- 3,839
- 7,763
- 144
Last edited:
Thanks Prem bhai mujhe itna support karne ke liye....aap story ko pura enjoy karte ho.Interesting story.
Prem bhai is update ko likhte samay main ek baar bhi nahi roya magar update 57 ko likhte samay main bahut baar roya.Ufff kya kya twist hain story me. Rula hi diya.
Thank you brother mujhe aur story ko itna support karne ke liye next update me surprise milne wala hai.Fantastic update Bhai Zabardast
Thanks brother keep supporting.Awesome update
Writing..... surprise milega next update me.Pratiksha agle rasprad update ki
Respect respect brother...
So emotional updateUpdate 69: Past is very painful.
[story of Divya and her sister: part 2.]
Recap: In the previous update humne jana tha ki kaise Arjun aur baki sab Kajal, Rashmika aur Nadhiya ko Pavitra ka sach pata chal chuka tha ki wah Divya ki bahan hai aur sabhi Saturday ko Arjun ke hometown Pearl City ke liye nikal gaye the sath me Nithya aur Kriti bhi thi aur car Arjun ke ghar ke bahar tak pahuch gayi thi.
Now next>>>>
Jab Arjun aur sabhi log ghar pahuche to evening ke 7 pm ho raha tha ghar par sirf Ravina thi abhi Mahendra aur Vishal dono ghar wapas nahi aaye the kaam par se.
Arjun aaj apni maa Ravina se lagbhag 45 days baad mil raha tha.
Ravina ne Arjun ko apne sine se laga liya phir bari bari sabhi Kajal, Rashmika, Nadhiya aur Dhruv se mili.
Abhi bhi Ravina ke liye teen koi anjan the jo Ravina samajhne ki koshish kar rahi thi ki dono girls me se kaun meri bahu Kriti hai kyonki Ravina ne abhi tak apni bahu Kriti se na hi baat ki thi aur na hi photo dekhi thi isliye uske face pe clearly uljhan dikhai de rahi thi.
Ravina ki uljhan ko dur karte huye Rashmika ne Kriti ki aur apni finger ko point karte huye kaha.
Rashmika: Didi ye hai Kriti aapki hone wali bahu Arjun ki premika.
Kriti ka chehra sharam se red hone laga sabke samne apne liye bahu aur premika shabd sunkar aur sath hi sath khushi bhi mahsus hone lagi ki sabhi ne mujhe Arjun ke liye accept kar liya hai.
Kriti ne Ravina ke panv chhukar ashirwad liya Ravina ne Kriti ko sada saubhagya vati hone ka ashirwad diya aur phir Kriti ko apne gale se laga liya.
Jab Ravina kuchh der ke baad Kriti se alag huyi to.
Ravina ke liye abhi bhi two new faces the jo wo samajhne ki koshish kar rahi thi par Ravina ko ek baar phir se kuchh bhi samajh nahi aaya ki ye 2 naye chehre kaun hain kya yahi surprise ki baat kar raha tha Arjun mujhse phone par.
Ravina ke uljhan ko is baar dur karte huye Kajal ne Pavitra ki aur apni finger ko point karte huye kaha.
Kajal: Didi ye hai meri mausi Pavitra meri maa Divya ki badi bahan jinka hum 30 years se intezar kar rahe the aur ab hamara intezaar samapt hua aur sath hi sath hamara pariwar pura ho gaya jo ahura tha Pavitra mausi ke bina.
Ravina ka chehra ek pal ke liye badla jab Kajal ne kaha hamara pariwar pura ho gaya lekin Ravina ne jaldi hi apni face ko samanya kar liya jise koi bhi note nahi kar paya.
Ravina ko kuchh pal ke liye to apni kano par yakin nahi hua ki abhi abhi usne jo suna kya wah sach hai isliye phir se Ravina ne ek baar Kajal ki taraf dekha to Kajal ne ha me apni gardan hila di.
Ravina ne Pavitra ke pass jakar sabse pahle unka ashirwad liya aur phir Pavitra ko apne gale se laga liya.
Jab dono alag huye to Pavitra ne kaha.
