- 194
- 562
- 109
kehte hain ki duniya me har sikke ke do pehlu hote hain.. sach aur juth.. khushi aur ghum.. bhagvan aur shiatan.. ye kahani insaani fitrat ke do pehlu par aadharit hai.. koi pyaar ke lie paagal hai toh koi nafrat ke mare pagal hota hai..
kahani me kahi pyar hai to kahi nafrat.. nafrat insaan ko marne ke bad bhi nahi chhodti and pyar insaan ko marne ke bad bhi zinda rakhta hai.. kya hoga jab apko apka khoya hua pyar wapis mil jaye par ap is bat se anjaan ho ki apka pyar kisi musibat me hai..
ye kahani hai ek ese ladke ki jisne apne pyar ko bachane ke lie apna sav kuchh kurban kar dia.. apni jaan bhi.. kya uski kurbani rang layegi? kya uska pyar kabhi mukammal ho payegi?. janne ke lie padhie..
KURBANI.. A LOVE STORY..
intro..
vihaan.. hero..
katha.. heroin..
roshan.. dada ji of vihaan..
friends of vihaan..
tara.. ashish and jai..
update 00.. the beginning ..
andhera.. kehte hain ki andhera apne andar kai sari chize chhupaye betha hota hai.. esa hi ghana andhera ooty ke pahadi ilaake me fela hua tha.. esa andhera ke insaan apni har ummid kho bethe..
ooty ke jungle are me bani pahadi par ek banda khada hua tha jiske hatho me ek lakdi thi jiske sahare woh khud ko sambhalne ki koshish kar raha tha.. akho me ek ummid aur kisi ko khone ka dar dono ek saath lie woh kuchh soch raha tha.. tabhi koi pichhe se aata hai and uske kandhe par hath rakhta hai..
unknown : woh kahi nahi hai puri pahadi chhan mari par uske hone ki koi nishani toh kya woh kaha ho sakti hai uska koi clue nahi mila..
uski bat sun kar pehle se khade bande ne kaha, "use milna hi hoga.. bina uski madad ke hum use nahi bacha sakte.. guruji ke hisab se use bachane ke lie hamare pas maximum 10din hai.. par yeh 10din bhi kafi dangerous hai.. woh shaitan usko ek pal bhi chain se nahi jine dega har pal tadpata rahega.. "
unknown : i know.. par tumhara pyar uski taqat banega.. rahi bat us shaitan ko harane ki to us shaitan ka raaz uske past me hi hai.. guruji ne kaha tha ki yaha par us shaitan se jude har sawal se judi pehli kadi mil jayegi par yaha par kuchh bhi nahi hai.. "
person 1.. : yeh andhera hi hame rasta dikhayega ashish.. andhera hi ujale ke janm ka reason banta hai.. kuchh esa dhundo jo alag aur ajib ho..
ashish : jesa tum kaho vihaan.. i hope hamari koshish rang laye.. mujhe tum par tumhare pyar par bharosa hai tum use bacha hi loge chahe kuchh bhi ho jaye.. and dono apni manzil ki talash me aage chale jate hain..
few months back..
ooty ka jungle area jo ki raat me bahot darawna lagta hai.. din me bhale hi jungle hara bhara and khubsurat lagta ho raat me yeh khubusrati manhusiyat me badal jati hai..
raat ka waqt tha 4 log jungle me camping karne ke lie aaye hue the and woh camping ke lie ek badhia jagah dhund rahe the..
thodi der bad unhe woh jagah mil bhi gai par woh jagah thodi darawni and ajib lag rahi thi.. ajib sa sannata and manhoosiyat feli hui thi waha par..
khair unlogo ne camping ke lie saman set kia and tambu gaadne ke baad aag jala di.. wese ooty me thand kafi rehti hai par raat me thand ka alag hi aalam rehta hai..
intro.. ( in sabhi me se sirf 1insaan ka role aage story me thoda important hone wala hai.. lets see who is that person..)
sachin.. group ka leader jo ki sare planning karta hai and travelling bhi iska department hai..
