Daikhty ha ya story kitny din chalti ha
ye wali to zarur padh li ho gi aap ne ustad g
ek mahine me ise puri kia ha. bohut si adhuri chhodi han to teen stories puri bhi to likhi han na adhuri ki baat chhod completed stories ki baat kyu nahi karte readers
last jo kuch din pahle story puri ki ha shayad wo bhi kisi ko pasand nahi aai thi likhte likhte hath thak gaye the lekin har update ke sath response kam hota gaya
aise me kon writer pure mann se stories ko likh sakta ha
ek update par 20 likes agli update par regular likes badhne chahiye lekin jaise jaise story aage badhti ha mostly readers samjhne lagte han ab like comment karne ki kya zarurat ha kahani chal rahi ha hum padh rahe han
is story jise pasand kia ja rha ho uski updates bhi regular post hone lage to fir likes me kami kyaa matlab rakhti hai
mujhse poochiye kitni himmat se ek mahine me 49 updates likh kar story ko pura kia ha warna to likes me kami ko dekh kar likhne ko haath inkaar karne lage the
ab isi kahani ko le lejiye jab se shru kari ha sab ye soch rahe han kahani puri hogi k nahi likes kyu karna fir bhi bohut se readers padh rahe han
sochte han bad me jab kahani bohut aage badh jaayegi tab ek aadh comment kar denge
kahani puri hui to likh denge nice ending
tang aa kar adhuri chhod dunga to comments par comments
maine to pahle hi kaha tha kahani mat padho ye writer ye kahani bhi adhuri chhod dega
are mai kahta hon jo stories adhuri chhodi han unke regular updater par response kyun nahi notice karte aap
ab aap hi dekh lo jinti meri stories han utne to aap ke mere threads par comments bhi hain. aise kai readers han jo story band hone par comments karte han
ab is new ID se new story start kari ha dekhte han readers ka response kya ha, koshish hogi response mile na mile ise pura karun aur jald se jald karun
readers ko doubt ha to mere sath samjhota kar len likes comments ka wada kar len aur fix dates par updates par baat kar len mai updates dunga aap full response den
dekhte han kon kitne pani me hai readers me ya writers me. kon kis se kitna mukhlis ha, kisi kis ki zayada chah ha sab malum pad jaayega.