• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Khamoshiyan - A love story completed by lover boy 1513

Status
Not open for further replies.

SUBU143

New Member
63
112
49
Hi friends, how are you
M ek silent reader hu yaha ki or xp ki almost sabhi stories mane padhi h , Vese to ye mere khud ki story ni h ye ek xp ki hi ek purani story thi jo complete thi or bahut hi shandar thi isme incest romance thrill suspense sab kuch h .
Is story k writer ka name lover boy 1513 tha or isliye story ka kuch credit unko jata h .Ab aap sabhi apne suggestion dijiye friends aapko ye story kesa laga..
 
Last edited:

SUBU143

New Member
63
112
49
Update 1
yeh kahani hi to hai jo hume apne aap ko logo se apne feelings share karne ka jariya bana sakti hai...
Har insaan ki jindagi ki Kahani hoti hai..kisi ki kahani Khushi se Bharpur hoti hai to kisi ki kahani dukh se Bhari hui...
Par Kahani hoti jaroor hai...Khamoshiyan eak kahani hai mohabbat ki,junoon ki,Tanhai ki,Tadap ki, aur Eak ehsas akelepan ki..



Teen saal ho chuke the rajesh ki shaadi hue,,,par in teen salon me rajesh aur parvati ne kya kya dukh nahi jhele...
Rajesh ko noukri na milna..Parwati ki god abhi tak suni thi...Rajesh k maa baap roz dono ko iss
cheez k liye tana diya karte the ...Rajesh ka baap kisan tha aur Rajesh ne ghar k khilaf jaa kar engineering ki thi...
uska baap bhi usko kisan banana chahta tha...
roz ki ladai jhanjhato k chalte Rajesh ne ghar chod diya aur eak kirane ki dukan me noukri karne laga...
aisa nahi tha ki Parvati garbhwati nahi ho sakti thi...
do baar miscourage hua tha uska..bhagwan se wo dono roj in do khwaishon k liye roz mannat mangte the...
kehte hain bhagwan k ghar der hai andher nahi...pehle Parvati Garbhvati hui...aur jab uska aathva mahina aaya to rajesh
ko railway ki noukri ka appointment aaya..na chahte hue bhi usko parvati ko chod kar jana pada...
phir aaya iss kahani ka asli kirdar jisne aa kar Parvati ka naritva pura kiya..."YASH"..
.Parvati ki to khushi ka dhikana nahi tha...
Kafi dukho k baad paya tha usko...Kehte hain jahan gud wahan makhkhi jo maa baap
Rajesh AUR Parvati ko tana dete the wo ab unke gun gate nahi thakte the...
Jindagi Roshan karne aaya tha Yash...Rajesh to kaam me vyasth hota tha par Parvati to yash ko hi apni jindagi maan
kar chal rahi thi...uske nanhe kadmo ne uski jindagi jo puri ki thi...bhuri aankho wala Yash apne nanihal ka bhi ladla tha...
Uska nanihal bhi usi sheher me tha jahan Rajesh ki posting thi...
Yash k nanihal me uske nana-nani aur mama mami the...Uski mami usko apne bete ki tarah manti thi
par uske mama usse thodi duri bana k rakhte the...
Yash k mama uski maa se chote the aur Yash k hone k ek saal pehle
hi unki shaadi hui thi aur unki koi santaan nahi hui thi...
Waqt bitata gaya Yash ab bada ho gaya tha...
Aur uski mami ne eak ladki ko janam diya aur uska naam unhone Drashti rakha...
Hospital me drashti ko dekhkar usne apni maa se pucha ki
ye koun hai to uski maa ne bataya ki ye angel hai aur tumhe iska khayal rakhna hai...
yash khamosh khada tha par uske Dil me ye baat
ghar kar gayi ki usko Drashti ka khayal rakhna hai...
Aur yahi se suruat hui eak pyaar ki kahani ki... khamoshiyan
 

