• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery Raj-- hero of the family

Story ki ending kya hogiiii


  • Total voters
    464

Sandeep singh nirwan

Jindgi na milegi dobara....
11,031
70,052
259

Rajesh

Well-Known Member
3,664
8,063
158
update 152

Death halo's Death game begins

Recap...
Delhi outer…
Ajju —- are tuje pura yakin h …yanha wo ayenge…
Shrutiii--- bilkul ayenge …teri nahi hu jo adhure kaam karti huu…main ek mahine se piche padi hu
Ajju-- adhure aur main …main toh tere piche kitne salo se pada hu aur ….ek din tuje apna bana ke rahunga
Shruti-- sapne dekh …
Ajju-- ab nahi ayenge chal kal subhe abhay ka birthday bhi h …usai lekar morning mai…. shipping par chalna h aur phir party karenge…..
Shrutii--- ok let's go……

Continues..update 152....

Shiwani gadi start karne ke baad khud se he baate karti huvi ja rahi thi….

“Pata nahi raj kyu gaav gaya inke sath akele chodh ke mujhe wo hota tha toh kam se kam ye ladte toh nahi the,ab Dinbhar bhabhi nanand ki baate sunni padti hai…dono ek dusre ki burayi karti rahti h abhi wo thodi dur he gayi thi ki gadi band ho gayi…..aur wo gusai se badbadate huve ki issai bhi meri khusi bardast nahi hoti h kya jo ab ye bhi pareshan karne lagi..ye kahte huve….lagatar self markar gadi start karne ki koshish kr rahi thi jo ho nhi rahi thi … phir tang aakar gaadi se bahar nikli dekhne ke liye ki kya hua hai.Usne gadi ka bumper khol ke upar kiya aur dekhne lagi ki hua kya hai.Usne dekha ki fuel buffer bhi thik hai engine me bhi kuchh problem nhi dikh rahi to wo confuse ho gayi akhir problem kya hui gadi me diesel bhi hai aur kahi leakage se koi tube kati bhi nhi hui hai to kya problem hui hai.par usai kuch samaj nahi aya..

Usne tang aakar gaadi ke tyre par laat maari aur phone nikal kr help ke liye call lagane lagi par uske mobile pe tower nhi araha tha jissai wo thodi shock hui aur usse smjhte der nahi lagi ki kuch gadbad hai.Usne jaldi se apni gun apane kamar pe tange gunpocket se nikali aur load krte hue chaukani hokar aaspass ka jayeza lene lagi.Ussai ek baat utane der se pareshan bhi kar rahi thi ki Road pe ek bhi gaadi abhi tak nahi dikhi thi .Uska sakk ab confirm ho raha tha aisi situation me to usne turant apana phone nikala emergency no. dial karne ke liye lekin tabhi usse kuchh awaz sunayi padi jo sun wo bina waqt gavaye gaadi se dur jungle ki ore bhagane lagi.

Tipp-Tipp...TipTipTipTip....ki awaj tehuvi...Peeeeeee.....

Wo abhi gaadi se 40 kadam hi dur bhagi thi ki

Boooooooommmmmmm

.....

Dhasssshhhhhh-Dhaddddd

Gaadi ke parkaccche aakar jamin par gire aur ek aur jordar blast hua

Booooooooooom*

Gaadi ke parkachhhe ud gaye the,Pura malwa idhar udhar bikhra pada tha aur aag ke lapte unn malwo me lahak dahak rahe the.bomb ke fatne se kala dhunva charo taraf fail gaya tha..

Wahi uss blast se kuch metre dur ek ped ke pass Shiwani giri padi thi jiska sar pathar par laga hua tha, jiske karan wo behosh ho gayi thi aur uske bagal me gira uska phone jispar emergency no. beep ho raha tha.

Screeeeechhhh

Ek car aakar ruki aur usmai utara jasien wo muskarta huva dheere dheere behosh padi shiwani ko taraf chala gaya …..

Jasien--- Tum toh abhi se behosh ho gaye khel toh abhi suru huva h…..

Jasien ke chahre pe ayi muskan ye bhanya karne ke liye kaafi thi ki agai kya hona h….usne shiwani ke pair ko pakda aur bedardi se kankad pather ke upar se ghasit ta huva car ki taraf lekar jane laga …..

Morning 11 am ….