Pavitra: Main janti hoon aap sabhi ke mann me bahut sare questions hain lekin main sabhi questions ke answers ek sath dungi jab sab ek sath honge aur Nithya ki aur ishara karte huye Pavitra ne Ravina se kaha ye Nithya hai bilkul meri beti jaisi hai isi ke ghar me main pichhle 30 years se rah rahi hoon iske gharwale sabhi mere apne hain jisne mujhe kabhi bhi gair na samajh kar apne family ka ek atut hissa mana hai.
...........................................
[After sometime]
Arjun: Ha to ab bataiye maa kaisa laga aapko hamara surprise maine aapse kaha tha na aapko bahut pasand aayega?
Ravina: Bahut achha laga Arjun isse achha mere liye aur kya ho sakta hai ki mujhe aaj ek aur maa mil gayi Pavitra mausi ke roop me bhagwan ne mujhe meri janam dene wali maa se dur kar diya lekin badle me mujhe teen teen maa de diya(Divya, Nadhiya aur Pavitra) aur ha Arjun jaise tumhari teen mothers hain waise hi meri bhi ab teen maa ho gayi hai main kitni lucky hoon jo mujhe teen teen maa ka pyar mil gaya is janam me.
Arjun: Meri maa kaise nahi lucky hogi.
Arjun: Maa hume jald se jald Divya nani ke pass jana chahiye kyonki mujhe Pavitra nani ke bare me sab kuchh janne ki bahut bechaini ho rahi hai.
Rashmika: Mujhe bhi ho rahi hai Arjun aur mujhe lagta hai ab sabhi ko Pavitra mausi ke bare me janne ki bechaini ho rahi hogi.
Nithya: Aapne bilkul sahi kaha mausi mujhe bhi ab apne Pavitra aunty ke bare me jald se jald sab kuchh janne ki wish hone lagi hai.
Ravina: Tum ek kaam karo Arjun tum aur Kajal jakar Divya nani ko yahan le aao aaj meri teeno mata mere sath hongi.
Kajal: Jaisa aap kahe didi hum dono ja rahe hain maa ko yahan lane ke liye.
Arjun aur Kajal dono car se Divya ke ghar ke liye nikal gaye kyonki Divya aur Ravina ka ghar same city me tha aur jayada dur bhi nahi tha isliye 10 minutes ke driving ke baad dono Divya ke ghar pahuch gaye.
Note: Kyonki Mahendra aur Vishal ghar par nahi rahte hain din ke samay jayada tar isliye Ravina, Divya ke ghar chali jati hai aur jayada tar time wahi bitati hai Divya aur Seetha ke sath.
Jaise hi Divya ki nazar Arjun aur Kajal par padi Divya upar stairs se daudti huyi utari aur dono Kajal aur Arjun ko ek sath apne gale se laga liya.
Divya: Aise tum dono kaise aa gaye mujhe koi khabar bhi nahi di aane ki kisi ne aur mujhe bina suchna diye huye tum dono yahan.
Arjun: Aap sab kuchh samajh jayengi nani maa pahle aap abhi ke abhi mere sath mere ghar chaliye.
Divya: Arey kya hua kuchh batao to sahi aise adhir kyon ho rahe ho itna tumlog?
Kajal: Kuchh mat kahiye maa aap bas hamare sath chaliye aur ha aaj raat aap wahin ruk jaiyega ye Ravina didi ka order hai.
Divya: Yadi main raat me wahin ruk jaungi to kya Seetha yahan akeli rahegi?
Kajal: Nahi maa sath me Seetha aunty bhi hamare sath chal rahi hai aur Seetha aunty bhi hamare sath raat me wahin ruk jayegi.
Divya: Thik hai chalo hum sabhi chalte hain yadi tum dono itna adhir ho rahe ho to jarur koi jaruri baat hogi.
Kuchh hi der me sabhi car se nikal gaye aur Arjun ke ghar kuchh hi minutes me pahuch gaye.
jab Divya ghar ke andar aayi to use aaj bahut sare anjan chehre nazar aaye.
Divya: Ye sab kaun hain Rashmika inhe main pahchan nahi pa rahi hoon aur pahle maine kabhi dekha bhi nahi hai.
