• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Kanch ki haveli

Kaun sa kirdaar aapke Dil Ko chhu gaya

  • Kanchan

    Votes: 10 66.7%
  • Nikki

    Votes: 4 26.7%
  • Ravi

    Votes: 3 20.0%
  • Thakur Jagat singh

    Votes: 2 13.3%
  • Radha devi

    Votes: 1 6.7%
  • Nishchal

    Votes: 0 0.0%

  • Total voters
    15

Prem pyasa

Member
283
980
94
Hi friends, main iss forum mein Naya hoon aur sab purane logon ka sath chahta hoon. Mujhe asha hai ki aap log mujhe support karenge aur kahani likhne mein mera manobal badhayenge.
Main ek arse baad kahani likhne ka saahas kar paaya hoon. Ummid hai mujhe yahan prerit karne wale Pathak milenge.
Dhanyavaad.
Aapka Naya Mitra "Prem pyasa"
 

Prem pyasa

Member
283
980
94

INDEX


Family Introduction

UpdateUpdateUpdateUpdate 4Update 05
Update 06Update 07Update 08Update 09Update 10
Update 11Update 12Update 13Update 14Update 15
Update 16Update 17Update 18Update 19Update 20
Update 21Update 22Update 23Update 24Update 25
Update 26Update 27Update 28Update 29Update 30
Update 31Update 32Update 33Update 34Update 35
Update 36Update 37Update 38Update 39Update 40
Update 41Update 42Update 43Update 44Update 45
Update 46Update 47Update 48Update 49Update 50
Update 51Update 52Update 53Update 54Update 55
Update 56Update 57Update 58Update 59Update 60
Update 61Update 62Update 63Update 64Update 65
Update 66Update 67Update 68Update 69Update 70
Update 71Update 72Update 73Update 74Update 75
Update 76Update 77Update 78Update 79Update 80
Update 81Update 82Update 83Update 84Update 85
Update 86Update 87Update 88Update 89Update 90
Update 91Update 92Update 93Update 94Update 95
Update 96Update 97Update 98Update 99Update 100
 
Last edited:

Prem pyasa

Member
283
980
94
Update 1

andhkaar apna dera jama chuka tha. Raat apni manthar gati se beeti ja rahi thi. charo aur sannata pasra hua tha. Haan kabhi kabhi siyaro ke rone aur kutto ke bhokne ki awaazon se watavaran mein bisra sannata kshan bhar ke liye bhang hua jata tha.

Is waqt raat ke 10 baje the. raipur ke nivasi apne apne gharon mein kucch to chadar taane so chuke the kuchh sone ka prayatn kar rahe the. Sharmili apne ghar ke aangan ki charpai par apne pati sarju ke sath leti hui thi. Uski aankhon se neend gayab thi. wah ek aur karwat liye hue thi. Uski nazrein uske ghar se thode se faasle par sthit us bhavya kaanch ki haweli par tiki hui thi jise thakur jagat singh ne apni dharmpatni radha devi ke muh dikhayi ke taur par banwaya tha. Theek usi tarah jaise shahjahan ne mumtaj ke liye tajmahal banwaya tha. Yahan fark sirf itna tha ki thakur sahab ne ye kaanch ki haweli apni patni ke jeevant kaal hi mein banwaya tha.

Thakur sahab radha devi se bahut prem karte the. Shadi ki muh dikhayi ke din hi thakur sahab ne radha devi ko ye vachan diya tha ki wey unke liye ek aisi haweli ka nirmaan karenge jise log yugon yugon tak yaad rakhenge. Aur unhone theek hi kaha tha. Shadi ke saal dedh saal ke bhitar hi thakur saahab ne apna wada pura kiya. Aur ye haweli bataour muh dikhayi radha devi ko bhent kiya. jab ye haweli bankar taiyar hui to dekhne walon ki aankhen chaundhiya gayi. Jiski bhi nazar haweli par padi radha devi ki kismat par rashq kar utha.

sharmili roz hi haweli ko dekhti aur thakur ke dil mein radha devi ke liye base us pyar ka anuman lagati. Abhi bhi uski najrein haweli par hi tiki hui thi. syah raat mein bhi yah haweli apni chamak bikherne mein kaamyab thi. Uski bahri roshni se haweli ki deeware jhilmila rahi thi. tatha haweli ke andar se chhan kar nikalti roshni haweli ko indradhanushi rang pradaan kar rahi thi.