DT MALL*

Sari ghatna se bekhabar abhi shruti aur ajju just mall se bahar aaye the.Jaha ajju ka ek hath bags se bhara the to dusra hath shruti ke hath me tha.Dono samne dekhte hue badh rahe the,koi bhi undono me se kuch nhi bol raha tha siwaye muskurahat ke jo unke har man ki baat ko hotho par saja de rahi thi.

Wo dono aage badhe the parking ke ander ki shruti ko waha mall ke bahar icecream van dikhayi padi jispar likha tha

"Couples Cup"

Jo dekh wo excited hokar ajju ki ore dekhte hue boli

Shruti:-Ajju chalo icecream khate hai



Ajju—-shruti ki awaz sun uski ore dekhne laga aur ek baar icecream van ki ore dekha usne aur muskurate hue bola

Ajju- tum bolo to muh mitha hum yaha bhi kar sakte hai.

Shruti ne uski baat suni to uske gaal laal ho gaye aur usne do mukke jadd diye uske pith par piche se khair ajju gaya bag rakhne car me ye bolkar ki tum chalo wanha main aata hu.

Shruti jhumati hui van ki ore chali gayi to ajju parking ke ander.

Uske bagal me hi khada guard jo paper padh raha tha usne phone par

Guard:-ladki van ki ore hi jaa rahi hai aur ladka parking me gaya hai dusra plan follow krna padega.

Idhar ajay gadi ke pass pohocha hi tha ki ek admi ne tezi se uske hath me liya bag khinchka aage ki ore bhagane laga.Ajju ne turant react kiya aur piche bhagne laga Wo ladka bhagate hue underground parking me ghus gaya jiske pichhe piche ajju bhi parking mai gaya aur jaise hi usne underground parking me kadam rakha hi tha ki usse padi laat bagal se jo sidha uske jabde pe laga aur wo side ki ore pade net par gira.Jiske girte hi agal bagal ke pillar ke pichhe se kayi sare admi bahar aate hi net ko uske upar se bandhane lage jaha ajay nikalne ki koshish kar raha tha.

Unn logo me se ek ne bola jisne laat maari thi

Jasien-tum log toh ..bade halke nikle..aur hath mai li rod uske sir par de mari…. Ie chalo

Uski baat sun unn logo ne jaldi se net ke ander pade ajju ko utha kar ek mini truck ke pass le gaye jaha 2 bande drum liye pahle se hi khade the aur ajju ko unnlogo ne andar dala aur upar se band kar diya drum ko. phir us drum ko uthakar unlogo ne mini truck me rakh diya

Jaisen — uska hone le liya…

Admi2:-haa bhai,wo to jab wo cafeteria me baithe the tabhi utha liya tha …

Jasien--- ab udan pari ki bari wo kanha h …

Admi 3 lagta h ye abhi pura behosh nahi huva h …hil raha h …

Admi1:-Hilne de be konsa tod dega steel ka drum hai,chal be tu start kar gadi muh kya dekh raha hai.

Jasien — drum ke pass jakar …tu jitna hilega wo ladki utni tadpegi ….choice is yours …

Andar band ajju ne hilna band kar diya par uski ek ankh se ansuu bah nikla …

Wahi shruti van ke pass khadi thi aur parking ki ore dekh rahi thi

Shruti:-kaha rah gaya ajju ab

Usne phone nikala hi tha ki usse piche se kisi ki awaz aayi aur usne mud ke dekha to wo icecream van wala shaks tha jiska chehra white mask se aadha dhaka huva tha jiske bagal me ek ladki khadi thi

"Ma'am apka vanillated icecream ready hai with couples cup."

Shruti ne ek najar icecream par dali aur parking ki ore dekhkar wapas boli

Shruti:-Sorry par mere bf aaya nhi h abtak kya aap isse thode der rakh sakte hai mai dekh kar aati hu kaha rah gaye wo

Uss shakhs ne piche dekha jaha wo van me khadi ladki customer ko icecream dete hue usse dekhte hue hami bharti hai

"Sorry ma'am,But aap call kr ke bula lijiye."

Shruti ko uski baat sun ajjib lagi lekin fir usne ajju ko call lagaya to phone turant cut ho gaya wo abhi dubara call lagati ki uski najar network par gayi to waha tower nhi araha tha wo thoda dur gayi waha bhi tower nhi araha tha wo tower dhundhte hue van ke piche footpath par chadh gayi thi tabhi uss ice cream van ke side ka gate khula aur ek admi nikalte hi uske muh par rumal rakh kar dabane laga.Shruti chutne ke liye hath-pair sab chalane ki koshish kar rahi thi tabhi van se ek aur admi utra aur usse jabardasti wapas ander lekar chale gaye aur wo ladki jo waha baith kar dekh rahi thi usne wo gate band kar diya.

