• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Mahagatha - Sadhna, Sadhak, Shaktiya aur dragons

Status
Not open for further replies.

Mr-Z

Member
108
302
78
Apka bahut bahut shukriya Mr-Z brother
😊🙏

Aree naa bhai :hug: don't worry! aap apne viewpoints bina kisi hichkichahat ke rakh sakte ho - mujhe khusi hi hogi padhkar aur apni story me improvement ki gunzaish bhi badhegi 😊

• Sadhna - kya, kyu, kab, kaise? in baaton ka concept abhi puri tarah se clear nhi hua h, isliye apko Manav ki sadhna ki pace slow lag sakti h. Lekin aage jab cheeje clear hongi tab aapki ye shikayat door hoti jayegi :good:
• Manav - Saanvi ka rishta ek tarah se samjhote wala hi h jo abhi tak ke updates tak final nhi hua h (jald hi aage hone wala h)
- isiliye Manav ye maankar nhi chal raha ki future me Saanvi hi uski wife banne wali h
Agar agle 3 saalon me koi dusra solution mil gaya to Rajyavardhan - Avantika, Saanvi par apni rai nhi thop sakte. Saath hi Saanvi bhi filhal "uncle" Manav se shadi nhi karna chahti.
• And lastly, aapki jo build up ki kami ki shikayat h wo agle kuch updates se door hone wali h 😉
One more thing, Aapne sahi kaha Manav - Saanvi aage saath honge lekin bhaya ye kahani ka important point to h lekin ekmatra point nhi h. Aur bhi central themes h kahani ki jo equally importance rakhti h :D

Aapne jin pehluon ko uthaya unhe padhkar bahut acha laga bhai, thanks a lot 😄🙏
Thank you bht Acha response dia apn nay umeed hay story agay or b bht exciting honay wali hay.
 

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,857
159
Waise to ye update subah aana tha lekin kuch kaam aa jane se post nahi kar saka. :verysad:


•°UPDATE 55•°


Recap -


Jab woh apne hostel ki direction ki or mud hi raha tha to, use apne peechhe tez kadamon ki aahat sunayi di.


Weh muda aur dekhta hai ki Aahna apni baahon me kitaaben aur notebooks liye uski or daud rahi hai..


"Manav, ruko! mujhe tumse kuch baat karni hai..!"




AB AAGE :-


Aahna itni tezi se daud rahi thi ke Manav ke paas pahuchte pahuchte weh lagbhag ladkhada gayi aur Manav ki baahon me ja giri. 🫂


Haatho me books & notebooks hone ki wajah se usne mushkil se khud ko sambhaala. Daudne ke kaaran uska chehra laal pad gaya tha. Khud ko sambhalkar usne haanfte hue kaha,


Aahna : ".. K ya.. tum apne hostel ja rahe h o...?"



"Yeah?" 😳 Chakit hote hue Manav ne use dekha



Aadhe (1/2) second ki chuppi ke baad Aahna ne ne kaha,

"... M ai bhi apne hostel ja rahi hoo n,"


Manav : "Oh.. chalo to saath hi chalte hai. ," 😳

Manav abhi bhi hakka-bakka lag raha tha.


Aahna : “Ek second rukna! ; meri bicycle wahan par hai"


Apni books ko apne haathon me liye Aahna, library ke right side stith parking lot me chali gayi. Cycle ke paas pahuchkar usne books ko cycle ki basket me daal diya, cycle ko unlock kiya aur fir cycle lekar paidal hi Manav ke paas wapas jaane lagi.



Safed shirt, denim shorts aur hare rang ke canvas shoes me, bicycle ke saath aati Aahna kuch jyada hi kamuk lag rahi thi. 😍



Manav ki soch ko dekhe to uske liye Aahna ek perfect ladki thi. Iske alawa Manav ka maan-na tha ki , bhadkeele kapde pehenne wali 3rd year ki Fareeha ko nahi balki, Aahna ko university ki sabse popular girl hona chahiye tha.


Manav ko apni or ghoorte dekh, Aahna sharma gayi,

Aahna : "Chalo..!" :fishy:


"Hmm,"
Manav uske kandhe se kandha milakar chal raha tha. Library ke saamne ke open space ko paar karne ke baad unhone university ke talaab par bane pul ko paar kiya.


Suraj chamak raha tha, aur Aahna ki cycle bhi un donon ke kadmon se mel khaate hue dheere-dheere aage badh rahi thi. Kareeb 10-15 meter chup chaap chalne ke baad, Aahna ne achaanak poochha,


Aahna : "Tumhari dadi kaisi hain?"


"Ab ve theek hai,"
Manav ne ek pal ke liye socha aur fir kaha,
"Unki chinta karne ke liye thanks ." 🙂



Aahna ne apna sar neeche kiya aur kuch seconds ke baad poochha,

Aahna : "...Tumhare and Ms. Shalini ke beech kya chal raha hai.. ?" :?:



Cycle ke handles par uske gore najuk haathon ke saath, uska komal aur sudaul shareer ek taraf thoda jhuk gaya tha.