Sharmili ne palat kar apne pati sarju ko dekha jo ek aur muh kiye leta hua tha. Usne dheere se sarju ko pukara. - "aap so gaye kya?"

Sarju abhi halki neend mein tha sharmili ki awaaz se wah kunmunaya. "kya hai?"

"ek baat puchhu tumse sach sach bataoge?" Sharmili ne prembhav se apne pati ki aur dekhte hue boli. Uske dil mein is waqt prem ka saagar hilore maar raha tha.

lekin sarju ko uske bhavo se kya lena dena tha. Din bhar ka thaka haara apni neend sone ka prayatn kar raha tha. Wah anjaan hokar bola - "tumse jhooth bolkar bhi mera kaun sa bhala ho jayega. Sach hi bolunga."

"tum seedhe seedhe baat kyon nahi karte?" sharmili tunak kar boli. Use is waqt pati ke muh se aise bol ki asha na thi.

"to tum seedhe seedhe puchh kyon na leti, jo puchhna chahti ho? puchho."

sharmili is waqt jhagde ke mood mein nahi thi. wah shant swar mein boli - "mere marne ke baad kya tum bhi meri yaad mein kuchh banwaoge?" sharmili ke ye shabd prem ras mein dube hue the. Un shabdo mein laakhon armaan chhupe hue the.

"haan....!" sarju ne dheere se kaha.

pati ke muh se haan sunkar shrmili ka dil jhum utha. Man prem pakheru bankar udne laga. Aaj use is haan mein jitni khushi mili thi ki uska anumaan lagana mushkil tha. Aaj sarju agar is haan ke badle uske pran bhi maang leta to wah khushi khushi apne pati ke liye pran tyag deti. Wah sarju se kaskar chipat gayi aur boli - "kya banwaoge?"

"maalik se kuchh rupye karz mein lekar tumhare liye badhiya sa kabra banwaunga. Phir jo paise bachenge un paison se pure gaon mein mithaiyan baatunga."

Sharmili ka dil bhar aaya. ankhon se aanshu beh nikle. Apne pati ke dil mein apne liye aise vichaar jaankar uski aatma sisak uthi. Wah sisakte hue boli - "kya pandrah saal tumhare sath rahne ka yahi inaam hai mera. Main samajhti thi ki tum mujhe apni ardhangini samajhte ho...prem karte ho mujhse. aaj pata chala tumhare dil mein mere liye kitna prem hai."

sharmili ki bematlab ki baaton se sarju ki neend gayab ho chuki thi. Wah jhallakar bola. - "Na to main maalik jaisa rayeesh hoon aur na hi tum maalkin jaisi sundar ho. Phir kyon mera magaz kha rahi ho? "

Sarju ki jhidki se sharmili ka dil tut gaya. Lekin wo abhi kuchh kehti usse pehle hi rooh ko kanpa dene wali ek bhayankar naari cheekh raat ke sannate mein gunj uthi. Yah cheekh haweli se aayi thi. Sharmili ke sath sath sarju bhi chihunk kar charpai se uth baitha.

"maalkin...!" sarju badbadaya aur charpai se utra - "lagta hai maalkin ko phir se daura pada hai. Main haweli ja raha hoon." wah teji se apni dhoti kasta hua bola. Phir kurta uthaya aur haweli ke raaste bhagta chala gaya.

Sharmili abhi bhi jadwat khadi haweli ki aur taak rahi thi. Uski dil ki dhadkane chadhi hui thi. Uska sharir bhay se haule haule kaanp raha tha. Tabhi phir se wahi dil cheer dene wali cheekh uske kaano se takrayi.

sharmili kaanpte hue charpai par let gayi. Haweli se nikli cheekh ne uske apne sare dukh bhula diye the. Ab unki jagah radha devi ke dukh ne ghar kar liya tha. Wah radha devi ke baare mein sochne lagi.

radha devi - kaisa azeeb sanyog tha. Thakur sahab ne radha devi ki muh dikhayi ke liye jis haweli ka nirmaan karwaya us haweli ka sukh unhe na mil saka. Bechari jis din is haweli mein aayi usi raat na jaane kaun sa haadsha pesh aaya ki radha devi apni maansik santulan kho baithi. Tab se lekar aaj pure 20 baras tak wo ek kamre mein band hain. Aur isi prakaar ke daure aate rahte hain. Unki is prakaar ke daure ke bare mein sabhi jaante hain par unke sath kya hua? us raat haweli mein kaun si ghatna ghati ki unhe paagal ho jana pada ye koi nahi jaanta. Ye ek rahasya bana hua hai.

