• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller Kumar - The Warrior Prince

How did you like the story

  • Bad

    Votes: 0 0.0%
  • Good

    Votes: 1 100.0%

  • Total voters
    1
231
632
109
hellooo friends....main ek naya story suru kar raha hun........so pls agar kahin par koi galti ho jaye to maaf
kijiyega....this story is a fantasy of mine....is me koi bhi reality
nahi hai....iss me aap sab ko Magical Powers,,,,Love,,,,thrill bhi
milega....story me bohot se character honge jo ke jese jese story
aage badhti jayegi un sab ke bare me batata jaunga....so friends
let's enjoy the story and give your valuable comments and riviews
and keep supporting....
 
  • Like
Reactions: Black water
231
632
109
Update-1
bahut saalon pehle Dharti par Vijaynagar naam ka ek Rajya hua
karta tha.is Rajya me har taraf shanti ke sath hariyali faili hui
thi.yahan ke Praja kheti-badi karke kai tarah ke fasal uga kar
usike jariye apni apni jivan bitaya karte the.yahan par har taraf
bas Pyar hi Pyar faila hua tha.na koi kisi se koi jhagda karta tha
na kisika kisi se ko dusmani.aur in sab ka bas ek wajah ye hai ka
yahan ka Raja aur unka saasan karne ka tarika.ye Raja jitna sant
hua karte hain utna hi khatarnaak bhi.yahan ke Praja apne Raja ko
bahut hi Pyar karte hain jisme Pyar ke sath dar bhi samil hoti
hai.yahan ka Raja achhe logon ke liye bahut achhe bante hain thik
usi tarah bure logon ke liye unke soch se bhi kai jyada bura hote
hain.Raja Vikram Keshari jo ki Vijaynagar ka Raja apne pariwaar ke
sath apne Praja ko bhi apne pariwaar ki tarah Pyar karte
hain.Prajaon ke liye naye naye yojana banaya jata hai taki Praja ko
koi samasya na ho.Raja ke paas ek bahut Takatwar sena bhi hai jo
apne desh ke liye jaan dene ya jaan lene se bhi pichhe nahin hatte
hain.chahe dusman jitna bhi Takatwar ho unse haar maan jana inke
jehan me kabhi hoti hi nahin.kyun ki is sena ke paas Takat ke sath
dimaag bhi hua karti hai jo ki is sena ka Senapati jo ki Vijaynagar
ki saan aur jaan hai.Senapati ke paas kuchh Jadui Takatein hua
karte hain jo ki Senapati ke sath yahan ke sena ko bhi aur
Takatwar aur majbut banati hai.yahan par sena ka khas karke
Rajya ka surakshya keliye hi istemaal kiya jata hai.yun bina kisi
wajah Yuddh karna inko pasand nahi.jab tak yudh karne ki awasyak
na ho jese ki kisi bahari Rajya se hamla hona.yahan ka sena apna
dharm bakhubi nibhati hai.kyunki inka har roj yudh kalaon abhyas
jari rehta hai jisse sena apni senadharm se dur nahi hote
hain.....Rajya ke bare me batana kuchh jyada hi lambi hogayi.to ab
chalte hain RajMahel ki taraf......nayi subah.panchhiyon ka madhur
sangit har taraf sunayi de rahi thi.Prajagan apne apne kam nikal
chuke hain.aur idhar RajMahel ke har taraf bhi sebak aur sebika
apne apne kaam me lage hue hain.ek kaksh ke andar ek Ladka
dikhne me jawan, khubsurat, majbut kad kathi ka maalik. is duniya
jahan se bekhabar ab tak nind me sapno ki duniya me ek Pyari si
sapne me khoya tha.tabhi usi kaksh ka darwaja khulta hai aur ek
behad khubsurat Aurat kaksh ke andar prawesh karti hain.wo Aurat
apni pehnawe se hi RajMahel ki Rani lag rahi thi aur wo koi aur
nahin Vijaynagar ka MahaRani Sourendri hi thi.aur wo is wakt apne
Beta yani Vijaynagar ka ek matra RajKumar ke kaksh me unhe unke
sapnon ki duniya se hakikat ki duniya me wapas lane ayi thi matlab
ki nind se jagane ayi thi.tabhi MahaRani RajKumar ke bistar ke
paas pahunch gayi aur Pyar se unke sar par hath pher ke unke sar
par chumke unko jagane lagi...
MahaRani:Beta Kumar ab uth bhi jaiye subah gayi hai.{yani ki
RajKumar ka naam "Kumar"}
RajKumar:ab sone dijiye na Maa itni jaldi kyun jaga rahi hain.
MahaRani ekhiye RajKumar jaldise uth jaiye aur taiyaar ho jaiye
kyunki aaj aapki Yuddh Kala ki taalim suru karne ka pehla din hai
aur udhar Senapati ji aapki intezaar kar rahe hain.itne me hi
RajKumar ubasi lete hue uth jate hain aur 'thik hai Maa.ham abhi
taiyaar ho ke ate hain'aur itna kehte hue uth kar snanagar ki aur
chal dete hain aur kuchh hi der me puri tarah taiyar ho kar apne
Pita Raja Vikram Keshari se milne unke kaksh ki taraf chal dete
hain....!!!!
 