SUBU143

New Member
63
112
49
Update 2
Jaise jaise samay bitata jaa raha tha waise waise parvati ka pyaar
apne bete yash k prati badta jaa raha tha...uske baad uski koi aulad nahi hui...
sayad ye karan bhi tha usko Paglo ki tarah Pyaar karti thi...
udhar yash ki mami ne eak aur ladki ko janam diya...uska naam unhone neha rakha ....
waise Drashti to ghar me sabki ladli thi par yash usse sab se jyada pyaar karta tha...
Drashti bhi uska saath nahi chodti thi...uska bhi admission yash k school me karwaya gaya tha...
pehle din wo school jane k liye ro rahi thi par jab usne yash ko gate par dekha
to uska haath pakad kar khushi khushi andar chali gayi...
Yash bhi koi mouka nahi chodta tha school me usse milne ka...
lunch break me roz wo uske paas jaa kar use tiffin khilata...
Ghar se uske liye chocolate lata...Jaan thi uski Drishti use pyaar se wo Drishu bulata tha...

aise hi din bitate gaye parvati yash ki saari ichchae uski khamoshi se hi jaan leti thi...
Yash ko kuch bhi chahiye hota tha to wo apne pita k dar se kuch bol nahi pata tha...
Par maa ka dil apne bachche ki khamoshi ko bhi jaan leta hai...Yash jab chup chup rehta to wo usko god me baitha kar
kya chahiye mere lalla ko aur yash usse bata deta ...Bahut depend ho gaya tha Yash apni maa par...
Par jab baat Drashti par aaati to pure sansar ki takat laga leta...
aisa hi eak wakya hua tha...
Garmiyon k din the Dono Yash k ghar par khel rahe the...Parvati padosh me gayi hui thi...
usi samay eak icecream wala aa gaya Drashti ne Yash se Kaha 'Bhaiya mujhe ice cream khani hai'...
to yash bola maa ko aane de phir tujhe ice cream dila dunga...Par usme abhi samajh to thi nahi...

wo jor jor se rone lagi ki usse icecream chahiye...Parvati k aate tak icecream wala jaa chuka tha ...
Parvati ne usko utha k puchcha...kya hua mere bachche ko...Usne rote hue kaha bua mujhe ice cream chahiye...
Parvati ne usko samjhaya ki icecream wala shaam ko phir aaega...
jaisa har bachche ki adat hoti hai kuch na milne par unko apne maa ki yaad aati hai...
Drashti apni maa k paas jane ki jid karne lagi...thode der me Yash k mama Drashti
ko lekar ghar chale gae...par Yash ko ye baat bahut buri lagi...
usne apni maa se paise mange...parwati ko badi hairat hui kyonki yash kabhi bhi paise nahi mangta tha...
par bahut jidd karne par Parvati ne usko paanch rupay de diye...
Jab usne pucha ki kya karega paison ka to usne kuch nahi kaha khamosh raha...
Yash chup chap ghar se nikla...use yaad tha ki Drashti k ghar k paas eak icecream parlour hai...
chote hone k bawjood use drashti k ghar ka rasta bhi yaad tha...{yahan ye baat bata doon ki
Drashti ka ghar Yash k ghar se 2 km ki doori par tha}
Ghar se nikalte waqt use ye bhi yaad nahi raha ki wo apni chappal pehen le...
nange paon yash jaise taise tapti garmi me
Drashti k ghar k paas wale icecream parlour tak pahuncha...
aur wahan usne eak orange candy li...use le kar Drashti k ghar pahunch gaya...
Darawaza uski mami ne khola...Yash ko akela dekh k wo dar gayi...
usne usse pucha ki wo yahan akela kaise aour kyon aaya
Usne apni mami ko bataya ki wo paidal chalkar Drashti k liye icecream laya hai...
Yash k pairon k chale dekhkar uski mami k aankho me Aansu aa gae aagae...
Usne yash ko gale se laga kar pith sehlate hue kaha itna pyaar karta hai tu apni drishu se...
Yash k aankho me bhi aansu aa gae the usne haan me ser hilaya...
aur Parvati ko phone kar sari baat bata di...Parvati jo Yash ko ghar me naa pakar paglo ki tarha
dhund rahi uski jaan me bhi jaan aayi...
Yash ne Drashti ko icecream di jo wo laya tha ...Icecream paa kar Drashti yash k gale lag gayi...
Phir icecream khane lagi Yash use dekhkar hi khush hota raha...usne bich me yash ko dekhkar kaha bhaiya aap bhikhaoge to yash ne sirf naa me sar hila diya ...Ur use dekhta raha...
Kuch aisa hi pyaar tha Yash ka Drashti k liye...jaan thi uski Drashti bachpan se...Uske chehre par aansu nahi dekh pata tha...
 