Sarju haafta hua haweli mein daakhil hua aur seedha maalkin ke kamre ki taraf badh gaya. Malkin ke kamre ki darwaze tak pahunch kar wah ruka. Wahan haweli ke dusre naukar bhi khade bhay se kaanp rahe the. Unme se kisi mein bhi itni himmat nahi thi ki wo andar jakar dekhe ki kya ho raha hai. sarju kuchh der khada rahkar apni ukhad chali saanso ko kaabu karta raha phir dhadakte dil se andar jhanka. Andar ka drishy dekhkar uski sitti-pitti gum ho gayi. Malkin kisi hinsak sherni ki bhanti laal laal aankhon se thakur sahab ko ghure ja rahi thi. thakur sahab ek aur khade thar thar kaanp rahe the. maalkin dayen bayen najar daudati aur jo bhi vastu unke hath lagta uthakar thakur sahab par feink marti.

"radha....hosh mein aao radha." maalik bhay se kanpte hue dheere se malkin ki aur badhe. "humein pehchano radha...hum tumhare pati jagat singh hain."

"jhooth....." radha devi cheekhi -"tu khooni hai.....agar tu mere paas aaya to main teri jaan le lungi. Main janti hoon tu meri beti ko marna chahta hai par usse pehle main tumhe maar dalungi." ye bolkar wo phir se kuchh dhundhne lagi...jisse ki wo thakur sahab ko feink kar maar sake. jab kuchh nahi mila to wo darte hue pichhe hati. Uske hatho mein kapde ki banayi hui gudiya thi jise wo apni beti samajhkar chhati se chipka rakhi thi. Thakur sahab ko apni aur badhte dekhkar uski aankhon mein bhay naach utha. radha gudiya ko apni sari ke anchal mein chhipane lagi. Aur phir kisi vastu ki talaash mein idhar udhar nazar daudane lagi. achanak uski aankhen chamak uthi, use paani ka ek gilaas zameen par gira pada dikhai diya. Wah furti se gilaas uthayi aur bijli ki gati se thakur sahab ko de maari. radha devi ne itni furti se gilaas feinka tha ki thakur sahab apna bachav na kar sake. Gilaas unke mathe se aa takrayi. Wo cheekhte hue pichhe hate. Unke mathe se khoon ki dhar beh nikli. Darwaze ke bahar khada sarju lapak kar un tak pahuncha Aur thakur sahab ko khinch kar bahar le aaya. Dusre naukaron ne jaldi se apne malkin ke kamre ka darwaza bahar se band kar diya.

Sarju thakur sahab ko hall mein le aaya aur unke mathe se behte kkoon ko saaf karne laga. Dusre naukar bhi dawai aur pattiyan lekar thakur sahab ke paas khade ho gaye. tabhi darwaze se deewan ji daakhil hue. Wo seedhe thakur sahab ke paas aakar baith gaye. Thakur sahab ki dasha dekhi to unke hontho se kraah nikal gayi.

"aap malkin ke kamre mein gaye hi kyon the sarkaar?" deewan ji unke mathe par lage ghav ko dekhte hue bole.

"radha ko dekhe ek mahina ho gaya tha deewan ji. Badi ichha ho rahi thi uski surat dekhne ki...mujhse raha nahi gaya." thakur sahab dard se chhtapata kar bole. Unka dard mathe par lagi chot ki wajah se nahi thi. Unka dard unke dil mein lage us chot se thi jise unhone khud lagai thi. Wo apni barbadi ke khud hi zimmedar the. Aaj unki patni ki jo haalat thi uske zimmedar wey khud the. Ye baat thakur sahab ke atirikt deewan ji bhi jante the. Aur wo ye bhi jante the ki thakur sahab apni patni radha devi se kitni mohabbat karte hain. Isliye thakur sahab ke dukh ka unhe jitna ehsaas tha shayad kisi aur ko na thi. Deewan ji thakur sahab ki baato se chup ho gaye. Unke paas kehne ke liye shabd hi nahi the, bas sahanubhuti bhari najron se unhe dekhte rahe.

