometime]
Arjun: ha to ab bataiye maa kaisa laga aapko hamara surprise maine aapse kaha tha na aapko bahut pasand aayega?
Ravina: bahut achha laga Arjun isse achha mere liye aur kya ho sakta hai ki mujhe aaj ek aur maa mil gayi Pavitra mausi ke roop me bhagwan ne mujhe meri janam dene wali maa se dur kar diya lekin badle me mujhe teen teen maa de diya(Divya, Nadhiya aur Pavitra) aur ha Arjun jaise tumhari teen mothers hain waise hi meri bhi ab teen maa ho gayi hai main kitni lucky hoon jo mujhe teen teen maa ka pyar mil gaya is janam me.
Arjun: meri maa kaise nahi lucky hogi.
Arjun: maa hume jald se jald Divya nani ke pass jana chahiye kyonki mujhe Pavitra nani ke bare me sab kuchh janne ki bahut bechaini ho rahi hai.
Rashmika: mujhe bhi ho rahi hai Arjun aur mujhe lagta hai ab sabhi ko Pavitra mausi ke bare me janne ki bechaini ho rahi hogi.
Nithya: aapne bilkul sahi kaha mausi mujhe bhi ab apne Pavitra aunty ke bare me jald se jald sab kuchh janne ki wish hone lagi hai.
Ravina: tum ek kaam karo Arjun tum aur Kajal jakar Divya nani ko yahan le aao aaj meri teeno mata mere sath hongi.
Kajal: jaisa aap kahe didi hum dono ja rahe hain maa ko yahan lane ke liye.
Arjun aur Kajal dono car se Divya ke ghar ke liye nikal gaye kyonki Divya aur Ravina ka ghar same city me tha aur jayada dur bhi nahi tha isliye 10 minutes ke driving ke baad dono Divya ke ghar pahuch gaye.
Note: kyonki Mahendra aur Vishal ghar par nahi rahte hain din ke samay jayada tar isliye Ravina, Divya ke ghar chali jati hai aur jayada tar time wahi bitati hai Divya aur Seetha ke sath.
Jaise hi Divya ki nazar Arjun aur Kajal par padi Divya upar stairs se daudti huyi utari aur dono Kajal aur Arjun ko ek sath apne gale se laga liya.
Divya: aise tum dono kaise aa gaye mujhe koi khabar bhi nahi di aane ki kisi ne aur mujhe bina suchna diye huye tum dono yahan.
Arjun: aap sab kuchh samajh jayengi nani maa pahle aap abhi ke abhi mere sath mere ghar chaliye.
Divya: are kya hua kuchh batao to sahi aise adhir kyon ho rahe ho itna tumlog?
Kajal: kuchh mat kahiye maa aap bas hamare sath chaliye aur ha aaj raat aap wahin ruk jaiyega ye Ravina didi ka order hai.
Divya: yadi main raat me wahin ruk jaungi to kya Seetha yahan akeli rahegi?
Kajal: nahi maa sath me Seetha aunty bhi hamare sath chal rahi hai aur Seetha aunty bhi hamare sath raat me wahin ruk jayegi.
Divya: thik hai chalo hum sabhi chalte hain yadi tum dono itna adhir ho rahe ho to jarur koi jaruri baat hogi.
Kuchh hi der me sabhi car se nikal gaye aur Arjun ke ghar kuchh hi minutes me pahuch gaye.
jab Divya ghar ke andar aayi to use aaj bahut sare anjan chehre nazar aaye.
Divya: ye sab kaun hain Rashmika inhe main pahchan nahi pa rahi hoon aur pahle maine kabhi dekha bhi nahi hai.
Rashmika ne Pavitra ki aur apni finger ko point karte huye kaha maa ye aapki 30 years ki tapasya ka phal hai.
Divya: kya matlab hai tumhara Rashmika beti lekin jald hi Divya ko Rashmika ki baat ka matlab samajh aa gaya aur Divya, Pavitra ki aur badhti chali gayi.
Divya, Pavitra ke pass pahuch kar unke dono galon par chatak chatak chatak chatak char thappad jad diye
aur khud hi apni ankhon se ansu bahane lagi.
sabhi ke sabhi wahan hakke bakke rah gaye Divya ke is vyavhar se jis Divya ne aaj tak apni dono betiyon ko kabhi ek bhi thappad nahi mara aaj itni badi ek aurat ko char thappad jad di jo aurat hamesha shant rahti hai aur hamesha sanyam rakhne ke liye jani jati hai aaj aisa raudra roop kaise dharan kar liya Divya ne.
Divya: aapne aisa kyon kiya didi aapko meri, maa aur papa ki ek baar bhi yaad nahi aayi jo aap hume chhod kar chale gaye kya hamara rishta itna kamjor tha jo aapne hum sabko bhula diya hamesha hamesha ke liye jo aap mujhse milne ke liye ek baar bhi nahi aayi.
Divya: are mujhe bhula diya hota to phir bhi chal jata aapne to maa aur papa ko bhi bhula diya kya yahi siksha(lesson) mila tha aapko maa aur papa se.
Divya ne apni baat ko aage continue rakhte huye kaha aapke karan maa aur papa is duniya se chali gayi boliye aapne aisa kyon kiya didi ki humse ek baar bhi milne nahi aayi aapko yahan hamare pass aana chahiye tha aur aap hume chhod kar hi chali gayi?
Divya: kyon aap hume chhod kar chali gayi aapke sasural walon ne aap par ilzaam lagaya tha humne nahi aapne hume kis baat ki saja de di jo aap hume chhod kar chali gayi aap janti hain main kitni akeli ho gayi thi yadi mujhe Seetha nahi milti to main apne dono betiyon ko kaise achhe se pal posh kar bada kar pati akele aapne ek baar bhi hamare bare me nahi socha aur ab to mujhe ye lagne laga hai ki tum yahan khud se nahi aayi ho?
Pavitra ne rote huye hi kaha.
Pavitra: mujhe aur maro chhoti main isi ke layak hoon meri ek galti ke karan maa aur papa hume chhod kar is duniya se chale gaye aur hamara pura parivar bikhar gaya main aap sab se ek baar milne aayi thi lekin mujhe pata chala ki mere karan maa aur papa ki heart attack ke karan death ho gayi isliye main chah kar bhi tumhare samne na aa saki main tumhare pass aakar kya kahti ki jis maa aur baap ne hume itni peeda sah kar pala usi beti ke karan un dono ki death ho gayi kaise main tumse apni nazar mila pati chhoti isliye main kabhi bhi tumhare samne nahi aayi lekin aaj paristhiti mujhe yahan tumhare pass le aayi nahi to main tumhare pass sach me kabhi bhi nahi aane wali thi jis sach se main pichhle 30 years se bhag rahi thi wahi aaj mere samne hai aur tum mere samne khadi ho Divya meri bahan.
Divya: aap aisa kyon sochti ho didi ki main aapko maa aur papa ki death ka gunehgar samajh lungi aap us time apni halat ke aage majbur thi aur aapne galat kadam utha liya aur aap hume chhod kar chali gayi.
Divya: main aapki manodasha ko samajh sakti hoon ki us time aapke mann me kya chal raha hoga lekin aapne hum par thoda sa bhi bharosa nahi rakha aur aap mujhse dur chali gayi kya aapko apni chhoti bahan par thoda sa bhi bharosa nahi raha ki main aapko gunehgar maan leti jo hua sab halat ke karan ho gaya didi isme aapka koi kasur nahi hai aur main aapse gussa isliye hoon kyonki aapne mujh par thoda sa bhi bharosa nahi kiya aur mujhe chhod kar itne varsho tak mujhse dur rahi kya aapko ek baar bhi meri yaad nahi aayi?
Pavitra: aisa na kaho chhoti mujhse bahut badi galti ho gayi aur main tumhe kaise bhul sakti hoon bhale hi main tumse kabhi nahi mili chhoti lekin main har pal tumare liye tadapti rahi in beete varshon me jitna tumne mera intezar kiya hai jitni peeda tumko huyi hai mujhe bhi utni hi peeda huyi hai meri bahan.
Dono bahne aaj 30 years ke baad mil rahi thi aur ek dusre ko gale lagaye hi rote rote ye sabhi baten kiye ja rahi thi.
jab dono kuchh der baad alag huye to Arjun ne Pavitra nani se kaha.
Arjun: nani maa aapke sath kya kya hua tha aapki shadi wali raat ko?
Arjun: aap hum sab ko sab kuchh starting se lekar abhi tak ki puri story bataiye hum sabhi aapki story janne ke liye bahut hi bechain hain.
Pavitra: thik hai Arjun main tum sabko apni puri kahani batane ja rahi hoon.
[story of Pavitra]
[30 years ago]
Pavitra: jis din main shadi ke baad vida hokar apne sasural gayi thi raat me main apni palang par baithi khushi aur romanch ke sath apni pati ka intezar kar rahi thi main bahut hi excited thi apni first night ke liye sath hi sath thoda nervous bhi feel kar rahi ki sab kuchh achha rahega ya nahi.
Pavitra: jab mere husband kamre ke andar aaye to meri dil ki dhadkan tej ho gayi main apni Dil ko kabu me rakhte huye unki aur badh gayi aur maine unhe milk pine ke liye diye jo meri jethani ne mujhe diya tha.
Pavitra: lekin dudh pine ke kuchh hi moments ke baad unki instant death ho gayi mujhe samajh nahi aaya main kya karu meri puri body kamne laga aisa lag raha tha jaise meri jaan ja rahi ho mera sharir sunya awastha me ja raha tha.
Pavitra: mujhe kuchh bhi samajh nahi aa raha tha main kya karu kise batau main kamre ke andar hi bina kisi ko bole dhire dhire roti rahi time bit raha tha aur har gujarte lamhe ke sath mera sharir aur kanp raha tha meri sochne samajhne ki shakti khoti chali gayi.
Pavitra: lagbhag 40 minutes hi huye the ki koi jor jor se mera door pitne laga kaphi der ke baad mujhe jab darwaza pitne ki sound aayi to main kisi tarah ladkhadte huye kadmo se jakar maine darwaza khola maine bahar dekha to meri jethani khadi thi.
Jethani: kya hua tumhe tum ro kyon rahi ho aur darwaza kyon nahi khol rahi thi main itni der se tumhe aawaz laga rahi thi?
Pavitra: maine apni jethani ko koi bhi jawab nahi diya to meri jethani khud hi kamre ke andar aa gayi aur mere husband ko bed ke niche gira hua payi to unke pass jakar unhe uthane ka prayas kiya par unhe pata chal gaya ki unki death ho chuki hai isliye meri jethani jor jor se rone lagi unka rona sunkar bahut sare log aakar jama hone lage aur sabhi ko malum ho gaya ki mere husband ki death ho chuki hai.
Pavitra: sabhi ne mujhse aur meri jethani se puchha ye sab kaise hua to maine koi jawab nahi diya par meri jethani ne kaha ki mere husband ko raat me sote samay pani apne pass rakhne ki aadat thi isliye main unhe pani dene ke liye aayi thi par yahan aane par pata chala ki unki death ho gayi hai.
Pavitra: log kahne lage aisa kaise ho sakta hai ek healthy aur young person ki aise achanak death kaise ho sakti hai jarur tum dono ne kuchh kiya hoga jo aise achanak inki death ho gayi.
Jethani: mujhe kuchh bhi nahi pata hai ye sab kaise hua kamre ke andar sirf Pavitra thi ye to yahi bata sakti hai ki yahan kya hua hai aur kaise hua ye sab aap sab meri devrani se puchhiye mujhe kuchh bhi nahi pata hai is bare me ye to wahi bata sakta hai ki kaise hua ye sab jo kamre ke andar tha.
Aur meri jethani ki baat par bahut sare log bhi bolne lage ha ha dulhan se hi puchho ki kya hua hai yahan par aur kaise ho gaya ye sab achanak se ek achhe khase young vyakti ki maut kaise aise ho gaya.
Pavitra: Logo ne mujhse puchha kya hua yahan par main kuchh bol hi nahi payi bolti bhi to kya kahti mujhe kuchh pata hi nahi chala ki hua kya tha aur us time na hi mujhme kuchh sochne aur samajhne ki shakti hi bachi thi mere dimag me ki main logo ki baton ka koi jawab de pati jiske liye main us ghar me gayi thi wahi mujhe akela chhod kar chale gaye the mere liye to ab koi tha hi nahi us ghar par jo mujhe support karta.
Pavitra: time gujarta ja raha tha aur logo ki bheed aur jayada badhne lagi aur kuchh log mujhe dayan to kuchh mujhe manhus kahne lage ki maine hi apni pati ko kha liya aur unki jaan chali gayi jo bhi hua sab maine hi kiya hai.
Pavitra: har gujarte samay ke sath log mujhe bhala bura kah rahe the mujhe koi dayan to koi chudail to koi manhus kah raha tha main waise hi pareshan thi mujhe kuchh samajh nahi aa raha tha aur logo ke jhuthe aarop meri kan(ear) me jahar ghol rahe the aur mujhe aisa lagne laga tha jaise abhi dharti phat jaye aur main umse sama jaun aur mera bhi ant ho jaye lekin ye hona kahan possible tha aisa ek hi baar hua tha hamare history me jo phir kabhi nahi hone wala hai ki kisi ke dharti phat jaye.
Pavitra: par had to tab ho gayi jab mere husband ke relative wale bhi mujhe hi doshi manne lage aur last me meri jethani ne bhi unka sath diya aur mere husband ki death ka ilzam mujh par laga diya aur kaha ki abhi ke abhi mere ghar se nikal jao humlog tumhari shakal bhi nahi dekhna chahte hain humlog tumhe jinda chhod rahe hain aur police ke hawale nahi kar rahe hain yahi bahut hai tumhare liye nikal jao mere ghar se chudail kahin ki jo mere ghar me aate hi mere jaan se payare devar ko kha gayi dayan kahin ki jara sa bhi khushi nahi dekha gaya tumse hamare ghar ki behaiya aurat.