Yash

Member
158
262
43
Shubhu bhai ye story meri hai aap yanha post mat karo me iss story ko pura karna chahta hu ye story meri chura ker kisi ne ye pahle post kar di thi. Please is meri kahani ko post na karo. Iska title bhi ye nahi hai.
 

SUBU143

New Member
63
112
49
Update 3
Drasti dhere dhere badi hone lagi uske dil me bhi apne Yash bhaiya k liye eak
alg jagah banane lagi har roz jab tak Yash ko subah school me na mil leti use chain nahi milta..
Saare tyoharyahan tak ki apna janam din bhi wo yash k saath apne bua k ghar me hi manati...
Eak baar Drasti k janam din par Rajesh, Parvati aur Yash ko Gaon jana pada ...rajesh k maa baap k paas...
Uss din na to Drasti ne apna janam din manaya na hi apne liye kuch liya ulta uski tabiyat kharab ho gayi
subah se naa khane se...dusre din jab Yash ko Drashti ki tabiyat k baare me pata chala to wo douda chala aaya wapas
gaon se...Ye uski pehli akeli yatra thi...Jo ladka maa k bagair ghar se bahar nahi nikalta tha usne bus me safar
kar liya wo bhi akele...kehte hain na pyaar kuch bhi kara deta hai...jab wo ghar pahuncha to mama ne darwaza khola aur
bina kuch bole ghar k andar chale gae...aisa hi rista tha uske mama k saath uska sirf jarurat pade to hi baat karte the..
jab wo andar pahuncha to mami use dekhkar khush ho gayi...

Mami; aa ja mera lalla ...akele aaya hai dar nahi laga tujhe... keh k mami ne use apne seene se laga liya... Parvati ne use phone kar ke bata diya tha yash aa raha hai

Yash; mami Drasti kahan hai...yash ki najre Drasti ko khoj rahi thin

mami; jaa upar apne room me leti hai kal se kuch nahi khaya tu hi kuch keh usse...

yash; Haan mami mai dekhta hoon...

Yash doudta hua seediyan chad gaya aur jaise hi wo drasti k room k samne pahuncha wahin rook gaya...
Uske samne drasti so rahi thi usne yellow rang ki frok pehni thi...uska massom chehra dekh kar yash man me sochne laga
do din hi to hue hain tumse dur hue par milne par aisa kyon lag raha hai jaise sadiyan beet gayi ho...
Drasti saari duniya ko bhul kar bas soe jaa rahi thi...uske aankho niche daag pad gaya tha sayad aansuo ki wajah se jo drasti doodh jaise gore mukhde par alag se dikh raha tha...Yash ne use uthana munasib nahi samjha par drasti ne kuch nahi odha tha...
wo drasti k paas gaya
jaise hi usne drasti ko chadar odhane gaya uske haanth me drasti k Sharir se
touch hogayi...yash chounk gaya...

