Update - 2
Prarambh (Shuruaat)
Pandit ji ko bagwani ka bahot shok hai. Apni mehnat se unhone 1000 gaj ke apne ghar me 500 gaj
jagah me ek khoobsurat bagicha banaya hua tha jo poore ghar ko aur aakarshak banata tha. Gulab, genda,
Chameli, Ashok, amrood, Papite, angoor or pata nahi kon kon se paudhe laga rakhe the unhone. Apne
bacho ki tarah dhyan rakhte the woh apne bagiche ka aur unka poora sath deta tha unke dono pote.
Apne Ghar ka naam unhone rakha tha "Sansar" aur wakai me ye ek sansar he toh tha jisko unhone
apni sangini Kaushalya ke sath milkar banana shuru kia tha jab unke bache bhi nahi hue the. Aur
aaj yahi ghar sirf ghar nahi raha tha. Aashiyana tha ye ek bhare poore sanskari pariwar ka. Lekin
samay kab ek sa raha hai.
2 Manjil ka ye ghar sabke rehne ke hisab se he banaya gaya tha. Jaise jaise sadasya badhte gaye
waise waise kamre bhi bante gaye. Pehli manzil pe sabse aage Rameshwar ji ki baithak thi jahan
3 sofe aur ek diwan saje rehte the. Aur kuch kursiya. uske piche he the Unka or Kaushalya ji ka
kamra jiske sath ek mandir kaksh bhi juda tha. Aangan aur badi rasoi inse aage aur fir aakhir me 4
kamre aur bane the. Ek kamra the Rajkuar ji or unki patni ka, uske sath me unki dono betiyo Madhuri or Alka ka,
teesra kamra tha Komal aur Ritu ka aur sabse aakhir me Rekha aur Shankar ka. Shankar toh mahine me
kabhi ek ya 2 baar he aate the. Sabhi kamre hawadar or behad pyaar se sajaye gaye the.
Dusri manzil. Yaha pe jaane ke liye 2 raaste the. Ek ghar k mukhya dwar k pas bani golakaar sidhiyo
se or dusra pichle aangan me bane bathroom ke sath bani sidhiyo se. Upar toh koi aangan tha nahi
lekin waha 2 partion the. Samne wale bhag me 2 kamre, ek drawing room, ek bathroom aur ek rasoi jo ab store ka
he kaam karti thi. Pichle partion me 2 kamre aur ek bathroom tha. Ye wala hissa adhiktar band he
rehta tha. Agle hisse me sidhiyo ke samne wale kamre me Sanjeev sota tha aur dusra kamra tha Arjun
ka. Jaha sirf kitabe or ek single bed he tha. Poore ghar me televsion sirf 2 he the. Ek pehli manjil
ki baithak me aur dusri manzil ke drawing room me. Sanjeev ne wahi pe ek choti gym bhi bana rakhi thi.
Itna sampann pariwar tha Rameshwar ji ka lekin ek aur khas baat thi ke poor ghar me kahi bhi A.C. nahi
lagwaya gaya tha. Ha 4 cooler jarur the. Ye wo din the jab bijli bhi bahot jaati thi or jyada invertor
bhi prachalan me nahi the. Garmion me Bade log toh niche dono aangan me so jaya karte the or bache upar
khuli chat pe.
Aas-pados bhi bada shant aur hara-bhara tha. ghar lagbhag sabhi bade the toh dur-dur bhi the. Lekin
iske aaspas sabhi sahuliyat bhi thi. Park, thodi dur pe markeet, 3 bade School aur ek college bhi tha.
Shehar ka sabse khula sector tha ye aur shantipurn bhi.
Chaliye wapis kahani pe chalte hai.
Arjun naha dho ke aaya aur fir Pandit ji ke paas gaya ashirwad lene. Aaj uska aakhiri imtihan hai
dasvi kaksha ka. Aur iske baad ek mahine ka araam.
Rameshwar ji (RS)- Mera sher aaj kuch jyada he soya lagta hai. Barkhurdar itni mehnat bhi nahi karo
ki bistar pakad lo. Science ka paper hai?
Arjun - Kya Baba, aap he toh bolte ho jinke sapne bade ho unhe jyada jaagna chahiye unhe poora karne
ke liye. Bas ye parcha aaj ho jaye fir toh mai aapke sath roj naye fool ugaunga hamare bagiche me.
RS- Kyo nahi bete. Hum dono chalenge university or jo nai kisme aai hai wo lagayenge yaha.
Fir Kaushalya Devi ne Arjun ko Dahi-Shakkar khila ke vida kiya. Fir Arjun apni Maa aur Tai
ji ke paav choo aashirwad le nikal gaya.
Ghar ke pas he uske classmate Sandeep ka bhi ghar tha. Arjun aur Sandeep sath chal diye school.
Sandeep- Bhai aaj ka kya irada hai? Dekh aakhiri din hai tere pass jawab dene ka. Mai teri jagah hota
toh kab ka khiladi ban chuka hota.
Arjun- Pagal hai kya? Bhai abhi ye sab ki umar nahi apni. Aur upar se wo mujhe pasand bhi nahi.
Sandeep - Dekh mere bhai Akanksha pe poora school jaan deta hai aur wo sirf tujhe dekhti hai. Suna tha
na English wale paper k time Rana aur Kulvinder kya bole the. "Arjun ki jagah hum hote toh kab ka pel
dia hota us par-kati ko". Dekh aaj paper ke baad jab woh tujhe bulaye toh kam se kam akele me ek baar
mil toh lio us se. Fir chahe jo dil kar wo kario bhai.
Arjun- Dekh bhai ye jo bhi hai kuch sahi nahi hai. Mai tujhe meri zindagi ka lakshya samjha nahi sakta
lekin jo tu mujhe salah de raha hai ye usme vighn jarur daal sakti hai. Aur rahi baat sirf milne ki
toh chal mai aaj mil leta hu us se.
(Rana aur Kulvinder school ke sabse badnaam ladke the. Aur wo 2 saal senior bhi the Arjun ke. Har ladki
inko sirf kaam ki devi he lagti thi. Lekin dil ke saaf the wo dono. Saamne se kisi ko kuch nahi kehte the
lekin inke khud k failaye jhoothe kisson ne inhe badnaam kia hua tha)
Baatein karte hue Sandeep aur Arjun school pahonch gaye. Waha pe khadi school bus se sabhi students ko
unke center pe leke jaya jata tha. Ek bus dekh dono chadh gaye lekin yahi galti ho gai. Poori bus me
sirf 2 seat khali thi jisme se ek pe sandeep baith gaya aur dusri seat jiske sath wali seat pe ek behad
he khoobsurat si ladki baithi thi wo khali thi. Arjun wahi ruk gaya bus ke gate pe. Lekin tabhi unki
school Teacher Mrs Walia ki awaaj aai.
Mrs Walia - Arjun. Khade kyo ho. Chalo baitho waha pe Akanksha k side me.
Arjun - Yes Mam.
Ye wahi ladki thi jiske baare me Sandeep baat kar raha tha. Dhoodh si gori, aankhon par ek stylish
nazar ka chashma, halke gulabi honth, bhoori aankhen. Ladki kya sakshat Pari thi woh. Aur jo muskaan
uske chehre pe aai Madam ki baat sun ke behad dilkash. Arjun chupchap jaa kar uske bagal me baith gaya.
Akanksha- Hiii (behad shalinta se)
Arjun- Hello Akanksha
Akanksha- Naraaj ho. Dekho us din mai haar gai thi khud se aur sabke samne apne pyaar ka izhaar kar dia.
Mai aur kuch nahi kahungi Arjun. Tumhe mera pyaar qabool ho ya nahi. Bas ek baar paper ke baad mujhe
5 minute de dena. Aur kuch nahi chahiye.
Arjun- Thik hai. Wapis school aane ke baad.
Ye dono jo bhi baat kar rahe the ye itni dheeme ho rahi thi ki shayad he kisi ko sunai de. Exam ka center
15 km door tha aur abhi kafi time baaki tha. Dono khamosh ho gaye the ab. Baaki students kuch discuss kar
rahe the kuch shor macha rahe the. Aaj aakhiri imtihaan jo tha. Akanksha Khidki se bahar dekh rahi thi
Apni he vicharo me gum. Arjun, jo sanyam aur anushashan ka paaka tha aaj usne pehli baar kanakhiyo se
us ladki ki taraf dekha. Uski gumsum si bholi surat, safed rubber me bandhe gardan tak aate baal jinme
se kuch azaad hokar hawa se udd rahe the. Safed school shirt me uska gulabi chehra aisa lag raha tha
jaise ek doodh pe rakha Gulab ho.
"Chalo chalo jaldi karo sab. Sab line se entry karenge", School teacher ki awaaj sunaai di Arjun ko.
Arjun apne he man me, "ye kya hua. Aaj ek minute me he center pahoch gaye."
