• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller RAAZ..... (Completed)

ashish_1982_in

Well-Known Member
5,573
18,878
188
"So Mr. Rajinder Rana ......?"
"Yes, you are right. My son can not speak, his left arm is useless and he has a limp"
"I didnt know that"
"Not many people do" Mrs Rana ne coffee ka cup apne honthon se lagate hue kaha "Can you believe it? One of the richest people in this country is a handicap. All this money couldnt get him a healthy body. Hamne bahut koshish ki, kaafi jagah ilaaj karaya par nateeja nahi nikla. Na toh hamara paisa hamein apne bete ki aawaz vaapis dila saka aur na hi uske shareer ki koi aur kami door kar paya"
Mujhe samajh nahi aaya kee is baat ka kya jawab doon isliye khamoshi se coffee pita raha. Rajinder Rana ka naam aksar magazines aur newspapers mein chhapta rehta tha aur ek journalist hone ke naate main uske naam se bakhubi vaakif tha par ye baat ke vo ek apaahij tha mujhe bhi nahi maalum thi. Main kya shayad hi koi hoga jise ye baat pata hogi, sivaay Rana Pariwar aur unke kareebi doston ke.
"Khair" Mrs. Rana ne coffee ka cup neeche rakhte hue baat jaari rakhi "Toh hamein judwa bete hue aur hamare pariwar mein khushiyon ka koi thikana nahi raha. Khushi is baat ki ke is baar hamari kokh se 2 jeete jaagte bachche paida hue par usse kahin zyada khushi is baat ki ek hamara ek beta poori tarah se healthy tha, unlike the other kids that i gave birth to"
"Mr. Ravinder Rana?"
"Yeah, or Ravi as i and everyone else used to call him. Zindagi ek baar phir behtar ho gayi. Hamare bachche bade hone lage aur hamein laga ke hamare dukh ke din beet gaye, hamare hisse ka shraap ab hamare sar se hat gaya par ham galat the. Bhagwan ne abhi hamein aur bhi saza deni thi"
Kehte hue unhone ek lambi si saans li. Main chup chap betha unki baat sun raha tha aur apni diary mein notes banata ja raha tha.
"Baat 1991 ki hai. Ek din ham sokar uthe toh breakfast table par hamein Ravi nahi mila, aur phir vo lunch ke liye bhi nahi tha aur dinner bhi hamne uske bina hi kiya. Vo din aur aaj ka din, hamne khana apne doosre bete ke bina hi khaya hai"
"You mean 13th July 1991?"
"13th July?"
"Haan vo us photograph par date 13th July ki thi jo aapne mujhe pehle dikhayi thi aur aapne kaha tha ke us photo ke baad se hi aapke bete lapata hain"
"Oh yeah, that photograph was taken on 13th July but my son went missing on 15th. Hamne aakhri baar use 14th July ko dekha tha aur uske baad phir kabhi nahi"
"Dhoondhne ki koshish?"
"Bahut ki thi. Har vo jagah jahan vo ja sakta tha hamne pata karaya par kahin se koi suraag nahi mila. Police case hua par unhein bhi koi suraag haasil nahi hua. Hamare pati ne aapse pehle bhi kayi baar apne khud ke aadmi use dhoondhne ke kaam mein lagaye par koi hamein vaapis aakar ye nahi bata saka ke hamara doosra beta kahan hain, zinda bhi hai ya nahi"
"Do you have a reason that he would walk away from his family like this?"
"Reason agar talash karenge toh 1000 mil jaayege. Har ghar mein problems hoti hai, koi na koi aisi baat hoti hai jo ghar ke kisi member ko ganwara nahi hoti. He was 21 years old back then, jawan khoon tha. Agar ham vajah dhoondhne bethen toh 1000 mil sakti hai ke kis baat par vo bhadak kar ghar se chala gaya. Par ham un 1000 vajahon mein interested nahi hain. Hamein us ek vajah ki talash hai jiski vajah se vo ye hazron karodon ki property aur jaaydad chhodkar chalta bana aur phir laut kar nahi aaya"
"Aur kya vo ek vajah aapko mili?"
"Aisi vajah sirf aur sirf ek hi ho sakti hai, maut. Koi itna bada bevakoof nahi hota ke aaram aur aish ki aisi zindagi chhod kar chala jaaye. Agar ham ye maan bhi lein ke vo jawani ke josh mein us waqt chala gaya tha toh ab tak use vaapis aa jana chahiye tha. He must be 43 by now, long time to realise all the good things he missed by walking out. Ham ye nahi maan sakte ke apni zindagi ke pehle 21 saal beshumar daulat mein guzarne ke baad vo apni baaki ki zindagi kahin apni mehnat ki kamai par guzaar raha hai, specially when his academic qualifications are not even 12 years of school"
"He didnt go to school?"
"He did but could not continue. Was never a bright student and hated the books. He was a spoilt one, kahin hamare be-intehaan laad pyaar ne use bigaad diya tha, aish-o-aaram ki aadat pad gayi thi use. Isliye toh keh rahe hain ke is daulat se door sirf use ek hi cheez kar sakti thi, uski maut"
"So you mean someone killed him? Or you think he walked out in anger and died later on?"
"I dont know what to think and that is why i called you, to find out"
"Yes, you are right. I am sorry. I was just asking for your opinion"
"My opinion is that he never left this place"
"Never left?" Maine apni diary se nazar utha kar unki taraf dekha "Ji main samjha nahi"
"Jis din vo lapata hua, uski car bahar garage mein hi khadi thi aur hamari baaki sab gaadiyan bhi. Na toh vo apni koi gaadi lekar gaya aur na hi kisi ne use bus mein chadhte dekha aur yahan se bahar jaane ke us waqt yahi 2 raaste the"
"Aapki koi gaadi missing nahi thi?"
"Nahi"
"Aur na hi aapke bete ne yahan se koi Bus li?"
"Nahi"
"Vo paidal bhi toh nikal sakta tha, zaroori nahi ke bus yahin se li ho. Aur yahan toh vaise bhi maine dekha hai ke private jeeps vagerah chalate hain log, as a mode of transport. Ho sakta hai ke usne kisi se lift li ho aur Bus kisi aur jagah se pakdi ho"
"Ho sakta hai par mujhe lagta nahi ke aisa hua hoga" Mrs. Rana ne kaha.
Isse pehle ke main ye puchhta ke unhein aisa kyun lagta hai, vo apni chair se uth khadi hui.
"Come, let me show you around"
Main bhi bina koi aur sawal kiye unke saath uth khada hua.
"Inse toh aap mil hi chuke hain, Liyaqat Ali. Hamare ghar ke ek bahut hi zaroori sadasya" Unhone darwaze ke paas khade Liyaqat ki taraf ishara kiya.
Jis tarah se ab tak unhone pura kissa mujhe Liyaqat ke saamne hi suna diya tha, usse maine andaza toh laga liya tha ke vo Rana khandan ke saath kaafi waqt se hai aur ghar ke har raaz janta hai, ya phir zyadatar. Par jab Mrs. Rana ne use apne ghar ka sabse purana naukar na kehne ke bajay ek bahut hi zaroori sadasya bataya tab mujhe andaza hua ke vo us ghar ke saath kis qadar juda hua tha.
"Liyaqat bachpan se hi is ghar ke sadasya rahe hain. Inke pita hamare sasur ki gaadi chalaya karte the aur ab ye hamara pura ghar hi chalate hain" Mrs. Rana ne haste hue kaha.
Liyaqat koi 50 ke kareeb ka ek hatta katta pathan tha. Kad koi 6 ft, chaudi kad kaathi, kasrati jism aur raubdaar chehra. Chehre par behad safai ke saath rakhi gayi daadhi par moonchh ka ek baal nahi jisse maine ye andaza lagaya ke vo ek poori tarah se apne mazhab ka palan karne wala musselman tha.
"Khushi hui aapse milkar" Kehte hue usne jab mera haath milaya toh yun laga jaise mujhe kisi jurm ki saza de raha ho. Agar kamre mein thodi aur khamoshi hoti toh shayad mujhe uske chaude haath mein chatakti apne haath ki haddiyan sunai pad jaati. Kaha toh usne ye tha ke mujhse milkar use khushi hui par shakal se aisa bilkul bhi lag nahi raha tha.
"Mujhe bhi" Kehkar maine apna haath fauran pichhe khincha aur uske haath ki giraft se chhudaya, isse pehle ke uski zabardast pakad mein meri ek aadhi anguli toot jaati.
"Is ghar mein ham 3 log rehte hain" Ham kamre se bahar aaye toh Mrs. Rana ne kehna shuru kiya "Main, Liyaqat aur mera beta Raj"
"Mr. Rajinder Rana?" Maine confirm karne ke liye puchha.
"Yes. Raj is his nick name and i have always called him that. Rajinder was a name given to him by my husband and even though i never liked it, i still had to go with it. So i found a way to like it a little for my own convenience"
"By shortning it to Raj" Maine muskura kar kaha.
"Right" Unhone jawab mein apni gardan hilayi "Jaisa ke main keh rahi thi, yahan is ghar mein main, Liyaqat aur Raj rehte hain. Aur bhi kayi naukar hai par koi bhi aisa nahi jo kaafi waqt se hamare saath ho. Usually naukar din mein aate hain aur raat hone tak apne apne ghar chale jaate hain. Sab yahin aas paas gaon ke log hain"
"So its just the 3 of you in this big house then?"
"Well until last year it was 4 but after my husband passed, its just now the 3 of us"
"Agar aap bura na maanein toh ek baat kahun?"
"Kahiye"
"I am a little surprised that Mr. Rana lives here"
"I know" Mrs. Rana ne muskurate hue meri taraf dekha. Ab tak ham log unke ghar se bahar nikal kar khule lawn mein aa chuke the. Sooraj doobne laga tha aur aas paas pahadon par laal rang ki roshni bikher raha tha "Being such a rich man you would of course expect him to be living in a modern society, joining clubs, drinking with equally rich friends, flerting around with women, hai na?"
"Well, yes kind of"
"He is of a very shy nature and i think his physical condition has contributed most to that nature of his. Use bachpan se hi apni kami ka ehsaas tha isliye zyadatar apne aap mein rehta tha, chup chup, sharmila sa aur ab bhi vo aisa hi hai. Aur doosra hamare koi business toh hai nahi. Hamari jo bhi income hain sab land lease, interest, dividends se hai isliye use kahin aur jaane ke zaroorat padti bhi nahi"
"And he never married?"
"No, who would want to marry a man whose half body doesnt work?"
"Well considering the amount of wealth he has, i am sure he can have any woman"
"Yes i am sure he can but uske jaise sharmile aadmi ko jise apni kami ka itna zyada ehsaas ho aisi biwi chahiye jo usse pyaar kare, uski daulat se nahi. Jo is ghar mein isliye aaye ke uska khyaal rakh sake, na ke uski daulat se apna khyaal rakhe. Aur aisi ladki milni zara mushkil hai"
"Yeah i guess you are right"
"He was never close to anybody you know, except his brother"
"Mr. Ravinder Rana?"
"Yeah, Ravi. Dono judwa the aur aapas mein dono bhaiyon mein kaafi lagaav tha. Zyadatar waqt aapas mein hi bitaya karte the aur phir Ravi ke yun achanak gayab ho jaane ke baad Raj jaise apne aap mein hi simat gaya"
"When was the last time you met Ravi?"
"The night he disappeared. Us din mere pati aur uske beech kisi baat ko lekar bahut kaha suni hui thi"
"You mean on the 15th?"
"Haan"
"Kis baat par?"
"Honestly i dont know. Main us din kahin bahar gayi hui thi. Jab ghar lauti toh un dono ke chillane ki aawaz bahar tak aa rahi thi. Pata nahi kis baat ko lekar dono baap bete jhagda kar rahe the. Raj bhi tab mere saath hi tha. Main fauran gaadi se utar kar andar aayi par mujhe dekhte hi dono khamosh ho gaye aur Ravi paon patakta ghar se bahar nikal gaya. Raj bhi fauran uske pichhe pichhe gaya. Unke jaane ke baad maine apne pati se jaanna chaha ke kis baat par jhagda ho raha tha par unhone mere lakh puchhne par bhi koi jawab nahi diya"
"Ok, phir?"
"July ka mahina tha aur un dino lagatar baarish ho rahi thi. Mausam us din bhi kharab tha. Ravi ke jaane ke kuchh der baad hi baarish shuru ho gayi. Ye shaam 5 baje ke kareeb ki baat hai. Vo 3 ghante tak jaane kahan gayab raha aur phir raat 8 baje ke kareeb lauta"
"Ok"
"Vo sidha mere kamre mein aaya, ghabraya sa, baarish mein poori tarah bheega hua, jaise kuchh kehna chahta ho mujhse aur shayad keh bhi deta agar usi waqt mere pati bathroom se bahar na aate. Vo darwaze par khada kuchh pal tak mujhe dekhta raha. Maine kuchh kehna chah hi rahi thi ke phir hamare kamre mein bane bathroom se mere pati bahar aa gaye aur vo unhein dekh kar vo vaapis palat gaya"
"And that was the last time you saw him?"
"Yes. 9 baje ke aas paas main uske kamre par gayi, use khane ke liye bulane par vo kamre mein nahi tha. Us raat khane ki table par sirf main, mere pati aur Raj the aur uske baad phir bas ham 3 hi rahe. Us raat ko gaya vo kabhi laut kar nahi aaya"
Kis baat par jhagda hua tha us raat?"
"Nahi jaanti"
"Uske baad toh aapke pati se kabhi aapki baat hui hogi? I am sure jab plice case hua tha toh un logon ne bhi unse yahi sawal kiya hoga"
"Police ko unhone kya bataya main nahi jaanti par mujhe jo jawab diya uspar main kabhi yakeen nahi kar saki"
"Kya jawab diya tha aapko?"
"Ke Ravi batwara chahta tha. Vo chahta tha ke uske hisse ki jaaydad use de di jaaye aur us jaaydad se hone wali aamdani uski apni ho"
"Aisa chahne ki koi khaas vajah?"
Fantastic update bhai
 