Rashmika ne Pavitra ki aur apni finger ko point karte huye kaha maa ye aapki 30 years ki tapasya ka phal hai.
Divya: Kya matlab hai tumhara Rashmika beti lekin jald hi Divya ko Rashmika ki baat ka matlab samajh aa gaya aur Divya, Pavitra ki aur badhti chali gayi.
Divya, Pavitra ke pass pahuch kar unke dono galon par chatak chatak chatak chatak char thappad jad diye
Aur khud hi apni ankhon se ansu bahane lagi.
Sabhi ke sabhi wahan hakke bakke rah gaye Divya ke is vyavhar se jis Divya ne aaj tak apni dono betiyon ko kabhi ek bhi thappad nahi mara aaj itni badi ek aurat ko char thappad jad di jo aurat hamesha shant rahti hai aur hamesha sanyam rakhne ke liye jani jati hai aaj aisa raudra roop kaise dharan kar liya Divya ne.
Divya: Aapne aisa kyon kiya didi aapko meri, maa aur papa ki ek baar bhi yaad nahi aayi jo aap hume chhod kar chale gaye kya hamara rishta itna kamjor tha jo aapne hum sabko bhula diya hamesha hamesha ke liye jo aap mujhse milne ke liye ek baar bhi nahi aayi.
Divya: Arey mujhe bhula diya hota to phir bhi chal jata aapne to maa aur papa ko bhi bhula diya kya yahi siksha(lesson) mila tha aapko maa aur papa se.
Divya ne apni baat ko aage continue rakhte huye kaha aapke karan maa aur papa is duniya se chali gayi boliye aapne aisa kyon kiya didi ki humse ek baar bhi milne nahi aayi aapko yahan hamare pass aana chahiye tha aur aap hume chhod kar hi chali gayi?
Divya: Kyon aap hume chhod kar chali gayi aapke sasural walon ne aap par ilzaam lagaya tha humne nahi aapne hume kis baat ki saja de di jo aap hume chhod kar chali gayi aap janti hain main kitni akeli ho gayi thi yadi mujhe Seetha nahi milti to main apne dono betiyon ko kaise achhe se pal posh kar bada kar pati akele aapne ek baar bhi hamare bare me nahi socha aur ab to mujhe ye lagne laga hai ki tum yahan khud se nahi aayi ho?
Pavitra ne rote huye hi kaha.
Pavitra: Mujhe aur maro chhoti main isi ke layak hoon meri ek galti ke karan maa aur papa hume chhod kar is duniya se chale gaye aur hamara pura parivar bikhar gaya main aap sab se ek baar milne aayi thi lekin mujhe pata chala ki mere karan maa aur papa ki heart attack ke karan death ho gayi isliye main chah kar bhi tumhare samne na aa saki main tumhare pass aakar kya kahti ki jis maa aur baap ne hume itni peeda sah kar pala usi beti ke karan un dono ki death ho gayi kaise main tumse apni nazar mila pati chhoti isliye main kabhi bhi tumhare samne nahi aayi lekin aaj paristhiti mujhe yahan tumhare pass le aayi nahi to main tumhare pass sach me kabhi bhi nahi aane wali thi jis sach se main pichhle 30 years se bhag rahi thi wahi aaj mere samne hai aur tum mere samne khadi ho Divya meri bahan.
Divya: Aap aisa kyon sochti ho didi ki main aapko maa aur papa ki death ka gunehgar samajh lungi aap us time apni halat ke aage majbur thi aur aapne galat kadam utha liya aur aap hume chhod kar chali gayi.
Divya: Main aapki manodasha ko samajh sakti hoon ki us time aapke mann me kya chal raha hoga lekin aapne hum par thoda sa bhi bharosa nahi rakha aur aap mujhse dur chali gayi kya aapko apni chhoti bahan par thoda sa bhi bharosa nahi raha ki main aapko gunehgar maan leti jo hua sab halat ke karan ho gaya didi isme aapka koi kasur nahi hai aur main aapse gussa isliye hoon kyonki aapne mujh par thoda sa bhi bharosa nahi kiya aur mujhe chhod kar itne varsho tak mujhse dur rahi kya aapko ek baar bhi meri yaad nahi aayi?
