Update : 14 (Mussoorie)
“hahahahaha” hasne ki awaaz canteen me gunj rahi thi “kyu bhai, ab kaha gayi teri saari hekadi” haste hue usne apne saathi se kaha “haar manta hai yaa nahi, yaa fir ek aur game”
Dusra ladka “bas bas bas, mai haar manta hu, haar manata hu mai” usne hatash hote hue kaha
Pehla ladka “maan gaaye bhai, tere me bhi dum kaafi hai, kaafi acha khele aap”
Dusra ladka “par aapke jitna nahi”
Pehla ladka “haan, voh toh hai, yu maan lo ki iss game ka master hu mai”
Dusra ladka “haan bhai, ek time tha jab mai bhi CS ka master hua karta tha”
Pehla ladka “haan, voh toh hai, jo maja laptop me CS khelne ka aata tha voh alag hi tha”
Uske baad voh dusra ladka kehta hai “toh ab kya plan hai aaj ka”
Pehla ladka “sir, vese toh kuch khaas plan nahi hai, soch raha hu aaj apne dosto se mil lu, kaafi din ho gaye hai”
Dusra ladka “haa bhai, yeh saala office ke chakkar me sab kuch piche chuth jaata hai” voh dono office ki canteen se chay lete hue ek table par baith te hai
Pehla ladka “haa sir, aur jabse bhaiya ghumne gaye hai mere din kanha jaa rahe hai kuch pata nahi chalta, sach me..agar bhaiya nahi hote toh yeh office sambhalna mere bas ka kaam nahi hai”
Dusra ladka “toh aap kab jaa rahe hai..??”
Pehla ladka “vese toh abhi kuch jyada kaam nahi hai, toh soch raha hu ki mai kal hi chale jau”
Tabhi vanha par ek aur ladka aata hai aura ate hi iss pehle ladke par baras pada “tu abhi bhi yahin par hai, yaar tu ek din marwaega muje”
Dusra ladka “are bhai shant hoja, le chaay pee”
Voh naya aaya hua ladka “are nahi sir, mai chaay peekar aaya hu” aur fir voh pehle ladke ki aur dekhte hue “saale, mera phone utha, kabse tuje phone kar raha hu”
Voh pehla ladka apne jeb se phone nikalkar dekhte hue bola “are haa yaar, kaafi call kiye hai tune, sorry voh phone silent me tha”
Naya ladka “tu saala kabhi nahi sudhrega, kitna PUBG kehtla hai”
Dusra ladka “are bhai, itna gussa kis baat ka..??”
Naya ladka “aap manoge nahi sir, yeh Naksh hamesa aisa hi karta hai, kabhi hamara phone nahi uthata, saala pure din game game aur game”
Iss baat par sab hasne lagte hai, toh naksh kehta hai “abe saale, aaj mai pure ek hafte ke baad game khela hu, kaafi mehnat ki hai maine”
Dusra ladka “ha ankit, yeh toh sach bola isne, acha chalo mai chalta hu, ghar par sab raah dekh rahe honge” uske baad voh vanha se chala jaata hai
Ankit naksh par chillate hue bolta hai “bhai, kyu tu meri marne par tula hua hai, already hum dono bahut late ho chuke hai”
Naksh fir apni chaay khatam karte hue kehta hai “haa chal bhai, vese hum jaa kaha rahe hai..??” aur dono hi vanha se chal padte hai
Ankit “sneha ka message aaya tha, CCD me milna hai”
Fir voh dono naksh ki gaadi se office se nikal jaate hai, Naksh drive karte hue ankit se puchta hai “yaar, tuje kya lagta hai..aaj Krina aayegi..??”
