shabjaila
Member
- 405
- 1,056
- 138
BHAI update jald dedo please... wait nahi hora...pls...iam Telugu.reder... language me koi galti hito MAAF karo..pls update dedo wait nahi horaha.....
Click anywhere to continue browsing...
Bhaithanks bhai ...aapne shayad sahi kaha ..iske liye sorry bhai kya karun yahan professional nahi hun ...just beginner hun ...insaan bahut kuch sikhta hai ..waise hi main bhi sikh raha hun ..
aapne jis be baki se apni suggestion di woh acha laga mujhe ...per yaar logic se matlab kya hai ...kuch samjha bhi do ...taaki aage faltu ke logic se bachun ..mujhe bhi time or effort bekaar karna pasand nahi hai ...
aapne itni kahaniyaan read ki hain ..aapka logic se means kya hai ..thoda clear kardo taaki khud me bhi aage point 2 point likhkar aapko perfect update de sakun ...
or yaar bura lagne ki baat mat kiya karo???????? bro i m cool person ..i don't ashamed 2 accept my lacks (kami) ..if i can handle my critics so its much easier 2 accept my few lacks ( kamiyan )...so jahan lage kahin thoda bhatak raha hun ..so sochne ki bajay bata dena ..bhai se bhai ke kaam ki ummid hai ...is update se hi agar sab kuch sahi raha toh ...antar aapko dekhne ko mil jayega ...
thanks for reading & staying with us ...
Nita mam bethi bore ho rahi thi ..kyuki who or jass toh pehle hi hotel room me ruki hui thi ..or who dono hi kahin gayi nahi thi ..so nita mam ko neend nahi aa rahi thi ..unhoone tv dekhkar time paas karne ka socha bhi per tv dekhkar time pass hona muskil tha kyuki tv me wahi ghise pite show aa rahe the ..so nita mam ne room se bahar jaane ka faisla kiya …or kyuki unke hi floor per jass ruki thitoh uske room ke door ko knockthanks bhai ...aapne shayad sahi kaha ..iske liye sorry bhai kya karun yahan professional nahi hun ...just beginner hun ...insaan bahut kuch sikhta hai ..waise hi main bhi sikh raha hun ..
aapne jis be baki se apni suggestion di woh acha laga mujhe ...per yaar logic se matlab kya hai ...kuch samjha bhi do ...taaki aage faltu ke logic se bachun ..mujhe bhi time or effort bekaar karna pasand nahi hai ...
aapne itni kahaniyaan read ki hain ..aapka logic se means kya hai ..thoda clear kardo taaki khud me bhi aage point 2 point likhkar aapko perfect update de sakun ...
or yaar bura lagne ki baat mat kiya karo???????? bro i m cool person ..i don't ashamed 2 accept my lacks (kami) ..if i can handle my critics so its much easier 2 accept my few lacks ( kamiyan )...so jahan lage kahin thoda bhatak raha hun ..so sochne ki bajay bata dena ..bhai se bhai ke kaam ki ummid hai ...is update se hi agar sab kuch sahi raha toh ...antar aapko dekhne ko mil jayega ...
thanks for reading & staying with us ...
Awesome updates
Bhaiya update bahut hi shandar aur jaandar damdar laazwab tha
agle ki wait kar rahe h.
BHAI update jald dedo please... wait nahi hora...pls...iam Telugu.reder... language me koi galti hito MAAF karo..pls update dedo wait nahi horaha.....
Bhai
Nita mam bethi bore ho rahi thi ..kyuki who or jass toh pehle hi hotel room me ruki hui thi ..or who dono hi kahin gayi nahi thi ..so nita mam ko neend nahi aa rahi thi ..unhoone tv dekhkar time paas karne ka socha bhi per tv dekhkar time pass hona muskil tha kyuki tv me wahi ghise pite show aa rahe the ..so nita mam ne room se bahar jaane ka faisla kiya …or kyuki unke hi floor per jass ruki thitoh uske room ke door ko knock
Bhai main yahi sab Ka baat Kar Raha tha or Kuch nahi yeh ek dialogue banake apna character se bulwado kaam khatam update aage badhega or story bhi Bhai aap khud Soch ke Dekho Bhai is Puri XFORUM site main aap jitna bada update koi Nahi deta lakin us update main dialogue kitne hote hain
Jo laga wohi bol Raha hoon Bhai
Dil pe mat lena
Bhot shandar update
Sab kuch tha update main
Keep posting
Bhut jyada gyan pel diya bhai isme toUpdate 48
Bachpan ki Yaadain
uske in sab baton ko batane se manu ko kya sikh mili or aage manu kaise chintu ko jawab dega …kyuki chintu ne apni taraf se nafrat ki jung saaf lehze me shuru kar di thi ….rajinder ke kaam ka Sahara lekar jo usne manu ko pure school me nicha dikhne ki koshish thi usse .saaf ishara tha ki manu …chintu ki Nafrat ne elaan-e-jung kar diya hai…baari ab manu ki thi jawab dene ki.or Nisha ka kya reaction hoga man uke liye chintu ke is jhunth se or manu ka kya jawab hoga chintu or aanewale kal ke har dushman ko yeh ab chintu ki kismat or time per nirbhar tha......
ab aage....
Ab aage kya honewala tha yeh toh waqt hi bata sakta tha ,,per kahin na kahin manu ko uske pita ne aaj jo nasihat di thi ki dunia waisi nahi jaisi dikhti hai..yeh manu ko kuch had tak samjh aa chuka tha…or usne bhi apne baap ki baat ko ek wada kiya tha ..ki aanewale time me woh apne maa or baap ko aaram dega matlab or jada mehnat nahi karne dega …ab uska wada or aanewala time use yeh sab karne dega ya nahi yeh manu ki kismat , uske dimaag or waqt ke sath uske sahi ya galat faisle jo who aage lega ya lene ki koshish karega usper nirbhar the …kyuki insaan chahe kitna bhi dunia se lad le chahe kismat sath de ya na de per ek insaan ke sahi time liye gaye sahi ya galat faisle se uski zindagi badal jati hai…ya yun kahiye insaan ke aaj liye hue faisle hi use bada ya chota banate hain dunia me izzat or bezati dono dilate hain…aage kya hoga ,kaise hoga or manu kya faisle lega yeh sab aanewala waqt hi janta tha..
Khair agla din aaya ….subah ka apna regular routine manu ne follow kiya mummy ki help ,khud ko or ajay ko tyaar karna or sath school le jana..ajay or Sumitra ko toh pata bhi nahi tha ki manu kis pareshani se jujh raha hai ..jisper manu khud nahi chahta tha ki in dono ko kuch pata chale ajay kyuki chota tha or manu se bahut pyaar karta tha ..ajay ek baar ko apne baap se gussa ho jata tha ..per manu uske liye bahut mayane rakhta tha …kyuki uski jitni parvaah shayad manu karta tha koi or karta ho …aap sab bhi jante hain kyuki uske dono maa or baap sirf apne bachoon ke future ke liye kitni mehnat kar rahe the..jis wajah se dono apne bachoon ko jada time nahi de pate the…jis wajah se dono ek dusre ke sath jada waqt bitya karte the or ..kyuki ajay or manu me manu ajay se bada tha so manu ajay ki har jaroorat ke samay uske samne rahta tha ,,jis wajah se ajay ke liye man uke dil main ek special respect thi..or kyuki kai baar ajay manu ke mana karne per kuch cheezain kar deta tha apne bachpane main per jab bhi ajay ne manu ki baat nahi maani tab tab ajay kisi na kisi musibat me pada ..jis per bhi manu ajay ko har baar us musibat se nikal hi leta tha..jaise ice factory me manu ne ajay ko bachaya tha jisme ajay ko toh manu ne pani me dubne se bacha liya tha per khud uske pair me kaanch lag gaya tha ..jisper bhi usne ajay ko kuch nahi kaha tha ..or ghar per bhi nahi kaha tha varna rajinder or Sumitra ache se ajay ki class lagadete so in sab baton ke chalte ajay manu ki bahut respect karta tha or pyaar toh shuru se tha hi use apne bade bhai se ..
