Yeh kahani hai ek 52 years man ki. Is aadmi ka naam hai Ranjeet Kapoor. Ek Punjabi man. Waise abhi to woh New York mein ek bade company mein kaam karta hai. Us company ka naam hai Secure More Company. Company mein Production and Marketing Director ke post par hai. Kafi badi respondible post hai. Yeh company New York ke best security company mein top position hold karti hai. Company k kaam hai security materials jaise cctc camera, bullet proof jacket window aur kai saare security facility products ko produce karna aur market mein sell karna.
Waise Ranjeet 30 saal se America mein reh raha hai. Ranjeet ki family mein papa mummy aur uska chota bhai hai. Papa yani retired Indian Army officer Brigadier Bikram Kapoor. abhi to apne pind mein mast hai. Deen mein agriculture ka kaam aur raat mein apne gaon ke yaaro ke saath daru ke maje karna. 24 hours happy and jolly personality wale. Khet aur khandani zameen bahut jyada hone se paiso ki koi kami nahi. Maa yani Tajinderpreet Kapoor ek gharelu wife. Apne gaon ki sahelio ke saath mast.
Ranjeet ka chota bhai Randeep Indian Army mein Lieutenant Colonel rank ka officer hai. Age 38 years. Apne family ke saath mast. Do sons hai uske. Bas ek akela Ranjeet saat samandar paar chala gaya paise kamane. Gaya tha padhai karne lekin waha hi job mil gayi aur shaadi Punjabi lady se ki lekin afsos shaad lambi nahi chali. 15 saal pehle wife bimar hone se maar gayi. Ek daughter jiska naam Harleen Kapoor. Age 17 years. London mein padhai kar rahi hai. Ranjeet waise kafi ache income earn karta hai. Yeraly income hai 4,50,000 dollars. (in rupees almost 3 crore 30 lakh). New York ke Houston street mein acha ghar bhi hai. 3 aal pehle poora kishte bhar diya. Ghar ki kimat hai 2,75,000 dollars. 5 bhk house.
Ranjeet bahut hi acha aadmi hai lekin kuch jyada hi perfectionist insaan hai. Roj subah se shaam tak office mein busy aur raat ke waqt kabhi kabhi dosto ke saath drinks pe jaata. Jyada busy life hone se Ranjeet thoda sa boring aadmi ho gaya. Akele bhi rehta hai. Apne mein hi busy. Waise 52 ki age mein bhi body kafi had tak maintain kiya hua hai.
Now lets come to the present day. Roj ki tarah Ranjeet subah ko uthkar sabse pehle ghar ke security ka surveillance kiya aur excerise kiya. Morning 8 ko breakfast banaya. Diet stable rakha hua hai bande ne. Aur phir apne luxuay Land Rover car se office ki taraf chal diya. Secure More company ki office New York ke sabse expensive building Stuard heights mein aaya hua hai. Bulding ke 45th se 48th floor company ka hi hai. 45th and 46th floor pe production department, 47th floor pe managing department and 48th floor pe top management and Directors, C.E.O, chairman jaise bade bade post walo ki office. 6 mahine se Ranjeet Production and marketing Director ke post pe kaam kar raha hai. Kafi hardwork aur skillful aadmi hai yeh. Apne office pahunchte hi sabse pehle production department mein employees se meet kiya aur apne cabin ki taraf gaya.
Cabin mein pahunchte hi aaj ke working process check kiya. Aaj ke meetings and schedules ko dekha. Thodi der baad ek file aayi office mein. Ranjeet ne us file ko check kiya. File mein company ke 3rd quarter performance bataya gaya tha. Company ke performance se Ranjeet kafi khush hua. Company ne apne 3rd quarter mein sabse jyada profit register kiya. 600 million dollars profit earn kiya. Yeh sabse best quarter sabit kiya. Company ne bada business kiya. Ranjeet apne kaam pe phir se laag gaya. Tabhi Company ke owener aur chairman cabin mein aaya.
