Short and nice update bhaiNAAG MANI
UPDATE-18
Humne vahi pahadi ke paas gaon me ek chhote se hotel me raat gujarne ki jagah talash kar ke ruk gaye… mera mann to rukne ka bilkul bhi nahi tha..mujhe alka ki chinta lagi huyi thi.
Mujhe aisa lag raha tha jaise ki alka mujhe baar baar madad ke liye pukar rahi ho….jab mujhse nahi raha gaya to main sab ko bahar se ghum kar aane ka kah kar nikal gaya.
Raat ke sannate me ghumte huye kab mere paanv vaha ke jungle ke andar ki taraf badh gaye mujhe pata hi nahi chal paya…
Mere paanv lagatar jungle ke andar ki oor badhte ja rahe the….aisa mahsoos ho raha tha jaise ki koi aakarsan shakti mujhe apni taraf khich rahi hai aur main uss aakarsan shakti ke vashibhut ho kar chalta chala ja raha hu.
Ab Aage……
Main raat ke uss andhere ko cheerte huye nirantar aage ki oor badha chala ja raha tha…..Jaha himalaya ke uss ghane jungle me din ke samay me bhi surya dev ke darshan bhi atyant kathinayi se hote the….din ke samay me bhi jaha jungle ke bheetri bhag me andhera pasra rahta tha tab raat ki to baat hi alag hai.
Kintu mere upar iss samay jaise ki uss raat ke andhere ka koi prabhav hi nahi ho raha tha…..vo ghanghor andhera bhi mera marg rok sakne me khud ko asmarth mahsoos kar raha tha.
Aur main har khatre se bekhabar satat badhta chala ja raha tha…..jaise koi adrishya shakti mera marg prashast kar rahi ho aur mujhe rasta dikhati ja rahi ho ki kidhar aage jana hai.
Pata nahi main kitni der tak aise hi sammohit hokar uss jungle ke andar chalta raha mujhe kisi bhi vastavik sthiti ka uss samay koi bhaan nahi tha, agar kuch tha to bas itna ki mujhe alka madad ki liye pukar rahi hai aur mujhe usko har sambhav sthiti me bachana hai.
Main yahi sochte huye ja raha tha…kab main himalaya ki barfili tarayi me aa gaya koi pata nahi chala…maine uss barf ke pahad par chadhna shuru kar diya.
Main iss samay kuch bhi nahi janta tha ki main kaha ja raha hu…? Lekin mere pair the ki rukne ka naam hi nahi le rahe the….uss himalaya ke barf se dhake pahad par main lagbhag 400 mtr upar ja paya tha ki tabhi mujhe barf ke upar kisi vishalkaay janwar ke pag chinha dikhe…jisko dekh kar main thithak kar tanik ruk gaya.
Pairo ke nishan to kisi manav ke hi lag rahe the kintu bahut vishal the….kya koi manav itna vishal bhi ho sakta hai..? ya phir ye kisi janwar ke pairo ke nishan hain….? Main uss nishan ko dekhte huye mann hi mann me yahi sochne laga….barf ke upar chaand ki roshni me bilkul spast to samajh me nahi aa raha tha.
Kumar (mann me)—Ye lag to kisi admi ke pairo ke nishan jaise hain…lekin kisi bhi admi ke pair itne bade to ho nahi sakte…to phir kiske ho sakte hain ye nishan…? Kya yaha koi aas paas me janwar hai….? Mujhe aage jana chahiye ki nahi…? Khair chalo aage chal kar dekhta hu…
Main ye soch kar unn pair ke nishan ka picha karte huye phir se barf me upar ki oor chadhne laga…ye nishan jidhar bhi ja rahe the main bhi ussi disha me badhne laga….abhi mushkil se kuch hi door gaya tha ki tabhi mujhe dikhayi diya ki niche barfeeli dhalaan par ek vishalkaay prani chala aa raha hai…jiski aakruti manushya se milti julti lag rahi thi.
Vo prani do pairo se chal raha tha aur uska poora sharir ghane baalo se dhaka hua tha…..aisa lag raha tha jaise ki koi langoor ho….iss tarah ke vichitra prani ko dekhne ki ye mere jeevan ki pratham ghatna thi.
