• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Horror Maut ka Aatank...!!!

Milan2010

Well-Known Member
4,855
3,649
159
Update : 19 (Anokha Khel)

Dheere dheere karte hue zameen me charo taraf barf ki ek patli parat jam gayi thi..jiski vajah se sabhi ko chalne me bhi kaafi pareshani ho rahi thi..voh log jese tese karte hue ek dusre ka haath pakad kar bahar nikalne ki koshish kar rahe the
Kuch dikhayi naa dene ke karan aur behti hui hawa unhe chalne me bahut jyada pareshan kar rahi thi

Tabhi achanak se kuch aisa hua ki sabhi log ka ekdusre se haath chuth gaya aur sabhi log alag ho gaye

Ab aage….


Dheere dheere tufaan apna zor pakad raha tha, aur kohra iss had tak badh gaya tha ki ab hum ekdusre ko bhi nahi dekh paa rahe the
Aashi “di..ab hum kya kare” usne darte hue sonali se pucha

Sonali jo sabse aage chal rahi thi usne hausla dete hue kaha “hume kuch bhi karke iss jungle se bahar nikalna hi hoga”

Rahul “didi, iss halat me jaana khatre se khaali nahi hoga”

Sid “hume toh yeh bhi nahi pata ki hum jaa konsi taraf rahe hai”

Shreyashi bhi ab darne lagi thi “di..” lekin voh kuch keh paati uske pehle hi uske muh se ek dard bhari aaah nikal gayi aur sonali se uska haath chuth gaya

Hua yu ki saaf dikhayi naa dene ki vajah se Shreyashi kisi chiz se takra jaati hai, aur takrane ki vajah se voh khud ko sambhal nahi paayi aur apne muh ke bal ghir jaati hai
Girne ki vajah se Shreyashi ka haath sonali se chooth gaya aur vahi shreyashi ke saath Aashi bhi gir jaati hai
Shreya ki awaaz sunkar Sonali piche mudti hai aur “Shreya, kya hau..tu thik toh haina”

Shreya “haa di, mai thik hu…aashiii” usne aashika ka naam pukara

Lekin aashi ne koi jawab nahi diya, “aashi, kaha hai tu” Shreya ne ek aur baar aashi ka naam pukara

Aashi ka koi jawab naa aata dekh Sonali thodi si ghabrane lagti hai, vahi Sid “di, Rahul bhi nahi hai mere saath”

Sonali chaunkte hue “kya..?? kaha gaye yeh dono”

Sid “pata nahi di, aashi mere pairo par giri thi, toh mai khud ko sambhal nahi paaya aur Rahul ke haath se mera haath chuth gaya”

Shreya “Rahul, aashi..kaha ho tum dono” lekin dono mese koi bhi jawaab nahi de raha tha “ab hum kya kare..??”

Sid “ho sakta hai shayad girne ki vajah se voh pahad se niche chale gaye ho..kyunki yanha par dhalaang bhi kaafi jyada hai”

Shreya “hume unhe dhundna hoga”

Sonali “haa, chalo vapas niche chalte hai”

Sid “aap dono pagal ho gaye ho, itni tej baarish me agar hum niche gaye toh hum khud ghum ho jayenge..mere hisab se hume yahin par rukkar intezaar karna hoga”

Shreya “yanha..?? yanha par kaha rukenge”

Sonali “nahi sid, hum jungle me nahi ruk sakte, janta hai na tu jungle me kya hota hai”

Sid “haa di, lekin hamare pass iske alawa aur koi option bhi toh nahi hai, aur mai apne dosto ko liye bina nahi jaunga”

Sonali bhi sid ki baat ko samaj rahi thi, use bhi unn dono ko chodkar jaane ka mann nahi kar raha tha, lekin voh yeh tay nahi kar paa rahi thi voh kya kare
Sid “mere khayaal se kuch hai vanha par” usne samne ki aur ishara karte hue kaha

Shreya aur sonali dono uss taraf dekhte hai, vaha ek halki se parchayi najar aa rahi thi, Sonali “voh kya hai..??”

