• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Horror Maut ka Aatank...!!!

-:Demon King:-

-:vïrüs:-
Prime
2,388
1,296
159
Update : 1 (Jungle)

Insaan ka dil bhi kitna ajeeb haina, pal bhar me khush hota hai toh pal bhar me dukhi, vese toh kehte hai ki insaan ka dil kaafi majbut hota hai, kahi na kahi yeh kuch hadd tak sahi bhi hai, lekin insaan ka dil jitna majbut hota hai usse kahi ghuna jyada kamjor bhi hota hai..aur kamjor banta hai DARR se

Darr koi vastu toh nahi hai..par ek aisa ehsaas hai jo ache se ache insaan ko hila kar rakh deta hai, aur jab insaan darta hai toh uska joro se dhadak ne lagta hai

Vese toh aaj insaan ke pass sabkuch hai, par jab kisi chiz ke khone ka darr lagta hai toh insaan tut sa jaata hai, par sach kahu toh use darr nahi kehte..darr use kaha jaata hai jisse insaan ki rooh tak kaanp uth jaaye

Raat ke karib 1:30 baj rahe honge, thand ka mausam hone ke karan jungle me kaafi jyada kohra jama hua tha, aur kohre ki vajah se chaand ki roshni bhi thik se zameen tak pahuch nahi paa rahi thi

Jungle me charo aur ghor sannata chaaya hua tha, seher ki bheed bhaad aur pradushan se mukt jungle ka vatavaran kaaf shaant tha, par kehte haina ki shant chize hamesa khatarnak hua karti hai

Asmaan me chamgadhar udd rahe the, aur unke alawa jungle me raha har prani soya hua tha, charo aur ghor sannata chaya hua tha aur tabhi iss sannate ko chirte hue ek kachi sadak par se ek gaadi gujar rahi thi

Ab haalat kuch ese the ki jungle ke iss hisse me roshni ke naam par chal rahi gaadi ki headlight thi, jisse jyada dur toh nahi bas halka halka side se jungle ke gehrav dikhayi de raha tha

Gaadi me iss waqt 2 log sawari kar rahe the, aur dono ki hi saanse teji se daud rahi thi..unke chehre se darr saaf jhalak raha tha, aur darr ko kam karne ke liye driving site par baithe hue ladke ne music chalu kar diya





“Gaadi Bulaa Rahi Hai, Siti Bajaa Rahi Hai
Gaadi Bulaa Rahi Hai, Siti Bajaa Rahi Hai
Chalanaa Hi Zindagi Hai, Chalati Hi Jaa Rahi Hai

Gaadi Bulaa Rahi Hai, Siti Bajaa Rahi Hai”


“jaan, yanha bhi..had hai” car me baithi hui ladki apne bf se kehti hai

Voh ladki ajeeb si shakal banate hue ladki se puchta hai “kya..??”

Ladki “har waqt train, train aur train, agar train tuje itni hi jyada pasand hai toh tu usi se shaadi kyu nahi kar leta..??”

Ladka sochne ka natak karte hue “shaadi..aur voh bhi train se, haa yaar..idea toh acha hai, par voh kya haina ki mai chahkar bhi usse shaadi nahi kar sakta”

Ladki “kyu kyu kyu..??”

Ladka “voh kya haina ki meri kundli me likha hai ki meri shaadi kisi bandariya se hogi”

Ladki “acha ais…..” achanak se voh bolte hue ruk jaati hai aur fir uss ladke par gussa hote hue uski chati par ghuse marte hue kehti hai “acha..toh mai bandariya hu, ruk abhi batati hu” aur voh ladki use gushe maarne lagi

Ladka haste hue kehta hai “are bas bas, ruk jaa meri maa..varna accident ho jayega”

Tabhi voh ladki ki najar samne padi aur use dekhte hi uski cheekh nikal gayi “nooooooooooooooooooooooooooo”