Khair manu ajay kyuki chota tha so use apni pareshaaniyon se jitna ho sake dur rahna chahta tha…kyuki manu jaanta tha ki ajay jo uski burai tak nahi sun sakta use pata laga toh pata nahi kitna drama hoga school me jo manu nahi chahta tha or ab bachi Sumitra …sumitra ko manu isliye yeh sab batana nahi chahta tha kyuki woh ache se jaanta tha ki agar Sumitra ko yeh sab pata chalega ki ek taraf uska pati rajinder kitni mehnat kar raha hai akele 3 ya 4 loogo ka kaam kar raha hai or dusri taraf manu ko usi ke baap ke naam per nicha dikhya ja raha hai ..toh who pata nahi kya karti ..dusri taraf rajinder ne bhi use Sumitra ko in sab se dur rakhne ko kaha tha..or manu khud nahi chhahta tha ki Sumitra per koi bhi mentally pressure bane so ..in sab baton ko dekhkar manu ne ajay or Sumitra ko apni or rajinder ki tension se dur rakhna thik samjha..
Khair aaj subah morning main sab normal hi tha ,per ek baat alag hui thi rajinder jo subah nasta karta or chup chap bye bolkar ghar se office ke liye nikal jata woh aaj manu or ajay ke ready hone ke baad manu ke gale lag kar uske sar per hath fer kar bola “best of luck mere sher”…jis per Sumitra chaunke bin ana reh saki or boli “aaj yeh sab kaise suraj kaha se nikala hai ya yeh koi sapna hai ki aap inko best of luck keh rahen hain “ ????
Rajinder ne is per man uke gale lage hue kaha “ haan ji pyaar toh sirf aapko hi hai bachoon se humko kahan main kahta nahi toh yeh matlab nahi ki mujhe mere dono shero se pyaar nahi hai…main jitna apne bachoon se pyaar karta hun ..utna hi tumse bhi ..”
Is baat per sumita sharm se boli “ aap bhi na main aisa toh nahi kaha or kuch toh saram karo bache samne hain”
Rajinder “ toh kya hua unko bhi toh pata chale kaise unka baap unki is sherni maa ko chahta hai”
Is per Sumitra saram se aage koi baat na bade toh muskurati hui kitchen me jakar kaam karne lagi…
Rajinder ne ab manu ki taraf dekha jo is samay us kandhe se laga hua tha …kyuki rajinder ne use gale lagne ke baad se apne se alag nahi kiya tha..ab rajinder ne normal hokar manu se kaha “ mere sher bete tu jaanta hai na aage ka time me kaise loog milne wale hain ..beta phir se keh raha hun aage loog milkar teri ankhon me ankh daal kar jhuth bolenge or tujhe yeh jaante hue bhi ki samne wala jhuth keh raha hai ,,sahi time aane tak usko jhelna hoga kyuki bina sahi time ke tu kuch nahi kar payega ..or jab time aaye toh har ek ko dhokar nichod kar sukha dena ..samjh raha hai na …kyuki agar tune jald baazi me koi bhi faisla liya ya sahi faisla lene me chuk ki toh aage bahut kuch badal jayega ..tu mera matlab samjh raha hai na??”
Manu “ haan papa ache se samjh raha hun mujhe khud bhi sahi time ka intzar hai …kyuki main apne dushman se bhi sikh leta hun …jab usne(chintu ne) sahi time ke liye itna wait kiya toh mujhe bhi usse sikh mili hai ki …main khud use ache se sahi time par jawab dunga …aap tension na lo ..”
Rajinder “ beta tension honi lazmi hai baap hun tera per tujhe bhi ache se jaanta hun tu mera hi khoon hai toh teri kabilyat main ache se jaanta hun per ek baap hone ke naate samjhana mera farz banta hai ..wohi kar raha hun main janta hunt u sahi time per apna kaam kar dega ..or ek baat ka dhyaan rakhna tera yeh baap humsha tere sath tere har faisle me tere sath hai..so aage se koi bhi baat agar tang kare toh bindass bata dena ..agar baap ke samne bolne me koi jhijhak ho toh dost samjhkar bol dena ..ok “
Manu haskar “ok papa “ dost samjhkar hmm!”
Rajinder muskurakar “ hmmm! Nahi haan beta kyuki kuch baaten baap se kehne me bete sharma jaate hain tab dost samjh kar keh dena kyuki jab bete ka pair baap ke jhute me aane lage toh har baap ko bete ko ek dost ki tarah samjhna chahiye (purani kahawat hai sunta aaya hun yaad aayi toh likh di ) or waise bhi ek ache bete ki saari khubiyaan hai tujhme toh mera bhi farz banta hai ki main ache baap hone ka farz nibhaun ….so jab koi tension ho apne baap se share kar lena mujhe bhi naya dost mil jayega ..or ghar me na comfortable lage toh dono baap bete night walk per discussion kar lenge…wahan toh apni “”boys talk”” aram se ho jayegi ..
Manu kuch bolta usse pehle hi Sumitra bahar aate hue boli “aaj koi special din hai kya jo aaj apne manu ko itna chipka rakha hai ji …or kya baaten ho rahi hain main bhi toh sunu ..”
Rajinder “aaj tak tumahre or tumhari Saheli ke bicha me main kuch pucha ,,or jab pucha toh “girls talk “sunkar chup ho gya ..khair yeh baap bete ki bich ki baat hai ..jada kuch khaas nahi ..just “boys talk “
Sumitra “ matlab main kuch puch nahi sakti aapke is “boys talk “ ke baare me …per koi baat nahi mujhe toh phir bhi bahut Khushi hai ki aaj aapne apne bete se itni baat ki “
Rajinder “ Sumitra main apne parivaar se bahut pyaar karta hun mere yeh dono bete meri dono Aankhen hai or tum mera dil ho .aisa nahi hai ki mujhe tum logo ki parvah nahi hai ..per ek mard hone ke naate mujhe tum sabhi ki jimedaari bhi nibhani hai ..so usi ke chalte jada time nahi de pata hun bachoon or tumko ..per iska yeh rati bhar matlab nahi ki mujhe tum sab se pyaar nahi hai..pyaar jatana or nibhana do alag baat hain…jatata nahi per puri imandari se nibha raha hun ..or kama kya sirf apne liye raha hun ..nahi na aanewale time me bache bade honge unki zarorat bhi badengi tab unke ache future ke liye unka baap ready milega …tab unko bhi pata chal jayega ki unka baap nakar nikamma nahi hai ek jimedar baap hai …”
Is baat per Sumitra ro padi “mujhe maaf kar dijye main aisa toh nahi kaha tha..main aapko ache se jaanti hun..per ek dukh tha ki bachoon ke sath aap ek duri bana kar rakhte the ..woh baat mujhe khatakti thi ..keh nahi pati thi per dukhi rehti thi per aaj apne is traha manu ko gale laga ke baat kit oh laga koi sapna hai ..so yakin nahi hua..mujhe maaf kar dijiye ,,main aapko galat samjti thi..”
Rajinder “ Sumitra bache jab chote the tab duri isliye rakta tha ki bache agar dono maa baap se pyaar payenge toh sunege kisi ki or bigad jaate kyuki main shakt tha or duri banakar rakhta tha or tum pyaar se samjhati thi toh dekho apne bache kaise hai..kya tumhe bhi mera tyaag samjh nahi aaya …khud ke bachoon se dur rahna kitna muskil hota hai..main janta hun ..us nalayak jai chand ko paalne se maine yeh sikh li thi ki agar sabhi pyaar kare toh insaan nalayak hi banta hai kyuki jada pyaar se insaan jimmedari se dur rehta hai use pata hota hai ki jimmewari use milegi nahi..so jab insaan jimmedari ki kadra nahi karta toh badle me sirf or sirf aalsi or kam buddhi ka prani,or mehnat se ji churanewala ,,nalayak insaan banta hai ..bilkul jai chand ki tarah ..kya tumko apne manu or jaichand me farak nazar nahi aata…???”
Sumitra sochti hui “ kaisa farak ji “
Rajinder “who aalsi hai …kam buddhi wala hai apni biwi ke dimaag ke aage jhuka rehta hai..or kaam kaaz se ji churta hai…kya apna manu bhi waisa hai …nahi woh abhi chota hai per abhi se pura din padne ke sath bussy rehta hai ..do jagah per sikne bhi jata hai business ko …or apni class me pichle do saal se first aa raha hai ..toh jai chand ke time per jo main galti kit hi uski har maang ko puri karke un sab galtiyoon se mane sikha tha ..ki bache ki bematlab ki maag kabhi pura na karo..or dekhlo apne bete ko kya itna chota hone ke baad bhi kitna mehnati hai ..or jimmedaar bhi ..toh kya maine duri banakar galat kiya ..bolo”
Sumitra rote hue “nahi ji aapne bilkul thik kiya main hi pagal thi bewajah khud se aap per gussa hua karti thi ki aap sirf jaichand ko hi pyaar karte hain aisa toh maine socha hi nahi tha..mujhe maaf kar dena ji ..per ek cheez mujhe samjh nahi aayi ji “
Rajinder”konsi chezz “
Sumitra “aapne kaha tha ki bachon se aap duri banakar rakhte the toh abhi ajay bhi chota hai toh matlab abhi bhi dur hi rahengen bachoon se ??”