Sid “jo bhi hai, hum shayad vanha par ruk sakte hai”

Shreya fir apna phone nikal kar Rahul aur aashi dono ke phone try karti hai “shittt, unn dono ke hi phone nahi lag rahe, mere khayaal se hume yahi rukna hoga”

Fir yeh tino uss parchayi ki taraf chal dete hai, Sonali ke mann me iss waqt kaafi saare sawaal ghum rahe the “itna gehra kohra hai fir bhi hum yeh parchayi kese dikh rahi hai, aur Rahul aur aashii..voh dono kese” lekin uske pass kisi bhi sawaal ka koi jawaab nahi tha

Voh tino kuch hi der me uss parchayi ke pass pahuch jaate hai, voh uss pahadi jungle me bana yaa kahu ki ek tuta hua ghar tha
Sonali “yeh ajeeb hai, jab hum yanha se aaye tab toh hume yeh ghar nahi dikha tha”

Shreya “common di, hamare dhyaan nahi gaya hoga”

Sonali “nahi Shreya..muje pakka pata hai ki maine aaj tak aise kisi bhi ghar ke baare me nahi suna”

Sid “di, maine kaha tha, hum shayad galat direction me jaa rahe hai, yeh fog itna jyada hai ki shayad hum bhatak gaye ho”

Shreya “haa di, yahi hua hoga”

Sonali ko sid ki baat sahi lagti hai, lekin uska dil yeh maan ne ke liye taiyaar nahi tha, sid “infact acha hua hume yeh mil gaya..varna pata nahi hum kya karte” kehte hue voh uss ghar ka tuta hua darwaaza khol deta hai

“tttttttrrrrrrrrrrr chhhhhhhhrrrrrrrr” ki awaaz karta hua voh darwaaza khul gaya aur voh tino andar chale gaye

Shreya ghar ko andar se dekhte hue kehti hai “not bad, par yanha par rehta kaun hoga”

Sid “mere hisab se koyi nahi, aap dono yanha par wait karo mai aata hu”

Shreya “tu kaha jaa raha hai”

Sid “madam ji, abhi kuch der baad aap kahegi ki muje thand lag rahi hai, toh mai SRK toh hu nahi jo tumhe apna jacket de dunga..mai kuch ladkiya lekar aata hu”

Sonali “sid, jyada dur nahi jaana, aur apna khayaal rakhna”

Sid “thik hai di, mai pass me hi dekh leta hu, shayad abhi bhi paid ki ladkiya shayad kaam aajaye”

Sonali “thik hai”

Vahi dusri aur
“aashi, Shreya, sid, di..kaha ho aap” Rahul apne charo aur dekhte hue chilla raha tha “aaahhhhhh..yanha par kese aaya” apne sar par haath rakhte hue bola

Aashi “Rahul, sid, Shreya..kaha ho tum sab..?? dekho agar yeh majak haina toh mai keh deti hu, mai kabhi tum logo se baat nahi karogi” voh darte hue bolti hai

Tabhi achanak se koi piche se aata hai aur aashi ke kandhe par chune laga, aashi turant piche mudkar dekhti hai toh vaha koi nahi hota..kuch that oh sirf gehna kohra
Fir se aashi ko piche se kisine chua, toh iss baar aashi thoda gusse me “kya hai sid” kehte hue voh mud gaya

Lekin use yanha bhi koi nahi dikha..aashi ke saath aisa kahi baar ho raha tha..lekin voh kuch samaj nahi paa rahi thi
Uske dil me darr ab dheere dheere badhne laga tha jo itni thand me bhi uske chehre par pasine aane lage the
Aashi rote hue kehti “please stop it, please dosto muje dar lag raha hai” kehte hue voh vahi par baith jaati hai aur rone lagti hai

Tabhi achanak se piche se paid ki kuch daaliya uske pass aayi aur use joro se jakad liya aur uski pakad aashi par badhne lagi
Yeh hoti hi aashi ki aankhe puri tarah se khul jaati hai..voh apne chaaro aur dekh rahi thi lekin use kuch bhi nahi dikh raha tha..par voh apna sharir ko ache se dekh paa rahi thi..aur unn paid ki daaliyo ko jo use jakadte jaa rahi thi
Kaate daar daliya honi ki vajah se Aashi ke sharir se khoone nikal ne laga tha..dheere dheere karte ab unn daliyo ki pakad itni jyada badh gayi ke aashi ke haath ki haddiya tutne lagi
“aahhhhhhhhhhhhhh” ek dardnaak chikh aashi ke muh se nikal jaati hai “please stop it….please” voh dard me kahrane lagti hai