[Kya aapko pata hai hamara Indian constitution kisi bhi aurat ko Dayan kahne par aapko saja de sakta hai aap kisi bhi aurat ko dayan nahi kah sakte hain aur kisi ki maut ka jimmedar is tarah se kisi ko Dayan bol kar un par dosh nahi daal sakte hain par sach to yahi hai ki abhi bhi ye kuruti hamare samaj me maujud hai jispar hum sabhi ko dhayan dene ki jarurat hai aur aurto ko respect dene ki jarurat hai jitna wo hakdar hain mere vichar me bhi aisi koi chij exist nahi karti hai baki aap kya sochte hain is bare me main aap logo par hi chhod deta hoon jo main believe karta hoon wo maine bata diya aur ha kya aapko pata hai ki Odisha government ne kisi bhi aurat ko dhayan jaise shand ne kahne par law bana diya hai aur jo bhi iske khilaaf jayega wah saja ka hakdar hoga.]
Pavitra: main ghar se nikal kar chali ja rahi thi kahan ja rahi thi mujhe kuchh bhi samajh nahi aa raha tha bas apne hi dhun me chali ja rahi thi mujhe ye tak yaad na raha ki mujhe apni family ke pass jana chahiye bas me chali hi ja rahi thi kahan ja rahi thi koi pata nahi kyon ja rahi thi ye bhi pata nahi aur last me meri eyes band hoti chali gayi aur mere ankhon ke samne andhera chhane laga mujhe aisa laga jaise meri jaan chali gayi aur meri bhi death ho gayi ho apne hi husband ki tarah.
Pavitra kuchh der shant rahi phir boli.
Pavitra: jab mujhe hosh aaya to maine apne aapko ek hospital ke bed par paya.
Pavitra: maine aawaz lagai kisi tarah se to ek lady mere pass aayi to maine unse puchha ki mujhe kya hua tha jo main yahan par hoon is awastha me?
Lady ne bataya tumhara car se accident hua tha tha aur jis car se accident hua unke malik bhi yahin hain tum pichhle five days se coma me thi Hume to laga tha tumhara bachna mushkil hai par tum jinda bach gayi ye kisi miracle(chamatkar) se kam nahi hai aur tumhare bachne ke credit un dono pati patni ko jata hai jinhone aapko yahan time par le aaya warna aapka bachna mushkil hi nahi asambhav (impossible) tha.
Lady ne kaha ruko main unhe bula deti hoon jinki wajah se tumhara accident hua magar ye bhi sach hai ki tum yadi jinda ho to uska karan wahin dono hain isliye tum un par bilkul bhi gussa mat hona ye main aapko personal advice de rahi hoon.
Kuchh der ke baad hi ek aurat aur ek purush mere pass aaye dono hi mere age ke lag rahe the.
Aurat: ab kaisi hai tumhari tabiyat kya tum thik ho hum dono ke hi car se tumhara accident hua tha hum dono ko maaf kar do.
Pavitra: ji aap dono ka koi dosh nahi hoga sari galti meri hi rahi hogi kyonki mujhe hi koi hosh nahi raha tha ki main kya kar rahi thi meri halat hi us wakt aisi thi ki mujhe kuchh bhi samajh nahi aa raha tha aur main shunya awastha me chali gayi thi isliye aap dono ka koi dosh nahi hai.
Pavitra ne aage apni baat ko continue rakhte huye kaha.
Pavitra: ji aap dono ka shukriya jo aapne mujhe hospital laya nahi to aap dono mujhe chhod ke ja sakti thi raat itni jayada thi ki aap dono se koi bhi puchhne nahi jata aur aap dono ko koi saja nahi milti iske liye.
Aurat: ji main janti hoon ki hume police nahi pakad sakti thi lekin hum dono apni aatma ko kya jawab dete ki ek aurat jinka humne accident kiya unhe marne ke liye chhod kar bhag gaye agar hum dono ne aisa kiya hota to hum pure jivan bhar kabhi khush nahi rah pate aur ye peeda hume andar hi andar maar deti ki hum us aurat ko bacha sakte the jise humne marne ke liye bich sadak par akele tadapta chhod diya.
Pavitra: ji aap dono bahut achhe hain mujh par ek raham aur kijiye mujhe mere family tak pahucha dijiye iske liye main hamesha aap dono ka abhari rahungi.
Aurat: ji hum aapko aapki family tak chhod aayenge lekin ek problem hai aapki ek leg tut gayi hai aur sath me abhi aap bahut serious ho aise awastha me aapke gharwale aapko dekh kar bahut pareshan ho jayenge isliye jab tak aap puri tarah se thik nahi ho jati hain aap hamare ghar me rahengi uske baad main khud hi aapko aapke ghar chhod dungi ye mera promise hai tumse.
Pavitra: maine us lady ki baat ko maan liya aur jab main thik hokar 3 mahine ke baad ghar pahuchi to mujhe pata chala ki maa aur papa ki death mere hi ghar chhod kar chale jane ke karan ho gayi hai.
Pavitra ne apni baat ko rote huye aage kaha.
Pavitra: mujhe us pal samajh nahi aaya main kya karu aur kya na karun jis maa aur papa ne hum dono bahno ke liye itni peeda aur dard saha mere hi karan is duniya ko chhod kar chali gayi aise me main tumhara samna kaise kar pati meri bahan isliye main tumse milne ke liye kabhi nahi aayi aur kabhi himmat hi nahi juta payi ki main ek baar aakar tumse apne galti ke liye maafi mang sakun.
Pavitra: ek baar phir mera dimag kaam karna band kar diya tha aur mujhe samajh nahi aane laga tha main kya karun mujhe lag raha tha main bhi apni jaan de doon lekin phir mujhe us lady ne wo bhi nahi karne diya aur mujhe apne sath apne ghar me rakh li aur ye kaha ki yadi tum apni bahan se nahi milna chahti ho to koi baat nahi aaj se tum meri chhoti bahan ban kar mere ghar me raho maine tumhe nayi jindagi di hai to main tumhe sab kuchh dungi bas tum mere sath mere ghar me raho ab se ye tumhari jindagi meri hai maine tumhe naya jivan diya hai.
Pavitra: lekin mujhe pata tha Divya ki tum mujhe dhundhne ke liye jameen aasman ek kar dogi isliye main ghar se bahar kabhi nahi nikalti thi main ghar ke andar hi 10 years tak band rahi jiske karan sayad tum mujhe khoj nahi payi ya sirf mujhe tumne mara hua maan kar khojna band kar diya hoga bas yahi thi meri kahani aur jis aurat aur aadmi ne mujhe sahara diya wo dono Nithya ke maa aur papa the aur yahi hai meri kahani.
Divya: ye aapne kaise maan liya didi ki maine aapko mara hua samajh liya aur aapki kahani abhi adhuri hai didi baki ki story main aapko batati hoon jo aapko malum nahi hai aur aapka koi bhi dosh nahi hai aapki halat hi waisi thi ki ye sab aapke sath ho gaya aapke jagah par koi aur hota to use bhi samajh nahi aata ki use kya karna hai aur kya nahi karna hai.
Divya ne story ko aage badhate huye kaha.
Divya: didi aapke husband ki death isliye huyi thi kyonki aapki jethani ne milk me potassium cyanide poison(jahar) mila diya tha bas thodi si property ke lalach me aur aap apni jethani ki shadyantra ko na samjh sake aur khud ko hi doshi maan baithi aur ghar ko chhod kar hum sabhi ko chhod kar chali gayi.
........................................
Additional facts about Potassium cyanide(KCN).
[Kya aapko pata hai potassium cyanide ka 90 mg hamari instant jaan le leti hai.
Potassium cyanide: Chemical formula KCN.
Question: kyon potassium cyanide ke karan vyakti ki death( maut) ho jati hai?
Answer: a) waise vyakti jisne cyanide ko gas ke roop me yani ki apni sans ke dwara liya hai uski instant(turant) death ho jati hai.
b) waise vyakti jisne ise consume(nigalna) kiya ho uski death kuchh hi minutes ke baad ho jati hai kyonki isko consume karne ke baad oxygen hamare cells tak nahi pahuch pata hai kyonki cyanide ek deewar(wall) ke jaisa kaam karta hai oxygen aur cells ke bich aur natija hota hai vyakti ki maut.
c) cyanide ka taste bahut hi kadwa hota hai yani ki iska nature basic hota hai. Basic wah substance hota hai jiska PH Value 7 se jayada hota hai jaise ki banking soda ek basic substance red litmus papar ko blue me convert kar deta hai basic nature kisi bhi substance ka utna hi jayada hota hai jitna us substance ka PH VALUE 14 ke karib hota hai.
d) cyanide ke bahut sare types hote hain halanki sabhi cyanide dangerous nahi hote hain aur kuchh cyanide to drugs aur medicine ke roop me use kiya jata hai jo hamare liye useful hote hain.
e) cyanide yah matter ke teeno forms solid, liquid aur gas teeno hi states me paya jata hai.]
........................................
Pavitra ye sunte hi sann rah gayi ki uske sath itna bada game khela gaya aur us bholi bhali bechari ko kuchh bhanak tak nahi laga iske bare me.
Divya ne apni baat ko aage kaha.
Divya: aur pata hai aapki jethani ko uske karmo ki saja mil gayi hai aur sari story Pavitra ko aur baki sabhi ko bata diya ki kaise unki sari property loss me chali gayi aur unhe unki karmo ki saja mil gayi jo unhone thodi si lalach ke karan apni hi parivaar ke ek member ki jaan le li.
Divya: didi ye thi aapki baki ki story jisse aap anjaan thi aur jise aapke liye janna behad hi jaruri tha ki aapke sath exactly hua kya tha us raat ko.
(update 57 me hum padh chuke hain kya hua unke jethani aur unke pariwar ke sath).
[STORY ENDS]
jab story samapt huyi to sabhi Pavitra ki story sunkar kaphi bhavuk ho gayi thi aur sabse jayada to emotional Nithya ho gayi kyonki jis Pavitra ko Nithya janti thi wah apne sine me itna bada raaz(secret) aur dard chupaye huyi hai Nithya ko kabhi malum hi nahi hua.
Aur ek baar phir se Pavitra apni ateet ki kisse ko yaad kar phir se ek baar ro padi wahin Divya ne aage badh kar apni badi bahan ko gale se laga liya.
Divya: didi sssssss shant ho jaiye hum sabhi hain na aapke sath magar aapne mere pass aane me bahut der kar di aapne didi dekho aaj pura parivar aapke sath khada hai aapke liye khada hai hum sabhi aapke sath hain okay.
Pavitra ne sabki aur apna najar dauda kar dekha to sabhi ki ankhon me apne liye sirf pyar mahsus kiya jo Pavitra ko ye vishwas dila raha tha ki sabhi uske sath rahenge aur uska hamesha sath denge.
Kajal: mausi maa sahi kah rahi hain hum sab aapke sath hain aur hum sab aapke liye hain.
Rashmika ne bhi apni baat ko dohrate huye kaha mausi aap khud ko kabhi akela mat samjhana pahle sirf aapke pass Ramya mam thi jo aapko support karti thi lekin ab dekho aapke sath kitna koi hai hum sabhi aapke sath hain.
Bich me Dhruv bol pada aap kyon ro rahi ho nani aap mere pass rahna okay aur daily night me sote samay aap mujhe achhi achhi kahaniyan sunnana.
Dhruv: aap mujhe kahaniyan sunaoge na nani.
Pavitra ne Divya se alag hote huye kaha jarur Dhruv ab hum pakke wale dost hain main tumhe story jarur sunaungi jab bhi main tumhare sath raat me rahungi.
Dhruv jor se chilla pada yahooooo mujhe ek aur dost mil gaya jo mujhe story sunayega.
Dhruv ne sabhi ke face par apni masum harkat se smile la diya aur mahol bahut had tak khushi ka ek baar phir se ho gaya.
Jab mahol kuchh shant hua to Arjun ne kaha.
Arjun: haa nani unhe unki kiye ki saja mil chuki hai isliye kahte hain jaisi karni waisi bharni(As you sow so shall you reap).
Arjun: isliye hume sabke sath achha vyavhar karni chahiye aur achhe karm karni chahiye kyonki Hume apne bure karmo ki saja ek din milti hi milti hai.
Kisi ne ghar ke andar enter karte huye kaha tumne bilkul sahi kaha Arjun jo hum aaj karte hain wahi hume aage jakar milti hai isliye hume aaj achhe kaam karni chahiye taki kal hume achha phal mile.
Sabhi ne aawaz ki aur dekha to ye dono koi aur nahi balki Mahendra aur Vishal hain jo apne kaam se wapas ghar me enter kar rahe the.
Mahendra: aaj ghar me itni bheed kaise aur kuchh naye chehre nazar aa rahe hain.
Same aisa hi Vishal ko mahsus ho raha tha kyonki wah bhi kuchh naye chehre se anjaan tha.
Dono ko sabke bare me bataya gaya jahan Kriti ne dono Mahendra aur Vishal se ashirwad liya dono ne hi Kriti ko hamesha apne jivan me khush rahne ka ashirwad diya.
........................................
[Maine apun ka kaam kar diya dosto ab aap logo ki bari likes aur comments deke jane ka aur sab kuchh apun par chhod dene ka.]
That's all for this update.
Total words count: 4.9 k.
........................................