Pavitra: Aisa na kaho chhoti mujhse bahut badi galti ho gayi aur main tumhe kaise bhul sakti hoon bhale hi main tumse kabhi nahi mili chhoti lekin main har pal tumare liye tadapti rahi in beete varshon me jitna tumne mera intezar kiya hai jitni peeda tumko huyi hai mujhe bhi utni hi peeda huyi hai meri bahan.
Dono bahne aaj 30 years ke baad mil rahi thi aur ek dusre ko gale lagaye hi rote rote ye sabhi baten kiye ja rahi thi.
Jab dono kuchh der baad alag huye to Arjun ne Pavitra nani se kaha.
Arjun: Nani maa aapke sath kya kya hua tha aapki shadi wali raat ko?
Arjun: Aap hum sab ko sab kuchh starting se lekar abhi tak ki puri story bataiye hum sabhi aapki story janne ke liye bahut hi bechain hain.
Pavitra: Thik hai Arjun main tum sabko apni puri kahani batane ja rahi hoon.
[story of Pavitra]
[30 years ago]
Pavitra: Jis din main shadi ke baad vida hokar apne sasural gayi thi raat me main apni palang par baithi khushi aur romanch ke sath apni pati ka intezar kar rahi thi main bahut hi excited thi apni first night ke liye sath hi sath thoda nervous bhi feel kar rahi ki sab kuchh achha rahega ya nahi.
Pavitra: Jab mere husband kamre ke andar aaye to meri dil ki dhadkan tej ho gayi main apni Dil ko kabu me rakhte huye unki aur badh gayi aur maine unhe milk pine ke liye diye jo meri jethani ne mujhe diya tha.
Pavitra: Lekin dudh pine ke kuchh hi moments ke baad unki instant death ho gayi mujhe samajh nahi aaya main kya karu meri puri body kamne laga aisa lag raha tha jaise meri jaan ja rahi ho mera sharir sunya awastha me ja raha tha.
Pavitra: Mujhe kuchh bhi samajh nahi aa raha tha main kya karu kise batau main kamre ke andar hi bina kisi ko bole dhire dhire roti rahi time bit raha tha aur har gujarte lamhe ke sath mera sharir aur kanp raha tha meri sochne samajhne ki shakti khoti chali gayi.
Pavitra: Lagbhag 40 minutes hi huye the ki koi jor jor se mera door pitne laga kaphi der ke baad mujhe jab darwaza pitne ki sound aayi to main kisi tarah ladkhadte huye kadmo se jakar maine darwaza khola maine bahar dekha to meri jethani khadi thi.
Jethani: Kya hua tumhe tum ro kyon rahi ho aur darwaza kyon nahi khol rahi thi main itni der se tumhe aawaz laga rahi thi?
Pavitra: Maine apni jethani ko koi bhi jawab nahi diya to meri jethani khud hi kamre ke andar aa gayi aur mere husband ko bed ke niche gira hua payi to unke pass jakar unhe uthane ka prayas kiya par unhe pata chal gaya ki unki death ho chuki hai isliye meri jethani jor jor se rone lagi unka rona sunkar bahut sare log aakar jama hone lage aur sabhi ko malum ho gaya ki mere husband ki death ho chuki hai.
Pavitra: Sabhi ne mujhse aur meri jethani se puchha ye sab kaise hua to maine koi jawab nahi diya par meri jethani ne kaha ki mere husband ko raat me sote samay pani apne pass rakhne ki aadat thi isliye main unhe pani dene ke liye aayi thi par yahan aane par pata chala ki unki death ho gayi hai.
Pavitra: Log kahne lage aisa kaise ho sakta hai ek healthy aur young person ki aise achanak death kaise ho sakti hai jarur tum dono ne kuchh kiya hoga jo aise achanak inki death ho gayi.
Jethani: Mujhe kuchh bhi nahi pata hai ye sab kaise hua kamre ke andar sirf Pavitra thi ye to yahi bata sakti hai ki yahan kya hua hai aur kaise hua ye sab aap sab meri devrani se puchhiye mujhe kuchh bhi nahi pata hai is bare me ye to wahi bata sakta hai ki kaise hua ye sab jo kamre ke andar tha.