"deewan ji...aapne bambai ke kisi kaabil doctor ke bare mein bataya tha uska kya hua? Wo kab tak aayega?" unhone apne ghav ki parwah na karte hue deewan ji se bole.

"aaj hi uska sandesh aaya tha. Wo thode dino mein aa jayega." deewan ji ne unhe aashwasan diya.

"pata nahi is doctor se bhi kuchh ho payega ya nahi. Jo bhi aata hai sab paise khane ke liye aate hain. Aajkal doctori peshe mein bhi imandari nahi rahi." thakur sahab mayusi mein bole.

"iske to kaafi charche sune hain maine. log kehte hain isne bahut kam umar mein bahut gyan haasil kiya hai. Aneko jatil case suljhaya hai. Malkin jaisi kayi marijon ko theek kar chuka hai. Mera dil kehta hai malik, abki malkin achhi ho jayengi. Aap uparwale par bharosa rakhen."

Deewan ji ki baaton se thakur sahab ne ek lambi saans chhodi phir bole - "ab to kisi cheej par bharosa nahi raha deewan ji. ab to aisa lagne laga hai hamari radha kabhi theek nahi hogi. Hum jeevan bhar aise hi tadapte rahenge. Ab to jeene ki bhi aash nahi rahi....pata nahi mere marne ke baad radha ka kya hoga?"

"biswas se badi koi cheej nahi malik. Aap biswas rakhen malkin ek din jarur theek hongi. Aur marne ki baat to sochiye hi nahi....aap yah kyon bhul jate hain aapki ek beti bhi hai."

Thakur sahab ne deewan ji ki taraf dekha. deewan ji ki baton ne jaise marham ka kaam kiya ho. Beti ki yaad aate hi murjhaya chehra khil sa gaya, wo deewan ji se bole - "kaisi hai hamari nikky deewan ji. Main abhaga to apne pita ke kartavya ko bhi theek se nahi nibha paya. Wo kab aa rahi hai?"

"nikky bitiya parso aa rahi hai. Parso shaam tak to bitiya aapke saamne hongi." deewan ji muskuraye.

ek lambe arse tak thakur sahab ne nikki ka chehra nahi dekha tha. Wo jab 6 saal ki thi tabhi unhone apni jaan se pyari beti ko bording bhej diya tha. Yahan rahne se maa ki bimari ka prabhav uspar pad sakta tha. Aaj jab nikki ke aane ki khabar deewan ji ne di to unka man beti ko dekhne ki chaah mein vyagr ho utha. Par ek aur jahan unhe beti se milne ki khushi thi to dusri aur unhe is baat ki chinta bhi ho rahi thi ki jab nikki apni maa se milegi to uske dil par kya beetegi. "ab aap ghar jaiye deewan ji. Raat bahut ho chuki hai." thakur sahab ab halke mehsus kar rahe the. Unhone deewan ji ko vyarth mein bithaye rakhna uchit nahi samjha.

"jaisi aapki aagya sarkar." deewan ji bole aur hath jodkar uth khade hue. Unka ghar bhi haweli ke baayi aur thoda hakte tha. kehne ko wo ghar tha par kisi chhoti haweli se kam nahi tha. Ye bhi thakur sahab ki meharbaniyon ka natija tha. Deewan ji unke bahut purane aadmi the. Aur unka sara kaam wahi dekhte the. Thakur sahab to aankh mund kar unpar bharosa karte the.

Deewan ji ke jaane ke baad thakur sahab uthe aur apne kamre ki taraf badh gaye. Neend to unki aankhon se koso door thi. Raat jaagte hue gujarne wali thi. ye unke liye koi nayi baat nahi thi. Unki zyadatar raaten jaagte hi gujarti thi. unhone cigar sulgai aur khud ko aaram kursi par giraye. Phir halke halke cigar ka kash lene lage. Cigar ka kash bharte hue thakur shahab ateet ko gehraiyon mein utarte chale gaye. Unka ateet hi unke man behlav ka saadhan tha. Wey aksar tanhaiyon mein apne ateet ki sair kar liya karte the.
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,286
304
:congrats: for new Story...