Aahna ke sawal ko sunkar, Manav ne khud ko, uss excuse ko kehne ke liye majboor kiya jis par use khud bhi barosa nahi tha ki log iss excuse par vishwas karenge bhi ya nahi..

Manav : "Ve meri door ki cousin hai,"


Aahna : "Us din.. , thursday ko , maine tumhe unke office me jaate hue dekha tha. "


Manav ne Aahna ki or dekha; ab woh jaan gaya tha ki jis vyakti ne uska peechha kiya tha, weh vaastav me aur koi nahi balki, Class President Aahna thi.
Manav ne jaldi se ek bahana socha aur kaha,


Manav : "Oh ... wo..! wo unki class me mujhe kuch topics samajh nahi aaye the.. to.. mai apne doubts clear karne gaya tha. "


Aahna : "Ohh, to mam tumhen personally bhi padhati hai..!," 😲



Manav : "Yeah.." 🙃

Aahna ke is andaaje par Manav muskura gaya. Dekha jaye to Aahna ne sahi hi socha tha lekin Shalini mam ki personal classes engineering syllabus ki nahi balki sadhna ki rehti thi.


Aahna ke chup ho jaane ke baad Manav ne poochha,

Manav : "aur.. koi question.. "??


"No," Aahna ne apna sar naa me hila diya.


Uske haseen aur bright chehre ko dekhkar, Manav socha raha tha ki waqai ye beautiful Class President, bahut hi pyari thi.



Baharhaal ve yunhi chup chaap chalte rahe. Halaanki Aahna ke paas cycle thi aur.. usne apne saare sawaal bhi pooch liye the, lekin.. use dekh kar lag nahi raha tha ki use apne hostel jaane ki jaldi thi.



Chalte hue, Banyan Tree Cafeteria ke oopar latka hua ek laal rang ka banner unki nazar me aa gaya.




“Warm Welcome to World Famous Biologist Manas Shisht and Globally Well-Known Meteorologist Anvi Kapoor, Who Will Be Giving Lectures in the University!”


" Vishv prasiddh Biologist Manas Shisht aur vishv star-par jaani maani Meteorologist Anvi Kapoor ka hardik swaagat hai.. inka vyakhyaan jald hi university me hoga !"


Jyada se jyada students ka dhyaan aakarshit karne ke liye ek banner ko yahan bhi lagaya gaya tha.


Banner ko dekhte hue, Aahna ko baatcheet karne ka ek naya topic mil gaya,


Aahna : "Maine kabhi expect nahi kiya tha ki apni university, itni famous personalities ko lecture ke liye kabhi invite bhi kar payegi! "



Manav : "Oh? Tum inko jaanti ho?"

Aahna ki baat sunkar Manav hairaan tha.



Manav ke aashcharya ko dekhkar, Aahna ne turant kaha,


Aahna : "Mai inhen kaise na janungi? ! Manas Shisht, India ke sabse famous biologist hain, aur domestic media ka kehna hai ki ve Nobel Biology Prize ke liye sabse deserving Asian candidate hain. 'Genetic Information Transcription' par unke research papers USA ki Nature Magazine me publish hue the. Yahan tak ki international media me bhi unke research projects par kaafi discussion hota hai. Umm.. lekin mujhe abhi unke research projects ke titles yaad nahin hain..." :hmm:


India ke so called 'Great Biologist' ki global reputation ko lekar Aahna ke paas kehne ko bahut kuch tha. Halaanki, jab usne unke research projects ke baare me baat ki to, use projects ke titles yaad nahi the. :sigh:



Itna bada explanation 👆 dene ke baad bhi Manav ke chehre par confusion dekhkar, Aahna ko gussa aane laga tha,


Aahna : "In short, ve India ke great scientists me se ek hain. Aur iske alawa, ve bahut young hai! Kewal apne forties (40+) me hi unhone sabhi tarah ki science magazines me, apne research papers publish kar diye hain and.. unka name aksar news ki headlines me rehta hain. Tumne itne mahan scientist ke baare me bilkul nahi suna !?? :huh:


Aahna ke serious expression ko dekhkar, maano wo middle school ke ek idiot student ko lecture de rahi ho, Manav ne badi mushkil se apni hasi control ki.



Apne ek haath ko kamar par rakh aur dusre haath se cycle ko pakadte hue Aahna ne Manav ko lecture dena jaari rakha,


Aahna : "Tum logon ko bas apne hostel me games khelna, movies dekhna and comics padhna hi aata hai! Aaspaas ki duniya me kya chal raha hai iski tumhe jara bhi parwaah nahin hoti. Agar tum log aise hi ignorant bane rahe to duniya tumhen peechhe chhod degi! " :angry++:


Uska badhta gussa dekhkar Manav ko haami bhari padi,


Manav : "Okay ! Okay ! ab mai unka naam kabhi nahi bhulunga," 😅



"Hmm Good!" :approve:
Manav ki baat sunkar Aahna santusht thi.
“Yadi tumhe itne famous scientist ke baare me kuch nahi pata.. to ye bahut jyada sharmnaak hai Manavv ! Waise......,
Unhe tumhara door ka rishtedaar hona chahiye" 🤔



"Door ka.. rishtedaar ??" 😳
Manav hairaan tha.