Arjun ko pata bhi nahi chala ke kitni der se woh us ladki ko dekh raha tha. Shayad samay he ruk gaya
tha. Aur ehsaas tab hua jab Madam ki awaaj sunai di.
"Hum bhi chale bahar, dekho sab utar gaye bas se.", Arjun ne dekha unhi 2 aankhon ko jo use sharma ke
kuch bol rahi thi.
Arjun - (Jhijhakte hue) Sorry - Sorry. Chaliye
Jhenpta hua wo bina kisi ki taraf dekhe sidha building me enter ho gaya. Man me uthal puthal machi hui
thi uske. Ye sab kya tha aur ye aaj kaise ho gaya. Mai toh kabhi usko pasand nahi karta tha toh aaj
kyu mera dhyaan uspe gaya. Ye sab vichar uske mann ko hila rahe the. jab kuch bhi nahi sujha toh Arjun
ne apni aankhen band ki or khud se kaha, "Ye aakhiri imtihaan hai. Lakshya se nahi bhatakna,"
Agle 2 1/2 ghante uska dhyan sirf pariksha patra aur unke uttar likhne me he raha. Sabhi sawaal hal
karne ke baad ek baar fir se usne poore prashan-uttar ka milan kia or apni sheet jama karwa di. Pariksha
kaksh se baahar aaya toh kalaai ghadi me dekha ke abhi bhi 20 minute baki hai. Wo chup chap school bus ki
taraf chal dia. Waha uske alawa koi bhi student nahi tha. Sirf bus k 2-3 driver chaya me khade beedi ka
kash laga rahe the. Arjun unko nazar-andaaz karta hua bus me aakhiri seat pe jaakar baith gaya. Mann
fir se ashaant ho raha tha uska. Ye kabhi aisa nahi hua tha uske sath. Fir aaj kyo aisa ho raha hai.
Jab dhaan toota toh dekha ke bus poori bhar gai thi or uske pas dusre section k students baithe the.
30 minute k baad sabhi bus unke school ke stand pe khadi thi aur sabhi log ek dusre se mil rahe the.
Arjun chup chap nikalne ki koshish me mukhya dwar ki taraf chal pada. Abhi kuch he dur gaya tha ki
uski nazar viprit disha me football ground ke kone me ped ke niche khadi Akanksha par padi jo uski
taraf ektuk dekh rahi thi. Arjun sammohit sa chal pada us taraf bina kuch dekhe. Sandeep dur khada
sab dekh raha tha aur muskura raha tha.
Akanksha- Ja rahe the na bina mile?
Arjun- Nahi bas sandeep ko dhund raha tha. Tum yaha akeli?
Akanksha- Ha meri jyada friends nahi hai school me. Aur tumhara dost toh khud tumhare he piche chal
raha tha.
Arjun nazar ghumate hue dekhta hai ke sach me Sandeep dur khada tha wahi jaha kuch samay pehle Arjun
khada tha.
"Haan woh jara sar dard tha toh dhyan nahi dia." Kuch aur nahi soojha toh Arjun ne yahi bol dia
Agle he pal usko aisa laga jaise kisi ne baraf rakh di ho uske sar pe. Akanksha ka haath uske
maathe pe tha.
"Tum thik toh ho?" Ghabraai si awaaj me usne Arjun se poocha..
"Ah... Ha. Mai thik hu."
10 mahine me pehli baar aaj arjun ne Akanksha ko itne kareeb se dekha tha ya yu kahe ke uska
sparsh mehsoos kia tha. Usko aisa laga tha ke sirf haath k sparsh se is ladki ne uski aatma ko
pakad lia ho. Aalokik anubhabv
"Tumhe kuch kehna tha mujh se?" Arjun ne hosh me aate he sawal kia
"Mujhe nahi pata ke tum mere baare me kya sochte ho Arjun. Shayad jaisa baaki sab sochte hai
ke mai ek ameer, ghamandi, be-gairat ladki hu tum bhi aisa sochte hoge. Lekin mujhe unke sochne
se koi farak nahi padta kyonki mujhe unki parwah nahi hai. Mere maa-baap ne kabhi pyaar nahi dia
lekin wo sab dia jis se log mere baare me galat anumaan lagate hai. Maine kabhi kisi ki taraf
nahi dekha lekin jab bhi tumhe dekhti hu toh aisa lagta hai jaise bas ek tumhari kami thi
is zindagi me." Bolte bolte us phool si khili ladki ki aankhein nam ho chuki thi aur ye dekh
ke aaj pehli baar Arjun ka dil bhi paseej gaya tha.