Rajinder “ ab uski zarorat nahi hai …manu ab samjhdar hai ..toh duri ki zarurat nahi hai kyuki ab ajay ko manu sambhal lega or uski galtiyoon ko manu ache se samjhkar handle kar leta hai ,,,maine khud dekha hai ki kaise who ajay ko sahi sikhta hai ..haan janta hun humare bache smart hain..unko lagta hai maa baap se dur rahte hain per hum bhi maa baap hain apne bachoon ko samjhna hume aata hai..manu ajay ko sahi guidance de raha hai or khud ajay ko bhi manu ko dekhkar ki uska bada bhai kaisa hai isse sikh milegi so who sahi banega ..so kul milakar ab apne bachoon se mujhe duri baanne ki zarorat nahi hai..”
Manu chup chap dono ki baaten sun raha tha or soch raha tha ki uske maa baap kitna kuch daav per laagye hue the un dono bhaiyon ke future ke liye ..use us samay apne maa baap per bada garv hua ki uske maa baap kaise dono bhaiyon se pyaar karte the or bina kahe bhi dono per nazar rakhte the..yahan tak ki use pata bhi nahi tha ki rajinder ko uske or ajay ke bich me hone wale topics bhi pata the …
Khair yeh sab chalta raha or manu school pucha …
Jahan use kal jaisa treat kiya gaya baat baat per sabhi ne nicha dikhane ki koshish ki use …sabse piche who akela bench per betha tha..nisha aaj bhi school nahi aayi thi..manu ne dhayaan se dekha tha ki chintu jab bhi uski bezati hoti toh kitna khush hota tha..baat baat per jab koi manu ko nicha dikhata toh manu dhyaan se chintu ke chahre ko dekhta ..uske chahre ki chamak or uski shaitani hansi dekhkar manu ache se chintu ki Nafrat samjh gaya tha ..per use yeh samjh nahi aa raha tha ..ki baaki yoon ko uske baap ke naam per nicha dikhane se kya milne wala tha ..per saale sab lage hue the ..use baat baat per jamadar …jamadar bolne me ..per manu akela karta bhi kya ..kyuki sala koi bhi use siddha kuch kehta nahi tha ..bas bich me koi bhi kahin se chilaakar bolta “jamadar “or sab hasne lag jaate sabka dhyaan or ankhen manu per gadi hoti jaise sab ummid lagye hue the is torture se manu ro pade ..yeh samne se ladai nahi thi ,,,is ladai ko aap psychology ki ladai bhi keh sakte hain aap ki kisi ko aap mentally torture do or use aap aander se tod do …kyuki samne ki ladai me insaan sirf or sirf hath pair tudwata ya toad deta hai per mental ladai me insaan ko chot bhi under hi milti hai..or us chot ka asar uski physical body per nazar aata hai ek time baad..kyuki mental torture insaan ko samne se nahi bhitar se todta hai toh uske sharir per koi chot nzar aati nahi hai ..
Yeh torture bade purane time se use kiye jaate the ..jaise old Egyptians me kisi ko agar mentally torture diya jata tha toh usme who kaidi ko ek andhere kamre me band karke uske hath pair bandh kar ek bed per yah bed ki shape me lita diya karte the jiske baad uske sar se kaafi uchai per ek paani se bhara hua bartan bandha jata tha jis se niche us kaidi ke sir per kuch 30 second ke baad ek pani ki boond (water drops) tapka karti thi..aap sochenge ek boond se kya hoga per zara soch kar dekhye ek andhare kamre me jahan who hil nahi sakta tha uske sar ya mathe me per paani k ek boond tapak kar uski mansik shanti or uske dimaag me chal rahe vicharon ko kaise disturb karti hogi..kuch gante baad hi har kaidi ko mentally broken feel hone lagta tha ..or pura din hone ke baad uski halat patli ho jati thi …agle us kaidi ko khana khilya jata or phir wahin bandh diya jata tha …same treatment ke liye …adhiktar kaidi 3 ya 4 din me tutkar sab kuch bol dete the ..yeh treatment spies or dushmano per kiya jata tha..is treatment ko agar 1 week kiya jata toh kaidi mar jaya karte the ya jo bach jaate the who puri tarah se pagal ho jaya karte the…
2nd world war ke time bhi jinko spying ya kisi khas maqsad se pakda jata tha ..unko bandh kar sirf ek bell sunai jati thi har 30 ke difference pe jisme kaidi ko yeh mentally torture 3 ya 4 din ke bhitar hi tod diya karta tha or jinper aage kiya jata who ya toh pagal ho jate ya suicide kar liya karte the …
Aap sab soch rahe honge ki kahani me yeh sab kya bakwass hai…toh yeh bakwas nahi fact hai chaho toh google kar lo …yahan itna sab batane ka maqsad itna hai …ki chintu ne jo plan kiya tha usme uska maqsad yahi tha ki manu ko itna mentally torture mile ya sab milkar manu ko itna mentally toad den taaki manu kabhi aage na bad paye ya toh uski himmat jawab de de..ya who ander se tutkar uske aage jhukar apni haar maan le ..per khud chintu ne bhi yeh sab nahi soch ki aagar kisi ko mental torture kiya jaye toh …insaan kabhi kabhi itna tut jata hai ki apni khud ki pehchaan bhul jata hai ,,,kyuki body or mind ka siddha connection hota hai …aap is baat se samjh sakte hai ..ki ek labor worker jitna physical work karta hai or use jitni thakan hoti hai …utna hi ek computer per kaam karne wale target pura karne wale ya office me kaam karnwale person ko hoti hai ..shayad kuch loog is baat se sehmat na ho ki ek physical worker or ek mind worker (jo mind se work leta hai physical work ki jagah use mind worker hi kehna thik hoga)kya comparison but aap google per dekh lena ki mind se work karna or body se work karna dono me person ko lagbhag same hi thakan hoti hai..dunia me kai research hui hain isi baat per kaiyoon ne apni phd ki thesis bhi likhi hain…
Khair baat thi mental torture ki chintu ne yahi plan kiya tha ki manu ka insab baatoon ka asar pade or who mentally broken ho jaye ..taki manu ko barbaad karke who Nisha ke dil me apni jagah bana sake or apna pyaar paa sake ..or kyuki apne khud ke ghar me manu ke naam ko sun sunkar usse khud ka ghar hi begana mehsoos hota tha..kyuki baat -baat per manu yeh, manu who, manu jaise bano, aage bado manu ki tarah ,ya beta ho toh manu jaisa har roz use yeh manu ka naam sunkar manu ke naam se Nafrat ho gayi thi..per kyuki khud uska hi faida tha manu ke sath rehne me so jab tak chalta raha tab tak chintu chalata raha ..
Per jab se usne Nisha ko dekha or Nisha ko dekhte hi use pyaar ho gya ab pata nahi ki use pyaar tha ya Nisha me use perfect package nazar aata tha apne secure future ka …ki Nisha uske liye bahut mayene rakhti thi per jab usne Nisha ko manu ke aas pass dekha toh uski nafarat ne use manu ko uski aankh me kaanta bana diya ..or jab use pata laga ya usne dekha ki Nisha ki aankhon me manu ka pyaar parvaan chadne laga hai ..toh use laga ki shyaad manu Nisha ko usse chin lega …or aaj tak manu se haarte hue use pyaar me bhi manu se haar hi milnewali thi jo shayad use bardast nahi tha..so ek tarah se usne ab manu per yeh mental torture ka war kiya tha ..jisme manu kitna tutega or kya manu per yeh mental waar kaam karega is soch me chintu ne soche samjhe kadam ke sath saari class ko apne sath milya tha..milya bhi kyat ha …pehle bhi bataya tha phir bata raha hun sab apne matlab se chintu ke sath the ..har kisi ka apna ambition tha koi manu se aage nikal na chahta tha ,..toh koi manu ke style or charm se jalta tha ..or ladkiyaan haaey ladkiyaan unko bahala kya problem thi manu se …toh unsabhi ke sath manu ne humsha helpful nature rakha tha ..but who ladkiyoon se limit se hi baat kiya karta tha …jahan adhiktar ladkiyaan manu me acha boyfriend dekhti thi ..per manu ne unko aage badne ka koi chance nahi diya tha..kyuki har dusri ladki use pana chahti thi..per manu un sabhi se apni limit bana kar baat karta tha per Nisha jabse aayi thi manu ke sath rehti thi ..tabse ladkiyaan Nisha se bhi kaafi had tak jalne lagi thi…jiska Nisha ko or faida hua ..nisha or karib ho gayi thi manu ke ..jahan manu sirf Nisha ko dost ke nazar se dekha karta tha ..wahin Nisha ka pyaar saari ladkiyan mehsoos kar sakti thi or us din jab Nisha ne manu ko apne hath se khana khilaya toh pata nahi kitni ladkiyan Nisha se Nisha ki kismat se or uske manu ke pass hone se jalne lagi thi..