Aahna ne Manav ko dekha aur kaha,

Aahna : "Haan na.. tumhara surname unse match karta hai! May be 300 saal pehle unki aur tumhari family ek hi ho," :hmm:



Manav hasa,

"Haha you are right , Class President. Mujhe nahi pata tha ki tum Manas Shisht ki itni badi fan ho" 😄



Aahna : "Manavvv !! Be respectful !! Ve apni country ke sabse famous scientist hai!"

Aur firse Aahna ne use lecture dena start kar diya.


Manav : "Yeah.., Yean ..." 🙂


Manav ek ladki ya Class President ke saath bahas nahi karna chaahta tha. Isliye usne turant Aahna ki baat se sehmat hote hue aage kaha,

"Class President, tum to is thursday.. inka lecture jaroor attend karogi?"



Aahna : "Of course ! aur is baar to ve akele nahi hai! unki wife bhi yahan hongi !! Sach kahu to ye hum undergraduates ke liye ek rare opportunity hai! Academicians hone ke naate ke naate Mr. Shisht and unki wife, humesha apni research activities me busy rehte hain aur.. shaayad hi kabhi aisi public gathering me aate hai. Mujhe to tajjub hota hai ki university ne unn donon ko lecture dene ke liye invite kaise kar liya..... Thursday ka ye lecture attend karna doctoral (phd) students ke liye to golden opportunity hogi! " 😃


Aahna is event ko lekar bahut excited thi. Woh primary school se hi ek topper student rahi thi, aur shuru se hi uski ruchi science and technology me jyada thi. Isliye, scientists ke prati uska itna pagalpan jaayaj hi tha.


Beshak, jin students ki science me koi dilchaspi nahi hai, ve bhi famous couple Manas Shisht aur Anvi Kapoor ko dekhne ke liye auditorium jaroor jayenge..


Manav ke saath saath chalte hue Aahna ne apna lecture dena jaari rakha,

Aahna : "Manas Shisht sirf apni forties (40+) me hai, lekin ve abhi se hi Council of Scientific and Industrial Research (CSIR) ke member hai. And.. unki wife Anvi Kapoor bhi wonderful hai kyonki ve itni kam age me hi Meteorological department of india (MDI) ki member hai. Kuch media channels ka kehna hai ki donon, both CSIR and MID ke member hone ke saath hi ISRO ke member bhi ho sakte hai! lekin.. unki kam umr ke kaaran unhen abhi tak kisi title se sammaanit nahi kiya gaya hai ... "


Scientist couple ke baare me "gossip" kar rahi Aahna ke chehre ka serious expression, Manav ko bada funny lag raha tha. :haha:


Aur.. jald hi, Aahna ko ehsaas ho gaya ki uske itne lecture dene ke baavjood Manav is scientist couple se impress nahi hua, balki use to uski baatein funny lag rahi thi.
Aahna iss baat se udaas ho gayi aur boli,


Aahna : “You..! You..! itne great scientists ke liye tumhare man me.. jara bhi respect nahi hai....!" 🙁




Manav apne aap ko defend aur Aahna ko manane hi wala tha ki uski jeb me rakhe mobile ki ghanti bajne lagi.


📱 <<< 🎶



Mobile baahar nikalne par usne dekha ki, yeh Rupam ki call thi. Usne call receive karte hi bina Rupam ki baat sune kaha,


Manav : “Abe raaste me hun. Tum log cards baant lo."


"Chutiye cards ki baat nahi hai..! Maa.. chud gayi yaarrr..! "

Dusri taraf se Rupam ki ghabrayi aawaaj aayi,

"Adarsh.. uska basketball team ke haraamiyo ke saath panga ho gaya hai!!"




Hockey sticks, bats, chains ready karlo bhai log , next update ke liye 🤣

:reading1: 🅁🄴🄰🄳,
🄻🄸🄺🄴 👍 🄰🄽🄳
🄲🄾🄼🄼🄴🄽🅃 📝 😄

Fir milenge!
To be continued.....
 
Last edited:

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,857
159
Waiting for next update


Mast update
Waiting for next update

Waiting for next

Thank you bht Acha response dia apn nay umeed hay story agay or b bht exciting honay wali hay.


Wetting next update

Update has been posted 😌
 
  • Like
Reactions: Xabhi

krish1152

Well-Known Member
5,624
16,394
188
Nice update
 
  • Love
Reactions: Shadow_Chaser
Status
Not open for further replies.
Top