Thanks man....keep supporting....agla update me surprise Milne wala hai.Awesome update
Nice update.Update 67: Ranjan in disguise
Recap: pichhle update me humne padha tha ki Arjun apne bachpan me kisi chij ki darr ki wajah se sirf apni maa ke hi pass rahta tha wah kisi anjaan se na hi baat karta tha aur na hi kisi ke pass jata tha yahan tak ki wah apne dad Mahendra aur apne chacha Akhil se thik se baat nahi karta tha ek hi ghar me hote huye bhi Akhil aur Mahendra dono hi jaise Arjun ke pyar se mahrum the aur Arjun unke pyar se mahrum tha.
NOW NEXT>>>
Meri neend subah jaldi hi khul gayi main fresh hokar gardan me apna running aur martial arts ki practice ke liye chala gaya wahan par Rashmika mausi pahle se hi thi.
Hum dono sath sath practice karne lage.
Arjun: mausi aaj bhi aapki sari moves mere se fast and strong hai pata nahi aur kitne months ya years lag jayenge mujhe aapki barabari karne me.
Rashmika: jaldi hi Arjun tum na sirf meri barabari kar loge balki mujhse behtar ban jaoge jo hum sabhi ki tamanna hai ki tum hum sabhi se better bano aur kasam se Arjun jab ye hoga na sabse jayada hum dono ko hi khushi milegi.
Arjun: main janta hoon mausi akhir ek guru ko apne student par garv hota hi hai jab uska student usse behtar karta hai.
Hum dono room ke andar aa gaye.
[AFTER THE BREAKFAST]
Arjun aur Kajal dono college ke liye nikal gaye.
........................................
[In the classroom]
Sabhi students class me baithe the Sriya mam ka class tha.
Shreya mam class me aayi.
All students: good morning mam.
Sriya: good morning students.
Sriya: okay dear students today we are going to discuss very similar topic to the gravitation can anybody guess which topic I am indicating?
None body raised their hands up except Arjun.
Sriya: ok tell me Arjun which topic we are going to discuss.
Arjun: yes it is Electrostatics.
Sriya: how can you say that we will discuss electrostatics today?
Arjun: because both follow the same principle and are very similar to each other even their formulas are very similar to each other so as you told similar to the gravitation then definitely it should be electrostatics and I am very confident in my answer.
Sriya: well done Arjun. you are very far ahead from the other students in the class room you know the topics before we discuss here keep it up you are definitely going to ace all the examination. you are absolutely a very good learner.
Arjun: thanks mam for your kind words and it will enhance my confidence a little bit more.
Sriya: ok can anybody explain what is electric force?
Almost all the students raised their hands up.
Sriya: ok Rohan you are given a chance explain what is electric force?
Rohan: It is force between two charges which is directly proportional to the product of their magnitude on them and inversely proportional to the square between them.
Rohan: it is stronger force than gravitational force.
a) the nature of force is attractive if they have different charges means a positive charge and a negative charge then they attract each other.
b) if they have same charges means both positive or both negative then the nature of force is repulsive and they repel each other.
Rohan: that's all.
Sriya: ok you explained it very well and the class is dismissed.
...........................................
Arjun aur Kajal college se ghar aa gaye the sabne dopahar ka bhojan kar liya tha aur sabhi ek sath baithe the.
Sabhi ka dhyan Arjun ke mobile me baji ring par gaya. Arjun ne dekha to Ranjan bhaiya flash ho raha tha mobile screen par.
Kajal: kiska phone hai Arjun?
Arjun: Ranjan bhaiya ka call hai chachi aur Arjun ne call receive kiya.
Arjun: hello bhaiya.
Ranjan: hello chhote bhai.
Arjun: kahiye koi jaruri baat hai kya?
Ranjan: ha aaj raat 9 pm ki meri flight hai to main chahta hoon tum mujhe chhodne airport chalo pata nahi phir hum dubara kitne dino ke baad milenge.
Arjun: okay bhaiya main kuchh der me aa raha hoon aapke pass.
Ranjan: okay aa jao main tumhara wait kar raha hoon chhote bhai.
[Call disconnected]
Rashmika: kya baat huyi Arjun tumhari Ranjan bhaiya se!!
Arjun: mujhe Kriti mam ke ghar jana hoga aaj raat unki(Ranjan) 9 pm ki flight hai mausi isliye mujhe unhe chhodne ke liye airport jana hoga.
Kajal: ok koi baat nahi chale jao aur ha aaj raat wahin ruk jana aur kal subah aa jana okay.
Arjun: jaisi meri queen ki wish ho waise hi hoga.
Kuchh der ke baad main Kriti mam ke ghar pahuch gaya.
Wahan sabhi ka face murjhaya hua tha.
Arjun: dekhiye na bhaiya aap thode din aur ruk jate in sabhi ke chehre par ye udasi achhi nahi lagti hai aapke jane se sabhi dukhi hain yahan par.
Ranjan:main chah kar bhi nahi ruk sakta Arjun wahan mujhe ek bahut hi jaruri kaam karni hai yadi nahi gaya to mere boss mujh par bahut gussa karenge jo mujhe bilkul achha nahi lagega aur aap sab bhi nahi chahoge ki koi mere par chillaye.
Ranjan ne aage apni baat ko badhate huye kaha.
Ranjan: kya hua chhote yadi is ghar ka ek beta dur ja raha hai is ghar ka dusra beta tum to yahi ho na aur mujhe tum par pura bharosa hai ki tum sabka khayal bahut achhe se rakhoge.
Arjun: main is ghar ka beta jarur hoon bhaiya lekin aapki jagah is ghar me koi nahi le sakta hai main bhi nahi aap sada hi is ghar ke liye ek sabse important member me se ek rahoge waise sabhi is ghar me important hain sabhi ki apni apni jarurat aur bhumika hai.
Ranjan: ye jaan kar achha laga chhote bhai ki tumhare heart me liye itni respect hai chalo ab tum bhi in sabki tarah udas mat ho jana main jate huye tum sabki face par smile dekhna chahta hoon na ki ye udasi wale chehre.
Ranjan ne aage apni baat ko jari rakhte huye kaha.
Ranjan: maa, Kriti aur Shivangi yadi aap sab aise udas rahogi to main wahan kaise achhe se rah paunga mujhe aap sab ki chinta hamesha satate rahegi isliye please aap sabhi apni face par smile laiye main janta hoon ki ye mushkil hai lekin ye karna hi padega mere liye aap sab apni chehre par smile laiye dekho yadi aap sabne aise hi apna murjhaya hua chehra banaye rakha to main kabhi ghar se bahar nahi ja paunga kya aap sab chahenge ki log mujhe nikkama kahe aur mere integrity par koi sawal uthaye.
Ranjan ki baton ka teeno par prabhav pada aur sabhi ke face par smile aa gayi bhale hi ye smile unke face par jhuthi thi.
Shivangi: ji wahan jakar apna khayal badhiya se rakhiyega aur call karte rahiyega.
Kriti: bhai mujhe aapki yaad hamesha aati rahegi agli baar jaldi aana aur jayada dino ke liye aane ki koshish kijiega.
Sithara: babu wahan aaram se rahna aur sabhi se dosti bana kar rakhna aur kisi se man mutaw nahi rakhna okay waise mujhe ye baat kahne ki jarurat to nahi hai phir bhi kya karun maa hoon na mujhe hamesha tumhari chinta lagi rahti hai.
Ranjan: ji main sabhi ke baton ka dhyan rakhunga aur ha wahan jakar 2 ya 3 days me call karta rahunga lekin aap sabko jab bhi mujhse baat karne ka mann kare mujhe call kar lijiyega.
Ranjan bari bari se sabhi se gale mila aur aage bola.
Ranjan: mujhe kaun kaun jayega chhodne ke liye airport?
Sabhi ne kaha main jaungi isliye Ranjan ne kaha.
Ranjan: okay sabhi chalte hain.
Kuchh hi der baad hum sabhi airport ke liye nikal gaye Ranjan bhaiya khud car drive kar rahe the.
30 minutes ke andar hi hum sabhi airport pahuch gaye Ranjan ke flight ka boarding ka time ho raha tha ek baar phir se Ranjan sabhi se gale mila.
Kriti: bhaiya is baar jaldi aane ki try karna aur aage se aap chahe to phir kabhi aap wapas nahi jayenge aap yahin koi kaam kar lijiyega ya phir koi business start kar sakte hain.
Ranjan: thik hai meri bahana main try karunga aur ye kya phir se tumhari ankhon me ansu nahi nahi bilkul nahi aise me main to nahi ja paunga tum sabko chhodkar.
Kriti ne jaldi hi apne aapko sambhal liya aur aur apne face par jhuthi smile le aayi.
Shivangi: ji apna achhe se khayal rakhiyega mujhe hamesha aapki yaad aayegi.
Ranjan: jarur main apni sweetheart ki baat ko kaise taal sakta hoon main apna khayal achhe se rakhunga aur mujhe bhi aap sabki hamesha yaad aayegi.
Ranjan ne apni maa Sithara se kaha.
Ranjan: maa aap chinta kyon karti hain main hamesha ke liye thodi na ja raha hoon main phir wapas aaunga hi aur aapke pass aapka dusra beta Arjun ko chhod kar bhi to ja raha hoon.
Ranjan ne aage Arjun se kaha.
Ranjan: bhai Arjun ab ye family meri sath sath tumhari bhi hai tum inka achhe se khayal rakhna aur kuchh bhi problem ho to mujhe sirf ek call kar dena ok main jitna jaldi ho sake use solve kar dunga aur ha tum mujhe apna account number do aur koi sawal nahi okay.
Arjun ne apna account number Ranjan ko de diya bina koi sawal kiye.
Ranjan ne sabhi ko antim baar bye bol kar chala gaya.
Arjun, Shivangi, Kriti aur Sithara charo airport par tab tak rahe jab tak flight take off nahi ho gayi.
[In the flight]
Ranjan ek gahri soch me chala gaya ki ab main apni bahan Kriti ko kaise batau ki main jis raste par chal pada hoon ab wapas lautna possible nahi hai wapas lautne ka sirf ek hi rasta hai wo hai meri maut ab main unhe kaise batau ki main Mumbai me job nahi karta balki main to is country me hi job nahi karta hoon bhale hi un sabke liye maine Mumbai ki flight ki ticket li thi lekin mujhe Mumbai se Bangkok jana padega.
Wahin charo airport se ghar ke liye nikal gaye raste me sabhi ne ek restaurant me dinner kar liya aur jab ghar pahuche to time 11 pm ho raha tha.
Kuchh der sabhi hall me hi baithe rahe lekin raat bahut ho chuki thi aur jab sabhi ne sone ke liye decide kiya to Kriti boli.
Kriti: mom Arjun ko akele kabhi sone ki aadat nahi hai to phir Arjun akele kaise soyega ek kaam kijiye aap aur Arjun ek room me so jaiye.
Sithara: main kaise Arjun ke sath so sakti hoon Kriti?
Kriti: mom main Arjun ke sath so nahi sakti aur bhabhi bhi nahi so sakti to aap hi Arjun ke sath so jaiye aap Arjun ko apna beta bolti hain aur bhaiya ne bhi ise apna bhai bana liya hai isliye Arjun aapka beta hi hua isliye aap Arjun ke sath so jaiye apne bete ke sath sone me kaisi lajja aur pareshani!!
Sithara: ab tumne jab sab kuchh pahle se hi decide kar hi liya hai to main kaise mana kar sakti hoon.
Sithara: main Arjun ke sath sone ke liye taiyar hoon kyon Arjun tumhe to koi problem nahi hai na mere sath sone me?
Arjun: ji mom mujhe koi pareshani nahi hai aapke sath sone ke liye.
Kriti aur Shivangi dono ek room me chale gaye aur Sithara aur Arjun ek room me sone ke liye chale gaye.
[KRITI ROOM]
Shivangi: Kriti ek baat mujhe sach sach batana kya sach me Arjun akela nahi sota hai raat me?
Kriti: ji jab se Arjun yahan aaya hai tab se kabhi apni Rashmika mausi to kabhi apni Kajal chachi to kabhi apni Nadhiya nani ke sath sota aaya hai isliye Arjun ko kisi ke sath raat me sone ki aadat ho gayi hai.
Shivangi: main samajh gayi tumhara plan tum apne premi ko apni mom ke karib le jana chahti ho isme koi burai bhi nahi hai sasu maa kab se pyasi hain dekho tumhara plan kab tak pura ho pata hai.
Shivangi apne mann me sochne lagi ek taraf mere pati hain jo yahi chahte hain dusri taraf meri nanad rani hai jo sayad yahi chahti hai.
Shivangi: Kriti kya tum Arjun ke sath abhi aage nahi badhna chahti ho?
Kriti: is question ka answer mere pass nahi hai bhabhi ki main khud ko kaise Arjun ke samne present karun.
Shivangi: koi baat nahi Kriti jo tumhara dil kare tum wahi karo.
Dono nanad bhabhi so gaye.
Wahin dusri room me Arjun aur Sithara jag rahe the.
[SITHARA ROOM]
Arjun aur Sithara dono ek dusre ko dekh rahe the Arjun ke mann me kuchh chal raha tha jaise use kuchh apni sasu maa Sithara se kuchh janna ho sayad Arjun ke mann me jo chal raha hai Sithara ne bhap liya isliye Sithara ne Arjun se kaha.
Sithara: Arjun mujhe aisa kyon lag raha hai jaise tum mujhse kuchh janna chahte ho.
Sithara: jo bhi mann me ho puchh lo aise apni baat ko mann me daba kar mat rakho yadi us question ka answer mere pass hua to main jarur dungi tumhe.
