aryan message dekhkar apni mummy ko call karta hai
aryan: haan mummy, mai just pahuncha. aap so jao ab.
mona: itna late kaise hua aur tune phone kyu nahi uthaya.
aryan: kal baat kare? mai thak gaya hoon.
mona: (sad face) ok. lekin tera khana?
aryan: apne tiffin diya hai na? abhi naha ke khaunga
mona: thik hai. tab tak mai jagi hu.
aryan: kyu? aur papa?
mona: (gusse me papa ki taraf dekhte hue) woh toh kabke so gaye. unko kaha fikar hai ladka kab kaha pahuncha
aryan: mummy aapko batana hi padega kya chal raha hai ghar me
mona: kuch nahi beta. tu bas sone se pehle mujhe phone karna
aryan: ok
aryan dekhta hai uske roommates sab so rahe hai aur woh apne room me dakhil hota hai. saman waghera rakh kar woh nahane jata hai. aaj train me ek ajeeb hadsa hua uske sath.