Aur meri jethani ki baat par bahut sare log bhi bolne lage ha ha dulhan se hi puchho ki kya hua hai yahan par aur kaise ho gaya ye sab achanak se ek achhe khase young vyakti ki maut kaise aise ho gaya.
Pavitra: Logo ne mujhse puchha kya hua yahan par main kuchh bol hi nahi payi bolti bhi to kya kahti mujhe kuchh pata hi nahi chala ki hua kya tha aur us time na hi mujhme kuchh sochne aur samajhne ki shakti hi bachi thi mere dimag me ki main logo ki baton ka koi jawab de pati jiske liye main us ghar me gayi thi wahi mujhe akela chhod kar chale gaye the mere liye to ab koi tha hi nahi us ghar par jo mujhe support karta.
Pavitra: Time gujarta ja raha tha aur logo ki bheed aur jayada badhne lagi aur kuchh log mujhe dayan to kuchh mujhe manhus kahne lage ki maine hi apni pati ko kha liya aur unki jaan chali gayi jo bhi hua sab maine hi kiya hai.
Pavitra: Har gujarte samay ke sath log mujhe bhala bura kah rahe the mujhe koi dayan to koi chudail to koi manhus kah raha tha main waise hi pareshan thi mujhe kuchh samajh nahi aa raha tha aur logo ke jhuthe aarop meri kan(ear) me jahar ghol rahe the aur mujhe aisa lagne laga tha jaise abhi dharti phat jaye aur main umse sama jaun aur mera bhi ant ho jaye lekin ye hona kahan possible tha aisa ek hi baar hua tha hamare history me jo phir kabhi nahi hone wala hai ki kisi ke dharti phat jaye.
Pavitra: Par had to tab ho gayi jab mere husband ke relative wale bhi mujhe hi doshi manne lage aur last me meri jethani ne bhi unka sath diya aur mere husband ki death ka ilzam mujh par laga diya aur kaha ki abhi ke abhi mere ghar se nikal jao humlog tumhari shakal bhi nahi dekhna chahte hain humlog tumhe jinda chhod rahe hain aur police ke hawale nahi kar rahe hain yahi bahut hai tumhare liye nikal jao mere ghar se chudail kahin ki jo mere ghar me aate hi mere jaan se payare devar ko kha gayi dayan kahin ki jara sa bhi khushi nahi dekha gaya tumse hamare ghar ki behaiya aurat.
[Kya aapko pata hai hamara Indian constitution kisi bhi aurat ko Dayan kahne par aapko saja de sakta hai aap kisi bhi aurat ko dayan nahi kah sakte hain aur kisi ki maut ka jimmedar is tarah se kisi ko Dayan bol kar un par dosh nahi daal sakte hain par sach to yahi hai ki abhi bhi ye kuruti hamare samaj me maujud hai jispar hum sabhi ko dhayan dene ki jarurat hai aur aurto ko respect dene ki jarurat hai jitna wo hakdar hain mere vichar me bhi aisi koi chij exist nahi karti hai baki aap kya sochte hain is bare me main aap logo par hi chhod deta hoon jo main believe karta hoon wo maine bata diya aur ha kya aapko pata hai ki Odisha government ne kisi bhi aurat ko dhayan jaise shand ne kahne par law bana diya hai aur jo bhi iske khilaaf jayega wah saja ka hakdar hoga.]
Pavitra: Main ghar se nikal kar chali ja rahi thi kahan ja rahi thi mujhe kuchh bhi samajh nahi aa raha tha bas apne hi dhun me chali ja rahi thi mujhe ye tak yaad na raha ki mujhe apni family ke pass jana chahiye bas me chali hi ja rahi thi kahan ja rahi thi koi pata nahi kyon ja rahi thi ye bhi pata nahi aur last me meri eyes band hoti chali gayi aur mere ankhon ke samne andhera chhane laga mujhe aisa laga jaise meri jaan chali gayi aur meri bhi death ho gayi ho apne hi husband ki tarah.