Jis tarah ek single ladka adhiktar ladkiyaan ignore karti hain,uski chahe kitni bhi khubiyaan ho nahi dikti na hi us per ladkiyan gour karti hain , per jab usi ladke ki shaadi ho jaye ya uske sath uski life me koi girlfriend ban jaye toh who hi ignore karnewali ladkiyaan us ladke ko sexy samjhne lagti hain ya pasand karne lagti hai (sorry girls but this is also fact)jis ladke ko pehle jo ladkiyan ignore karti hain wahi jab us ladke ko kisi or ke sath dekhti hain tab achanak se unhe usi ladke me dilchaspi hone lagti hai …waise hi Nisha jab manu ke karib hone lagi toh who ladkiyaan jo samne se manu ko boyfriend nahi bana payi toh ussabhi ko Nisha or manu ka karib aana nagavar guzra …jahaan Nisha paise me or sundarta me un sabhi se kai guna aage thi jisko kuch kehna or uska kuch karna un ladkyoon ke bas ke bahar tha so unka gussa manu per tha ki usne unme se kisi ko kyu nahi chuna…waise toh agar manu unme se kisi ek ko bhi chunk leta girlfriend ke naam per toh uska haal bhi Nisha ke jaisa isolate hota us ladki ko bhi manu ke sath akele rehna pdta per ab kyuki ab Nisha thi or Nisha sirf Nisha nahi thi uska background bhi acha tha..per manu ko nisha ka acha or caring nature or uske baatchit ka tarika acha laga tha so uski friendship Nisha se hui thi..so ab aap samjh gaye honge ki chintu ne itna sab kyu or kis maqsad ke sath kiya tha ..
Kyuki chintu chahta tha ki manu sab se dur akela pad jaye or isolate ho jaye jis se who depression me chala jaye or shayad khud ko khatam tak kar le …
Jaisa aajkal India me chal raha hai Sushant singh Rajput ka case …bhi lagbhag kuch isi ki similarity ke sath hai ,,ki kaise zindagi jine wala iit india me 7th rank lane wala ek chote se shaher ka ladka …jo apne talent ke dum per shyaad or kuch karta shyaad aage or misaal banta un chote shahro ke talented logo ke liye jo sochte hain ki humara kya hoga ..unke liye Sushant who inspiration tha…jisne har choti city ke insaan ko uske sapne pure ho sakte hain aise pankh diye the…kyuki aap sab ache se jaante hain har insaan apne sapne me kisi na kisi ko idol manta hi hai jaise singing main lata ji , science me Einstein ya kalam Shahab so kahin na kahin sabhi kisi na kisi se inspiration lete hain ..aise hi bahut se logo ki inspiration hoga shyaad Sushant bhi jo us jagah khud ko isolated pata ho jahaan sirf bade loog hi paaye jaate honge …jahan who dimaag se bhi talented tha ..wahin kuchoon ko iq dunia janti hain ….so sochne wali baat yahi hai ki jinda aadmi khud ko kitna isolated mehsoos karta hoga jisne suicide jaisa bada kadam tak liya hoga kitna koi mansik tour per tut jata hai ki khudkhushi jaisa kadam leta hai ..normal life me aap ungali shyaad jaan bhujhkar bhi na kaatenge per jab mentally torture jhelte hain or khud ko isolated pate hain toh khud ki ungali bhi na kaat paane wala insaan khud ko khatam tak kar deta hai ..yeh is baat ki misaal hai ..
Khair mera film or celebrity’s se koi lena dena nahi ..but isolation or mental torture jiske tehat chintu ne jo plan banaya tha who aap sabhi ko clear karna tha …so ab taka ap samjh gaye honge ki chintu ko manu ki life khatam hone se bhi koi problem nahi thi ..ek tarah se aagar manu mansik trauma ke chalte agar mar bhi jata toh uss se use koi problem nahi thi balki uske liye toh Nisha ka rasta saaf ho jane wala tha …
Khair manu ne aaj ka din bhi nikala …rajinder aaj bhi use raat ko walk per le kar gaya or din bhar ke baare me pucha or samjha …manu ne bhi sab khulkar bataya ki kya behavior hai puri class ka uske sath..
Toh rajinder ne use samjhte hue kaha ..
Rajinder “beta aage bhi aise kai time tumhare sath hoga tumhare sath ke loog hi tumhare raste ki diware honge toh kya karoge ..tum un sabki parvaah na karna kyuki jo bhi apne matlab ke liye tumhare sath agar galat bartav kare toh unki parvaah karoge toh in sab me hi ulajhkar reh jaoge…jo tumhare liye galat soche uski parvah karna bewakoofi hai ..so unsab ke baare me kabhi mat sochna …dunia hai hi aisi ..tum sirf apne future or family ke baare me sochna kyuki jab bhi tum khudko akela feel karo toh humsabhi ko yaad karlena hum sabhi dil, dimag or har tarah se tumhare sath hain..”
Manu “ per papa puri class ek sath kaise samjhna thoda muskil hai..”
Rajinder “ beta dunia me sabhi ka apna apna koi na koi laalch ya svarth zaror hota hai …jiske ke chalte kab kon kiska dushman ban jaye kehna muskil hai …or agar tum in sab ke baare me sochne lago ge toh apne raste se bhatak jaoge …so jo sath hai thik jo na sath ho toh thik aapne raste per aage chalte raho..kyuki last main insaan ki pehchaan uski kamyaabi hi hoti hai …or saari dunia chadte suraj ko salaam karti hai..so yaa toh yeh socho ki aage kaise badoge ya yeh sochte raho ki sab ek sath tumhare khilaaf kyu ??hain …faisla tum per hai ya toh unki parvah karo jinko tumhari pervaah hai…ya unki parvaah karo jinko tumhari haar se hi matlab hai jinke liye tumhari achaiyan koi mayene nahi rakhti..”
Manu “papa aapka matlab ache se samjh gaya hun thanks a lot ki aapne mera confusion clear kar diya varna such me main akela mehsoos kar raha tha puri class me per aapne ache se samjha diya hai ki main akela nahi hun or na mujhe unsab ki zarorat hai ,mujhe yahi baat pareshaan kar rahi thi ki achanak se yeh saare kyu ek jaise ho gaye..??per aab sab thik hai or don’t worry main abhi akela zaroor hun class me per dimaag se kamzor nahi hun haan kuch swal tang kar rahe the per aapne sab clear kar diya hai ki family mere sath hai ..so aage badne per dhyaan dunga aage se love u papa..”
Rajinder “ love u to beta mujhe bhi tension thi ki kahin tum koi galat kadam uthalo ya pata nahi kya karo per mujhe apne bete ki kabiliyat ache se pata so jahan tum confused feel karo toh apne baap se bina tension ke baat kar lena ok “
“Ok papa ab ghar chalene ya bhi gumna hai “ manu
Rajinder “ nahi beta thak gaya hun per teri chinta thi toh baat karne ka time nikalna bhi zarori th..chal aab tug har chal ab chain se so sakunga..”