ashish_1982_in

Well-Known Member
5,573
18,878
188
"Koi vajah nahi thi aur na hi usse pehle kabhi hamein uski baaton se aisa laga ke vo aisa chahta tha. Tab uski umar 24 saal ki thi aur apne pita ka vo bahut haath batata tha. Paisa uske haath mein khula tha jiska kabhi usse koi hisaab nahi manga jata tha. Uske paas aisi koi vajah nahi thi ke vo fauran batware ki demand karta"
"Ye baat aapne apne pati se puchhi?"
"Haan"
"Kya kahan unhone?"
"Yahi ke unhein bhi kuchh samajh nahi aaya ke Ravi aisa kyun chahta tha aur isi baat ko lekar un dono mein us din jhagda ho raha tha"
"Par aap nahi maanti ke us din ke jhagde ki vajah vaakai batwara hi tha?"
"Mujhe nahi pata ke main kya sach maanu aur kya jhooth. Main sirf ye jaanti hoon ke maine apna ek beta kho diya tha aur ab filhal ye jaanna chahti hoon ke kya hua tha uske saath aur vajah kya thi"
"Hmmm" Main sirf itna hi keh saka.
Ham dono ghar ke bahar bane garden mein khade the. Shaam dhal chuki thi aur aasman mein halki bachi roshni bahut tezi ke saath andhere mein badal rahi thi. Door pahadon par rehne wale logon ke ghar mein lights on ho gayi thi.
"Vo vahan us pahad par kaali mata ka ek mandir hai" Kehte hue Mrs. Rana ne ek pahad ki choti par bane mandir ki taraf ishara kiya.
"Yeah i know. Us din Sunday ko jab aapse milne aaya tha toh shaam ko tehelte hue us taraf nikal gaya tha. Khoobsurat jagah hai" Maine jawab diya.
Tabhi mandir se ghaniyan bajne ki aawaz aani shuru ho gayi.
"Aarti shuru ho gayi hai" Mrs. Rana ne mandir ki aur dekhte hue kaha.
"Yeah it was actually a bit surprising for me. Us din jab main vahan gaya toh aaarti ke waqt mandir mein koi bhi nahi tha, sivaay pujari aur aarti karne walo ke. Logon ke naam par sirf main tha, baaki poora mandir khaali tha"
"Ye mandir hamare pati ne banvyaa tha kaafi pehle. Ek samay tha jab yahan har shaam aarti ke waqt logon ki bheed hoti thi, phir dheere dheere log kam hote chale gaye. Par mere pati ne kabhi vahan jana nahi chhoda. Har shaam aarti mein shaamil hone jaate the par ab toh sirf mandir hai aur pujari hai, isliye aarti hoti hai" Gehri saans lete hue unhone meri baat ka jawab diya.
"None the less, it is a beautiful temple"
"I know. Vo vahan neeche valley mein Solan hai, another small town" Kehte hue unhone valley mein jal rahi bahut saari lights ki taraf ishara kiya.
"And which way is Chail?"
"Chail yahan pahad ke doosri taraf hai, around 10 kms from here"
"Chail, Solan in sab jagahon ke baare mein suna hi suna tha, aaya pehli baar hoon yahan. Shimla bhi nazdeek hi hai na yahan se?"
"Haan takreeban 50-60 kilometres ke aas paas hoga"
"Ek baat puchhna chahta tha. Us din jab main yahan aaya toh i met a woman. I think she said her name was Sakshi"
"Haan Sakshi, mere bhai ki beti hai"
"Vo yahin rehti hai aapke saath?"
"Nahi hamare saath toh nahi par yahin paas mein rehti hai. Vo aur mera chhota Bhai, Pratap Rana, dono"
"Aapke Bhai bhi Rana hain?"
"Haan" Vo meri baat sunkar has padi "Mera last name hamesha same hi raha. Shaadi se pehle bhi mera naam Bela Rana tha aur shaadi ke baad bhi. I was born in a Rana family and married into another"
"Your niece, Sakshi. She said she knew who i was"
"Haan as a matter of fact she was the one who suggested your name. Usi ke kehne par hamne aapke baare mein pata lagvaya aur phir aapko bulva bheja"
"Agar aap bura na maanein toh kya main jaan sakta hoon ke mere baare mein aapne itna sab pata kaise karaya?"
"Nahi bura maanne ki kya baat hai. Hamne apne lawyer Mr. Mehta ko contact kiya, vo delhi mein hi rehte hain, kaafi bade vakeel hain"
"And it was Mr. Mehta vo found out everything about me?"
"Right"
"I havent seen you son yet, Mr. Rajinder Rana"
"Raj actually london gaya hua hai. His left leg had been troubling him a little bit for last few years, aksar dard ki shikayat rehti hai khaas taur se tab jab mausam thanda ho isliye Doctors se consult karne ke liye har 3-4 mahine mein ek baar use jana padta hai. He should be back tomorrow"
Mrs. Rana se baat karne ke baad main guest house mein aa gaya. Ye guest house agle aane wale kuchh din ke liye mera ghar hone wala tha. Saman ab bhi unpacked tha aur mera is waqt unpacking karne ke koi mood nahi tha. Khane main aate hue Liyaqat ko bol aaya tha ke guest house mein hi bhijva de.
Is baar mein kitchen mein pahuncha toh refrigator mein doodh maujood tha. Apne liye ek cup chaai bana kar main vaapis living room mein aakar beth gaya aur apni diary khol kar dekhi.
Is waqt main kuchh khaas nahi janta tha sivaay iske ke,
1. Mrs. Rana ke 2 bete the. Rajinder Rana aur Ravinder Rana.
2. Rajinder Rana bachpan se physically challenged yaani apaahij hai.
3. Apne baap se hue jhagde ke baad 20 saal pehle Ravinder Rana lapata ho gaya tha.
4. Jhagda shayad property ko lekar hua tha jispar ke Mrs. Rana ko poori tarah yakeen nahi.
5. Rajinder Rana har 3-4 mahine mein London jata hai Dr. ko dikhane.
6. Paas mein hi Mrs. Rana ka bhai Pratap Rana aur uski beti Sakshi Rana rehte hain.
Yaani ke is waqt main takreeban na ke barabar janta tha par phir abhi toh sirf shurat hi thi.
Apni diary band karke main chaai ka sip lete hue apne cell phone par nazar daali. Ek message aaya hua tha. Inbox open kiya toh message Kamini ka tha aur vo usne us shaam phone par mujhse baat karne ke thodi der baad hi bheja tha.
"You will have to move on with your life you know. Renuka is dead and nothing you can do to bring her back. She is in a better place now and she would also want you to move on with your life, be happy"
Message padhkar maine apni aankhen band ki aur sofe par tek laga kar sochne laga. Would i really want to bring Renuka back in my life, if i could? If given a choice and if i could travel back in time, would i really marry her again? Kya galti ho gayi thi mujhse? Where did i go wrong in my marriage?
Did my wife really wanted me to be happy? Did she ever even care?
Very nice update bhai
 

ashish_1982_in

Well-Known Member
5,573
18,878
188
Chapter 4 - Liyaqat Ali Khan

Mujhe poora andesha tha is baat ka ke ye kaam thoda mushkil saabit hone wala tha.
Pehli mulaqat mein hi main samajh gaya tha ke Liyaqat ko main pasand nahi aaya. Yun toh na usne mujhse kuchh kaha tha aur na hi aisi koi baat hui thi jisse mujhe aisa lage par na jaane kyun jab bhi meri nazar usse takrati thi, uski aankhon mein mujhe apne liye ek ajeeb se napasandgi nazar aati thi. Kehne ko toh Mrs. Rana ka wafadar tha, ek aisa insaan jispar unhein poori tarah bharosa tha aur main yahan Mrs. Rana ke kehne par hi maujood tha par Liyaqat se mujhe kitni information milti hai ye kehna zara mushkil tha. Usne apni poori zindagi is ghar mein guzari thi aur jis tarah se Mrs. Rana uspar bharosa karti thi usse ye bhi saaf zahir tha ke use ghar ki zyadatar baatein pata hongi par un baaton mein se vo mujhe kitni batayega, ye sawal 10 crore ka tha. Aur usse bhi bada sawal ye tha ke jo baatein vo mujhe batayega unmein se sach kitni hongi.
"Aap jaante hain main yahan kyun hoon?" Main apna notepad kholte hue kaha. Liyaqat mere saamne guest house ke living room mein betha hua tha.
Mere sawal par usne sirf haan mein sar hilaya.
"Good" Maine muskura kar kaha "Ab jaisa ke aap is ghar mein Mrs. Rana ke baad doosre aap hi hain jo 20 saal pehle bhi yahan the toh maine socha ke aapse kuchh baat kar loon. Aapko is baat par koi aitraaz?"
Usne inkaar mein sar hilaya.
"Ok. Main sawal karun isse behtar shayad ye hoga ke aap hi mujhe batayen"
"Kya bataoon?" Vo bina chehre pe koi bhaav laaye bola.
"Kuchh bhi. Koi bhi aisi baat jisse aapko lagta ho ke mujhe Ravi ka pata lagane mein koi madad mil sakti ho"
"Main aisa kuchh nahi janta. Jitna mujhe maalum hai utna aapko Madam kal bata chuki hain"
"Toh aapki jankari bhi utni hi hai jitna ke Mrs. Rana ne mujhe bataya?"
Usne haan mein sar hilaya.
"All right" Main samajh gaya tha ke ye khud kuchh nahi batayega, mujhe hi sawal karne padenge "Jis shaam Mr. Ravi Rana latapa hue tab aap kahan the?"
"Ghar mein hi"
"Ghar mein kahan?"
"Kahan se matlab"
"Kahan se matlab ye ke ghar mein kahan the? Kitchen mein, living room mein, bahar gate par?"
"20 saal pehle ki baat kar rahe hain aap"
"Haan toh?"
"Toh 20 saal pehle ek din main ghar ke kis kone mein tha ye kaise yaad hoga mujhe?"
"Aise yaad hoga ke vo din ek aisa din tha jo is ghar pichhle 20 saal se roz yaad kiya ja raha hai"
"Kitchen mein tha"
"Kitne baje se kitne baje tak?"
"Yaad nahi"
"Ok this isnt working. Lets do it the other way. Mere puchhne se behtar shayad yahi hai ke aap ye kahani apne munh se sunayen. Us poore din ke baare mein bataiye, subah se raat tak. Aap kitne baje kahan the, kya kar rahe the, kya dekha, kya suna sab kuchh. Aur ye mat kehna ke aapko yaad nahi varna mujhe Mrs. Rana se baat karni padegi ke aap co-operate nahi kar rahe"
Meri dhamki kaam kar gayi. Uske chehre ki sakhti thodi kam hoti nazar aayi, jaise dil hi dil mein usne hathyaar daal diye hon.
"Poore din ka toh asal mein yaad nahi" Usne batana shuru kiya "Dopahar ke waqt main Madam ke saath Solan gaya tha, unhein kuchh saman kharidna tha, Raj sahab hamare saath hi the. Shaam ke waqt ham laute. Main gaadi park karke Madam ke saath andar aaya toh bade sahab ke kamre se jhagadne ki aawazen aa rahi thi, kisi baat par bade sahab aur Ravi Sahab ke beech kaha suni ho rahi thi"
"Kis baat par?"
"Ye toh main nahi janta"
"Jab tum andar aaye honge toh kuchh sunai toh diya hoga ke vo kya keh rahe hain"
"Haan zyada nahi, thoda bahut"
"Kya keh rahe the?"
"Ravi Sahab keh rahe the ke ye unki apni zindagi hai, vo jaise chahe guzarenge aur ye ke bade sahab hamesha unhein baandh kar nahi rakh sakte. Uspe bade sahab keh rahe the ke vo khandan ka naam aise kharab nahi hone denge. Us waqt toh itna hi sunai pada magar phir baad mein pata chala ke Ravi Sahab batware ki baat kar rahe the aur bade sahab is baat ke liye mana kar rahe the"
"Ye kaise pata chala aapko?"
"Baad mein kaafi baat hui is baare mein ghar par, Mem-sahab aur sahab ke beech, toh suna maine. Aur phir ek do din baad bade sahab ne mujhe khud bhi bataya tha"
"Ke Mr. Ravi Rana batwara chahte the?"
"Haan"
"Unhone khud bataya, ya aapne puchha tha?"
"Main naukar hoon is ghar mein, main aisa sawal kyun karuga? Unhone khud hi bataya tha"
"Mr. Rana aksar aapse is tarah ghar ki baatein share kiya karte the?"
"Nahi par kabhi kabhi bataya karte the. Vaise toh zyadatar baatein ghar ki mere saamne hi ho jaya karti thi, sabko bharosa hai mujhpar"
"Haan vo toh saaf zahir hai. Khair, toh aap log vaapis, Mr. Rana aur Ravi ke beech kaha suni ho rahi thi. Phir kya hua?
"Jab un dono ne dekha ke ham vaapis aa gaye hain toh vo dono chup ho gaye. Madam andar gayin puchhne ke liye ke kis baat pe kaha suni ho rahi thi par Ravi sahab bina koi jawab diye ghar se bahar nikal gaye aur Raj Sahab unke pichhe pichhe gaye" Liyaqat ne batana jaari rakha.
"Ok, phir?"
"Phir main kitchen ki taraf chala gaya raat ke khane ka intezaam karne. Bade Sahab or Mem-Sahab unke kamre mein hi rahe, shayad baat kar rahe the jhagde ke baare mein. Uske thodi der baad hi zabardast baarish shuru ho gayi, pahad par chaaro taraf badal utar aaye. Phir raat ko takreeban 8 baje ke aas paas maine Ravi Sahab ko bade sahab ke kamre ki taraf se aate dekha aur vo sidhiyan chadhkar uper apne kamre ki taraf chale gaye"
"Koi baat hui thi unse tumhari?
"Nahi, unhone sirf meri taraf dekha aur uper ki taraf chale gaye. Baarish mein poori tarah bheege hue the"
"Ok"
"Phir main dobara kitchen mein chala gaya dekhne ke liye ke khana taiyyar hua ya nahi. Ghar mein raat ko 9 bajde dinner serve kar diya jaata hai. Naukar sab kaam par lage hue the. Vahan kuchh waqt guzarne ke baad main phir apne kamre ki taraf chala gaya"
"Aapka kamra, aap yahin rehte hain?"
"Ji haan, main hamesha se yahin raha hoon. Ghar ke saare intezaam main hi dekhta hoon"
"Kis jagah hai aapka kamra?"
"Bungalow ke pichhe ki taraf"
"Phir?"
"Vahan se maine apni chhatri uthayi aur bahar gate ki taraf gaya, check karne ke liye ke sab theek thaak hai. Ye mera roz ka mamool tha, raat ko sabke aa jaane ke baad gate par andar ki taraf se lock laga kar aaya karta tha"
"Gate par koi chaukidaar nahi rehta tha?"
"Rehta tha par ye kaam raat ko hamesha main hi anjaam deta tha"
"Gate ki chaabi?"
"Mere paas hi rehti thi"
"Aur agar der raat ko koi aa jaaye toh?"
"Toh chaukidaar aakar mujhe jagata tha aur gate jakar main hi kholta tha"
"Aisa karne ki koi khaas vajah?"
"Security ke liye"
"Ok. Toh aap gate lock karne gaye, phir?"
"Gate par main gaya toh vahan bethe chaukidaar ne mujhe bataya ke Raj Sahab ab tak vaapis nahi aaye hain. Main vahan KHADA hi tha ke mere pichhe pichhe Ravi Sahab bhi aa gaye aur gate khol kar bahar nikal gaye"
"Tumne puchha ke itni raat kahan ja rahe hain?"
"Main naukar aadmi hoon Sahab, main bhala aisa sawal kyun karunga"
"Haath mein kuchh tha unke?"
"Ji haan, ek bag"
"Bag?"
"Haan. pichhe kamar par taangne wala chhota bag"
"Sirf ek bag, aur kuchh?"
"Nahi"
"Phir?"
"Maine chaabi chaukidaar ko de di ke jaise hi Sahab vaapis aayen toh gate lock karke chaabi mujhe de jaaye. Vahan se main vaapis apne kamre mein gaya, chhatri rakhi aur pichhe ke darwaze se hota vaapis kitchen aaya. Khana ban chuka tha aur 9 bhi bajne wale the isliye maine naukraon se kehkar dining table par khana lagvana shuru kiya. 9 baje Bade Sahab, Mem Sahab aur Raj Sahab khane ki table par aaye. Mem Sahab ne mujhse Ravi Sahab ke baare mein puchha toh maine bataya ke vo bahar gaye hain isliye sabse dinner unke bina hi kar liya aur apne apne kamre mein chale gaye"
"Raj? Abhi toh tum keh rahe the ke chaukidaar ne tumhein bataya tha ke Raj vaapis nai aaye the?"
"Haan par shayad naukar ne dhyaan nahi diya hoga, vaise bhi us raat chaaron taraf badal aur kohra phela hua tha."
"Aur phir us raat ke baad Ravi vaapis nahi aaye?"
"Nahi. Ye pehli baar hua tha ke ghar ka koi member bina kisi ki jaankari ke ghar se bahar tha aur ye mere liye pehli baar tha ke gate maine apne haathon se lock nahi kiya tha isliye chah kar bhi main raat bhar so nahi paya. Raat ko jakar 3-4 baar check karke aaya par chaukidaar ne har baar yahi bataya ke Ravi Sahab vaapis nahi aaye the. Agle din breakfast table par bhi sirf 3 log hi maujood the. Kise pata tha ke us din ke baad khaane ki mez par sirf 3 log hi maujood hone wale hain"
nice update bhai
 