Ladki ki cheekh sunte hi ladke ka dhyaan samne ki aur gaya “ohhh shiitt” uske muh se itna hi nikala aur unki car sidhe samne se aa rahe truck ma jaa ghusi

Next Day, Morning
Aaj kaafi dino ke baad suraj ki roshni nikali thi, subah ka mahol tha, vese toh jungle me subah ko pakshiyo ke kilkarne ki awaze akshar sunayi deti thi, lekin aaj pakshiyo ki jagah police ki jeep ka siren ki awaaz jungle me gunj rahi thi

Gharrr gharrrr karti hui police ki jeep jungle ki chirti hui aage badh rahi thi, kachi sadak hone ki vajah se jeep kaafi dheere chal rahi thi

Jeep me iss waqt 3 log sawar the, usme se do log jo ek aage driver ke pass baitha tha aur ek piche baitha voh dono rangin kapdo me the jabki Driver apne uniform me tha

Raste me khade jyada hone ki vajah se driver ko jeep chalane me kaafi pareshani aarahi thi, jo aadmi piche baitha tha voh driver par chillate hue kehta hai “abe kar kya raha hai, sahi sa chala na”

Driver “sahab, rasta hi aisa hai kya karu”

Jo aadmi aage baitha tha voh kehta hai “are sunil, shant rah mere bhai, subah subah tera muh kyu utara hua hai”

Sunil “are kya batau yaar, jab se iss jagah posting hui hai meri toh zindagi hi barbaad hogayi hai”

Voh aadmi haste hue kehta hai “kyu bhai, Bhabhi ghar me nahi aane deti kya”

Sunil “aisa hi kuch samaj le mere bhai, yaar sach kahu toh tang aa chuka hu, log akshar subah me uthkar sabse pehle apni biwi bachcho ka chehra dekhte hai aur ek mai hu jo roj roj murdo ko dekhta hu”

Aryan joro se hasne lagta hai jise dekh Sunil kehta hai “has mat bhai, tera bhi yahi haal hone vala hai”

Aryan thoda gambhir hote hue puchta hai “iss jungle ke baare me kaafi kuch sunn rakha hai maine, maine toh suna hai ki yaha har police vala aane se katra ta hai, aakhir aisa toh kya raaz hai iss jungle me”

Khair Aryan ka sawal bhi khatam hua aur voh log uss jagah pahuch gaye janha voh hadsa hua tha

Aryan ne jeep me baithe hue hi dekha ki vaha par NO ENTRY ka board laga hua hai aur hadse vali jagah ke charo aur yellow colour ki ribbon se ghera banaya hai

Police Jeep ke aate hi ek police constable daudte hue jeep ke pass aaya aur salam karte hue kehta hai “raam-raam sahib”

Tabtak Sunil aur driver dono hi jeep se utar chuke the, sunil “Raam-Raam Patil, kya khabar hai”

Patil bhi majak karte hue ketha hai “sahib kaiko majak karte hai, aap ko toh sab kuch pata hai, vahi jo akshar hota hai”

Driver puchta hai “kya hua tha” voh teeno hi chalte hue ab uss crime-scene par pahuch chuke the, jabki Aryan jeep me baithe hue charo aur dekh raha tha ya kuch soch raha tha

Vaha ke haalat dekhte hue Driver kehta hai “firse nahi” voh aage kuch bol paata usse pehle unke pass daudte hue ek ladka aaya “saab ji..saab ji, bachaiye saab ji, hume bacha lijiye”

“aeee chup” kehte hue ek aur constable vaha aaya aur uss ladke ko vaha se le jaane laga

Aryan jo ab Sunil ke pass aachuka tha voh kehta hai “ek min ek min, yeh kuch kehna chahta hai”

Sunil “rehne de Aryan, tu iski baat sunega toh pakka yeda ho jayega”

Sunil ki baat sunkar Aryan uski aur ghurkar dekhta hai, toh Sunil kehta hai “bhai, dekh aaj tera pehla din hai aur mai nahi chahta ki pehla din tera aakhri din ho jaaye, filhaal tu ise ignore kar..aur thoda kaam kar le..??”