Us aadmi ka naam hai Mark Adams. Age 42 years. 5 saalo se is company ko sambhal raha hai. Yeh company uske father ki banai hui hai. Mark ek bahut hi sharp and intelligent businessman hai. Uska target clear hai aur woh hai Company ko successful margin ki taraf daudana. Apne sharp vision se 5 saalo mein hi company ko ek alag level tak pahunchaya.
"Good morning sir how are you ?" Ranjeet ne smile dete hue poocha.
"I am fine Ranjeet."
"So how is sir ?"
"Dad is fine."
"What i can do for you sir ?"
"Well Ranjeet I am here to congratulate you. You did it buddy. Under your leadership we achieved our goal."
"No no sir isme mere akele ki nahi hum saab ki mehnat hai."
(Note :- Waise Americans English language mein hi baat karte hai lekin aap logo ko samjh mein aaye isiliye hindi language use kar raha hoon.)
"You Indians are so good. Apna credit nahi lete. Humesha logo ko aage badhane ki baat karte ho. Dad sahi the. Tumhe is post mein promote karke unhone sahi faisla kiya."
"Thank you sir. But apke visionse humne yeh target achieve kiya. Apne humesha mujhe freedom diya aur kaam karne pe koi rok tok nahi kiya."
"I am a visionary Businessman and i work with those people who carry far vision. You have that vision and ability of hardwork like me. That's why i trust you."
"Thnk you sir."
"Well that's not enough Ranjeet. From now onwards we have to work even harder. We have to achieve high targets. Tonight there is a dinner party with company's high authority and they want you to join us. They want your advice about our next target."
"It will be my pleasure sir."
"Okay buddy see you there." Itna kehkar Mark waha se chala gaya.
Ranjeet wapis apne kaam pe laag gaya. Aaj uski meeting ek naye customer ke saath hone wali hai. Ranjeet ke intercom se call aaya. Receptionist ne customer ke aane ki khabar di. Ranjeet ne aane ko kaha. Ranjeet apne files mein busy tha. Data and information dekh raha tha aur kuch papers bhi sin kar raha tha. Kafi busy tha woh. Door knock ki awaz aayi aur bina upar dekhe Ranjeet ne customer ko andar aane ko kaha. Ranjeet abhi bhi flies pe nazar gadaya hua tha. Customer samne beith gayi.
"Good afternoon." Yeh awaz ek American lady ki hai.
Ranjeet ki nazar upar uthi aur samne beithi lady ko dekha. Lady ka naam hai Amy Moore. Age 49 years. New York ke sabse best school ki Dean. Lawerance school jo New York ke best and reputed school mein aati hai us school ki dean hai woh. Bahut hi khubsoorat aur dil ki saaf. Awaz jaise dil ko chu jaaye. Amy aur Ranjeet ne ek doosre ko apna introduction diya. Reshmi se lehrate baal aur pyaari si muskaan ke saath Amy baat karne laagi.
"Yes ma'am what can i help you ?"
"Well Mr. i hope you have checked my mail. I am here for security pupose of my school."
"Yes ma'am mujhe pata hai ki aapko nayae security system ko active karna hai apne school mein. I am sure that our company's security systerm will facilitate you finest security system."
"Thank you so much sir. I hope you read our requirements."
"Yes ma'am mujhe pat hai. Aapko bullet proof windows siren and fire control systems chahiye."
"Yes sir." Amy ne haa mein sir hilaya.
"Let me show you some additional new facility of our system."
Ranjeet ne lights off karke samne projector ko on kiya usme woh apne system ko explain kar raha tha.
"So her it is. Bullet proof window. You can activate this facility by remote control. If you turn on the all window of your school will turn into bullet proof window. Aur bhi khas system humare paas hai. Agar aapko aisa laage ki koi chor aapke school aaya hai to aap electric shocking system on kar sakti hai. For example agar ek galat aadmi kisi bhi floor ya room mein aaya to us room ya floor ka passward on karte hi us galat aadmi ko jor ka electric shock lagega lence ke zariya."
"Agar maan lo mai hui uske samne to mujhe bhi electric shock laag sakta hai ?"
