If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.
Apne room me jaane ke baad kuch der to Atul ko Ravi par bahut gussa aa raha tha…Fir wo ye soch kar khud hi shaant ho gaya ki usse agli baar dekh lega.
Uske baad dopahar ka incidence aur Nisha ne pyar ke baare me jo baatein kaha sirf ussi baare me sochta reh gaya…Pyar naam ki beemari agar kisi ko lag jaaye to iska ilaaj itna aasan nahi…Yaa to wo insaan ko uske manjil tak pahuncha deta hai yaa fir usko barbaad kar ke rakh deta hai lekin fir bhi dil se pyar shabd kabhi nikalta nahi.
Yaha Atul ke saath bhi aisa hi ho raha tha…Pehle to jab pyar shabd uske dimaag me aata tha tab wo ignore kar ke apne kaam me lag jaata tha lekin iss baar wo khud ignore nahi karna chaahta tha…Aaj wo khud pyar ke baare me soch raha tha.
Kya hai ye pyar? Kaisa hota hai? Log kyu pyar karte hai aakhir itna khaas kyu hai ye? Kuch aisa hi sawaal Atul ke dimaag me chal raha tha…Aur aaj usse ye sab sochne me accha lag raha tha.
Wo abb khud bhulne laga tha ki kabhi usne ye bhi kaha tha ki wo kisi se pyar nahi karega aur naa hi pyar jaisi feelings kabhi usme aayega.
Umar bhi kuch aisa tha ki koi bhi pyar ki taraf khinch hi jaata jab iss baat ka ehsas hota.
Bahut der ho gaya tha room me aaye Atul ko…Lekin abhi bhi wo apne soch me hi atka hua tha…Pyar ka soch…Jo usne mehsus kiya to nahi tha par shaayad abb karna chaahta tha.
Park me ladka aur ladki ki baatein, Nisha ka pyar ke baare me kuch baatein…Atul andar se puri tarah disturbed ho chuka tha…Dimaag me yahi sawal ghum raha tha…"Kya sach mai koi kisi se saccha pyar kar sakta hai?"…Dimaag naa me jawaab de raha tha…Par jo usne aaj aankho se dekha aur kaano se suna usko jhuthla bhi nahi paa raha tha.
Issi haa aur naa me bahut mushkil se usse raat me neend aaya.
Next Day
Agle din subah sabhi ready ho kar ek saath jama ho gaye the tour ke agle destination ke liye.
Aaj trekking ka plan tha.
Aaj ladkiya to bahut excited thi lekin Atul aur Ajay jyada nahi…Dono hi apne soch me khoye hue thhe.
Kajal:- Kya hua? Tum dono itne chup kyu ho?
Dono chup hi rahe…Koi bolne ka mood me bhi nahi tha…Ajay ko bhi chup dekh Atul ko hi bolna pada.
Atul:- Aaj thoda mood off hai.
Anjali:- Aur Ajay tumhe?
Ajay:- Mera bhi mood off hai.
Anjali:- Sab kuch thik to hai na…Ek saath tum dono ka hi mood thik nahi hai.
Kisi ne jawaab nahi diya…Ajay ko fir se chup dekh Atul ko hi bolna pada.
Atul:- Kuch nahi hua hai…Bas aise hi.
Anjali:- Nahi kuch to hua hai?
Atul:- Sach me…Bas aise hi.
Atul ki aawaj me iss baar thoda irritation tha…Wo pehle se hi apna confusion ki vajah se disturbed tha…Abb aise me is tarah ka sawaal usse aur bhi irritate kar raha tha.
Kuch soch kar Kajal hasne lagti hai…Kajal ka iss tarah se hasne se sabhi usko hairaani se dekhne lagte hai.
Kajal:- Mujhe pata chal gaya tum dono ka latka hua chehra ki vajah…Ham sab trekking me jaa rahe hai…Tum dono ko jaldi thak jaane ka dar hai…Issi vajah se soch rahe ho ki kaise trekking par jaaoge.
Itna keh kar Kajal aur hasne lagi.
Atul to pehle se hi irritate ho gaya tha…Aur jyada bolna bhi nahi chaahta tha…Bas chhota sa jawaab diya.
Atul:- Ghatiya jokes tha.
Itna keh kar wo dusri taraf ghum gaya aur uske chehre me irritation abhi bhi dikh raha tha.
Dusri taraf Ajay ko ye baat se koi matlab bhi nahi tha…Wo abhi bhi apne soch me hi khoya hua tha.
Dr. Rahul:- Atul aur Ajay sab thik to hai na?
Atul:- Sab thik hai sir…Bas kuch soch me padd gaya tha…Abb sab thik hai.
Aage ki sawaal se bachne ke liye Atul smile karne ki acting karne laga…Atul ko dekh Ajay ne bhi waisa hi kiya.
Dr. Rahul:- Agar koi problem hai to bata sakte ho?
Atul:- Nahi sir…Sab thik hai.
Dr. Rahul:- So should we start walking towards our destination?
Atul sabhi ko dekh kar.
Atul:- I think we should.
Dr. Rahul:- Agar koi problem hai aur jaane ka mood nahi hai to skip bhi kar sakte hai…Agar interest nahi hai to jaane ka kuch matlab bhi nahi.
Rahul sir Atul ka chehra hi dekh rahe the…Unhe Atul ki baat par shak ho raha tha ki sab kuch thik hai.
Atul:- Sir I am fine…Bas kuch der pehle kuch soch raha tha…Simple baat tha…Abb sab kuch thik hai.
Atul aaj jaana to nahi chaahta tha par dosto ke liye jaane ka tay kiya.
Dr. Rahul:- So let's go.
Rahul sir ko abhi bhi jyada yakin nahi tha Atul par lekin unhe aaj ka plan cancel karne ka koi vajah bhi nahi tha.
Nisha bhi Atul ko notice kar rahi thi…Wo bhi jaanti thi Atul kuch soch raha hai…Lekin kya? Ye baat wo Atul se akele me pucchna chaahti thi.
Fir sabhi chal pade apne destination ki taraf…Ajay abhi bhi chup tha…Lekin Atul shak se bachne ke lie kabhi kabhi kuch baatein kar leta.
Jaante to sabhi the ki daal me kuch kaala to jarur hai Atul aur Ajay ki behavior dekh kar…Lekin kisi ne kuch nahi kaha.
Aaj iss tour me kisi ko maja nahi aa raha tha…Wo sirf chale hi jaa rahe the aur iss chalne ka matlab bhi shaayad sab bhul gaye the.
Ajay ki aankhein to saamne ki taraf tha lekin najar kahi aur…Issi vajah se wo kayi jagah thokar khaa chuka tha…Lekin khud ko sambhal kar wo chal raha tha…Chehre me kabhi dar ke bhaaw thaa to kabhi pareshaani ka…Lekin jab bhi koi uski taraf dekhta wo apna acting skill se kisi ko jyada shak hone nahi deta.
Lekin aise hi chalte chalte ek patthar par jor se thokar lag gaya usse aur wo wohi niche gir gaya.
Uske girte hi sabhi picche mud kar dekhne lage…Ajay bhi utth kar khada ho gaya…Chot jyada nahi tha.
Anjali:- Ajay tum thik ho?
Iss baar Anjali ne fikar ke saath puccha…Usse bhi pata chal gaya tha Ajay ke saath sab kuch thik to nahi hai.
Ajay ki iss baat par sabhi uski taraf dekhne lage…Sab ko fikar hone laga tha…Ajay ki chehre se hi pata chal raha tha ki wo kitna pareshan hai.
Anjali:- Kya hua? Kya pareshaani hai?
Anjali ne bhi bahut fikar ke saath puccha.
Ajay ne ek baar Anjali ko dekha aur fir aas paas sabhi ko…Sabhi ko dekh kar uska himmat ek baar fir gaayab ho gaya.
Wo kuch nahi bola.
Atul:- Abb chup kyu ho gaya? Kya hua bol…Sab kuch thik kar dunga.
Atul ko Ajay ka pehle chup rehna bilkul pasand nahi aaya tha…Lekin abb jab usse mehsus hua ki Ajay pareshaan hai to usse bhi fikar hone laga…Pehle kabhi Ajay ko iss haalat me nahi dekha tha usne…Iss haalat me ek hi baat wo soch raha tha…Kisi bhi tarah Ajay ki pareshaani khatm karna.
Ajay:- Kuch nahi.
Ajay keh nahi paaya.
Anjali:- Abb ye kya keh rahe ho…Pehle to keh rahe the ki tum thik nahi ho.
Dr. Rahul:- Agar koi problem hai to bataao…Koi na koi solution to mil hi jaayega…Aise chup rehne se kuch nahi hoga.
Fir sabhi ne puri koshish kiya Ajay ki problem pata lagane ki…Lekin Ajay ka problem aisa tha ki wo yaha kisi ko bataa bhi nahi sakta tha.
Fir bhi abhi sab se bachne ke liye usne baat ko taal diya.
Ajay:- Abhi mai mentally disturbed hu thoda sa…Kuch tension wali feelings aa raha hai.
Anjali:- Kaisa tension?
Atul:- Tu kab se tension lene laga…Aur tujhe kis baat ki tension…Tu jaisa hai waisa hi thik hai…Hansta reh aur sab ko hansaata reh.
Atul ne Ajay ke paas aa kar kaha.
Ajay:- Koshish to kar raha hu…Lekin pata nahi kyu aaj andar hi andar akela aur kamjor sa mehsus kar raha hu…Apne soch me hi dab kar reh gaya hu aaj.
Atul:- Kisne keh diya tu akela hai…Ham sab tere saath hai…Abb jo bhi soch raha hai usse bhul jaa aur tour ko enjoy kar.
Tour enjoy karne hi aaye hai…Aur issi me dhyan de…Baatein kar, masti, majaak kar…Dekhna sab kuch thik ho jaayega.
Atul ne Ajay ke kandhe me haath rakh kar kaha…Wo Ajay ko confidence dena chaahta tha.
Ajay ne bhi muskuraane ki koshish kiya ye bataane ke liye ki wo koshish karega.
Dr. Rahul:- Atul sahi keh raha hai…Jitna tension me rahoge utna hi pareshaani badhta jaayega…Relax ho jaao aur sabhi ke saath ghul mil jaao…Bahut jald behtar mehsus karoge…Aur tension jyada hai to ham sab se share karo…Sab thik ho jaayega.
Rahul sir ki baat sun kar Ajay ne chehre ko haa me hilaaya.
Lekin andar wo khud se hi baat kar raha tha.
Ajay:- (In his mind) Come on Ajay…Be brave…You can do it.
Ajay khud hi apna manobal badha raha tha.
Fir sab aage ki safar ki taraf chal pade.
Anjali ko abhi bhi lag raha tha ki Ajay abhi bhi thik nahi hai jaisa wo dikhaane ki koshish kar raha tha…Anjali hi nahi, sabhi ko aisa lag raha tha…Lekin sabhi Ajay ko time de rahe the ki wo normal ho jaaye.
Ajay bhi abb sab ke saath baat karke apna dhyan bhatkaane ki koshish kar raha tha.
Abb Atul bhi sabhi se baat karne laga tha…Wo bhi apna iss soch aur confusion se kuch der ke liye nikal kar sabhi ke saath tour enjoy karne ki koshish kar raha tha.
Ajay aur Atul puri tarah naa sahi lekin maahaul ko hansi majaak me badal rahe the…Iss baar group me khaamoshi nahi tha pehle ki tarah.
Karib 1 hr chalne ke baad.
Kajal:- Sir abb aur kitna chalna padega…Mai to thak gayi hu.
Thakaan to sabhi ko mehsus hone laga tha…Lekin sawaal Kajal ne kiya.
Dr. Rahul:- Bas abb kuch der aur…Maybe 5 to 10 minutes…Trekking me maja nahi aa raha hai kya?
Kajal:- Maja to aa raha hai…Bilkul naya experience hai…Alag jagah, alag experience, alag hi majaa…Lekin abb thak gayi hu…Thoda rest ki jarurat hai.
Dr. Rahul:- Bas 5 minute…Fir aaj jaayega manjil jaha se waapsi karna hai.
Fir kuch der baad sabhi ka manjil bhi aa gaya…Sabhi rest karne lage…Kuch der baad Rahul sir sabhi ko wohi baithe rehne ka bol kar kuch kharidne chale gaye.
Atul:- Sorry Kajal.
Mauka dekhte hi Atul ne kaha.
Kajal:- Sorry kis liye?
Atul:- Subah tumse bahut rukhaa pan se baat kiya tha uske liye?
Kajal:- Tum bhi na…Maine uss baat ko seriously liya hi nahi…Jaanti thi tum pareshaan ho…Pareshaani me koi bhi iss tarike se baat karega hi.
Atul:- Bahut samajhdaar ho.
Kajal:- Wo to hu hi…Abb ye bataao…Hamaare bich sorry aur thank you kaha se aa gaya…Matlab dosti me no thank you and no sorry.
Atul:- Abb fir se wohi repeated dialogue…Dosti me no thank you no sorry…Kuch naya dialogue bolo yaar.
Atul bhi abb majaak ke mood me aane laga tha.
Kajal:- Abb naya dialogue kaha se laaungi…Kabhi socha nahi iss baare me.
Atul:- Socho socho…Sochne se log naye naye shaayari aur kavita likh daalte hai…Ye to bas dialogue hai.
Kajal:- Waah…Ek naya dialogue…Tumne to soche bina hi ek naya dialogue bol diya.
Atul:- Isme sochne ki kya baat…Agar mai mood me aa gaya to har ek line me ek naya dialogue bol dunga.
Atul ne muskura kar kaha.
Kajal:- To mood me hi raha karo.
Fir issi tarah dono ki baatein aur majaak chalta raha jo dekhne se nahi lagta tha ki kabhi khatm bhi hoga…Paas me hi Nisha dono ki baatein sun rahi thi…Usse jyada accha to nahi lag raha tha par pehle ki tarah bura bhi nahi…Abb thoda control karna sikh gayi thi wo.
Wo bhi intejaar kar rahi thi Atul ke saath akele me baat kar ke us ski pareshaani pucchne ki.
Aur dusri taraf Ajay abhi bhi gehri soch me tha…Achanak uske dimaag me ek idea aaya.
Ajay:- Anjali.
Anjali:- Ha.
Ajay:- Tumhe gol gappe bahut pasand hai na.
Anjali:- Ha bahut pasand hai…Lekin tum ye kyu pucch rahe ho.
Ajay:- Mujhe bhi khaane ka bahut man kar raha hai aaj…Waha saamne hi hai…Chalo chalte hai.
Atul:- Abe…Ye kya bol raha hai…Tujhe to kal tak bilkul bhi pasand nahi tha.
Ajay:- Lekin aaj khaane ka man kar raha hai.
Itna keh kar Ajay ne Anjali ko aankho se hi ishaara kiya chalne ke liye…Wo Atul se bahas karke time waste nahi karna chaahta tha.
Fir dono saamne paas ke hi thela me gaye…Fir dono saath khaane lage.
Ajay jabardasti thus raha tha aur saath hi pyar se Anjali ko dekhe jaa raha tha…Aaj usse Anjali baaki dino se jyada pyari aur khubsurat najar aa raha tha.
Anjali bhi Ajay ko samajhne ki koshish kar rahi thi.
Atul bhi ye dekh kar muskura raha tha...Aur soch raha tha..."Pata nahi ye pyar iss bechaare se aut kya kykya kya karwaayega."
Jab dono khaa kar waapas ussi jagah aane wale the tab Ajay ne Anjali ki haath pakad kar kaha.
Ajay:- Waha 2 minute akele me chalo…Kuch baat karna hai.
Anjali:- Kaho kya baat hai.
Ajay:- Personal hai…Akele me baat karna chaahta hu.
Anjali ko thoda bahut samajh me aa raha tha lekin wo fir bhi Ajay ke saath chali gayi.
5 minute baad dono ekaant me pahunch gaye.
Anjali:- Kaho kya baat hai.
Anjali ne Ajay ko dekh kar puccha.
Ajay ne bhi aankh band kar liya 2 second ke liye…Fir aankh khol kar apne pocket se ek gulaab ka ful (flower) nikaal kar Anjali ki taraf badhaa kar kaha.
Ajay:- I love you.
Bahut himmat kar ke anjaam ka parwaah kiye bina bol diya Ajay ne.
Anjali Ajay ke baat sun kar chaunk padi…Usse bilkul bhi pata nahi tha ki Ajay aisa keh dega ye baat, iss tarah se wo bhi itna jaldi.
Usne Ajay ki aankho me dekha…Usse Ajay ki aankho me apne liye pyar dikh raha tha…Pyar hi pyar…Aur aas lagaye ek intejaar…Uski jawaab ka.
[Note:- Finally all updates are posted which were written in xossip. Abb mulaakat hogi nayi updates ke saath...Aap sab dost ka bahut bahut shukriya jinhone yaha tak pahunchne me saath diya. Thank you all. ]
तो आज अजय ने ज
हिम्मत दिखा ही दी और अपने प्यार का इज़हार भी कर दिया अंजली प्यार तो करती है अजय से, लेकिन हो सकता है कुछ ड्रामा भी करे प्यार को स्वीकार करने में।।
Anjali kuch der Ajay ko hi dekhti rahi...Uske chehre me kuch bhaaw nahi tha...Kuch der aise hi Ajay ko dekhte rehne ke baad wo achanak se waha se chali jaati hai.
Ajay ke liye ye kisi jhatka se kam nahi tha...Wo Anjali ki jawaab ka intejaar kar raha tha...Yaa to haa yaa fir naa...Ek do baar usne Anjali ko piche se bulaya lekin koi faayda nahi...Anjali chali gayi ek baar bhi picche dekhe bina.
Karib 5 minute ka torture sehne ke baad Nisha ko mauka mil hi gaya...Abb jaake Kajal Atul se dur hui.
Nisha:- Kis soch me khoye hue ho Mr. AK?
Atul:- Kahi bhi to nahi.
Nisha:- Lekin aisa lagta to nahi.
Atul:- Wo kuch der pehle kuch soch raha tha abb nahi...Abb sab thik hai.
Nisha:- To fir thuk do
Atul:- Kya?
Nisha:- Ussi soch ko...Aur chill ho kar tour enjoy karo.
Nisha ki iss baat par Atul sirf muskuraata hi raha.
Nisha:- Tumne hi kaha tha mujhse...Abb ye dialogue copy paste kar rahi hu.
Atul:- Matlab meri billi mujhko hi myau.
Nisha:- Billi mat bolo...Warna ye billi kaatna bhi jaanti hai.
Atul:- Tab to iss billi se bach kar rehna padega.
Nisha:- Kya kaha tumne mujhe? Billi? How dare you?
Nisha ne bhi jhuttha gussa dikhaate hue kaha.
Atul:- Wo mai...Wo mai...
Atul abb fir se soch me pad gaya.
Nisha:- (With Smile) Bahut darpok ho tum.
Itna keh kar Nisha muskuraati hui waha se chali gayi.
Atul bhi waha muskuraata hua reh gaya...Abb usse Nisha ke saath ye hansi majaak bahut accha lag raha tha.
Kuch hi der me waha Ajay bhi aa gaya.
Atul:- Kya hua bey? Aise munh kyu latka hai tera?
Ajay kuch nahi kehta...Wo abhi bhi aise hi khada tha jaise uska pura duniya hi loot gaya hai.
Atul:- Bol na?
Atul ne hanste hue puccha lekin Ajay ne koi response nahi diya.
Atul:- Let me guess...Anjali ne tujhe waha se bhaga diya.
Itna keh kar Atul jor jor se hasne laga...Iss baar Ajay ne usse bahut gusse se dekha...Atul bhi samajh gaya ki kuch serious baat hai.
Atul:- Agar bataana chaahe to bata sakta hai.
Atul ne sirf itna hi kaha tha ki Ajay waha se chala gaya.
Trekking se waapsi ke vakt bhi kisi ke bich jyada baatein nahi hua...Ajay apni hi gham me tha...Kisi se usse koi matlab nahi tha...Anjali ke pyar se jyada uski khaamoshi usse jyada khal raha tha...Anjali ka aise ignore karna usse bahut bura lag raha tha.
Ek do baar fir usne Anjali se baat karne ki koshish ki lekin Anjali ne koi response nahi diya...Abb Ajay laghbhag toot hi gaya tha...Saare sapne saare khwahishein abb usse tootta najar aa raha tha...Haalaath aisa tha ki naa to hans paa raha tha aur naa hi roo sakta tha...Kisi tarah khhd ko sambhaale hue tha.