Btw ye to xp wali story hain na kaanch ki haweli....

kahani ki suruwaat huyi do pati patni ke bich huye khatti mithi nok jhok se.... lage jaise yahi lead characters hai kahani ke..sharmili ka to dil hi tod diya us sarju ke bache ne :sigh: ..
par kahani kuch aage badhte hi alag hi mod le li...
entry li un kirdaaro ne jo is kahani ke naam se jude hai.. Yaani kaanch ki haweli... jis haweli ko banwaya thakur ne apni panti radha ko taufa dene ke liye, apni panti ke sukh subidha ke liye .. Wohi kaanch ki haweli manhoosiyat le aayi radha devi ki life mein....
thakur ne Kya socha tha aur kya ho gaya unki family ke sath....itne saalon tak beti bhi door rahi....
aise bahot se raaz ki baatein chupi hai us haweli mein... ho na ho sare musibat ki jad atit mein kiye gaye thakur ke karname hi ho..
hmm.. to shahar se doctor bulaya hai ....

Ek important baat ~ is kahani ke hero ki to aisi ki taisi :chop:

well shaandaar update, shaandaar lekhni aur shaandaar shabdon ka chayan Aur sath hi dilchasp kirdaaro ki bhumika bhi....

Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills :yourock: :yourock:

( Ek karz baaki tha, xp ke jamane mein log in hone ke baad bhi is story pe aaye har naye update ko is kahani ko as a silent Reader ki tarah read ki maine, bas padho aur nikal liyo :D
khair... chaliye koi na is baar wo karz chuka deti hoon har update pe revo deke..)
 

Prem pyasa

Member
283
980
94
:congrats: for new Story...

Btw ye to xp wali story hain na kaanch ki haweli....

kahani ki suruwaat huyi do pati patni ke bich huye khatti mithi nok jhok se.... lage jaise yahi lead characters hai kahani ke..sharmili ka to dil hi tod diya us sarju ke bache ne :sigh: ..
par kahani kuch aage badhte hi alag hi mod le li...
entry li un kirdaaro ne jo is kahani ke naam se jude hai.. Yaani kaanch ki haweli... jis haweli ko banwaya thakur ne apni panti radha ko taufa dene ke liye, apni panti ke sukh subidha ke liye .. Wohi kaanch ki haweli manhoosiyat le aayi radha devi ki life mein....
thakur ne Kya socha tha aur kya ho gaya unki family ke sath....itne saalon tak beti bhi door rahi....
aise bahot se raaz ki baatein chupi hai us haweli mein... ho na ho sare musibat ki jad atit mein kiye gaye thakur ke karname hi ho..
hmm.. to shahar se doctor bulaya hai ....

Ek important baat ~ is kahani ke hero ki to aisi ki taisi :chop:

well shaandaar update, shaandaar lekhni aur shaandaar shabdon ka chayan Aur sath hi dilchasp kirdaaro ki bhumika bhi....

Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills :yourock: :yourock:

( Ek karz baaki tha, xp ke jamane mein log in hone ke baad bhi is story pe aaye har naye update ko is kahani ko as a silent Reader ki tarah read ki maine, bas padho aur nikal liyo :D
khair... chaliye koi na is baar wo karz chuka deti hoon har update pe revo deke..)
Thanks Naina ji. Ye kahani chuki main xossip mein post kar Chuka tha aur logon ne kaafi pasand bhi kiya tha isliye yaha bhi post kar Raha hoon. Lekin mera is forum se judne ka maqshad "kanch ki haveli" Ko is forum mein post karna nhi hai, Balki main us kahani Ko jo ki meri purjor khwahish thi xossip par likhne ki Lekin nahi likh paya. Us kahani likhne ki garz se is forum se juda hoon. Is kahani ke pura hote hi main us kahani Ko likhna start kar Dunga. Tab tak kuchh readers bhi mujhe mil jayenge.
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,286
304
Thanks Naina ji. Ye kahani chuki main xossip mein post kar Chuka tha aur logon ne kaafi pasand bhi kiya tha isliye yaha bhi post kar Raha hoon. Lekin mera is forum se judne ka maqshad "kanch ki haveli" Ko is forum mein post karna nhi hai, Balki main us kahani Ko jo ki meri purjor khwahish thi xossip par likhne ki Lekin nahi likh paya. Us kahani likhne ki garz se is forum se juda hoon. Is kahani ke pura hote hi main us kahani Ko likhna start kar Dunga. Tab tak kuchh readers bhi mujhe mil jayenge.
Readers ki fikar nakko... ishi story pe kuch update dijiye toh sahi, best reviewers sabhi aa jayenge is story thread pe:approve:
 

Prem pyasa

Member
283
980
94
Update 2
Raipur ke railway station par nikki pichhle 20 minute se khadi thi. Uska gusse se bura haal tha. deewan ji ne driver ko nikki ko lene bheja tha par uska koi pata nahi tha. Nikki Gusse se bhari platform par chalkadmi kar rahi thi.


