#
Update2 (deewar k v kaan hote hn)
Ab me 5 min me apna table, books, niche gire kaagaj sab samet kar study room se nikla.
Gungunate hue hallway me se furti se nikal raha tha baki do bedroom me Nazar daalte hue.
Kahin didi idher to nhi baithi ye soch ke
Jese hi anderwali bedroom me dekha didi baithi hui thi ek long comfy long t shirt ya to pata nhi aajkal ke sleeping dress hote honge ese hi.
Meri thodi na shadi hui hai jo mujhe ye pata chalega!
Mujhe thoda asamanj laga ese kapdo me Priya dii ko dekh k , didi apni baal me clip laga rhi thi fir ek towel nikal k rakhi thi pass me , shayad apne gile per aur muh pochne k liye.
Dekha ki didi ab tak fresh hone me busy hai to me wapas chalagaya apne study room pe, ki aur thodi der baad aayajaye.
Han to mene jo pehle bhag me photo dala hai wesi thi didi ki situation
Middle class hain par dadaji ki kripa se ghar thoda bada tha haalaki purane zamane ka, par chhat tha 2 storeyed ki
Ek side me do bedroom aur hallway ke uss side kitchen, aur bathroom ek common aur dusra private
Saamne garage, bich me lamba hallway aur dine krne ki byabayha
Hubahu same upper stair me bhi, bas garage k jagah balcony
Ab baith k soch rha tha ki chala jaye didi ke pass ya aur thodi der rukun ? Kher didi ke bare me bata ke chalta hun
Didi bahot jyada Gori to nhi par Gori hai
Medium height-5'.2'
Gadhan bhi medium hi thi . Chalo ek photo se jyada samajh aayega priya dii kese aayi thi aapne sashuraal se jab me darwaja khola tha
Ab ye sari batein batate batate 5/7 minutes ho chuke hain, ab mujhe chalna chahiye.
Isbaar mene jyada santarpan se aage badha kahin fir se na baat asamanj ho jaye
Sanskar bhar bhar ke diya gaya tha hum bacho me, apni purvajon se ese chala aa rha hai, transfer of sansakar.
Modern bhasha me kaha jaye to conservative and introvert type ka tha me . Ab lagbhag me tiptoed ho ke aage chal rha tha, baaki room me Nazar daal ke, ese krte krte kitchen ke pass pahuncha to,
Mujhe didi ki dabi hui awaz sunai di. Me rukgaya
Kitchen bada sa tha aur wo open kitchen nhi. Full Wall tha hall ke side aur ander jaane k liye door jitna rasta 3/4 feet ki par darwaja nhi lagaye the dadaji , kyun ki unke samay me bade stoves phat te the
Door na hone ke kaaran awaj clear sunai de rha tha
Didi ki awaj me daarar thi
Aur me deewar k paar sin raha tha
Priya dii kehte kehte mom k kandho pe sar rakh ke bayan krne lagi apni dard, jabki pehli kabhi didi ne koi gunjaaish tak nhi ki thi
Ab itna to samjh gya tha ki jiju daru pee ke kabhi maarpit bhi kiye hain, daarubaaj dosto ko ghar laa ke unke liye chai pakode wagera raat ke 11/12 baje banane kehte the
Ab didi bhi insaan hai, kab tak sehti
Priya di ki sabr to tab tuta
Jab mom puchi ki pia( mom pyar se bulati thi pia) tu kahin pregnant to nhi.
Tab ekdum se ro padi meri dii