Atul bhi Ajay ki pareshaani dekh jyada bol nahi raha tha...Bas kabhi kabhi Nisha aur Kajal se baatein kar leta.
Trekking hi aaj ka last destination tha...Fir sab waapas hotel aa gaye...Atul aur Ajay ek hi room me thhe.
Atul:- Abb to bata de yaar...Kyu iss tarah ghut raha hai...Bata de...Sab thik kar dunga.
Ajay ne ek baar Atul ko dekha lekin bola kuch nahi.
Atul:- Apne dost ko bhi nahi batayega.
Iss baar Ajay chup nahi reh saka.
Ajay:- Nahi yaar...Abhi mat pucch...Abhi bataane ki haaalath me nahi hu...Fir kabhi bataaunga...Bharosha kar.
Atul:- Tu thik to hai na?
Abb Atul ko bhi dar lagne laga Ajay ki haalath dekh kar.
Ajay:- Ha thik hu...Thodi si pareshaani hai...Jald thik ho jaayega.
Atul:- Pakka.
Ajay:- Ha yaar...Pakka
Atul:- Apna khayal rakh...Jab thik lage bata dena.
Ajay ne sir ko haa me hilaya.
Atul thoda bahut uski pareshaani samajh gaya...Paise ya fir kisi majboori se usse pareshaan hone ki koi jarurat nahi tha...Kisi ki dhamki se bhi wo darne wala nahi tha.
Pyar...Yahi ek cheej hai jo kisi ko bhi majbur kar sakta hai...Atul ne ye mehsus kiya to nahi tha lekin samajh jarur sakta tha...Waise bhi wo apne dost ki haalath se kaise anjaan rehta.
Usne soch liya jald hi Anjali se baat karna padega iss baare me.
Fir wo bhi Ajay ke saath hi baith gaya...Khaali dimaag saitaan ka . Iss khaali dimaag me naye naye soch aane lage...Aur jab soch pyar me chala gaya...Uska soch wohi atak gaya.
Fir pyar ke baare me sochne laga...Kya hai ye pyar? Kaisa hai ye pyar? Log kyu karte hai pyar? Yahi sab sawaal ke baare me sochne lage...Park me dekha hua sab kuch yaad aa gaya aur saath hi Nisha ki baatein.
Atul:- Ajay?
Ajay:- Kya hua abb?
Atul:- Kuch movies dekhna hai? Apna mobile de idhar?
Ajay:- Lekin tu movies dekhta hi nahi.
Atul:- Aaj dekhne ka man kar raha hai.
Fir Atul Ajay ki mobile se apne mobile me kuch movies send kar leta hai.
Jab Ajay ne movies ke name dekha to ye uske liye kisi hairaani se kam nahi tha.
Ajay:- Ye kya? Tu kab se romantic movies dekhne laga?
Atul:- Aaj se...Pata nahi kyu aaj dekhne ka bahut man kar raha hai.
Ajay:- Sahi hai.
Itna keh kar Ajay fir chup ho gaya...Agar Ajay ka mood thik hota to aaj Atul ki khair nahi tha...Atul ka itna majaak banta romantic movies dekhne ki chakkar me ki ek ek pal uss par bhaari padta...Lekin Ajay kjud hi bahut buri haalath me tha iss vakt.
Atul fir movies me busy ho gaya aur saath hi kho gaya pyar ki alag hi duniya me...Ek aisi duniya jaha jaana to bahut aasan hai lekin nikalna bahut hi mushkil.
Ajay ne ek najar Atul ko dekha...Fir,
Ajay:- Ye pyar, mohabbat aur romance sab kuch bakwas hai...Logo ko dusro ki feelings ki koi parwah hi nahi.
Itna keh kar Ajay ne apne mobile se gusse me sabhi romantic movies delete kar diya aur uske chehre me gusse ke bhaaw aane laga.
Jaha ek taraf Atul pyar ki taraf khincha chala jaa raha tha wohi dusri taraf Ajay ko pyar se nafrat hone laga tha...Pata nahi ye tour aur kya kya dikhaane wala tha sabhi ki jindagi me.
एक बात समझ नहीं आ रही है। जब अंजली अजय से इतना प्यार करती है तो फिर वो इतना नाटक क्यों कर रही है ये समझ से परे है। माना कि उसे अजय को सताना था लेकिन कहीं इस चक्कर मे अजय को कुछ हो गया गो। मुझे समझ नहीं आता कि अंजली को हो क्या गया है।
Ajay:- To kya? Sona nahi hai tujhe aaj? Pehle hi 2 movies dekh chuka hai.
Atul:- Abhi to 1 aur dekhna baaki hai.
Ajay Atul ko ghurne lagta hai.
Ajay:- Ho kya gaya hai tujhe aaj kal? Paagalo jaisa behave kyu kar raha hai.
Atul:- Agar romantic hone ko paagal kehte hai to paagal hi sahi.
Atul ne hanste hue kaha...Ajay iss baar bahut hairaani se Atul ko ghurne laga.
Atul:- Kya hua bey? Ghur kyu raha hai?
Ajay:- Romantic aur tu?
Atul:- Ha...Kya burai hai mujh me?
Ajay:- Kuch nahi...Lekin tu pehle hi sahi tha...Ye Pyar wyar sab bakwas baatein hai...Viswas, Kasam aur Vaada sab majaak hai. Aisi chakkar se dur hi reh bhai...Issi me bhalayi hai.
Anjali ke liye gussa ek hi saans me Ajay ne keh diya...Abb usse bhi pyar se chhidh hone laga tha.
Atul:- Nahi yaar...Pehle mai bhi aisa hi sochta tha...Pyar bakwas baatein hai aur kuch nahi...Lekin jab se pyar ko dekhne ki najariya badla hai tab se ek alag si feelings mehsus hone lagi hai...Kuch alag...Jo abhi bayan nahi kar sakta.
Itna to pata chal gaya ki pyar hone ke baad duniya kitni haseen hoti hai.
Chato taraf hariyali, har buraai me bhi acchaayi dikhne lagta hai...Apne pyar ke baaho me samaate hue shaam dhalte vakt ki pyar bhari baatein, haatho me haath thaame raaste bhar pyar aur mohobbat ki baatein...Kaisa feelings hoga ye sab soch kar abhi se excitement hone laga hai.
Jyada kuch to nahi jaanta...Lekin pyar sabse pavitra ehsas hai...Ek aisa ehsas jo jindagi aur hamari andar ki khubsurati se mulaakaat karwati hai.
Itna keh kar Atul apne sapno ki duniya se baahar aaya to saamne dekha ki Ajay bura sa munh bana kar usse hi ghur raha hai.
Ajay:- Suru suru me to aisa hi lagta hai...Lekin jab pyar ka rang gehra hone lagta hai aur ham pyar ki gehraai me doob jaate hai tab pata chalta hai duniya ki asliyat...Tab kitna dard hota hai bata nahi sakta...Majaak ban kar reh jaate hai...Naa idhar ke naa udhar ke...Behtar yahi hai ki khudgarz ho kar apne jindagi me aage badhta reh...Pyar me kuch rakha nahi hai.
Ajay apbe dil ki saari bhadaas nikaal raha tha aur Atul uski baat sun kar muskuraata raha.
Atul:- Kitna dard hota hai?
Ajay:- Pyar ka paagalpan tujhe hai...Kuch dino me tu mujhe batayega kitna dard hota hai.
Atul:- Dard to abhi se hone laga hai...Meetha Dard.
Ajay:- Ek baat bata...Kal tak to tu bhi pyar ke khilaaf tha lekin aaj achanak se?
Atul:- Kabhi suna hai, "Grapes are sour." Pehle pyar ka matlab pata nahi tha...Abb kuch kuch samajh me aa raha hai.
Ajay:- Waise kaun hai wo badnaseeb?
Atul:- Abhi tak to koi nahi...Abhi to sirf ehsas hi hua hai pyar ka...Dhire dhire ho jaayega pyar.
Ajay:- Wtf? Ladki ka koi ataa pataa nahi aur bhai sahab chale pyar karne.
Atul:- Itni bhi kya jaldbaazi hai...Koi na koi aa hi jaayegi mujhe dhundte hue.
Ajay:- Kya? Koi aategi tujhe dhundte hue.
Atul:- Ha...Mera bhi personality hai, style hai, attitude hai...Ladki ki hi kismat hogi mujh jaisa bf milna.
Ajay:- Kych jyada hi confident nahi ho raha hai tu?
Atul:- Aree...Bhul hi gaya tha...Ek alag hi confident bhi hai.
Ajay:- Isse overconfidence kehte hai.
Atul:- Wo to vakt aane par pata chal jaayega.
Ajay:- Agar aisa hi attitude raha to single hi marega tu.
Atul:- (Badbadate hue) Teri tarah.
Ajay:- Kya?
Atul:- Kuch nahi...Tera sone ka time ho raha hai. 10:30 pm ho gaya hai...Soo jaa.
Ajay bhi sone ke liye apne bed par chala jaata hai...Lekin neend aaj uski aankho se koso dur tha...Pehle to Anjali se gussa hone ki puri koshish karta raha...Lekin naakam raha.
Dhire dhire dard abb uski aankho se aansu ke roop me behne lage...Isse bewafaayi kahe ya fir kuch aur Ajay ko kuch samajh me nahi aa raha tha...Usse to apba galti bhi pata nahi tha...Sirf ek jawaab hi maanga tha bechare ne lekin wo bhi usse nahi mila.
Raat bhar wo Anjali ko yaad karta raha...Uske saath bitaaye hue pal, dosti, masti, majaak aur bahut kuch....Naa hi wo Anjali ko bhul sakta tha aur naa hi aage badh sakta tha...Sirf ek ummeed tha...Anjali bhi usse pyar kar le...Sacchai ki duniya ko bhul kar wo bhi ummeed ki duniya me jeene laga tha...Aur kisi tarah apne dil ki dard ko kam karne ki koshish kar raha tha...Anjali ke bina usne apna jindagi ko socha bhi nahi tha.
Dusri taraf Atul...Pyar ke baare me uska bichaar abb badal raha tha...Pyar ka ehsas ne usse chhu liya tha...Abb ek alag hi raasta par khada tha wo...Raasta aur manjil se bekhabar wo apne ehsas me hi jee raha tha apne khayali duniya me.