Arjun: ji mujhe sabse pahle ye janna hai ki Kriti ke pita ji ko kya hua tha jo Kriti kahti hai ki pita shri mujhe bachpan me hi chhod kar chale gaye aur bhaiya bhi bas kuchh hi days ke liye ghar aate hain aur phir kuchh hi days me rah kar chale jate hain?
Sithara aaj phir se Arjun ke is question se kai years past me chali gayi jab Kriti aur Ranjan chhote the Sithara ki ankhe thodi nam ho gayi thi lekin jaldi hi khud ko sambhal liya aur Arjun se boli.
Sithara: Arjun mujhe wo din aaj bhi yaad hai jab Kriti ke pita ne mujhse kaha tha ki ab main ek room me kuchh dino ke liye akela sona chahta hoon aur maine unhe akele sone ki permission de di hum teeno main, Ranjan aur Kriti ek room me sone lage aur Kriti ke pita ek alag kamre me sone lage is baat ko 6 months beet gaye aur ek din unki halat bahut hi jayada bigadti chali gayi jaldi hi hum unhe hospital lekar gaye hospital me admit karane par doctor se pata chala ki unhe 4 years se blood cancer thi aur ab last 4th stage me thi doctor ne unhe bachane ki puri koshish ki par bacha na sake.
Sithara: Kriti us time 7 years ki thi aur Ranjan 8 years ka tha hum ek middle class family se the us time aur mere liye apne dono bachho ka palan poshan karna itna easy nahi tha ek hi sath ghar ko sambhalna aur apne dono bachho ko padhana mushkil hone laga tab meri chhoti bahan Trisha ne mere dono bachho ki sari jimmedari sambhal li aur ye ghar hume kharid kar diya rahne ke liye aur hamari jitni bhi jarurate thi sabhi meri chhoti bahan Trishna pura karne lagi.
Sithara: Arjun pata hai ek mard ki sabse badi galti kya hoti hai wah aksar sari pareshaniyo ko khud me chhupa kar rakh lete hain aur kisi se share nahi karte hain yadi Kriti ke pita ne hume ye pahle bata diya hota to sayad hum unhe kisi tarah bacha pate aur wo aaj hamare bich me hote.
Sithara ne apni baat ko continue rakhte huye aage kaha.
Sithara: Arjun beta jivan ki ek baat hamesha yaad rakhna yadi koi pareshani tumhe pareshan kar rahi ho aur use tum solve nahi kar pa rahe ho to use kisi dusre ke sath share kar lena kya pata sayad tumhe uska solution mil jaye jo tumhare liye ek pareshani thi.
Arjun: ji maa main hamesha aapke is baat ko yaad rakhunga.
Arjun: lekin mujhe ek aur baat hai jo pareshan kar rahi yadi aapki bahan Trishna ne ghar ko sambhal liya tha to phir Ranjan bhaiya ko bahar itne dino tak kaam karne ki jarurat kyon padti hai?
Sithara: Arjun kyonki Ranjan chahta tha ki wo apni chhoti bahan Kriti ka sari jimmedari khud uthaye aur hum dono bahno ko uske zidd ke aage jhukna pada aur Ranjan 12th exam ke baad ghar se dur Mumbai chala gaya aur ab kai months me bas kuchh hi dino ke liye wapas aata hai aur phir chala jata hai.
Sithara: kya ab bhi tumhare mann me koi sawal hai jise tum janna chahte ho?
Arjun: abhi ke liye bas itna hi aage yadi mere mann me koi sawal aaya to main aapse baad me puchh lunga.
Sithara: thik hai to phir so jao raat bahut ho chuki hai.
Arjun: ji mujhe maa ki yaad aa rahi hai kya main aapko bahon me lekar so jaun?
Sithara: iska matlab tum apni maa ki bahon me sote ho!!
Arjun: ha mujhe bachpan se hi maa ki bahon me sone ki aadat hai aur maa ko bhi hamesha meri bahon me sone ki aadat hai.
Sithara: thik hai phir meri hi bahon me tum aaj raat so jao main bhi to tumhari maa hoon.
Maine apni sasu maa Sithara ko apni bahon me bhar kar so gaya aur kab mujhe neend aaya pata hi nahi chala.
Arjun to chain ki neend so gaya kyonki use hamesha kisi lady ke bahon me sone ki aadat thi lekin wahin Sithara ko aaj kai years me kisi mard ke bahon me sone ka aanand mil raha tha.
Sithara ko Arjun ke badan ki garmi use bechain karne lagi jo use aaj itne years ke baad kisi se mil raha tha Kriti ke pita ke marne ke baad Arjun wah pahla shaksh tha aur ab tak uske husband ke baad dusra mard jisne Sithara ko is parkar se apne bahon me bhar kar so raha tha.
Jaise jaise raat badh rahi thi Sithara ko Arjun ke badan ki garmi pareshan kar rahi thi aur rah rah kar pura badan ek romanch aur uttejna se bharne laga aur uski chut aaj itne varsho baad kisi mard ke is tarah apni bahon me bharne se rah rah kar kul bula rahi thi aur chut se dhire dhire ras ki bauchar ho rahi thi.
Jab subah huyi to Arjun ne paya ki Sithara abhi bhi jaag rahi thi aur uski ankhen neend puri na hone ke karan dark spot dikhai de rahe the Arjun samajh gaya ki meri sasu maa Sithara raat bhar soyi nahi hai aur jab maine puchha to mujhse kah diya bas tumhe dekh rahi thi aur raat bhar main jagti rahi.
Main bhi apni sasu maa ki baat ko sach samajh kar room se bahar aa gaya.
Wahin jab Sithara ne apni panty ko check kiya to puri taras se bhig gayi thi jo peticoat ko bhi thoda thoda bhiga gayi thi.
Sithara jaldi hi uth kar bathroom me ghus gayi aur apne aapko shant karne lagi.
Arjun sabhi se permission lekar ghar subah jaldi hi laut aaya jab ghar aaya to time 5:30 AM ho raha tha isliye Arjun garden me apni practice ke liye chala gaya jahan Rashmika pahle se hi practice kar rahi thi Arjun bhi apni mausi Rashmika ke sath practice kar ghar ke andar aa gaya.
[ Kya hai Arjun ke bachpan ke darr ka raaz janne ke liye is beautiful story ke sath jude rahiye.]
........................................
That's all for this episode meet again in new episode till then enjoy this update hope you enjoyed some good time here.
[Maine apna kaam kar diya doston ab aap logo ki bari likes aur comments deke jane ka baki sab apun pe chhod dene ka.]
Total words count: 3.2 k.
Interesting story.Update 68: Past follows you
[You cannot escape from your past]
Recap: pichhle update me humne padha ki Arjun aur baki sabhi log Ranjan ko chhodne airport gaye the aur Ranjan plane me kisi soch me dub gaya tha aur sabhi se kuchh chhupa raha hai jiske karan Ranjan ko jayada tar ghar se bahar rahta padta hai.
Now next>>>
[Arjun at home of Ramya]
Breakfast ke baad main aur Kajal chachi college chale gaye.
Sriya mam ke class me aaj humne Electric field ke bare me padha jahan Rashi ne electric field ko achhe se explain kiya.
NOTE: is update me main class ko ignore kar raha hoon yadi maine sare classes ko include kiya to readers ko bura feel ho sakta hai isliye sare topics ko main explain nahi karunga aur sayad yahi aap sab ki bhi demand hogi.
Electric Field: it is an area of a charge particle within an another charge particle experience the force of electrostatics force.
[As we know that same type of charges repel each other but different type of charges attract each other. Yah principle thik usi tarah work karta hai jaise ek aurat mard ki aur khinchi chali jati hai thik usi parkar se ek negative particle ek positive particle ko apni aur attract karti hai.]
Lunch break par hum sabhi friends canteen me baithe coffee aur samosa enjoy kar rahe the tabhi hamare pass ek peon aa kar bola.
Peon: Arjun tumhe Ramya mam ne apne cabin me bulaya hai abhi.
Arjun: ok aap chaliye main pichhe se aa raha hoon coffee khatam karke.
Main coffee samapt karke sabhi se bolkar Ramya mam ke cabin pahuch gaya.
Maine door ko push karte huye bola.
Arjun: may I come in mam?
Ramya: yes Arjun come inside main tumhara hi wait kar rahi hoon.
Main andar aa gaya aur mam ke permission se ek chair par unke samne baith gaya aur maine mam se bola.
Arjun: ha boliye mam aap kya kahna chahti hain mujhse?
Ramya: ha Arjun to baat ye hai ki meri beti Nithya jo tumhare home town me padhti hai ghar aayi huyi hai aur tumse milna chahti hai isliye main chahti hoon ki tum mere ghar aaj college ki chhutti ke baad aa jao.
Arjun: okay main aa jaunga aur koi baat mam.
Ramya: ji nahi aur koi baat nahi hai aur ha agar tum kisi ko apne sath lana chaho to la sakte ho aaj dopahar ka bhojan mere hi ghar par ban raha hai okay.
Arjun: okay mam main aur mera chhota bhai Dhruv jo Kajal mam ka beta hai hum dono aayenge.
Ramya: okay ab tum ja sakte ho main tumhare mobile par apna address send kar de rahi hoon check kar lena.
Main Ramya mam ke cabin se bahar aa gaya aur college ke end hone ke baad main aur Kajal chachi ghar laut aaye the.
Main apna kapda badal kar bahar sabhi ke sath aakar baith gaya.
Arjun: ji mujhe aap sab se kuchh jaruri baat kahna hai.
Nadhiya: okay bolo hum sun rahe hain tum kya kahna chahte ho hum sabse?
Arjun: ji main aur Dhruv dono bhai Ramya mam ke ghar ja rahe hain unhone mujhe abhi apne ghar bulaya hai aur hum dono bhai bhi wahin par bhojan kar lenge.
Kajal: okay chale jao.
Rashmika: wapas kab tak aaoge Arjun?
Arjun: mujhe nahi pata hai mausi yadi late hua to main call kar dunga aap sabhi ko aur jo bhi wahan hoga aap sabhi ko main ghar aakar bata dunga.
Nadhiya: thik hai chale jao Shreya beti bhojan nikalo hume bahut jor ki bhukh lagi hai hum Arjun ke intezaar me bhukhe the aur Arjun bahar ja raha hai.
Arjun: mausi, nani aur bhabhi aap sab mujhe maaf kar dijiye aap sab mera intezaar kar rahi thi ek sath bhojan karne ke liye aur main bahar ja raha hoon.
Shreya: koi baat nahi devar ji kabhi kabhi aisi baten ho jaya karti hai ye sab hamare control me nahi hota hai.
Kajal: tumne bilkul sahi kaha Arjun sabhi chije hamare control me nahi hoti hai kuchh chije apne aap samay ke sath hoti chali jati hai isliye hume bas apne aaj ki karm par apna dhayan focus karni chahiye bina kisi baat ki chinta kiye huye.
Rashmika: you are absolutely right didi.
........................................
[Ramya Home]
Main aur Dhruv dono bhai Ramya mam ke ghar kuchh hi minutes ke baad pahuch gaye.
Mujhe ghar par sirf ek hi ladki anjan mili jisse main kabhi nahi mila tha main samajh gaya ki yahi mam ki beti Nithya hai.
Ramya: Arjun isse milo ye hai meri beti Nithya.
Arjun: hello Nithya.
Nithya: hello Arjun.
Aur hum dono ne hand shake kiya ek dusre se.
Ramya: inse milo ye hai meri bahu Samantha.
Arjun: ji main inse pahle hi mil chuka hoon kuchh din pahle.
Ramya: kab mile tum meri bahu se Arjun?
Samantha: maa ji main ek din chiken lene gayi thi aur main bhi gayi thi us din meri purse kho gayi thi isne hi meri chiken ke paise de diye the tabhi hum dono mile the ek dusre se bas hum ek dusre ko jante nahi the isne bina kisi jaan pahchan ke meri help kar di thi tab maine Arjun se kaha tha yadi main tumse dubara milungi to hisab barabar kar dungi us din main apna phone bhi lekar nahi gayi thi ghar se aur humne ek dusre ka number bhi nahi liya thi main Arjun ka paisa wapas kar pati.
Arjun: ji koi baat nahi Samantha ji jarurat me kisi ki help karna ek insan ka kartavya hota hai.
Ramya:bahut achhe Arjun inse milo Arjun ye hai Pavitra bhale hi ye hamare ghar me khana banati hai lekin meri bahan jaisi hai aur hum sabhi inhe apne parivar ka hi hissa mante hain.
Arjun: ji main inse bhi bahut pahle hi mil chuka hoon Samantha ji se bhi pahle.
Nithya: ye kya Arjun matlab tum mere ghar me abhi yahan jo bhi hai sabse tum pahle hi mil chuke ho lekin tum Pavitra aunty se kab mile tum to aaj pahli baar mere ghar aaye ho?
Pavitra: iska jawab main tumhe deti hoon Nithya beti.
Pavitra ne apni baat ko aage continue rakhte huye kaha.
Pavitra: tumhe yaad hai maine tumhe bataya tha ki ek din mujhe ek gunda bich sadak par pareshan kar raha tha.
Nithya: ha mujhe yaad hai aunty lekin usse Arjun ka kya lena dena hai?
Pavithra: lena dena bilkul hai Nithya beti kyonki Arjun ne hi us din mujhe us gunde se bachaya tha us din main iska naam bhi janna bhul gayi thi kyonki main bahut Darr gayi thi isliye main thik se iska shukriya bhi nahi kar payi thi us din chalo achha hua ki meri dubara mulakat ho gayi Arjun se.
Samantha: oh my god matlab is ghar ke sabhi lady ko Arjun ne kuchh na kuchh diya hai chahe wo main hoon, sasu maa ho, Nithya ho ya phir Pavitra aunty.