Tabhi vaha uske pass Rahul daudte hue aata hai aur aashi ke pass baith gaya “aaashi, aasssshhhhhiiiiiiiiiii” kehte hue voh aashi ke chehre par marne laga

Rahul ki awaaz sunkar Aashi apni aankhe kholti hai “Rahul…” use dekhkar voh joro se use pakad leti hai

Rahul “aashi, kya hua tha..tu itna chilla kyu rahi thi”

Aashi “voh Rahul..voh mai..voh padi ki daaliya” usne apne sharir ki aur dekha toh vaha par ab koi daaliya nahi thi, jise dekhkar voh kaafi dar jaati hai

Rahul “paid ki daaliya kya aashi”

Aashi kuch nahi bolti aur Rahul ke gale lag kar jor jor se rone lagti hai “please Rahul..muje ghar jaana hai, muje nahi rehna iss jungle me”

Rahul use sar par haath firate hue kehta hai “haa aashi, please tu chup hoja, hum yanha se jaldi niklenge”

Fir voh aashi ko chup karate hue khada hota hai..aur aashi ko puchta hai “aashi, baaki sab kaha hai”

Aashi ne Rahul ke haath ko abhi bhi joro se jakade hue tha “pata nahi Rahul, mai toh bas” voh abhi bhi ruansi awaaz se kehti hai

Rahul “hum yanha par kese pahuche” usne yeh sawaal aashi se kiya

Rahul ki awaaz sunkar Aashi ekdum se dar jaati hai “yeh..yeh toh kya kar raha hai Rahul”

Rahul “aashi..yeh kya majak hai” voh utla aashi se sawaal karta hai

Hua yeh tha ki Rahul aur aashi ek dusre se keh kuch rahe the aur unhe sunayi kuch aur de raha tha

Vahi dusri aur Sid uss tute hue ghar se baahar nikalkar aata hai toh use side me kuch lakdiya mil jaati hai “yeh ajeeb hai, yeh lakdiya yanha toh nahi thi” voh unn lakdiyo ki aur dekhte hue kehta hai
“shayad, maine hi dhyaan nahi diya hoga” fir voh unn ladkiyo ko uthakar ghar ke andar le jaata hai

Shreya aur Sonali dono hi ghumshum se side me baithe hue the, uske baad sid uss lakdiyo ko jalata hai aur voh tino vahi par baith jaate hai

Dheere dheere karte hue raat apne pure charam par pahuch chuki thi, khair baraf girni toh ab band ho gayi thi..lekin thand thi ke voh kam hone ka naam nahi le rahi hai
Shreya khidki se bahar dekhte hue boli “barf girna band ho gayi hai..aur asmaan bhi ek dum saaf ho gaya hai, kya hum unn dono ko dhundne jaana chahiye”

Sid “nahi Shreya, raat me iss jungle me jaana sahi nahi hai”

Sonali “tune phone try kiya”

Shreya inn dono ke pass aakar baith te hue boli “haa di, unka phone nahi lag raha” fir voh vahi sonali ki godi me sar rakhkar lait jaati hai

Sonali bhi pyaar se apne haatho ko uske sar par firati hai aur vanha par ghar me ekdum se sannata chaa jaata hai

To be continued…
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,285
304
yeh joh bhi hain ush jungle mein.... ushe chuhe billi ka khel bahot pasand hai sayad.... isliye inlogo ke sath bhi wohin khel, khel raha hai....
Kamal hai bhoot ne inke liye sar dhakne ke liye ghar, aag Lagane ke liye lakdiya jugad kar diya.. lage hatho khana bhi de dete :D
udhar aashi ke sath lukka chuppi bhi khel raha hai....
Khair....
Brilliant update with awesome writing skill milu ji :applause:
 