कहनीं ने फिर करवट बदली है।
जिसे प्यार से नफरत थी वो आज प्यार के कसीदे पढ़ रहा है और जिसे प्यार से लगाव था वो आज यार की बुराई कर रहा हैं। ये प्यार भी कितना अजीब है। हर समय एक अलग रंग नजर आता है इसका।।
Aage ke destination ke liye ek baar fir sab saath hotel se baahar nikle.
Aaj inn ka aakhiri destination tha...Cave visit.
Atul aur Ajay ko dekhte hi Kajal boli.
Kajal:- Ye tum dono ki aankhein itni laal kyu hai?
Dono kuch bolte usse pehle hi,
Nisha:- Sasti nasha ka kamaal hai.
Nisha ki iss baat se sabhi hairaani se dono ko dekhne lagte hai...Rahul sir bhi.
Ajay buri tarah se chaunk gaya lekin Atul...
Atul:- (In his mind) Pyar ka nasha itna sasta nahi...Lekin bahut nashili hai.
Atul ye soch kar muskuraata hai fir.
Atul:- Mai nahi...Isne kiya hai nasha...Wo bhi raat bhar.
Abb sabhi ka dhyan Ajay par chala jaata hai.
Ajay:- Kya kuch bhi bol deta hai aur kahi bhi?
Ajay ko Atul ka majaak bilkul bhi pasand nahi aaya tha aur wo iss vakt majaak ke mood me bhi nahi tha.
Dr. Rahul:- Accha hai jo nahi kiya...Aur iss tour me karne ki sochna bhi mat...College ke reputation kam ho aisi kuch bhi cheej karne ki sochna bhi mat.
Nisha:- Kya sir aap bhi? Sirf tour me?
Dr. Rahul:- Ha...Sirf iss tour tak hi mera hak hai kehne ka...Baaki sab ki personal life hai...As a teacher sirf advice de sakta hu lekin force nahi kar sakta.
Nisha:- Hmm ye bhi sahi hai...Tum dono ne bataya nahi aankh laal hone ki vajah.
Atul:- Mai movies dekh raha tha aur ye (Ajay) macchar maar raha tha.
Ajay Atul ki iss baat par gusse se dekhta hai...Atul bhi samajh jaata hai iss vakt Ajay majaak ke mood me nahi hai.
Nisha:- Movies?
Fir Atul movies ke naam bata deta hai...Movies ka naam sun kar sabhi chaunk jaate hai...Sabse jyada Nisha...Aur wo Atul ko jor se pinch kar deti hai.
Atul:- Oucchhhh....Kya kar rahi ho?
Nisha:- Sapne me ho ya fir hosh me? Test kar rahi thi.
Atul:- To fir kya pata chala?
Nisha:- Hosh me hi ho...Lekin lagta hai tumhara fimaagi santulan hil gaya hai.
Nisha ko abhi bhi yakin nahi aa raha tha.
Kajal:- Atul tum movies bhi dekhne lage aur wo bhi romantic?
Atul:- Insaan hi hu...Emotions naam ke cheej mujh me bhi hai.
Atul ne muskuraate hue jawaab diya.
Kajal:- Aur Ajay tum?
Ajay:- Waise hi...Mujhe neend nahi aa raha tha.
Kajal:- Koi problem yaa fir tension?
Ajay:- Nahi aadat ho chuka hai.
Fir sabhi Atul ki taang khinchne lagte hai Atul ki iss badlaaw par.
Ajay sirf aur sirf Anjali ko hi dekh rahe tha iss ummeed me ki ek najar Anjali bhi usse dekh le...Lekin Anjali thhi ki Ajay ko koi bhaaw de hi nahi rahi thi...Aur ye sab dekh Ajay ko apne andar kuch tootta mehsus ho raha tha.
Apne dil ka dard Ajay naa to seh paa raha tha aur naa hi kisi ko bata sakta tha...Pyar kitna hassen aur khubsurat hota hai ye baat to wo bhi jaanta tha lekin ek tarfa pyar aur dil tootne ka dard aaj wo mehsus kar raha tha.
Fir sabhi aage nikal jaate hai...Ajay ke alawa sabhi hansi majaak karte hue aage chal rahe thhe...Aise hi sab cave me hi pahunch gaye.
Waha 4 caves thhe ek dusre ke paas...Chhota sa jungle ke bich bana hua cave bahut bada aur khubsurat tha...Jungle ki thandi haawa aur aas paas ka najara Cave ko aur bhi khubsurat bana raha tha...Baaki destinations ki tarah ye destination bhi sabhi ko bahut pasand aaya...Sabhi Cave ke andar jaane ke liye excited thhe...Lekin Ajay yaha aa kar bhi apne hi duniya me khoya hua tha.
Rahul sir ke paas jitna knowldege tha uss cave ke baare me wo sabhi ko bata rahe thhe...Cave kitna purana ho sakta hai? Structure aur geography kaisa hai? Jaanwar kaise rehte hai? Yahi sab baato ki information de rahe thhe.
Fir sabhi alag alag Cave me jaa kar observation karne lage...Yaha par bhi Atul aur Nisha ek saath aa jaate hai.
Nisha:- So Mr. Atul!!!
Atul:- Yes Miss Nisha.
Nisha:- Achanak ye badlaaw kaise?
Atul:- Kaisa badlaaw?
Nisha:- Yahi ki pyar ke naastik ko pehli baar romantic movies dekhte hue suna.
Atul:- Pyar ke naastik?
Nisha:- Haa tum.
Fir Atul muskura kar kehta hai.
Atul:- Ha naastik hi tha.
Nisha:- To abb?
Atul:- Abb lag raha hai ki mai galat tha...Sach me pyar cheej ki baat hi alag hai.
Nisha sirf muskuraati rahi.
Atul:- Aur iss baar galat hone me bhi majaa aa raha hai.
Nisha:- Muskura to aise rahe ho jaise sach me tumhe kisi se pyar ho gaya hai.
Atul:- Meri aisi kismat kaha jo koi mujhse pyar kare.
Nisha kuch kehti isse pehle hi Kajal usse bulaati hai.
Nisha bas Atul ko dekh muskuraati hai aur waha se chali jaati hai...Sach me usse Atul ki iss badlaaw dekh bahut accha lag raha tha...Nisha ki muskaan dekh Atul bhi kuskuraaye bina nahi reh paata.
Ajay bhi kuch der Caves me idhar udhar dekh raha tha.
Jab usse raha nahi gaya to Anjali ki talaash me nikal gaya.
Bahut jald Anjali usse mil gaya aur wo bhi akeli.
Ajay Anjali ke paas jaata hai aur Anjali Ajay se dur jaane ki koshish karti hai.
Ajay:- Ruko.
Anjali ruk jaati hai aur Ajay ko dekhti hai...Iss vakt Ajay ki aankho me bebasi aur gussa tha.
Anjali:- Aati hu kuch der me.
Ajay:- Nahi...Mujhe baat karna hai...Wo bhi abhi.
Anjali:- Kaho.
Ajay:- Ye sab kya hai Anjali.
Ek baar fir toot sa gaya Ajay.
Anjali:- Kya?
Ajay:- Tum nahi samajh rahi ho?
Ekdum se Ajay gussa me bola.
Anjali:- Kya?
Ajay:- Kal maine tumhe propose kiya tha?
Ajay gusse me bola aur fir ummeed bhari nigaho se Anjali ko dekhne laga.
Anjali:- Accha wo...Sorry kal jawaab nahi de paayi...Lekin mai tumse pyar nahi karti.
Anjali ke chehra me koi bhaaw nahi tha.
Ajay:- Lekin kyu?
Ajay bilkul hi toot chuka tha.
Anjali:- Kya kyu? Pyar nahi karti to nahi karti.
Ajay:- Lekin maine bhi tumhaari aankho me pyar dekha tha apne liye?
Anjali:- Meri bhool thi wo...Mujhe bhi lagta tha ki mai tumse pyar karti hu...Sirf attraction tha wo...Accha hua pehle hi pata chal gaya.
Ajay:- Lekin tum aise kaise kar sakti ho? Naaraj ho kya mujhse?
Anjali:- Nahi...Lekin pyar bhi nahi karti hu...Jitna jaldi samajh jaao utna hi behtar hai tumhare liye.
Ajay abb sirf Anjali ko dekhta hi raha...Abhi bhi usse Anjali ki baato par yakin nahi ho raha tha
Anjali:- Abhi bhi kuch kehna baaki hai yaa fir mai jaau?
Ajay Anjali ki jaane ke liye ishaara kar deta hai...Abb kehne ke liye baaki hi kya tha.
Anjali ke jaane ke baad abb Ajay se raha nahi gaya...Aankho aansuon se bhar gaye...Pyar me pehli baar roo raha tha wo...Aur dard tha ki saha hi nahi jaa raha...Wo Anjali ke roop me apni jindagi ko khud se dur jaata dekh raha tha.
यार ये अंजली का कुछ समझ नहीं आ रहा है। कहाँ तो वो निशा से कहती थी कि वो अजय से प्यार करती है और कहां अब अजय को ही मन कर रही है। क्या सच मे वो अजय को तड़प रही है या वो बदल गई।है।।
Raat ke 12 baj rahe thhe...Waise to ye sab ka sone ka vakt tha...Lekin do aankhein aise thhe jo aasmaan me sitaara gin raha tha...Aankho me aansu aur hontho me muskaan...Dard bhari muskaan.
Kabhi wo upar dekh bhagwan se shikaayat karta to kabhi khud ki haalaath par hansta.
Useless...Useless hai tu Ajay...Useless...Kisi kaam ka nahi...Issi liye Anjali ne bhi tujhe nikaal diya apni jindagi se.
Kabhi ye keh kar Ajay khud ko hi kosta to kabhi apni iss haalath par rota...Dil tootne ka dard nahi saha jaa raha tha Ajay se.
Aur apni dard ko bhulaane ke liye picchli 2 ghante me 1 beer ki bottle aur 20 cigarette funk chuka tha...Lekin dard tha ki jaa hi nahi jaa raha tha...Jaata bhi kaise dil tootne ka dard tha, pyar me haarne ka dard tha.
Itna pyar karne laga tha wo Anjali se ki naa hi wo abb usse bhul paa raha tha, naa hi nafrat kar paa raha tha aur naa hi aage badh paa raha tha...Bas apne kismat ko koste hue ummeed ki duniya me jeene laga tha.