Aryan “thik hai mere bhai, you are the boss” aur voh dono thode aage chal diye, aur unke saath Patil bhi piche piche chal diya

Patil Aryan se kehta hai “saab ji, bura naa mane toh ek baat kahu”

Aryan “ha bolna, kya baat hai”

Patil “meri baat maniye saab, aap yanha se vapas chale jaiye”

Aryan uski aur dekhte hue kehta hai “vapas chala jaun..!! par kyu..??”

Tabhi unn dono ko Sunil ki awaaz sunai deti hai “firse nahi, ab toh sach me tang aa chuka hu mai isse”

Aryan uske pass pahuchte hue kehta hai “kya baat hai, Sunil, kya de….” Voh bolte hue ruk gaya aur samne ka najara dekhte hi use vomiting chalu ho gayi

Darasal Aryan ki najar sunil se hote hue sidhe uss lassh par padi jo uske najar ke samne thi..aur uss laash ki haalat itni jyada buri thi ki Aryan use 5 seconds bhi dekh nahi paaya aur vahi par ultiya chalu kar di

Ab baat karu laash ki toh voh laash se jyada kankaal lag raha tha, uss kankaal ke do hisse ho chuke the, aur jagah voh kankaal puri tarah se khoon se lipta hua tha, chehra ka adhe hisse ka maas gayab tha aur aadhi aankh kankaal par giri hui thi, aur sharir ka niche vala hissa pura sad chuka tha aur vaha se bahut hi bhayanak budbu aa rahi thi

Vaha par saans lena bhi thoda muskil ho raha tha aur aisa hote hi Aryan ne ulti kar di

Aryan ki haalat dekhte hi sunil ne patil ko ussko vaha se le jaane ka ishara kiya aur voh vaha ke constable se baat karne laga

Aryan abhi jeep me baitha hua tha, uski ultiya toh band ho chuki thi par abhi bhi voh najara uski aankho ke samne se haat nahi raha tha, sunil uske pass aakar driver seat par baith gaya aur jeep start karte hue bolta hai “bhai, tu thik toh haina..?? ab samja Patil tuje yanha se jaane ke liye kyu keh raha tha..??”

Aryan halklate hue bolta hai “yeh itni buri haalat, kese..??”

Sunil “yeh toh kuch bhi nahi hai mere bhai” kehte hue usne apne jeb mese aloo sev ka packet nikala aur usme se khaane laga

Sunil ko khaate dekh Aryan use ghurte hue kehta hai “hadd hai bhai, esa scene dekhne ke baad tuje khaane ka suj raha hai”

Sunil haste hue kehta hai “bhai, muje toh ab aadat si hi ho gayi hai, kuch din yanha reh le, adat ho jayegi”

Yeh sunkar Aryan kuch nahi bola, Sunil ne Patil se kaha “laash ko fauran PM ke liye bhejde”

Aryan “laash..?? laash bachi hi kanha hai ab..??”

Sunil “jo bhi hai, bas yahi hai” aur voh patil se kehta hai “aur haan, doctor ko bolna ki PM report hume computer par hi dikhaye”

Yeh sun Aryan kuch nahi bola, Patil salaam karte hue apne kaam me lag jaata hai aur sunil jeep ko police station ki aur mod deta hai

To be continued….

Good start for the horror

There are some typos ?

But overall first update achha tha

Zyada to story k bare me nai pata chalta lekin start badiya diya hai

Aage dekhte hai kya hota hai :reading:
 
  • Wow
  • Like
Reactions: Rahul and Milan2010

Milan2010

Well-Known Member
4,855
3,649
159
:reading:aaj me padhta hu, dekhte hai kya hai isme :reading1:

Hope ki ending kuchh achha ho warna bahot problem hogi
:lol: :lol: :lol:
finally tu aa toh gaya hai lekin kab tak yeh nahi pata
pehle jitne updates diye hai utne toh padh le, baaki ki baate fir karte hai :slap:
 
  • Like
Reactions: Rahul

Milan2010

Well-Known Member
4,855
3,649
159
Good start for the horror

There are some typos ?