Milan2010

Well-Known Member
4,855
3,649
159
yeh joh bhi hain ush jungle mein.... ushe chuhe billi ka khel bahot pasand hai sayad.... isliye inlogo ke sath bhi wohin khel, khel raha hai....
Kamal hai bhoot ne inke liye sar dhakne ke liye ghar, aag Lagane ke liye lakdiya jugad kar diya.. lage hatho khana bhi de dete :D
udhar aashi ke sath lukka chuppi bhi khel raha hai....
Khair....
Brilliant update with awesome writing skill milu ji :applause:
:thanks: Naina ji :dost:
jaankar acha laga ki aapko update pasand aaya
haa..ab bhoot chacha ya chahchi jo bhi hai unhe yahi sab pasand aata hai
haa aisa dayavan bhoot aapko kahi nahi milega :D
 
  • Like
Reactions: Kirti.s

Milan2010

Well-Known Member
4,855
3,649
159
Update : 20 (Game Continued)

Shreya inn dono ke pass aakar baith te hue boli “haa di, unka phone nahi lag raha” fir voh vahi sonali ki godi me sar rakhkar lait jaati hai

Sonali bhi pyaar se apne haatho ko uske sar par firati hai aur vanha par ghar me ekdum se sannata chaa jaata hai

Ab aage…..

Dheere Dheere raat apna jor pakad rahi thi, aur thand bhi uss had tak badh gayi thi ab aag ke samne baithe hue bhi Shreyashi, Sonali aur Sid tino hi kaanp rahe the
Sid “aaj mausam bahut kharab ho raha hai” bolte hue uske muh se dhua nikal raha tha

Shreya “haa, iss tarah se mausum aaj se pehle kabhi kharab nahi hua”

Sonali jo kaafi der se chup thi, usko dekhte hue Sid kehta hai “di, aap kya soch rahe hai”

Sonali ki pareshani uski awaaz me jalak rahi thi “muje Rahul aur Aashi ki fikar ho rahi hai, pata nahi voh kin haalat me hoga..??”

Sonali ki baat ne unn dono ko bhi pareshani me daal diya tha
Sid “I think hume kuch der aaram karna chahiye” usne maahol ko samajte hue kaha
Shreya aur Sonali dono ko hi sid ki baat sahi lagti hai, Sonali vali deewal ke tek lagaye baith jaati hai, aur Shreya apna sar apni behen ki godi me rakhkar aankh band kar deti hai aur vahi sid bhi thoda pass me lait jaata hai

Kuch der tak Sonali pyaar se Shreyashi ke sar par haath fera rahi thi, lekin uske mann me bhi bahut se sawaal umad rahe the, voh apne mann me sochti hai “mausam itna jaldi kese badal sakta hai..?? aur muje yaad hai ki jab hum aaye tab yah ghar yaanha par nahi tha..aur Rahul aur aashi kese” bahut se sawal uske mann me the lekin jawab kisika bhi nahi tha

Fir uski najar Shreyashi par gayi jo ek dum nanhi si gudiya ki tarah apne behen ki god me so rahi thi, voh pyaar se ek baar uske maathe par kiss karti hai aur fir voh bhi apni aankhe band karke baith jaati hai

Khair yeh tino toh aaram se so gaye the, uss aane wale waqt se anjaan jo kuch hi der me shuru hone vala tha

Vahi Rahul aur Aashi ki haalat bhi kharab hote jaa rahe the, Aashi ne ro-rokar apna haal behaal kar rakha tha, aansu the ke rukne ka naam nahi le rahe the
Pichle 4 ghante se hi yeh khel unn dono ke bich ese hi chala jaa raha tha..Aashi bolti kuch hai aur Rahul ko sunayi kuch aur de raha tha

Aashi ne Rahul ke haath ko abhi bhi joro se jakade hue tha “pata nahi Rahul, mai toh bas” voh abhi bhi ruansi awaaz se kehti hai

Rahul “hum yanha par kese pahuche” usne yeh sawaal aashi se kiya

Rahul ki awaaz sunkar Aashi ekdum se dar jaati hai “chalo acha hai..ab sirf hum dono akele hai yanha par..aaj toh mai” aur ek shaitani hasi hasne laga

Aashi ajeeb se muh karte hue “yeh..yeh toh kya kar raha hai Rahul”