ashish_1982_in

Well-Known Member
5,573
18,878
188
Liyaqat se baat karne ke baad mujhe aisa kuchh maalum nahi chala jo Mrs. Rana mujhe pehle hi nahi bata chuki thi. Uske vaapis jaane ke baad kuchh der tak main betha sochta raha ke investigation ki shurat karun toh kahan se.
Aam taur par jab main koi is tarah ki investigation karta toh mera ravaiyya kisi aise aadmi ki tarah hota tha jiski aankhon par patti baandh kar ek kamre mein chhod diya jaaye aur phir kaha jaaye ke chhu kar andaza lagao ke tumhare aas paas kya hai aur batao ke tum kis kamre mein ho. Par is baar main aisa nahi kar sakta tha. Yahan har kadam soch kar uthana tha aur har cheez ko bade dhyaan se chhuna tha. Iski vajah sirf aur sirf ye thi ke main ek bahut bade pariwar ke phate mein taang ada raha tha. Bhale hi aisa karne ke liye mujhe khud us pariwar ki mukhiya ne kaha ho phir bhi us phate mein ulajh kar khud girne ka darr mere dil mein tha. Yahan kuchh bhi 19 se 20 hone ka matlab tha main khatam, mera career khatam.
Thodi der sochne ke baad main intercom uthaya aur Mrs. Rana ke kamre ka number dial kiya.
"Main soch raha tha ke case ki shuruat us waqt ki police files se karun. Dekhna chahta hoon ke us waqt police ne kis aadmi se baat ki aur kisne kya bayan diya" Mrs. Rana ne doosri taraf se phone uthaya toh maine kaha.
"Jaisa aap behtar samjhen" Unhone jawab diya.
"Aisa karne ke liye mujhe aapki madad chahiye hogi. Policewale mujhe is tarah se toh kisi case ki files dekhne nahi denge"
"I will call someone and is case se related jo bhi files hongi, unki poori access aapko mil jaayegi. Police aapke saath fully co-operate karegi" Mere baat poori karne se pehle hi Mrs. Rana ne andaza lagate hue kaha.
"And how soon can you arrange that?"
"I will call right now. Give me 10 mins"
"Very well, thank you" Kehkar maine phone rakh diya.
Chail ek chhota sa kasba toh vahan police station dhoondhna mein mujhe koi khaas mushkil nahi honi thi. Main uthkar taiyyar hua aur bahar nikalne ki soch hi raha tha ke darwaze ki ghanti baji.
"Haan bolo" Maine darwaza khola toh bahar ek naukar khada tha.
"Vo Madam ne kaha ke aapko kahin jaana hai toh gaadi leke aaya hoon" Usne jawab diya.
Maine uske pichhe nazar daali toh bahar ek BMW khadi thi. Pehle toh mera plan ye tha ke main tehelta hua hi nikal jaoonga. Mausam achha tha aur aisi khoobsurat jagah par ek Tin ke dabbe mein bethne se behtar ek walk hi tha par phir jab vo Naukar gaadi le hi aaya toh maine apna irada badal diya aur apna bag utha kar gaadi mein aa betha.
Yun gaadi bhejne se jo ek baat aur zahir thi vo ye ke Mrs. Rana jisko bhi phone karne wali thi, vo phone kiya ja chuka tha aur jo intezaam main chahta tha vo ho chuka tha.
Mera andaza sahi nikla. Police station koi khaas doori par nahi tha. 15 min baad hi driver ne gaadi ek chhote se police station ke saamne lakar rok di. Gaadi se utar kar main police station mein daakhil hua jo ke mujhe aisa laga jaise shuru hote hi khatam bhi ho gaya.
Kul mila kar sirf 3 kamre the. Ek vo jismein darwaza khol kar sidha main daakhil hua tha. Ek medium size ka kamra jismein 1 deewar ke saath 1 table aur chair lagi hui thi. Darwaze ke saath wali deewar ke saath ek Bench rakhi thi. Kamre ke ek taraf cell tha jismein us waqt koi qaidi nahi tha aur cell ka darwaza bhi khula hua tha. Doosri tarah ek lakdi ka darwaza tha jo kisi aur kamre mein khula tha. Mera andaza tha ke vo pakka station incharge ka office hoga.
"Kahiye" Table ke pichhe bethe hawaldar ne kaha.
"Main station incharge se mila chahunga. Mrs. Rana ke yahan se aaya hoon aur ...."
Main apni baat keh hi raha tha ke vo lakdi ka darwaza khula aur kamre se ek sub-inspector bahar aaya.
"Aaiye Sir" Usne haath aage badhate hue kaha "Main Sub Inspector Santosh Negi. Abhi abhi commissioner sahab ka phone aaya tha ke aap aayenge par itni jaldi hi aa jaayenge ye mujhe nahi pata tha"
"I hope mere yun aa jaane se koi pareshani nahi hui" Maine uska haath milate hue kaha.
"Nahi bilkul nahi sir, aaiye" Vo mujhe apne office ki taraf aane ka ishara karte hue kaha. Main kamre mein daakhil ho gaya toh usne pichhe se hawaldar ko 2 cup chaai laane ko kaha.
"You are the in-charge here?" Main Negi ki table ke apni taraf wali chair par bethta hua bola.
"Yes Sir" Vo ghoom kar table ke doosri taraf apni chair par ja betha "Chaai chalegi na Sir?"
"Haan haan bilkul" Maine muskurate hue kaha.
Negi ki umar mushkil se 27-28 ke aas paas rahi hogi. Dikhne mein vo ek typical pahadi jaisa hi dikhta tha. Kad takreeban 5"7, gatha hua shareer, gora rang, halke laal gaal aur ghunghrale baal. Vo police-wala kam aur koi college ka ladka zyada lag raha tha. Vardi utaar de toh koi nahi keh sakta tha ke vo ek Sub-Inspector tha.
"Maine aapka naam pehle bhi suna hai Sir" Vo muskurate hue mujhse bola.
"You have?"
"Ji haan, aapke articles padhe hain maine. Kaafi mash-hoor hain aap"
Vo galat nahi keh raha tha. Main jis tarah ke articles likhta tha unmein kayi articles kaafi controversial hote the jiski vajah se mera thoda bahut naam tha. Par Chail jaise chhote kasbe mein bhi koi mujhse vaakif hoga, is baat se mujhe thodi hairat zaroor hui.
"Well thank you. Khushi hui jankar ke Delhi se itna door bhi log mujhe jaante hain"
"Mazak kar rahe hain Sir? Koi bhi aisa jo newspaper padhta hoa vo aapke kaam se zaroor parichit hoga. Maine vo recent article padha tha aapka, murder se related. Gazab ka dimag hai Sir aapka, jo nateeja poori Delhi Police milkar nahi nikal paayi vo aapen akele hi nikal diya"
"Thanks"
"Aap befikar rahe hain, yahan aapko koi bhi zaroorat ho, koi bhi help chahiye ho investigation mein aap mujhe keh sakte hain"
"Investigation?"
"Haan. Aap Ravi Sahab ke saath kya hua tha yahi Investigate kar rahe hain na?"
"Ye aapko kisne kaha?"
"Aap bhi kaisi baat kar rahe hain Sir. Mana ke aap aam taur par vo cheez pakad lete hain jo police walo ki naak ke neeche hote bhi unhein dikhai nahi deti par thoda dimag toh ham police walo mein bhi hai. Aap itne bade journalist aur achanak mujhe phone aata hai ke aap Ravi Sahab wale case ki files dekhna chahte hain, mushkil kaam nahi tha 2 aur 2 mila kar 4 tak pahunchne mein"
"Well, you guessed that right" Maine haste hue jawab diya.
"Vaise ek baat kahun Sir. aap files zaroor dekhiye par uske saath meri kaha maaniye toh Sharma Sir se bhi baat kar lijiye"
"Sharma?"
"20 saal pehle ye case ki investigation vahi kar rahe the Sir. Ab toh retired hain. Ye case unhi ke paas tha us waqt"
"Yeah i think that is a good idea" Main sochte hue bola "Aur kahan mil sakte hain mujhe Sharma Ji?"
"Yahin Solan ke rehne wale hain, ghante bhar ka rasta hai yahan se"
"Hmmm, unka koi phone number?"
"Phone number toh mere paas nahi hai Sir par unka address main de sakta hoon aapko"
"Yeah please, and meanwhile vo files?"
"Haan zaroor, main nikalva deta hoon"
Tabhi vo hawaldaar ek 9-10 saal ke ladke ke saath kamre ke andar aaya. Ladke ke haath mein ek tray par chaai ke 2 glass the jo usne hamare saamne table par rakh diye.
"Chaai ke saath kuchh khane ko nahi laaye?" Negi ne hawaldar se puchha.
"No no" Hawaldar se pehle main bol pada "Thanks really par main abhi kuchh khakar aaya hi tha, not in a modd to have anything right now. Chaai hi kaafi rahegi"
"Kuchh buiscuits vagerah?"
"Nahi, its ok"
"Achha ek kaam karo" Ladka chaai rakh kar chala gaya toh Negi hawaldar se bola "Vo Ravinder Rana sahab wale case ke jo files hain vo nikal lao"
"Vo idhar kahan hoga Sahab" Hawaldar ne jawab diya.
"Kya matlab?"
"Vo toh Sahab Headquarters mein bhijva diya tha"
"Kyun?"
"Itne purane case ke files idhar rakhte nahi hain Sahab. Yahan toh aapko 1-2 saal purane case ke files bhi nahi milenge. Case khatam hote hi yahan se sab kuchh headquarters bhijva diya jata hai, vahin pe sab purane records rakhe jaate hain"
"Theek hai, tum jao"
Hawaldar ke jaane ke baad Negi ne chaai ka glass uthaya aur khisiyani si shakal bana kar meri taraf dekhne laga.
"Maaf kijiyega mujhe pata nahi tha" Usne maafi maangne wale andaaz mein kaha.
"Nahi ko baat nahi, its totally understood"
"Asal mein main abhi kuchh din pehle hi yahan aaya hoon"
"Aap yahan ke nahi hain?"
"Nahi main asal mein Sarahan ka rehne wala hoon"
"Sarahan? Haan shayad naam suna hai maine"
"Yahan se 200 kms door ek aur chhota sa kasba hai. Main vahin ka rehne wala hoon aur meri pehli posting bhi vahin ki thi. Abhi koi mahina bhar pehle hi yahan Chail mein transfer kiya gaya hoon"
"Oh, toh phir toh aapko khud bhi is case se related koi khaas jaankari nahi hogi"
"Nahi kuchh khaas toh nahi, shayad utna hi jitna aapko pata hai. Kuchh newspapers aur kuchh yahan vahan se suni hui baatein"
"Hmmm" Maine sochte hue kaha "Chaliye koi baat nahi, aap mujhe Mr. Sharma ka address de dijiye"
Negi ne ek paper par mujhe Sharma ka address likh diya. Maine kamre ke deewar par tangi ghadi ki taraf nazar uthayi. Dopahar ka 1 baj raha tha aur Solan yahan se zyada door nahi tha matlab main filhal Sharma se milkar aa sakta tha. Chaai khatam karne ke baad main apni chair se utha.
"Chaliye Negi Sahab, phir milte hain"
"Haan bilkul Sir" Usne garam-joshi se mera haath milaya "Koi bhi help aapko chahiye ho toh bejhijhak yaad kar lijiyega. Vo toh purani files ka mujhe pata nahi tha isliye varna ..."
"Nahi koi baat nahi"
"Aur vo ACP Sahab ne bhi phone karke itna hi kaha ke aapko kuchh purani files dekhni hain, unhone ne bhi kuchh nahi bataya ke Shimla le jakar dikhani hain"
"Aisa kar sakte hain ham?" Maine sawaliya andaaz mein uski taraf dekha.
"Kya?"
"Shimla jakar files dekhna?"
"Haan bilkul, ya agar aap kahein toh main aadmi bhej kar files yahin mangva leta hoon"
"Agar aisa kiya ja sakta hai toh nothing like it. I would be much obliged"
"Zaroor Sir. Aap mujhe ek do din ka time dijiye. Main case se related jo bhi purani files hain mangva kar aapko phone karta hoon"
"Thanks a lot, i really appreciate it"
Main police station se bahar nikla toh Negi bhi mere saath saath hi bahar tak aaya. Main gaadi ka darwaza khol kar bethne hi laga tha ke vo pichhe se bola.
"Sir agar aap bura na maanein toh ek baat kahun?"
"Haan kahiye" Main gaadi mein daakhil hota hota ruk gaya aur palat kar usse bola.
"Jaisa ke aap aksar apne kayi articles mein likhte hain ke investigation mein aapki us us insaan ne madad ki, help ke liye aap kiske aabhari hain, police ke falana falana inspector ne aapko support kiya"
"Haan vo main aksar as a thank you note apne articles ke saath chhapta hoon"
"Sir agar aap chahen toh is case mein main vo falana falana aadmi ho sakta hoon jo aapki kaafi madad kar sakta hai"
Maine uski taraf gaur se dekha aur kuchh had tak uski baat mujhe sahi bhi lagi. Vo yahin ka local tha, is area ka police incharge tha, mere kaafi kaam aa sakta tha. Aur kaam aa bhi raha tha, mere kehne par police files Shimla se yahan vaapis mangva raha tha. Aur badle mein sirf ye chah raha tha ke is case se related jo bhi article main chhapun, usmein uska naam shaamil karun, as a thank you note. Shayad use pata hi nahi tha ke ye case investigate main akhbaar mein chhapne ke liye nahi kar raha tha.
"Haan kyun nahi" Maine apna haath aage badhaya jaise uske saath koi deal kar raha hoon.
"Aap mera cell number le lijiye Sir" Kehte hue usne apna mobile phone nikala "Aap number bataiye, main missed call maar deta hoon"
Maine use apna number bataya jo ke usne save kar liya aur mere cell par ek call ki. Negi ko ek baar phir Thanks bolkar main apni gaadi mein betha aur apne cell mein uska number save karne laga. Pehle toh maine number uske naam se hi save kiya par phir muskura kar uska naam hata diya aur number "Inspector Falana Falana" ke naam se save kar liya.
"Bungalow par hi chalenge na Sahab" Driver ne palat kar mujhe puchha toh maine apni jeb se vo address wala paper nikala jo Negi ne mujhe diya tha.
"Nahi, Solan chalo. Is address par" Kehte hue maine vo paper Driver ko thama diya.
Nice update bhai
 