Ankit “bhai, iss baare me toh muje bhi nahi pata”
Naksh “haa toh bhai, sneha ko call karke puch lena”
Ankit “nik, tu pura pagal hai, yaar abhi hum vahi jaa rahe hai, tu khud dekh lena”
Naksh halke gusse se kehta hai “yeh Sneha bhi na, kabhi koi puri baat batati hi nahi hai tuje” fir voh kuch sochte hue kehta hai “yaar ankit, Krina ko mile kaafi time ho gaya hai, pata nahi voh kesi hogi”
Ankit apna sar patak te hue kehta hai “tu fir shuru ho gaya, yaar tu kyu uss ladki ke piche pada hua hai” yeh dono esi baat karte hue CCD pahuch jaate hai
Voh dono CCD ke andar jaate hi Ankit kin ajar Sneha par padi jo gusse me inn dono ko ghur rahi thi “mar gaye bhai, yeh aaj muje kahi ka nahi chodegi”
Naksh haste hue kehta hai “hahha, sahi hai bhai”
Ankit naksh ko marte hue kehta hai “saale, yeh sab teri hi vajah se hua hai, tuje kya jarurat thi aaj game khelne ki”
Naksh “isme mai kuch nahi kar sakta, aur vese bhi kaam khatam karne ke baad PUBG khelne ka maaja hi kuch aur hai”
Ankit “haaa pata hai muje” voh dono baate karte hue Sneha ke pass pahuch jaate hai
Ab hua yu ki Sneha pehle se gusse me thi, toh ankit ke aate hi voh uspar chillane lagi “ankit, tu kab sudhrega, har baar tu late karta hai, kabhi toh time se aaya kar”
Ankit “are baby, maine kuch nahi kiya, yeh sab iski vajah se ho raha hai” voh kehte hue Naksh ko aage kar deta hai
Par hamare naksh sahab toh kuch aur karne me hi vyast the, ab Krina jab uske samne baithi ho aur Naksh usko naa dekhe aisa kabhi ho hi nahi sakta tha, voh iss baat se bekhabar hokar Krina ko dekhe jaa raha tha, aur vahi Ankit aur Sneha aapass me lade jaa rahe the
Ankit uske pait me ghusa marte hue kehta hai “abe bhonk na”
Naksh ke muh se kahrane ki awaaz nikal jaati hai “abe maar kyu raha hai bhutnike”
Krina “lemme guess, Naksh shayad game khel raha hoga”
Ankit “haa krina, sale ko maine 25 call kiye the, ek bhi receive nahi kiya”
Krina “so mister Naksh, kya kar rahe ho aajkal..??”
Ankit “krina, tu bhi kisse puch rahi hai, inn sahab ke toh maje, pehle se hi life set hai, kaam toh hame karna padta hai”
Sneha “yeh toh sach kaha tune, Naksh ke maje hai”
Krina “thoda toh serious hoja, kitni game khelega”
Ankit “iska bass chale toh yeh puri zindagi game khelta rahe”
Krina sawaal toh naksh se puch rahi thi, lekin uska saara jawab Ankit de raha tha, toh naksh jo uske baju me baitha tha, voh Ankit ko ghusa marte hue bolta hai “darling, mai puri tarah se naakara nahi hu, yeh le mera card” voh apna card Krina ko dete hue kehta hai
Krina “Managing Director, great”
Sneha “kya baat hai Nik, MD..congrats”
Naksh “haa, thanks”
Tabtak unke group ke saare log aajaate hai, ab karib 4 ladke the aur 3 ladkiya tha, aru voh sab aapas me masti karne lage
Tabhi achanak se Naksh ka phone baj uthta hai, Phone ki screen par flash ho rahe naam ko dekhte hi unse turant phone pick kiya “bhai, kanha hai tu..?? aur kyaa haalchal hai..?? hum log abhi teri hi baat kar rahe the”
Samne se awaaz aayi “bas bhai dekh duty par hu abhi, baaki tu bata..?? aur hum log se tera kya matlab tha”
Naksh “are voh toh aaj hamari puri paltan mili hai, toh sab puch rahe the tere baare me”
Samne se awaaz aayi “acha yeh baat hai, matlab ki bhabhi bhi aayi hogi” aur voh hasne laga
Naksh thoda gusse me bola “abe sale chup ho ja, tuna bataya nahi tu hai kanha par abhi”
“hahaha, acha yeh bata ghar me sab kese hai”
Naksh “ek dum maje me bhai, tu hai kaha aajkal..??”