Aashi ki awaaz “mai soch rahi hu ki tuje maaru kese

Rahul “aashi..yeh kya majak hai” voh utla aashi se sawaal karta hai

Rahul aashi ke karib aata hai aur uske haatho ko jor se jakadte hue “vahi jo mai bahut waqt se karna chahta tha” aur voh jor se apne naakhun ko uski baanho me kured deta hai

Aashi dard ke maare chikhte hue boli “aaaaaahhhhhhh, Rahul please..chod muje, tu pagal ho gaya hai” aur usne Rahul ko jor se thappad mar diya

Aashi “hahahaha, saale naamard, kya chipti kaat raha hai, mai batati hu kese karte hai” kehte hue usne Rahul ko jor se thappad maar diya

Rahul dard me chillate hue bola “aahhhhhhhh, aashi bas ab, bahut bol rahi hai tu” aashi ne thappad itna jor se maara tha ki uske naakh se khoon behne laga “aashi tuje hua kya hai” voh aashi ko samjane ke liye apne haath uske kandhe par rakhta hai

Rahul “Saali, mujpar haath uthati hai” thoda rukkar “aaj toh mai tuje nahi chodunga” kehte hue usne apne dono haath Aashi ke kandho par rakh diye aur uske top ki dono side ki baaju ko faad diya

Achanak se aashi ki najar Rahul ke chehre par gayi, achanak se hi uski aankhe ekdum se laal ho gayi thi..aisa lag raha tha maano Rahul apne aape me nahi hai, aur uske daant..voh itni buri tarah se sade hue the ki aashi ko ulti jesa hone laga
Rahul ke chehre ko iss kadar dekh aashi bahut darr jaati hai aur voh Rahul se dur jaane ke liye use dhakka marti hai, Rahul ne aashi ko kaafi jor se pakda hua tha..achank se Dhakka lagne ki vajah se aashi ka top fat jaata hai

Yeh hota dekh Rahul apne haath turant piche le leta hai “aashi, I am sorry, mera aisa koi irada nahi tha” aur uski aankho se aansu nikal aata hai

Rahul “aaj mai tuje nahi chodunga, Sali tune bahut tadpaaya hai muje” kehte hue voh aashi ki aur badha

Aashi dekhti hai ki Rahul ek bhaddi se hasi haste hue uske pass aa raha hai..aur saath me uske chehre se achanak se khoon nikal ne lagta hai jisse Rahul ka chehra aur bhi bhayanak lagne laga

Rahul ka aisa chehra dekh Aashi ko bahut jyada dar lagne laga tha, voh darte hue hi piche mudi ke use galti se Rahul ke pair ki thokar lagti hai aur voh vahi par gir padti hai

Vahi dusri aur Rahul bhi bahut jyada dara hua tha..usne aaj tak kabhi Aashi ka yeh roop nahi dekha tha, voh bas aashi ko samjana chahta hai ki voh aisa bartaav kyu kar rahi hai..?? voh aashi ko rokne ke liye aage badha ki uska pair Aashi se jaa takraya aur aisa hoti hi aashi niche gir padi aur Rahul uske upar jaa gira

Aashi joro se haste hue “haahhahahaahaaha, ise kuch nahi hoga, sale napunshak”

Rahul “aashi, tu kabhi aisi nahi thi..please batana kya hua tuje” uski aankho se aansu nikal aate hai

Rahul “ab aayi hai tu mere niche, aaj toh mai tuje aisa nichodunga ki tu chalne ke laayak nahi rahegi” ek darawani aawaaz aashi ki kaano me padti hai

Aashi rote hue bolti hai “please Rahul, please ab toh yeh majaak band kar de”

Aashi “kya hua..?? itne me hi teri hawa nikal gayi..saale mai toh pehle se hi jaanti thi ki tu naamard hai”

Rahul “mai nahi jaanta aashi tu yeh kya bol rahi hai, tu meri aashi nahi ho sakti..bilkul bhi nahi, kaun hai tu” usne ruansi aawaaz me pucha aur apna chehra niche juka liya

Rahul “tera yeh gora badan ab mera hai..mai aaj jee bhar kar ise piunga” kehte hue voh aashi ke karib badhne laga

Aashi “nahi Rahul please..please aisa mat kar, mai haath jodti hu tujse” usne Rahul se minnate karte hue kaha