Main uski taraf dhire dhire poori sajagta ke sath badhne laga kintu main uske paas tak pahuchta ki tabhi vo kahi achanak se gayab ho gaya.
Maine apne charo taraf nazar doudayi lekin vo mujhe phir kahi nahi dikhayi diya….maine thak haar kar aage jane ka sochne laga kintu ab mujhe koi rasta hi nahi sujh raha tha ki kis disha me jaoon…? Lekin tabhi mujhe aisa laga ki jaise koi mere bilkul piche khada hai…
Udhar itni der baad bhi hotel nahi loutne par sabhi chinta karne lage the aur baar baar mujhe call lagaye ja rahe the kintu mujhse kisi bhi tarah ka koi bhi sampark sthapit nahi ho pa raha tha.
Kanchan (chinta karte huye)—ye jiju kaha chale gaye…? Unhe gaye huye bahut der ho chuki hai, ab tak to unhe lout aana chahiye tha.
Rastogi—hmmmm
Nandini—kyaaaa hmmmm….? Aap dekhiye na ki vo kaha hai…? Phone bhi nahi lag raha hai uska….ye jagah vaise bhi hamare liye nayi hai….kahi kisi musibat me na pad jaye….?
Rastogi—main bhi to yahi soch raha hu bhagyawan ki gaya kaha hoga….?
Kanchan—to kuch pata lagao na aap papa…..bahut time ho chuka hai…...ab tak to aa jana tha ….aane do jiju ko, aaj unki achchi khabar leti hu.
Rastogi—theek hai main ja kar pata lagata hu.
Nandini—aur suniye jaldi aana…..aap bhi kumar ki tarah gayab mat ho jana…samajh gaye.
Rastogi—hey bhagwan...kisi ne sahi kaha hai ki....
"Jab kisi insaan ke paap ka ghada bhar jata hai to tab uski mrityu ho jati haiNandini (ankh dikhate huye)—kyaaa kaha...ek baar phir se kahna.... ?
Aur jab kisi insaan ki khushiyo ka ghada bhar jata hai to uski shadi ho jati hai"
Rastogi—arey nahii...nahiii....bhagyawan...main bhala tumhe kuch kah sakta hu.....nikal le beta yaha se warna ye maa beti teri jaan kha jayegi.
Rastogi uncle niche hotel ke reception me ja kar kumar ke baare me puch taachh karne lage kintu usne bhi apni anbhigyata jahir kar di.
Receptionist—mujhe kuch idea nahi hai sir ki vo kaha gaye honge... ?
Rastogi—kaha gaya hoga…?
Recep—aap ne unko call nahi lagaya….?
Rastogi—lagaya tha par out of coverage ja raha hai….lagta hai bahar kisi se ab puchna padega.
Recep—kahi vo jungle ki taraf to nahi nikal gaye…? Bahar koun milega apko Kyon ki andhera hone ke baad to koi yaha bahar nikalta hi nahi hai….
Rastogi—itni raat me jungle me kya karega….? Aur koi kyo bahar nahi nikalta….?
Recep—pata nahi sahab…koi kuch kahta hai to koi kuch….kuch log kahte hain ki yaha bhoot pret rahte hain to kuch kisi vishal janwar ke hone ki baat karte hain…..lekin sach koi nahi janta….haan itna avashya hai ki andhera hone ke baad jo bhi jungle ki taraf gaya vo jinda nahi louta phir kabhi.
Rastogi (chounkte huye)—kyo….aisa kya hai iss jungle me…?
Recep—pata nahi sir….ye aaj tak ek rahasya hi hai sab ke liye…..desh videsh se jane kitne hi log iska pata lagane ke liye aa chuke hain…kayi scientist bhi aaye kintu koi jinda nahi gaya…..jane kya gahra raaz chhupa hua hai yaha jungle ke andar….?
Rastogi (mann me)—hey bhagwan….kahi kumar sach me jungle ke andar to nahi chala gaya…..?