“Mussoorie me hu bhai, kuch din pehle hi meri yanha par posting hui hai”
Naksh “great yaar, bhaiya aur bhabhi bhi vahi par gaye hai, aur mai bhi kal vahi aa raha hu”
Aryan kuch sochte hue “acha, yanha par kyu..??”
Naksh “yaar mai aur bhaiya ek naya project shuru kar rahe hai, toh usi silsile me vaha ek meeting rakhi hui hai, ghumne ka bhi ho jaaye aur kaam ka kaam”
Aryan “sahi hai bhai, congratulations, toh milte hai fir”
Naksh “thanks bhai, kuch kaam tha kya..??”
Aryan “are haa, Rahul bhaiya ka phone nahi lag raha tha, toh socha ki tujse baat kar lu”
Naksh “bhaiya toh karib 1 hafte se Mussoorie me hai, shayad vanha par network problem hai, kyunki meri bhi unn se baat nahi hui” fir voh rukte hue kehta hai “agar meri baat hoti hai toh mai unhe bata dunga”
Aryan “thik hai bhai, chal toh milte hai fir”
Naksh “haa jarur bhai, chal bye”
Aryan “bye” kehte hue Naksh phone rakh deta hai
Sneha “tu kal Mussoorie jaa raha hai..??”
Krina “wow yaar, voh bahut hi mast jagah hai, kaash ke mai bhi vaanha jaa pati”
Ankit kuch sochte hue kehta hai “ek kaam karte hai, Naksh toh jaa hi raha hai, toh kyu naa hum sab bhi saath chale, kya kehna hai”
Sneha “nahi yaar, itni jaldi possible nahi ho payega, muje kaam hai”
Naksh “sneha, kaam toh puri life rahega, aur vese bhi hum sab ghumne jaane ka plan karne hi vale the, toh kyu na hum abhi chale, aur vese bhi Aryan bhi vahi hai toh kaafi maaja aayega”
Sneha “uhmm, baat toh teri sahi hai, chalte hai fir” iss par sabhi log agree karte hai
Naksh “great, toh mai Aryan ko bata deta hu ki hum sab aa rahe hai, voh khush ho jayega”
Krina “nahi yaar, use surprise dete haina” aur inn logo ki ese hi baate hone lagi
Vahi dusri aur Aryan ki mann me kaafi saari baate ek saath ghum rahi thi, Naksh se baat karne ke baad Aryan ke samne aur bhi naye sawaal aa khade ho gaye the
Aryan ki iss tarah se pareshan dekh Sunil kehta hai “Aryan, tuje hua kya hai..?? mai dekh raha hu tu kabse pareshan hai, jabse tune apne dost se baat ki tu kaafi ajeeb behave kar raha hai”
Aryan “haa mere bhai, baat hi kuch aisi hai, yaad hai jab hume voh car mili thi” uske baad Aryan sunil ko sab kuch bata deta hai jo uske mann me chal raha tha
Yeh sunne ke baad toh sunil bhi kaafi pareshan ho jaata hai
Aryan “aur sirf itna hi nahi, naksh kal Mussoorie aa raha hai”
Sunil “toh tumne use kuch bataya ya nahi..??”
Aryan “iss waqt toh nahi”
Sunil “don’t worry Aryan, mai kal subah hi Mussoorie chala jaunga” voh dono baate karte hue police station pahuch jaate hai
Patil inn dono ki raah dekh raha tha, jese hi Aryan apne cabin me gaya toh voh turant bolta hai “sahab, sarpanch ne kisiko phone kiya tha, aapko jarur sunna chahiye”
Jiske baad Aryan uss clip ko sunta hai toh….
To be continued…