Ramya: tumne bilkul sahi kaha Samantha Arjun ne sabhi ko kuchh na kuchh diya hi hai is ghar ki sabhi aurto ko.
Pavitra: ok bahut ho gayi baten chalo khana khate hain in dono baccho ko bhukh lagi hogi.
Dhruv jo ab tak chup tha bola.
Dhruv: are koi mujhse bhi to baat karo main bhi yahi hoon aap sab bas akele akele me lage ho koi meri taraf bhi dhayan do.
Dhruv ki is masumiyat se sabhi ke chehre par smile aa gayi.
Samantha: ok to tumhara naam kya hai cutie?
Dhruv: ji mera naam Dhruv hai ab mujhe thoda achha lag raha hai.
Nithya: kyon isse pahle tumhe achha kyon nahi lag raha tha?
Dhruv: mujhe achha kaise lagta aap sab bas aapas me baat kar rahe the mujhse bhi to koi puchh lete main bhi yahin tha kab se.
Dhruv ke in pyari baton se sabhi ke honthon par payari si muskan ek baar phir se aa gayi.
Arjun: chhote bhai hum sabko maaf kar do humse galti huyi hai.
Dhruv: okay aaj maaf kar de raha hoon sabko agli baar se aisi koi galti nahi honi chahiye.
All: okay ab se hum sab se koi galti nahi hogi chhote prince.
Arjun: are ha ek baat to main aap sabko batana bhul hi gaya main us din aunty ko bacha paya tha to uska asli credit Dhruv ko hi jata hai kyonki mere chhote bhai Dhruv ne hi dikhaya tha ki wahan par kya ho raha tha.
Pavitra: shukriya chhote Dhruv.
Dhruv: ji welcome aunty.
Ramya: okay chalo ab sabhi khana khate hain bahut ho gayi baten ab sab baten khana khane ke baad hogi.
Hum sabhi ek sath khana khane ke liye baith gaye.
Khane me fish , rice , daal cheese (panir), palak aur roti tha sath hi sath salad bhi tha.
Maine pahla niwala liya mujhe taste kuchh jana pahchana laga maine dusra dish try kiya aur phir se sawad jana pahchana laga maine jaldbazi me phir se alag dish try kiya phir se mujhe taste jana pahchana laga aur maine ek ek karke sare dish taste kar liye mujhe sabhi taste jana pahchana laga.
Sabhi log kha rahe the aur main ek gahri soch me chala gaya sabhi dishes ka taste ek jaisa kaise ho sakta hai jise main pahle se janta hoon koi bhi difference nahi taste me.
jab Ramya mam ne mujhe kuchh sochte huye dekha to mujhse puchhi.
Ramya: kya hua Arjun tum bhojan kyon nahi kar rahe ho?
Arjun: mam main soch ye raha hoon ki ye sare bhojan ki dishes ko kisne banaya hai?
Nithya ne is sawal ka jawab dete huye kaha.
Nithya: ji Pavitra aunty ne kyon achha nahi lag raha hai kya Arjun?
Arjun: ji mujhe bahut achha lag raha hai aur ye jo taste hai na main pahle bhi aisa taste kar chuka hoon ek dam 100% wahi taste koi difference nahi hai.
Ramya: Aisa kaise ho sakta hai tum to aaj pahli baar hamare ghar aaye ho.
Wahin Arjun ke baton se Pavitra ek gahri soch me pad gayi.
Jab meri nazar Pavitra aunty par pada to maine unse sidha sidha sawal puchh liya.
Arjun: aunty aap sach sach bataiye ye bhojan aapne kahan se banana sikha hai kya rishta hai aapka meri Divya nani se?
Arjun ke is question se Pavitra aur Ramya dono ek gahri soch me pad gayi dono ko kuchh samajh nahi aaya kya jawab diya jaye Arjun ke is sawal ka.
Arjun: boliye aunty aapka kya rishta hai meri Divya nani se jo aapka bhojan ka swad bilkul meri Divya nani jaisa hai koi bhi difference nahi hai yadi koi ek dish ka taste same hota to main ise sanyog maan leta lekin sabhi ke sabhi dishes same kaise ho sakti hain?
Pavitra:tum kaun Divya ki baat kar rahe ho Arjun main kisi Divya ko nahi janti hoon ye name aaj main apni puri life me pahli baar sun rahi hoon.
Arjun: achha thik hai yadi aap kisi Divya ko nahi janti hain to phir aapka aur mam ka chehra serious kyon ho gaya Divya nani ka naam sunkar aapko meri kasam hai aunty please mujhe sach sach bataiye kya main jo soch raha hoon wo sach hai yadi mere liye aapke dil me thodi si bhi prem hai to mujhe sach bataiye main janna chahta hoon ki kya rishta hai aapka meri Divya nani se.
Jisne Pavitra ki izzat ki raksha ki thi uski jhuti kasam kaise kha sakti thi isliye Pavitra ne ek gahri sans lete huye apne face ko ek dam sakht banate huye ekdam bhari aawaz me kaha.
Pavitra: jo tum soch rahe ho Arjun wahi sach hai tumhara dil jo kah raha hai main wahi Pavitra hoon.
Aur Pavitra ne khana ko bich me chhod kar hi Arjun ko apne sine se laga liya.
Nithya aur Samantha ko kuchh bhi samajh nahi aaya ye ho kya raha hai?
Arjun aur Pavitra dono hi gale lage huye hi bas apni ankhon se ansu bahaye ja rahe the dono me se na koi kuchh bol raha tha aur na hi dono ek dusre ki bahon se alag ho rahe the.
In dono ko gale lage huye 10 minutes se bhi jayada ho gaya tha aur koi kuchh bhi nahi bol raha tha bas sabhi in dono ko gale lage huye hi dekhe ja rahe the.
jab koi bhi kuchh nahi bola raha tha aur Arjun ko rote huye dekh kar Dhruv ne hi bola.
Dhruv: bhaiya aap aise to kyon rahe ho?
Arjun: kuchh nahi bas ye khushi ke ansu hain pata hai ye kaun hai Dhruv?
Dhruv: kaun hai bhaiya?
Arjun: hamari Divya nani ki badi bahan aur main Pavitra nani se alag ho gaya.
Maine bina koi deri kiye Kajal chachi ko call laga diya aur kuchh hi der baad Kajal chachi ne call receive kar liya.
Kajal: hello Arjun ha bolo kya baat hai mujhe aisa kyon lag raha jaise tum ro rahe ho?
Arjun: kuchh nahi bas aap yahan sabhi ko lekar aa jaiye.
Kajal: okay bas mujhe kuchh minutes ka time do main kuchh hi der me sabhi ko lekar pahuch rahi hoon.
[Call disconnected]
Rashmika: kya baat hai didi aisa kya hua wahan ki Arjun ro raha hai jo kabhi kisi baat par vichlit nahi hota hai?
Kajal: mujhe bhi nahi pata Rashmika ab to hume wahan jakar hi pata lagega ki akhir baat kya hai.
.......................................
[After some minutes]
Kajal chachi, Rashmika mausi, Nadhiya nani aur sath me Shreya bhabhi aa gayi.
Kajal ghar ke andar aate hi mujhse boli.
Kajal: ha bolo kya baat hai Arjun tum ro kyon rahe ho pata hai na hum me se koi bhi tumhare ankhon me ansu nahi dekh sakta hai phir tumhare ankhon me ye ansu kaise aa gaya kya hua hai yahan par?
Maine Kajal chachi ke baton ka koi jawab na dekar Pavitra nani ki aur ishara kar diya jo khud hi ro rahi thi.
Kajal: ye kaun hai Arjun?
Arjun: ye wahin hai Chachi jiski hume varsho se talash thi aur hamari family inke bina adhuri hai ye wahin hai jiska naam aapne mujhe nahi bataya tha aur aap dono ne mujhse kaha tha ki yadi mere kismat me hua to main jaan jaunga dekho aaj khud hi mujhe mere sawal ka jawab mil gaya.
Rashmika: kya main jo soch rahi hoon kya wah sach hai Arjun?
Arjun: ha mausi jo aapka dil kah raha hai wahi sach hai.
Kajal aur Rashmika dono ke hi ankhon se ansu moti ki tarah tap tap tap tap girne lage.
Pavitra: ye dono kaun hain Arjun aur tum bhi kaun ho abhi tak mujhe samajh nahi aaya hai kuchh bhi achhe se?
Rashmika: hum dono bahne wahin hain mausi jise aapne maa ki garbha awastha me jana tha wo dono hum hi hain jo Divya maa ki garbh me the jab aapki shadi huyi thi aur aapke sath utna bada conspiracy(shadyantra) racha gaya tha.
Pavitra: matlab tum dono meri Divya ki beti ho.
Rashmika: ha mausi hum hi hain wo dono jo aapke pyar ke liye 30 years se tadap rahi hain.
Pavitra ne dono bahno Kajal aur Rashmika ko apne sine(chhati) se laga liya.
Sabhi ki ankhon me khushi ke ansu the jise bhi Pavitra ke bare me pata tha.
Wahin Nithya, Samantha, Dhruv aur Shreya ko jayada kuchh samajh nahi aa raha tha ki yahan ho kya raha hai?
Jab hum sabhi alag alag hokar baith gaye to.
Rashmika: aapne aisa kyon kiya mausi aapko hamari ek baar bhi yaad nahi aayi?
Pavitra: mujhe maaf kar do beti main tut gayi thi aur anjane me mujhse bahut badi galti ho gayi aur jab mujhe apni galti ka abhas hua to bahut der ho chuki thi.
Kajal: pata hai mausi maa aapke bina bilkul akele ho gayi thi jab hum dono bahne 4 years ki thi tabhi papa ki car accident me death ho gayi thi.
Rashmika: maa ko yadi Seetha aunty nahi milti to pata nahi maa hum dono bahno ko akele kaise pal posh kar bada karti kya aapko apni chhoti bahan ke bare me ek baar bhi yaad nahi aaya?
Pavitra: ji mujhe maaf kar do Rashmika beti mere ek galti ke karan hum sabko itne varsho ki judai aur dard sahna pada.
Arjun: shant ho jaiye mausi ye Divya nani ki gunehgar hai isliye ab jo bhi hua hai hum sab Divya nani ke aane ke baad hi ek sath janenge.
Kajal: thik hai Arjun hum tumhare kahne par shant ho rahe hain.
Rashmika: ab hum aapko apne se kabhi bhi dur nahi jane dengi mausi.
Arjun: pata hai nani Divya nani aapke pass na hokar bhi unhone apna promise pura kiya jo unhone aapko apni shadi wale din diya tha.
Pavitra: tum kaun se promise ki baat kar rahe ho Arjun?
Arjun: yahi ki aapko Divya nani ne kaha tha main apne family ko protect karungi aur dekho wo aapke pass na hokar bhi aapki raksha ki aur apna promise pura kiya unhone.
Pavitra: main kuchh samjhi nahi Arjun tum kya kah rahe ho?
Arjun: yahi nani ki maine aapko jo gunde se bachaya tha na ye unki hi fighting ki kala thi aur is tarah se Divya nani aapke pass na hokar bhi apni promise ko pura kiya.
Pavitra: okay main samajh gayi Arjun.
Pavitra: okay ab mujhe sabke bare me details me batao.
Arjun ne sabhi ki aur ishara karte huye kaha ye dono Rashmika aur Kajal hain dono judwa bahne hain aur dono hi Divya nani ki beti hai yani ki aapki bahan ki betiya hain ye dono.
Arjun ne Nadhiya ki aur ishara karte huye kaha ye Rashmika mausi ki sasu maa hai.
Arjun ne Dhruv ki aur ishara karte huye kaha ye Kajal chachi ka beta hai.
Arjun ne aage Shreya ki aur apni finger ko point karte huye kaha ye Shreya bhabhi hai hamari padosi hai lekin bilkul hamari family member ki tarah hai.
Pavitra: okay main sabke bare me jaan gayi.
Nithya: aap sab to samajh gaye mujhe bhi to koi bataye yahan ho kya raha hai mujhe kuchh bhi jayada samajh nahi aa raha hai?
Ramya: iska jawab main tumhe de deti hoon Nithya beti aapki Pavitra aunty Rashmika aur Kajal ki maa ki chacheri bahan hai lekin dono sagi bahan se bhi badh kar hai aur tumhe jo bhi janna hai main tum dono ko baad me detail me bata dungi okay.
Nithya: thik hai maa jaisa aap kaho.
Ramya: dekho meri beti Nithya kitni lucky hai sabhi ke liye isne Arjun se milne ke liye ise yahan bulaya aur aaj sabhi bichhde parivar ko phir se mila diya.
Arjun: Dhanyawad Nithya.
Kajal: tumhara bahut bahut shukriya Nithya beti.
Arjun: chachi sabse bada thanks ka hakdar to hamara Dhruv hai.
Rashmika: wo kaise Arjun?
Arjun: kyonki jis lady ko maine ek months pahle ek gunde se bachaya tha wo lady Pavitra nani hi hai aur Dhruv ne mujhe wo kand dikhaya tha isliye hamara Dhruv asli shukriya ka hakdar hai.
Pavitra: idhar aao Dhruv beta.
Dhruv jiske chhote se dimag me jayada kuchh samajh to nahi aa raha tha apni mummy Kajal ki taraf dekha.
Kajal: jao Dhruv wo tumhari badi nani hai.
Dhruv, Pavitra ke pass chala gaya Pavitra ne Dhruv ko apni gaud me baitha liya aur galo par chhote chhote kisses dene lagi.
Kajal: mausi aap yahan Ramya mam ke ghar me kab se ho?
Pavitra: main yahan pichhle 30 years se hoon Kajal beti jab se main ghar chhod kar chali gayi thi.
Kajal: ji main yahan par pichhle 4.5 years se hoon aapke itne karib rahkar bhi kabhi mil nahi saki aur na hi jaan saki aapke bare me.
Pavitra: sab kuchh ek sahi time par hi hota hai Kajal beti jis ateet ko main pichhle 30 years se bhula kar yahan rah rahi thi aaj wahi past mere samne aa gaya aur hume phir se milane ka kaam kiya hamare teeno chhote bachon ne Arjun, Dhruv aur Nithya beti ne.
Nithya: aunty kya aap hume ab chhod kar chali jayengi mujhe aapke hathon ka bhojan phir kaise khane ko milega?
Kajal: hamari mausi tumhe kahin bhi chhod kar nahi jayegi Nithya ab se tum sab bhi hamare parivar ho jisne meri mausi ko itne varsho tak apne sath rakha hai.
Rashmika: aap sab ka bahut bahut dhanyawad ki aap sabne meri mausi ko hamse mila diya aur hamara pariwar pura hua.
Arjun: chachi wo sab khana taste karke dekhiye.
Maine bari bari se Rashmika mausi aur Kajal chachi dono ko bhojan taste karaya.
Rashmika: ye kya Arjun ye khane ki taste to meri maa ki hai thoda sa bhi antar nahi hai.
Arjun: ha mausi maine jaise jaise sare dishes ko check kiya sabhi ke taste Divya nani ke banaye gaye dishes se same to same ditto milti hai tabhi to mujhe ye pata chala ki inka Divya nani se koi rishta hai aur maine inhe
apni kasam dekar puchha to inhe sach batana hi pada.
Kajal: pata hai mausi meri maa aaj bhi aapka intezar kar rahi hain ki aap ek din unke pass jarur laut kar aayengi aur dekho aaj unka vishwas sahi sabit ho gaya humne maa ko kitni baar kaha tha ki aap wapas nahi aayengi lekin dekho aaj unka jo atal vishwas hai sahi sabit hone ja raha hai aaj bhi maa aapko yaad karti rahti hai mausi aisa koi din nahi gaya hoga jab aapko maa yaad nahi karti hai ab samay aa gaya hai mausi maa ko unki kathin tapasya ka phal milne ka.
Rashmika: aur ha mausi aap wapas maa ke pass kyon nahi aayi aur aapke sath kya kya hua hai sabhi prashno ke jawab aapko maa ko dena hoga aap taiyar ho jaiye maa ka samna karne ke liye jo aapne maa ko itni varsho se intezaar karaya hai aur unhe jo peeda di unse dur rahkar.
Arjun: ha nani hum Divya nani ke pass Saturday ko chalenge.
........................................
Arjun ne apni maa Ravina ko call laga diya.
Kuchh hi ring par Ravina ne call receive kar liya.
Ravina: ha hello Babu bolo kuchh kahna chahte ho bolo kya baat hai?
Arjun: yes mom main aapke pass Saturday ko aa raha hoon aur aapko ek surprise aur khushkhabri dono ek sath milne wali hai taiyar rahna aapko behad hi pasand aayega.
Ravina: main tumhare surprise ke liye taiyar hoon aur ha yadi aa hi rahe ho to meri bahu Kriti ko bhi sath lete aana mere liye khushi aur badh jayegi.
Arjun: jo hukum meri mata shree ka aur koi order hai mere liye wo bhi bol dijiye?
Ravina: nahi ab tum jaldi se yahan aa jao main jo bhi order dungi ab tumhe yahi par dungi okay.
Arjun: thik hai jaisa aap kahen maa.
[Call disconnected]
NOTE>> Hum jis chij se jitna dur bhagte hain wahi chij hamare samne aa jati hai aur yahi aaj Pavitra ke sath hua jo aurat apne ateet se pichhle 30 years se bhag rahi thi aaj unke samne aa gaya aur Pavitra ko akhir kar apne purane ateet ko accept karna hi pada.
Aur yahi sacchai bhi hai dosto hum jitna chahe apne ateet se bhagna chahe par ek na ek din kisi na kisi roop me hamare samne aa hi jati hai isliye hume apni sacchai se bhagna nahi chahiye balki uska dat kar mukabla karna chahiye aur use apni life me accept karna chahiye.
........................................
[Ramya Home]
Arjun ka pura pariwar Kajal ke ghar wapas aa gaye the unke sath me Pavitra aur Nithya bhi aa gayi thi.
Wahin Ramya ke ghar par unki bahu Samantha aur Ramya dono baat kar rahe the.
Samantha: maa ji mujhe lagta hai Arjun aapke partner ke roop me thik rahega aap Arjun par puri tarah se trust kar sakti hain wah aapko kabhi bhi badnaam nahi karega yadi Arjun aapko pasand hai to aap unke sath aage badh sakti hain.
Ramya: ye tum kya kah rahi ho Samantha main Arjun ke sath kaise aage badh sakti hoon wah mera student hai.
Samantha: student hai to kya hua hai to ek mard hi na yadi aap jaisi gad rai maal Arjun ko mil gaya to wah aapko pakar khush ho jayega.
Ramya: ye tum kya kah rahi ho Samantha Arjun abhi bachha hai mujhe nahi sambhal payega aur tum aisa soch bhi kaise sakti ho mere aur Arjun ke bare me.
Samantha: achha Arjun aapke bete se bhi tagda hai. Arjun aapko sambhal lega aap sirf ye socho ki aap Arjun ko kaise pa sakti ho kyonki Arjun aapka student hai?
Ramya: tumne bilkul thik kaha Samantha beti Arjun hai to mere bere bete se tagda bhale hi Arjun abhi sirf college student hai aur isme kya hai bhale hi main 50 years ki ho gayi hoon lekin yadi Arjun ne mera jalwa dekh liya na mere pichhe pichhe dodega.
Samantha: apni husn par itna ghamand nahi karna chahiye sasu maa mana ki aap haseen hain lekin Arjun bhi kam handsome nahi hai jo aapke pichhe pichhe ghumta rahega aur jahan tak mujhe strong feeling aa rahi hai Arjun ki koi ek bahut hi beautiful girlfriend hogi isliye wah easily aapke pyar ke jaal me nahi aayega aapko Arjun ko apne jaal me lane ke liye bahut hi kadi mehnat karni padegi.
Ramya: chalo dekhte hain phir kya hota aur kya likha hai meri kismat me ye akelapan ya phir Arjun ka pyar.
[Conversation ends]
NOTE: Ramya ke husband ki death bahut saal pahle hi ho chuki thi aur uski bahu Samantha chahti thi ki Ramya kisi se physical relationship bana le aur isme Ramya ko bhi koi problem nahi thi lekin Ramya ko ab tak koi bharose ka partner nahi mila tha lekin ab Samantha ko Arjun ke aane se use ek aasha ki kiran nazar aayi thi kyonki Samantha ko Arjun me sare qualities nazar aaya tha jo ek mard me hona chahiye tha dono saas bahu highly qualified hone ke karan ek dusre se bilkul saheli ki tarah vyavhar karte hain.
Samantha ko Arjun ki personality achhi to lagi hi sath me Arjun ki sabko help karne ki quality sabse jyada achhi lagi.
Samantha aur Ramya bhale hi rishte me saas aur bahu hain lekin dono saheli ki tarah rahte hain aur ek dusre ki dil ki haal ko jaan lete hain.
Chlao dekhte hain kya jo Samantha soch rahi hai kya wo sach ho payega kya Arjun Ramya ko mil payega ya nahi ye to story padhkar ki pata chalne wali hai.
........................................
[KAJAL HOME]
Arjun ne apni love Kriti ko call laga diya kuchh hi ring ke baad Kriti ne phone receive kar liya.
Kriti: hello Arjun.
Arjun: hello mam.
Kriti: ha bolo kuchh jaruri baat karni hai ya meri janu ko mere sath phone romance karna hai?
Arjun: aapse ek jaruri baat hi karni hai mam hum sabhi Saturday ko mere hometown ja rahe hain aur meri maa apni bahu se milna chahti hai isliye aapko bhi mere sath chalna hoga kya aap chalengi mere sath.
Kriti: main bhala kyon nahi jaungi apni sasu maa se milne ke liye tum apni sasu maa se milte rahte ho to mujhe bhi to apni sasu maa se milne ka chance milna chahiye na main bahut hi jayada excited hoon apni sasu maa se milne ke liye.
Arjun: to phir thik hai aap ready rahiyega Saturday ko college ke baad hum yahan se nikal jayenge main aapko ghar se hi pick kar lunga okay bye.
Kriti: ok main samajh gaya baby main bilkul ready rahungi time par bye.
[Call disconnected]
Kajal ne phone kar apne husband Akhil ko Pavitra mausi ke bare me bata diya tha aur apne husband se ye bhi kah diya tha ki wah is baat ko Ravina didi ya kisi aur se na kahe hum un sabko surprise dena chahte hain.
........................................
Saturday ko sabhi college ki chhutti ke baad 2 cars se Arjun ke maa ke pass nikal gaye 3 hours ki driving ke baad sabhi Ravina ke ghar ke bahar pahuch gaye.
........................................
Total words count: 4.6 k.
[Maine apun ka kaam kar diya doston ab aap logo ki bari likes aur comments deke jane ka aur sab mujh par chhod dene ka.]
That's all for this episode.
In the next episode hum Pavitra ki story janenge aage jo hume update 57 me padha tha uske baad se.
Hope you are enjoying this beautiful story.
Keep reading and keep supporting guys it takes a lot of time and energy to arrange the story in sequence.
Ufff kya kya twist hain story me. Rula hi diya.Update 69: Past is very painful.
[story of Divya and her sister: part 2.]
Recap: In the previous update humne jana tha ki kaise Arjun aur baki sab Kajal, Rashmika aur Nadhiya ko Pavitra ka sach pata chal chuka tha ki wah Divya ki bahan hai aur sabhi Saturday ko Arjun ke hometown Pearl City ke liye nikal gaye the sath me Nithya aur Kriti bhi thi aur car Arjun ke ghar ke bahar tak pahuch gayi thi.
Now next>>>>
Jab Arjun aur sabhi log ghar pahuche to evening ke 7 pm ho raha tha ghar par sirf Ravina thi abhi Mahendra aur Vishal dono ghar wapas nahi aaye the kaam par se.
Arjun aaj apni maa Ravina se lagbhag 45 days baad mil raha tha.
Ravina ne Arjun ko apne sine se laga liya phir bari bari sabhi Kajal, Rashmika, Nadhiya aur Dhruv se mili.
Abhi bhi Ravina ke liye teen koi anjan the jo Ravina samajhne ki koshish kar rahi thi ki dono girls me se kaun meri bahu Kriti hai kyonki Ravina ne abhi tak apni bahu Kriti se na hi baat ki thi aur na hi photo dekhi thi isliye uske face pe clearly uljhan dikhai de rahi thi.
Ravina ki uljhan ko dur karte huye Rashmika ne Kriti ki aur apni finger ko point karte huye kaha.
Rashmika: Didi ye hai Kriti aapki hone wali bahu Arjun ki premika.
Kriti ka chehra sharam se red hone laga sabke samne apne liye bahu aur premika shabd sunkar aur sath hi sath khushi bhi mahsus hone lagi ki sabhi ne mujhe Arjun ke liye accept kar liya hai.
Kriti ne Ravina ke panv chhukar ashirwad liya Ravina ne Kriti ko sada saubhagya vati hone ka ashirwad diya aur phir Kriti ko apne gale se laga liya.
Jab Ravina kuchh der ke baad Kriti se alag huyi to.
Ravina ke liye abhi bhi two new faces the jo wo samajhne ki koshish kar rahi thi par Ravina ko ek baar phir se kuchh bhi samajh nahi aaya ki ye 2 naye chehre kaun hain kya yahi surprise ki baat kar raha tha Arjun mujhse phone par.
Ravina ke uljhan ko is baar dur karte huye Kajal ne Pavitra ki aur apni finger ko point karte huye kaha.
Kajal: Didi ye hai meri mausi Pavitra meri maa Divya ki badi bahan jinka hum 30 years se intezar kar rahe the aur ab hamara intezaar samapt hua aur sath hi sath hamara pariwar pura ho gaya jo ahura tha Pavitra mausi ke bina.
Ravina ka chehra ek pal ke liye badla jab Kajal ne kaha hamara pariwar pura ho gaya lekin Ravina ne jaldi hi apni face ko samanya kar liya jise koi bhi note nahi kar paya.
Ravina ko kuchh pal ke liye to apni kano par yakin nahi hua ki abhi abhi usne jo suna kya wah sach hai isliye phir se Ravina ne ek baar Kajal ki taraf dekha to Kajal ne ha me apni gardan hila di.
Ravina ne Pavitra ke pass jakar sabse pahle unka ashirwad liya aur phir Pavitra ko apne gale se laga liya.
Jab dono alag huye to Pavitra ne kaha.
Pavitra: Main janti hoon aap sabhi ke mann me bahut sare questions hain lekin main sabhi questions ke answers ek sath dungi jab sab ek sath honge aur Nithya ki aur ishara karte huye Pavitra ne Ravina se kaha ye Nithya hai bilkul meri beti jaisi hai isi ke ghar me main pichhle 30 years se rah rahi hoon iske gharwale sabhi mere apne hain jisne mujhe kabhi bhi gair na samajh kar apne family ka ek atut hissa mana hai.
...........................................
[After sometime]
Arjun: Ha to ab bataiye maa kaisa laga aapko hamara surprise maine aapse kaha tha na aapko bahut pasand aayega?