Pavitra kuchh der shant rahi phir boli.
Pavitra: Jab mujhe hosh aaya to maine apne aapko ek hospital ke bed par paya.
Pavitra: Maine aawaz lagai kisi tarah se to ek lady mere pass aayi to maine unse puchha ki mujhe kya hua tha jo main yahan par hoon is awastha me?
Lady ne bataya tumhara car se accident hua tha tha aur jis car se accident hua unke malik bhi yahin hain tum pichhle five days se coma me thi Hume to laga tha tumhara bachna mushkil hai par tum jinda bach gayi ye kisi miracle(chamatkar) se kam nahi hai aur tumhare bachne ke credit un dono pati patni ko jata hai jinhone aapko yahan time par le aaya warna aapka bachna mushkil hi nahi asambhav (impossible) tha.
Lady ne kaha ruko main unhe bula deti hoon jinki wajah se tumhara accident hua magar ye bhi sach hai ki tum yadi jinda ho to uska karan wahin dono hain isliye tum un par bilkul bhi gussa mat hona ye main aapko personal advice de rahi hoon.
Kuchh der ke baad hi ek aurat aur ek purush mere pass aaye dono hi mere age ke lag rahe the.
Aurat: Ab kaisi hai tumhari tabiyat kya tum thik ho hum dono ke hi car se tumhara accident hua tha hum dono ko maaf kar do.
Pavitra: Ji aap dono ka koi dosh nahi hoga sari galti meri hi rahi hogi kyonki mujhe hi koi hosh nahi raha tha ki main kya kar rahi thi meri halat hi us wakt aisi thi ki mujhe kuchh bhi samajh nahi aa raha tha aur main shunya awastha me chali gayi thi isliye aap dono ka koi dosh nahi hai.
Pavitra ne aage apni baat ko continue rakhte huye kaha.
Pavitra: Ji aap dono ka shukriya jo aapne mujhe hospital laya nahi to aap dono mujhe chhod ke ja sakti thi raat itni jayada thi ki aap dono se koi bhi puchhne nahi jata aur aap dono ko koi saja nahi milti iske liye.
Aurat: Ji main janti hoon ki hume police nahi pakad sakti thi lekin hum dono apni aatma ko kya jawab dete ki ek aurat jinka humne accident kiya unhe marne ke liye chhod kar bhag gaye agar hum dono ne aisa kiya hota to hum pure jivan bhar kabhi khush nahi rah pate aur ye peeda hume andar hi andar maar deti ki hum us aurat ko bacha sakte the jise humne marne ke liye bich sadak par akele tadapta chhod diya.
Pavitra: Ji aap dono bahut achhe hain mujh par ek raham aur kijiye mujhe mere family tak pahucha dijiye iske liye main hamesha aap dono ka abhari rahungi.
Aurat: Ji hum aapko aapki family tak chhod aayenge lekin ek problem hai aapki ek leg tut gayi hai aur sath me abhi aap bahut serious ho aise awastha me aapke gharwale aapko dekh kar bahut pareshan ho jayenge isliye jab tak aap puri tarah se thik nahi ho jati hain aap hamare ghar me rahengi uske baad main khud hi aapko aapke ghar chhod dungi ye mera promise hai tumse.
Pavitra: Maine us lady ki baat ko maan liya aur jab main thik hokar 3 mahine ke baad ghar pahuchi to mujhe pata chala ki maa aur papa ki death mere hi ghar chhod kar chale jane ke karan ho gayi hai.
Pavitra ne apni baat ko rote huye aage kaha.
Pavitra: Mujhe us pal samajh nahi aaya main kya karu aur kya na karun jis maa aur papa ne hum dono bahno ke liye itni peeda aur dard saha mere hi karan is duniya ko chhod kar chali gayi aise me main tumhara samna kaise kar pati meri bahan isliye main tumse milne ke liye kabhi nahi aayi aur kabhi himmat hi nahi juta payi ki main ek baar aakar tumse apne galti ke liye maafi mang sakun.