ashish_1982_in

Well-Known Member
5,573
18,878
188
Chapter 5 - Sakshi Rana

Ham Chail se bahar nikle hi the ke maine us din Sharma se milne ka apna irada badal diya. Aise achanak ek din uske darwaze par pahunch jana aur ek 20 saal purane case ke baare mein sawal karne lag jana mujhe kuchh theek nahi laga. Behtar yahi hota ke main usse ek baar pehle phone par baat kar leta aur appointment lekar jata. Aur usse milne jaane se pehle ek baar police files par nazar maar lena bhi shayad theek rehta.
"Ek kaam karo, vaapis Bungalow ki taraf hi le lo" Maine driver ko kaha toh usne gaadi vaapis guest house ki taraf ghuma di.
Us din maine aur kuchh nahi kiya. Ghar betha sochta raha ke kis jagah se shuruat ki jaaye. Jab kuchh aur nahi soojha toh yahi decide kiya ke filhal sabse behtar yahi hai ke Ravi Rana ke baare mein zyada se zyada pata kiya jaaye. Vo kis tarah ka aadmi tha, kiske saath uthta bethta tha, uske dost kaun tha, kya uski zindagi mein koi ladki thi vagerah vagerah. Uske saath jo kuchh bhi hua tha uska jawab 20 saal pehle ki uski zindagi mein hi kahin tha. Agar mujhe jaanna hai ke us raat vo ghar se gaya toh lauta kyun nahi toh uske liye mujhe pehle ye jaanna hoga ke us raaat se pehle ki uski zindagi kaisi thi.
Shaam dhalne lagi toh maine ek baar phir Kaali ka Tibba ki taraf jaane ka irada banaya. Mausam mein khaasi thandak thi isliye maine apni jacket pehni aur guest house se nikal kar paida hi mandir ki aur chal pada.
Main kuchh door hi gaya tha ke pichhe ke kisi ke aane ki aahat hui. Palat kar dekha toh Sakshi Rana jogging karti hui aa rahi thi.
"Tibbe ki taraf ja rahe ho?" Vo mere kareeb aakar ruki.
"Haan, socha mandir hi ho aaya jaaye. Mata ke saath saath doobte sooraj ka ek behtareen nazara bhi dekhne ko mil jaayega"
"Well you arent dressed for jogging so i cant ask you for that. Would you mind if i walk with you?
"Ismein mind karne wali koi baat hi nahi hai, ek se bhale do" Maine muskurate hue kaha.
Vo mere saath saath hi chalne lagi. Use dekh kar andaza laga pana mushkil tha par uski umar koi 30-35 ke beech rahi hogi aur vo ek behad khoobsurat aurat thi. Shareer par kahin naam-matra bhi charbi nahi aur use yun shaam ko pahadon par bhaagte dekh charbi ka na hona samajh aata tha. Lambe kaale baal jinhein usne us waqt samet kar joode ki tarah sar par baandha hua tha, badi badi kaali aankhen, gora chitta rang, takreeban 5"6 height, kasa hua jism, halka bhaari seena, patli si kamar. In short vo ek vaisi hi aurat thi jaisi ki aksar TV magazines mein models ke roop mein nazar aati hain.
"I can tell that you like what you see" Usne shayad meri nazar bhaanp li thi.
"Ji?" Main baukhlate hue bola.
"Its ok" Vo mere baukhlane par dil khol kar hasi "I am used to that and honestly, i quite like it"
"I am sorry" Main samajh gaya ke meri chori pakdi gayi. Use saath chalte hue main uper se neeche tak dekh raha tha aur vo samajh gayi thi.
"Nothing to be sorry about, i know i am pretty and i admire an admirer"
"Still, i am really sorry" Maine phir bhi maafi maangi.
"Its ok, you were nothing. You should see the drooling eyes of other people. You were only just checking me out"
"Well i wasnt really" Maine kaha. Ham dono dheemi chaal mein mandir ki taraf badh rahe the.
"What do you mean?"
"I wasnt really checking you out. What did catch my eye actually was how physically fit you are as opposed to other women of our country. I mean by this age, they are exact opposite of physically fit"
"Not only women though"
"Yeah true, even the middle aged men" Maine haami bhari.
"Well thanks for the compliment"
"So you have lived here all your life?"
"Yeah, Well most of it"
"And if you dont mind, may i ask what you do for living?"
"Ha ha ha" Vo meri baat sunkar phir has padi "Living is not a problem actually. With a rich family like mine, i could spend my life doing nothing. But if you meant my profession,then I am a doctor"
"A doctor?"
"Yeah, a physician"
"Well that explains your physical fitness. A doctor would certainly see that she remains fit and fine"
"Not true entirely. Half of the doctors these days have a belly sticking out with a cigarette in their mouths"
"I guess" Maine jawab diya "Agar aap bura na maanein toh ek baat puchh sakta hoon?"
"Zaroor"
"Why here?"
"What do you mean?"
"I mean you are a rich woman and a beautiful indeed. And on top of it, you are a doctor too. So why live here in such a small town?"
"Honestly i dont know, i guess it runs in the family. Ours is a family of people from the hills. Our generations have lived here and maybe that is why i like living here too. I mean i have been to cities, did my doctorate in London but i never quite felt comfortable there. Too loud and noisy for me i would say. Here on the other hand, i feel at peace"
"Interesting"
'Yeah i guess it is"
"Do you practice?"
"Yeah, in Shimla"
Baat karte karte ham dono Tibbe par bane mandir tak pahunch gaye.
"Kuchh aur bhi puchhna chahta tha main"
"Sure"
"Mrs. Rana ne bataya ke aapne unhein suggest kiya tha mera naam, for this job you know. Why?"
"What do you mean why? Kehti hui vo boundary wall ke paas ja khadi hui aur saamne doobte sooraj ko dekhti hui boli "Beautiful, isnt it?"
"It is indeed" Main bhi uske saath ja khada hua "Mere kehne ka matlab tha ke is kaam ke liye mera naam hi kyun? Paise ki koi kami nahi aapke ghar mein, aap is kaam ke liye koi achhe se achha aadmi chun sakti thi"
"Vahi toh kiya, achhe se achha aadmi hi chuna maine" Vo muskurati hui boli.
"Come on, I am serious"
"And so am i" Vo bhi meri baat sun sanjeeda ho gayi "Why do you feel you are any less than anyone else? Main kaafi arse se aapke kaam ko follow kar rahi hoon. I have read several of your articles, both in the newspaper and online. Aur jis tarah se aapne kayi aise cases ko expose kiya jinpar har koi give up kar chuka tha vo qabil-e-tareef hai"
"Thanks"
"Well you deserve every bit of the praise. And anyways, aapko toh khush hona chahiye ke maine aapka naam suggest kiya. I am pretty sure ke paise toh achhe khaase diye honge aunty ne"
"Yeah and that actually brings up another question. Jo ek baat main Mrs. Rana se bhi puchhna chah raha tha par kuchh theek sa nahi laga isliye chup reh gaya"
"Puchhiye"
"Why now?"
"Why now what?"
"I mean its 20 years that her son is missing and she herself is pretty sure ke he is not alive anymore. So why now? I mean 20 saal tak khamosh rehne ke baad ab achanak?"
"Kisne kaha ke 20 saal tak vo khamoshi thi?"
"No i mean unhone bataya ke pehle bhi koshish ki ja chuki hai par Ravi ka kahin kuchh pata nahi chala. Thats what surprised me actually. Ke ab itne waqt baad mujhe itne paise dekar phir usi raah par bhejna jahan se pehle koi bhi koi nateeja nikal kar nahi la saka? Main unse ye puchha chahta tha par phir laga ke vo kahin bura na maan jaayen"
"Wow, an investigator who is apprehensive of asking questions? Aap kabse is baare mein sochne lage ke aapke sawal ka kisi ko bura na lage?"
"Well actually jab saamne koi Mrs. Rana jaise aurat bethi ho aur itni badi family toh sochna padta hai"
"Aunty vaisi hain nahi jaisi aap soch rahe ho"
"Matlab?"
"Matlab ke vo padhi likhi hain, highly qualified hain, Foreign degree hai unke paas in business management par vo dil se aaj bhi ek hindustani seedhi saadi aurat hain, ek typical housewife you know"
"Main samjha nahi"
"Well you see hers and my uncle's was an arrange marriage. My uncle was a very dabang kism ke insaan. Har koi unse dabkar aur darkar rehta tha aur aisi hi aunty ke saath bhi hua. Ek toh unka thoda shy nature aur uper se mere uncle ka dabang kism ka nature toh vo zyada bolti nahi thi uncle ke saamne. Zyadatar baaton mein unki haan mein haan hi mila deti thi. Aur uper se all the unfortunate events added more to this nature of her's"
"Unfortunate events?"
"Yeah, didnt she tell you about her kids that were born before Ravi and Raj"
"Oh, that. Yeah she did"
"Well you after she was unable to give a health and alive kid to her husband toh vo thoda sa aur dab gayin. You know how our society is. Har koi chahta tha ke vo Rana khandaan ko ek chirag dein, ek beta jo vo nahi kar pa rahi thi toh quite obvious tha that she too somewhere in her heart started blaming herself. Jab in sabke bavajood bhi uncle ne unhein na chhoda, na sataya, na kuchh kaha aur unke saath usi pyaar se pesh aate rahe toh vo kahin dil mein unka ehsaan maanne lagi. She literally worshipped her husband you know"
"Ok"
"Phir Raj aur Ravi aaye aur sab sahi ho gaya. Raj mere uncle ka favourite tha aur aunty ki preference thodi Ravi ki taraf zyada thi"
"Yeah thats quite natural, hota hai aisa, parents picking one kid slightly more over the other"
"Uske baad phir Ravi gayab ho gaya aur vo bhi uncle se property ko lekar. Yun toh uncle ne use dhoondhne ki kaafi koshish ki par mujhe lagta hai ke aunty ke dil mein kahin ye baat rahi ke ye koshish vaisi nahi hui jaisi honi chahiye thi, you know with the intensity that should have been given to it. Par because of her loyalty towards her husband, she never questioned him"
"And now when he is no more, she is giving a try of her own. Apni ek aakhri koshish kar rahi hain, poori mehnat ke saath"
"Yes, she talked to me about it a few times. And recently jab aapne vo murder case expose kiya jise sab bhool chuke the toh maine ek din yun hi aapka naam suggest kar diya. Phir hamare family lawyer hain Mr. Mehta unse contact kiya gaya"
"And he provided more details about me"
"Correct, and here you are. Right on the case"
"Well i hope ke kuchh pata laga sakoon"
"I am sure you will"
Saamne sooraj dheere dheere ek bade ke pahad ke pichhe sar chhupane laga tha, jaise koi nayi naweli dulhan sharma kar ghoonghat mein apna chehra chhupa rahi ho. Pichhe mandir mein pujari ne shaam ki aarti ki taiyyariyan shuru kar di thi.
"I always feel at peace when i come here you know. Main aur Ravi aksar aaya karte the yahan par aur us waqt toh itna achha bhi nahi tha kuchh. Sirf ye purana sa ek mandir bana hua tha aur charron taraf ped. Ye naya mandir aur ye compound toh haal filhal mein hi banaya gaya hai"
"Aap aur Ravi?"
"Yeah, we were quite good friends you know. Bahut masti karte the ham log aapas mein"
"Aap aur Ravi?" Maine phir vahi baat dohrayi.
"Yeah, why?" Vo apne maathe par shikan daalte hue boli.
"You must be quite young then"
"No, i was as old as he was"
"Oh my god !!!" Maine hairat mein kaha "Really?"
"Oh i get it" Vo meri baat samajhte hue boli "How old did you think i was"
"Honestly, early thirties"
"Well thank you for the compliment par aapne meri umar takreeban 10 saal pichhe kar di. I am in my early forties. Main Ravi aur Raj same age group ke the. Main Ravi se sirf 2 mahine chhoti thi"
"Wow, its really hard to tell"
"Thanks again"
"Agar aap bura na maanein toh kya main aapse bhi kuchh sawal kar sakta hoon case ke mutaabik?"
"Zaroor, fire away"
very nice update bhai
 