Aashi “taras aata hai tujpar, hijda saala…aur pata nahi mai kyu tujse pyaar kar rahi thi” aur voh jor jor se haste hue usne apne haatho ko jor se Rahul ke seene par fira diya

Aashi ka haath apne seene par mehsus hote hi Rahul ki dard se ek aah nikal jaati hai, aashi ke bade bade nakhun ne uske cheene ko chir diya tha..aur vaha se khoon paani ki tarah behte hue Aashi ke sharir par girne laga

Rahul “aaaashhhhhhhhhiiiiiiiiiiii” voh jor se dard me chillata hai aur aashi ke haath ko apne seene se hatane ka prayaas karne laga

Rahul “saaali baaazaat mujpar haath uthati hai” kehte hue usne aashi ke haath ko jor se pakadkar marod diya aur uske haath ki haadi tutne ki awaaz aayi

Aashi “nahhhhiiiiiiiiiii” voh ab dard ke mare jatpatane lagi thi, aashi ki haalat aise ho gaye the maano kaanto toh khoon nahi, ek taraf apne haath me ho rahe dard se tadap rahi thi toh dusri tarah Rahul ka yeh roop dekhkar uske dil aur dimaag me darr haawi ho gaya tha, lekin fir bhi voh Rahul ko apne upar se hatane ka praytna karti hai aur apne dusre haath se use dhakka marne lagi

Aashi “aahhhhh, saleee” kehte hue usne Rahul ke pait par dusre haat se mukka marr diya

Rahul “aashi, mai nahi jaanta tu kyu aisa bartaav kar rahi hai..bas itna kehna chahtu hu I love you, I love you so much”

Rahul “bi**h, bahut tadpaya hai tune aur tere iss jism me, aaj mai teri iss jawani ko chake bina nahi rukne vala”

Aashi rote hue apne hathiyaar daal deti hai “Rahul, agar tu yahi chahta hai toh thik hai karle tuje jo bhi karna hai..mai uff tak nahi karungi” usne apni himmat harte hue kaha “vese bhi yeh tu jo kar raha hai voh sab tera hi tha..ha Rahul mai tujse pyaar karne lagi thi..but now I hate you..i hate you so much” voh jor jor se rone lagi

Yeh dono ke saath aisa hi hote jaa raha tha..dono ek dusre se bol kuch rahe the..lekin unhe dunayi kuch aur de raha tha

Vahi dusri aur Sid ko pata nahi kya hua, voh achanak se uthkar room ke bahar chala jaata hai
Kuch der baad Shreyashi ko aashi ki awaaz sunayi deti hai “shreyaa…please help me” ek dheeme aur madhur si awaaz shreyashi ke kaano me padi

Aashi ki awaaz sunkar Shreya apni aankh kholkar baith jaati hai, use esa mehsoosh ho raha tha jessa aashi uske bahut pass hai, lekin use koi bhi nahi dikh raha tha
Voh turant piche mudkar dekhti hai toh Sonali ko usne soya hua paaya, sonali baithe baithe hi so gayi thi..iss vajah se usne Sonali ko uthana sahi nahi samja aur voh sid ko dekhne lagi

Shreya “yeh..yeh sid kaha gaya” kehte hue voh uth gayi

“yeh ladka bhi na, kabhi sunta hi nahi” kehte hue voh khadi hui aur apne phone ki torch on karke apne charo aur dekhne lagi

“shreyuuuuuuu..aaahhhhhhhhh, hellpppppp meeeeee” yeh aawaaz fir ek baar Shreya ke kaano me gunjte hi Shreya turant apne charo aur dekhne lagi..lekin sivay Sonali ke use koi bhi nahi dikh raha tha

Lekin shayad itna kaafi nahi tha..shreya ke kaan me aashi ki awaaz baar baar padne lagi..dheere dheere karte hue voh awaaz Shreyashi ke karib aur karib aane lagi..aur ek pal aisa aisa aaya jab Aashi ki awaaz thik uske kaan ke pass se sunayi dene lag gayi

Shreyashi baar baar phone ko idhar se udhar kar rahi thi..lekin use koi bhi dikhayi nahi de raha tha, voh darte hue kehti hai “kkkk…kaauunnnn hhh…haaiiiii, aasshiiiii, dekkhhhh agar yeh tu hai toh please majak mat kar” usne halkate hue kaafi dheere se kaha

