• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Mahagatha - Sadhna, Sadhak, Shaktiya aur dragons

Status
Not open for further replies.

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,857
159
•°UPDATE 54•°

Recap -

Agli subah, Manav ki dadi ki condition check karne ke baad, doctor ne pushti kar di ke ab sab kuch theek hai.
Fir doctor ne Manav ko patient discharging process poora karne ke liye kaha.

Baharhaal sab kuch niptane ke baad, Manav ne apni dadi ko support dete hue pakad liya aur unhen Hospital se baahar nikalne me help karne laga---
dadi abhi bhi kamjor thi.

Ek Black Stretch Lincoln Limousine **(Update 11)** pehle se hi baahar intjaar kar rahi thi;
Limousine, entrance gate se kareeb 5 meter ki doori par khadi thi.

AB AAGE :-

Pichhli baar ki tarah thigne Elder Sharad, apne ethnic wear dhoti kurte me, black suit pehne 2 daanav jaise aadmiyon ke saath car ke paas khade the. **(update 11)**

Manav ko apni dadi ke saath baahar aate dekh, Elder Sharad furti se uske pahunche,

Sharad : “Kunwar Manav! ...Devi ji aapki fast recovery par badhaai 😁
Please.. aaiye.. car me baithiye."

Dikhne me Elder Sharad dadi se bhi jyada budhe lagte the. Aise umradaraj Elder Sharad ki apne prati respect dekhkar Manav ki dadi asahaj ho gayi thi. Aashcharya chakit hokar, Dadi ne Manav ki or dekha. 😳

Hospital ke andar- baahar, aate jaate logon ki nazaren apne upar padte dekh Manav ko bhi ajeeb lag raha tha. Isiliye, aanan-faanan me usne apni dadi ko support dete hue car me baithaya aur khud bhi jaldi se baith gaya.

Bam ! Bam !

Ant me Elder Sharad ke car me baithte hi car ke darwaaje band ho gaye aur, Stretch Lincoln Limousine tezi se Hospital se door jaane lagi.

Raaste me, Elder Sharad kuch karanwash muskura rahe the lekin kuch bolne ki bajaay ve chup hi rahe. Manav ki dadi bhi kaayi sawaalon me uljhi hui thi, lekin unhone filhal Manav ya Sharad se kuch bhi poochne se parhej kiya.

🚗 -_

Jald hi car Saanvi ke ghar ke saamne thi.

Lekin is baar, Elder Sharad pichli baar ki tarah khud car se nahi utre. **(update 12) **
Iske bajaay, ve Manav aur uski dadi ko ghar ke darwaaje par chhod kar wahan se chale gaye.

Avantika ne car ki awaaj suni aur dadi ka swagat karne ke liye tezi se darwaaje ki or bhaagi.

Hasmukh Avantika se milte hi, dadi maa ka mood bhi achcha ho gaya tha,

Dadi : "Beta.. aapko dubara pareshaan karne ke liye mai maafi chaahti hu..
Mujhe hospital le jaate hue bhi aapko kitni pareshaani hui hogi.. " 🥲

Avantika ne bade lagaav se dadi ka haath pakda aur unhen ghar ke andar laate hue kaha,

Avantika : "Kya auntie.., isme pareshaani wali koi baat nahi hai! Hum ek family hai to.. ye to humari duty hai hehe," 😄

Aaj dadi pehli baar Saanvi ke ghar aayi thi. Andar aakar jab unhone ghar ka luxurious interior aur living room ke pharsh par bicha shaandaar kaleen dekha to unhe samajhte der nahi lagi ki Avantika ka pariwar vaastav me, bahut jyada ameer tha.

"Aap aa gayi..! Welcome!" 😊

Rajyavardhan apne study room se baahar nikla aur muskurate hue dadi ka abhivaadan kiya.

Dadi ne Rajyavardhan ko pehle kabhi nahi dekha, lekin wo samajh gayi thi ki ye vyakti Avantika ka pati tha.

Dadi ne pyaar se sar hilaate hue Rajyavardhan ka abhivaadan accept kiya aur kuch sochne ke baad kaha,

Dadi : "Aapke ghar ka decoration bahut sundar hai.., lekin.. mujhe lagta hai ki.. mujhe yahan nahi rukna chaa..."

Ghabrate hue Avantika ne beech me hi tok diya,

Avantika : "Kyon...??, auntie.. apne to kal promise kiya tha ki hospital se discharge hone ke baad aap yahin rukengi.." 🥺

Ek din pehle jab Dadi ne Avantika ko uske simple business suit me dekha tha to Dadi ko laga ki Avantika ek sadharan pariwar se hogi. Lekin.. yeh dekhne ke baad ki Avantika ka pariwar kitna ameer tha, dadi thodi asahaj ho gayi. Aakhir.. dadi gaon se thi aur unka adhikaansh jeevan gaon ki saadgi me hi beeta tha.