ashish_1982_in

Well-Known Member
5,573
18,878
188
"You know hamari zindagi mein kayi baatein aisi hoti hain jo ham apne gharwalo ke saath share karte hain par kabhi doston ko nahi bata sakte" Maine kehna shuru kiya "On the other hand, kayi saari baatein aisi hoti hain jo ham doston ko batate hain par ghrwalo ke saath share nahi kar sakte"
"I agree"
"If you ask my opinion, and this is based on the facts that i came across to in my professional life, zyadatar log apne gharwalo ke saath zyada close hote hain, immediate relatives you know, lagav aur mohabbat bhi gharwalo se hi zyada hota hai par baatein zyada share apne friends se karte hain. Ek insaan ke baare mein aksar uske gharwalo se zyada uske dost jaante hain"
"And you wanna ask me if i can tell you something about Ravi kyunki main uski relative aur dost dono thi" Vo meri baaton ka rukh samajhte hue mere sawal ka andaza laga kar boli.
"Exactly"
"Khaas toh kuchh main bhi nahi bata sakti except for the common stuff you know. Apne aap mein ek normal sa ladka tha Ravi aur kaafi tez bhi tha. Apne aas paas har kisi ko khush rakhne ki koshish karta tha. Aur ek baat thi jo ham teeno mein common thi"
"You mean Ravi, Raj and You?"
"Yeah. Aur vo ye ke ham teeno ko hi yahan pahadon mein rehna pasand tha. Jaise mujhe is jagah se lagaav hai vaisa hi lagaav un dono ko bhi tha"
"Aur yahi vajah hai ke beshumar daulat ke hote hue bhi Mr. Raj Rana yahin rehte hain"
"Yep. Main toh phir bhi apni studies ke liye yahan se bahar gayi thi par ye dono bhai toh padhe bhi yahin Dehradoon mein"
"Interesting"
"I know. Ham teeno bhai behen yahan bethkar plan banaya karte ke kahin nahi jaayenge, shaadi karne ke baad bhi yahin rahenge. Ye baat zyada meri taraf hoti thi kyunki vo toh ladke the par mujhe shaadi karke apni pati ke yahan jana tha. Main jana nahi chahti thi isliye apna dil behlane ke liye yahin bethkar kasam khaya karte ke ham log hamesha yahin rahenge"
"So did you ever marry?" Is sawal ka jawab vaise toh main janta tha par uske munh se sunna chahta tha.
"Yeah i did for a short while" Vo lambi saans chhodte hue boli "Things changed around here after Ravi disappeared you know. Pehle khushnuma mahaul hota tha par us incident ke baad se ajab khamoshi, manhoosiyat si chha gayi. Uncle thoda chide chide rehne lage aur aunty gumsum. Raj bhi apne aap mein reserved sa ho gaya. Mujhse bhi kabhi uski itni baat nahi hui uski Ravi ke baad, bas mamooli dua salam type. Ek lambe waqt tak Ravi ki talash jaari rahi aur is vajah se jaise baaki saari baatein, saare rishte bhula se diye gaye. Sabke dimaag par bas Ravi hi chhaya raha. Aur jab vo kahin nahi mila toh kisi ke dil mein gussa sa bhar gaya aur kisi ke dil mein dukh. Sab badal gaya uske baad. Jaise jaise din beet rahe the aur uska koi pata nahi chal raha tha, sabko jaise dil hi dil mein ye yakeen hota ja raha tha ke vo mar chuka hai"
"Aur aapko?"
"Main bhi sabse alag nahi thi. Kahin dil hi dil mein maine bhi ye baat accept kar li ke ya toh vo hamse koi rishta rakhna nahi chahta ya phir duniya se hi rishta khatam karke ek doosri duniya mein ja chuka hai"
"Did you marry someone from around here then?" Maine baat ka rukh phir se uski shaadi ki taraf moda.
"No, not from someone here. Us incident ka asar mujhpar bhi kaafi tha. Jahan pehle main yahan se jana nahi chahti thi vahin uske baad main yahan rehna nahi chahti thi so I married a Doctor from Mumbai"
"How long were you married?"
"A few years but it didnt work. Kabhi bani hi nahi uske saath. Shaadi ka nateeja divorce mein nikla aur main vaapis yahin aa gayi"
"Aur koi yahan jo Ravi ko janta ho, not from the family you know"
"Uska bas ek hi dost aur tha, Kanha"
"Kanha?"
"Haan yahan ke ek businessman ka beta tha"
"Tha?"
"Haan he is dead. He was found dead a few days after Ravi disappeared"
Ye case mein ek naya mod tha. Kisi ne bhi mujhe ba tak is baare mein nahi bataya tha.
"Pata chala kisne mara?"
"Nahi, case ki chhan-been ki gayi par kuchh pata nahi chala. Use goli maari gayi thi"
"Aur Ravi ke gayab hone ke kitne din baad ki baat hai ye?"
"Takreeban maheena bhar. Aur shayad Kanha ki maut ne bhi is yakeen ko sabke dil mein betha diya gaya ke Ravi bhi ab is duniya mein nahi raha"
"Were they close friends?"
"Oh they were the best friends. School aur college mein ek saath the, vo kehte hain na ke langotiya yaar. Vahi the dono"
"Ok"
"Ab 2 itne kareebi dost, ek lapata aur doosre ki laash ek mahine baad mili toh ye obvious tha ke jo kuchh bhi hua usmein dono hi involved the. Pehle toh sabko laga ke Ravi ne hi Kanha ko mara hai isliye bhaag gaya par phir dheere dheere ye baat galat saabit ho gayi"
"Vo kaise?"
"Exactly toh main bhi nahi jaanti par police investigation mein ye pata chala ke maheene bhar se Kanha khud bhi Ravi ko dhoondhne mein laga hua tha, usko khud bhi idea nahi tha ke Ravi kahan hai. Police ne usse bhi sawal jawab kiya par kuchh suraag nahi mila. Aur phir ek hafte baad use bhi maar diya gaya"
"Toh final assumption phir ye bana ke kisi ne pehle Ravi ko mara aur phir ek hafte baad Kanha ko? Aur jo bhi vajah thi aisa karne ki, usmein dono hi dost poori tarah involved the varna Kanha ko maarne ka koi matlab nahi tha?"
"Ya phir ye ke Ravi ke gayab hone ke baare mein Kanha ko koi baat pata chal gayi thi jisse ke kisi ko apne uper khatra mehsoos hua aur isliye Kanha ko bhi hamesha ke liye khamosh kar diya gaya."
"Aap Ravi se aakhri baar kab mili thi?"
"Uske gayab hone se koi 3-4 din pehle. Un dino kaafi pareshan sa rehne laga tha vo"
"Vajah?"
"Kabhi usne batayi hi nahi. Maine kayi baar puchha, aur Raj ne bhi par usne har baar ye kehkar taal diya ke aisa kuchh nahi hai and we both are imagining things"
"Unke batane ke siwa aapne kuchh aisa dekha ya suna ho jisko lekar vo itna pareshan the?"
"Nahi kuchh bhi. Jo bhi baat use pareshan kar rahi thi usne use hamse bakhubhi chhupa kar rakha. Mujhe toh uske gayab hone ke baad pata chala ke vo batwara chahta tha, usne toh kabhi ham par ye baat bhi nahi khulne di"
"You really believe ke vo batwara hi chahte the?"
"Samajh toh nahi aata ke vo aisa kyun chahta tha par is baat ko na maanne ki koi vajah bhi toh nahi. Yun toh sara business kaam vagerah tab vahi dekha karta tha, paisa uske haath mein khula tha balki yun kahiye ke sab kuchh usi ke haath mein tha. Aunty ne mujhe bataya tha ke Uncle toh kabhi usse kuchh puchhte tak nahi the ke kahan se kitna paisa aaya aur kahan gaya"
"Hmmm, interesting"
Tabhi pichhe mandir mein aarti shuru ho gayi aur main aur Sakshi bhi mandir ke andar chale gaye. Uske baad ham dono ke beech is mamle ko lekar koi baat nahi hui. Aarti ke baad ham idhar udhar ki baatein karte ghar aa gaye.
Raat ko dinner ke baad main sone hi ja raha tha ke mera phone baj utha. Maine phone utha kar dekha, call "Inspector Falana Falana" ki thi.
"Kaise hain Sir?" Maine phone uthaya toh doosri taraf se Negi ki aawaz aayi "Disturb toh nahi kiya"
"Nahi bilkul nahi, kuchh khaas kar bhi nahi raha tha main. Bataiye kaise yaad kiya"
"Sir vo files kahi thi na aapne, Ravi Rana wale case ki"
"Ji haan"
"Maine mangva li hain Sir"
"Already?" Mujhe taajjub hua ke usne itni jaldi kaam kar bhi diya. Abhi aaj dopahar hi toh mila tha main usse.
"Haan Sir vo aapke jaane ke baad hi maine Hawaldar ko Shimla ki taraf bhej diya, shaam tak vo lekar aa gaya"
"Well, that was quick. Thanks a lot"
"Ismein thanks ki kya baat hain sir, aap subah aakar files dekh lijiyega"
"Mera ek kaam kar sakte hain?"
"Ji zaroor, boliye"
"Kya vo files aap yahan guest house bhijva sakte hain, agar koi problem na ho toh. I would like to keep the files for a few days and see them aaram se. Aise ek baar nazar maarne par shayad koi baat nazar se nikal jaaye"
Main usse ek case ki police files mere paas chhodne ko keh raha tha, is baat par vo thoda jhijhka.
"Sir ...." Vo sochta hua bola.
"Koi problem hai toh main Mrs. Rana ko bolkar commissioner sahab ko phone kara deta hoon"
"Arrey nahi Sir, uski kya zaroorat hai. Main kal subah aakar de jaoonga" Commissioner ki baat par vo fauran bola.
"Aap kyun takleef karte hain, kisi ke haath bhijva dijiyega"
"Takleef ki koi baat nahi hai Sir. Is bahane aapse phir mulaqat bhi ho jaayegi"
"All right then, i will see you in the morning" Kehkar maine line disconnect kar di.
Maine aaj tak jitne bhi cases investigate kiye the, unmein kayi police wale mujhe aise bhi mile jinhone kaafi madad ki aur kayi aisi jinhone raaste mein sirf patthar hi adaye. Negi jis josh ke saath badh chadhkar meri madad karne par utawla tha, usse mujhe ehsaas hua ke usko apne saath lene ka mera faisla sahi tha.
Main sone hi laga tha ke cell ki ghanti phir baji. Maine phone utha kar dekha, ek message tha. Kamini ka.
"Kabhi nazar-e-inayat is taraf bhi kar liya kijiye"
Main message padhkar muskuraya aur jawab diya.
"Tu soyi nahi ab tak?"
Thodi der baad jawab aaya.
"Tum bhi toh nahi soye, kya kar rahe the?"
"Aise hi thoda kaam. Tu kya kar rahi thi?" Maine likh kar bheja.
"Tumhare baare mein soch rahi thi" Usne message aur uske saath ek kiss wala smiley bana kar bheja.
Vo mujhpar dil-o-jaan si fida thi, hamesha se thi. Shayad uski zindagi mein main akela hi mard tha jise usne is nazar se dekha tha. Uski deewangi ki had yahan tak thi ke usne mujhe ek baar ye tak keh diya tha ke agar koi mard uske kareeb aaya toh sirf main hi ho-unga. Agar main nahi toh saari zindagi vo kisi aur ko apna shareer chhune tak nahi degi.
Main janta tha ke mere bete ko ek maan ki talash hai. Vo hamesha apni Dadi ke saath nahi reh sakta. Meri maan boodhi ho chali thi aur der sawer unhein is duniya se chale jana tha, phir uske baad Vikram ka khyaal kaun rakhta. Kamini mere liye ek bahut achhi biwi aur Vikram ke liye ek achhi maan saabit ho sakti thi par jaane kyun hazar koshish ke baad bhi main use dekhne ka apna nazariya kabhi badal nahi saka.
Main bistar par leta, Kamini ko good night ka message kiya aur aankhen band karke sochne laga. Ye sab shuru hua tha us din jab hamare college mein ek nayi ladki aayi thi, Renuka Sinha.
Aate hi vo jaise college ke har ladke aur ladki ke liye ek topic ka charcha ban gayi. Saari ladkiyan usse jalti aur ladke uske aage pichhe chakkar lagate, ke kisi tarah vo ek nazar unhein dekh le. Iski vajah se uski had khoobsurati. Gora rang, medium height, patli si kamar, kaale lambe baal, badi badi aankhen aur is sab par vo jis tarah se apne aapko carry karti thi vo uske husn mein chaar chand laga deta tha. Vo chalti toh is tarah jaise sara zamana uske kadmon mein ho aur kisi se baat karti toh is tarah jaise uspar ehsaan kar rahi ho.
Students toh students, kuchh teachers bhi is taak mein rehte the ke shayad vo unse pat jaaye. Kya kunware, kya shaadi shuda, poora college jaise usi ke chakkar mein tha.
Aur vo chakkar mein padi toh mere. Ek aise insaan ke jo shayad poore college mein akela tha jise Renuka Sinha naam mein koi dilchaspi nahi thi.
very nice update bhai
 