Ajay
Ek pyari si aawaj ne Ajay ka dhyan toda.
Picche dekha...Raat ke andhera me bhi Anjali ka dudh sa chehra chaand ki roshni me chamak raha tha...Anjali aaj bahut hi pyari aur khubsurat lag rahi thi...Ajay Anjali se apna najar hata hi nahi paa raha tha aur naa hi vishwas kar paa raha tha ki ye sach hai.
Anjali bhi apni aankhein band kar ke boli.
Anjali:- I love you too.
Fir Anjali Ajay ko dekhti hai...Ajay ko abhi bhi viswash nahi ho raha tha...Yahi to wo 3 magical words thhe jo Ajay sunne ko taras gaya tha...Aur jab suna to viswash nahi kar paa raha tha...Usse khud aisa lag raha tha jaise wo sapne me hai.
Ajay ka hairaan chehra dekh Anjali muskuraaye bina nahi reh paayi.
Anjali:- Kaisa laga surprise aur birthday gift?
Anjali ki iss baat par Ajay khud ko yakin dilaane ke liye pinch karne lagta hai...Tabhi galti se haath cigarette se jal jaata hai.
Ajay:- Ouch.
Abb jaake Anjali ko bhi ehsas hoti hai ki Ajay cigarette pee raha hai...Smell bhi aa raha tha aur aas paas usse aur bhi cigarettes aur beer ki bottle dikhta hai.
Yakin nahi ho raha tha ki Ajay khud ko itna bhi nukshaan pahucha sakta hai.
Jaldi se wo Ajay ke paas jaa kar wo cigarette fenk deti hai.
Anjali:- Kya hai he sab? Kyu kar rahe ho aisa?
Anjali ne daantte hue kaha...Lekin Ajay Anjali ki hontho me apna ungli rakh deta hai...Abb uski hontho me bhi muskaan aa jaata hai.
Ajay:- Fir se bolo na?
Anjali:- Kya?
Ajay:- Wohi?
Anjali:- Kya wohi?
Ajay:- Wohi 3 magical words.
Anjali:- Nahi mujhe sharm aati hai.
Anjali sach me sharma kar niche dekhne lagti hai.
Ajay:- Please.
Ajay ki aisi najar aur pyar bhari baat sun kar Anjali aur bhi sharmaane lagti hai.
Ajay:- Please ek baar aur.
Anjali:- I Love you.
Fir Anjali bhaag kar chhat ke duare kone me chali jaati hai.
Abb Ajay ke dil ko sukoon mila...Ek pal me hi usse duniya bhar ki saari khushiyan mil gayi...Saare gile sikwe dur ho gaye aur saare nasha gaayab...Bas abb chehre me khushi hi khushi jhalak raha tha.
Daud kar wo Anjali ke paas gaya.
Anjali:- Bataya nahi tumne kaisa laga tumhara birthday surprise?
Ajay ne time dekha...12:15 am...Yaani ki aaj uska birthday tha.
Ajay:- Aaj tak ka best...Sach me pehli baar birthday me itni khushi mila hai...Lekin tumne bahut galat kiya.
Anjali:- Kyu?
Ajay:- Itna kaun tadpaata hai? Aur sirf iss liye tum mujhe naa keh rahi thi.
Anjali:- Nahi...Ye bhi dekhna chaahti thi ki mere naa kehne par tum kya karte ho mere liye...Kaise manaate ho?
Ajay:- Are tumhaare bina to mai kuch hu hi nahi...Mar jaaunga tumhaare bina...
Ajay isse aage kuch kehta Anjali apne haath Ajay ki munh par rakh deti hai.
Anjali:- Lekin tum to fir se nasha karne lag gaye.
Anjali ne naraaj hote hue kaha.
Ajay apne pocket se 2 cigarette ka pack nikaalta hai aur chhat se fenk deta hai.
Ajay:- Abb khush.
Anjali muskuraane lagti hai.
Ajay fir se Anjali ko dekhne lagta hai...Usse bahut pyar aa raha tha Anjali par.
Ajay:- Sach me bahut tadpaaya tumne...Lekin badi badi pyar ki kahaniyo me aisi chhoti chhoti baatein hoti rehti hai.
Anjali:- Bari pyar ki baatein?
Ajay:- Agar nahi hai to bana denge...Bas tumhaara saath chaahiye.
Ajay ki baat par Anjali for se sharma gayi.
Anjali:- Kya baat hai? Aaj bahut bol rahe ho? Pehle to munh se ek shabd nahi nikalta tha.
Ajay:- Sab pyar ki taakat hai...Tumhaari pyar ki.
Anjali sirf muskuraati hai.
Ajay:- Abb to tumse pyar karne ke baad dar lagne laga hai...Aisa shock deti ho ki kahi heart attack na aa jaaye.
Ajay:- (Haath jod kar) Please itni romantic raat me Atul mat bano.
Ajay ki iss baat par Anjali khil khila kar hasne lagti hai...Ajay bhi muskuraate hue usse pyar se dekhne lagta hai...Anjali ko hanste hue dekh Ajay ko bahut sukoon mil raha tha.
Tabhi Ajay ki mobile me message aata hai.
Ajay:- Naam liya Shaitaan haajir.
Atul:- Abey wo Pyar me haara hua aashiq...Chhat me soo to nahi gaya.
Tabhi Anjali ki mobile me Nisha ki message aata hai.
Nisha:- Raat bhar Dating ki planning kar rahi hai kya? Raat bahut ho chuka hai...Abb aa bhi jaa.
Ye messages dekh dono ka mood off ho jaata hai. Itni romantic raat hone wali thi lekin...
Anjali:- Accha to chalti hu.
Ajay:- Kal saath chalogi?
Anjali:- Kaha?
Ajay:- Coffee peene.
Anjali haa me sir hilaa kar chali jaati hai.
Ajay bhi niche apni room ki taraf chala jaata hai...Jaate vakt uske chehre me duniya bhar ka khushi tha...Bhul gaya tha ki kuch vakt pehle wo toota hua aashiq tha.
Abb to usse bas wo khud aur Anjali hi dikhaayi de rahe thhe...Anjali ke uske pyar ko apnaane ke baad usse aisa lag raha tha jaise usse ek nayi jeevan mila hai...Anjali ka uski jindagi me hona aur naa hona kya maayne rakhta hai usse pata chal gaya tha.
Usne khud se hi ek vaada kiya, "Wo jindagi bhar Anjali se aise hi pyar karta rahega aur uski pyar ka hamesha samman karega."
Room me pahuchne ke baad.
Atul:- Ho gaye saare gile shikwe dur.
Atul ne haste hue kaha.
Ajay:- Matlab?
Atul sirf hansta hi rehta hai.
Ajay:- Matlab tujhe sab kuch pata tha.
Atul haa me sir hilaata hai aur Ajay par hasne lagta hai.
Iss wrestling me maarne wala Ajay tha aur maar khaane wala Atul.
Atul:- Bas bas bhai...Pehle hi 2 haddiyan tod chuka hai...Aur kitna maarega?
Ajay:- Tujhe to jaan se maarne ka man kar raha hai...Aisa bhi koi karta hai kya...Wo bhi apne dost ke saath?
Atul:- Dost ke saath hi to karte hai masti majaak.
Ajay:- Ye masti majaak tha? Mera to jaan hi nikal raha tha.
Atul:- Iska bhi alag hi maja hai.
Ajay:- Jab tere saath ye sab hoga na tab pata chalega...Pyar me dil tootne ka dard...Bata nahi sakta yaar...Kya kya gujar raha tha mujh par...Haara hua insaan mehsus kar raha tha...Saare ke saare khwahishein ek pal me toot gaye...Saare sapne bikhar gaye...Aur yaha tak ki jindagi jeene ka makshad bhi...Bahut dard hota hai yaar...Bhagwan aisa kisi dushman ke saath bhi na kare.
Atul:- Abe oye...Itna senti kyu ho raha hai abb? Anjali mil gayi na tujhe.
Ajay:- Agar tu nahi hota to bahut pehle mil jaati.
Atul:- Pyar me sabra chaahiye...Have a patience bro...Muft mai agar kuch cheej mil jaaye naa to uska koi mol nahi hota...Abb to tujhe pata chal gaya na Anjali tere liye kya maayine rakhti hai.
Atul ki baat par Ajay bhi sehmat tha...Kuch der baad.
Ajay:- Bahut bada surprise tha yaar...Lekin ye sab tune kiya kaise?
Atul:- Jab tera sada hua munh dekha to pata chal gaya kuch gadbad hai...Tune bataane se mana kar diya to maine Anjali se jaa kar baat kiya.
Ye sab uska plan tha aur mai bhi iss me shaamil ho gaya...Tere haalath ka maja lene ka socha ham sabne.
Bas yahi vajah tha tere akelepan me bhi kisi ne saath nahi diya...Sirf Kajal hi thi jo thoda bahut baat kar rahi thi tujhse.
Atul ki baat sunne ke baad Ajay kuch der baad Atul ko dekhta raha.
Ajay:- Agar mai koi galat kadam utha leta to pyar me haarne ki gham me?
Atul:- Tera aas paas hi tha mai...Agar aisa lagta to do kaan ke niche lagaata aur hosh me waapas le aata.
Ajay:- Bahut kamina hai tu.
Atul:- Har dost kamina hota hai.
Ajay:- Intejaar hai mukhe bhi uss mauke ka jab mai bhi kamina ban kar tera band bajaau.
Ajay ki iss baat par dono hasne lagte hai.
Kuch der baad.
Ajay:- Haa yaad aaya...Tu bhi kuch romantic hone laga hai.
Ajay ki iss baat par Atul ekdum se chup ho gaya...Usne andaaja laga liya Abb Ajay mood me hai...Abb wo kya se kya pucchega ye to bas bhagwaan hi jaane.
Ajay:- Kaun hai wo?
Atul:- Kaun?
Ajay:- Wohi jisse tu pyar karta hai? Matlab teri gf?
Atul:- Abhi tak koi nahi.
Ajay:- Kya? To fir khud se hi pyar karta hai?
Atul:- Nahi re...Abhi tak koi mili nahi hai.
Ajay:- Nisha bhi nahi?
Ajay ki iss baat ne Atul par bahut bada dhamaka kar diya...Ajay se pehle ek do dost ne bhi Atul se yahi pucha tha...Yaha tak ki wo bhi soch me pad gaya tha...Kya wo aur Nisha itna close hai?