"Nahi. Bilkul nahi. Humari system sirf 10 seconds mein uske eyes aur action ko scan kar degi. Anything negative then only action against wrong guy."
"But if gets dead then what ?"
"Don't worry use high voltage shock nahi milega. Low level ka hi hoga jisse woh sirf behosh hi hoga. Behosh hone par apko waqt mil jayega bhagne ka ya phir police ko bulane ka."
Randeep aage kai saare facilities ka breef detail Amy ko dene laaga. Amy ko yeh deal aachi laagi.
"I am 100 percent sure that yeh system aapke school ko protect karega. But if you don't mind can i ask you about need of this high security system ? After all yeh sirf ek school hai na ki koi military base."
"I know aap yeh sawal jaroor poochenge. Let me remind you about Louis college's incident. Apko yaad hoga ki 1 hafte pehle ek terrorist ne school pe attack kiya tha."
"Yaad aaya ma'am. Bahut hi painful incident tha. 8 students lost their life."
"Bilkul sahi kaha. Us college ke bhayanak incident ke baad humare school ke students aur unke parents kafi dare hue hai. Parents meeting mein sabhi parents ne school ki security system ko strong karne ki baat kahi. Yaha tak sabhi parents extra fee pay karne ko taiyaar bhi ho gaye. But our school has huge fund and so they can afford this system without any parent's money."
"Yes ma'am."
"If you don't mind. Can you come to our school so that aapko pata chale ki konsa mchine kaha activate karna hai."
"Yes ma'am main jarooor aa jaunga. Kab aana chahiye mujhe apke school mein ?"
"Kya aap is thursday koaa sakenge ?"
"Bilkul ma'am min aa jaunga."
"All right so see you on thursday."
"Sure ma'am."
Dono waha se alag hue. Ranjeet ne jab ghadi ki taraf dekha to 5 baaj gaye the. Ranjeet ne socha ki ab use ghar jaana chahiye. Aaj raat ko business meeting aur dinner bhi hai. Ranjeet reception desk jaakar waha se sabhi employees ka working report file liya aur alivator se niche pahuncha. Apni car se ghar ki aur jaane ke liye nikala.
New York ka busy road aur city ki busy life traffic ke jariye dikh rahi thi. Apni car parking area se bahar nikalkar aage hi badhne jaa raha tha ki dekha samne Amy taxi ka wait kar rahi thi. Ranjeet ne socha ki kyon na use ghar tak drop kar de. Apni car lekar Ranjeet Amy ke paas pahuncha.
Amy ne Ranjeet ko dekha.
"If you don't mind then can drop you to your home ?"
"No it's okay taxi se main chali jaungi."
"It's okay ma'am please come in. Main chod doonga aapko."
Ranjeet ke kehne par Amy maan gayi. Amy car mein beith gayi. Ranjeet ne drive karna shuru kiya.
"Waise meri car repair shop main hai isiliye aaj taxi ka istamaal karna pada."
"It's okay ma'am. You don't need to pay money in this taxi." Ranjeet ne majak mein kaha.
Amy haste hue boli "Thank you Ranjeet. Thank you."
"Waise aapka ghar kaha hai ?"
"It's in Huston street."
"What seriously ? I mean waha pe to mera bhi ghar hai."
"Really ?" Amy ne surprise hote hue poocha.
"Yeah i live in 10/A bungalow."
"My god I live in 6/A."
"Mean 3 ghar ko chodke aapka ghar ?" Ranjeet ne poocha.
"Yes. We are neighbours."
"My god. Absolutely so wierd. Hume pata hi nahi ki humara neighbour kaun hai."
"Well this is New York yaha pe life busy rehti hai sabki." Amy ne lambi saas lete hue kaha.
Ranjeet Amy ke ghar tak pahuncha. Amy car se bahar nikali aur Ranjeet ko thanks kaha "Thank you Ranjeet. Now we come to know that we are neighbours. Kabhi milenge. See you anyday."
"Yeah sure. Bye." Ranjeet ne smile diya.
So guys yeh hai humare lead character Ranjeet aur Amy.
upload image