But overall first update achha tha

Zyada to story k bare me nai pata chalta lekin start badiya diya hai

Aage dekhte hai kya hota hai :reading:
:thanks: -:Demon King:- :dost:
chal be, aage ke updates padh :slap:
 
  • Like
Reactions: Rahul

Rahul

Kingkong
60,514
70,677
354
waiting new update
 

rahul.das

乂D??️
523
585
108

Hello, Ladies  & Gentleman, 
We are so glad to Introduce Ultimate Story Contest of this year.

Jaise ki aap sabhi Jante Hain is baar Hum USC contest chala rahe hain aur Kuch Din pahle hi Humne Rules & Queries Thread ka announce kar diya tha aur ab Ultimate Story Contest ka Entry Thread air kar diya hai jo 10th, June 2020, 11:59 PM ko close hoga.

Khair ab main point Par Aate Hain Jaisa ki entry thread aired ho chuka hai isliye aap Sabhi readers aur writers se Meri personally request hai ki is contest mein aap Jarur participate kare aur Apni kalpnao ko shabdon ka rasta dikha ke yaha pesh kare ho sakta hai log use pasand kare.
Aur Jo readers nahi likhna chahte wo bakiyo ki story padhke review de sakte hai mujhe bahut Khushi Hogi agar aap is contest mein participate lekar apni story likhenge to.

Ye aap Sabhi Ke liye ek bahut hi sunhara avsar hai isliye Aage Bade aur apni Kalpanao ko shabdon Mein likhkar Duniya Ko dikha De.

Ye ek short story contest hai jisme Minimum 800 words se maximum 6000 words tak allowed hai itne hi words mein apni story complete Karni Hogi, Aur ek hi post mein complete karna hai aur Entry Thread mein post karna hai.
I hope aap mujhe niraash nahi Karenge aur is contest Mein Jarur participate Lenge.

Rules Check Karne k Liye Ye Thread Use karein :- Rules And Queries Thread

Entry Post Karne k Liye Ye thread Use Karein :- Entry Thread
Reviews Post Karne K liye Ye thread Use karein :- Reviews Thread
On Behalf of Admin Team
Regards :- Xforum Staff..
 

Punnu

Active Member
1,087
2,148
143
Hi bro .. aapki story vdiya hai bhai..apke update kamal ke hai yaara suspence jabardast hai ..itni achi story ko stop na kare yaara yr please ise bhi continye kare..ap last update 30 April ko aaya tha ab to 2mahine ho gye..
waiting for next update..
 
  • Love
Reactions: Milan2010

Milan2010

Well-Known Member
4,855
3,649
159
Hi bro .. aapki story vdiya hai bhai..apke update kamal ke hai yaara suspence jabardast hai ..itni achi story ko stop na kare yaara yr please ise bhi continye kare..ap last update 30 April ko aaya tha ab to 2mahine ho gye..
waiting for next update..
:thanks: Punnu bhai :dost:
jaankar acha laga ki aapko story pasand aayi
bhai kuch wat ke liye filhaal iss story ko hold kiya hai
meri dusri story end par hai, use khatam karte hi ise firse restart karugna
tabtak aap meri dusri story read kare :dost:
 
  • Like
Reactions: Punnu

Punnu

Active Member
1,087
2,148
143
Ok bro.. wait kr lenge but bhai jyada wait na krana ...haa bhai abhi mne apki strange world padhi hai fabulous story h yaara or uska 2nd part abhi padhna shuru kiya h jb pura pduga bhai tb uska review dunga I hope ap mind nhi krege..kyuki me abhi kuch time pehle hi xforum pr aaya hu...
 
Top