Atul:- Nahi wo sirf meri friend hai...Best friend.
Atul baat ko taalne ki koshish kar raha tha.
Ajay:- Best friend hi yaa isse bhi jyada.
Atul:- Ye kya bakwaas kar raha hai? Bol diya na friend matlab friend...Aur isse jyada uske baare me soch bhi nahi sakta...Wo kisi aur se pyar karti hai.
Abb ye bakwas band kar.
Atul ne gusse me kaha aur waha se chala gaya...Ajay bas dekhta hi reh gaya.
Atul waha se nikal kar chhath me chala gaya...Aur akele me badbadaane laga.
Atul:- Log aur unki mentality...Kya ek ladka aur ladki dost nahi ho sakte? Saath dekhe nahi ki pyar aur affair ka naam de dete hai...Sick mentality.
Baaki koi kuch bhi bole mukhe matlab nahi lekin Ajay...Wo bhi aisi bakwaas sochta hai...Ladki se dosti karna jaise gunaah hi ho gaya hai.
Mai itna kyu soch raha hu...Ye logo ki sick mentality hai jo badal to nahi sakta...Wo jo bhi soche mujhe kya.
Fir Atul ka gussa shaant hone lagta hai.
Atul:- Lekin mai itna gussa kyu ho raha tha...Itna bhi to keh sakta tha ki mai aur Nisha sirf dost hai.
Atul fir soch me pad jaata hai...Aur iss baar uske soch me sirf Nisha hi thi...Uske saath bitaaye pal...Har sukh dukh ka pal, masti majaak ka pal, misunderstanding aur ladaai ke pal...Apne life ke sabhi yaadgaar pal me Nisha hi usse yaad aane lagi...Chahe pareshaani ho yaa fir khushiyan...Har pal me Nisha Atul ke saath thi.
Nisha sach me Atul ke dil aur dimaag ke gehraai me bas gayi thi...Ek baar to Atul bhi soch me pad gaya...Lekin agle pal hi ye khayal dimaag se nikaal diya.
"Nahi ham sirf dost hai...Close friend...Best friend...Issi liye itne acche se ek dusre ko jaante hai, samajhte hai aur yaad karte hai...Aur ye dosti hamesha aise hi rahega."
"Aur Nisha bhi to kisi aur se pyar karti hai...Mai kaise uske baare me aisa soch sakta hu...Ye to dosti ke naam par kalank hoga."
Fir Atul apna soch pakka kar leta hai..."Nisha uski best friend hai aur hamesha friend hi rahegi."
Atul aur Nisha ki saath bitaaye pal aur Nisha ki baaton ka asar Atul par iss tarah pada tha ki Atul ka soch aur najariya me bahut badlaaw aane laga tha...Nisha uske dil ki gehraaiyo me basti jaa rahi thi aur abhi wo iss baat se anjaan tha...Pyar ka suruwaat to ho chuka tha...Lekin Atul ka iss pyar ko jhuthlaane ki koshish iss pyar ko naya mod ki taraf le jaa raha tha...Ek khatarnak mod.
Atul apne soch me hi vyast tha ki piche se ek pyari si aawaj uske kaan par padta hai.
"Hello Mr. AK"
Aawaj sunte hi Atul ke hontho par ek muskaan aa jaata hai aur wo andar se khush ho jaata hai...Aur hontho me muskaan ke saath piche Nisha ki taraf mudd jaata hai.
तो ये सब प्लान था सभी का अजय को मारने का। मतलब इस स्थिति में ले जाने का की वो कोई गलत कदम भी उठा ले। वैसे ये अच्छा हुआ कि अजय को उसका प्यार मिल ही गया। अब अतुल बचा है देखते हैं उसका नम्वर कब लगता है।।
Lekin piche koi nahi tha...Atul aas paas chal kar Nisha ko dhundne lagta hai lekin Nisha nahi milti.
Tab Atul ko andhera ka ehsas hota hai...Ghadi me dekha to 1:00 am baj raha tha.
Atul:- Itni raat ko wo kaise yaha aa sakti hai Pata nahi mai hi kuch bhi dekh leta hu aur kuch bhi sunne lag jaata hu...Abhi nahi sounga to pata nahi aur kya kya dekhna padega.
Next Morning
Nisha:- Ham kaha jaa rahe hai?
Atul:- Cake order karne...Aaj Ajay ka birthday hai.
Nisha:- Surprise birthday
Atul:- Haa aur Naa...Ajay ko bataya to nahi hai lekin usse pata hoga ki usse surprise milega...Experienced ho chuka hai wo surprise se bhi unsurprise hone ka.
Nisha:- Kya reaction tha Ajay ka hamaara surprise planning ka?
Atul:- Puccho mat.
Atul ne munh bigaadte hue kaha.
Nisha:- Kya hua?
Atul:- Kya hoga jab ek cricket player ko wrestling khelne bhejoge to? Wahi hua.
Atul ki iss baat par Nisha buri tarah se hasne lagi.
Atul:- Abhi bhi pure body me pain hai...Aage se aise surprise khud ko bhi nahi dunga.
Atul ne munh aur bigaadte hue kaha to Nisha aur bhi hasne lagi.
Atul:- Ouch...
Iss baar thoda jor se cheekha Atul...Aur achanak se gussa me dikhne laga...Nisha bhi serious ho gayi.
Idhar udhar dekhne par ek football mila...Samajhte der nahi laga ki ball uske chehre par laga hai.
Fir Atul idhar udhar players ko dekhne lagta hai...Lekin uska gussa ek hi pal me shaant ho jaate hai.
"Sorry bhaiya", Kuch bacche lagh bhag 2 ya 3 class ke students honge wo Atul ke paas aa kar bolte hai...Unki maasumiyat dekh Atul apna saara gussa thuk deta hai.
"Koi baat nahi" keh kar Atul unhe ball de deta hai.
"Bhaiya aap bhi kheliye na...Hamaare paas goal keeper hi nahi hai aur haar rahe hai."
"Are nahi beta...Mujhe football khelna nahi aata."
Nisha:- Beta
Nisha chaunk kar kehti hai.
Atul:- (In Nisha's ear) Agar abhi shaadi karunga to 3, 4 saal me itne bade bacche ho hi jaayenge.
Ye sunte hi Nisha Atul ko maarna lagti hai.
Nisha:- Kuch bhi...Bahut bakwaas jokes tha.
"Please Bhaiya"
Nisha:- Thik hai...Bhaiya jarur khelenge.
Atul:- Lekin mujhe practice nahi hai football khelne ki.
Nisha:- Kya fark hai...Cricket me Wicket keeper aur Football me Goal keeper.
Atul:- Lekin mai Wicket keeper nahi batting all rounder hu.
Nisha:- (Aankhe dikhaate hue) Chup chaap khelo.
Atul bhi abb mana nahi kar paata hai.
Nisha:- Aur practice ki kya jarurat...Koi bada league thodi khel rahe ho...Baccho ke saath masti hi to hai.
Nisha:- Kya mai bhi khel sakti hu?
Bacche maan jaate hai aur Atul hairaani se Nisha ko dekhne lagta hai.
Nisha:- Aankhe itni badi kyu kar rahe ho...School me girl's team ka best football player thi...Abb khelna chhod diya.
Aur match start ho jaata hai...Atul aur Nisha ek dusre ka opponents the...Atul goal keeper aur Nisha striker.
Game suru hone ke kuch der baad Atul ko bhi maja aane lagta hai.
Suru me to uska focus sirf game par hi tha...Lekin dhire dhire kab wo Nisha ki taraf khinchte hue chala gaya usse khud hi pata nahi chala.
Daudte vakt hawaon me lehraati Nisha ki khuli baal...Aur jab bhi wo baal Nisha ke chehre ko dhakta aur Nisha badi adaaon se usse hataati ye dekh Atul apna pura hosh hi kho baitha tha...Aaj usse pata chal raha tha Nisha kitni khubsurat hai...Passene se bheega hua chehra aur bhi jyada chamak raha tha.
Haalat aisa ho gaya tha Atul ka ki wo game me kam Nisha par jyada dhyan de raha tha.
Uss par se Nisha ki skills...Bahut acche se khel rahi thi wo...Ye dekh kar to Atul bhi uska fan banne se khud ko rok nahi paaya.
Aur thakaan ke vakt jab Nisha lambi lambi saansein le rahi thi tab Atul ne sirf do pal hi usko dekh paaya ki,
Atul:- (In his mind) Nahi nahi ye bahut galat hai...Itna bhi niche nahi gir sakta mai.
Fir Atul Nisha ki khubsurat chehra ko hi dekhne lagta hai...Aur ek baar fir usme kho gaya.
Goal.
Bahut tej aawaj se bacche chillane lage tab jaa kar Atul hosh me aaya...Dekha to sach me goal tha...Baccho aur Nisha ki celebration...Baccho ki tarah Nisha khush ho gayi jause wo bhi bacchi hai...Nisha ko itna khush dekh Atul bhi muskuraaye bina nahi reh paaya.
2 goal...3 goal...4 goal.
Nisha:- Aise to haar jaaoge.
Nisha ne Atul ko chidhaate hue kaha.
Atul:- (In his mind) Tumhari ek hansi ke liye ek match to kya hazaar match kurbaan kar du.
Aur fir Atul Nisha par hi khone lag gaya.
5 goal...6 goal...aur 7 goal.
Final score 7-2.
Nisha aur opponent ke bacche bahut khushiyan mana rahe the.
Atul ka team ka wo baccha jisne Atul ko khelne ke liye bulaya tha.
"Kya bhaiya...Aapne to hara diya?"
Baccha bahut dukhi tha...Atul usko apne kandhe me utha kar muskuraate hue kehta hai.
Atul:- Kabhi kabhi haarna bhi padta hai...Haar ka bhi alag hi majaa hai.
Bacche ko kuch samajh me nahi aaya lekin wo bola bhi kuch nahi.
Fir Atul sabhi baccho ko aur Nisha ko bula kar saath le chalta hai aur sabhi baccho ko kuch chocolates kharid kar deta hai...Bacche khus ho kar chale jaate hai.
Fir Atul apne liye aur Nisha ke liye kuch chocolates leta hai.
Nisha:- Abhi bhi khaate ho chocolates?