Tabhi wanha abhay bike lekar pahuchta h .. ….

Abhay — yaar ye dono bhi location toh yanhi ki send ki h shruti ne par dikh kyo nahi rahe h …..phir apne phone ko dekhkar aur ye network ko kya huva abhi toh tha ….

Itna kahkar wo idhar udhar dekhne laga phir ice cream van ke pass jakar

Abhay —phone dikhate huve kya tumhe bhi network problem arahi h...

Van ladki — sakpakate huve ….network problem nahi toh …

Abhay — oh….phir mere phone mai dikat ho gayi h….kya main ek call kar sakta hu …

Van ladki-- sorry but mera phone discharge ho rakha h ……aur muje abhi dusri location par van lagani h excuse me….

Itna kah wo driver ko van nikalne ka ishara karne lagi….abhay ne jayda dhayan nahi diya….aur wo idhar udhar unhe dekhne laga …..par usai ajju shrutii kanhi nahi dikhayi diye ..

Abhay — inka hamesa ka h …har baar aisa he karte h ….sale aise ..bolte h hum ek dusre ko dost mante h aur akele rahne ka bus mouka chahiye h …….

Jasien dur se abhay ko khada dekh muskarate huve bola ….teri bari bhi ayegi….itna kah usne mobile dial kiya aur ek number par ring jane lagi…..

Abhay jo idhar udhar dekh raha tha achanak uski nazar apne se 50 meter dur ja rahi van par padi jiske andar wo ladki kisi se phone par baat kar rahi thi…..

Abhay — abhi toh bol rahi thi discharge h phone aur abhi baat kar rahi thi mana karna tha toh aise he kar deti….aur Apni pocket se phone nikal kar dekha toh network araha tha….toh wo bola strange………tabhi uske pass ek message pop up huva…. Jispar likha tha….



Address

18°45′N 82°10′E

Time 24 hours …come alone…



DEATH HALO'S DEATH GAME BEGINS………

Mandawa....
Raj jhanvi ke sath khel raha tha uske mobile par message pop huva ...

....... ALERT........



Aj ke liye itna he masti mai padhne ka likes aur revoes pelne ka.....
awesome update bro
 

Rajesh

Well-Known Member
3,664
8,063
158
Update 153

Really…..



Abhay message padhte he samaj gaya ki kya huva h aur usne dimag se kaam liya aur khud se baat karte huve bola..”shrutii aur ajju itni asani se kisi ke kabu mai nahi aasakte the jarur wo log geenti mai jayda the …aur puri planing ke sath aye the warna ajju ko kabhu karna bilkul asan nahi h ..aur dono ke phone not reacheble hona is baat ka proof h ki ye message …unhi logo ka h jinhone dono ko kidnap kiya h ..aur ab agar main akela gaya toh hum teeno mai se he koyi nahi bachega” ye kahte huve usne turant sonali ko phone laga diya madad ke liye….par sonali jo sunil ke pass puri raat jagi huvi thi usai nind ki jhapki lage abhi 1 hour he huva tha isliye uski nind gahri thi aur table pe vibrate ho rahe phone ki vibration usai mahsus nahi huvi par screen par officer abhay likha huva call lagatar aata raha..toh dusri taraf abhay laga taar phone karte huve bole ja raha tha “ please pickup phone mam ..pick up the demit phone mam” par sonali ko ahsas hota tab toh wo uthati… abhay “shitt” bolta huve … pareshan ho raha tha …usai kuch samaj nahi araha tha ki kua kare….

Abhay-- Fuck Fuck Fuck …..bhad mai gaya wada mere dosto se bhadke nahi h koyi bhi wada .. sonali madam naraj ho toh ho ab raj bhai ko batana he padega aur usne phone laga diya raj ko …..



Raj side …..

Alert alert….. ki tone sunte he wo jhanvi ke pass se jhatke se khada huva ….aur apne phone par pop huve message ko dekhte he uski ankho….mai jo bhav the wo padhna namukin tha…..aur usne apne phone mai jaldi se app kholi ….aur usmai dekhne laga…..

1-Host shweta …..

Status — active

Current Location …..delhi…. commissioner bunglow…

2-Host sunil

Status — inactive

Last location — Delhi…..xxx Hospital …tracker off …..