Dono baap bete ghar aa agye the …or so gaye …
Agla din bhi same raha .jisme sabne aapna best diya manu ko nicha dikhane me per manu shant tha …use uske pita se sikh mil gayi thi …sab koi mauka nahi choad rahe the manu ko nicha dikhane ka ..per manu ko na ab unsab ki parvah thi na unsab se koi matlab ….padne ke time padta or lunch ke time nita mam ke pass chala jata …aaj tisre din bhi Nisha nahi aayi thi..manu ko aab nisha ki chinta ho rahi thi …
” ki teen din se pata nahi kyu Nisha aa nahi rahi hai …pata nahi kya hua hai Nisha ko ….kahin chintu ne toh kuch nahi kar diya use nhi chintu Nisha ko chu bhi nahi sakta Nisha keg har me hi ek dajan naukar hain phir uncle hain anty hain…or who lamba tagda guard hai jo gate per rehta hai…ek hath agar uska pad gaya toh chintu ka mutt hi nikal jayega …per chintu me kahan itni himaat hai ki Nisha ko kuch kar sake …kahin Nisha ki tabiyat toh thik hai..nahi kahin use kuch ho gya ho…ho sakta hai kahin gayi ho ..”
Aise kitne saare sawal ek sath manu ke dimaag me ek sath ghum rahe the…jahaan use aaj Nisha ki kami mehsoos ho rahi thi…yeh insaani fitrat hi hai ki agar koi raat din aapke samne ho toh koi baat nahi per agar usi insaan se kuch din ki doori kai janamo ke barabar lagti hai …yahi haal is samay manu ka tha ..kyuki sabne use pure 3 din se torture kiya tha …pehle do din toh uske dimaag me Nisha ka khayal nahi aaya per dusre or tisre din me use Nisha ke liye chinta hone lagi ..phir achanak se uske dimaag me aya kahin Nisha bhi in sabke sath mil gayi toh….is khayal se manu ko ek anjana darr sa laga …who dil se dua karne laga tha ki Nisha bhi or jaisa bartaav na kare uske sath …
kya hoga agar Nisha bhi waise hi bartaav kare jaise sab uske sath karte hain…yeh sochkar uske dil me ek tees si uthi ..per phir use apne pita ki baat yaad aayi ..ki jo tumhari parvaah kare uski parvaah karo jo na tumahre baare me soche tum bhi aage badkar aapne raste chal do …
per manu ke liye aise hi Nisha ko ignore karna kya possible tha ..or Nisha kahaan hai 3 din se or agar Nisha ka samna agar manu se hua toh uska reaction kya hoga …kya who bhi sabhi ki tarah manu se Nafrat karegi ya …same rahegi or agar Nisha bhi same treat kare or logo jaisa toh kya manu bardhast kar sakega ….iska jawab ya kismat ke hath ya aanewale time ke hath me tha….![]()
Suru mein to ye manu ko bhut smart dikhaya gaya tha lekin ab chutiyo jaise behave kar raha hai jaise nasamajh ho, jab pushpi khud isey bol chuki hai wo bhi kayi baar ki wo apne bhaiyo ko bhai nahi maanti fir bhi ye chutiya ghabra raha haiUpdate 49
Bachpan ki Yaadain
per manu ke liye aise hi Nisha ko ignore karna kya possible tha ..or Nisha kahaan hai 3 din se or agar Nisha ka samna agar manu se hua toh uska reaction kya hoga …kya who bhi sabhi ki tarah manu se Nafrat karegi ya …same rahegi or agar Nisha bhi same treat kare or logo jaisa toh kya manu bardhast kar sakega ….iska jawab ya kismat ke hath ya aanewale time ke hath me tha….
ab aage .....
Manu ke liye Nisha ka bartav kya hoga yeh ek sawal tha or Nisha bhi kya sabke jaisa bartaav karegi ya pehle jaisi rahegi yeh toh khud Nisha hi bata sakti thi ,,per who toh wahan thin ahi so manu na jaane kya kya soch raha tha ..toh manu ne faisla kiya ki aaj or intazar karta hun Nisha ka nahi toh kal chala junga uske ghar pata lagane ki Nisha kyu nahi aa rahi hai school..
Aaj manu 4 din school gaya jahan Nisha ka koi naamonishan nahi tha khud class teacher ne pucha Nisha kyu nahi aa rahi hai …per koi kya jawab deta manu bhi hairat me tha ki Nisha ko aakhir hua kya hai jiske chalte 4 din se school se gayab hai ..
Ab manu se rukna mushkil tha so per bina Nisha ke bulaye who kabhi bhi uske ghar nahi jaya karta tha …so usne phir bhi kai baar maan banaya ki Nisha ke ghar jakar puch le per uske sath ho rahe bartaav se kahin na kahin who khud me darr hua tha ki Nisha ne bhi same bartav kiya toh kya hoga ..apne pita ke samjhane se usne baaki logon ki fikar karni yay un kahiye ki unke baare me sochna choad diya tha per manu ko Nisha ke bartaav ki chinta thi kyuki Nisha or uski family se mila apnapan kahin na kahin manu ko Nisha ke liye ek soft corner per le aya tha..
Khair phir bhi manu Nisha keg har tak gya jahaan guard ko dekhkar uske pair kai baar ander jane ke liye hote per apne sath hone wale bartav ko sochker piche ho jaate ..usne guard ko dekha
Guard bhi manu ko ache se jaanne laga tha usne kai baar manu ko Nisha ke sath aate jaate dekha tha ..so usne khud hi kaha “ aaj aap akele aaye hain .under inform kar deta hun aap chale jayeye”
Manu “nahi guard uncle who toh pass se hi gujar raha tha so socha yahaan se chala jata hun or sab thik hai na Nisha ghar per hi hai kya..??”
Manu ne Nisha ke baare me puchna chaha..
Guard “haan choti bitya ghar per hi hain..koi kaam tha kya..?”
Manu “nahi koi kaam nahi tha who bas aise hi puch raha hun.acha ab chalta hun..namste uncle “
Guard “namaste babu “
Manu “uncle ji main koi babu nahi hun main apko uncle keh raha hun toh aap bhi mujhe mere naam se bula sakte hain mera naam toh pata hain aapko ,,,Maanav hai naam mera or sab pyaar se manu kehte hain mujhe ..or aap bhi mujhe manu keh sakte hain”
Guard “beta ache se janta hun tumhara naam main is ghar ke loog aise hi tumse pyaar nahi karte aaj pata chala tum vastav me kitne ache ho varna darvaze per kahde honewale guard ko bhala kon itna aadar deta hai ..manu beta “
Manu “uncle ji main toh deta hun main koi badi family se taaluk nahi rakhta hun mere gharwalo ne apne se badon se izaat se baat karna sikhaya hai or aap agar guard hain toh usme bhala apka kya dosh aap kaam karke khate hain na ki chori karke ..or jo kaam kare use samman milna hi chahiye..aapko main abse guard bhi nahi kahunga aap aaj se uncle hai mere liye ”
Guard “upper wala tumhe bahut taraki de yahi meri prarthana hai ,,beta tum bahut ache ho betho na chaho toh under bata dun ?,,”
Manu “nahi uncle ab chalta hun acha namste “
Manu chalagaya wapas per use bada azib laga yeh jaankar ki Nisha ghar per hi hai per school nahi aayi ..usne socha agar kal Nisha nahi aayi toh kal pakka ghar jaakr pata karunga..
Khair agla din aaya aaj manu jaise hi school aaya uski chahre per Khushi cha gayi kyuki aaj Nisha aayi hui thi..per isse pehle who Nisha se kuch baat kar pata period shuru ho gaya …or manu sabse piche jaakar akela beth gaya …
Nisha ne ek baar nhi idhar udhar nahi dekha manu thoda pareshaan hua ..per chalte period me kya kar sakta tha bhala …teacher padate gaye or ek ke baad dusra or uske baad agle period chalta gaya ..
Manu akela or bechain sa jabardasti padne me laga raha per uska saara dhyaan sirf or sirf Nisha per laga hua tha..
Khair jab lunch hua toh manu se rukna mushkil ho gya who chup chap utha or Nisha ke saamne chala gya …jisper Nisha ne ek baar uski taraf dekha or phir apne beg se tiffin nikalne lagi manu ke dil me dunia bhar ke sawal the per jawab sirf Nisha ke paas the ..or manu ki bechain aab bardast ke bahar ho chali thi ..so manu ne Nisha ka hath pakda or lagbahg kichte hue us room me le gaya jahan who tino lunch kiya karte the ..nisha bhi kisi bel ki tarah uske sath kichi challi gayi ..bina koi sawal kiye ki manu use kahan or kyu le jaa raha hai..
Jab dono us room me puchunche toh manu ne Nisha ki taraf dekha or samjhne ki koshish karne laga ki nisha ke dil or dimaag me kya chal raha hai ..per Nisha manu ko na dekhkar zamin ki taraf dekh rahi thi..
Manu se ab rukna mushkil ho gya usne Nisha se kaha”Nisha ek baar meri taraf meri aankhon me dekho”
Nisha ne zamin se nazare uthakar manu ki taraf dekha manu ke chahre per hazaro sawal the or pareshani saaf dikh rahi thi..nisha ka aaj ka bartaav kuch naya tha manu ke liye use Nisha ka yeh bartaav kuch aatpata sa lag raha tha ..
Nisha ne ek baar manu ki Nazaro me dekha jisme use aise laga ki manu ki nazare uske under tak uska wajood padne ki koshish kar rahi thi..nisha ne jab yeh mehsoos kiya toh usne phir nazare chura li or phir se zamin jahan abhi farsh nahi pada tha use dekhne lagi..
Manu ne kaha “Nisha lagta hai tum bhi mujhse Nafrat karne lagi ho …acha thik hai agar tumhe bhi Nafrat hai toh main kya kar sakta hun chalta hun apna dhayan rakhna”
Manu wapas jaane ko muda or apne kadam bahar rakhta tabhi Nisha ne use khichkar piche ghumaya or manu ko apne gale se lag aliya …manu hairan sa shock me chala gya ki Nisha ne yeh kya kiya achanak se.
Nisha use gale lagakar boli.”tumne yeh soch bhi kaise liya ki main tumse Nafrat kar sakti hun or tumhe bhul sakti hun tumhe toh ab mujhse koi alag karne ke baare me soch bhi nahi sakta …sirf ek cheez hi mujhe tumse zuda kar sakti hai ..or who hai maut..”
Manu ko yeh sunkar thoda sukun mila ki chalo Nisha toh usse Nafrat nahi karti ..per Nisha ke is tarah gale lagane se manu thoda shock tha so usne Nisha se alag hokar kaha…”thik hai main toh samjha ki tum bhi mujhse nafarat karne lagi ho …varna pura din nikal gaya ek baar bhi na mujhe dekha or na baat ki …aisa kyu Nisha or tum pichle 4 din se school bhi nahi aayin kya wajah hai jaan sakta hun bhala ..???”
Nisha ne jab itne sawal sune toh uske chahre per ek anokhi laali cha gayi ..or boli “din bhar socha dekh lun agar main khud na bolun toh tum kya karoge or kaise mujhe manaoge …isliye tumhe tadapa rahi thi..”
Manu “aise na tadpaya karo nisha pata bhi hai kya kuch guzari hai in dino main mujhper (manu ka ishaara puri class or bartaav ko laker tha)” per Nisha ne jab yeh suna toh uselaga ki manu ne use in chaar dino me kitna miss kiya hai ..uske chahre ko koi bhi dekhkar bata sakta tha ki uski Khushi kis had tak hai ..per is samay manu ke dimaag me bahut saari baatain chal rahi thi ..so usne in sab per dhyaan nahi diya ..
Nisha tunkar boli “haan pata hai tabhi toh ek baar bhi nahi aaye mujhe ghar per dekhne ,,,ab yeh mat kehna ki tumhe ghar ka address yaad nahi tha …”??
Manu “Nisha main ghar tak kai baar aaya yakin na aaye toh guard uncle se puch lena per na jaane kyu ander tak jaane ki himmat nahi hui thi..”
Nisha ne jab suna ki manu such me uske ghar aaya tha ,,toh use laga ki manu uski kitni parvah karta hai uska dil Khushi ke maare uchalne laga ..
Nisha “acha ji ghar ke chakkar laga sakte ho guard se baat kar sakte ho per gate paar karke nahi aa sakte ..”Nisha ab purane rang me aa chuki thi..
Manu “aana toh chahta tha per pata nahi kyu kadamo ne sath nahi diya varna tum kya jaano kaise or kya biti hai yahaan tumhare bina mujhpe(uska abhi bhi matlab roz ho rahi uski bezati se tha)””
Per Nisha ko aisa lag raha tha ki manu bhi use usi tarah chahta hai jaise who manu ko …
Nisha “acha baba maan liya ki tumhari himmat nahi hui thi per aage se kuch bhi ho aagar ghar tak aa otoh bahar se mat laut jana varna tumhe nahi choadungi or mummy se ache se daant lawa dungi ok”
Manu “acha baba aage se bahar se hi nahi wapas jaunga ab ander bhi aa jaya karunga..per tum itne din se kyu nahi aayi school who toh batao na”
Nisha ne jab yeh sawal suna toh uske chahre per phir se laali cha gayi or who phir se sharmane lagi or Aankhen niche jhuka kar boli “ tabiyat thik nahi thi isliye nahi aayi school..”
Manu ne jab suna ki Nisha ki tabiyat thik nahi thi so use khud per bada gussa aaya ki who ghar ke bahar se hi kyu laut aaya..kya pata Nisha ki kya haalat ho..kya pata nisha ki kitni tabiyat kharaab ho..??
Manu ne furan Nisha ka hath pakda or uske sar per hath rakhkar bukhar (fever) dekhkar bola “tumhari tabiyat kharab hai or tum mujhe aab bata rahi ho ..waise ab bukhar toh nahi hai,,or abhi bhi khadi ho untni (female camel) ki tarah yeh nahi beth jao ..”manu ne us usi bench per bitha diya jis per bethkar who khana khaya karte the..
Nisha ko bahut Khushi hui ki manu ko uski parvah hai or kaise abhi who uske sar per hath rakhkar fever check kar raha hai ..or khada bhi nahi rehne de raha ,,Nisha manu ki caring dekhkar under hi under badi khush thi..
Manu apni dhun me Nisha ka hath lekar uske hath ki nabz lekar kaan ke pass laga kar bahar samne ki diwaar jo ki dur thi usme second ki sui ko dekhkar taal mel ke sath kisi mahir vaid ki tarah check kar raha tha yeh old way ka tarika usne ek Vaidya se sikha tha ,,pata nahi kitna sikha tha per abhi toh kisi mahir Vaidya ki tarah laga hua tha..
Nisha sirf uski is harkart or caring ko dekhkar Khushi se jhum rahi thi..usne ek baar bhi manu ko rokne ki koshish nahi ki..bas chupchap manu ke hatho me apne hath ko dekhkar manu ko ilaz karne ki koshish karte dekhkar khush ho rahi thi..use is baat se koi lena dena nahi tha ki manu kya kar raha hai per use is baat ki Khushi thi ki uska hath uske pyaar ke hathon me hai..
Khair manu kuch der Nisha ki nabz check karta raha or jab use tasali ho gyi toh bola “ per ab toh tum thik ho “
Koi or hota toh hans hans kar paagal ho jata ki kaisa azeeb jawab hai …are yaar agar thik na hoti toh school aati kya …??
Per bhai pyaar karnewale dunia me anokhe hi hote hain Nisha ko manu ke is jawab se yeh pata chal raha tha ki manu kitna caring hai Nisha ko laker jabki manu toh abhi apni ek louti dost(kyuki 4 din se zillat jhel raha tha who bhi kabhi dost hi hua karte the per aaj kya hain aapko bhi pata hai..) ki fikar thi ki kahin ek louti dost bhi sabhi ke sath use bezzat na karene lag jaye..
Tarrif or bezzati ka bhi apna ek alag naata hai ..jahaan insaan ki taarif se use dunia me himmat or shohrat paane ke liye har samay nayi prerna milti hai…tarrif insaan me naya aatm vishvaas bhar deti hai…
Wahin bezzati us dheema zehar(slow poison) ki tarah hai jo insaan ko har samay under se khokhla karne me lagi rehti hai ,,,har pal milne wali bezzati insaan ki ichaaon or uski himmat ko toad deti hai ,balki us insaan ka aatamvishvaash(confidence level) bhi khatam karne me lag jaati hain..
Har roz ki bezati kahin na kahin manu ko bhi under se toad rahi thi uska khud se vishvash bhi kahin na kahin dagmagne laga tha..ab aap kahenge Nisha ka isme kya role toh bhai dubta hua insaan bhi tinke ke sahare safar kaat leta hai..or jab puri class uske khilaaf thi toh manu ki eklouti dost bachi thi Nisha jis per hi manu ki ummid tiki thi ..ki kahin Nisha bhi uske sath oron jaisa bartav karegi ya purani dosti ki laaj rakhegi …haan janta hun Nisha toh manu ko pyaar karti hain…per bhai manu ko kahan pata hai ..use toh nisha ka pyaar ek pyaari dost ki caring lagta hai toh aaage kya??
Nisha ne jab suna ki manu ko iski kitni chinta hai toh uski aakhon me jamane bhar ka pyaar manu ke liye aagya per manu ki bechaini dekhkar sirf itna boli “haan abhi thik hun..”or phir se nazare chura li ..
Manu ke zada kuch samjh nahi aya who bola “hua kya tha tumhe jo itne din lag gaye ..??”
Nisha idhar udhar dekhte hue “kuch nahi kuch bhi toh nahi hua tha…??”
Nisha jaisi hasne muskuranewali or time time per manu per apna gussa (jhutha gussa ) dikhane wali ladki se yeh suna manu ne toh manu ko yakin nahi hua usper Nisha ka bartav (behavior)or tension de raha tha manu ko…manu ko koi gadbad lagi toh usne Nisha ka chehra apni taraf kiya jisme usne Nisha manu se Aankhen churate hue lagi ..toh manu ne zor dekar kaha “meri aankhon me dekhkar kaho tumhain hua kyat ha “
Nisha nazare churate hue “plz manu jhuth nahi bol rahi hun aage na puchna plz”
Manu ko ab toh or gadbad lagi insaani fitrat hi hai ek baar koi cheez mana ho toh use toh karta hi hai ..yakin na aaye toh soch kar dekhna doctor aapko koi cheez ka parhaz (restricted)kare toh sala usi cheez ko dil usi din zaror machal jata hai..manu bhi insaan hi tha use laga Nisha ussse kuch chupa rahi thi..
Manu ne Nisha ka chehra choad diya or uska hath pakada or use apne sar per rakhkar bola”Nisha tumhe mere sar ki kasam hai such bolo kya hua tha tumhe agar jhuth bologi toh mera mara muh dekhogi..so sab tumhari marzi hai..”
Nisha ne turant manu ke sar se hath khich liya or uske muh per rakh diya “tum pagal ho gaye ho jo ek baar bhi nahi sochte ki tum mere liye kya ho yeh tumhe samjh nahi aata ..jo aisi ulti sidhi baat kar rahe ho …yeh bhi nahi soch rahe ho ki pata nahi baat batane layak bhi hai ya nahi”
Manu”maine toh kasam de di ab tumhari marzi tum batao ya na batao ..jada se jada kya hoga mar hi toh jaunga tum kyu tension leti ho waise bhi chintu toh hai hi na or who toh tumhe angel bhi kehta hai ..khush rehna uske sath ..”
Nisha rote hue khichkar manu ko gale laga leti hai“tum pagal ho kya jo kuch bhi ulta siddha bol rahe ho Nisha ke liye manu kya hai tumhe kya pata agar tumhe kuch hua toh dekh lena piche piche wahan bhi aa jaungi mere liye who behuda tha or behuda hi rahega..per tum itna kaise piche pade ho aaj meri tabiyat ke ..??”
Manu nisha ko apne sene se hatate hue “ tumhari marzi kasam mano ya mat mano 4 din maine kaise kaate hain tumhe kaise pata”uska ishara abhi bhi wahin tha class walon per ..
Nisha “thik hai kyuki tumne kasam bhi aisi di hai ki ise todna toh dur tumhe kuch ho jaye aisa main sapne me bhi nahi soch sakti ..per baad main mujhe galat mat samjhna ..waada karo”
Manu ne Nisha ka hath thamkar wada kiya or uska hath pakad rakha tha or uske chahre ki taraf dekh raha tha..jisper abhi jamane bhar ki sharam simat aayi thi..per manu sirf uske muh se uski bimari jaane me laga hua tha..
Nisha”tumhe ab kaise kahun”
Manu hath choadkar bahar jaane laga.nisha ne khich kar use bithya or kaha “lagta hai aaj tum maanoge nahi per ek wada karo mujhe baad me galat nahi samjhoge ..”
Manu “galat nahi samjhoge galat nahi samjhoge..kya hai yeh sab tumhe kasam di hai ab tum maano ya na maano wada bhi kar chuka hun ..per aisa kya hai jo tum itna soch rahi ho..??”
Nisha “tum khud toh buddhu ho or mujhe bhi besharam banana per lage ho…”
Manu “main jaa raha hun samjh lunga ki tumne mujhe mara maan liya”
Nisha “khabar dar jo ek shabd bhi aage bola tumhe kuch ho mujhe Manzoor nahi per aisi baatain bologe toh khud maar dungi tumhe or uske baad khud bhi mar jaungi..”
Manu “rukun ya jaun ?”
Nisha “tumhe pata hai na main bhi ab badi ho rahi hun”
Manu “toh usme kya hai main bhi toh ho raha hun”
Nisha “ladko ki baat or hai..hum ladkiyoon me bade hone per bahut se changes hote hain..”
Manu “hum ladko main bhi hote hain..usme itna kya sochna”
Nisha”tum samjh kyu nahi jaate “
Manu “toh samjha do ya main jaun mera sar phata ja raha hai..”
Nisha “thik hai besharam bano khud bhi or mujhe bhi bana do toh suno mujhe kal menstruation problem hui thi jo ladkiyon ki age badne ke baad hone lagti hai…”
Manu ko usne kaise hota hai kyu hota hai sab samjha diya nisha ne jitna zarori tha utna bata diya..…jiske baad manu saram se paani paani ho gya tha..
Manu ”I m sorry mujhe sach ab lagta hai maine zo dekar galat kiya ..tumhari privacy ko break kiya…mujhe maaf kar dena…”
Nisha”tum na ek number pagal ho khud toh besharm the hi mujhe bhi bana diya or ab meri privacy ki chinta ho rahi hai janaab ko wah ji wah …or khabar dar jo maafi magi mujhse toh ..ek baat ache se samjh lo ki tumse yeh baat karna jitna buranahi laga per tumhara maafi mangna kasam se jaan le leta hai ,,,aage se jo chaho puch lena per kabhi maafi na mangna mujhse ..”
Manu jiske kaano se menstruation ke baare me sunkar dhuan sa nikal raha tha..usne sirf haan me sar hilaya or kaha”ek baat puchun bura toh nahi maanogi”
Nisha “itna sab bata diya ab bhi lagta hai bura maanne ko kuch bacha hai ..??”
Manu “toh tumko wahaan pain bhi hota hoga ??”
Nisha manu ka ishara samjh gayi or saram se laal ho gayi..or niche dekhkar boli “hmm hota toh hai ,,per mera first time tha so bahut hua ..per mummy ne kaha hai aage se dard ki aadat pad jayegi .”
Manu “yaar aaj ek baat samjh aayi hai tum ladkiyan kitni brave hoti ho ,,har mahine yeh dard jhelna or phir bhi khush rehna kasam se har ladki har aurat ko salute hai meri taraf se ..ki tum sab kitne dard ko sehkar naya jivan dunia me laya karti ho”
Nisha niche dekhte hue “bas bhi karo saari girls jehlti hai isme aisa kya hai or sharminda kar rahe ho mujhe..??”
Manu “main tumhe sharminda nahi kar raha hun bas sabhi females ke dard ke baare me jaankar respect or bad gayi dil me..”
Nisha “acha ab change the topic im not more comfortable in all about this dard yaad aane lagta hai acha tum aaj dikhe nahi tum the kahaan “??
Is baat ka manu koi jawab deta use pehle ek awaaz aayi ..”yeh aajkal humse Rutha hai toh humse naarazgi dikha raha hai ..”
Jab Nisha or manu ne awaaz ki disha me dekha toh paya yeh awaz chintu ki thi ..jise dekhkar kahin na kahin manu or Nisha dono ke chahre ka rang change ho gya tha …nisha ko ab manu se khulkar baat karne ka mauka nahi milene wala tha so us per Nisha ko bura lag raha tha..
Per manu ko hairat or chintu ki himmat per taazub tha ki itna torture karne ke baad bhi chintu uske samne shaan se khada hai..manu ke chehre per abhi shock or hairat ke sath gusse ke mile jule bhaav the..
Khair chintu under aaya or Nisha se hath milkar bola “Nisha yeh galat baat hai apne is dost ko bhul gayi tum or akele aa gayi tumhe pata hain kitni chinta ho rahi thi mujhe main kitna pareshan tha yakin na aaye toh manu se puchlo…??”
