- 440
- 1,412
- 124
Nana family
Nana - Busharat - 72 saal
Nani - Nusrat - 68 saal
Mama - Iqbal - 50 saal
Rukhsana - 48 saal - mami
Hina - 30 saal - married
Noor - 28 saal - married
Maliha - 26 saal - married
Ahmed - 23 saal
Mama 2 - Javed - 48 saal
Shahnaz - 46 saal - mami 2
Tariq - 25 saal
Saba - 23 saal - tariq ki biwi aur rustom ki chhoti khala ki beti
Usman - 22 saal
Aisha - 20 saal
Rifat - 18 saal
Salma - 48 saal - Badi Khala
Manzoor - 50 saal - khalu
Nadir - 28 saal
nazish - 25 - rustom ki bahan aur nadir ki biwi
Zainab - 25 saal - married
Meraj - 23 saal
anwar - 19 saal
Najma - 41 saal - Choti Khala
farooq - 45 saal - khalu
Alia - 22 saal
Meher - 20 saal
Kamran - 18 saal
Shaadi ke moqe par Rustom ki nani, dono mamiyan, chhoti khala ki beti Saba, Aisha, aur Rifat aayi theen. Sath aaye the mama Javed aur Usman. Saba bhi ghar se door thee, gaon mein jaise rasmein hua karti hain, pinniyon aur desi ghee ke bane laddoon ki tokriyan saroon par rakhi hui theen. Kuch ke saroon par chhote trunk the, ek haath mein cheeni ka ek packet tha. Baqi mama Javed aur Usman do do bade bade bag liye muskurate sath aa rahe the.
Nani thodi bhari thee lekin bohot zyada rangeen mizaj thi aur nani ke jism mein kahin se bhi dhalkan nahi thi. Kassa hua jism tha, ghar par gaye bhansen rakhi hui thi, roz khub doodh piya karti thi. Doodh ke jaisi gori chitti aur bel ke jitni taqatwar thi. Nani ke sar par ek tokri thi. Rustom ke ghar ke khule darwaze par sab ne hi aane walon ko aate dekh liya tha. Gaon wale aur waliyan bhi apne gharon se bahar nikal sab ko dekh hasne lagi thi.
Nani aati hui khalis pendu style mein nachti aa rahi thi. Thumke lagati aa rahi thi. Mamiyan zarur sharam ki wajah se ghar se bahar aisa kuch nahi kar rahi thi. Haan lekin unke haath khaali the, saroon par bojh tha, dono haath se sammi maarte style mein taaliyan maarti aa rahi thi. Sath hi sab milkar ek hi gana gaa rahi thi. Mama Javed, jisne chamkeeli chadar lungi ki soorat bandh rakhi thi, wo bhi gana sath mein ga raha tha. Uski awaaz sabse unchi thi.
Bas itna hi dekhna tha, Rustom bhag kar kareeb aaya aur nani se mile bina nani ke sath milkar nachne laga. Rustom ka naach bade kamaal ka tha. Nani ne dance band nahi kiya, Rustom ko dekh ankhon se muskurati hont hilati naachti hui ghar ke kareeb hone lagi. Ab to sab kareeb kareeb aane lage the.
Aane wali larkiyan sab Rustom ko pyar aur shauq se dekhne lagi. Tabhi Kainat aur Lubna bhaag kar aayi, dono ke haathon mein chhote note the. Woh aayi aur Rustom ke sar par waarti gaon ki nayan ko awaaz deti saare paise usay dekhne lagi.
Yahan nani, dono mamiyan, kurban hokar Rustom ko dekhne lagi theen. Phir to nayan ki lotri hi lag padi thi. Mama Javed aur Iqbal, Rustom ke abba, taya, chacha aur cousins sab Rustom ke sar par paise warne lage. Nani aur mamiyan kahan ghar ke kareeb ja rahi theen. Wahin se sab gali ke beech o beech aa khade hue the. Sab Rustom aur nani ko gher kar khade ho gaye the. Gaon ke mard sharam ka paas karte hue kareeb nahi aaye. Gali mein jo gaon ki auratein thi woh bhi wahi aa kar gher kar khadi ho gayi thi aur ek sath milkar gana gaane lagi thi. Ab mamiyan, Nighat, Nazish aur tayi chachi, dadi sab milkar Rustom ke haath bari bari pakad kar nach rahi thi.
Wahan aisa hungama hua, har koi aash aash kar utha. 20 minute tak khub hungama raha tha. Kainat aur Lubna do pakki saheliyan thi. Dono ko seetiyan bajani aati thi. Dono ne khub wahi hulla machaya. Ab koi dekhne wala nahi tha. Sab ghiri hui thi. wo bhi wahi nachne lagi.
Aise moqe par gaon walon mein badi sharam hua karti thi. Sab ek dusre ka bada khayal rakhte the. Maa behno ki izzat ko sanjha samjha jata tha. Sab door se dekh rahe the, par koi kareeb nahi aa raha tha.
Kai bade boodhe bhi gaon wale aa gaye the. Pata chala nayan ghabra gayi thi. Usay itne paise ikathe hone lage the. Usse sambhale nahi ja rahe the. Itni sardi mein bhi sab ke paseene se kapde bheegne lage. Moti jursiyan sweater pahne hue the. Tabhi Rustom ne apni nani ko baahon mein utha liya aur nani ke galon ko chumta hua ghar ki taraf bhag nikla.
Ye manzar dekh sab zor zor se hasne lage the. Woh sab bhi Rustom ke peeche ghar jaane lage, jo kuch hi kadmon ki doori par tha.