Wo fir boli,"jab mujhe laga ke ab shayad hum na mil paye toh maine pichle exam me tumhe propose
kar dia aur shayad ye bhi ek aur galti ho gai mujh se. Mai tumhare sapno ke beech nahi aana
chahti Arjun lekin mera sapna ab tum he ho. Isliye maine pehli baar tumhare dost se bhi request
ki thi ki wo tumhe ek baar mujh se baat karne ke liye mana le." Itna bol kar Akanksha Arjun ki
taraf aasha bhari nazaro se dekhne lagi.
"Sach kahu Akanksha? Aaj tak maine kuch bhi nahi soch tha. Ek saal se maine kabhi bhi tum pe
gor nahi kia tha. Aaj subah maine pehli baar tumhe dekha tha. Aur abhi mai yaha tumhare pas
khada hu. Mujhe nahi pata ke is sabka kya matlab hai lekin itna kehta hu ke mai yaha abhi 2 saal
aur hu. Hum dost ban sakte hai aur baat kar sakte hai." Himmat kar ke Arjun ne uski aankhon
me dekhte hue ye sab kaha. Lekin uski baat poori hote hote Akanksha ke chehre pe ek choti
si muskaan aa chuki thi. Ab tak sabhi students jaa chuke the aur waha koi bhi nahi tha.
"Mujhe bhi sirf yahi chahiye Arjun." Khushi me wo Arjun ke gale lag gai thi. Aur aaj ye
ek aur naya ehsaas tha uski zindagi me. Dono he chal pade gate ki taraf jahan Sandeep khada
intzaar kar raha tha Arjun ka. Fir milne ka bol ke Arjun chal dia apne dost ke sath ghar ki taraf.
"Waah cheete! Kamaal kar dia bhai tune aakhir us se baat kar he li", Sandeep ne baat shuru ki
"Pata nahi yaar mai ghar ki taraf nikal raha tha lekin jaise he usko dekha toh laga ke ye sahi
nahi hoga. Baat he toh karni hai, kar he leta hu. Aur fir dost banane me kya burai." Arjun bola
Sandeep- Bhai woh tujhe pasand karti hai, dekha nahi kaise gale lagi thi. Aur ladki bhi gazab hai
teri toh lottery lag gai."
Arjun- Kya kuch bhi bolta hai. Aisa kuch bhi nahi hota. Chal chodd ye sab aur bata ab ek mahina
kya karna hai?
"Karna kya hai bhai mai toh araam karunga, gym shuru karunga aur books lunga next class ki."
Arjun- Combined studies bhi kar lenge bhai kabhi kabhi. Aur gym toh shayad mai Sanjeev bhaiya
k sath he karunga."
Aise he baatein karte karte dono apne apne ghar pahuch gaye. Sham ko milne ka plan bana ke.
Ghar pahuchte he hath-muh dhoya or baith gaya khane ki table pe Arjun.
"Sab kaha hai? Koi nazar nahi aa raha Didi." Arjun ne Komal se poocha jo uska khana laga rahi thi
"Malhotra uncle ke ghar aaj pooja hai toh sabhi wahi gaye hai. Aur Baba apne kamre me so rahe hai
wo bhi kuch der pehle he aaye the. Baki sab shaam tak aayenge." Khana dalte hue Komal ne bataya
Ghar pe komal jyadatar cotton ke simple suit he pehnti thi aur aaj bhi usne wahi simple sa neela
suit pehna hua tha. Lekin sharir kuch jyada he gadraya hua tha toh suit bhi chaati se chipka rehta
tha. Dupatta lia nahi tha garmi ki wajah se toh jaise he woh jhuki tabhi Arjun ki nazar uske suit
se jhankte ubhaar par chali gai. Usne sharmindgi se apni nazar niche kar li. Komal bhi khana paros
ke chali gai.
"Aaj shayad sab kuch galat ho raha hai. Aisa ehsaas pehle kabhi nahi hua tha. Lekin abhi jo hua
woh Akanksha wale ehsaas se alag tha. Bura bhi laga lekin nahi bhi." khud ke mann me he sochta hua
Arjun khana kha ke apne kamre me ja kar late gaya..
Note: Kahani ka asli shuruwat yahi se hogi dosto. Mai koi anubhavi lekhak nahi hu toh
kuch galti ho ya update me maja nahi aaya ho toh maaf kijiyega. Bharosa rakhiye aage
Kahani ko Shaandar rakhne ka pryaas karunga.
Thank you