tarun.. ek engineer student jo ki is group me naya naya hai and cooking me expert hai..
rizwaan.. yeh ek company me clerk ki job karta hai and is group ka finance sambhalta hai.. wese to padha likha hai fir bhi bhoot pret vagera me manta hai and darpok kisam ka bhi hai..
satish.. yeh banda romeo type hai yeh ek gym me trainer hai and ab tak inki koi gf nahi ban paai..
charo camp fire ke samne bethe hue the and charo ke hath me beer ke cans the.. charo apni dosti ke purane lamhe yaad kar rahe the..
sachin : mene suna hai ki yaha par ek haweli hai jo kafi ajib hai.. usme jo bhi jata hai woh ya to wapis aata nhi ya uska koi na koi body part gayab hota hai ya sad chuka hota hai.. police ne doctors ne sab ne investigate kia par kuchh pata nahi chal paya..
tarun : kya yar sab bakwas hai.. science me bhi esi kai sari chize hain jin ki madad se body parts ko asani se sadya ja sakta hai.. and sab se badi baat bhut vagera kuchh nahi hota..
rizwan : bhoot pishach chudail hote hain bhai.. bhale hi ham unhe dekh na sakte ho par unka wajud hai is dunia me.. mene ye bhi suna hai ki unki dunia and hamari dunia ke bich ek patli diwar hoti hai ya darwaza hota hai jinse woh hamari dunia me jab chahe aa ja kar sakte hain.. and yeh darwaza kuchh manhoos ya shetani jagaho par hi hota hai..
satish : ha baba rizwaan gyani ji apke pas toh insab mamlo ka kafi gyaan hai.. kya ap batane ki krupa karenge ki esa darwaza kin kin jagaho par ho sakta hai and kesa dikhta hai..
rizwan ke pas shayad jawab tha par in sab ka ravaiya dekh kar use malum pad chuka tha ki woh sab uska mazak hi udayenege.. is lie woh chup raha..
khair ese hi baate karte hue charo thak chuke the and tent me aa kar so gaye.. par shayad rizwan ki baat sahi thi woh jane anjane kaha aa chuke hain unhe nahi pata tha..
raat ke 2baje ke aas pas us ilaake me kohra achanak had se jyada badhne laga tha.. un 4ro ne 2razai+kambal+shawl odhi hui thi and ek hi bed par so rahe the fir bhi unhe thand lag rahi thi.. jab thand bardasht nahi hui to sachin ne bahar aake dekha toh paya ki aag bujh chuki hai and kohra bhi kafi badh chuka hai..
usne aag jalane ka socha par lakdi nahi thi is lie woh lakdi dhundane laga.. wahi thand ke karan baaki 3ki nind bhi khul chuki thi.. thodi der bad jab sachin khali hath lauta tab unhe pata chala ki unki ummid ne dam tod dia hai..
sab soch hi rahe the ki satish ki nazar dur jal rahe bulb par gai.. jo ki kisi bade ghar ke darwaze par jal raha tha.. unhone socha ki waha ja kar check kia jaye..
charo dosto ne jaldi se tent aur baki saman sameta and kandhe par laad dia and kambal odh kar us taraf chal die.. jab waha pahoche tab unhone dekha ki yeh ek haweli hai jo shayad bahot samay se bandh hai.. unhone aas pas ke environment ka jayza kiya toh pata chala ki yaha par shayad hi koi rehta hoga.. woh sab andar jane ka rasta dhundane lage q ki woh main gate khul nahi raha tha..
woh rasta dhund hi rahe the ki achanak woh darwaza ek karkash awaz ke sath khul gaya.. ye dekh kar sab khush hogaye and jaldi se andar chale gaye.. par unhe nahi pata tha ki woh jaha ja rahe hai wo jagah kitni bhayanak hai and wo apne anjaam se bekhabar andar ghus gaye..
kya hoga insab ke sath? kya hai is haweli ka raaz?
end of update 00.

Last edited: