• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Mahagatha - Sadhna, Sadhak, Shaktiya aur dragons

Status
Not open for further replies.

Ak47203

Well-Known Member
3,692
5,567
143
✨🅼🅴🅶🅰
🆄🅿🅳🅰🆃🅴✨





•°UPDATE 58•°


Recap -



Manav ko apne room ke saamne se gujarta dekhkar, Ritik turant room se baahar aaya aur aashcharya karte hue Manav se poocha,


Ritik : "Manav.. kya tune sach me akele hi aadhi basketball team ki band baja di thi??!" 😳

Aisa lag raha tha ki Hostel building ke logon ke beech ye khabar aag ki tarah phail gayi thi.
Adarsh & team ke hospital jaane aur Manav ke Administration Building me jaane ke baad, hostel ke sabhi ladkon ke beech Manav ke veerta - bhare kaarnaamo ki charcha hone lagi thi, ki kaise usne na kewal tagde khiladiyon se Adarsh ko bachaya balki unhe buri tarah se pacchaad bhi diya tha.


Jab tak Manav apne hostel wapas aaya, tab tak Boys Hostel Building No. 7 sahit, Boys Hostels area ke poore South region me uski 'vijay gatha' gaayi jaa rahi thi.





AB AAGE :-



Manav : "Wo chhod! tu ye bata ki kya Adarsh and all aa gaye ?!" 🤨


Ritik : "Nahi... lekin, abhi Chetan ka call aaya tha. Usne bataya ki dono ki test reports aa gayi hai. Adarsh ko jyada gehri choten nahi hai, sirf uske right hand me moch aayi hai. Aur.., Sameer ki eye ke aas paas bas thodi soojan batayi hai ... " :hmm:


Dono namuno ki khabar sunne ke baad Manav ko thodi raahat mehsoos hui. Kismat se, Adarsh moti chamdi wala nikla. Tagde basketball players se buri tarah maar khaane ke baad bhi use kewal maamuli choten hi aayi.
Yakeenan, ye darshata hai ki chaaro doston me sabse fit, Adarsh hi tha.



"Ruk to! news abhi baaki hai!,"
Yeh dekhkar ki Manav room number 302 ki or aage badh gaya, Ritik ne use roka aur kaha, "Pata chala hai ki, basketball team ke 2 members ko halke bone fractures aaye hai.. ek ko haath me, aur ek ko peeth par! Baaki bache hue buri tarah ghaayal hai..
Bhai.. ab situation Class President ki baaton se bhi kahi jyaada serious najar aa rahi hai..
Ye sab Chetan ne abhi abhi hi bataya to mujhe lagta hai ki sabhi facts sahi hi honge" :huh:



Ritik ki baat sunkar Manav ek second ke liye poora blank ho gaya aur.. use kuch samajh nahi aaya ki kya bole.


Haal ki khabar se aisa lag raha tha ki is ladayi se basketball team ko jyaada nuksaan hua tha. Koi aashcharya nahi ki basketball team ka captain bhi, jo aamtaur par kewal training court me hi rehta tha aur.. shaayad hi kabhi campus me dikhayi deta tha, aaj personally Vice Principal Vinod Bedi se baat karne gaya tha. Itna hi nahi, woh to ekdum gusse se paglaya hua lag raha tha.



Manav (man me) : "Ye matter itni aasani se nahi suljhega.. ,"
Par.. phir bhi , apne special status ka faayda uthate hue, basketball team ke kuch tees mar khan, lagatar dusre students ko bully karte aa rahe the. Isliye, ve kahi se bhi nirdosh nahi hai, balki Adarsh ki wajah se aaj unko acha sabak mila..! "


Chabi se gate kholkar, weh uske hostel room me chala aaya aur apni table ke saamne baith gaya. Phir usne apni ek textbook kholi aur padhne ki koshish karne laga, Lekin.. dimag uljha hua hone kaaran use kuch samajh nahi aa raha tha. Aakhir.. aaj itna kuch ho jaane ke baad weh khud ko shaant nahi rakh saka..


Baharhaal kuch hi samay baad, Adarsh, Rupam, Sameer, Chetan aur Aahna, saath hi wapas aa gaye the.


Room me aakar jab un pancho ne dekha ki Manav padh raha hai, to ve uske calm ravaiye ki saraahna karne se khud ko rok nahi sake.


Un sabke andar aate hi Manav ne poocha,

Manav : "Kaisa raha..? tum donon theek to ho?!" 🤨


Adarsh : "Abe kuch serious nahi hua hai. Mereko bas haath me mooch aayi hai. Kuch dinon ke aaraam se, haath theek ho jayega," 🙂

Aaj kee ghatna ke baad, Adarsh Manav ko thode samman se dekh raha tha.


Kisi ne kabhi nahi socha hoga ki Manav, joki ek bada seedha sada aur shaant ladka tha aur.. jiske pura naam "Manav Shisht" ka matlab bhi ek acha insaan tha, ek gazab ka fighter niklega.


Adarsh ke liye, jisne lambe samay se Manav ke saath room share kiya tha aur uska khud ka bhi maan na tha ki woh Manav ko bade achche se jaanta tha, Manav ka ye badlav aur bhi jyada aashcharya lekar aaya.


Chetan Manav ke paas aaya aur usse poocha,

Chetan : "Tujhe.. Basketball team ki haalat ke baare me pata hai na..?


"Hmm.. thoda bahut ," Manav ne textbook wapas band kar di.


Aahna ne Manav ki or mudte hue bahut serious hokar kaha,
“Basketball team me 12 players hote hai. Ab unmen se 4 to buri tarah ghayal ho gaye hain, aur.. ye sabhi starting players hain. .
Iska effect apni, Chennai University aur Vellore university ke beech, 2 weeks baad hone wale basketball match ke result par bhi padega. Isliye, University administration pakka is incident ko seriously handle karega! ," 😤



Asal me Aahna thoda chidh gayi thi. Aise tention bhare samay me, jab usne dekha ki Manav shaanti se padh raha tha aur.. aisa bartaav kar raha tha jaise ki kuch bhi nahi hua ho, to use gussa aa gaya tha. Use laga jaise wo faaltu hi Manav ki itni chinta kar rahi thi.



"Manav, is ladayi ka tere se koi lena-dena nahi hai. Ladayi maine shuru ki thi! Ab chahe management, deciplinary punishment de ya university se nikaal de! mai hi ladayi ka kaaran tha aur mai akele hi punishment jhelunga! "
Adarsh achaanak bol utha.


Manav khada hua aur dridhta se kaha,

Manav : "Bakwas mat kar! , maine un logon ko ghaayal kiya tha, aur.. tu to waise bhi ek victim hai jise wo log peet rahe the. To ab is ladaye se tera kuch lena dena nahi hai!"



Adarsh ke paas khada Sameer, jiski aankh ke chaaron or sujan thi, turant bol pada,


Sameer : "Mujh mat bhulo be!!" 😒



"Aur mujhe bhi! behtar hoga ki management hummen se yaato kisi ko nahi ya fir hum sabko punishment de! Bc! agar wo humme se ek ko bali ka bakra banayenge to, room no. 302 ke hum sabhi ek saath bali ka bakra banenge! !" :mad1:
Rupam, jo aamataur par shant rehta tha, ne chillakar apni ghoshna ki.


"Alight! Ab bas karo tum log!" 🤚

Aahna ne apna haath upar uthaya aur ladko ko toka,
"Mai poori koshish karungi ki university iss matter ko bina kisi bhedbhaav ke deal kare! Tum log aur musibat khadi mat karo !” 🙋‍♀️


Adarsh, Aahna ke shabdon se asahamat tha,

Adarsh : " Tumara kya matlab hai ki aur musibat khadi mat karo!!!, wo log hi the jo..." 😠



Yeh dekhte hue ki Adarsh, Aahna ki baat par apna aapa kho raha hai, Manav ne turant Adarsh ka haath pakad liya taaki weh aage kuch aur na bol sake.
Phir woh Aahna ki or muda aur kaha,

Manav : "Thank you, Class President, and sorry.. humne tumhe kitna pareshaan kar liya" 🙂


Manav ko dekhte hue, Aahna ruk gayi aur usne ladko ko lecture dena band kar diya. Ant me, weh kewal ek aah bhar kar reh gayi.

Aahna : "sighs*..." :sigh:


Phir, woh mudi aur room 302 se baahar chali gayi.


Aahna ke room se chale jaane ke baad, Adarsh ne Manav se kaha,


Adarsh : "Manav! ,tu fikr mat kar. Punishment sala jyada se jyada detention hoga! aur ho bhi kya sakta hai! mai.. kal Guidance Counsellor se milunga aur unko sab kuch explain kar dunga. Ladayi ki poori jimmedaari mai lunga aur punishment bhi mai akela hi bhugtunga. Tera isse koi lena dena nahi hai! "


"Ye sab.. itna aasaan nahi hoga.. " Manav budbudaya. :sigh2:



Dekha jaaye to Aahna ka kehna bhi sahi tha. Yadi yeh ghatna kisi aur samay me hui hoti, to problem itni badi na hoti, aur.. jyada se jyada ladkon ko verbal warning dekar mamla rafa dafa kar diya jaata. Halaanki, filhal to fact yahi tha ki ye ladayi Chennai University aur Vellore University ke beech hone wale basketball match se theek pehle hui thi, jisse maamla bada complicated ho gaya tha.


Vellore University pichhle saal ke National College Basketball League me runner-up rahi thi, aur.. waise bhi uski basketball team ki skills ki tulna Chennai University ki skills se ki ja sakti thi.
Aakhirkaar, ve pichhle saal ke finals me mahaj 2 points ke mamuli antar se Chennai university se haar gaye the.


Is saal, unhone League season ki official start se pehle Chennai University ke saath ek test match fix kiya; spasht tha ki ye match Chennai University ko uksaane ke liye hi tha.
Chunki yadi iss match me Chennai university haar jaati hai, to ye uski team ke morale aur confidence par negative effect padega.. aur isiliye basketball team aur university administration, dono hi is match ko jeetne ke liye bahut jor laga rahe the.



Parantu, aise najuk samay ke dauraan, college ki basketball team ke top players ladayi me ghaayal ho gaye the. Natijan, ye matter behad sensitive ban gaya tha.


Agar university ko is saal bhi apne champion hone ka khitaab banaye rakhna hai to, unhen basketball team ke hiton ka dhyaan rakhna hoga. Balki ye kehna bhi galat nahi hoga ki, yadi ye test match nahi bhi hota, to bhi university management, basketball team ke favour me hi fasla karti.


Oopar se , Manav ko pata tha ki basketball team ka captain, jo aamtaur par kewal team ko training diya karta tha aur .. shaayad hi kabhi college ke kisi maamle me dakhal deta tha, ne is baar matter ko apne haathon me le liya tha.


Kisi na kisi tarah is maamle ko bina bhedbhaav ke suljhana behad jaruri tha!


🌞



Agle din ki dophar me selective, Art Appreciation ke 2 periods lagataar the. Halaanki, haal ki hui ghatna se, koi bhi is boring class me jaane ke mood me nahi tha.


Adarsh apne bistar par laita hua tha, Rupam apna homework karne me busy tha, Sameer apne bistar par paalthi maarkar baitha gaane sun raha tha, aur.. Manav aaj raat apne tution session ke liye notes ready kar raha tha.


Achaanak, Adarsh apne bistar se kood gaya aur bola,

Adarsh : “Aaj raat dinner ki treat meri taraf se loduyon..! maine bahut soch liya.. bhenchod! agar jyada kuch hua to mai khud hi university chhod dunga.. maa chudaye management ka decision aur uska punishment!"



Rupam ne apna sar Adarsh ki aur ghumaya aur use shant karne ki koshish me kaha,


Rupam : "Abe.. tu university chhod kar kyo apni life barbaad karna chahta hai..?" :noo:


Adarsh : “Chutiye ! university to waise bhi unn madarchodon ki side legi ! Aisi tuchchi university me padhne ka matlab hi kya hai!?" :angryno:



"Sahi bola!"
Apne headphones ko utaarte hue, Sameer bhi gusse se dahada,
"Basketball team university ki "Shaan" hai, aur apan to bc keede makode hai! kuch galat keh raha hu kya mai?" :mad:



Manav ka man bhi ashaant tha. Darasal, basketball team ke members aur dusre students ke beech ka sangharsh jyadaatar, basketball court ko lekar hi hota tha. ,
Saath hi Lakshya jaise log bhi, unn players ke saath apne achche relation ke kaaran itne self-important aur ghamandi ho gaye the.. iss baat ne bhi Manav ko pareshan kiya hua tha.


Agar ghatna ko baariki se dekha jaaye to, ye vaastav me Adarsh ki hi galati thi jo usne gaali galoch ki aur ball phek kar mari, jiske kaaran maar peet shuru hui.
Lekin phir bhi, fact yahi tha ki ye koi pehli baar nahi tha jab Adarsh ke saath basketball team ke members ne court lene ke liye jabardasti ki. To management ko decision lete samay unke iss bartaav ka bhi dhyaan rakha chaahiye.

Iske alawa ladayi me shaamil kuch basketball players ve bhi the jinhone pichhli baar BBQ restaurant me **(Update 37)** Manav and team ko uksaaya tha.
Adarsh to swabhavik roop se yahi maanta tha ki unka maksad Manav ko pareshan karna tha, aur ab is baar ve court lene ke bahane phir se unhe pareshan kar rahe the. Isliye is baar, uska gussa turant poore veg se phoot pada.


Isi pal, Manav ke dimaag me achaanak se ek khyaal aaya. Thursday ki raat ko, jab uski dadi high blood pressure hone ki wajah se behosh ho gayi thi... to use jaldi me campus se jaana pada.. aur.. isiliye weh 8 baje field me intzaar kar rahe Lakshya ke paas nahi jaa paya tha.
Doosre shabdon me, Manav ke shak ki sui ab Lakshya ke oopar thi.


Manav (man me ): "Kya is sab ke peechhe Lakshya ho sakta hai..?"


Ritik se yeh jaanne ke baad ki basketball team ke members buri tarah ghaayal ho gaye hai, Manav ne dheere-dheere jaise taise khud ko shaant kiya tha. Lekin.. ab uska gussa ek baar phir se bhadak utha. Agar Lakshya ne hi basketball team ko Adarsh ko bully karne ke liye uksaya hai to, ab iss matter me reason and logic lagane ki aur management ke decision ka wait karne ki koi jarurat nahi thi!



Adarsh : "Utho be aalsi ghodo!

:slap: :slap: :slap:
Chalo baahar khaana khaate hai! mai to waise bhi kal expel ho sakta hu! !"

Adarsh ne ek-ek karke teenon par thappad jad diya.



Adarsh ki maansik sthiti abhi bhayanak haalat me thi. Woh asaani se andaaja laga sakta tha ki is matter ko deal karne ke dauraan university, 100% basketball team ka hi paksh legi. Khaaskar jab usne hi ladayi shuru ki thi.



Uske neeche ki berth (Adarsh ki) ab jald hi khali hone wali thi- iss khyaal ne Manav ko bechain kar diya. Ab jab Vellore university ke saath hone wala match najdeek tha, to use bilkul andaaja nahi tha ki university kis tarah ki punishment dene wali thi.



Kul milaakar, bhale hi Adarsh ne ladayi start ki, lekin ye Manav hi tha jisne un players ko ghaayal kar diya tha. Isliye, Manav ko laga.. chahe wo bhi Adarsh ke sath university se expel kyu na ho jaaye lekin, use punishment me Adarsh ka sath jarur dena hoga.


Adarsh : "Utho saalo! Sab kuch meri taraf se!" :dscream:



Adarsh ko itne bure mood me dekhkar, Manav aur baaki log uske saath jaane ke liye sehmat hone ke alawa kuch nahi kar sakte the. Ve chaaron paas ke Central Square me sabse achchhe eating joint par chale gaye.



Chunki Adarsh udaas mehsoos kar raha tha, to wo turant alcoholic beer ke glass khali karne laga. Ab jab ve use rok nahi sakte the to, Sameer aur Rupam kewal uske saath shaamil ho gaye..

Aisa kuch hoga ye sochkar Manav ne, Adarsh ke saath baahar aane se pehle hi, Saanvi ke ghar phone karke Aunty ko inform kar diya tha ki weh aaj raat dinner ke liye nahi aa sakega.


Adarsh : "MadarCHOD sale! jab maine UN BHEN ke lodon ko apne court ki or aate dekha, to MAI samajh gaya THA KI wo tere liye aa rahe hai! , Ma-ManaVV! ! :beer:

Adarsh jitna jyada peeta jaa raha tha, uski aawaaj utni hi tej hoti jaa rahi thi.


Manav ka man dravit ho gaya. Usne to socha ki ladayi sirf court ko use karne ko lekar hui thi. Magar, ab woh samajh gaya tha ki Adarsh ne ladayi shuru hi isliye ki thi taaki weh uska (Manav ka) bachaav kar sake.


"Ganduon ke paas khud ka gym aur training facilities hai hai, lekin nahi! kutto ko training ke liye baahar aana hai! ... kis liye??!!
Sirfff *hiccup* Sirf isliye ki basketball courts girls hostels ke paas hai!!, aur unhe apni female audience badhani hai..!!" :cheers:
Apni ek kaali sooji hui aankh ke saath, Sameer beer pee raha tha aur chilla raha raha tha.



Rupam ne jabardasti apni drink khatam ki aur glass ko table par jor se rakhte hue kaha, :drink2:

Rupam : "Pichli baar BBQ restaurant me, unne jyada kuch nahi kiya tha kyonki tab apni taraf jyada ladke the. Lekin is baar, wo jaanboojhkar apne paas aaye..! wo aur dusre courts bhi to jaa sakte the!! poori galti unn kamino ki thi !" :mad:


Apne haath me glass ko dabate hue Manav chup hi raha.



"Ooho ! haha, yaha to second year ka long distance race champion hai"



Jab Rupam aur baaki donon baari-baari se apni baat keh rahe the, restaurant ke entrance gate se taana maarne wale lehje me ek tippani aayi.


Manav aawaaj ki disha ki or ghuma aur dekhta hai ki Lakshya, male students ke ek group ko lead karte hue andar aa raha tha.


Manav ke paas aate hue Lakshya ne poocha,


Lakshya : “Maine thursday ko field par tera wait kiya, tu aaya kyu nahi hmm? Bacha dar gaya tha ?! " :haha:



Lakshya ko ghoorte hue, Manav thoda ruka aur phir poochha,

Manav : "Aaj jo hua uske peechhe kya tumhara haath hai?" :huh:



"Aah.., tera matlab basketball team ke saath ki ladayi me?" :idk1:
Lakshya ne kandhe uchkaye jaise ki vaastav me, ladayi me uska haath nahi tha aur aage kaha,

"Wo log mere liye tum logon se bhidna chaahte the. But! me pehle hi clear kar du ki; mujhe unki help ki bilkul bhi jarurat nahi hai! "


Manav : "To, tumhara matlab hai ki aaj jo kuch bhi hua usne tumhara koi role nahi hai?"

Manav ne dubara verify karne ki koshish ki.



Lakshya Manav ke bahut kareeb aa gaya aur sirf 5 centimeter door se ghamand se uski aankhon me ghoorne laga.
Phir usne dheere se declare kiya,

Lakshya : "Tere jaise chuze se nipatne ke liye mujhe kisi ki help ki jarurat nahi hai."


"Okay, mai aaj tumhe jaane deta hun," Manav ne kaha aur apni gahan nigahen Lakshya ki aankhon se hata li.


"Bc! Itni akad?! Hahahaha ... second year ki itni badi baat karne ki himmat kaise hui? hahaha! ”
:haha: :haha: :haha: :haha:
Lakshya ke peechhe ke log Manav ke serious remark par jor-jor se hansne lage.



Bang !


Achaanak, Manav ke haath me maujood beer glass toot gaya.


Sunahre rang ki beer uske haath aur ungaliyon se table & pharsh par tapak rahi thi.



Is samay un sabhi ne, jo kuch second pehle Manav ki baaton ka majak bana rahe the, apna muh kas kar band kar liya tha.
🤐🤐🤐🤐🤐🤐



Lakshya bhi thoda hakka-bakka rah gaya.


Lakshya (man me) : "Agar.. rumour ki, isne akele basketball team members ki maar li thi.. sach hai to .... may be.. iski strength mujhse bahut jyada hai...." :monkahmm:



Lakshya ka maanna tha ki Manav usse dar gaya tha aur isiliye hi,Thursday ko uske bulane par wo field nahi aaya tha. Lekin.., Manav ke aaj ke karnaamo ko dekhte hue, Lakshya ne Manav ko pehle ki tulna me jyada saksham aur rahasymay paaya.



Khair.., achambhit bhaav se khud ko jaldi hi adjust karte hue, Lakshya ne shaanti se Manav se kaha,

Lakshya : "Tere doston me dum to hai. Basketball team ke saath ladayi karne ke liye bahut courage (sahas) chahiye hota hai. But! tere aur mere beech ki yah baat apne tak hi hai, aur mai tere se to khud hi niptunga! "


"Basketball team ne tere dost ke saath jo bhi kiya uska mujhse koi matlab nahi hai. Han lekin kyuki wo log mere dost hai to, mai is maamle me unki help jaroor karunga!
Matlab ye tum logon ka campus me last meal hai! Haha! agar sab kuch sahi raha to kal tak punishment notice aa jaana chahiye! "
Apne shareer ko seedha kar, Lakshya ne Manav ki or apni peeth karte hue ek wave di, aur aalsipane lekin aatmvishwas se restaurant ke pichhle hisse ki or jaane se pahle apne inn aakhiri shabdo ko chhod gaya.



Thump !


Manav itni teji se khada hua ki uski chair gir gayi thi.


Achanak, ek majboot, maansal haath ne usski shirt ko pakad liya aur use Lakshya ke peeche jaane se rok diya.


Manav ne mudkar dekha aur Adarsh use apna sar hilaate hue mana kar raha tha. :noo:


Manav samajh gaya ki, Adarsh nahi chaahta tha ki maamla aur aage badhe.


Adarsh jaanta tha ki ab uske paas isse bachne ka koi raasta nahi tha, aur isliye woh Manav ko apne pachde se door rakhna chaahta tha.


Adarsh ne Manav ko balpoorvak apni chair par baithaya aur udaas bhaav se naa me ishaara karte hue kaha,


Adarsh : "Lakshya ka baap deputy mayor hai lodu. . !! Agar uska baap basketball team ke favour me kuch bhi bol deta hai to, hum chaahkar bhi kuch nahi kar sakte....," :nono:



Adarsh ki baat sunkar Manav ke chehre par bhi dheere-dheere udaasi chha gayi thi. Usne iss maamle ko kitna halka samajh liya tha.. ye sochte hue usne khud ko behad nasamajh paaya..


Lakshya aur uske group ke door chale jaane ke baad, Rupam ne Manav se achambhe me poochha,



Rupam : "Tune.. glass kaise toda?" 😳


Ek kadvi muskaan ke saath, Manav ne uttar diya,

Manav : "Wo.. waiter ne mujhe cracks wala glass diya tha.. " 🙂


"Really!?"

Sameer, jo maanta tha ki woh Manav se jyada taakatvar hai, ne sandeh-poorvak glass ko apne haath me liya aur poori taakat se use dabana shuru kar diya. phir bhi.., kuch nahi hua!



Khair Manav aur explanation nahi dena chaahta tha. Door baithe Lakshya par nazar daalte hue, jo apne doston ke saath tha aur poori tarah se shaant aur calm hokar khaane-peene ka ordar de raha tha, Manav apni soch me kahi kho gaya.


Usne socha ki pehelwaan banne se kuch nahi hoga. Jab university apna decision legi to nishchit roop se Adarsh ke saath naainsaafi hi hogi.


Saath hi ye fact ki, Lakshya itna cool and confident dikh raha tha, maano ki weh jaanta ho ki decision uske favour me hi aayega aur uske doston ko koi nuksaan nahi hoga.
Shayad.. isliye use is baat ki parwaah nahi thi ki aaj kya kya hua.. aur.. filhal to wo baahar khaana kha raha tha aur apne doston ke saath masti kar raha tha.


Phir se Manav, basketball team ke captain ke baare me sochne laga jo aaj Vice principal Vinod Bedi se milne gaya tha.
Manav samajh gaya ki basketball team apne members ko defend karne ki poori koshish karegi.


Manav (man me) : "Aur... Elder Vinod apni chhupi hui special identity (dragon) ke kaaran mujhe bachane ki koshish karenge ... Matlab.. ant me, shaayad Adarsh .. akela bali ka bakra banega..." :sigh2:



Apne achchhe dost Adarsh ko dekhte hue, jo ab table ke doosri taraf baith gaya tha aur apni chintaon ko sharab me bahane ki koshish kar raha tha, Manav ne apne haath me toote hue glass ke saath, sabhi cheejon ko theek karne ki kasam khayi.


Halaanki, uske parents foreign se nahi laute the, to woh unke kisi bhi connections ka use nahi kar sakta tha ... saath hi, is ghatna ke baare me ab poori university ko pata tha to, university ki management team ko bhi saari details pehle se hi pata hongi. Isliye, shayad Elder Vinod bhi akele sab kuch na sambhaal paayein...



Adarsh ke khaatir, Manav kya sharmindgi aur kya apmaan.. sab kuch jhelne ko taiyaar tha. Jaahir hai.., university me Lakshya ke itne laaparwah vyavhaar ka kaaran bas yahi tha ki uske pita sahar ka deputy mayor tha.
Lekin phir bhi, yahan Manav ke naam-maatra ke hi sahi kintu bhaavi sasur, vaastav me Chennai University ke sabse bade shareholder the, aur.. unki company 'the Shaurya Group ' poore Asia ki economic leader thi !!
Iss background se kya kuch nahi ho sakta hai..?


Manav ne phaisla kiya ki wo ye sunishchit karenga university is ghatna ko nishpaksh roop se deal kare. Varna yah uske liye bada sharmnaak hoga..., aakhir woh itni badi shakhsiyat ka damaad jo thehra!




P.S. :-

Bhaiyo aur unki behno exam ke karan me last week 1 bhi update nahi de saka.. to 4 dino tak daily updates :wave:



Patience banaye rakhne ke liye aap sabhi ka bahut bahut dhanyavaad 😊🙏



:reading1: 🅁🄴🄰🄳,
🄻🄸🄺🄴 👍 🄰🄽🄳
🄲🄾🄼🄼🄴🄽🅃 📝 😄

To be continued.....
Awesome update bhai
 
  • Love
Reactions: Shadow_Chaser

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,857
159
Really nice one ....
Apka bahut bahut dhanyavaad Sandeep singh nirwan bhai ji 😊🙏
aahana ki toh har entry he solid lagti h.....
:laughing: :yes1:
Bhali ladki h :love:
Aur maanav raato raat famus ho gaya h ..ab maza ayega ki kaise.....maanv aur basket player walo ki ladayi hogi ya mamla finish ho jayega
Deputy mayor ka ladka, aane wala match, aur university management , basketball team ke prati university ki favourabilty- Sare factors affect karenge bhaiji
Ab dekhte h ki kya Manav Saanvi ki family ki help lega ya nahi? Agar help leta h to unki help kitni madadgaar rahegi :monkahmm:
 

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,857
159
Dragon kings son in law ke jese aur koi same type of theme novel ho toh batana bhai...ye novel bhi thik he hai but ending jaldi nipta diya author ne😅
Bhaya currently me busy chal raha hu to reading karne ka time nhi mil pata 😅
Jo free time bachta h usme update likh leta hu

Ye novel ke baad mene kuch aur stories and novels try kiye the lekin iske level ka ya isse acha mil nhi paya.. 🥲

Ek manga thi - ' cultivation chat group' - karke koi si, wo padha krta tha lekin fir vyastata ke chalte chhut gyi wo bhi
Achi thi funny & interesting

Baki apne xforum me to bhandar h achi achi completed aur ongoing stories ka :D
 
113
248
43
Dhansu update
Ahana ki entry solid
Manav ka bachpana solid
 
  • Love
Reactions: Shadow_Chaser

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,857
159
  • Like
Reactions: Badshaho
Status
Not open for further replies.
Top