"Daadii~ ..."
Neeche ki aawajen sunkar, hooded shirt aur denim shorts pehni Saanvi, fauran neeche bhaagi.

Apne kapdo me weh badi hi sundar aur pyari lag rahi thi, jaise koi modern pari aasman se neeche utar rahi ho.
Ek shabya aur respectful family ki member hone ke naate weh apne mehmaan ka abhivaadan karne neeche aayi thi.

Idhar dadi, chhoti si Saanvi ki sundarta aur cuteness se mantramugdh thi. Unhone use apni baahon me le liya aur uske sar ko pyaar se thapthapaya,

Dadi : "Good girl! mai.. abhi-abhi hospital se aayi hoon to aapke liye koi gift na laa saki..."

"Dadi~ mujhe to gift me bas aapki good health hi chahiye !" 😺
Saanvi ne madhurta se kaha.

Wo dil se chaahti bhi yahi thi. Asal me, jab Saanvi ne hospital me Manav ko behad ghabraya hua aur chintit dekha to, use Manav ki aur jyada fikr hone lagi thi.
Pehle bhi, apni fikr se chalte hi weh apne dad ke saath Manav ko lene gayi thi .. iss ummeed me ki woh bhi Manav ki kuch madad kar sake...

Haan ek baat pehle hi clear kar du : - Manav ke liye chinta karne ka matlab ye nahi hai ki woh use pasand karne lagi hai :D

Khair..,

"Auntie.. please humare sath hi rahiye na!" 🥺

Avantika ne phir request ki.

Apni baahon me aayi Saanvi ko dekhkar dadi hichkichayi aur kaha,

Dadi : "Beta ji... wo baat ye hai ki.. mujhe dar hai ki kahin meri wajah se aapko aur jyada pareshaani hui to.. " :?:

Rajyavardhan : "It's Fine.. aapke rehne se hume pareshaani nahi balki bahut khushi hogi.. aaiye lunch ke liye baithte hai," 😊

Manav ne dining table ki or dekha. Table par pehle hi swadisht aur lajeez vyanjan sajaye jaa chuke the.

Manav ne table tak jaane me apni dadi ki help ki. Table par dadi ke liye alag se ek aaramdaayak kursi lagayi gayi.

Ve paanchon baithe aur saath me bade utsaah se apna lunch kiya.

Dadi ke saath hui iss ghatna ke baad, Manav Saanvi ke family ke prati bahut aabhari tha.

Yahaan tak ki agar future me uske aur Saanvi ke beech ki problem ka koi aur solution mil jaata hai to bhi, woh Avantika aur Rajyavardhan dwara uske liye kiye gaye is bade ehsaan ko kabhi nahin bhoolega.

Baharhaal lunch ke baad, Avantika dadi ko unke haal hi me ready hue room me, aaraam karne ke liye le gayi aur room me pahuch kar dadi ka samaan set karne lagi.
Isliye Manav aur Saanvi ko kitchen ki bachi hui saaf safai ka kaam saunpa gaya.
Raha Rajyavardhan, to wo apne kuch jaroori business matters niptaane study room me wapas chala gaya.

Kitchen me, sink par bartan dhote samay Saanvi, Manav ke saath kandhe se kandha milaakar khadi thi. Sach kahein to, Saanvi bartan dhone me bilkul anaadi thi. Uske dwaara dhoyi gayi koi si bhi plate theek se saaf nahi hui thi, aur isliye Manav ko unhen phir se maanjhna pad raha tha.

Manav ne Saanvi ki plates ko phir se dhote hue kaha,

Manav : "Itni madad ke liye thank you so much.. " 🙃

"Maine aisa kuch nahi kiya," 🙄
Saanvi ne apne hothon ko sikod liya.

Manav ne muskurate hue kaha, "Agar tum chaaho to mai, dopher me tumhare saath games khel sakta hu" 🙂

Saanvi : "Huh.. mujhe tumhari company ki jaroorat nahi hai! waise bhi mai aaj dophar, Daskha ke saath shopping karne ja rahi hoon!"

Itna bolkar Saanvi ne sabhi jhoothi plates ko Manav ki or dhakela aur kitchen se baahar chali gayi. Bahar pahuch kar, usne apne haath sukhaye aur socha ki uska kaam poora ho gaya hai.

Manav ne peeche mudkar Saanvi ko dekha to woh use main door se chup chaap, ghar se baahar bhaagti hui dikhai di.

