- 103
- 40
- 28
Ab ya amna kon ha hero ka chacha chaki ki ankho ma pani kyon a gya ha akhir kya loacha ha
thnx bhai
Amna kon hai yeh aagety chal k pata chaley ga
Ab ya amna kon ha hero ka chacha chaki ki ankho ma pani kyon a gya ha akhir kya loacha ha
Awesome update. Stoey achchhi ja rhi h.. Waiting for next update
NiceUpdate#4Safeer: Baat yeh hai k jab se yeh formula inject hua hai mujhey sotey waqt kch ajeeb se scene nazer aatey hn bas awazein clear sunai deti hn lekin mix kch samjha nai aata aur scene kch blur type se dikhtey hn ek naam baar baar sunney ko milta hai kia naam hai who yaad nai aa raha haan Amna.
Yeh naam suntey hi sab shocked ho gaey Akbar jo k Ex Army COAS reh chuka hai who ek pal k liey dar gya yeh naam suntey hi Chacha aur Chachi ki aankhon se aansu nikalney lagey Mawra bhi shaktey main aa gai thi.
Nisha: Bhai yeh Amna kon hai.
Safeer: Maloom nai bas naam merey kanon main sunai deta hai.
Mawra: (khud ko sambhal k) Hota hai chotu kabhi kabhi jab hum sotey hn tou unconscious ki wajah se brain humein aesay sapney dikhata hai jis ka hum se koi lena dena nai hota tu es pe zyada dheyaan na de chal ab room main merey sath aram kr tu.
Mawra Safeer ko le k janey lagi tou Nisha bhi sath sath un k chali gai living room main Akbar, Raheela, Meesum, Laila, Sulman aur Masooma reh gaey.
Akbar: Yeh bht hi ghalat ho raha hai yeh naam us ko maloom nai hona chaiey tha ab dua kro k us ki YAADDAST wapis na aa jaey werna phr khoon ki naddi bahey gi.
Laila: (rotey huey) Mein pehley hi ek sadma seh chuki hn doobara sehney ki himmat nai hai ager Safeer ko kch hua tou mein bhi nai rahun gi.
Meesum: Hosla rakho Laila kch nai ho ga Safeer ko bhabhi aap ne tou kaha tha k Safeer ki yaaddast wapis aana namumkin hai tou yeh sab kia hai.
Raheela: Haan mein ne kaha tha kiun k patient ki yaaddast wapis aana na k braber hota hai jesay hum filmon main ya dramon main deikhtey hn who sab jhoot hai k achanak sab yaad aa jana ya sir kisi cheez se wapis takraye tou yaad aa jana yeh sab mumkin nai hai lekin mein ne yeh bhi kaha tha k 100% main se 0.1% ki wapis aa jati hai jo bht hi lucky hn shaid formula ki wajah se aesa ho.
Masooma: Mammy bilkul theek keh rahi hn lekin koi mujhey yeh btaey ga k yeh majra kia hai Safeer ki yaaddast kab gai aur yeh Amna kon hai.
Salman: Masooma chup ho jao, na Safeer ko es baat ka pata hai na hi Nisha ko yeh bht purani baat hai tumhey phr kabhi btaun ga filhaal Safeer ko es baat ka pata na chaley na hi Nisha ko.
Masooma: Theek hai.
Mawra: Ab kesa hai chotu ab dard tou nai hota na.
Safeer: (kisi ko phone kertey huey) G DD maa ab pehley se kaafi behter hai (phone pe) O haan hello Zulfi kesa hai.
Zulfi: Mein theek hoon tu suna aur Formula k barey main.
Safeer: Kaam kr raha hai abhi tuk side affect samney nai aaya magar ghav jaldi bhar rahey hn jesa k kaha tha.
Zulfi: Hmmmm Zain ka bhi phone aaya us ne bhi yehi kaha hai ab deikhtey hn kch din aur ager side affect es ka samney nai aata tou uper report krta es barey main.
Safeer: Haan theek hai.
Amara: Kesa hai ab.
Safeer: O Amara tum yahan what a pleasant surprise aao aao beitho.
Amara: Tumhara haal shaal puchney aaye thi lekin tum tou pehley se kafi fit ho.
Safeer: Haan formula kaam kr raha hai Zulfi ne kaafi mehnat ki hai es pe ager yeh kamyaab ho gya tou kaafi improve aaye ga Army main o mein tou bhool hi gya Nisha jao Amara k liey coffee bna lao.
Nisha: G bhai.
Amara: Arey es ki koi zaroorat nai thi.
Safeer: Pehli baar merey ghar aayee ho nai tou mein hi aata tha tumharey hospital.
Ek ghar jis main bht bara hall yahan logon ka majma beitha hai aur stage ki traf deikh raha hai yahan ek Molvi shb takreer krney lagey hn aur sab logon ki tawajjah us Molvi pe hai un logon main jawan aur bachay shamil hn.
Molvi: Merey pyaarey bachon tum sab ko Uper waley ne chun lia hai apney ek khaas kaam k liey merey bachon waqt aa gya hai k tum apney Rab ko khush karo esi liey tumhey yahan bulaya gya hai.
Rab ko khush krna hai tou Shahadat hasil krni ho gi us k liey tum ko aesay logon ko marna ho ga jo uper waley ko naraz krtey hn ager tum sab ne yeh kaam kia tou Uper wala tumhey jannat main bheijey ga sath main tumhey HUREIN milein gi.
Es k liey tumhey ek khaas kaam krna ho ga tumhey Pakistan k mukhtalif elaqon main yahan zyada log hotey hn wahan ja k khudkash humla krna hai takeh tum shahadat hasil kr sako bolo sab Uper waley ko razi karo gey.
Sab: (unchi awaz main) Hum Hazir hn.