Nice update
Rastogi—aur vaise bhi mujhe lagta hai ki vo nagin alka ko marna nahi chahti hai…agar usko marna hota to kab ka maar chuki hoti vo..kintu phir bhi kuch na kuch nuksan to pahucha hi sakti hai…ya phir shayad vo alka ko tumse door rakhna chahti hai.
Kumar—agar vo alka ko mujhse door rakhna chahti hai to vo alka ko maar bhi to sakti hai…?
Rastogi—haan..agar vo alka ko tumse door na kar payi tab aisa bhi kar sakti hai.
Hum sab raat bhar apne agle kadam ke baare me yojna banate rahe aur intazar karte rahe ki shayad alka kahi se lout aaye … kintu jab vo nahi aayi to subah hote hi apne ghar ki dekh rekh karne ki jimmedari bhola ko soump kar hum ek anjane safar ki oor nikal pade…ye bina jane samjhe ki ye safar hamare liye kitna khatarnak ho sakta hai aur meri jeevan ki disha hi badal sakta hai.
Ab Aage……
Subah hote hi hum alka ki khoj me himalaya ki barfili vadiyo me roop kund jheel ki talash me nikal pade….vahi city ke MLA Balwant ki nagin dwara kaatne se mout ki khabar poore shahar bhar me har kisi ki juban par thi.
Aaj neta ji balwant ka poore rajkiya samman ke sath antim sanskar ho raha tha jisme police force ke sath logo ka jamghat bhi laga hua tha….balwant ki jalti chita ke paas uske dono dost commissioner shukla aur city ke namchin udyogpati sukhram udas aur chintit khade the.
Shukla—samajh me nahi aata ki uss auditorium hall me neta ji ke paas saamp kaha se aa gaya….?
Sukhram—kuch bhi ho lekin hamara ek achcha dost hamse juda ho gaya.
Shukla—upar wale ki marzi….chalo ghar chalte hain.
Dono ne aage badhne ke liye kadam uthaye, lekin phir thithak kar rah gaye…..kyon ki samne ek nagin fun phailaye huye gusse bhari nazaro se inhe hi ghur rahi thi.
Ye dekh kar dono hadbada gaye….shukla ne apna service revolver nikal kar uss par fire karna chaha…lekin usse pahle hi nagin bijli ki tarah lahara kar jhadiyo me gayab ho chuki thi.
Sukhram (jhadiyo ki oor dekhte huye)—yaar, kahi ye saanp vahi to nahi tha jisne balwant ko dasa hai.
Shukla—ho sakta hai…? Lekin ye hamare samne kyo aaya tha…?
Sukhram (sanshodhan karte huye)—aaya tha nahi, balki aayi thi…vo nar nahi mada thi….ek khatarnak nagin.
Shukla—kuch bhi ho, lekin uska dusri baar dikhayi dena shubh sanket nahi hai.
Sukhram—dar asal vah yaha dekhne aayi thi ki uske jahar ka kitna asar hua hai…ab chhodo inn sab baato ko, kya ghar nahi chalna hai…?
Shukla—hmmm..chalo, vaise bhi yaha sunsan ho raha hai.
Vo dono vaha se jaldi hi chal diye….uss khatarnak nagin ko dekhne ke baad unke dil me bhi darr sama gaya tha.. dono ne ek baar bhi palat ke nahi dekha ki vo nagin bhi inka picha karte huye piche piche aa rahi thi.
Sukhram ki patni uski galat harkato se tang aa kar usse talaak le chuki thi…aulad koi thi nahi…isliye vah akela hi apne bunglow me rahta tha aur jam kar sharab khori aur aiyyashi karta tha.
Iss samay bhi uske hath me lal pari thi aur samne TV on tha jis par koi nartaki apne latke jhatke dikha rahi thi… back ground me koi bhadda sa music baj raha tha.
Usne do teen chuskiya li aur uss bhadde music par thirakne laga…achanak phir uss music par kisi sapere ki been bhi shamil ho gayi…issi ke sath yaad aa gayi usse vo nagin.