Pavitra: Ek baar phir mera dimag kaam karna band kar diya tha aur mujhe samajh nahi aane laga tha main kya karun mujhe lag raha tha main bhi apni jaan de doon lekin phir mujhe us lady ne wo bhi nahi karne diya aur mujhe apne sath apne ghar me rakh li aur ye kaha ki yadi tum apni bahan se nahi milna chahti ho to koi baat nahi aaj se tum meri chhoti bahan ban kar mere ghar me raho maine tumhe nayi jindagi di hai to main tumhe sab kuchh dungi bas tum mere sath mere ghar me raho ab se ye tumhari jindagi meri hai maine tumhe naya jivan diya hai.
Pavitra: Lekin mujhe pata tha Divya ki tum mujhe dhundhne ke liye jameen aasman ek kar dogi isliye main ghar se bahar kabhi nahi nikalti thi main ghar ke andar hi 10 years tak band rahi jiske karan sayad tum mujhe khoj nahi payi ya sirf mujhe tumne mara hua maan kar khojna band kar diya hoga bas yahi thi meri kahani aur jis aurat aur aadmi ne mujhe sahara diya wo dono Nithya ke maa aur papa the aur yahi hai meri kahani.
Divya: Ye aapne kaise maan liya didi ki maine aapko mara hua samajh liya aur aapki kahani abhi adhuri hai didi baki ki story main aapko batati hoon jo aapko malum nahi hai aur aapka koi bhi dosh nahi hai aapki halat hi waisi thi ki ye sab aapke sath ho gaya aapke jagah par koi aur hota to use bhi samajh nahi aata ki use kya karna hai aur kya nahi karna hai.
Divya ne story ko aage badhate huye kaha.
Divya: Didi aapke husband ki death isliye huyi thi kyonki aapki jethani ne milk me potassium cyanide poison(jahar) mila diya tha bas thodi si property ke lalach me aur aap apni jethani ki shadyantra ko na samjh sake aur khud ko hi doshi maan baithi aur ghar ko chhod kar hum sabhi ko chhod kar chali gayi.
...........................................
Additional facts about Potassium cyanide(KCN).
[Kya aapko pata hai potassium cyanide ka 90 mg hamari instant jaan le leti hai.
Potassium cyanide: Chemical formula KCN.
Question: Kyon potassium cyanide ke karan vyakti ki death( maut) ho jati hai?
Answer: a) Waise vyakti jisne cyanide ko gas ke roop me yani ki apni sans ke dwara liya hai uski instant(turant) death ho jati hai.
b) Waise vyakti jisne ise consume(nigalna) kiya ho uski death kuchh hi minutes ke baad ho jati hai kyonki isko consume karne ke baad oxygen hamare cells tak nahi pahuch pata hai kyonki cyanide ek deewar(wall) ke jaisa kaam karta hai oxygen aur cells ke bich aur natija hota hai vyakti ki maut.
c) Cyanide ka taste bahut hi kadwa hota hai yani ki iska nature basic hota hai. Basic wah substance hota hai jiska PH Value 7 se jayada hota hai jaise ki banking soda ek basic substance red litmus papar ko blue me convert kar deta hai basic nature kisi bhi substance ka utna hi jayada hota hai jitna us substance ka PH VALUE 14 ke karib hota hai.
d) Cyanide ke bahut sare types hote hain halanki sabhi cyanide dangerous nahi hote hain aur kuchh cyanide to drugs aur medicine ke roop me use kiya jata hai jo hamare liye useful hote hain.
e) Cyanide yah matter ke teeno forms solid, liquid aur gas teeno hi states me paya jata hai.]
...........................................
Pavitra ye sunte hi sann rah gayi ki uske sath itna bada game khela gaya aur us bholi bhali bechari ko kuchh bhanak tak nahi laga iske bare me.
Divya ne apni baat ko aage kaha.
Divya: Aur pata hai aapki jethani ko uske karmo ki saja mil gayi hai aur sari story Pavitra ko aur baki sabhi ko bata diya ki kaise unki sari property loss me chali gayi aur unhe unki karmo ki saja mil gayi jo unhone thodi si lalach ke karan apni hi parivaar ke ek member ki jaan le li.