Ravina: Bahut achha laga Arjun isse achha mere liye aur kya ho sakta hai ki mujhe aaj ek aur maa mil gayi Pavitra mausi ke roop me bhagwan ne mujhe meri janam dene wali maa se dur kar diya lekin badle me mujhe teen teen maa de diya(Divya, Nadhiya aur Pavitra) aur ha Arjun jaise tumhari teen mothers hain waise hi meri bhi ab teen maa ho gayi hai main kitni lucky hoon jo mujhe teen teen maa ka pyar mil gaya is janam me.
Arjun: Meri maa kaise nahi lucky hogi.
Arjun: Maa hume jald se jald Divya nani ke pass jana chahiye kyonki mujhe Pavitra nani ke bare me sab kuchh janne ki bahut bechaini ho rahi hai.
Rashmika: Mujhe bhi ho rahi hai Arjun aur mujhe lagta hai ab sabhi ko Pavitra mausi ke bare me janne ki bechaini ho rahi hogi.
Nithya: Aapne bilkul sahi kaha mausi mujhe bhi ab apne Pavitra aunty ke bare me jald se jald sab kuchh janne ki wish hone lagi hai.
Ravina: Tum ek kaam karo Arjun tum aur Kajal jakar Divya nani ko yahan le aao aaj meri teeno mata mere sath hongi.
Kajal: Jaisa aap kahe didi hum dono ja rahe hain maa ko yahan lane ke liye.
Arjun aur Kajal dono car se Divya ke ghar ke liye nikal gaye kyonki Divya aur Ravina ka ghar same city me tha aur jayada dur bhi nahi tha isliye 10 minutes ke driving ke baad dono Divya ke ghar pahuch gaye.
Note: Kyonki Mahendra aur Vishal ghar par nahi rahte hain din ke samay jayada tar isliye Ravina, Divya ke ghar chali jati hai aur jayada tar time wahi bitati hai Divya aur Seetha ke sath.
Jaise hi Divya ki nazar Arjun aur Kajal par padi Divya upar stairs se daudti huyi utari aur dono Kajal aur Arjun ko ek sath apne gale se laga liya.
Divya: Aise tum dono kaise aa gaye mujhe koi khabar bhi nahi di aane ki kisi ne aur mujhe bina suchna diye huye tum dono yahan.
Arjun: Aap sab kuchh samajh jayengi nani maa pahle aap abhi ke abhi mere sath mere ghar chaliye.
Divya: Arey kya hua kuchh batao to sahi aise adhir kyon ho rahe ho itna tumlog?
Kajal: Kuchh mat kahiye maa aap bas hamare sath chaliye aur ha aaj raat aap wahin ruk jaiyega ye Ravina didi ka order hai.
Divya: Yadi main raat me wahin ruk jaungi to kya Seetha yahan akeli rahegi?
Kajal: Nahi maa sath me Seetha aunty bhi hamare sath chal rahi hai aur Seetha aunty bhi hamare sath raat me wahin ruk jayegi.
Divya: Thik hai chalo hum sabhi chalte hain yadi tum dono itna adhir ho rahe ho to jarur koi jaruri baat hogi.
Kuchh hi der me sabhi car se nikal gaye aur Arjun ke ghar kuchh hi minutes me pahuch gaye.
jab Divya ghar ke andar aayi to use aaj bahut sare anjan chehre nazar aaye.
Divya: Ye sab kaun hain Rashmika inhe main pahchan nahi pa rahi hoon aur pahle maine kabhi dekha bhi nahi hai.
Rashmika ne Pavitra ki aur apni finger ko point karte huye kaha maa ye aapki 30 years ki tapasya ka phal hai.
Divya: Kya matlab hai tumhara Rashmika beti lekin jald hi Divya ko Rashmika ki baat ka matlab samajh aa gaya aur Divya, Pavitra ki aur badhti chali gayi.
Divya, Pavitra ke pass pahuch kar unke dono galon par chatak chatak chatak chatak char thappad jad diye
Aur khud hi apni ankhon se ansu bahane lagi.
Sabhi ke sabhi wahan hakke bakke rah gaye Divya ke is vyavhar se jis Divya ne aaj tak apni dono betiyon ko kabhi ek bhi thappad nahi mara aaj itni badi ek aurat ko char thappad jad di jo aurat hamesha shant rahti hai aur hamesha sanyam rakhne ke liye jani jati hai aaj aisa raudra roop kaise dharan kar liya Divya ne.
Divya: Aapne aisa kyon kiya didi aapko meri, maa aur papa ki ek baar bhi yaad nahi aayi jo aap hume chhod kar chale gaye kya hamara rishta itna kamjor tha jo aapne hum sabko bhula diya hamesha hamesha ke liye jo aap mujhse milne ke liye ek baar bhi nahi aayi.
Divya: Arey mujhe bhula diya hota to phir bhi chal jata aapne to maa aur papa ko bhi bhula diya kya yahi siksha(lesson) mila tha aapko maa aur papa se.
Divya ne apni baat ko aage continue rakhte huye kaha aapke karan maa aur papa is duniya se chali gayi boliye aapne aisa kyon kiya didi ki humse ek baar bhi milne nahi aayi aapko yahan hamare pass aana chahiye tha aur aap hume chhod kar hi chali gayi?
Divya: Kyon aap hume chhod kar chali gayi aapke sasural walon ne aap par ilzaam lagaya tha humne nahi aapne hume kis baat ki saja de di jo aap hume chhod kar chali gayi aap janti hain main kitni akeli ho gayi thi yadi mujhe Seetha nahi milti to main apne dono betiyon ko kaise achhe se pal posh kar bada kar pati akele aapne ek baar bhi hamare bare me nahi socha aur ab to mujhe ye lagne laga hai ki tum yahan khud se nahi aayi ho?
Pavitra ne rote huye hi kaha.
Pavitra: Mujhe aur maro chhoti main isi ke layak hoon meri ek galti ke karan maa aur papa hume chhod kar is duniya se chale gaye aur hamara pura parivar bikhar gaya main aap sab se ek baar milne aayi thi lekin mujhe pata chala ki mere karan maa aur papa ki heart attack ke karan death ho gayi isliye main chah kar bhi tumhare samne na aa saki main tumhare pass aakar kya kahti ki jis maa aur baap ne hume itni peeda sah kar pala usi beti ke karan un dono ki death ho gayi kaise main tumse apni nazar mila pati chhoti isliye main kabhi bhi tumhare samne nahi aayi lekin aaj paristhiti mujhe yahan tumhare pass le aayi nahi to main tumhare pass sach me kabhi bhi nahi aane wali thi jis sach se main pichhle 30 years se bhag rahi thi wahi aaj mere samne hai aur tum mere samne khadi ho Divya meri bahan.
Divya: Aap aisa kyon sochti ho didi ki main aapko maa aur papa ki death ka gunehgar samajh lungi aap us time apni halat ke aage majbur thi aur aapne galat kadam utha liya aur aap hume chhod kar chali gayi.
Divya: Main aapki manodasha ko samajh sakti hoon ki us time aapke mann me kya chal raha hoga lekin aapne hum par thoda sa bhi bharosa nahi rakha aur aap mujhse dur chali gayi kya aapko apni chhoti bahan par thoda sa bhi bharosa nahi raha ki main aapko gunehgar maan leti jo hua sab halat ke karan ho gaya didi isme aapka koi kasur nahi hai aur main aapse gussa isliye hoon kyonki aapne mujh par thoda sa bhi bharosa nahi kiya aur mujhe chhod kar itne varsho tak mujhse dur rahi kya aapko ek baar bhi meri yaad nahi aayi?
Pavitra: Aisa na kaho chhoti mujhse bahut badi galti ho gayi aur main tumhe kaise bhul sakti hoon bhale hi main tumse kabhi nahi mili chhoti lekin main har pal tumare liye tadapti rahi in beete varshon me jitna tumne mera intezar kiya hai jitni peeda tumko huyi hai mujhe bhi utni hi peeda huyi hai meri bahan.
Dono bahne aaj 30 years ke baad mil rahi thi aur ek dusre ko gale lagaye hi rote rote ye sabhi baten kiye ja rahi thi.
Jab dono kuchh der baad alag huye to Arjun ne Pavitra nani se kaha.
Arjun: Nani maa aapke sath kya kya hua tha aapki shadi wali raat ko?
Arjun: Aap hum sab ko sab kuchh starting se lekar abhi tak ki puri story bataiye hum sabhi aapki story janne ke liye bahut hi bechain hain.
Pavitra: Thik hai Arjun main tum sabko apni puri kahani batane ja rahi hoon.
[story of Pavitra]
[30 years ago]
Pavitra: Jis din main shadi ke baad vida hokar apne sasural gayi thi raat me main apni palang par baithi khushi aur romanch ke sath apni pati ka intezar kar rahi thi main bahut hi excited thi apni first night ke liye sath hi sath thoda nervous bhi feel kar rahi ki sab kuchh achha rahega ya nahi.
Pavitra: Jab mere husband kamre ke andar aaye to meri dil ki dhadkan tej ho gayi main apni Dil ko kabu me rakhte huye unki aur badh gayi aur maine unhe milk pine ke liye diye jo meri jethani ne mujhe diya tha.
Pavitra: Lekin dudh pine ke kuchh hi moments ke baad unki instant death ho gayi mujhe samajh nahi aaya main kya karu meri puri body kamne laga aisa lag raha tha jaise meri jaan ja rahi ho mera sharir sunya awastha me ja raha tha.
Pavitra: Mujhe kuchh bhi samajh nahi aa raha tha main kya karu kise batau main kamre ke andar hi bina kisi ko bole dhire dhire roti rahi time bit raha tha aur har gujarte lamhe ke sath mera sharir aur kanp raha tha meri sochne samajhne ki shakti khoti chali gayi.
Pavitra: Lagbhag 40 minutes hi huye the ki koi jor jor se mera door pitne laga kaphi der ke baad mujhe jab darwaza pitne ki sound aayi to main kisi tarah ladkhadte huye kadmo se jakar maine darwaza khola maine bahar dekha to meri jethani khadi thi.
Jethani: Kya hua tumhe tum ro kyon rahi ho aur darwaza kyon nahi khol rahi thi main itni der se tumhe aawaz laga rahi thi?
Pavitra: Maine apni jethani ko koi bhi jawab nahi diya to meri jethani khud hi kamre ke andar aa gayi aur mere husband ko bed ke niche gira hua payi to unke pass jakar unhe uthane ka prayas kiya par unhe pata chal gaya ki unki death ho chuki hai isliye meri jethani jor jor se rone lagi unka rona sunkar bahut sare log aakar jama hone lage aur sabhi ko malum ho gaya ki mere husband ki death ho chuki hai.
Pavitra: Sabhi ne mujhse aur meri jethani se puchha ye sab kaise hua to maine koi jawab nahi diya par meri jethani ne kaha ki mere husband ko raat me sote samay pani apne pass rakhne ki aadat thi isliye main unhe pani dene ke liye aayi thi par yahan aane par pata chala ki unki death ho gayi hai.
Pavitra: Log kahne lage aisa kaise ho sakta hai ek healthy aur young person ki aise achanak death kaise ho sakti hai jarur tum dono ne kuchh kiya hoga jo aise achanak inki death ho gayi.
Jethani: Mujhe kuchh bhi nahi pata hai ye sab kaise hua kamre ke andar sirf Pavitra thi ye to yahi bata sakti hai ki yahan kya hua hai aur kaise hua ye sab aap sab meri devrani se puchhiye mujhe kuchh bhi nahi pata hai is bare me ye to wahi bata sakta hai ki kaise hua ye sab jo kamre ke andar tha.
Aur meri jethani ki baat par bahut sare log bhi bolne lage ha ha dulhan se hi puchho ki kya hua hai yahan par aur kaise ho gaya ye sab achanak se ek achhe khase young vyakti ki maut kaise aise ho gaya.
Pavitra: Logo ne mujhse puchha kya hua yahan par main kuchh bol hi nahi payi bolti bhi to kya kahti mujhe kuchh pata hi nahi chala ki hua kya tha aur us time na hi mujhme kuchh sochne aur samajhne ki shakti hi bachi thi mere dimag me ki main logo ki baton ka koi jawab de pati jiske liye main us ghar me gayi thi wahi mujhe akela chhod kar chale gaye the mere liye to ab koi tha hi nahi us ghar par jo mujhe support karta.
Pavitra: Time gujarta ja raha tha aur logo ki bheed aur jayada badhne lagi aur kuchh log mujhe dayan to kuchh mujhe manhus kahne lage ki maine hi apni pati ko kha liya aur unki jaan chali gayi jo bhi hua sab maine hi kiya hai.
Pavitra: Har gujarte samay ke sath log mujhe bhala bura kah rahe the mujhe koi dayan to koi chudail to koi manhus kah raha tha main waise hi pareshan thi mujhe kuchh samajh nahi aa raha tha aur logo ke jhuthe aarop meri kan(ear) me jahar ghol rahe the aur mujhe aisa lagne laga tha jaise abhi dharti phat jaye aur main umse sama jaun aur mera bhi ant ho jaye lekin ye hona kahan possible tha aisa ek hi baar hua tha hamare history me jo phir kabhi nahi hone wala hai ki kisi ke dharti phat jaye.
Pavitra: Par had to tab ho gayi jab mere husband ke relative wale bhi mujhe hi doshi manne lage aur last me meri jethani ne bhi unka sath diya aur mere husband ki death ka ilzam mujh par laga diya aur kaha ki abhi ke abhi mere ghar se nikal jao humlog tumhari shakal bhi nahi dekhna chahte hain humlog tumhe jinda chhod rahe hain aur police ke hawale nahi kar rahe hain yahi bahut hai tumhare liye nikal jao mere ghar se chudail kahin ki jo mere ghar me aate hi mere jaan se payare devar ko kha gayi dayan kahin ki jara sa bhi khushi nahi dekha gaya tumse hamare ghar ki behaiya aurat.