Is waqt nikki pink color ki frock pehne hue thi. Uski aankhon mein dhoop ka chasma chadha hua tha aur sar par sun hats tha. frock itni chhoti thi ki aadhi janghe numaya ho rahi thi. Platform par aate jate log lalchayi najron se uske khubsurat jangho aur ubhre hue chhati ko ghurte ja rahe the. Achanak hi kisi bike ki acceleretor ki tej awaaz uske kaano se takrai. Awaaz itni tej thi ki nikki ka gussa saatwe aasman par pahunch gaya. nikki ki drishti ghumi. saamne hi ek khubsurat naujawan apni bike par baitha bike ke kaan marodne mein vyast tha. Wo jab tak acceletor leta bike start rahti acceletor chhodte hi bike bhuy bhuy karke band ho jati. Wo phir se kick marta...acceletor leta aur bike start karne mein lag jata. Wah pasine se tar batar ho chuka tha. Nikk 5 minute tak uski bhany bhany sunti rahi. ant mein uska sabr jawab de gaya. Wah gusse se uski aur dekhkar boli - "aye mister, apni is khatara ko band karo ya kahin door le jaakar start karo. Iski besuri awaaz se mere kaan ke parde fat rahe hain."


Wah yuvak bike na start hone se waise hi pareshan tha uspar aisi jhidki, uski bike ka aisa apmaan...wah sah na saka. gusse mein palta par jaise hi uski nazar nikki par padi wah chaunk pada. Apne saamne ek khubsurat hasina ko dekhkar uska gussa khsan bhar ke liye gaayab hua. Phir bola - "aap meri bike ko khatara keh rahi hain? Aapko andaza nahi hai main is bike par baith kitni race jeet chuka hoon."


"race...? Aur wo bhi is bike se? ye chalti bhi hai, mujhe to iske strat hone par bhi sandeh ho raha hai." wah vyang se muskurayi.


Yuvak ko tej gussa aaya par man masos kar rah gaya. Usne bike ko azeeb najron se ghura phir ek jor dar kick mara. Is baar bhi bike start nahi hui. Wah baar baar prayas karta raha aur acceletor ki awaaz se nikki ko pareshan karta raha. kuchh hi der mein nikki ka driver jeep lekar pahuncha. Driver jeep se utar kar nikki ke paas aaya.


"itni der kyon hui aane mein?" nikki driver ko dekhte hi barsi.


"galti ho gayi chhoti malkin...wo kya hai ki.....asal....mein..." driver haklaya.


"shut up." nikki gusse mein chikhi.


Driver saham gaya. uski najrein zameen chatne lagi.


"saaman uthane ke liye koi dusra aayega? " nikki use khada dekh phir se bhadki. Driver teji se harkat mein aaya aur saaman uthakar jeep mein rakhne laga.


Nikki ki najrein us bike wale yuvak ki aur ghumi. wo idhar hi dekh raha tha. use apni aur dekhte pakar nikki ne ek baar phir vyang se muskurayi aur apni jeep ki aur badh gayi. achanak hi wo hua jiski kalpana nikki ne na ki thi. Uski bike start ho gayi. nikki ne us yuvak ko dekha. Abki muskurane ki baari us yuvak ki thi. wah bike par baitha aur nikki ko dekhte hue ek ada se sar ko jhatka diya aur seeti bajata hua bike ko bhagata chala gaya. Nikki jal-bhun kar rah gayi.


Driver saaman rakh chuka tha. Nikki lapak kar steering wali seat par aayi. Chabhi ko ghumaya gear badli aur full speed se jeep ko chhod diya.


"chhoti maalkin....!" driver cheekhte hue jeep ke pichhe dauda.