ashish_1982_in

Well-Known Member
5,573
18,878
188
Chapter 6 : Start Of An Affair

Main aur Renuka ek hi class mein tha. Hamari class mein seating intezaam aisa nahi tha jaisa ke aksar schools aur colleges mein dekha jata hai, yaani ke ladkiyan saari class ke ek taraf aur ladke ek saath doosri taraf. School mein toh mere bhi aisa hi tha par college mein nahi. Yahan kisi ki koi decided seat nahi thi, jo jahan chahe beth jaaye. Aisa kuchh nahi tha ke ladke ek taraf aur ladkiyan ek taraf.
Renuka ko apni khoobsurati ka poora andaza tha aur vo iska poora fayda bhi uthati thi. Jahan ladkiyan use dekh dekh jalti kudhti rehti thi vahin Ladke uspar jaan chhidakte the aur uske ek ishara par kuchh bhi karne ko taiyyar the. Nateeja ye ke use kisi maharani ki tarah treat kiya jata tha. Ghar se koi na koi car leke pick karne jata aur phir izzat ke saath ghar chhoda bhi jata. Kisi se bhi vo sidhe munh baat nahi karti thi aur ladkiyon se toh bilkul bhi nahi. Uski har farmaish ko fauran poora kiya jata aur mujhe nai lagta ke college canteen mein kabhi usne paise khud diye honge. Use aur uske aas paas chakkar lagate ladkon ko dekh ek vo sher yaad aata tha,
Kuchh is tarah se aaj vo pehlu nasheen rahe,
Jab tak hamare saath rahe, ham nahi rahe,
Allah re chashm-e-yaar ki mojiz bayaniyan,
Har ek ko hai ghumaan ke mukhatib ham hi rahe ....
Jis din vo kisi se pyaar se do alfaaz bol leti us din toh jaise us ladke ke chaandi ho jaati. Poore college mein vo dhindhora peet-ta phirta ke Renuka ne aaj usse kya baat ki aur kis tarah se baat ki. Jo use ghar se lene jata ya use ghar chhod kar aata, uski kismet par college ka har ladka rashq kiya karta. Halat ye ho gayi thi ke agar vo chahti toh bina exam diye pass ho sakti thi, karna sirf ye tha ke uspar lattoo professors ko dekh kar bas muskura dena tha.
Is sabe bilkul vipreet main apne college mein bahut hi serious students mein aata tha. Main un logon mein se tha jo apne career ko bahut seriously lete the aur college sirf padhne jaya karte the. Main kabhi apni academic life mein top student nahi raha par koshish poori karta tha top students mein aane ki. Mujhe lagan thi kuchh karne ki, zindagi mein aage badhne ki aur yahi vajah thi ke main kabhi pyaar mohabbat ke chakkar mein Kamini ke saath bhi nahi pada jo ke ek bahut hi achhi ladki thi. Renuka jaisi ladki ke aage pichhe chakkar katna toh kahin mere khwaab aur khyaal mein bhi nahi tha.
Ek din main thoda upset tha aur college mein kaafi gumsum ek kone mein betha tha. Professor class mein aaya nahi isliye sab bethe ek doosre se baatein kar rahe the. Ladkiyan saari saath bethi jaane kya baat kar rahi thi par ek bas Renuka hi thi jo unse hatkar bethi thi, ladko ke beech. Class ke saare ladke use ghere bethe the aur use vahi maharani wala treatment diya ja raha tha. Yakeen toh mujhe poora tha ke ladkiyon mein bhi us waqt discussion ka topic Renuka hi thi.
Mere saamne table par ek pani ki bottle rakhi thi jo main aksar saath rakhta tha.
College mein hamari class 4th floor par thi aur peene ke pani ka intezaam sirf ground floor par tha yani ke agar pyaas lage toh 3 floors utar kar neeche aao aur phir chadh kar uper jao. Aksar ye hota tha ke neeche aakar pani peene ke baad 3 floor chadhne mein uper pahunchne tak phir pyaas lagne lagti thi jis vajah se kaafi students apne bag mein ek pani ki bottle laaya karte the. Kayi baar hamne college administration ke saamne is baat ko lekar halla machaya par pani ka intezaam kabhi nahi kiya gaya.
Us din sabse bekhabar main akela betha ek book mein uljha hua tha ke achanak Renuka ne meri taraf palat kar mujhse kaha.
"Hey You, whatever your name is"
Na toh maine kabhi usse baat ki thi aur na hi kabhi usne mujhse isliye mujhe laga ke kisi aur ko keh rahi hai. Main ansuna kar diya toh usne phir kaha.
"Hey You" Aur is baar thoda zor se kaha.
Maine palat kar uski taraf dekha.
"Ye pani ki bottle idhar lakar dena" Usne aisa kaha jaise main koi bandhua mazdoor hoon, uske baap ka ghulam. Main chid gaya aur use ignore karke phir apni book ki taraf dekhne laga.
"Pani ki bottle" Is baar usne aur zor se kaha toh fauran ek ladka uthkar meri taraf aane laga. Usne vaapis us ladke ko bethne ka ishara kiya toh vo aise betha jaise koi achha bachcha apni maan ka hukum maan raha ho.
"Pani ki bottle Dena" Usne phir kaha.
"Pani ki bottle chahiye?" Main bottle ka dhakkan kholta hua bola "Toh aakar khud lo"
Maine bhi jawab kaafi bad-tameezi se diya tha par jaane use kya soojha ke vo uthi aur chalti hui meri taraf aane lagi. Jab maine dekha ke vo aa rahi hai toh maine bottle apne munh se lagayi aur jab tak ke vo mere paas aati, tab tak main poori bottle khaali kar chuka tha.
"Bottle chahiye thi na?" Maine khaali bottle uski taraf badhayi "Ye lo aur jao pani bharke lao ground floor se"
Uski shakal aisi ho gayi jaise kisi ne abhi abhi use thappad maar diya ho. Ladko ke munh hairat se khule reh gaye aur saari ladkiyon ke chehre par aisi muskurahat pheli jaise un sabki shaadiyan tay ho gayi hon.
Us din main college ka hot topic ban gaya. Har koi yahi baat kar raha tha ke maine kaise Renuka ke saath bad-tameezi se baat ki. Saari ladkiyan aur kuchh ladke jinki taraf Renuka kabhi palat kar bhi nahi dekhti thi unke liye main hero ho gaya tha aur vo ladke jinke saath vo uthti bethti thi vo sab mujhe college ke bahar pakadne ki taiyyari kar rahe the taaki mujhe maza chakha saken.
Usi din main college ki canteen mein betha ek Red-Bull pi raha tha ke tabhi Renuka kuchh ladkon ke saath aayi. Mujhe akela Red-Bull pita dekh kar vo mujhe sunane ke liye zor se boli,
"Chhote bachche aisi cheeze nahi peete, doodh piyo doodh"
Main janta tha ke vo mujhe suna rahi hai. Ladkiyon ke saath main hamesha kaafi izzat se pesh aata tha aur takreeban college ki har vo ladki jo mujhe jaanti thi, mujhe pasand karti thi. Par Renuka ke akkhad mijaaz ki vajah se jaane mujhe kya soojha ke maine usse vo keh diya jo ke maine kabhi zindagi mein nahi socha tha ke main ek ladki se kahunga.
Main uski taraf palta aur uski aankhon mein dekha.
"Doodh?" Phir maine nazar jaan boojh kar is tarah se ke use bhi pata chal jaaye uske chehre se hata kar uski seene par laga di aur kaha "Aao pila do"
Us din toh jaise college mein hungama sa ho gaya tha. Jungle mein shayad aag bhi itni tezi se nahi phelti jitni tezi se mere Renika se is tarah pesh aane ki baat pheli.
Mujhe college ke baad kuchh aur kaam bhi the isliye main sidha ghar nahi aaya. Vo kaam niptaye, phir ek dost ke ghar gaya aur dinner bhi uske saathi hi kiya. Phir vahan se ek movie dekhne chale gaye aur uske baad maine apne dost ko ghar drop kar diya. Jab tak main apne ghar ki taraf rawana hua tab tak raat ka 1 baj chuka tha. Sadkon par gaadiyan kaafi kam ho gayi thi aur mere ghar ke aas paas toh jaise bilkul marghat sannata hi chhaya hua tha. Mere ghar se kuchh door hi achanak 3 gaadiyan meri bike ke aas paas aayi aur mujhe rukne par majboor kar diya.
Mere rukte hi gaadiyon se 9-10 ladke nikle. Unmein se main kisi ko bhi na toh janta tha aur na pehchanta tha. Par haan ek ladka tha jisne apne sar par jacket ka hood dala hua tha aur mujhe laga ke maine use apne college mein dekha hai. Main samajh gaya ke mujhe kyun roka gaya hai. Pata nahi vo kabse mera pichha kar rahe the aur mujhe kahin akele mein pakadne ka mauka dhoondh rahe the.
"Kyun be? Bada hero ban raha hai tu?" Ek ne kaha. Vo sab mujhe gher kar khade ho gaye the.
"Haan toh?" Maine rookhe se andaaz mein jawab diya.
"Toh ye ke kal tu Renuka se maafi maangega, samjha?"
"Kis baat ki?"
"Jo aaj kiya us baat ki"
"Aur na maangi toh?"
Usne meri baat ka jawab diye bina muskurate hue baaki saare ladkon ki taraf dekha aur phir pichhe khadi cars ki taraf. Maine uski nazar ka pichha kiya toh mujhe andaza hua ke main us waqt apni soch se zyada serious situation mein tha.
Jahan ham khade the vo jagah sunsaan si thi. Koi ikki dukki hi gaadi udhar se guzarti thi. Pichhe gaadiyon ke darwaze khule hue the aur andar rakhi hui hockey sticks mujhe nazar aa rahi thi.
Main janta tha ke samajhdari isi baat mein thi ke is waqt unki haan mein haan milata aur vahan se nikal leta. In sab maamlon mein kam main bhi koi kam nahi tha aur yahi vajah thi ke college ke ladkon mein se khud koi nahi aaya tha. Kyunki vo jaante the ke mujhe is tarah se yun akele mein pakadne ka matlab tha ke phir main un sabko baad mein ek ek karke akela pakadta. Jo vo yahan mere saath karte, baad mein main unke saath karta.
Par jaane kyun mujhe us waqt khud pichhe hatna bilkul bhi ganwara nahi hua.
"Chal abhi side ho" Maine bike ke aage khade ladke se kaha, "Na toh mere paas us bekaar cheez ke liye time hai jise tum Renuka Sinha kehte ho aur na hi tum jaise chalte phirte koode kachre ke liye time hai"
"To matlab tu maafi nahi maangega?"
"Sawal hi nahi uthta. Main apne ghar mein uske naam ki kutti tak na paalun"
Mera itna kehna hi tha ke usne achanak mera collar pakad liya. Uski is achanak harkat se main ekdam baukhla sa gaya aur isse pehle ke main khud hi kuchh soch pata, maine haath chhod diya aur uske chehre par ek zordar thappad maar diya.
Uske baad kya hua mujhe kuchh theek se yaad nahi. Bas itna pata tha ke meri motorcycle ek taraf giri padi aur main doosri taraf. Un saare ladkon ne mujhe gher rakha tha aur mujh par chaaro taraf se laatein pad rahi thi. Koi 10 - 15 minute tak jamkar meri kutaai ki gayi. Phir usi ladke ne jo ke mujhse baat kar raha tha mere baal pakad kar mujhe sidha khada kiya.
"Khada ho saale. Tujhe teri aukaat dikhata hoon" Vo mere baal pakde hue bola.
"Dikha le, aaj main akela hoon toh kar le apne dil ki. Par yaad rakhna, baari meri bhi aayegi. Tum mein se ek ek ka maine pocha na banaya toh kehna" Maine badi mushkil se kaha. Meri shirt phat chuki thi, munh se khoon beh raha tha aur shareer kayi jagahon par buri tarah se dard kar raha tha.
"Teri toh ... "Meri baat sunkar us ladke ne kaha aur vo ek baar phir mujh par chaalu ho gaya. Har taraf se mujh par vaar kiye ja rahe the aur main apne haathon se apna chehra bachane ki koshish kar raha tha.
"Munh kya chhupa raha hai saale ... "Us ladke ne kehte hue mere dono haath pakde aur mere chehre se hatane ki koshish ki. Maine thodi himmat jutaayi aur apne haath jhatak kar ek haath se uska collar pakda aur doosra haath uski gardan par jakad diya.
Mujhe yaad nahi kitni der tak par usne mujhse chhutne ki kaafi koshish ki thi. Vo jitni koshish karta main apni haath ki giraft uski gardan par utni hi kas deta. Uske gale ka agla hissa jise adams apple aur hindi mein tentua kehte hain meri mutthi mein tha aur main poora zor laga kar daba raha tha. Uski haalat kharab ho chali thi aur uske saath ke ladke bhi use meri pakad se chhutane ki nakam koshish kar rahe the.
Main khud bhi janta tha ke vo ladka us waqt mar sakta tha par main uska gala chhodne ko taiyyyar nahi tha. Jab aur kuchh bas nahi chala toh vo ladke car se hockey sticks utha laaye aur vo mujh par barsani shuru kar di, khaas taur se meri kalaiyon par taaki main us ladke ko chhod doon. Par hua iska ulta hi, vo jitna mujhe hockeys maarte main utni hi zor se us ladke ka gala dabane ki koshish karta. Ab sochta hoon toh aisa lagta hai jaise main us waqt use jaan se maarne ki koshsih hi kar raha tha.
Aur shayad khud use bhi ehsaas ho gaya tha ke main use jaan se maar doonga. Uski dono aankhen palat gayi thi aur vo jaise meri giraft mein jhoolne sa lag gaya tha. Badi koshish karke usne apne dono haath uthaye aur mere aage jod diye, jaise vinti kar raha ho ke main uska gala chhod doon.
Uske saathiyon ne jab dekha ke main uski jaan lene par utar aaya hoon aur lakh koshish ke baad bhi 8-9 ladke milkar use nahi chhuda paaye toh vo samajh gaye ke mamla murder ka banne wala tha. Tab tak us ladke ki aankhen poori tarah palat chuki thi aur munh se laar behne lagi thi. Ab aalam ye tha ke uske saathi mujhe marna chhod khade chup chap dekh rahe the aur vo mere aage haath jode bejaan se meri giraft mein jhool sa gaya tha. Us waqt ek tarah se maine uska gala pakad kar use khada kar rakha tha varna vo toh kabka gir chuka hota.
"Mar gaya ye, nikal yahan se" Kisi ek ladke ne kaha aur vo fauran apni gaadiyan lekar vahan se bhaag gaye.
Unke jaane ke baad maine uska gala chhoda aur vo fauran sadak par gir gaya. Ek pal ke liye toh mujhe bhi laga ke vo mar gaya hai par jab kuchh seconds baad vo khaansne laga toh main samajh gaya ke abhi zinda tha. Mujh par hockeys se kaafi vaar kiye gaye the. Khoon ab mere sar se bhi beh raha tha par gussa thanda nahi hua tha. Main abhi bhi use aur marna chahta tha par jaise hi aage ko badha chakkar khakar khud neeche gir pada aur behosh ho gaya.
fantastic update bhai
 