Manu ki taraf dekhakar chintu ne kaha “yaar tu jitna bhi gussa ho jaye per Nisha ko toh bata deta ki humko uski kitni fikar hai ..or main khud tujhe kitna chahta hun ek hi dost hai mera yahaan manu,…”
Manu hairat me soch raha tha uske pita rajinder ne sahi kaha tha ki kaise loog aankhon me aankh daal kar jhuth bolte hain ..aaj usne dekh bhi liya tha ..ki 4 din main kitna kuch sirf or sirf chintu ki wajah se saha tha usne ..per phir bhi chintu uske samne kahada Nisha se usi ke baare main shikyat kar raha hai itne din bezzat karke aaj use hi dost keh raha hai..use laga use uske pita rajinder ne jo sikhya or jo kuch bataya tha..kahin na kahin aaj uski aakhon ke saamne tha…use apne pita ki baat per aab koi shaq nahi tha …who samjh gaya tha ki aage ka safar kathin hone wala tha..
Chintu manu ke pass aaya or uske gale lag kar uske kaan me bola”tu hi toh ek dost hai mera kitna pyaar hai tujhse yeh tujhe 4 din me pata chal chuka hoga..”???
Chintu ne ab sirf dhimi awaz me kaha jo sirf manu ke kaan me hi jaa sakti thi kyuki who is waqt manu ke gale laga hua tha…”Nisha ko abhi kuch pata nahi hai …or agar tu chahta hai ki who bhi tujhse Nafrat kare tujhe choad de toh teri yeh ichaa bhi puri kar dunga …varna chupchap Nisha ke samne normal behave karna varna tu samjh hi gya ho ga ki kya kar sakta hun main..”
Manu kya bolta chup chap sir hilkar baat maanne ki pusti (confirmation) ki kyuki is samay uska dil sirf Nisha jo ki sirf uski ek louti dost thi use nahi khone dena chahta tha ..so abhi who chintu ki baat maanne ko majbur feel kar raha tha..
Chintu “are angel ne aaj khana nahi kahaya aaj main khud tumhe aapne hathon se khilaunga or akela main hi kyu manu bhi hain aaj who bhi tumhe apne hath se khileyega ..kyu manu khilayega na tu ”
Manu kisi or dunia chala gya tha soch raha tha ki yeh kaisi dunia hai jahaan samne se dost kehraha per mujhe nicha dikhne me laga hua hai…dil me rati bhar ki dosti nahi hai per muh se dosti ka gyaan de raha hai..nisha ki baat nahi hoti toh iske hone na hone se meri sehhat per kuch na asar padta ..per kya hai iske dimaag me samjh kyu nahi aa raha kisi baat ki nafrat karta hain yeh mujhse …koi baat nahi Nisha ko abhi insab se dur rakhta hun baad main sochunga chintu ka kya karna hai,….
Jab chintu ne awaz lagai toh need se jaga ..or bola “haan kaisi baat karta hai tu Nisha har roz hume khilati hai aaj main khud Nisha ko apne hath se khilunga…”
Nisha ko bhala ab kya problem hoti uska pyaar khud use apne hath se khilane wala hai …manu chupchap Nisha ko apne hath se khilata jisme Nisha pur mann se kha rahi thi bich bich ,me chintu bhi Nisha ko apne hath se khiladeta ..jisper Nisha chupchap mann marker kha leti thi uske liye is samay manu ka pyaar jada ahemiyat rakhta tha naki chintu ki bakwas ..chintu bhi khila raha tha ..ki achanak usne aankh maari Nisha ko or style se bola”meri angel sabe sweet hai “
Jisper Nisha ko bahut gussa aaya or boli “chintu apni limit me raho main tumhari koi angel wangel nahi hun ..aage se yeh sab bolne ki zarorat nahi..baat karni hai karo nahi karni toh or acha ..per apni limit samjh lo varna maine apni limit cross ki toh redcross ki zarorat pad sakti hai”
Chintu besharmo ki tarah haskar “sorry yaar tumko dekhta hunt oh galti ho jaati hai aage se dhyaan rakhunga..”
Chintu or manu ka Nisha ko khana khilana ho gya jahaan aaj Nisha Khushi ke maare dusri dunia tak ghum rahi thi wahin manu hairaan or bechain sa tha ki chintu Nisha ke samne yeh sab kyu kar raha hai or Nisha ke piche chintu usse baat tak nahi karta ..
Manu apni soch me gum tha Nisha tiffin laker jaane lagi per manu or chintu wahin ruke hue the..chintu ne manu se kaha ..apne chote se dimaag me gussa le ki tu Nisha ko insab ke bich me laana chahta hai ya nahi …or haan us pushpi ko agar tu behan manta hai toh bhule se bhi use insab ke baare me mat batana verna teri dunia itni akeli kar dunga kit u soch bhi nahi sakta ..”
Manu ne jab pushpi ka naam suna toh uske dimaag ka fuse hi dhila hogaya ki chintu ko kaise pata hai ki pushpi ko who apni behan manta hai or agar pata hai…toh usne pehle kyu nahi bola …kahin pushpi khud bhi toh isme shaamil nahi …nahi pushpi didi aisi nahi hain…toh chintu aisa lagta tha …ho sakta hai pushpi ke baare me pata laga liya ho chintu ne yaar ghar toh roz hi aati hain mere per use yeh kaise pata laga ki main unko apni behan manta hun …or agar ise pehle se pata tha toh kabhi bola kyu nahi…kahin didi or chintu ka mila jula ko plan toh nahi …nahi didi aisi nahi hain who toh bina kisi matlab ke hum dono bhaiyon ko pada rahi hai ..bina ek paise liye ..woh aisi nahi ho sakti…
Manu ke dimaag me chintu ke phode gaye boom ka zabardast asar hua tha …manu har tarah se samjhne ki koshish kar raha tha ki chintu ko pata kaise chala..koi bhi uska chahra dekhta toh samjh jata ki manu ka dimaag kitna tezi se chal raha tha…
Jisper chintu ne hanskar kaha ….tere chote dimaag me abhi itna dum nahi hai kit u chintu ko samjh paaye..
“Har sawal ka rakhta hun jawab …hai mere pass har taale ki chaabi…
Naam hai chintu mera…yehi hai zalim is dunia me meri kharaabi …”
Tu jada na soch tere bas ka nahi hai bas chupchap baat manta ja varna tujhe pata hai …sari dunia ek taraf or tu akela ek taraf.chal wapas chal or aise react kar jaise kuch suna hi na ho”
Manu ander tak hil gaya tha chintu ki baton se per abhi haalat samjhna chahta tha…chintu chala gya manu ko akela choad kar manu ko uske sawalo ke sath tanhaa ..manu ne bahut koshish ki per ghanta kuch samjh nahi aa raha tha..
Khair iske baad manu class me gya or sabse piche beth gya jahaan tin dost apni apni dunia me khoye the jahaan Nisha manu ko apne period ki problem batakar or uski caring dekhkar or uske hathon khana khakar apni Khushi me mast thi…
Wahin chintu is baat se khush tha ki aaj usne Nisha ki tarf ek kadam or bada diya tha ..khud apne hath se khila kar per Nisha ne jab use sunaya toh use ache se pata tha ki kahin na kahin hoga hi kyuki Nisha toh manu per marti thi or chintu Nisha per …per dono ke bich ki kadi tha manu …
Jo is samay chintu ke phode gaye boom per sochne me bussy tha ..kyuki uske dimaag me ab pushpi ko laker bhi khayal aane lage the ..ki kya pata aage pushpi bhi chintu ki sathi nikali toh kya hoga.
per uska dil use pushpi per shaq karne per dhikaar bhi deta tha .” .ki aajtak pushpi ne badle me manu se kuch nahi manga toh aaisa shaq kyu …???”
dimaag ” abe mangti toh tab jab jarorat hoti …who toh plan ke sath aayi hai teri life tumjhe barbaad karne…
dil “yaar didi aisi nahi hai”
dimaag “toh chintu pehle aisa tha…meri baat maan visvaash utna kar jitna thik ho verna rehana humsha chintu jaise logo ke sang ghira hua…
manu ke dil or dimaag ka haal yahi tha …
per uska yun pushpi per shaq karna thik tha ya nahi pushpi jo kaltak uski sabse achi behan thi chintu ne usko bhi shaq ke ghere me laakr khada kar diya tha..or kya pushpi ne kabhi kuch aisa kiya tha ki manu usper is tarah shaq kare..ya yeh bhi koi game tha chintu ka jo woh manu ke sath khel raha tha uske dimaag ke bhitar ...
khair din ka anth hua per yeh din apne piche choad gya bahut saare sawaal jinka jawab abhi manu ke pass nahi tha..per aanewala kal uske bahut saare sawalon ke jawab lane wala tha..or jawab kya hain yeh toh aanewala waqt hi bata sakta hai…![]()