Drasti ka badan aag k tarah jal raha tha usko bahut tez bukhar tha...Usne uske maathe ko chua...
Yash ko bada gussa aaya khud k upar ki wo apni drishu ko uske janam din par kaise chod kar kaise chala gaya...wo to jana hi
nahi chahta tha par uske papa ne jab usse jane ko kaha to wo mana nahi kar paya aisa nahi tha ki wo agar kehta to Rajesh nahi
manta par yash apne papa ki baat kabhi talta nahi tha...kyonki pyaar to nahi pata par respect bahut karta tha wo unki...
uski maa ne use aise sanskar diye the yash ko...wo bahut bhawuk ho raha tha drasti ki halat dekhkar...uski aankho se aansu
nikla jo sidha drasti lips me jaa k chehre par jaa k gira...jisse drasti ki neend khuil gayi...usne yash ko samne dekha
to khush ho gayi par dusre hi pal jab usko kal ki baat yaad aayi to wo usse muh fer kar dusre taraf muh kar liya...
yash ka to jaise kaleja hi faat gaya...uski apni drishu usse naraj hai...Yash ki aankhen aur naam hone lagi...

Yash; Drishu mera bachcha mujhse baat nahi karega...
Drashti; Jao mujhe apse koi baat nahi karni...
Yash; maaf kar de meri pari mujko aage aisa nahi hoga...
Drasti; maine kaha na mujhe apse koi baat nahi karni aap jao yahan se...
Yash; pakka nahi baat karegi...
Drasti; nahi baat karungi pakka wala pakka...
Yash; thik hai to mai jaa rah hoon tere se bahut door phir kabhi nahi aaunga wapas...yash use darane k liye kehta hai...

yash bed se hatkar door ki taraf jaane lagta hai...
achanak se piche se roni hui aawaz aati hai "Yash bhaiya'

Drasti; Rote hue..pls bhaiya mujhe chod kar mat jao...

Drasti ki aankho me aansu yash se bardast nahi hote aur wo doudkar use apne sine se laga leta hai...
Drasti; aap mere se pyaar nahi karte...
Yash; nahi meri pyaari pari mai trujhse bahut pyaar karta hoon...
Drasti;to mujhe chodkar kyon chale gae the...
Yash; aage sekabhi aisa nahi hoga..

Dono k aankho se aansu rukne ka naam nahi le rahe the...Drasti yash ki bahon me hi so jati hai...
Yash use sula kar kar niche jata hai aur apni mami se kehta hai ki wo drasti k bukhar utarne tak yahin rahega...

Raat me yash drasti ko jaga kar use soup pilata hai...aur phir uske bed k bagal me kursi me baith karsar par
haath pherne lagta hai...Drasti bukhar me sirf itna hi keh pati hai ki "App mujhe chodkar kabhi mat jana"
aur kaske yash ka hath pakad k so jati hai...
yash bhi uske sar par haath pherte pherte wahin uske bagal me kursi me hi so jata hai...
Thodi der me Yash ki mami drasti ko check karne aati hai yash ko kursi mai sota dekh bhawook ho jaati hai...
 

SUBU143

New Member
63
112
49
Shubhu bhai ye story meri hai aap yanha post mat karo me iss story ko pura karna chahta hu ye story meri chura ker kisi ne ye pahle post kar di thi. Please is meri kahani ko post na karo. Iska title bhi ye nahi hai.
Okk bro aap he ye story complete kardo..Mi to 3 update diya he.
 

Sendbobsandvegana

Active Member
1,113
2,414
159
Bhai Me isko apne naye title se post karunga

Bhai ye story pdf section me completed hai......

Isko restart mat karna ho sake to aap dusra story likhna......


And bro this the best story I have ever read in my life......maakasam aashu nikal gaye the.....


Pliz bhai start new thread
 

Yash

Member
158
262
43
Ye mere laptop me puri h or pdf mene hi banaya tha
 
  • Like
Reactions: White tiger
Status
Not open for further replies.
Top