231
632
109
:grouphug:
 
  • Like
Reactions: Black water

AK 24

Supreme
22,058
35,843
259
Kyu thak raha hai bhai tu iski pdf bhi available hai pehle se :sigh:
Kyu story section mein kachra faila ke page badha rahe ho befaltu mein :spank:
 
  • Haha
Reactions: Rangila baba

Black water

Vasudhaiv Kutumbakam
5,857
21,055
188
Congratulations for new story
Nice start
 

Black water

Vasudhaiv Kutumbakam
5,857
21,055
188
Kyu thak raha hai bhai tu iski pdf bhi available hai pehle se :sigh:
Kyu story section mein kachra faila ke page badha rahe ho befaltu mein :spank:
Bhai jahan tak mujhe pata hai story incomplete thi . Agar rangila baba ji ne story complete karna chahte hainto achha hai na . New reader ko padhne ka mouka milega
 

bd sharkar

Active Member
1,826
5,075
158
It's not a new story ..it's a old one ..if you want complete this incomplete story then you are most welcome but if can't complete this then don't try to ...
Regards
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354

Hello Everyone :hello:
We are Happy to present to you The annual story contest of Xforum "The Ultimate Story Contest" (USC)..

Jaisa ki aap sabko maalum hai abhi pichle hafte he humne USC ki announcement ki hai or abhi kuch time Pehle Rules and Queries thread bhi open kiya hai or Chit chat thread toh pehle se he Hind section mein khulla hai.

Iske baare Mein thoda aapko btaadun ye ek short story contest hai jisme aap kissi bhi prefix ki short story post kar shaktey ho jo minimum 700 words and maximum 7000 words takk ho shakti hai. Isliye main aapko invitation deta hun ki aap Iss contest Mein apne khayaalon ko shabdon kaa Rupp dekar isme apni stories daalein jisko pura Xforum dekhega ye ek bahot acha kadam hoga aapke or aapki stories k liye kyunki USC Ki stories ko pure Xforum k readers read kartey hain.. Or jo readers likhna nahi caahtey woh bhi Iss contest Mein participate kar shaktey hain "Best Readers Award" k liye aapko bus karna ye hoga ki contest Mein posted stories ko read karke unke Uppar apne views dene honge.

Winning Writer's ko well deserved Awards milenge, uske aalwa aapko apna thread apne section mein sticky karne kaa mouka bhi milega Taaki aapka thread top par rahe uss dauraan. Isliye aapsab k liye ye ek behtareen mouka hai Xforum k sabhi readers k Uppar apni chaap chhodne ka or apni reach badhaane kaa.

Entry thread 7th February ko open hoga matlab aap 7 February se story daalna suru kar shaktey hain or woh thread 21st February takk open rahega Iss dauraan aap apni story daal shaktey hain. Isliye aap abhi se apni Kahaani likhna suru kardein toh aapke liye better rahega.

Koi bhi issue ho toh aap kissi bhi staff member ko Message kar shaktey hain..

Rules Check karne k liye Iss thread kaa use karein :- Rules And Queries Thread.

Contest k regarding Chit chat karne k liye Iss thread kaa use karein :- Chit Chat Thread.

Regards :Xforum Staff.

 
Top