ashish_1982_in

Well-Known Member
5,573
18,878
188
Mujhe hosh aaya toh main hospital mein tha aur mere bed ke paas hi meri maan bethi thi. Mujhe aankh kholta dekh vo fauran mere paas aayi.
"Shukr hai uperwale ka" Unhone mere sar par haath pherte hue kaha "Thehar main Doctor ko bula kar laati hoon"
Mere kuchh kehne se pehle hi vo kamre se bahar nikal gayi.
Maine lete lete hi apni halat ka jaayza liya. Shareer par kayi jagah pattiya chadhi hui thi aur dono arms kohni tak plaster mein thi. Ek haath mein drip lagi hui thi jisse hota glucose ya shayad kuchh aur mere shareer mein ja raha tha. Maine uthkar bethne ki koshish ki par fauran aisa laga jaise mere pattiyon mein bandhe sar mein hathode baj rahe hon aur maine sar phir takiya par rakh diya.
Apne shareer se nazar hata kar maine apne aas paas dekha. Us waqt main ek khaase bade kamre mein tha jo kisi 5 star hotel se kam nahi tha. Kamre ke beecho beech bichhe bed par main leta hua tha, dono taraf do tables thi jin par phool rakhe hue the. Thodi hi door khidki ke paas kisi living room ki tarah ek table aur uske 3 taraf sofas rakhe hue the aur deewar ke saath ek bada sa TV rakha hua tha. Kamre mein hi attached bathroom bhi tha.
Matlab saaf tha. Main ek kaafi mehenge kism ki hospital mein tha par kaise? Mere maan baap ki maali halat koi itni zabardast nahi thi ke vo is tarah ke hospital mein mera ilaaj afford kar sakte. Yahan ek kamre ke charges kisi 5 star hotel se zyada hi honge aur uper se Doctors ki fees aur dawaiyon ke kharche.
Apne parents ki jeb ke hisaab se toh mujhe AIIMS jaise kisi hospital ke General ward mein hona chahiye tha.
Main abhi soch hi raha tha ke kamre ka darwaza khula aur ek policewala andar daakhil hua.
"Abhi bahar aapki maan ko batate hue suna ke aapko hosh aa gaya hai, baaat kar sakte hain 2 min?" Vo mere bed ke nazdeek aata hua bola. Ek haath mein uske ek notebook thi aur doosre mein pen.
Main janta tha ke vo kya puchhne wala tha isliye haan mein sar hila diya.
"Bayaan lena tha aapka"
Maine phir haan mein sar hilaya.
"Aap jaante hain ke vo kaun the jinhone aapko us raat mara?"
Main nahi mein sar hila diya.
"Koi jana pehchana chehra?"
Maine phir inkaar mein sar hilaya.
"Kisi ke saath aapki dushmani jo aisa karna chahta ho? Haal filhal mein kisi se koi jhagda hua ho?"
Mere dimaag mein fauran Renuka ka naam aaya par gardan meri inkaar mein hi hili.
Vo policewala aage puchhna hi chah raha tha ke kamre ka darwaza phir khula aur meri maan ek nurse ke saath andar daakhil hui.
"Ye kya hai? Abhi use hosh aaya hi hai aur aap shuru ho gaye? 2 min chain ki saans toh lene do use, abhi Dr. ne dekha bhi nahi hai" Vo fauran policewale par phat padi.
"Maanji bayaan lena hai" Policewale ne kaha.
"Haan toh baad mein le lena, kahin bhaga thode hi ja raha hai vo. Kam se kam Dr. log ko dekh toh lene do ke uski halat kaisi hai"
"Aap abhi please bahar jaaiye. patient abhi coma se bahar aaya hi hai, its not the right time to question" Nurse ne kaha.
"COMA ????" Mere dimaag mein fauran ghantiyan baj uthi.
Policewale ke jaane be baad us Nurse ne mera muayna kiya. Ek torch jala kar meri aankhon mein jhanka toh kabhi mere munh mein, ek anguli utha kar mujhe uski taraf dekhne ka ishara kiya, kamre mein rakhi cheezon ke baare mein puchha ke kaun si cheez kya hai aur phir apne notepad mein kuchh likh kar bahar jaate hue mujhse boli,
"Aap abhi aaram kijiye, zyada stress nahi lena. Thodi der mein Doctor Khurana aapko dekhne aayenge"
"Kitna mara mere bachche ko" Nurse ke jaane ke baad meri maan mere sar par haath pherte hue boli "kaisa lag raha hai abhi?"
"Ye Nurse kya bol rahi thi?" Maine dheemi aawaz mein bola "Coma?"
"Haan, 4 din baad hosh aaya hai tujhe aaj" Kehte hue vo lagbhag ro hi padi "Kisne kiya ye, kaun the?"
"4 Din?" Main hairani se bola "Aur ye hospital?"
"Haan, bhala ho tere doston ka jo yahan itne achhe hospital mein leke aaye tujhe"
"Mere dost?" Meri samajh mein kuchh nahi aa raha tha. Mera koi dost itna ameer nahi tha jo is jagah ko afford kar sakta, actually toh mera dost koi tha hi nahi. Sirf jaan pehchan ke log the "Kaun dost?"
"Arrey tere college ke ladke, sabne paise milkar jama kiye aur tujhe yahan leke aaye. Aur ek ladki bhi thi"
"Ladki?"
"Haan idhar bahar hi bethi hai abhi bhi, thehar main bula kar laati hoon"
Maan ek baar phir bahar gayi aur is baar jab darwaza khula toh main hairani se dekhta reh gaya. Darwaze par maan ke saath Renuka khadi thi.
"Kaise ho tum?" Vo andar aate hue boli. Main jawab mein kuchh keh na saka. Bas gusse aur hairani se use dekhta raha. Is ladki ki himmat dekho, meri ye halat bana kar khud hi yahan khadi hai. Mujhe aisa laga jaise vo mera mazak sa uda rahi thi, apni superiority ka ehsaas dila rahi thi.
"Tum dono baat karo, main kuchh khaane ka puchhke aati hoon tere liye" Kehte hue Maan hamein akela chhod kar chali gayi.
"Yahan kya kar rahi ho tum?" Unke jaate hi main fauran Renuka se bola.
"Tumhare bills pay kar rahi hoon" Vo mere bed ke paas rakhe chair par bethte hue boli "How are you feeling now?"
"Tumhari himmat kaise hui yahan aane ki?"
"Tum sabke saath hi aise pesh aate ho ya main special hoon?"
"Special? Mere liye tum koi nahi ho"
"I know, toh matlab ke tum sabke saath hi aise ladte rehte ho jaise mere saath, kisi se dhang se baat nahi karte"
"Dhang se baat? Tumse 2 bol bole the maine aur nateeja ye nikla ke 4 din se yahan behosh pada hoon. Vaise jaan sakta hoon ke mujhpar itni meharbaani kisliye"
"Meharbaani?"
"Haan, khud meri ye halat banva kar yahan itni achhi jagah ilaaj karana? Kya jata rahi ho? Chhota dikha rahi ho mujhe?"
"Tumhein lagta hai maine karvaya ye sab?" Use meri baat ka bura laga aur mere kareeb aate hue vo boli.
Lagta nahi hai" Maine munh banate hue kaha "Pata hai mujhe ke tumhari hi kartoot hai ye"
"Mera ismein koi haath nahi hai, samjhe" Vo bhi thoda chidte hue boli.
"Toh vo ladke kya yun us raat mujhe maarte hue tumhare naam ki mala jap rahe the? Itna bevakoof hoon nahi main jitna tum samajh rahi ho. Vo na bhi lete tumhara naam toh apne aap hi samajh aane wali baat ki meri us din ki harkat ka badla le rahi thi tum"
"Wah, ek toh bhalai karo aur uper se taane bhi suno" Vo mere bed ke paas ek kursi khinchte hue beth gayi.
"Exactly, agar tumne nahi karvaya ye sab toh bhalai kyun kar rahi ho? Is meharbani ki 2 hi vajah hi sakti hain, ya toh tum is baat se dar rahi ho ke main police ke aage kya munh kholunga ya phir tumhara guilt tumhein is baat ke liye force kar raha hai. Jahan tak mera khyaal hai tum shayad police ke dar se yahan maujood ho, guilt ki vajah se nahi"
"Sar pe chot lagi hai na tumhare isliye dimaag kuchh zyada hi chal raha hai tumhara. Jahan tak police ki baat hai toh tum chahe jo gala phado, mujhe koi farak nahi padta. Main ye keh rahi hoon ke maine ye sab nahi karvaya par maine ye nahi kaha ke ye meri vajah se nahi hua"
"Kya matlab?"
"Matlab ye ke tum sahi ho, ye sab us din meri tumhari kaha suni ki vajah se hua tha, yaani meri vajah se hua tha par maine nahi karvaya. Maine unmein se kisi bhi ladke se nahi kaha tha ke jakar tumhare saath maar peet karein, main aisa kuchh nahi chahti thi"
"Oh, par ...." Maine kehna chaha toh usne haath ke ishare se rok diya.
"Baat khatam karne do mujhe. Tum pehle ladke nahi ho jo mere saath aise pesh aaya hai. Aadat hai mujhe aur aisi baaton ko ignore karna maine bahut pehle seekh liya tha. Jis kisi ko bhi main ghaas nahi daalti vo khij kar aise hi baat karta hai mujhse, mujhe neecha dikhane ki koshish mein"
"Toh tumhein lagta hai ke ...." Main phir bola toh usne phir chup kara diya.
"Us din ke incident ke baad main toh ghar jaake lambi taanke so gayi thi. Tumhare pichhe ladke bhejna toh door ki baat hai maine toh socha tak nahi tha us baare mein par vo ladke khud hi bero banne chal diye. Unhein laga ke yun tumhare saath maar peet karke unhein shayad meri taango ke beech aane ka mauka mil jaayega"
Usne jis bebaaki se ye baat kahi thi vo dekhkar mera munh khula ka khula reh gaya. Zyada ladkiyon ko main janta nahi tha aur jinko jaanta tha vo bechari badi shareef sidhi saadi type ladkiyan thi. Kisi ladki se is tarah ki baat sunne ka mere ye pehla mauka tha.
"But anyways ... "Usne apni baat jaari rakhi "Maine jo kiya, i mean tumhara ilaaj vagerah yahan par karvana, vo kisi darr ki vajah se nahi tha, mujhe bura lag raha tha isliye"
"Oh" Main itna hi keh saka.
Vo koi aur aadha pauna ghanta mere saath rahi aur ham idhar udhar ki baatein karte rahe. Tab mujhe pehli baar ehsaas hua ke vo utni buri thi nahi jitni ke main samajh raha tha. Andar se vo bhi bas ek aam si ladki thi, bas showbaazi karne ki aadat zara zyada thi.
"Theek hai na yaar ...." Vo haste hue boli thi "I am good looking and i know that. Mujhe pata hai ke main shakal soorat se achhi hoon toh koi paap thode hi hai. Agar dikkat hai meri khoobsurati se toh jao kar do Bhagwan pe case, unhone banaya hai mujhe aisa. I know how to carry myself and i do that. Duniya ki kaun si aurat aisi hai jo make up nahi lagati chehre par, ya achhi nahi dikhna chahti, sab chahti hai toh maine kiya toh kaun sa paap kiya. College aati hoon toh saali saari ladkiyan aise kilasti hain mujhse jaise maine unke khasam bhaga rakhe hon"
Uski is baat par main zor se has pada.
"Haan yaar, kehti hain ke main ladkon mein hi ghusi rehti hoon. Ladki koi baat karti hi nahi mujhse toh main kya karun"
"I am sorry for being rude that day" Baaton baaton mein maine kaha.
"And i am sorry ke meri vajah se tumhare saath aisa hua ..." Usne muskura kar jawab diya.
Tabhi kamre mein meri maan aa gayi aur unke pichhe pichhe Kamini thi. Meri maan ke haath mein ek tray thi jismein kuchh ande aur ek glass doodh tha.
"Le kuchh kha le ...." Vo meri table par tray rakhti hui boli.
"Ise abhi 4 din baad hosh aaya hai, kuchh khilane se pehle ek baar Dr. se check kar lijiye aap" Renuka meri maan se boli.
"Arrey 4 din se bhookha pada tha, khilane par kaisi rok tok. Khaayega nahi toh achha kaise hoga?"
"Aunty Phir bhi aap ek baar Dr. se check kar leti toh theek rehta"
Usne kaha toh meri maan soch mein pad gayi.
"Thehar main puchhke aati hoon us nurse se" Aur vo phir kamre se bahar nikal gayi. Ab kamre mein main Renuka aur Kamini reh gaye.
"Kaisi ho?" Maine Kamini se puchha.
"Meri chhodo, how are you feeling now?"
"As if i have just been hit by a train ..." Maine muskura kar jawab diya.
"Chhi, aisa nahi kehte" Vo mere bed ke paas aakar khadi ho gayi.
"Achha chalo main chalti hoon" Kehkar Renuka uth khadi hui "Tum aaram karo, main kal dekhne aaoongi"
"Thanks for everything" Maine usse kaha.
"You are very welcome. Take care" Kehkar vo apna purse utha kar chal di.
"Kuchh kha nahi sakte, magar doodh toh pi hi sakte ho?" Kamini ne kaha.
"Nahi inhein Glass se doodh pina pasand nahi hai" Renuka jaate jaate palti aur kehkar hasti hui darwaze se nikal gayi. Main janta tha ke uska ishara meri kis baat ki taraf tha aur muskura utha.
"Kya matlab tha iska?" Uske jaane ke baad Kamini boli.
"Kuchh nahi, never mind her. pagal hai" Maine haskar kaha.
"Ye kyun itni meharbaan ho rahi hai tum par?"
"Kyun tumhein jalan ho rahi hai?" Main uske chehre ko gaur se dekhta hua bola.
"Haan bilkul ho rahi hai. Zabardasti chipak kyun rahi hai itna ye, ye ehsaan jatane ka matlab kya hai"
"Ab chhodo bhi use, achhe khaase hospital mein ilaaj ho raha hai mera, kya problem hai. Hone do jaise ho raha hai"
"Bachkar rehna isse, iske jaisi ghar basati nahi, sirf ghar ujaadti hain"
Us din bhale hi Kamini ne ye baat jalan mein laparwahi se kahi thi par ab sochta hoon ke kya mujhe us din uski baat sun leni chahiye thi? Kya usne jo kaha vo sach tha? Aaj Renuka ke marne ke itne waqt baad bhi Jab bhi maun uske baare mein sochta hoon toh vo din yaad aa jata jab mere paas vo phone call aaya tha, har baar mere kaano mein us phone par kahe gaye vo shabd goonjne lagte hain.