Atul:- Haa khata hu...Abhi bhi ka kya matlab? Abhi bhi khaata hu aur hamesha khaata rahunga...Bahut accha lagta hai.
Nisha:- Abhi bhi bacche hi ho.
Atul:- Agar aisa hai to ha baccha hi hu...Aur hamesha rahunga.
Atul ne bhi muskura kar jawaab diya.
Nisha:- Kaisa laga aaj ka match.
Atul:- Bahut maja aaya...Baccho ke saath ham bhi bacche ban gaye thhe.
Nisha:- Ha...Kitna maja aa raha tha...Abhi bhi bacche ban ne me...11th ke baad responsibility ki vajah se kab samajhdaar ban gaye pata hi nahi chala...Bacchpana to kab bhul gaye wo bhi pata nahi chala...Lekin aaj sach me bahut accha laga ek baar fir bachpan ki yaadein taaja ho gayi.
Atul:- Hmm...Abb utna vakt nahi milta...Aur mile bhi to ye sab sochne ki fursat hi nahi...Lekin aaj ka to kuch bata hi nahi sakta...Childhood is the best moment of our life.
Atul ki iss baat par Nisha sirf muskuraati hai.
Nisha:- Kya dekh rahe ho?
Atul:- Kuch nahi.
Nisha:- Are bolo na?
Atul:- Yahi ki kitni jaldi tumhaare saath itna close ho gaya hu...Friends to bahut saare hai jinse hi hello karta hu...Lekin close friends bahut hi kam...Jinke saath vakt bitaana pasand karta hu, special feel karta hu aur hamesha saath rehne ki khwahish hota hai...Tum, Ajay aur Kajal hi ho aise friends...Sach me bahut lucky hu tum sab ko apna dost ke roop me paa kar.
Nisha bhi Atul ki baat par bahut khush ho jaati hai...Sach me bahut badlaaw aa gaya tha Atul me...Aur ye baat wo abhi nahi football match ke vakt se hi notice kar rahi thi.
Nisha:- Dosti cheej hi aisi hai Mr. Atul.
Atul:- Hmm sahi kaha...Aur dosto ke saath vakt bitaana wo bhi aisi jagah me aur bhi khaas...Naa life ki koi tension aur naa hi future ke liye planning...Sirf dosti aur masti.
Nisha:- Kitna jaldi khatm ho gaya na ye tour...Aaj last day hi hai hamaara yaha...Aur sabhi destinations bhi khatm ho gaye...Bahut maja aaya iss tour me aur bahut hi accha experience tha.
Atul:-Hmm...Accha to bilkul bhi nahi lag raha hai itni jaldi yaha se nikalne wale hai...Kaas kuch din aur....
Nisha:- Arre itna senti kyu ho rahe ho? Fir baad me bhi aayenge...Waise bhi ham sab dost to saath hi hai...College me bhi masti karenge.
Nisha ki iss baat par Atul uski taraf muskuraate hue dekhta hai...Nisha bhi muskura rahi thi...Atul ek baar fir Nisha ki issi muskaan me kho gaya.
Ajay:- Pair (Leg) kaha hai tera? Aisa birthday celebration sala jindagi me kabhi nahi hua.
Ajay:- Ha hans le...Hans Hans...Udaa le majaak.
Atul abhi bhi hanse jaa raha tha.
Ajay:- Aisa wishes sala aaj pehli baar mila.
Ajay thoda gussa me bola.
Atul:- Thaa na unique?
Ajay:- Unique...Majaak tha wish ke naam par.
Atul:- Aisa kyu laga tujhe?
Ajay:- Ek to sabhi department ke lecturer ke darshan ho gaye...Unhe dekh kar aise hi mere haalat kharaab ho gaya tha...Aur baaki ke kaam unke wish ne kar diya.
From Anatomy..."Happy Birthday Ajay...Best wishes for you...Yahi ummeed karta hu ki tum practical muscle ke naam naa sahi artery aur vein pehchaane ki koshish karo."
Issi tarah sab department ne wishes kiya aur sab ne suggestion bhi diya.
Biochemistry...Practical ke vakt test tubes mat fodo.
Microbiology...Mai hu issi liye kuch nahi kehta hu...Maaf kar deta hu mistakes ko...Lekin bacteria maaf nahi karega...Ek baar infection ho gaya to tum jaante hi ho...Microbiology ke practical me koi majaak nahi."
Physiology:- At least 12 tak ka knowledge hi sahi...Kuch to padh lo.
Pharmacology:- Capsule aur tablet to pehchaan lo.
Pathology:- Bahut improvement chahiye...Atleast Microscope me living cell aur necrotic cell pehchaano.
Aur last me Ravi.
Ravi:- Tujhse to baat bhi nahi karna chaahta...Birthday hai to chal wish kar hi deta hu...Exam me just pass hi sahi ho jaa.
(To Atul) Itna bekaar hu kya mai...Itna majaak...Sala sabko sahi vakt mila mera majaak udaane ka.
Gussa aur bejjati me Ajay ka aankh laal ho gaya tha...Atul thoda muskura kar.
Atul:- My dear stupid friend...Baat ka galat matlab kaise nikaale ye tujhse sikhna chaahiye.
Teachers ne kya kaha ye to tune suna...Lekin unki baat ka tarika nahi samajh paaya...Sabhi majaak me keh rahe thhe.
Sabhi jaante hai tu talent hai...Dimaag hai...Lekin padhta nahi...Wo jaante hai tu jarur padhega aur accha student banega...Agar nahi to aaj tak sabhi department ke chakkar kaat raha hota.
Unki wishes me kitni sacchai hai tujhe ye dikha bhi nahi...Bas masti majaak ke liye unhone aisa kaha...Lekin unhe ye kya pata tha ki tu ye baat seriously lega.
Ajay ek baar fir soch me pad gaya.
Atul:- Abhi nahi samjhega...Dimaag thanda ho jaaye na tab sochna...Aur ha positively.
Ajay:- Accha to wo Ravi?
Atul:- Uski baat chhod na...Wo to sala hai hi bewkuf...Usne pass hone ki challenge kiya tha na...Tu usse bhi accha kar ke dikha de.
Ajay:- Lekin kaise?
Atul:- Jyada late hua hi nahi hai...Abhi se padhna start kar...Sab catch kar lega.
Ajay sirf soch hi raha tha.
Atul:- Talented hai yaar tu...Issi liye sabhi teachers ko vishwas hai tujh par...Aur tujhe time de rahe hai...Tujhe bhi to pata hai kab aur kaise padhna hai...Mujhe bhi vishwas hai...Agar late hua padhne me to laat maar kar padhaunga.
Abhi tak tujhe padhne ke liye kaha nahi...Kyuki mai tera potential jaanta hu...Kuch hi months to hue hai college join kiye...Enjoy kar le...Abb to jindagi bhar padhna hi hai.
Ajay abhi bhi kuch bol nahi raha tha...Sirf soch hi raha tha.
After some times.
Ajay:- Thanks yaar.
Atul:- Aur wo kis liye?
Ajay:- Sach me unique birthday tha...Pehle Anjali ka propose....Aur sabhi dosto ke saath celebration...Aur teachers ka wishes...Sach me yaar bahut masti majaak chal raha tha...Wo to mai hi serious ho gaya aur mood spoil ho gaya.
Atul:- Itni jaldi soch badal gaya?
Ajay:- Sab najariye ki baat hai...Abb sab samajh me aa raha hai.
Atul:- 10:00 pm baja hai...Aaj ka din me 2 hrs baaki hai...Ye tera din hai...Enjoy kar...Munh ko sada hua karela banane se koi faaidaa nahi...Enjoy man.
Ajay:- Tera taarif karna accha to nahi lagta...Par aaj kahunga...Sahi me bahut acha dost hai yaar...Padhaai se lekar sab kuch...Har cheej me help karta hai.
Atul:- Wo to mai jaanta hu.
Atul ne bahut hi shaan me kaha.
Ajay:- Abb jyada udd mat.
Atul:- Kyu? Kya karega? Mera pankh kaatega?
Atul kuch kehta usse pehle hi Atul ko phone aata hai...Phone Nisha ka tha.
Aaj pehli baar Atul ko Nisha ke phone ko pick karne baahar jaana pada.
.
.
.
.
.
Atul:- Kaha le jaa rahi ho?
Nisha:- Are chalo na chup chaap...Kitni sawaal karte ho?
Fir Nisha Atul ko ek mall par le jaati hai.
Nisha:- Daro mat...Tumhara pocket khaali nahi karungi.
Fir Nisha 2 ice-creams lekar mall se nikalti hai.
Atul:- Paagal ho kya? Itni raat ko ice cream?
Nisha:- Khaao to?
Atul:- Nahi nahi...Mujhe thand lag raha hai.
Atul thandi hawaa ki vajah se thoda kaamp bhi raha tha.
Fir Nisha ki thodi jidd karne par Atul ice-cream khaane lagta hai.
Fir dono saath chalne lagta hai.
Iss baar Nisha Atul ka haath pakad leti hai.
Nisha ka haath pakadne se Atul ko alag hi jhatka lagta hai...Kabhi wo kisi ladki ke itna kareeb nahi aaya tha...Aur aaj itni raat ko...Thandi thandi mausam...Aur itne sunsaan me dono itne paas chal rahe the...Atul ki dil aur dimaag me tarah tarah ke khayal aane laga tha.
Kabhi wo Nisha ko pyar se dekhta to kabhi apne soch ko jhatak deta.
Fir dono ek field par jaa kar baith jaate hai.
Atul kuch nahi bol raha tha...Kabhi Nisha ko dekhta to kabhi apne dil aur dimaag par kaabu kar leta.
Nisha:- Kya hua?
Atul:- Kkucchhh nahiii?
Nisha:- Kisi soch me ho?
Atul:- Nahiiii.
Atul ke paas bolne ke liye shabd kam ad rahe thhe...Aur Nisha Atul ki haalat par hans rahi thi.
Nisha:- Pucchoge nahi? Yaha kyu laayi hu?
Atul:- Bataaaooo.
Atul ko gussa aane laga tha khud par apni iss bewkoofi par aur apne dil par kaabu naa kar paane ki vajah se.
Nisha:- Kabhi raat me akele ghuma hai?
Atul:- Nahi.
Nisha:- Bas issi liye...Tour aur inn locations ko khubsurati to din me ham dekh hi chuke hai...Lekin raat me?