Manav (man me) : “Yeh ladki.. jaroor ye auntie ki permission ke bina hi shopping karne ja rahi hai. I'm sure.. usne girly things khareedne ke liye chhote chachu se pocket money li hogi..." 🤔

Ya.. shayad ye uske kehna ka tarika tha ki Manav usse door hi raha kare.. :hmm:

Khair, aah bharte hue Manav ne apna sar shake kiya aur bartan dhona jaari rakha..

Uska baaki ka din Dadi ma ko company dene me gujra.

Idhar, Daksha ke saath shopping karne ke baad Saanvi ne uske ghar par hi dinner kiya. Phir, usne Daksha ke parents se uske ghar par phone karne ke liye kaha ki woh aaj raat Daksha ke ghar par hi rukne wali hai.

Yeh jaante hue ki Daksha aur Saanvi best friends thi, Avantika ne Saanvi ki request ko maan liya.
Aakhirkaar, ye weekend tha, aur woh khud bhi chaahti thi ki uski ladli ke paas kuch fursat ka samay ho.

Manav apni dadi ko company dene ke liye aaj raat Saanvi ke ghar me hi soya.

Agle din Sunday tha aur Manav, Saanvi ke ghar me apni dadi ko comfortable hota dekh university wapas laut aaya.

Tention bhare weekend ke baad, Manav apne hostel laut aaya tha aur Adarsh & friends ke saath, uski ast-vyast aur khushhaali bhari routine wapas se shuru ho gayi.
Is tarah ek naye week shuruwat hui. ..

Subah ki 2 classes ke baad, Manav ne dher saari library books uthayi aur unhen wapas karne akele hi library ki or badh gaya.

Books lautane ke baad usne kuch aur nayi books borrow ki. Kuch samay pehle, uske paas padhne ke liye kafi samay hua karta tha. Lekin ab, use Saanvi ko tution dena tha aur saath hi apne busy regular class schedule se time bachakar saadhna bhi karni hoti thi..;
Isliye ab uske paas aaram karne ya time pass karne ke liye free time nahi rehta tha aur.. ab woh Adarsh aur doosre doston ke jaise taash aur other games bhi nahi khel sakta tha.

Manav ko dheere-dheere aisa lagne laga jaise Saanvi ka ghar uska apna ghar hai..
Weh har din college ke baad wahan jaaya karta tha aur.. ab to uski dadi bhi wahin reh rahi thi.

In sab 👆 vichaaron se jhoojhte hue Manav library se baahar jaane ko hua. Books lekar jab woh seedhiyon utar raha tha, to usne dekha ki safed shirt pehni Class President Aahna periodicals reading room me kuch padh rahi thi.

Shayad se use Manav ki presence ka ehsaas ho gaya tha... weh mudi aur seedhiyon par khade Manav ko dekha. 👀

Eye contact hote hi Manav muskuraya aur uski or haath hilaakar wave di. :wavey:
Uske baad, woh haathon me kitaaben liye wapas se seedhiyaan utarne laga. Ground floor par hall se gujarte hue wo library building se baahar nikal gaya.

Jab woh apne hostel ki direction ki or mud hi raha tha to, use apne peechhe tez kadamon ki aahat sunayi di.

Weh muda aur dekhta hai ki Aahna apni baahon me kitaaben aur notebooks liye uski or daud rahi hai..

"Manav, ruko! mujhe tumse kuch baat karni hai..!"

P.S. :-

Aapke man me kabhi na kabhi sawal aaya hoga ki kyu Dragon king & queen apni princess ki shadi ek aam insaan se karwana chaah rahe the..
Saanvi ki unichcha ke baavjood wo har sambhav koshish kar rahe the uski shadi Manav se ho jaye..

• Main reason to hume pata hi hai ki Saanvi ki dragon core ko wapas lene me Manav ki jaan jaa sakti thi.

Iske alawa bhi, Avantika aur Rajyavardhan ke kuch aur kaaran bhi the jo wo ek sadharan insaan ko apna damaad banana chaah rahe the. Inn kaaranon ko bhi hum jald hi dekhenge!

And that's all bhailog 😂 .. jaldbaaji kya karna! Aahna ko araam se aane do.. use kya baat karni hai apan agle update me jaan lenge :D

:reading1: 🅁🄴🄰🄳,

🄻🄸🄺🄴 👍 🄰🄽🄳
🄲🄾🄼🄼🄴🄽🅃 📝 😄

:yes1: Next update sunday ko
To be continued.....
 
Amrit_#0

Active Member
1,786
3,872
143

Romanchak update bhai 💗💗
 
  • Love
Reactions: Shadow_Chaser

Ak47203

Well-Known Member
3,692
5,567

Awesome update bhai
 
  • Love
Reactions: Shadow_Chaser
Status
Not open for further replies.
Top