"Aapki biwi ne suicide kar liya hai"
Fantastic update bhai
 

ashish_1982_in

Well-Known Member
5,573
18,878
188
Chapter 7 - Inspector Sharma

Negi meri ummeed se kahin zyada utsukt nikla meri madad karne ke liye. Agle din main subah sokar utha hi tha ke vo mere darwaze par police files ke saath aa khada hua.
"Subah savere?" Maine darwaza khola aur muskuarte hue usse bola.
"Vo actually ye files main kal raat ghar hi le gaya tha, abhi police station ki taraf ja raha tha toh socha ke aapko deta chalun"
"Thanks" Main darwaze se hata taake vo andar aa sake "Thanks so much. Chaai?"
"Haan kyun nahi" Usne fauran haan bol di aur andar aa gaya.
Maine kettle se 2 cups mein chaai daali aur ek cup uske haath mein thamaya.
"Kya lagta hai aapko Sir?"
"Matlab?"
"Matlab kya hua hoga 20 saal pehle? Kahan gayad hue honge Ravi Sahab is tarah ke koi nishan tak nahi mila?"
"I am just getting started, too early to jump to any conclusion"
"Haan sahi keh rahe hai. Kuchh log toh ismein bhoot pret ka haath bhi maante hain"
"Bhoot pret? Unhein Ravi mein kya dilchaspi ho sakti hai?"
"Aap toh jaante hi hain ke log kis tarah ki baatein karte hain. Jitne munh utni baatein aur utni hi atkalein"
"Yeah i guess you are right"
"Kuchh toh yahan tak kehte hain Bade sahab ne hi apne bete ko mara tha"
"You mean Ravi's father, Mr. Rana?"
"Ji haan. Ye bhi baat hai kayi jagah ke khud hi apne bete ko mara unhone aur ek jhootha police case karva diya logon ko dikhane ke liye"
"Aisa maanne ki koi vajah?"
"Pata nahi Sir, main toh suni sunayi baatein bata raha hoon aapko. Us waqt aur jaane aisi kitni baatein udi hongi"
"Hmmmm. Aapko mera ek kaam aur karna hoga"
"Haanji kahiye"
"Mr. Sharma ka phone number kahin se available kara dijiye please"
"Haan ho jaayega. Main puchhta hoon ek do logon se, kisi na kisi ke paas toh hoga hi nahi toh records mein mil jaayega"
"Thank you, i appreciate it"
Vo thodi der aur mere saath betha aur idhar udhar ki baatein karta raha. Uske jaane ke baad maine ek cup mein apne liye chaai aur daali aur police files dekhne laga.
Ravi Rana ek bahut hi dilchasp kism ka aadmi tha. Pehalvani ka shauk tha aur paas ke hi ek akhade mein rozana uska aana jana tha. Iske alawa use gaane ka bhi shauk tha aur guitar and tabla bakhubi baja leta tha. Kisi Rehmat Ali School Of Music se usne classical indian music ki training li hui thi aur apne school aur college ke kayi concerts mein start attraction vahi hota tha. Yahan ke ek local mein aksar uske articles chhapa karte the aur wildlife photography ka shauk bhi Bhai ne paal rakha tha.
In short agar kaha jaaye toh vo kaafi creative kism ka aadmi tha par in sab baaton mein jo baat mujhe sabse atpati lagi vo ye thi ke doston ke naam par koi bhi aisa nahi tha jise uska kareebi kaha ja sake sivaay Kanha ke. Is tarah ke log aksar kaafi extroverts type ke hote the aur logon mein badi jaan pehchan hoti hai. Dosti agar na bhi ho toh unke followers kaafi hote hain. Aise log jo is tarah ki personality ko dekh kar inspire hote hain aur koshish karte hain ke us insaan ke baare mein zyada se zyada jaan saken.
Par Ravi ke saath aisa nahi tha. Vo jaise apne aap mein ek bahut badi mystery hi tha. Gayab hone se pehle uski dincharya akhade se shuru hoti aur phir sara din vo apne baap ka kaam sambhala karta. In sabse agar time nikalta toh apne music, writing aur photography ke shauk poore karta par har kaam akele. Aksar dekhne mein aata hai ke is tarah ka khula paisa agar haath mein ho toh ameer baap ki aulad aksar bigdi hui nikalti hai. Sharab, shabab, nasha aur na jaane aise kitne tarah ke shauk saath lag jaate hain aur zyadatar waqt doston ke saath ayyashi mein hi guzarta hai par Ravi ke saath aisa nahi tha. Na toh use is tarah ke galat koi shauk the aur na hi bahut zyada logon mein uska uthna bethna.
Police reports ke hisaab se pichhle kuchh din se unke aur Ravi ke beech jaaydad ko lekar anban chal rahi thi. Ravi batwara chahta tha taaki uske hisse ki jaaydad use naam kar di jaaye. Files mein yahan tak likha hua tha ke vo apne hisse ki jaaydad bechkar kisi foreign country mein shift hona chahta tha aur Mr. Rana uske khilaff the.
Us shaam bhi baap aur bete ke beech is baat ko lekar anban hui aur Ravi paon patakta hua ghar se nikal gaya aur phir lautkar nahi aaya. Case ke investigating officer Mr. Sharma the. Kayi logon ke bayaan initial FIR ke saath file mein the jinmein se kayi naamon se main vaakif tha aur kuchh naye the. Mr. and Mrs. Rana, Mr. Pratap Rana, Sakshi Rana, Raj Rana, Liyaqat aur Kanha, ye saare naam main pehle bhi sun chuka tha par inke alawa aur kayi aise logon ke bayaan darj the jinka naam maine pehle nahi suna tha.
Sabse important baat jo reports mein maine dekhi vo ye thi ke us waqt yahan chalne wali Bus Service ke logon se baat ki gayi thi.
Chail ek bahut hi chhot sa kasba hai aur 20 saal toh main khud bhi andaza laga sakta tha ke yahan ka mahaul kaisa raha hoga. Investigation ke dauran Chail mein maujood kisi hotel mein Ravi ne us raat check in nahi kiya tha. Baarish us shaam bahut tez thi aur agar vo ghar nahi aaya toh kahin na kahin toh raat zaroor guzari hogi par na toh report ke mutaabik vo apne kisi dost ya rishtedaar ke yahan pahuncha aur na hi kisi hotel mein check in kiya.
Us waqt Chail ki Bus Service limited thi aur yahan se Himachala Roadways ki kuchh buses Shimla ki taraf jaati thi aur Chandigarh ki aur. Us shaam Ravi ke ghar se nikalne ke baad Chail se kul milakar 3 buses gayi thi par Ravi unmein se kisi mein nahi betha aur na hi uske baad agle kuchh din tak kisi aur bus mein. Kufri, Shimla aur Solan Chail ke paas hi base hue towns hai par paidal chalkar jaane layak distance nahi hai, khaas taur se ek barsaati shaam mein to ye mumkin tha ke Ravi ne kisi se lift li ho. Is baat ko madde nazar rakhte hue agle kuchh din tak har newspaper mein ad di gayi par koi aisa saamne nahi aaya jisne Ravi ko us raat lift di ho. Investigation ke hisaab se Chail ke 100 kms ke radius mein jo bhi hotel ya guest house tha har kisi se puchha gaya par Ravi ne kahin check in nahi kiya.
In short agar kaha jaaye toh vo aise gayab hua jaise gadhe ke sar se seeng.
Maine baaki logon ke bayan par nazar daalni shuru ki. Sabse pehle meri nazar padi Ravi ke eklaute dost Kanha ke bayan par.
Jo ek cheez mujhe Kanha ke bayaan mein sabse ajeeb lagi vo ye thi ke jahan ek taraf mujhe ab tak ye bataya gaya tha ke gayab hone se pehle Ravi kaafi pareshan tha vahin Kanha ke bayaan ke mutaabik aisi koi baat nahi thi. Ravi gayab hone ke din tak bilkul theek tha aur use Kanha ko aisi koi baat nahi kahi thi jisse aisa lage ke vo ghar chhod kar jaane ke plan mein tha.
Kanha ne apne bayaan mein kaha tha ke Ravi jis din gayab hua us din dopahar ko vo Kahna ke ghar aaya tha. Dono kisi kaam se Solan gaye aur phir uske baad Ravi Kanha ko uske ghar chhod kar apne ghar chala gaya. Un dono ka us shaam Shimla ki taraf jaane ka irada tha magar mausam ke biagd ne ke karan vo plan unhone agle din ke liye post-pone kar diya.
Kanha ke hisaab se Ravi na toh kisi baat ko lekar pareshan tha aur na hi uski us dauran kisi se koi an-ban thi jo koi usko nuksaan pahunchana chahta. Vo toh balki agle din usne saath Shimla jakar use uske janamdin ke liye kapde dilvana chahta tha.
Very nice update bhai
 

ashish_1982_in

Well-Known Member
5,573
18,878
188
Ek baat saaf ho chali thi. Jab tak main is case se jude har insaan se baat nahi kar leta tab tak kuchh bhi saaf taur par mere palle nahi padne wala tha. Aur is case ki jo mere hisaab se sabse mazboot kadi thi vo tha Ravi ka bhai Raj jisse ki ab tak meri mulaqat nahi ho paayi thi. Kanha ke alawa Ravi sirf apne bhai ke kareeb tha toh mumkin tha ke Raj se koi aisi baat pata chal sake jo ab tak saamne na aayi ho.
Maine uthkar ek cup chaai aur banayi aur TV on kar liya. Thoda waqt hi beeta tha ke mere phone ki ghanti baj uthi, call Kamini ki thi.
"Kaisi hai Kameeni?" Maine haste hue kaha.
"Shut up" Doosri taraf se uski aawaz aayi "Mera naam bigadna band karo"
"Sahi sochke naam rakha uncle aunty ne tera. Personality se suit karta hai teri"
"Haan haan maine toh bada tumhare khet se bhains chura li na jo main Kamini se Kameeni ho gayi"
"Bhains kya tera bas chale toh tu mujhe hi chura le jaaaye"
"Irada toh kabse yahi hai par tum haath kahan aate ho?"
"Aur aaoonga bhi nahi tere haath mein, koi aur dhoondh le apne liye. Subah subah meri yaad kaise aa gayi?"
"Kuchh soch rahi thi"
"Wow ... ye toh breaking news hai. Tu soch rahi thi?"
"Shut up, main soch rahi thi ke office se kuchh din ke liye leave le loon"
"Kyun, kahin jaane ka irada hai?"
"Haan"
"Kahan?"
"Soch rahi thi vahin tumhare saath aa jaati hoon. Thoda vacation type ho jaayega mere liye, kaafi bore ho gayi hoon is monotonous life se"
"Yahan aake mere saath rahegi?"
"Haan kyun, problem hai tumhein?"
"Mujhe toh koi problem nahi hai par soch le, darr nahi lagega?"
"Kis baat ka darr?"
"Ek akele ghar mein ek jawan ladka, tu ek jawan ladki?"
"Ohhhh, Ke kahin tum kuchh ulta sidha na karo mere saath, mera fayda uthane ki koshish na karo?"
"You never know" Maine has kar kaha.
"Jaaneman tum ek baar bas ishara toh karo, tumhein toh saara faayda dene ko main khud kabse taiyyar bethi hoon. Tum faayda uthane wale bano toh sahi"
"Bakwaas na kar" Ab jhepne ke baari meri thi "Seriously bol rahi hai tu yahan aane ka?"
"Haan"
"Kya karegi, main saara din case ke chakkar mein yahan vahan dhakke khata phirunga aur tu akeli bore hogi"
"Bore kyun hone lagi akeli, tumhare saath kuchh dhakke main bhi kha loongi. Isi bahane main jagah bhi dekh loongi aur tum soch lena ke tumhein ek assistant mil gayi"
"Marzi hai teri"
"Theek hai, main office se leave lekar batati hoon tumhein"
Usse baat karke maine phone rakha hi tha ke ghanti phir baji. Is baar call Inspector Falana Falana ki thi.
"Haan Negi Sir" Maine call receive ki.
"Sir vo Sharma ji ka number mil gaya"
"Itni jaldi?" Maine hairat mein kahan aur phir dil hi dil mein socha "Man, this guys is really going out of his way toh help me"
"Haan vo maine apne ek jaankaar ko phone kiya aur by chance number unke paas hi mil gaya"
"I cant tell you how thankful i am to you for all this help"
"Arrey koi baat nahi Sir, isi bahane thoda bahut shayad aapke kaam karne ka style main bhi seekh loon"
Usse number lekar maine fauran hi Sharma ka number ghuma diya. Number landline ka tha, ghanti baji aur ek aurat ne phone uthaya.
"Kaun chahiye?" Phone uthate hi sidha sawal daag diya gaya.
"Ji main Sharma ...." Maine kehna shuru hi kiya tha ke baat kaat di gayi.
"Kaun Sharma?"
"Matlab?"
"Matlab Kaun Sharma?"
"Ji Surya Prakash Sharma" Maine Sharma ka poora naam bola.
"Vo toh hamara Saahib Hai. Tumhara bhi naam Surya Prakash Sharma hai?"
"Ji nahi"
"Abhi toh tum bola"
"Kya bola?"
"Ke tum Sharma"
"Nahi main toh keh raha tha ke mujhe Sharma ji se baat karni hai"
"Haan toh aisa bolo na phir"
"Haan toh main bol toh raha tha par aapne ..."
"Saahib abhi ghar pe nahi hai"
Aur phone rakh diya. Maine phir number ghumaya.
"Kaun Chahiye?" Phir phone uthate hi sawal daga gaya.
"Ji Sharma ji kab aayenge?"
"Pata nahi"
"Ek mesage de sakti hain?"
"Tum kaun?"
Maine apna naam bataya.
"Kya message dena hai?"
"Ek number deta hoon, unhein kahiyega ke mujhe is number pe call kar lein please"
"Theek hai, number kya hai?"
"98..." Maine apna mobile number batana shuru kiya.
"Haan" Us aurat ne number likhna shuru kiya.
"96"
"98 ..."
"Haan, 98"
"98 ..."
"96"
"Abhi toh bole 98"
"Haan uske baad 96"
"96 ... 98 ke baad 96"
"Haan, 94"
"96 ke 94?"
"Arrey pehle 96 uske baad 94"
"Pehle toh 98 bole aap"
"Haan pehle 98 aur baad mein 96"
"Aur abhi bole ke baad mein 94?"
"Arrey pehle 98 aur baad mein 94, iske beech mein 96"
"Ab ye beech wala kahan se aaya, abhi toh aap bole ke pehla wala aur baad wala ..."
"You know what, maine phone kar loonga khud baad mein" Aur maine phone rakh diya.
Very nice update bhai maza aa gya
 
Top