Raat ki khubsurati bhi alag hai...Dekho na...Chaandni raat...Sunsaan jagah...Thandi mausam...Khaalipan...Aur inn khaalipan me bhi kitna kuch hai...Dil me alag hi sukoon milta hai...Koi pareshaani ho to shaanti milta hai...Aur kissi se baat karne ka maja hi alag hai.
(To Atul) Kyu Dr. Sahab...Sach bol rahi hu na?
Atul:- Ji Dr. Sahiba...Aap kabhi galat bol sakti hai kya?
Nisha:- Kitaab se baahar aaiye kabhi...Aur kudrat ka maja lijiye...Har tarah se...Dekhna jaldi hi aap jindagi ke har rang ko jeena sikh jaayenge...Aur pata chalega ki kudrat ki tarah hamaari jindagi kitni khubsurat hai...Din ho ya raat...Sukh ho ya dukh...Har pal ko jeena chaahiye.
Atul:- Itna bhi padhaaku nahi hu jitna tum sochti hu...Jindagi ko jeeta bhi hu...Lekin tumse milne ke baad pata chala ki jindagi ko kitne acche se jee sakte hai.
Fir Atul Nisha ko dekhta hai...Iss chandni raat me Nisha ki khubsurati aur bhi chamak raha tha...Ek baar fir wo Nisha me khone laga tha...Tarah tarah ke khayal aur sapne bhi aane laga tha.
Nisha ki pyar ne Atul ko uski soch badalne par majbur kar hi diya...Atul ko bhi uski meethi baaton, adaaon aur pyar bhari saath ke saamne haar maanna hi pada...Pyar hota hi aisa hai...Insaan ko kab aur kaise badal de kuch pata hi nahi chalta.
Lekin Atul Shreya ki baat ko unsuna kar apna bag pack karne lagta hai...Shreya bas usse dekhte hi reh gayi...Naa hi Atul kuch bol raha tha aur naa hi dhyan de raha tha.
Bag pack karne ke baad.
Atul:- Sorry but mujhe nikalna hai...Maa ka phone aaya tha ghar se Didi ki tabiyat bahut kharab hai...Mujhe jaana hoga.
Atul ki chehre me pareshaani ke saath dar bhi tha...Kahi Didi ko kuch ho na jaaye iss baat ka dar usse andar se khaaye jaa raha tha.
Shreya bhi room se nikal aati hai...Atul bhi jaldi se taala laga kar waha se nikal jaata hai...Kuch dur chal kar piche mudta hai.
Atul:- Jald waapas aaunga.
Shreya:- Intejaar karungi.
Fir Atul chala jaata hai...Shreya bhi Atul ki didi ki tabiyat ko le kar dua karne lagi.
Atul waha se sidha bus stop chala gaya...Bus me chhadh kar wo ek window seat me baith gaya.
Bus khulne me thoda time tha...Iss bich Atul ke man me naa jaane kitne khayal aa rahe thhe...Kabhi usse dar lagta to kabhi wo khud ko hi hausla deta ki kuch nahi hoga.
Ek to pehle hi Nisha se bicchadne ka dard aur abb uski Didi ki tabiyat kharab hone ki khabar...Bilkul toot sa gaya tha Atul.
Tabhi usse phone aata hai.
Atul:- Hello Maa...Kaisi hai abb Di ki tabiyat? Thik to hai naa wo? Unhe bolo ghabraaye nahi...Mai aa raha hu...Sab thik kar dunga.
Atul ne ek hi saans me sab bol diya...Bolte vakt bhi wo dara aur bechain lag raha tha.
A. Mom:- Abb wo thoda thik hai...BP abb dhire dhire kam ho raha hai...Lekin tujhe bahut yaad kar rahi hai...Jaldi aaja beta.
Atul:- Aa raha hu Maa...Unhe kuch mat hone dena.
Fir Atul phone cut kar deta hai...Maa ki baat sun kar Atul ko thoda sukoon milta hai ki abb khatra ki koi baat nahi hai.
Fir Atul wohi bus me baithe baithe sochne lagta hai aage kya karna hai...Kaise Didi ka ilaaj karna hai...Kaise wo uss ghar me jaayega jaha usse apne Papa aur Bhaiya ka saamna karna padega...Bas issi soch me Atul ek gehri neend me chala jaata hai.
Neend uski tab khulti hai jab baarish ki kuch boond uske chehre me padta hai...Jaldbaazi me wo window band kar deta hai lekin jab usse apne aas paas koi nahi dikhta to wo window ko fir se kholta hai.
Baahar baarish dekh uske hontho me ek muskaan aata hai aur khidki se baahar apna nikaal kar ek romantic andaaj me apne dono baaho ko failaaye baarish me puri tarah bhing jaata hai...Iss vakt uske dil aur dimaag me sirf Nisha aur Nisha ke saath bitaaye pyar bhare lamhe thhe...Bahut hi khaas rishta tha uska baarish ke saath.
Nisha:- Hato yaha se...Window seat me mai hi baithungi.
Atul:- Aise kaise...Window seat to mera hi hai...Kisi ko nahi dunga.
Nisha:- Mujhe bhi nahi?
Atul:- Nahi.
Nisha:- To fir thik hai...Tum hi baitho.
Atul:- Thank you...Lekin tum itni jaldi maan kaise gayi.
Nisha:- But at your own risk...Mujhe vomit aayega to tumhaare upar hi vomit karungi.
Atul:- Chheee...Yuck ...Tum hi baitho.
Fir Atul side ho jaata hai.
Nisha:- Tumse apni baat kaise manwaana hai acche se jaanti hu.
Atul:- Matlab tum aise hi keh rahi thi.
Nisha hanste hue haa me sir hilaati hai.
Atul:- You cheater
Nisha:- Everything is fair in love.
Atul:- Haa...Yahi to galti hai mera...Naa hi tumse pyar karta aur naa hi kuch bhi fair hota.
Nisha:- Kisne kaha tha mere piche daudne ke liye...Mujhe hi taras aa gaya tum par jo tumhaare propose ko accept kar liya.
Atul:- Abb pachta raha hu.
Nisha:- (With smile) Pachtaate raho...Jindagi bhar ke liye mere ban chuke ho tum...Abb jo bhi mi kahungi wohi fair hoga.
Fir Nisha window ko slide karti hai...Aur baarish ki jhatka dono ko bhinga deta hai.
Atul:- Ye...Ye kya kar rahi ho tum...Bhing jaayenge hum.
Nisha:- Bhing gaye hai hum.
Atul:- Jaldi band karo...Ye kya bachpana hai...Baarish me aise kaun bhingta hai.
Nisha:- (Sar par haath maarte hue) Kitna unromantic bf hai?
Atul:- Kya...Kya kaha tumne? Mai unromantic hu...Kiss ki baat karta hu to dur bhaagti ho...2 din se tadpaa rahi ho.
Nisha:- Are dhire bolo...Koi sun lega.
Atul:- Accha ji...Unromantic ho jaao to problem aur romantic hone me bhi problem...Sun le koi...Mujhe kya...Mai apni gf se baatein kar raha hu...Waise bhi bus khaali hi hai.
Nisha:- Aa aa chhi.
Nisha bahut jor se chnkti hai.
Atul:- Are thik to ho naa...Nisha ki peeth ko sehlaaate hue Atul apna hanky pass karta hai.
Nisha ke normal hone ke baad Atul window band kar deta hai.
Atul:- Jaanti ho tumne kya kiya...S. pneumoniae, M. tuberculosis, H. Influenzae Rhino virus, Adeno virus jaise bacteria aur virus ko hawaao me failaa rahi ho.
Nisha:- Itna hi nahi. S. pyogenes, B. pertusis aur C. diptheriae bhi.
Nisha Atul ko gusse se dekhti hai.
Nisha:- Yaha mujhe jukhaam ho gaya hai aur tumhe majaak lag raha hai.
Atul apna jacket nikaal kar Nisha ko pyar se pehna deta hai.
Nisha bhi pyar bhari nighaawon se Atul ko dekhti hai.
Atul:- Abb aise bhi mat dekho...Bahut kuch hota hai.
Nisha:- Kya hota hai?
Fir Atul Nisha ki kaan me kuch kehta hai.
Nisha:- You...Bahut maarungi tumhe?
Fir Nisha Atul ko maarne lagti hai...Atul mar khaane ke baawjud bhi hans raha tha...Kuch der baad Nisha bhi sharmaate hue hasne lagi.
Nisha:- Tumne to apna jacket mujhe de diya...Tumhe bhi jukhaam ho gaya to?
Atul:- No chance...Immunity bahut accha hai mera...Aise chhote mote bacteria mera kuch ukhaad nahi paayenge.
Atul ne itna hi kaha tha ki usse bhi bahut jor se cheenkh aata hai.
Atul:- Aa chiiiii.
Nisha ye dekh jor jor se hasne lagti hai.
Nisha:- Abb mai bolu tum ne kitne bacteria hawa me failaaya hai.
Atul:- Maaf kar dijiye madam...Abb aap se koi pangaa nahi.
Aisi hi pyar aur masti bhari yaadein aur pyar bhari nok jhok soch Atul muskuraane lagta hai...Aur jab iss baat ka ehsas hota hai ki Nisha uski jidagi se bahut dur chali gayi hai to aankhein fir se namm hone lagta hai.
Iss baar ka dard bhi kuch aisa hi tha...Iss judaai ka dard usse saha nahi jaa raha tha...Sabhi ki najro se bachne ke liye apna chasma utaar kar ek black sun glass laga leta hai aur jee bhar kar rone lagta hai.
Na jaane kitna dard tha iss pyar me aur kitna aur sehna baaki hai...Bas dard hi dard reh gaya tha Atul ki jindagi me.
अतुल की बहन की तबियत खराब है इसी वो घर जा रहा है। और साथ मव उसे घबराहट भी हो रही है, क्योंकि वो अपनी बहन से बहुत प्यार करता है। बस में बैठकर वो पुरानी यादों में खो जाता है। निशा के साथ वो बारिश में भीगने उसे बहुत याद आता है। वैसे भी बारिश और प्रेमी प्रेमिका का रिश्ता बहुत ज्यादा पुराना है। जब भी कोई ऐसी स्थिति आती है जिसमे प्रेमी प्रेमिका एकांत का आनंद उठा रहे होते हैं बारिश होने लगती है।।