Nikki teji se pahadi raaston par jeep bhagati chali ja rahi thi. Kuchh hi door aage use wahi bike wala yuvak dikhayi diya. Usne jeep ki raftaar badhayi aur kuchh hi pal mein uske Barabar pahunch gayi. Phir uski aur dekhti hui boli - "hello mr khatara"


Yuvak ne nikki ki aur dekha, abhi wah kuchh kehne ki soch hi raha tha ki nikki ne ek jhatke mein farrate ki gati se jeep ko le bhagi. Yuvak gusse mein nikki ko dekhta hi rah gaya. Uski aankhen sulag uthi usne acceletor par hath jamaya aur bike ko full speed par chhod diya. Abhi wah kuchh hi door chala tha ki sadak par kuchh ladkiya paar karti dikhayi di. usne jaldi se break maara. Uski raftaar bahut adhik thi , bike fisla aur seedhe ek patther se ja takraya. Yuvak uchhal kar door ja gira. Bike se bandha uska suitcase khul gaya aur saare kapde sadak par idhar udhar bikhar gaye. Wah langdata hua utha. Tabhi uske kaano se kisi ladki ke hasne ki awaaz takrayi. Usne palat kar dekha. Ek gramin baala salwar kurta pehne khilkhilakar hans rahi thi. Uske pichhe uski saheliyan bhi khadi khadi muskura rahi thi. Un sabhi ladkiyon ke hath mein pustaken thi jis se Yuvak ko samajhte der nahi lagi ki ye ladkiyan paas ke gaon ki rahne wali hain aur is waqt collage se laut rahi hain.


"ye dekho, kaath ka ullu" aage wali ladki haste hue saheliyon se boli.


Yuvak ki nazar uspar thehar gayi. Wo bala ki khubsurat thi. garmi ki wajah se uske chehre par pasina chhalak aaya tha. pasine se tar uska gora mukhda surya ki roshni mein aise chamak raha tha jaise purnima ki raat mein chaand. uska dupatta uske gale se lipatkar pichhe pith ki aur jhul raha tha. Saamne uski bhari hui chhatiyan kisi parwat shikhar ki tarah tane hue use ghur rahe the. Pet samtal tha, kamar patli thi lekin kulhe chaudi aur bhari golakar liye hue thi. Uska nashila gathila badan kapdon mein chhupaye nahi chhup raha tha. Yuvak kuchh pal ke liye uski sundarta mein kho sa gaya. Wah ye bhi bhul gaya ki is ladki ne kuchh der pehle use kaath ka ulla kaha tha. Use ye bhi dhyan nahi tha ki uski bike sadak par giri padi hai aur uske kapde hawaon ki jor se sadak par idhar udhar ghisat rahe hain.


Lekin ladkiyon ko uski dasha ka anumaan tha. Uski haalat par ek baar phir ladkiyan khilkhila kar hans padi. Uski chetna lauti. Usne apni bhaunhe chadhayi aur us ladki ko ghura jisne use kaath ka ullu kaha tha. "kya kaha tumne? Jara phir se kehna."


"kaath ka ullu." wah ladki punah boli aur phir hans padi.


"main tumhe kaath ka ullu nazar aata hoon" yuvak ne bifarkar bola.


"aur nahi to kya....apni surat dekho pakke kaath ke ullu lagte ho." uske sath uski saheliyan bhi khilkhilakar hasne lagi.


Yuvak apmaan se bhar utha, usne kuchh kehne ke liye muh khola par hoth chabakar rah gaya. use apni dasha ka gyan hua, wah un ladkiyon se ulajhkar apni aur fazihat nahi karwana chah raha tha. Wah muda aur apne kapde sametne laga. Ladkiyan hansti hui aage badh gay.
 

Sasha!

The woman with spirits ✨
Staff member
Divine
Sectional Moderator
12,581
10,491
214
Thanks Naina ji. Ye kahani chuki main xossip mein post kar Chuka tha aur logon ne kaafi pasand bhi kiya tha isliye yaha bhi post kar Raha hoon. Lekin mera is forum se judne ka maqshad "kanch ki haveli" Ko is forum mein post karna nhi hai, Balki main us kahani Ko jo ki meri purjor khwahish thi xossip par likhne ki Lekin nahi likh paya. Us kahani likhne ki garz se is forum se juda hoon. Is kahani ke pura hote hi main us kahani Ko likhna start kar Dunga. Tab tak kuchh readers bhi mujhe mil jayenge.
Apko yahan dekh kar behad khushi huyi, ye kahani bohot saal pehle padhi thi, aur behad acchi lagi thi mujhe :shakehands:

Asha hai ap koi nayi kahani bhi post karenge :hi:
 

Prem pyasa

Member
283
980
94
Update 3


Nikki jaise hi haweli pahunchi thakur sahab ko bahar hi intezar karte paya. Unke sath mein deewan ji bhi the. Wah jeep se utri to deewan ji lapak kar nikki tak pahunche "aao beta. Malik kab se tumhara intezar kar rahe hain."