Raj ne jaise he ye dekha usne turant he first floor se 2 jump mai he sidhiya paar kar li aur uski raftaar pahli baar itni tez thi …aur usai jyada thi uske dil ki dhadkan jo dugni raftaar se dhadak rahi thi…choti chachi ajay Divya aur dadaji ne jab usai dekha toh sirf Dadaji he samaj paye ki kya huva h aur wo wanhi se cheekhe … “ bheemaaa…….chetak nikal…..

Raj aur thakur jagmaal ki ankhe mili …par kisi ne muu se ek sabd nahi kaha

Bheema jo gate ke pass khada tha usne bhi seconds mai he reaction dete huve garrage ki taraf doud laga di ……raj gate ke pass pahucha tab usai peeche se ek chetak ki awaj sunayi dii

Raj ke baithte he bheema ne chetak ko douda diya …

Raj —— delhi ….

Bheema ne ha mai gardan hilayi ….aur gear laga kar delhi ki taraf wale highway par tezi se lejane laga……

Raj man mai “sunil ka tracker band hona asan baat nahi h uska tracker tabhi off ho sakta h jab wo tut jaye ya uski body se 5 meter dur ho jaye 12 hour ke liye

Aur sunil aisa karta toh muje batata par usne nahi kiya h iska matlab wo unconscious h…..aur last location hospital dikha raha…… ye sochte huve usne sonali ko phone mila diya….

Dusri taraf…..

Abhay —- ye raj bhai ka phone bhi busy araha h…. Kya karu mai itna kahte huve usne phone cut kar diya aur ek message likh kar deatil mai raj ko send kar diya …aur khud se man mai sochta huve bola shuruti ne muje dil se bhai maan kar rakhi bandhi h….wanhi ajju ne dosti ko ji jaan se nibhaya h …..nahiii ….koyi meri madad ko aye ya na aye main jaunga unhe bachane ke liye… ……kuch bhi ho jaye …..mere rahte unhe kuch nahi hone dunga….itna kah usne apni bike ghar ki taraf bhaga di janha se wo raj ki taraf se mili fortuner ko lekar jane wala tha….

Dusri taraf ….

Raj ne do baar call lagayi par sonali ne phone nahi uthaya…….

Police commissioner office-—

Meeting ….

Jogindar--- i dont care …muje RAC ki puri reserve force active within one hour puri city mai high alert par chahiye h har cctv mai dekho muje Acp shivani chahiye h dusre states mai fax karo dhundho unhe.. …

Sab — Yes sir ..

Jogindar —Ab Raj se aur chupaya nahi ja sakta h ..warna usai pata laga toh….sab gadbad ho jayegi….

3 police ki car tezi se college ke andar ghusi aur sidhi location trace karti huvi canteen mai ghus gayi..janha Deepika apne dosto ke sath baate kar rahi thi…..sabhi ne itne police walo ko dekha toh ghabra gaye …aur deepika ne moodkar unki taraf dekha wo bhi shok ho gayi itni police …sabhi police walo ne deepika ko charo taraf se cover kar liya

Senior SI-- Mam hume commissioner sir ne bheja h apko lane ke liye…apko hamare sath chalna hoga …

Deepika —-what happened..

SSI-- Emegency …

Deepika-- one minut….aur usne jogindar ko call laga dii….

Usai aise commissioner se baate karta dekh sab hakke bakke rah gaye ….udhar deepika situation samaj gayi thi isliye usne SSI ki taraf ha mai gardan hilayi aur bahar unke sath chalne lagi ….

Deepika-- mere body gaurds sath mai h…

SSI-- kanha h koyi bhi toh nahi dikhayi de raha h…

Deepika ne hawa mai hath wave kiya aur civil dress mai do 6 feet ke ladke samne agaye…….jinhe dekh police ssi bhi hairan ho gaya

Deepika--- Chaliye….



Dusri taraf is douran Jogindar singh ne raj ko call kar sab bata diya tha…..



Raj call cut karne ke baad chacha kya aur speed se nahi chal sakte h….

Bheema-- raj police rok kar time waste kar degi aur speed chalayi toh warna chetak ke engine ki power dikhata tumhe ….

Raj-- cheif ko call lagar kuch bolta h …aur phir chacha speed …..

Bheema-- ne chetak ki speed dikhayi jo highway par balance ke sath hawa ki raftar se daud rahi thi sara tarffic chief ne pahle he clear karwa diya tha …… Road ki side mai khadi police itni tezi se car ko jate huve dekh kar samaj nahi pa rahe the ki vip h ya vvip h….



Dur….