Sukhram (apne aap se)—kya bakwas kahaniya hoti thi purane samay me….koi admi kisi naag ko maar deta tha phir nagin usse badla leti thi.
Apni baat par vah khud hi hahahaha…hihihihihi karte huye hasne laga….sharab ka nasha uske upar haavi hota ja raha tha.
Achanak uski hasi par break lag gaya….nasha poora gayab ho gaya aur rom rom me darr ki sihran doud gayi… kyon ki khidki par vahi nagin nazar aa rahi thi, fun utha kar idhar udhar jhumti huyi.
Sukhram ne do teen baar apne sir ko jhatka…aur ghur ghur kar khidki ki taraf dekhne laga….nagin lagatar jhume ja rahi thi.
Sukhram—lagta hai ki mere ko nasha jyada ho gaya hai….ye sasuri nagin har jagah dikhayi pad rahi ha..
Lekin phir uska nasha hiran ho gaya….kyon ki vo nagin ab khidki se utar kar uski taraf hi aa rahi thi…vah uchhal kar khada ho gaya aur sharab ki bottle hath me thaam li nagin ko marne ke liye….halanki uska hath buri tarah se kaamp raha tha.
Nagin ne uske upar jhapatta mara...usne bottle se apna bachav karna chaha lekin nagin usse kahi adhik furteeli aur taqatwar thi....bottle ka vaar bachate huye usne uski kalayi me apne daant gada diye.
Sukhram ne dekha ki vo nagin apna jahar ugalne ke baad ab ussi khidki se vapis ja rahi thi…khauf se kaampte huye usne jaldi se apna mobile uthaya aur shukla ko number mila diya.
Do teen ring jane ke baad shukla ne phone uthaya…shayad vah so gaya tha….sukhram ka call dekh kar need bhari awaz me hi bolne laga.
Shukla—hello..
Sukhram (kampti awaz)—shukla, mmm….main…mmmm…marr raha hu….vahi naginnn…….‼
Shukla (chounk kar)—kyaaaaa….?
Sukhram—usne mujhe kaat liya hai…..mere ko lagta hai ki usme ussi ladki ki aatma sama gayi hai aur hamse badla le rahi hai.
Shukla—bekar ki baate mat karo…..main abhi aa raha hu tumhare paas.
Sukhram—aaaaaa….koi fayda nahi hai…ab mera ant samay aa gaya hai…aaaahhh….
Behosh hone se pahle usne antim vakya kaha aur phir uske hath se mobile chhut kar niche gir gaya….speaker se abhi bhi shukla ki hello….hello….hello…ki awaz aa rahi thi.
Dusri taraf yaha aaj ho rahi ghatna se anjan hum himalaya ki taraf nirantar badhte huye agrasar hote ja rahe the himalaya ke paas pahuchte pahuchte hame shaam ho chuki thi.
Nandini—hame hotel me hi aaj raat ruk kar subah aage ka safar tay karna chahiye.
Rastogi—meri bhi yahi raay hai.
Kumar—theek hai uncle..jaisa aap theek samjhe.
Humne vahi pahadi ke paas gaon me ek chhote se hotel me raat gujarne ki jagah talash kar ke ruk gaye… mera mann to rukne ka bilkul bhi nahi tha..mujhe alka ki chinta lagi huyi thi.
Mujhe aisa lag raha tha jaise ki alka mujhe baar baar madad ke liye pukar rahi ho….jab mujhse nahi raha gaya to main sab ko bahar se ghum kar aane ka kah kar nikal gaya.
Raat ke sannate me ghumte huye kab mere paanv vaha ke jungle ke andar ki taraf badh gaye mujhe pata hi nahi chal paya…
Mere paanv lagatar jungle ke andar ki oor badhte ja rahe the….aisa mahsoos ho raha tha jaise ki koi aakarsan shakti mujhe apni taraf khich rahi hai aur main uss aakarsan shakti ke vashibhut ho kar chalta chala ja raha hu.