Divya: Didi ye thi aapki baki ki story jisse aap anjaan thi aur jise aapke liye janna behad hi jaruri tha ki aapke sath exactly hua kya tha us raat ko.
(update 57 me hum padh chuke hain kya hua unke jethani aur unke pariwar ke sath).
[STORY ENDS]
Jab story samapt huyi to sabhi Pavitra ki story sunkar kaphi bhavuk ho gayi thi aur sabse jayada to emotional Nithya ho gayi kyonki jis Pavitra ko Nithya janti thi wah apne sine me itna bada raaz(secret) aur dard chupaye huyi hai Nithya ko kabhi malum hi nahi hua.
Aur ek baar phir se Pavitra apni ateet ki kisse ko yaad kar phir se ek baar ro padi wahin Divya ne aage badh kar apni badi bahan ko gale se laga liya.
Divya: Didi sssssss shant ho jaiye hum sabhi hain na aapke sath magar aapne mere pass aane me bahut der kar di aapne didi dekho aaj pura parivar aapke sath khada hai aapke liye khada hai hum sabhi aapke sath hain okay.
Pavitra ne sabki aur apna najar dauda kar dekha to sabhi ki ankhon me apne liye sirf pyar mahsus kiya jo Pavitra ko ye vishwas dila raha tha ki sabhi uske sath rahenge aur uska hamesha sath denge.
Kajal: Mausi maa sahi kah rahi hain hum sab aapke sath hain aur hum sab aapke liye hain.
Rashmika ne bhi apni baat ko dohrate huye kaha mausi aap khud ko kabhi akela mat samjhana pahle sirf aapke pass Ramya mam thi jo aapko support karti thi lekin ab dekho aapke sath kitna koi hai hum sabhi aapke sath hain.
Bich me Dhruv bol pada aap kyon ro rahi ho nani aap mere pass rahna okay aur daily night me sote samay aap mujhe achhi achhi kahaniyan sunnana.
Dhruv: Aap mujhe kahaniyan sunaoge na nani.
Pavitra ne Divya se alag hote huye kaha jarur Dhruv ab hum pakke wale dost hain main tumhe story jarur sunaungi jab bhi main tumhare sath raat me rahungi.
Dhruv jor se chilla pada yahooooo mujhe ek aur dost mil gaya jo mujhe story sunayega.
Dhruv ne sabhi ke face par apni masum harkat se smile la diya aur mahol bahut had tak khushi ka ek baar phir se ho gaya.
Jab mahol kuchh shant hua to Arjun ne kaha.
Arjun: Ha nani unhe unki kiye ki saja mil chuki hai isliye kahte hain jaisi karni waisi bharni(As you sow so shall you reap).
Arjun: Isliye hume sabke sath achha vyavhar karni chahiye aur achhe karm karni chahiye kyonki Hume apne bure karmo ki saja ek din milti hi milti hai.
Kisi ne ghar ke andar enter karte huye kaha tumne bilkul sahi kaha Arjun jo hum aaj karte hain wahi hume aage jakar milti hai isliye hume aaj achhe kaam karni chahiye taki kal hume achha phal mile.
Sabhi ne aawaz ki aur dekha to ye dono koi aur nahi balki Mahendra aur Vishal hain jo apne kaam se wapas ghar me enter kar rahe the.
Mahendra: Aaj ghar me itni bheed kaise aur kuchh naye chehre nazar aa rahe hain.
Same aisa hi Vishal ko mahsus ho raha tha kyonki wah bhi kuchh naye chehre se anjaan tha.
Dono ko sabke bare me bataya gaya jahan Kriti ne dono Mahendra aur Vishal se ashirwad liya dono ne hi Kriti ko hamesha apne jivan me khush rahne ka ashirwad diya.
...........................................
[Maine apun ka kaam kar diya dosto ab aap logo ki bari likes aur comments deke jane ka aur sab kuchh apun par chhod dene ka.]
That's all for this update.
Total words count: 4.9 k.
...........................................
Nahi brother bahut achha tha maine aapko Dil se respect kaha tha....thanks a lot...I meant was it’s really good, sorry if the emoji’s sent a wrong message