Nikki ne thakur sahab ko hath jodkar pranam kiya aur phir thakur sahab se jakar lipat gayi. Thakur sahab use apni chhati se chipka liye. Barson se sulagte unke dil ko aaj thandak mili thi. Beti ko chhati se lagakar wey is waqt apne sare dukhon ko bhula baithe the. Wah nikki ka matha chumte hue bole - "nikki, tumhara safar kaisa raha? Koi taklif to nahi hui yahan tak aane mein?"


"ohh papa, main kya bachi hoon jo koi bhi mujhe taklif de dega?" nikki nathune fulakar boli.


Uski baat se thakur sahab aur deewan ji ki thahake chhut pade.


"nikki beta, tumhare sath driver nahi aaya wo kahan rah gaya?" deewan ji nikki ko akela dekhkar bole.


"main use wahi chhod aayi. Usne mujhe pure 20 minute wait karaya. Ab use kuchh to punishment milna chahiye ki nahi?" nikki ki baat se deewan ji khilkhilakar hans pade wahin thakur sahab beti ki shararat par jhenp se gaye.


thakur sahab nikki ko lekar haweli ke andar dakhil hue. Ghar ke sabhi naukar use dekhne ke liye uske aadesh palan ke liye uske daayen baayen aakar khade ho gaye.


Thakur sahab nikki ke sath hall mein baithe. Deewan ji bhi paas hi baith gaye.


"tumhe aaj apne paas pakar hame bahut khushi ho rahi hai beti." thakur sahab bhavukta mein bole.


"mujhe bhi aapse milne ki badi ichha hoti thi papa. Ab main aapko chhod kar kahin nahi jaungi." nikki unke kandhe par sar rakhte hue boli.


"haan beti, ab tumhe kahin jaane ki jarurat nahi hai. Ab tum hamesha hamare sath rahogi."


Thakur sahab ki baat abhi puri hi hui thi ki haweli ke darwaze se kisi ajnabi ka pravesh hua. Uske hath mein ek suitcase tha. Baal bikhre hue the aur chehre par lambe safar ki thakan jhalak rahi thi.


Nikki ki nazar jaise hi us yuvak par padi wah chaunk uthi. Ye wahi yuvak tha jisse wo railway satation par uljhi thi. Deewan ji use dekhte hi uth khade hue. yuvak bhitar aate hi hath jodkar namste kiya.


"aaiye aaiye doctor babu. Aap hi ka intezar ho raha tha." deewan ji us yuvak se hath milate hue bole. Phir thakur sahab ki taraf palte - "maalik, ye ravi babu hai. maine inhi ke bare mein aapko bataya tha. Bahut shafa hai inki hatho mein."


thakur sahab ne jaise hi jana ki ye doctor hain apne sthan se uth khade hue. Phir usse hath milate hue bole - "aapko koi taklif to nahi hui yahan pahunchne mein?"


"kuchh khash nahi thakur sahab....." wah nikki par sarsari nigaah dalta hua bola.


"aap thak gaye honge. Jakar pehle aaram kijiye. Hum shaam mein milenge." thakur sahab ravi se bole.


"ji shukriya...!" ravi bola.


"aaiye main aapko aapke room tak liye chalta hoon." deewan ji ravi se bole.


Ravi thakur sahab ko phir se namaste kehkar deewan ji ke sath apne room ki aur badh gaya. Uska kamra upar ki floor par tha. Seedhiya chadhte hi left ki aur ek gallery thi. Us aur chaar kamre bane hue the. Ravi ke thaharne ke liye pehla wala room diya gaya tha.


Ravi deewan ji ke sath apne room mein daakhil hua. Room ki sajawat aur kanch ki nakkashi dekhkar ravi dang rah gaya. yun to usne jab se haweli ke bhitar kadam rakha tha khud ko swarglok mein pahuncha mehsus kar raha tha. haveli ki sundarta ne uska man moh liya tha.


"aapko kabhi bhi kisi cheej ki jarurat ho bejhijhak keh dijiyega." achanak deewan ji ki baton se wah chaunka. Usne sahmati mein sar hilaya. Deewan ji kuchh aur aupcharik baate karne ke baad wahan se nikle.
 
Top