Ek wooden house mai jo pahado aur charo taraf jungle se ghira huva tha aur rah rah kar bhediye aur sher ki garajne ki awaje charo taraf se arahi thi…par us wooden house mai baithe huve insaan ke chahre par dar aur sikan ke koyi bhav nahi the … wo samne rakhe chess par wajir ko marte huve bolta h…“wajir gaya….bahut sakht jaan h wajir tu toh..bomb se bach gaya…. Par dont worry mara jayega aj tu jarur mara jayega mere bhai ko milke mara tha na tum sab tadap tadap ke maroge.…aur tere baad marenge tere hathi ghoda aur uuutt…wajir sab teri wajah se huva …isliye sabse pahle sunil singhaniya tu marega tere baad tera raja commissioner kuch nahi kar sakta h aur na tera baap kaptan singhaniya …aur rahe tere ye khass log unke sath ab hoga khel…jindgi aur mout ka itna kah kar wo jor jor se hasne laga aur uski hansi shant watawaran mai ghunj uthi…aur dubara cheekte huve bolta h…ki ..tumne dhokhe se mara mere bhai ko par main ….jisai duniya sanki urf death halo ke naam se janti h wo kabhi pith piche waar nahi karta h…ek mouka tum sabko jarur dunga….itna kah kar usne siti bajayi jisai se aaspass ki trees se kayi sare admi niche agaye….aur ek ghutna jamin par tikka kar sabne sir niche kar liya ….tab death halo bola vithal…..mehmaan 24 ghante mai ayenge jasien ko bolna ….mehman ka satkar khun se …..hona chahiye….koyi goli nahi chalayega cheer dalna h unki maut tadap tadap kar honi chahiye h jungli janwar unhe jinda noch noch kar khana chahiye h…



Dusri taraf abhay bhi car se nikal chuka tha destination ki taraf jo chattishgarh ka khunkaar Jungle tha janha janwaro ka raj tha insaano ki hadiya tak nahi milti thi …..aur udhar hospital mai sonali ki nind khulti h …wo apne phone ko check karti h toh 20 miscall dikhti h jismai jogindar deepika Raj Divya abhay ki thi…. Uske dil ki dhadkan badh gayiii.aur wo ek baar sunil ko dekhti jo behosh leta huva tha …phir message padhti h jo raj ka tha call back urgent…..itna padhte he uske dil ki dhadakna he rook jati h …..wo lambi lambi saans lekar raj ko call back karti h….par wo kuch bolti samne se awaj aati h…

“Sunil tumhare sath h”

Sonali-- Ha wo……

Raj “kabse behosh h”

Sonali--- kkkk kya….

Raj gusai se “suna nahi maine pucha kab se“

Sonali-- Raat se…

Raj “ Tum…..phir rook kar ….mere ane tak kisi ko bhi matlb dr ko bhi bina check up ke ab andar mat jane dena khatra kam nahi huva h wo ab tumhare liye ayenge…

Sonali kya……

Raj-- jis par sak ho shoot kar dena



Abhi phone cut huve 15 minut he huve the ki niche police ki 2 bolero aakar rookti h….aur unmai se 10 police wale utarte h aur hospital mai jane lagte h ….reception par pahuch kar Dr asthana

Receptionist icu special word 3rd floor…itna soonkar wo sabhi 3rd floor wali lift se upar chale jate h …wanhi sonali room ko band karke bahar safty ke liye akeli khadi ho jati h par usai room ke bahar kuch suspicious nahi lagta h par wo koyi laparwahi nahi rakhna chahti thi isliye upar se niche jhankar dekhti h …phir bhi usai sab tikh lagta h…sunil ka room sabse last mai alag se tha ….kyoki ye ek vvip private room tha….sonali stairs aur lift ke pass aakar chair par baith jati h aur 2 minut baad uske tikh samne khulti h lift......aur sonali ki nazre milti h


aj ke liye itna he masti mai padhne ka likes aur reves pelne ka update size 8.5k words
Super update hai bhai
 

Shek

Member
363
1,254
138
bahut din ke bad aapke updates bahut bahut Jabardast superb action adventure extraordinary aur aur aapko बहुत-बहुत Shukriya Aage Bhi aise hi updates dete rahiyega FIR Ek Bar बहुत-बहुत Shukriya
 

Sandeep singh nirwan

Jindgi na milegi dobara....
11,031
70,052
259
Waiting for new update bhai
Aj likhna suru karunga waise 1000 words likh diye h...
 
Top