Shreyashi ke itna kehti jo awaaz uske kaano me sunayi de rahi thi voh ekdum se shant ho gayi..ek dum se pure ghar me ghor sannata cha gaya…ab haalat aise ho gaye the ki Shreyashi ke khud ko apni chalti tej saanso aur dhadkan awaaz khud sunayi dene lagi thi
Itni thand hone ke bawjood bhi Shreya ko chehre par pasina aa gaya tha..tabhi achanak se ek tejjj hawa ka joka uske piche se aaya aur uske kaan ke pass aakar usi hawa mese ek khaufnaak bhari bharkham aawaaz uske kaano me gunj uthi “ab teri baar hai..hahahahah” aur fir achanak se hi Shreya ko aisa mehsus hone laga ki jese uske piche koi khada hai

Jese hi Shreya piche mudi uske haatho se apna phone girkar tut gaya aur jo uss ghar me ek matra roshni ka karan tha voh bhi buj gaya

Shreya jab piche mude toh achanak se uske sar par ek chipkali ne chalang lagayi thi, voh dar ke maare khud niche gir padti hai
Iss waqt shreyashi kaadi jyada dari hui thi..fir bhi voh apne tute hue phone ko uthati hai..lekin phone ki haalat esi ho gayi thi ki ab voh use chalu nahi kar paar rahi thi..usne uss tute hue phone ko vahi par faink diya

Tabhi achanak se chhhhhhhhhinnnnnnn chhhhhhhhhhrrrrrr awaaz karte hue ghar ka darwaaza apne aap khulne laga..aur jese jese darwaaja khul raha tha vese vese Shreya ki aankhe badi hoti challi gayi..aur ek waqt aaya tab Shreya khud ko rok nahi paayi aur jor se chillane lagi

To be continued…
 
Last edited:

Kirti.s

Member
404
1,361
123
Very nice update
Aashi or rahul toh almost nipat gye ab shreya or sid ki bari hai.last mein shreya ne aisa kya dekh liya jo woh itni joro se cheekhi.dekhte h aage kya kya dekhne ko milta hai
 
  • Love
  • Like
Reactions: Milan2010 and Naina

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,285
304
kaise akal ke andhe hai yeh dono... .. isharo se baat karte dono... simple :sigh:
hmm toh woh joh bhi hain ush ne atank machane us ghar pe aa gaya... Kamal hai Sonali abhi tak so rahi hai... Over smart sid bhi gayab..
Khair let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skill milu ji :applause: :applause:
 
  • Love
Reactions: Milan2010

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,684
8,511
219
4 update padhe bhai.
charon update mein se sirf ek scene aisa tha jo genuinly acha likha tha aur vo tha aryan ka jeep mein jana vo bhi us paart tak jab kutta rota hai aur aryan ghabra jata hai.

Dikkat mujhe ye lag rahi hai ki kahani ki pace thodi jada hai. horror jitna slow hoga vo utna behtarin hoga. Aap kahani mei se extra part nikal kar use mat likho par jo horror scene hai use thoda slow karo jaise aryan jeep mein vapis baitha aur vo chalu thi ye bht jaldi likh dia apne. Jaise vo utra, yahan likhte ki usne gadhi bandh ki aur vo bahar nikla. Bich sadak mein khada usne pehle dono aaur jungle ki taraf dekha aur phir jeep ke samne aya. Andhera aur thand is kadar tha ki uska dil zoron se dhadak raha tha. Kuch aisa slow pace mein likho wahi horror hai.

Waise dekhte hain akhir jungle kya hai paid udd rahe hai.... Aage padta hu
 
  • Love
  • Like
Reactions: Milan2010 and Naina

Milan2010

Well-Known Member
4,855
3,649
159
Very nice update
Aashi or rahul toh almost nipat gye ab shreya or sid ki bari hai.last mein shreya ne aisa kya dekh liya jo woh itni joro se cheekhi.dekhte h aage kya kya dekhne ko milta hai
:thanks: Kirti.s ji :hug:
shreya ne voh dekh liya jo use nahi dekhna chahiye tha :scary:
 
Top