[Kya aapko pata hai hamara Indian constitution kisi bhi aurat ko Dayan kahne par aapko saja de sakta hai aap kisi bhi aurat ko dayan nahi kah sakte hain aur kisi ki maut ka jimmedar is tarah se kisi ko Dayan bol kar un par dosh nahi daal sakte hain par sach to yahi hai ki abhi bhi ye kuruti hamare samaj me maujud hai jispar hum sabhi ko dhayan dene ki jarurat hai aur aurto ko respect dene ki jarurat hai jitna wo hakdar hain mere vichar me bhi aisi koi chij exist nahi karti hai baki aap kya sochte hain is bare me main aap logo par hi chhod deta hoon jo main believe karta hoon wo maine bata diya aur ha kya aapko pata hai ki Odisha government ne kisi bhi aurat ko dhayan jaise shand ne kahne par law bana diya hai aur jo bhi iske khilaaf jayega wah saja ka hakdar hoga.]
Pavitra: Main ghar se nikal kar chali ja rahi thi kahan ja rahi thi mujhe kuchh bhi samajh nahi aa raha tha bas apne hi dhun me chali ja rahi thi mujhe ye tak yaad na raha ki mujhe apni family ke pass jana chahiye bas me chali hi ja rahi thi kahan ja rahi thi koi pata nahi kyon ja rahi thi ye bhi pata nahi aur last me meri eyes band hoti chali gayi aur mere ankhon ke samne andhera chhane laga mujhe aisa laga jaise meri jaan chali gayi aur meri bhi death ho gayi ho apne hi husband ki tarah.
Pavitra kuchh der shant rahi phir boli.
Pavitra: Jab mujhe hosh aaya to maine apne aapko ek hospital ke bed par paya.
Pavitra: Maine aawaz lagai kisi tarah se to ek lady mere pass aayi to maine unse puchha ki mujhe kya hua tha jo main yahan par hoon is awastha me?
Lady ne bataya tumhara car se accident hua tha tha aur jis car se accident hua unke malik bhi yahin hain tum pichhle five days se coma me thi Hume to laga tha tumhara bachna mushkil hai par tum jinda bach gayi ye kisi miracle(chamatkar) se kam nahi hai aur tumhare bachne ke credit un dono pati patni ko jata hai jinhone aapko yahan time par le aaya warna aapka bachna mushkil hi nahi asambhav (impossible) tha.
Lady ne kaha ruko main unhe bula deti hoon jinki wajah se tumhara accident hua magar ye bhi sach hai ki tum yadi jinda ho to uska karan wahin dono hain isliye tum un par bilkul bhi gussa mat hona ye main aapko personal advice de rahi hoon.
Kuchh der ke baad hi ek aurat aur ek purush mere pass aaye dono hi mere age ke lag rahe the.
Aurat: Ab kaisi hai tumhari tabiyat kya tum thik ho hum dono ke hi car se tumhara accident hua tha hum dono ko maaf kar do.
Pavitra: Ji aap dono ka koi dosh nahi hoga sari galti meri hi rahi hogi kyonki mujhe hi koi hosh nahi raha tha ki main kya kar rahi thi meri halat hi us wakt aisi thi ki mujhe kuchh bhi samajh nahi aa raha tha aur main shunya awastha me chali gayi thi isliye aap dono ka koi dosh nahi hai.
Pavitra ne aage apni baat ko continue rakhte huye kaha.
Pavitra: Ji aap dono ka shukriya jo aapne mujhe hospital laya nahi to aap dono mujhe chhod ke ja sakti thi raat itni jayada thi ki aap dono se koi bhi puchhne nahi jata aur aap dono ko koi saja nahi milti iske liye.
Aurat: Ji main janti hoon ki hume police nahi pakad sakti thi lekin hum dono apni aatma ko kya jawab dete ki ek aurat jinka humne accident kiya unhe marne ke liye chhod kar bhag gaye agar hum dono ne aisa kiya hota to hum pure jivan bhar kabhi khush nahi rah pate aur ye peeda hume andar hi andar maar deti ki hum us aurat ko bacha sakte the jise humne marne ke liye bich sadak par akele tadapta chhod diya.
Pavitra: Ji aap dono bahut achhe hain mujh par ek raham aur kijiye mujhe mere family tak pahucha dijiye iske liye main hamesha aap dono ka abhari rahungi.
Aurat: Ji hum aapko aapki family tak chhod aayenge lekin ek problem hai aapki ek leg tut gayi hai aur sath me abhi aap bahut serious ho aise awastha me aapke gharwale aapko dekh kar bahut pareshan ho jayenge isliye jab tak aap puri tarah se thik nahi ho jati hain aap hamare ghar me rahengi uske baad main khud hi aapko aapke ghar chhod dungi ye mera promise hai tumse.
Pavitra: Maine us lady ki baat ko maan liya aur jab main thik hokar 3 mahine ke baad ghar pahuchi to mujhe pata chala ki maa aur papa ki death mere hi ghar chhod kar chale jane ke karan ho gayi hai.
Pavitra ne apni baat ko rote huye aage kaha.
Pavitra: Mujhe us pal samajh nahi aaya main kya karu aur kya na karun jis maa aur papa ne hum dono bahno ke liye itni peeda aur dard saha mere hi karan is duniya ko chhod kar chali gayi aise me main tumhara samna kaise kar pati meri bahan isliye main tumse milne ke liye kabhi nahi aayi aur kabhi himmat hi nahi juta payi ki main ek baar aakar tumse apne galti ke liye maafi mang sakun.
Pavitra: Ek baar phir mera dimag kaam karna band kar diya tha aur mujhe samajh nahi aane laga tha main kya karun mujhe lag raha tha main bhi apni jaan de doon lekin phir mujhe us lady ne wo bhi nahi karne diya aur mujhe apne sath apne ghar me rakh li aur ye kaha ki yadi tum apni bahan se nahi milna chahti ho to koi baat nahi aaj se tum meri chhoti bahan ban kar mere ghar me raho maine tumhe nayi jindagi di hai to main tumhe sab kuchh dungi bas tum mere sath mere ghar me raho ab se ye tumhari jindagi meri hai maine tumhe naya jivan diya hai.
Pavitra: Lekin mujhe pata tha Divya ki tum mujhe dhundhne ke liye jameen aasman ek kar dogi isliye main ghar se bahar kabhi nahi nikalti thi main ghar ke andar hi 10 years tak band rahi jiske karan sayad tum mujhe khoj nahi payi ya sirf mujhe tumne mara hua maan kar khojna band kar diya hoga bas yahi thi meri kahani aur jis aurat aur aadmi ne mujhe sahara diya wo dono Nithya ke maa aur papa the aur yahi hai meri kahani.
Divya: Ye aapne kaise maan liya didi ki maine aapko mara hua samajh liya aur aapki kahani abhi adhuri hai didi baki ki story main aapko batati hoon jo aapko malum nahi hai aur aapka koi bhi dosh nahi hai aapki halat hi waisi thi ki ye sab aapke sath ho gaya aapke jagah par koi aur hota to use bhi samajh nahi aata ki use kya karna hai aur kya nahi karna hai.
Divya ne story ko aage badhate huye kaha.
Divya: Didi aapke husband ki death isliye huyi thi kyonki aapki jethani ne milk me potassium cyanide poison(jahar) mila diya tha bas thodi si property ke lalach me aur aap apni jethani ki shadyantra ko na samjh sake aur khud ko hi doshi maan baithi aur ghar ko chhod kar hum sabhi ko chhod kar chali gayi.
...........................................
Additional facts about Potassium cyanide(KCN).
[Kya aapko pata hai potassium cyanide ka 90 mg hamari instant jaan le leti hai.
Potassium cyanide: Chemical formula KCN.
Question: Kyon potassium cyanide ke karan vyakti ki death( maut) ho jati hai?
Answer: a) Waise vyakti jisne cyanide ko gas ke roop me yani ki apni sans ke dwara liya hai uski instant(turant) death ho jati hai.
b) Waise vyakti jisne ise consume(nigalna) kiya ho uski death kuchh hi minutes ke baad ho jati hai kyonki isko consume karne ke baad oxygen hamare cells tak nahi pahuch pata hai kyonki cyanide ek deewar(wall) ke jaisa kaam karta hai oxygen aur cells ke bich aur natija hota hai vyakti ki maut.
c) Cyanide ka taste bahut hi kadwa hota hai yani ki iska nature basic hota hai. Basic wah substance hota hai jiska PH Value 7 se jayada hota hai jaise ki banking soda ek basic substance red litmus papar ko blue me convert kar deta hai basic nature kisi bhi substance ka utna hi jayada hota hai jitna us substance ka PH VALUE 14 ke karib hota hai.
d) Cyanide ke bahut sare types hote hain halanki sabhi cyanide dangerous nahi hote hain aur kuchh cyanide to drugs aur medicine ke roop me use kiya jata hai jo hamare liye useful hote hain.
e) Cyanide yah matter ke teeno forms solid, liquid aur gas teeno hi states me paya jata hai.]
...........................................
Pavitra ye sunte hi sann rah gayi ki uske sath itna bada game khela gaya aur us bholi bhali bechari ko kuchh bhanak tak nahi laga iske bare me.
Divya ne apni baat ko aage kaha.
Divya: Aur pata hai aapki jethani ko uske karmo ki saja mil gayi hai aur sari story Pavitra ko aur baki sabhi ko bata diya ki kaise unki sari property loss me chali gayi aur unhe unki karmo ki saja mil gayi jo unhone thodi si lalach ke karan apni hi parivaar ke ek member ki jaan le li.
Divya: Didi ye thi aapki baki ki story jisse aap anjaan thi aur jise aapke liye janna behad hi jaruri tha ki aapke sath exactly hua kya tha us raat ko.
(update 57 me hum padh chuke hain kya hua unke jethani aur unke pariwar ke sath).
[STORY ENDS]
Jab story samapt huyi to sabhi Pavitra ki story sunkar kaphi bhavuk ho gayi thi aur sabse jayada to emotional Nithya ho gayi kyonki jis Pavitra ko Nithya janti thi wah apne sine me itna bada raaz(secret) aur dard chupaye huyi hai Nithya ko kabhi malum hi nahi hua.
Aur ek baar phir se Pavitra apni ateet ki kisse ko yaad kar phir se ek baar ro padi wahin Divya ne aage badh kar apni badi bahan ko gale se laga liya.
Divya: Didi sssssss shant ho jaiye hum sabhi hain na aapke sath magar aapne mere pass aane me bahut der kar di aapne didi dekho aaj pura parivar aapke sath khada hai aapke liye khada hai hum sabhi aapke sath hain okay.
Pavitra ne sabki aur apna najar dauda kar dekha to sabhi ki ankhon me apne liye sirf pyar mahsus kiya jo Pavitra ko ye vishwas dila raha tha ki sabhi uske sath rahenge aur uska hamesha sath denge.
Kajal: Mausi maa sahi kah rahi hain hum sab aapke sath hain aur hum sab aapke liye hain.
Rashmika ne bhi apni baat ko dohrate huye kaha mausi aap khud ko kabhi akela mat samjhana pahle sirf aapke pass Ramya mam thi jo aapko support karti thi lekin ab dekho aapke sath kitna koi hai hum sabhi aapke sath hain.
Bich me Dhruv bol pada aap kyon ro rahi ho nani aap mere pass rahna okay aur daily night me sote samay aap mujhe achhi achhi kahaniyan sunnana.
Dhruv: Aap mujhe kahaniyan sunaoge na nani.
Pavitra ne Divya se alag hote huye kaha jarur Dhruv ab hum pakke wale dost hain main tumhe story jarur sunaungi jab bhi main tumhare sath raat me rahungi.
Dhruv jor se chilla pada yahooooo mujhe ek aur dost mil gaya jo mujhe story sunayega.
Dhruv ne sabhi ke face par apni masum harkat se smile la diya aur mahol bahut had tak khushi ka ek baar phir se ho gaya.
Jab mahol kuchh shant hua to Arjun ne kaha.
Arjun: Ha nani unhe unki kiye ki saja mil chuki hai isliye kahte hain jaisi karni waisi bharni(As you sow so shall you reap).
Arjun: Isliye hume sabke sath achha vyavhar karni chahiye aur achhe karm karni chahiye kyonki Hume apne bure karmo ki saja ek din milti hi milti hai.
Kisi ne ghar ke andar enter karte huye kaha tumne bilkul sahi kaha Arjun jo hum aaj karte hain wahi hume aage jakar milti hai isliye hume aaj achhe kaam karni chahiye taki kal hume achha phal mile.
Sabhi ne aawaz ki aur dekha to ye dono koi aur nahi balki Mahendra aur Vishal hain jo apne kaam se wapas ghar me enter kar rahe the.
Mahendra: Aaj ghar me itni bheed kaise aur kuchh naye chehre nazar aa rahe hain.
Same aisa hi Vishal ko mahsus ho raha tha kyonki wah bhi kuchh naye chehre se anjaan tha.
Dono ko sabke bare me bataya gaya jahan Kriti ne dono Mahendra aur Vishal se ashirwad liya dono ne hi Kriti ko hamesha apne jivan me khush rahne ka ashirwad diya.
...........................................
[Maine apun ka kaam kar diya dosto ab aap logo ki bari likes aur comments deke jane ka aur sab kuchh apun par chhod dene ka.]
That's all for this update.
Total words count: 4.9 k.
...........................................